[color=rgb(255,]Update - 59
____________________[/color]




Swati jaisi haseen aurat ko bhog kar sach me behad aanand aaya tha mujhe. Uske chehre par maujood khushi aur santushti ke bhaav is baat ka saboot the ki use bhi mere sath sambhog karne me behad aanand aaya tha. Baharhaal ham dono kaafi der tak yu hi lete rahe the. Uske bachcho ke aane ka time hone wala tha is liye mera uske ghar se nikalna zaruri ho gaya tha. Yu to mera bahut man tha ki main swati ke sath ek baar aur maza karu magar fir ye soch kar apna irada badal diya ki is sukh se kahi badh kar mere liye mera maksad maayne rakhta hai.

Main kapde pahan kar nikalne laga to swati ne bed ki chadar se apne nangepan ko dhankte huye kaha ki aaj sach me use ek naya aanand aur ek naya anubhav mila hai. Uski baat sun kar main muskura utha.

"Yu to apne jeewan me maine na jane kitni hi aurto ke sath sex kiya hai." Maine uski taraf dekhte huye kaha_____"Magar aapke sath ye sab kar ke mujhe ek alag hi aanand ka abhaas hua hai. Mere dil me aap dono pati patni ke liye ek khaas jagah ban gayi hai. Dhanya hai dinesh bhai jinhone apna dil ko majbut kar ke is kaam ko karne ki aapko ijazat di aur dhanya hain aap ki aapne unki sahmati ke baad hi mujhse sambandh banaya."

"Baat to thik hai tumhari." Swati ne sahsa sanjeeda ho kar kaha____"Magar is sabke baad jane kyo mujhe aisa mahsoos ho raha hai jaise maine koi paap kar diya hai."

"Paap to tab hota bhabhi." Maine kaha____"Jab aapne aarti ki tarah apne pati ki chori se aur unhe dhokha de kar mere sath ye sab kiya hota. Aapne to apne pati ki sahmati se hi ye sab kiya hai is liye ye paap nahi hai. Apne zahen se is baat ko nikaal dijiye aur khushi khushi apne pariwar ke sath aage ka jeewan guzaariye."

"Maine apni khushi ke liye aur apne pati ki sahmati se tumhare sath ye sab kar to liya hai keshav." Swati ne kaha_____"Magar main chaahti hu ki is sabke baad tum ab kabhi bhi mujhse is kaam ke liye na kaho aur na hi is tarah ki neeyat rakho."

"Waise to ye mere liye achhi baat nahi hai bhabhi." Maine mayoosi zaahir karte huye kaha____"Magar koi baat nahi. Mere liye bhi sabse zyada aapka maan sammaan maayne rakhta hai. Aap befikra rahiye, main kabhi bhi aapko us nazar se nahi dekhuga. Halaaki main jis raaste par hu usse sambhav hai ki ab kabhi hamari mulakaat hi na ho."

"Main dua karti hu ki tum apne maksad me kamyaab ho jaao aur fir hansi khushi ek nayi zindagi jine lago." Swati ne kaha____"Baaki jo kismat me hoga wo to hoga hi. Kismat ne chaaha to hamari mulakaat bhi zarur hogi. Main bhi ye dekhna chaahti hu ki tumhara apna pariwar kaisa hai?"

Swati se aisi hi kuch der baate huyi uske baad main uske ghar se apne flat ki taraf chal pada. Ab mujhe sirf apne maksad ki taraf dhyaan dena tha aur is beech kuch zaruri kaam bhi karne the. Mere man me kayi saari baate chalne lagi thi.

Flat par aaya to maya ne puchha kaha chala gaya tha main? Jawaab me maine use bataya ki bas aise hi dushmano ke halaato ki khabar lene gaya tha. Maine use ye nahi bataya ki main swati naam ki ek aurat ke sath maza kar raha tha.

Maya ne bataya ki minakshi ko periods aaye huye hain is liye uske liye pads le aau. Maya ki baat sun kar main minakshi ke liye pads khareed kar le aaya. Uske baad kuch khaas nahi hua. Ye alag baat hai ki main man hi man ek yojna bana chuka tha.

Us wakt raat ke ek baje the. Main maya ke sath bed par leta hua tha. Maya gahri neend me thi jabki meri aankho se neend koso door thi. Jab maine mahsoos kiya ki maya sach me gahri neend me hai to main aahista se utha. Night bulb ki roshni me mujhe kamre ka sab kuch saaf dikh raha tha.

Apne bag se maine sabse pahle plastic wale glubs nikaale. Unhe pahanne ke baad maine bag se wo rumaal nikala jo chloroform se bheega rahta tha. Use le kar main bed ke paas aaya aur badi hi sawdhaani se us rumaal ko maya ki naak ke paas le aaya. Agle kuch hi palo me mujhe maya ke chehre par halka pariwartan hota dikha aur fir wo shaant hoti chali gayi.

Maya ke behosh hote hi maine sabse pahle us rumaal ko bag me rakha aur fir apne hatho se glubs bhi nikaal kar bag me rakh diye. Uske baad main talaashi abhiyaan me lag gaya. Kaafi der ki talaash ke baad bhi mujhe wo na mila jise main khoj raha tha. Niraash ho kar main kamre se nikal kar baahar aa gaya.

Gala khushk ho gaya tha is liye paani pine ke liye main kitchen ki taraf badh gaya. Fridge se paani ka bottle nikaal kar main paani pine laga. Abhi main pi hi raha tha ki sahsa main kuch soch kar chaunka. Bottle ko waapas fridge me rakha aur kitchen me talaashi abhiyaan chala diya. Jaldi hi mujhe ek dibbe me wo cheez mil gayi jiska mujhe andesha tha. Us cheez ko main gaur se dekhne laga. Use dekhte huye jaha ek taraf mere hotho par muskaan ubhar aayi thi wahi dusri taraf chehre par patthar jaisi kathorta bhi paida ho gayi thi.

