[color=rgb(255,]Update - 04[/color]
[color=rgb(255,]__________________[/color]
Rahasyamayi aadmi ki baat sun kar maine apni taraf badhe uske hath ko dekha. Uske hath me kaale rang ke dastaane the aur uski hatheli par pardarshi panni me lapeta hua mithaai ka ek chhota sa tukda tha. Us mithaayi ke tukde ko dekh kar maine ek baar us rahasyamayi aadmi ki taraf dekha aur fir uski hatheli se mithaayi ka wo tukda utha kar apne muh me daal liya. Mithaayi ke us tukde ko maine kha kar nigla to kuch hi palo me mujhe mera sir ghoomta hua sa prateet hua aur fir agle kuch hi palo me mujhe chakkar se aane lage. Main behosh hone wala tha jiski vajah se mera shareer dheela pad gaya tha aur main lahra kar girne hi wala tha ki mujhe aisa laga jaise kisi majboot baaho ne mujhe samhaal liya ho. Uske baad mujhe kisi bhi cheez ka hosh nahi rah gaya tha.
Ab Aage,,,,
Main nahi jaanta tha ki main kab tak behosh raha kintu jab mujhe hosh aaya to maine khud ko ek baar fir se usi jagah par paaya jaha iske pahle bhi maine kisi ajnabi jagah ke alishaan kamre me khud ko paaya tha. Maine nazar ghuma kar charo taraf dekha to pata chala ki ye wahi kamra tha aur main usi bed par pada hua tha kintu is baar mere kapde badle huye nahi the balki main unhi kapdo me tha jo main apne ghar se pahan kar aaya tha.
Mujhe hosh aaye abhi do minute hi guzre honge ki tabhi kamre ka darwaza khula aur ek baar fir se wahi safedposh kamre me daakhil hota nazar aaya. Is baar main use dekh kar chaunka nahi tha aur na hi is jagah par khud ko pa kar hairaan hua tha, kyoki ab main samajh chuka tha ki ye sab usi rahasyamayi aadmi ka kiya dhara hai aur shayad yaha ka ye niyam hai ki jab bhi kisi baahar wale ko laaya jata hai to use behosh kar diya jata hai taaki baahar wala aadmi is jagah ke bare me jaan na sake.
"Mere peeche aao." Us safedposh ne meri taraf dekhte huye hukum sa diya to main bina kuch bole bed se neeche utra aur uski taraf badh chala.
Us safedposh ke sath chalte huye main kuch hi der me usi jagah par pahucha jaha par main pahle bhi le jaya gaya tha. Ek lamba chauda hall aur us hall ke dusre chhor par ek badi si singhasan numa kursi, jis par wo rahasyamayi aadmi baitha hua tha. Hall me aaj bhi neem andhera tha jisse hall ke andar ka kuch bhi theek se dikh nahi raha tha.
"Tum yakeenan soch rahe hoge ki tumhe is tarah do do baar behosh kar ke yaha kyo laaya gaya hai?" Hall me us rahasyamayi aadmi ki awaaz goonji____"Iska jawaab yahi hai ki ham nahi chaahte ki is jagah ke bare me kisi bhi baahri aadmi ko pata chale. Khair ab jabki tum puri tarah se is sanstha se judne ke liye taiyar ho to ham tumhe bata de ki ab se tum par bhi sanstha ke saare niyam kanoon laagu honge. Sabse pahla kanoon to yahi hai ki tum is sanstha ke prati puri tarah se wafadaar rahoge aur agar kabhi aisa waqt aaya ki tumhari vajah se is sanstha ka bhed baahri duniya ko pata chalne wala hai to tum apni jaan de kar bhi is sanstha ke raaz ko raaz hi bana rahne doge. Agar kisi ko kisi tarah se tumhare bare me pata chal jata hai to tum usi waqt use jaan se maar doge, aisa is liye taaki tumhara raaz jaanne wala kisi aur ko tumhare bare me bata na sake. Agar tumhara raaz tumhare kisi apne ke saamne khul jata hai to tum use bhi jaan se maarne me rukoge nahi."