Maine us cheez ko waapas us dibbe me rakh diya aur fir kitchen se baahar aa gaya. Kamre me ja kar maine bed par gahri neend me soyi padi maya ko dekha aur fir aage badh kar use usi haalat me utha liya.

Raat ke sannate me main building se niche aaya aur kiraye se laayi huyi taxi me maine maya ko pichhli sheet par leta diya. Uske baad main ek baar fir se upar apne flat me gaya. Mera jo samaan tha use la kar taxi ki diggy me rakh diya. Uske baad taxi ko start kar ke main chal pada. Kareeb das minute baad maine apne new mobile se kisi ko call kiya. Mushkil se das second tak maine baat ki aur fir call cut kar di.

[][][][][][]

Dusre din...!

Gulfam taiyar ho kar apne bangle se baahar jane ke liye nikal hi raha tha ki tabhi uski left kalaayi par halke se kuch chubha jisse wo halke se chaunka. Wo fauran hi apni jagah par thithak gaya aur apni left kalaayi par bandhi ghadi ko dekha. Kalaayi ke jis hisse me ghadi thi usi ke niche use halki halki chubhan ka abhaas ho raha tha. Gulfam fauran hi apne kamre ki taraf badh chala. Jaldi hi wo apne kamre me pahucha aur bed ke right side rakhi ek almaari ki taraf badha. Almaari ko ek chaabhi se khol kar usne uske palle khole. Andar ek locker tha jo ki aam almaari ke locker se alag tha. Locker me password system tha. Gulfam ne fauran hi password dala aur fir handle ko pakad kar palle ko apni taraf kheecha.

Us locker me koi instrument rakha hua tha jisme do teen tarah ke chhote chhote bulb jal bujh rahe the. Gulfam ne fauran hi uske upar hi side me rakha ek mota wire laga hua speaker uthaya aur kaan se laga liya. Abhi wo kuch bolne hi wala tha ki uske chehre par chaukne wale bhaav ubhre. Mushkil se bees second tak wo kuch sunta raha aur fir us speaker ko wapas us instrument me rakh diya. Locker ko band kar ke jab gulfam palta to uske chehre par gahan chinta ke bhaav the aur sath hi khauf ke bhi.

Kuch der tak jane wo kya sochta raha aur fir wo apne coat ki jeb se phone nikaal kar kisi ka number punch karne laga.

"Jitna jaldi ho sake." Call connect hote hi wo maano awesh me cheekh hi pada_____"Zafar ki location trace karo aur uske paas pahucho."

Gulfam call cut karne ke baad gahri gahri saane lene laga tha. Is wakt uska chehra pareshani chinta aur ghabrahat se bhara hua tha.

"Haramzade agar mere bete ke sath tune kuch bhi ulta seedha kiya." Gulfam khud se hi gurrate huye bola_____"To main tera wo hasra karuga jiska tune tasavvur bhi na kiya hoga."

Gulfam awesh me jane kya kya badbadaye ja raha tha aur phone par jane kis kis ko number milaye ja raha tha. Thodi der baad wo bangle se nikla aur security walo ke sath apni car me baith kar goli ki speed se kahi ke liye nikal liya.

[][][][][][]

Gulfam ke mana karme ke baad bhi zafar bangle se nikal gaya tha. Halaaki uski safety ke liye teen teen security wale the jo ki aadhunik hathiyaro se laish the. Zafar ka kahna tha ki wo chaubheeso ghante bangle me kaidi ki tarah nahi rah sakta tha. Uska ye bhi kahna tha ki use vikram ka koi khauf nahi hai. Wo koi aira gaira nahi hai jise vikram palak jhapakte hi khaak me mila dega. Zafar ne apne baap ko puri tarah aashwast kar diya tha ki wo uske liye befikra rahe. Asal me zafar khud chaahta tha ki vikram usko nuksaan pahuchane ke liye uske kareeb aaye. Is baar wo baakiyo ki taraf uski taraf se laparwaah nahi rahega balki puri tarah se chaukanna rahega aur puri taiyari ke sath bhi rahega. Agar vikram galat iraade se uske paas aayega to wo usse bach nahi sakega.

Gulfam ko zafar ki baate bhale hi samajh aa gayi thi lekin iske baavjood wo nahi chaahta tha ki uska beta yu baahar jaye aur khud ko jaan boojh kar vikram ka shikaar bana le. Gulfam bebas sa rah gaya tha lekin use bete ke saamne jhukna hi pada tha.

Zafar ki car bullet proof thi, yaha tak ki use bomb ke dwara bhi koi nuksaan nahi pahuch sakta tha. Apni car ki khasiyat bata kar bhi zafar ne apne baap ko mut-maeen kiya tha. Khair car wo khud hi chala raha tha. Ek gun man uske bagal wali sheet par baitha tha jabki do gun man uske pichhe wali sheet par baithe huye the. Zafar ke chehre par poorn santushti ke bhaav the aur sath hi hotho par bareek muskaan. Aisa lagta tha jaise wo kuch aisa soch raha tha jiske chalte wo rah rah muskura uthta tha.

Zafar ko apne bangle se nikle huye kareeb pandrah minute ho chuke the. Car ko shahar ki abaadi se nikaal kar wo outer ki taraf badh chala tha. Abhi wo mushkil se kuch hi door badha hoga ki tabhi wo chaunka. Uske bagal me baitha gun man jo ab tak puri mushtaidi ke sath baitha hua tha wo ekdam se sheet ki pichhli pusht par ludhak sa gaya. Car ki speed ko bilkul hi dheema kar ke zafar ne jab gun man ki taraf gaur se dekha to buri tarah chaunka. Gun man aankhe band kiye sheet ki pusht par aise tika hua tha jaise wo gahri neend me ho.

Zafar achhi tarah jaanta tha ki uski safety me lage security wale itne laparwaah hargiz nahi ho sakte the ki wo chalti car me yu so jaye. Zafar ko samajhte der na lagi ki koi bhaari gadbad hai. Usne car ke break paidal par apna pair puri taakat se jama diya. Nateeja car ke pahiye fisalte chale gaye aur car kuch hi palo me ruk gayi. Car ke rukte hi zafar ne bijli ki si tezi se pichhe palat kar dekha to aur bhi zyada uchhal pada. Car ki pichhli sheet par baithe dono gun man pahle wale gun man ki tarah hi sheet ki pichhli pusht se peeth tikaye gahri neend me soye pade nazar aa rahe the.

Zafar ke chehre par jaha ashcharya ke bhaav naachte nazar aane lage the wahi beyakini ke bhi. Use samajh me nahi aaya ki chalti car me uske teeno gun mans yu gahri neend me kaise chale gaye? Kya ye koi chamatkaar tha ya koi aisi baat jise wo samajh nahi pa raha hai. Eka ek uske zahen me bijli ki tarah vikram ka khayaal ubhra to wo ek baar fir se buri tarah chaunk pada magar agle hi pal uske zahen me sawaal ubhra ki ye kaise ho sakta hai? Yaani uske teeno gun man vikram ki vajah se kaise neend me ja sakte hain? Bhala chalti car me koi baahar se aisa gazabnaak chamatkaar kaise kar sakta hai aur kis tarike se kar sakta hai? Car ke sabhi sheeshe band the aur bullet proof hone ki vajah se koi baahar se andar walo ka kuch nahi bigaad sakta tha. Zafar ko samajh hi nahi raha tha ki ye sab kaise ho gaya hai? Sabse badi ashcharya ki baat ye bhi thi ki agar aisa kuch hua bhi hai to khud use iska pata kaise nahi chal saka tha?

Zafar apni sheet par seedha baitha abhi yahi sab soch raha tha ki tabhi wo buri tarah uchhal pada. Uski naak par kisi ne badi tezi se kuch rakh diya tha jo ki narm tha. Zafar maare khauf aur ghabrahat ke pahle to buri tarah cheekh hi pada fir puri taakat se us cheez ko pakad kar apni naak se hatane ki koshish me lag gaya magar kamyaab na hua.

Pichhe se kisi ne ek hath se uske sir ko majbuti se pakad rakha tha to dusre hath se us narm cheez ke sath uski naak par zor de raha tha. Zafar jo khud ko bada bhaari tees maar khan samajhta tha is wakt wo itna dar gaya tha ki uski ghigghi si bandh gayi thi. Zafar ne pura zor lagaya magar na to wo apni naak par rakhi us narm cheez ko hata paaya aur na hi kuch der me khud ko behosh hone se rok paya. Wo to ye tak na jaan saka ki ye sab uske sath kiya kisne tha?

[][][][][][]

Abhi mushkil se aadha ghanta bhi na hua tha ki gulfam ka phone badi teji se baj utha. Usne bijli ki si tezi se call ko pich kiya. Uske kaan me udhar se kuch kaha gaya jiske chalte pahle to uske chehre par raahat ke bhaav ubhre magar agle hi pal maano uski saanse atak gayi. Call cut karte hi wo aandhi tufaan ki tarah car ko daudate huye kuch hi samay me us jagah par pahuch gaya jaha par zafar ki car khadi thi aur sath hi kuch aise log bhi the jo CMS jaisi sanstha ke agent the.

Apni car se utar kar gulfam bhaagta hua zafar ki car ke paas pahucha. Car ka darwaza khol kar usne dekha car ke andar uska beta nahi tha. Balki uski safety me maujood teeno gun man zarur maujood the joki gahri neend me soye jaan padte the. Gulfam ko samajhte der na lagi ki ya to wo teeno behosh hain ya fir mar chuke hain.

Car se apne bete ko gayab dekh gulfam ka dekhte hi dekhte bura haal ho gaya. Jiska dar tha wahi ho gaya tha. Uske pairo ke niche se zameen to tabhi nikal gayi thi jab phone par is baat ki use khabar di gayi thi magar ab wo aisa mahsoos kar raha tha jaise uska sab kuch lut gaya ho aur wo puri tarah se barbaad ho gaya ho. Uska ji chaha ki dahaade maar kar ro pade. Badi mushkil se usne khud ke jazbaato ko kaabu kiya aur palat kar sanstha ke agents ko hukum diya ki wo zafar ki khoj me zameen asmaan ek kar de.

Gulfam kuch der tak apne andar ke tufaan ko shaant karne ka prayaas karta raha aur fir car ke andar ka muaayna karne laga. Kuch hi der me use wo cheez mil gayi jiski shayad wo ummid kiye huye tha. Khoon se nahaayi huyi wo chip jo CMS jaisi sanstha ki thi aur jo sanstha ke har members ke jism me chhipi hoti thi.

Gulfam luta pita aur thaka haara waapas apni car me aa kar baith gaya. Uska man kar raha tha ki saari duniya ko aag laga de. Car ki driving sheet par wo aankhe band kiye baitha hua tha. Zaahir hai is wakt uska man behad ashaant tha. Kuch der wo yu hi baitha raha uske baad usne car ko start kiya. Chehre par patthar jaisi kathorta aur aankho me aag liye wo car ko you turn kar ke tezi se ek taraf ko badhta chala gaya.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 60
____________________[/color]




"Aaaahhhhh." Zafar ke halak se cheekh nikal gayi aur wo ek jhatke se hosh me aa gaya. Is wakt uske dono hath pichhe ki taraf rassi me bandhe huye the.

"Ab jaag bhi jaao pyare." Maine cigarette ka jordaar kash lene ke baad dher sara dhua uske chehre par foonkte huye kaha_____"Tum to miya tretayug ke kumbhkaran ke bhi baap nazar aa rahe ho. By the way tumhe hosh me laane ka hamara ye andaaz kaisa laga tumhe?"

Meri baate sunte hi zafar chaunka aur apni aankhe faad faad kar idhar udhar dekhne laga. Main uske ekdam paas hi baitha tha. Use hosh me laane ke liye maine jalti huyi cigarette uski chhaati me chhuwa di thi. Nateeja ye hua ki uske taap se wo jaldi hi cheekh maarte huye hosh me aa gaya tha. Khud ko kisi ajnabi jagah par pa kar wo ekdam se baukhla gaya tha aur jab meri awaaz uske kaano me padi to wo aur bhi zyada buri tarah chaunk pada tha.