"Ye kanoon to bahut hi shakht hai." Rahasyamayi aadmi ki baate sun kar maine hairaani se kaha____"Aisa bhi to ho sakta hai ki agar koi hamara apna hamara raaz jaan jata hai to ham use samjha bujha kar mana le aur usse ye kah de ki wo hamare bare me kisi ko na bataye? Raaz jaan jane ki soorat me kisi apne ko jaan se maar dena to bahut hi mushkil kaam hai."
"Niyam kanoon sabke liye ek samaan hote hain." Us shakhs ne kaha_____"Ham use bhi to jaan se maar dete hain jo hamara apna nahi hota, jabki sach to ye hai ki wo bhi to kisi ka apna hi hota hai. Ham maante hain ki kisi apne ko jaan se maar dena bahut hi mushkil hai lekin apne kaam ke bare me aur sanstha ke bare me raaz rakhne ki yahi ek shart hai. Isse behtar yahi hai ki apna har kaam itni soojh boojh aur hoshiyaari se karo ki kisi ko tumhare aur tumhare kaam ke bare me bhanak bhi na lag sake. Jab kisi ko tumhare bare me bhanak hi nahi lagegi to kisi ko jaan se maar dene ki naubat hi nahi aayegi."
"Haan ye bhi sahi baat hai." Maine gahri saans lete huye kaha to us aadmi ne kaha____"Agar tumhe ye saare niyam kanoon manjoor hain to beshak tum is sanstha se jud sakte ho, warna abhi bhi tum apni duniya me waapas laut sakte ho."
"Mujhe sab kuch manjoor hai." Maine jhat se kaha_____"Ab ye bataaiye ki mujhe aage kya karna hai?"
"Is sanstha ka member banne ke baad tumhe sabse pahle har cheez ki training di jaayegi." Us rahasyamayi aadmi ne kaha____"Uske liye tumhe hamare training center me hi rahna padega."
"Lekin main apni family se door aapke training center me kaise rah paauga?" Maine sochne wale bhaav se kaha____"Itna to main bhi jaanta hu ki training ek do din me to puri nahi ho jayegi, yaani usme kafi samay bhi lag sakta hai to itne dino tak main kaise apni family se door rah sakuga? Main apne mata pita ko Kya bataauga ki main itne samay ke liye kaha ja raha hu aur ye bhi sach hi hai ki wo mujhe itne samay ke liye kahi jane bhi nahi denge."
"Samasya wali baat to hai." Us shakhs ne kaha_____"Lekin fikra mat karo. Shuruaat me jis cheez ki training tumhe di jaayegi wo mushkil se do chaar din ki hi hogi. Uske baad ki training ke liye koi na koi samadhaan nikal hi aayega. Abhi tum waapas apne ghar jaaoge aur apne parents se kahna ki tumhe apne dosto ke sath picnic par jana hai. Picnic ka tumhara tour kam se kam paanch din ka hona chahiye. Yaani paanch din ke liye tumhe apne ghar se door rahna hai. Hamara khayaal hai ki picnic par bhejne ke liye tumhare parents tumhe mana nahi karenge."
"Sahi kaha aapne." Maine kaha____"Lekin dosto ke sath picnic par jane ko kahuga to fir mere dost bhi mere sath jayenge."
"Tum apne un dosto ko mat le jana." Rahasyamayi aadmi ne kaha____"Balki apne parents se kahna ki tumhare kuch naye dost bane hain is liye wo naye dost hi tumhe picnic par le ja rahe hain."
"Theek hai. Main ye kar luga." Maine khush hote huye kaha____"Uske baad aage kya hoga?"
"Hamara ek aadmi tumhe tumhare ghar se pick kar lega." Rahasyamayi aadmi ne kaha____"Uske baad hamara wo aadmi tumhe yaha pahucha dega."
"Theek hai." Maine kaha____"Main aaj hi ghar ja kar apne parents se picnic par jane ki baat kahuga. Mujhe yakeen hai ki iske liye mere parents mana nahi karenge."