Idhar udhar dekhne ke baad zafar ki nazar jaise hi mujh par padi to uska hairat me dooba chehra fakk padta chala gaya. Yakeenan wo mujhe pahchaan gaya tha ya yu kahe ki is wakt apne saamne kisi ajnabi ke roop me mere hi hone ki ummid kar sakta tha wo.

"Kya hua pyare?" Maine muskurate huye uski taraf dekha____"Hamari shakl dekhte hi tumhari shakl bejaar si kyo nazar aane lagi hai? Aree hamne to tumhe mard banaya tha. Yaad hai? Ya bhool gaye??"

"T...tum yaha k...kaise?" Zafar ke mukh se atakta sa swar nikla_____"Aur main yaha kaise?"
"Jaadu se pyare jaadu se." Maine natkeeya andaz me kaha____"Bees saal jail me rah kar hamne aise aise jaadu sikh liye hain jiski koi kalpana bhi nahi kar sakta. Palak jhapakte hi aadmi ko anda dene wali murgi me tabdeel kar dete hain ham. Yakeen na ho to tumhe murgi bana ke dikhaye...bolo kya kahte ho??"

"V..vikram?" Zafar haklaate huye bola. Uske chehre par is wakt dahshat ke bhaav gardish karte nazar aa rahe the. Aisa lag raha tha jaise wo apne saamne apni maut ko baat karte dekh sun raha tha. Chehre par dher sara pasina palak jhapakte hi ubhar aaya tha.

"Haan, ye ham hi hain pyare." Maine kaha____"Yakeen maano tum koi khwaab nahi dekh rahe ho. Ye alag baat hai ki aaj kal har koi sote jaagte sirf hamara hi khwaab dekh raha hai. Kya kahe pyare...ham cheez hi aisi hain."

Meri baat sun kar zafar ne badi mushkil se thook ko gale ke niche utaar kar apne khushk gale ko tar kiya. Usne jor lagaya to use pata chala ki uske dono hath rassiyo se bandhe huye hain. Ye jaante hi uske chehre par chhayi dahshat me izafa ho gaya. Usne aankhe band kar ke do teen gahri gahri saanse li. Aisa laga jaise wo is situation ke liye khud ko taiyar karne ki koshish karne laga tha.

"Mujhe yaha la kar tumne achha nahi kiya hai vikram." Apni haalat par kaabu pane ke baad zafar ne apne lahje ko kathor banate huye kaha_____"Tumhe andaza bhi nahi hai ki aisa karne se tum kitne bhayanak sankat me aa jaaoge."

"Ab jane bhi do pyare." Maine muskurate huye kaha_____"Tum bhi wahi dialogue mat maaro jo iske pahle baaki log mujhse maar chuke hain. Main to us stage par hu jaha par kisi ke aise tichkule dialogues koi asar hi nahi karte. Jabki mere saamne maujood jeev jab mere mukh se dialogue sunta hai to khauf se uski patloon gili ho jati hai."

Zafar kuch bol na saka. Kuch palo tak meri taraf dekhne ke baad usne kaha_____"To kya tum mujhe yu rassiyo baandh kar hi khud ko shoorma kahte ho?"

"Hargiz nahi." Maine majbuti se inkaar me sir hilate huye kaha____"Main to khud ko ek mamuli sa insaan hi samajhta hu. Shoorma to tum log samajhte ho khud ko. Mujhe samajh me nahi aa raha ki tum sab kaise shoorma ho jo ek ek kar ke mera shikaar hote ja rahe ho aur mere dwara jahannum me pahuche ja rahe ho?"

"Ye kahawat to tumne bhi suni hi hogi vikram." Zafar ne teekhe bhaav se kaha_____"Ki bakre ki amma kab tak apna khair manayegi? Main maanta hu ki abhi tak tum apni hoshiyaari se ya ye kahu ki apni achhi kismat ke chalte pakde nahi gaye lekin kismat har baar sath nahi deti. Yakeen maano jis din tum pakde gaye us din tum soch bhi nahi sakte ki tumhara kya hasra hoga."

"Fir se dialogue??" Maine jaisi uski khilli udaayi____"Maine kaha na ki aise dialogues ka mujh par koi asar hi nahi hota. Maine bataya na ki main us stage par hu jaha par mujhe kisi bhi baat se koi fark hi nahi padta. Fark to unhe padta hai my dear jinhe jeene ki hasrat hoti hai. Main to ye khwaab me bhi nahi sochta ki mujhe jeena bhi hai. Apna to sirf ek hi maksad hai aur wo hai tum sabko maut de kar jahannum bhejna."

"Kyo??" Zafar bol pada_____"Aakhir kyo tum ham sabko apna itna bada dushman samajhte ho? Sanjay, siraj, jeewan uncle aur mere abbu ka to samajh me aata hai lekin apne hi dosto ko apna dushman kyo samajh liya hai tumne? Bhala hamne tumhara kya bigada tha? Tumne ranjan ko jaan se maar dala, tarun ki biwi ko maar dala aur ab mujhe yaha le kar aa gaye. Zaahir hai mujhe bhi maar hi daaloge lekin main jaanna chahta hu ki apne dosto se itni badi dushmani kyo?"

"Ekdam durust sawaal kiya hai pyare. Maine bhi kayi baar khud se yahi sawaal kiya hai." Maine cigarette ke bache huye tukde ko pairo tale kuchalte huye kaha_____"Magar is sawaal ke sath hi mere andar se ek alag hi sawaal ubhra ki kya sach me tum log mere dost ho? Kya sach me dost aise hi hote hain? Main tumse bhi puchhta hu ki kya sach me dost tum jaise hi hote hain?"

Mere sawaal par zafar kuch bol na saka balki nazre chura kar idhar udhar dekhne laga. Uski is haalat ko dekh main muskura utha.