"Bahut badhiya." Us shakhs ne kaha____"Jis din tumhe picnic par jana ho us din ki subah tum neele rang ki shart pahan kar apne ghar ke baahar kuch der tak khade rahna. Isse wahi kahi maujood hamara aadmi samajh jaayega aur fir wo tumhe lene ke liye subah ke kareeb das baje pahuch jayega."
Rahasyamayi aadmi ki baat sun kar maine haan me apna sir hila diya. Uske kuch hi palo baad mere peeche se fir se wo safedposh aaya aur mujhe behosh kar diya. Behosh hone ke baad jab mujhe hosh aaya to main usi jagah par tha jaha par iske pahle main rahasyamayi aadmi ke aane ka intzaar kar raha tha. Khair uske baad main apni moter cycle se ghar aa gaya.
Raat me khana khaate samay maine apne mata pita se kal picnic par jane ki baat kahi to mere mata pita ne pahle to kayi saare sawaal puche. Jaise ki mere sath aur kaun kaun ja raha hai aur picnic ke liye ham kaha ja rahe hain aur sath hi picnic se kab waapas aayenge? Saare sawaalo ke jawaab maine apne mata pita ko de diye aur unhe bataya ki picnic ka tour paanch dino ka hai aur chhathe din ham waapas aa jayenge.
Mere mata pita jaante the ki main kaisa ladka hu, dusri baat unhone khud hi kaha tha ki kuch samay enjoy karo uske baad to mujhe unke sath unka business hi samhaalna hai. Khair maine apne mata pita ko bataya ki mujhe kal hi dosto ke sath yaha se picnic ke liye nikalna hai. Meri is baat par mere mata pita bole theek hai aur apna khayaal rakhna.
Khaane ke baad main khushi khushi apne kamre me chala aaya tha. Asal me ab mujhe is baat ki jaldi thi ki kitna jaldi main us sanstha se puri tarah jud jaau aur training puri hone ke baad main unke hukum se wo kaam karne jaau jo meri sabse badi chaahat ka hissa tha. Yahi vajah thi ki ghar aate hi maine apne parents se dusre din hi picnic par jane ki baat kah kar unse ijaazat le li thi. Ab to bas kal ka intzaar tha mujhe. Apne kamre me aa kar maine aalmaari kholi aur usme neele rang ki shart dekhne laga jo ki kismat se mere paas thi. Neele rang ki shart ko aalmaari se nikaal kar maine use kamre ki diwaar me lage hanger par taanga aur fir bed par let gaya.
Bed par leta main ye soch soch kar muskura raha tha ki bahut jald meri life badalne wali hai aur us badli huyi life me bahut jald meri sabse badi chaahat puri hone wali hai. Ye sab sochte huye main bahut hi zyada khush ho raha tha. Aisa lag raha tha jaise ki mujhe karoon ka koi khazana milne wala hai. Main apne man me hi na jane kaise kaise khwaab sajane laga ki sanstha ka agent banne ke baad main ladkiyo aur aurto ki sex need ko pura karne ke liye jaauga aur unke khubsurat jismo se jaise chaahuga khelunga. Un aurto ki badi badi chuchiyo ko apni dono mutthiyo me le kar zor zor se masluga aur fir chuchiyo ko apne muh me bhar kar zor zor se chusuga.
Bed par lete lete main jane kaise kaise sapne dekhne laga tha aur fir jane kab meri aankh lag gayi. Subah utha to raat ke saare manzar yaad aaye jisse main jaldi se utha aur bathroom me ghus gaya. Bathroom se naha dho kar maine neele rang ki shart pahni aur kamre se baahar aa gaya. Baahar aaya to dekha maa mere kamre ki taraf hi aa rahi thi. Mujhe dekh kar wo ruk gayi aur muskurate huye boli____"Aree bada jaldi uth gaya tu. Chal achha kiya aur haan maine ek bag me tere liye zarurat ka saara samaan pack kar diya hai. Tu naha dho kar aa, tab tak main tere liye naasta banwa deti hu."