"Mere sawaal ke jawaab me tumhara yu nazre chura lena." Maine usi muskaan ke sath kaha____"Is baat ka saboot hai ki dost tum jaise to hargiz nahi hote. Bas, jab dost tum jaise hote hi nahi hain to zaahir hai tum jaise dushman hi hote hain aur maine to jaise kasam hi kha rakhi hai ki apne ek ek dushman ko maut dooga aur use jahannum bhejunga. Waise bhi CMS jaisi ghatiya sanstha se talluk rakhne wala koi bhi shakhs zinda rahne ke kaabil nahi hai. Ye wo sanstha hai jisne insaan ke andar aisi hawas ki aag jagaayi hai ki isse jude logo ne na to kisi rishte ka lihaaj rakha aur na hi kisi rishte ko apni andhi hawas se bacha ke rakha. Is sanstha ne insaan ko sirf ye sikhaya hai ki duniya me chaahe koi bhi ho uske sath sex karna hai. Ek maa ne apne bete ke sath sex karne ki hasrat ki, ek bhai ne apni bahan ko hawas me raund diya, ek sasur ne apni bahu ko hawas me nanga kar ke randi bana diya aur kal aisa bhi aane wala hai jab ek bhatija apni bua bhabhi ko hawas me raundega. Kya tujhe lagta hai ki aisi maansikta bana dene wali us ghatiya sanstha ka aur aisi maansikta wale logo ka vajood is duniya me bana rahna chahiye?"

Zafar ka sir meri baate sun kar aur bhi zyada jhuk gaya. Use shayad pata hi nahi tha ki mujhe un logo ke bare me aisi baate bhi pata hain.

"Ek baat to bata." Maine uske chehre ko zabardasti utha kar apni taraf kiya, fir bola_____"Tere ghar me to teri do do maayen hain. Sach sach bata apni dono maao ke sath sex kar ke kitna maza aata hai tujhe?"

"Z...zubaan samhaal kar baat kar vikram." Zafar buri tarah tilmila kar cheekh pada tha.
"Kamaal hai." Main haule se muskuraya_____"Mere aisa bolne se gaand me mirchi lag gayi tujhe aur jab tu apni dono maao ki choot me apna land daal ke unhe humach humach ke chodta hai tab mirchi ki jagah maza aata hai tujhe? Waise ye to bata...apni dono maao ko akele hi chodta hai ya tera abbu bhi sath deta hai?"

"Vi..kraaaaam." Zafar puri taakat se dahaad utha tha, gusse se kaampta hua bola_____"Apni zubaan ko lagaam de warna mujhse bura koi nahi hoga."

"Tujh jaiso se bura to sach me is duniya me koi nahi hai." Maine is baar hikaarat se uski taraf dekha_____"Tujh jaise log to tatti se bhi zyada gande hain."

"Mere hatho ko rassi se azaad kar." Zafar gusse me bhannaya hua bola____"Fir batata hu tujhe ki aisi behooda baate karne ke liye tujhe kya saza deta hu main."

"Tujhe maine hi mard banaya tha hijde." Main hasa_____"Agar mujhe pata hota ki mard banne ke baad tu apni hi maa bahno ko pelega to yakeen maan main usi din tere tatto ko kuchal deta."

"Mere hath khol haramzade." Zafar buri tarah kasmasaate huye cheekha____"Agar sach me apne baap ki hi paidaaish hai to mere hath khol aur fir mujhse mukaabla kar."

"Teri tarah ranjan bhi isi tarah geedad ki tarah dahaad raha tha aur apne bandhan kholne ki mujhse guhaar laga raha tha." Maine uski aankho me dekhte huye sard lahje me kaha_____"Tujhe pata hai fir kya hua? Maine uske bandhan khole aur us geedad ko sher banne ka pura mauka diya lekin zyada der tak tik nahi paya wo. Jaldi hi maine use jahannum bhej diya."

"Main ranjan nahi hu." Zafar gusse me gurraya_____"Main zafar hu. Tu ek baar mere hath to khol. Fir batata hu tujhe ki kaun geedad hai aur kaun sher."

"Achha aisi baat hai kya?" Maine hath badha kar uske bandhan kholte huye kaha____"Fir to tere bandhan jaldi kholna chahiye mujhe. Main bhi to dekhu ki jise maine mard banaya tha wo ab bhi mard hai ya apni maa bahno ki choot ka ras chaat chaat kar gali ka kutta ban gaya hai?"

Zafar meri baat sun kar gusse me aag babula ho gaya tha aur main yahi to chaahta tha. Jaldi hi maine uske bandhan khol diye. Bandhan khulte hi zafar apne dono hatho ki kalaaiyo ko sahlaane laga lekin nazar mujh par hi thi. Uski aankho me gusse ka jwalamukhi dhadhak raha tha.

"Ek baat puchhna to bhool hi gaya tujhse." Main uski taraf dekhte huye use aur bhi zyada gussa dilane ki garaj se kaha____"Jaise tu apne baap ki dono biwiyo ko pelta hai to kya usi tarah tera baap bhi teri biwi ko pelta hai?"

"Haraamzaade." Zafar maare gusse ke meri taraf bijli ki tarah jhapta. Main to taiyar hi tha uske hamle ke liye is liye jaise hi wo jhapat kar mere kareeb aaya maine zor ki ek laat uske pet me jad di. Nateeja zafar apna pet pakde pichhe hatta chala gaya. Dard se uska chehra bigad gaya tha magar jaldi hi wo samhla.

Main apni jagah par muskurate huye is tarah khada tha jaise mujhe uski koi parwaah hi nahi hai. Main khud ko puri tarah laparwaah dikha raha tha use jabki andar se main puri tarah satark tha. Zafar ke andar itna gussa bhar gaya tha ki wo bina soche samjhe ek baar fir se meri taraf jhapat pada lekin is baar wo bhi satark tha. Usne mere kareeb aate hi ek chaal chali jisme main asaani se maat kha gaya. Nateeja usne palat kar mujhe daboch liya.