Maa ki baat sun kar maine unhe bataya ki main naha chuka hu aur abhi main do minute ke liye baahar khuli hawa lene ja raha hu. Meri baat sun kar maa ne mujhe hairaani se dekha. Unke liye hairaani ki baat ye thi ki main jo hamesha aath baje so kar uthta tha wo aaj subah subah hi uth gaya tha aur itna hi nahi balki naha dho ke fursat bhi ho gaya tha. Khair maa ke jane ke baad main ghar se baahar ki taraf chal pada. Ab bhala maa ko kaise pata ho sakta tha ki unke sharmile bete ne aaj itni jaldi me apne saare kaam kyo kar liye the?
Ghar se baahar aa kar main lambe chaude lawn me daahini taraf aa kar khada ho gaya. Main door sadak par idhar udhar dekh raha tha. Rahasyamayi aadmi ne kaha tha ki main jab apne ghar ke baahar neele rang ki shart pahan kar khada ho jaauga to uska koi aadmi mujhe dekh lega aur fir samajh bhi jaayega ki mujhe aaj hi picnic par nikalna hai. Khair main kareeb das minute tak lawn me khada raha uske baad waapas ghar ke andar aa gaya.
Naaste ke samay dining table par papa bhi baithe the. Unhone mujhse pucha ki mere dost mujhe lene yahi aayenge ya mujhe unke paas jana hoga? Papa ke puchhne par maine unhe bataya ki das baje mera ek dost mujhe yaha lene aayega. Khair naaste ke baad papa ne apna ek briefcase liya aur car ki chaabhi le kar apne office ke liye chale gaye. Papa rozana hi subah nau baje office chale jate the jabki maa subah gyaarah baje ghar se office ke liye nikalti thi.
Apne kamre me main ekdam se taiyar baitha tha aur das bajne ka intzaar kar raha tha. Mere paas wo bag bhi tha jise maa ne mere liye pack kiya tha. Ek ek pal mere liye jaise sadiyo ka lag raha tha. Aakhir kisi tarah das baje to main bag le kar kamre se baahar nikal aaya. Abhi dring room me hi aaya tha ki door bell baji. Main samajh gaya ki rahasyamay aadmi ka koi aadmi mujhe lene ke liye aa gaya hai. Maine tezi se badh kar baahar waale darwaze ko khola to dekha baahar ek aadmi khada tha. Wo aadmi mere liye bilkul hi ajnabi tha. Maine aaj se pahle use kabhi nahi dekha tha.
"Taiyar ho na?" Mere kuch bolne se pahle hi usne mujhe dekhte huye mujhse dheeme swar me puchha to main samajh gaya ki ye wahi aadmi hai, is liye maine fauran hi haan me sir hila diya. Tabhi mere peeche se maa ki awaaz aayi to main ekdam se chaunk gaya aur ye soch kar thoda ghabra bhi gaya ki agar maa ne is aadmi ko dekh kar mujhse puchh liya ki ye kaun hai to main kya jawaab duga unhe? Halaaki jawaab to mere paas taiyaar hi tha kintu maa mere sabhi dosto ko jaanti thi is liye wo na jane kya kya puchhne lagti, aur main yahi nahi chaahta tha.
"Aree beta tune apne dost ko baahar kyo khada kar rakha hai?" Maa ki awaaz se maine palat kar unki taraf dekha, jabki unhone aage kaha____"Use andar le aa aur usse puchh le ki agar usne naasta na kiya ho to andar aa kar pahle naasta kare uske baad hi yaha se tujhe le kar jaye."
"Aunty ham abhi late ho rahe hain." Mere kuch bolne se pahle hi us aadmi ne darwaze ke baahar se hi kaha____"Is liye naasta karne ka samay nahi hai. Ham baahar hi kahi par kar lenge naasta."
Us aadmi ki baat sun kar maa ne ek do baar aur kaha lekin hame to rukna hi nahi tha is liye jaldi hi main us aadmi ke sath baahar nikal gaya. Sadak par aa kar main uski car me baitha to usne car ko tezi se aage badha diya. Is waqt mere dil ki dhadkane tezi se chal rahi thi. Main soch raha tha ki ye aadmi mujhe aakhir kis jagah par le kar jaayega? Kya ye aadmi bhi usi sanstha ka koi sadasya hai?
Saare raaste hamare beech khamoshi hi rahi, na maine usse koi sawaal kiya aur na hi usne kuch kaha. Kareeb bees minute baad usne ek aisi jagah par car ko roka jaha aas paas koi nahi tha. Car ke rukte hi usne mujhse car se apna bag le kar utar jane ko kaha to main ekdam se chaunk sa gaya. Maine car ki khidki se sir nikaal kar chaaro taraf dekha. Koi nahi tha aas paas. Aisi jagah par mujhe kyo utar jane ko bol raha tha ye aadmi? Mujhe uljhan me pada dekh us aadmi ne fir se mujhe utar jane ko kaha to is baar main bina kuch bole car se utar gaya aur apna bag bhi nikaal liya. Maine jaise hi apna bag nikaala waise hi us aadmi ne car ko U turn diya aur kisi tufaan ki tarah waapas usi taraf laut gaya jis taraf se wo mujhe le kar aaya tha. Uske jane ke baad main moorkho ki tarah sadak ke kinaare khada rah gaya. Main samajh nahi pa raha tha ki wo aadmi mujhe aise sunsaan jagah par akela chhod ke kyo chala gaya tha? Ab yaha se bhala main kis taraf jaauga? Sach kahu to is waqt main apne aapko duniya ka sabse bada bevkoof hi samajh baitha tha.
Mere paas us jagah par khade rahne ke alawa koi dusra raasta nahi tha is liye main kareeb aadhe ghante tak khada raha. Aadhe ghante baad mujhe sadak par ek kaale rang ki car aati huyi dikhaayi di. Main samajh gaya ki is car me zarur wo rahasyamayi aadmi hoga. Khair kuch hi der me wo car mere paas aa kar ruki. Car ke rukte hi car ka pichhla darwaza khula. Andar ek safedposh aadmi baitha nazar aaya mujhe. Usne mujhe andar aane ka ishara kiya to main apna bag le kar chup chaap car ke andar ja kar baith gaya. Mere baithte hi car ka darwaza band hua aur car ek jhatke se aage badh chali. Car me mere alawa wo safedposh aur ek driver tha jiske jism par kaale kapde the aur sir par badi si golakaar topi jiska agrim sira uske lalaat par jhuka hua tha. Aankho me kaala chashma tha aur haatho me dastaane. Chehre par naqaab nahi tha. Halaaki peechhe se mujhe uska chehra dikh bhi nahi raha tha kintu car ke andar lage back mirror me uska aksh dikh raha tha jisme uski golakaar topi aur aankho par laga kaala chashma hi dikh raha tha. Abhi main use dekh hi raha tha ki tabhi mere bagal me baithe safedposh ne meri aankho par kaali patti baandh di jisse meri aankho ke saamne andhera chha gaya.
☆☆☆
"Sahab ji." Vikram Singh ki diary padh rahe shivkant wagle ke kaano me apni jail ke ek sipaahi ki awaaz padi to usne chaunk kar uski taraf dekha, jabki sipaahi ne aage kaha____"Koi aapse milne aaya hai."
"Ka..kaun milne aaya hai ham se?" Wagle ne na samajhne wale bhaav se pucha. Is beech usne vikram singh ki diary ko band kar ke table me hi ek taraf rakh diya tha.
"Koi shoot boot pahna hua aadmi hai sahab ji." Sipaahi ne kaha____"Mujhse bola ki jailer sahab se milna hai. Is liye main aapke paas ye batane chala aaya."
"Theek hai bhej do unhe." Kahne ke sath hi wagle ne diary ko table se uthaya aur use apne briefcase me rakh diya.
Idhar wagle ke kahne par sipaahi waapas chala gaya tha. Kuch der baad hi ek aadmi cabin me daakhil hua. Wagle ne us aadmi ko gaur se dekha. Aagantuk aadmi ke jism par shooted booted kapde the. Damakta hua chehra bata raha tha ki wo koi maamuli aadmi nahi tha. Khair wagle ne use apne saamne table ke us paar rakhi kursi par baithne ka ishara kiya to wo muskura kar shukriya kahte huye baith gaya.