"Ab batata hu tujhe ki mujhse aisi behooda baate karne ka kya anjaam hota hai." Zafar puri taakat se mujhe daboche gusse me kah raha tha_____"Aaj se pahle main aksar sochta tha ki tere sath jo kuch bhi hua hai wo galat hua hai aur badle me tu jo kar raha hai wo sahi hai kyoki wo tera haq hai lekin aaj teri baate sun kar samajh aaya ki tu kitna ganda aur behooda insaan hai."

Kahne ke sath hi zafar ne ghutne ka waar meri kamar par kiya jisse meri hichki si nikal gayi. Dard se main bilbilaya to zarur lekin agle hi pal apni kuhni ka waar pichhe uske chehre par kiya jisse zafar karaahte huye mujhe chhod kar do kadam pichhe hat gaya. Isse pahle ki wo kuch karta maine uchhal kar flying kick uske jabde me raseed kar di. Zafar ke halak se cheekh nikal gayi aur wo uchhal kar door ja gira.

"Choot maar service ke sikhaye daav pench bhool gaya lagta hai kya tu?" Main uske kareeb badhte huye bola____"Samajh sakta hu beta. Jise apni dono maao aur bahno ki choot chaatne me hi maza aata ho use kisi daav pench me dilchashpi kaha rah jayegi."

Meri baat sun kar zafar fir se tilmila utha. Wo bola to kuch nahi lekin puri raftaar se meri taraf badha. Mujhe laga wo mere paas aa kar mujh par hath pair se hamla karega magar usne to jhuk kar dono hatho se meri kamar ko hi pakad liya. Uska sir mere pet me laga hua tha aur fir wo puri taakat se mujhe pichhe ki taraf thelte huye door tak le gaya. Achanak pichhe ki diwaar bade zor se meri peeth par lagi. Dard se karaah nikal gayi meri. Maine jaldi jaldi kuhni ke waar zafar ki peeth par kiye magar wo shakhtjaan tha. Mujhe chhoda hi nahi usne balki usi position me ek hath se mere pet par mukke barsane laga. Gusse me paglaye huye insaan me zarurat se zyada taakat aa jati hai. Zafar is wakt meri baato se kuch zyada hi gusse se paglaya hua tha jiske chalte meri kuhni ke waar bhi us par asar nahi kar rahe the.

Jab maine dekha ki main uski giraft se is tarah nahi nikal paauga to maine pair ke ghutne ka waar kiya jo uske chehre par laga. Is baar zafar ki cheekh nikal gayi aur uski pakad bhi dheeli ho gayi. Wo mujhe chhod kar pichhe hata to maine fauran hi duhatthad uski peeth par jama diya jisse wo muh ke bal kachchi zameen par gir pada. Uske girte hi main uske upar sawaar hi hone wala tha ki wo palat gaya. Mere ghutne zameen se takraaye aur meri cheekh nikal gayi. Udhar zafar ne pade pade hi apni ek taang chala di jo meri kanpati par lagi jisse main dard se karaahte huye palat kar zameen par pasar sa gaya.

Abhi main samhala bhi nahi tha ki zafar ki laat meri kamar par padi jisse main fir se zameen par pasar gaya. Main pet ke bal zameen par pasra hua tha aur uske baar baar laat maar dene se main seedha nahi ho pa raha tha.

"Ab uth ke dikha haramzaade." Zafar ne ek aur laat meri kamar par jamate huye gusse me kaha_____"Khud ko mard samajhta hai na to uth ab. Aaj sabki maut ka badla luga tujhse. Tere jism ki ek ek haddiya toduga main."

Zafar kuch zyada hi gusse me paglaya hua tha. Idhar ab main bhi gusse me aa gaya tha. Mujhe is baat par gussa aaya ki jise maine mard banaya tha wo aaj mujhe uthne hi nahi de raha. Maine gardan ghuma kar uski taraf dekha. Jaise hi usne laat maarne ke liye apna pair uthaya main tezi se palat kar seedha ho gaya aur jab uska pair mere jism ke kareeb aaya to maine use dono hatho se pakad liya. Uske pair ko majbuti se pakad kar main bijli ki tarah palat gaya. Nateeja ye hua ki zafar ka pair ghutne se mud gaya jisse uski bhayanak cheekh nikal gayi. Wo dhadaam se zameen par gir gaya. Uska pair ab bhi mere hatho me tha. Uske girte hi main utha aur vipreet position le kar puri taakat se uske pair ko mod diya.

Zafar dard me puri shakti se chillaya. Fiza me uske ghutne ke tootne ki awaaz huyi aur zafar dard se tadapne laga aur sath hi mujhe gandi gandi gaaliya dene laga. Kachchi zameen par baitha zafar apne ghutne ko thaame dard se bilbila raha tha.

"Kya hua itne me hi rone laga?" Maine uske kareeb aa kar sard lahje me kaha____"Tu to mere jism ki haddiya todne wala tha na? Khud apna hi ghutna tudwa liya mujhse? Chal uth aur tod mere jism ki haddiya."

Mujhe apne kareeb dekhte hi zafar dard ko sahte huye mujh par jhapta magar maine ghutne ka waar uske chehre par kiya jisse wo dhadaam se pasar gaya.

"Tu marega madarchod." Zafar dard aur gusse me dooba hua chillaya_____"Tujhe mera baap kutte se bhi badtar maut maarega."

"Mujhe maut dene ki khwaaish rakhne wale na jane kitne fana ho gaye bevkoof." Maine zafar ko uske coller se pakad kar ghaseette huye kaha_____"Tere baad ab tere baap ka hi number hai. Tu soch bhi nahi sakta ki tere baap ki maut kitne shandaar tarike se dene ka socha maine."

"Tu mere abbu ke jhaath ka baal bhi nahi ukhaad paayega madarchod." Zafar cheekha.