"Ji kahiye." Us aadmi ke baithte hi wagle ne namra bhaav se kaha____"Aisi jagah par aane ka kaise kasht kiya aapne?"
"Suna hai ki pichhle din aapki is jail se ek kaidi riha ho kar gaya hai." Us aadmi ne khaas bhaav se wagle ki taraf dekhte huye kaha____"Main usi kaidi ke bare me aapse jaanne aaya hu. Ummid hai ki aap mujhe uske bare me behtar jankaari denge."
"Dekhiye mahashay." Wagle ne kaha____"Yaha se to koi na koi apni saza kaatne ke baad riha ho kar jata hi rahta hai. Ab hame kya pata ki aap kiske bare me puch rahe hain? Haan agar aap hame riha ho kar jane wale us kaidi ka naam aur uska jurm bataye to shayad hame uske bare me aapko batane me asaani ho."
"Uska naam vikram singh hai jailer sahab." Us aadmi ne halki muskaan ke sath kaha____"Aur pichhle din hi wo yaha se riha ho kar gaya hai. Main aapse ye jaanna chahta hu ki yaha se nikalne ke baad wo kaha gaya hai?"
"Badi hairat ki baat hai mahashay." Wagle us aadmi ke mukh se vikram singh ka naam sun kar pahle to man hi man chaunka tha fir samaanya bhaav se bola____"Jis aadmi ki aap baat kar rahe hain usse in bees saalo me kabhi koi milne nahi aaya aur na hi uske bare me koi kuch puchhne aaya. Ab jabki wo yaha se riha ho kar ja chuka hai to achanak se uske jaan pahchaan wale kaha se aa gaye? Waise aapki jankaari ke liye ham bata de ki yaha se jo bhi kaidi riha ho kar jata hai uske bare me ham ye record nahi rakhte ki wo yaha se kaha jaayega aur kis tarah ka kaam karega?"
"Oh maaf kijiyega." Us aadmi ne ajeeb bhaav se kaha____"Mujhe laga yaha har us kaidi ka ek aisa record bhi rakha jata hoga jisse ye pata chal sake ki fala kaidi jail se riha ho kar kaha gaya hai aur wartmaan me kis tarah ka kaam kar raha hai? Asal me baat ye hai ki main kuch din pahle hi videsh se bharat aaya hu, is liye mujhe vikram singh ke bare me zyada pata nahi hai. Halaaki ek samay wo mera dost hua karta tha kintu fir halaat aise badle ki mera usse har tarah ka raabta toot gaya. Abhi kuch din pahle hi mujhe kahi se pata chala hai ki mere dost ko umar kaid ki saza to huyi thi kintu uske achhe bartaav ki vajah se adalaat ne uski baaki ki saza ko maaf kar ke riha kar diya hai. Ye sab sun kar main seedha yahi chala aaya."
"Agar vikram singh sach me aapka dost hai." Wagle ne ek cigarette sulgaane ke baad kaha____"To aapko ye bhi pata hoga ki use kis jurm me umar kaid ki saza huyi thi?"
"Ji bilkul pata hai jailer sahab." Us aadmi ne kaha____"Usne apne mata pita ki berahmi se hatya ki thi aur police ne use ghatna sthal se range haatho pakda tha. Maamla adaalat me pahucha tha aur judge sahab ne use umar kaid ki saza suna di thi."
Jab aapke dost ne aisa sangeen apraadh kiya tha." Wagle ne cigarette ke dhuye ko hawa me udaate huye kaha____"Tab us samay aap kaha the?"
"Main us samay apne parents ke sath videsh me tha." Us aadmi ne kaha____"Asal me mere parents yaha ka apna sab kuch bench kar videsh me rahne ka faisla kar liya tha aur jab videsh me saari byawastha ho gayi thi to ham sab wahi chale gaye the. Jab vikram ka maamla hua tha tab mujhe apne ek dusre dost se is bare me pata chala tha. Main hairaan tha ki vikram jaisa ladka itna sangeen apraadh kaise kar sakta hai? Maine apne parents se kaha tha ki mujhe apne dost se milne india jana hai lekin mere parents ne mujhe yaha aane hi nahi diya. Uske baad waqt aur halaat aise bane ki india aane ka kabhi mauka hi nahi mil paaya. Itne saalo baad mauka mila to main sirf apne dost se milne ke liye hi india aaya hu."