"Mujhe uski jhaath ke baal se lena dena bhi nahi hai." Maine zafar ko puri taakat se utha kar zameen par patakte huye kaha____"Par jhaanth ki baat kar ke tune mujhe ek gazab ka idea zarur de diya hai. Kyo na kuch aisa kiya jaye jisse teri puri family jo canada me jane kis kis se apni choot aur gaand marwa rahi hain unhe yaha aane par majboor kar du. Itna hi nahi tere aur tere baap ke saamne teri dono maao aur teri bahno ko nanga khada kar du. Uske baad main unme se jiske chaahuga uski jhaanth ke baal ukhaadne laguga. Waah kya haseen manzar hoga wo...hai na?"

"Teri maa ko cho...aaahhhh." Zafar ke mukh se gaali nikli hi thi ki maine ek mukka uske mukh par hi jad diya jisse uske saamne wale daant toot gaye aur muh se bhall bhall kar ke khoon bahne laga. Zafar jo pahle se hi dard me tha ab aur bhi dard se karaahne laga.

"Tu aur tera baap to kuch nahi kar paayega." Maine gusse se uski aankho me dekhte huye kaha_____"Par main chaahu to sach me teri maa chod sakta hu aur wo bhi tere saamne magar main aisa karuga nahi. Jaanta hai kyo...? Kyoki ek to main tere jaisa madarchod ya bahanchod nahi hu dusre mujhe aisi chooto me land daalne ka shauk hi nahi hai jinme gande naali se bhi gaye guzre keede apna ashiyana bana ke rahte hain."

Meri baat sun kar zafar kasmasa kar rah gaya. Ab usme itni taakat nahi thi ki wo mujhse mukaabla kar sake. Gusse aur apmaan ka ghoot pi kar rah gaya tha wo. Wo jaanta tha ab agar usne apne mukh se kuch bhi ulta seedha bola to ye uske liye achha nahi hoga.

"Kya hua? Teri saari hekdi aur saari mardaangi teri gaand me ghus gayi kya?" Maine uske toote huye ghutne par laat maari to wo dard se halak faad kar cheekha. Mukh se bahta hua khoon uske kapdo ko aur zameen ko bhigota ja raha tha.

"Main ye jaanna chahta hu ki tu mujhe yaha kaise laaya?" Kuch der apne dard ko sahne ke baad zafar ne nazar utha kar meri taraf dekhte huye puchha_____"Jaha tak mujhe yaad hai main apni car me apne teen teen gun man ke sath tha. Meri car bullet proof thi, yaani baahar se koi bhi mere sath kuch bhi ulta sidha nahi kar sakta tha. Fir kaise mere saare gun man behosh ho gaye aur main khud bhi kaise behosh hua? Hosh me aane ke baad jab maine tujhe dekha tha tabhi samajh gaya tha ki ye sab tune hi kiya hai magar sawaal hai ki kaise?"

"Chalo der aaye durust aaye." Maine halki muskaan ke sath kaha____"Jo sawaal tujhe hosh me aate hi mujhse karna chahiye tha use tu ab kar raha hai. Khair samajh sakta hu ki tere hosh hi thikane par nahi rahe honge."

Kahne ke sath hi maine ek cigarette sulgaayi aur uske do teen gahre gahre kash lene ke baad dher saara dhua udaate huye uski taraf dekha.

"Asal me is saare chakkar me meri thodi si help tarun ne ki thi." Maine jab ye kaha to zafar ke chehre par ashcharya umad aaya aur usne beyakini se meri taraf dekha to maine aage kaha____"Kissa thoda lamba hai magar short me bata deta hu tujhe. Tarun ko achhi tarah samajh aa gaya tha ki mere qahar se tum me se koi bhi bachne wala nahi hai. Wo ye bhi jaanta tha ki der sawer wo khud bhi mere hatho jaan se mara jaayega. Halaaki apni jaan ko bachane ke liye usne jo kadam uthaya uske liye tum log use kaayar hi kahoge. Yaani mere khauf ke chalte usne mujhse apni jaan ki bheekh maag li aur badle me tum logo ki jaan mere haatho me rakh di. Dusre nazariye se ise gaddari bhi kah sakte ho tum lekin uske nazariye se sochoge to ek simple si baat nazar aayegi tumhe. Asal me wo sach me kaayar nahi hai. Agar uski biwi zinda hoti to wo khud bhi ranjan aur teri tarah mujhse bhidne ke liye ready rahta lekin kyoki uski biwi ko maine maar diya tha aur agar tarun bhi mere hatho mara jata to uske bachche puri tarah se anaath ho jate joki sach kahu to main bhi nahi chaahta tha. Tarun ke anusaar uski maa ko last stage ka cancer hai aur ye baat tarun ke baap ke alawa sirf tarun ko hi pata hai. Zaahir hai agar tarun aur tarun ki maa apne cancer me chalte duniya se chal base to uske bachche puri tarah anaath ho jate. Is liye apne bachcho ke liye uska zinda rahna nihayat hi zaruri hai. Yahi sab soch kar usne ye faisla kiya ki bhale hi log use kaayar kahe lekin apne bachcho ke liye wo mujhse apni jaan ki bheekh zarur maagega. Ab ye to zaahir si baat hai ki main koi dharmatma to hu nahi jo apne kisi dushman ki jaan muft me baksh duga is liye badle me mujhe bhi usse kuch chahiye hi tha."

Itna kah kar main chup hua aur cigarette ke kash lene laga. Zafar hairaani se meri taraf hi dekhe ja raha tha aur mere mukh se aage ki baate sunne ke liye utsuk dikhaayi de raha tha. Cigarette ke ek do lambe lambe kash lene ke baad maine dher sara dhua ugla.