"Iska matlab." Wagle ne gahri saans lete huye kaha____"Aapko ye bhi pata nahi hoga ki vikram singh ne aakhir kis vajah se apne hi mata pita ki hatya ki thi?"
"Kya matlab hai aapka?" Us aadmi ne chaunkte huye kaha____"Kya aap ye kah rahe hain ki police ya adalat ko bhi nahi pata ki usne aisa kyo kiya tha, lekin aisa kaise ho sakta hai?"
"Yahi sach hai mahashay." Wagle ne ashtray me bachi huyi cigarette ko bujhaate huye kaha____"Police ki third degree jhelne ke baad bhi us shakhs ne ye nahi bataya tha ki usne apne mata pita ki hatya kyo ki thi aur itna hi nahi balki in bees saalo me bhi usne kabhi kisi se is bare me kuch nahi bataya. Ab to wo riha ho kar yaha se ja chuka hai is liye zaahir hai ki aage bhi kabhi kisi ko is bare me kuch pata nahi chalne wala."
"Hairat ki baat hai." Us aadmi ne sochne wale andaaz se kaha____"Waise yaha se jate samay aapne usse puchha to hoga ki yaha se jane ke baad wo apne baaki jeewan me kya karega?"
"puchhne ka koi faayda hi nahi tha." Wagle ne laaparwaahi se kaha____"Is liye hamne puchha hi nahi usse."
"Kya matlab??" Wo aadmi halke se chaunka.
"Matlab ye ki usse kuch bhi puchhne ka koi faayda hi nahi hota." Wagle ne kaha___"Pichhle paanch saalo se ham is jail ke jailer pad par karyarat hain aur in paanch saalo me hamne na jane kitni hi baar usse bahut kuch puchhne ki koshish ki hai lekin usne kabhi bhi hamare kisi sawaal ka jawaab nahi diya. Wo apne hotho ko jaise sui dhaage se sil leta tha. Hamne apne jeewan me uske jaisa ajeeb insaan nahi dekha."
"Chaliye koi baat nahi jailer sahab." Us aadmi ne gahri saans le kar kaha____"Ab mujhe hi apne dost ka pata karna hoga. Khair bahut bahut shukriya aapka itna kuch batane ke liye. Achha ab chalta hu, namaskaar."
Kahne ke sath hi wo aadmi kursi se uth gaya to wagle bhi kursi se uth gaya. Us aadmi ke jane ke baad shivkant wagle sochne laga ki itne saalo baad vikram singh ka koi dost kaha se aa gaya? Police ke anusaar uske sabhi dosto se puchhtaanchh huyi thi kitnu kisi bhi dost ko ye nahi pata tha ki vikram singh ne aakhir kis vajah se apne mata pita ki hatya ki thi? In bees saalo me vikram singh ka koi bhi dost usse milne nahi aaya tha. Iski vajah shayad ye ho sakti thi ki uska koi bhi dost ab usse koi waasta nahi rakhna chaahta tha. Khair kuch der is bare me sochne ke baad wagle apne cabin se baahar nikal gaya.
Shaam tak wagle kisi na kisi kaam me byast hi raha, uske baad wo apne sarkaari awaas par chala gaya. Ghar me kuch der wo TV dekhta raha aur fir raat ka bhojan karne ke baad apne kamre me chala gaya. Uska irada tha ki raat me wo vikram singh ki diary me uski aage ki dastaan padhega kintu savitri abhi bartan dho rahi thi. Wo savitri ke so jane ke baad hi aage ki kahani padhna chaahta tha. Khair usne savitri ke so jane ka intzaar kiya. Jab savitri apne saare kaam niptaane ke baad kamre me aa kar bed par so gayi to wagle bed se utra aur briefcase se vikram singh ki diary nikaal kar waapas bed par aa gaya. Apni patni savitri ki taraf ek baar usne dhyaan se dekha aur fir diary khol kar aage ka kissa padhna shuru kar diya.
☆☆☆