"Tarun ke paas meri baat maanne ke alawa koi option hi nahi tha." Maine aage kahna shuru kiya____"Waise bhi use ye to pata hi tha ki tu aur tera baap ek na ek din mere hatho marne hi wale ho. To is baat se kya fark padta hai ki uski vajah se mera raasta thoda asaan ho jaye? Tum sabki nazro se gayab hone ke baad usne mujhse contact kiya aur mere kahne par usne tum par nazar rakhna shuru kar diya. Ek din usne bataya ki teri security me daily wo hi gun man rahte hain. Yaani kisi bhi din tu apne gun man badalta nahi hai. Bas yahi teri sabse badi galti aur kamjori saabit ho gayi. Tarun ke bataye jane par maine aaj subah tere ek gun man ko badi hi safaayi se dhar liya aur uski jagah tarun ko fit kar liya. Tu to jaanta hai ki kisi ka bhi roop bana kar uski jagah khud ko fit kar lena mere liye koi mushkil kaam nahi hai aur na hi tarun ke liye. Main chaahta to khud ko bhi gun man ki jagah fit kar sakta tha lekin ye mere liye khatarnaak ho sakta tha kyoki main tarun par andha viswaas nahi kar sakta tha. Us soorat me wo apna faisla badal kar mujhe pakadwa bhi sakta tha. Is liye tere teesre gun man ki jagah maine use hi gun man ban kar fit ho jane ko kaha. Tarun bhi samajhta tha ki main us par yakeen nahi kar sakta tha is liye meri nazar me apna yakeen jamane ke liye uska aisa karna zaruri bhi tha. Khair tarun teesra gun ban kar tere sath hi teri bullet proof car me chal pada tha. Maine usko bol diya tha ki raaste me wo apne alawa baaki dono gun man ko is tareeke se maut ke ghaat utaar de ki tujhe ya baaki dono gun man ko iski bhanak tak na lag paaye. Apne bagal me baithe gun man ko jab tu gahri neend me so gaya dekhega to zaahir hai tu chaunk jaayega. Khair mere plan ke anusaar jab tu palat kar pichhe dekhe to tujhe yahi nazar aaye ki kisi jaadu ki tarah tere teeno gun man gahri neend me so gaye hain. Zaahir hai us soorat me teri haalat kharaab ho jane wali thi. Is beech tarun jo behoshi ka naatak kar raha hoga wo mauka dekh kar pichhe se tujhe badi safaayi se chloroform dwara behosh kar dega. Jab tu behosh ho jaayega to wo mere style me hi tere jism se sanstha ki chip nikal kar car ke dash board par rakh dega. Uske baad car se tujhe le kar baahar aa jaayega. Main kyoki teri car ke pichhe hi ek lamba faasla bana kar rahuga, tarun ka msg aate hi fauran waha pahuch jaauga. Mere kahne par tarun meri taxi se tere teesre aur mare huye gun man ko teri car ki pichhli sheet par waise hi wardi pahna kar baitha dega jaise baaki ke do gun man tujhe baithe dikhe the aur tujhe meri taxi me daal kar wo chala jaayega. Tarun ka sirf itna hi kaam tha. Uske baad ka tujhe pata hi hai ki jab tu hosh me aaya to tu mere rahmo karam par tha."

Saari baate sun kar zafar maano sannate me aa gaya tha. Chehre par baarah baje huye the. Ashcharya aur beyakini liye wo jane kaha kho gaya tha. Shayad wo is baat ko hajam karne ki koshish kar raha tha ki maine jo kuch use bataya hai wo waakayi me sach hai aur ye bhi ki yakeenan usse bahut badi galti huyi hai.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 61
____________________[/color]




Maya ko jab hosh aaya to usne khud ko ek anjaan jagah par rassiyo me bandha hua paaya. Apni haalat aur apni situation ka ehsaas hote hi uske dilo dimaag me zabardast halchal mach gayi. Usne idhar udhar nigaah daudaayi magar use apne alawa koi dusra insaan kya koi chhota sa jeev tak nazar na aaya. Use bilkul bhi andaza nahi tha ki wo kis jagah par hai. Wo to bas yahi dekh pa rahi thi ki wo kisi kabaad si jagah par kuch is tarike se rassiyo dwara bandhi huyi hai ki wo hil bhi nahi sakti hai.

Maya ko bas itna yaad tha ki raat me wo bed par vikram ke sath leti soyi huyi thi. Uske baad ab ja kar uski aankhe khuli hain. Use khwaab me bhi ye ummid nahi thi ki uske sath aisa kuch bhi ho jaayega. Aankho ke saamne na to wo kamra tha, na hi bed tha aur na hi uske bed me uske bagal me leta vikram tha. Maya ko samajh nahi aa raha tha ki wo yaha kaise pahuchi aur kab pahuchi? Vikram kaha hai? Kya use bhi uski tarah kisi aisi hi jagah par rassiyo me baandha gaya hoga? Aakhir ye sab kisne kiya hoga? Aise na jane kitne hi sawaal kisi jinn ki tarah uske zahen me taandav sa karne lage the magar jawaab ek ka bhi use na mila.

Sochte sochte kuch hi palo me maya ki haalat kharaab ho gayi. Uske dilo dimaag me bahut hi bure bure khayaal ubharne lage the jinke bare me soch soch kar hi uska kaleja muh ko aane laga tha. Usne bandhano se khud ko chhudane ki koshish ki magar wo hil tak na saki. Jis kisi ne bhi use baandha tha usne shayad is baat ka sabse zyada khayaal rakha tha ki wo kisi bhi tarike se in bandhano se azaad na ho sake. Charo taraf gahra sannata chhaya hua tha.

Wo koi band kamra tha lekin uski haalat bahut hi khasta haalat me thi. Charo taraf ki diwaare to pakki thi lekin diwaaro par chhapaayi nahi huyi thi. Saaf dikh raha tha ki is jagah par lambe wakt se koi nahi aaya hoga. Kamre ka farsh kachcha tha jisme beshumaar dhool jami huyi thi. Kamre me ek bhi khidki nahi thi, bas ek lohe ka darwaza tha joki yakeenan baahar se band hi hoga. Kamre ki chhat par pankha bhi nahi tha, yaha tak ki bijli se talluk rakhti koi cheez nahi thi usme. Maya ko itna to pata chal raha tha ki din ka samay hai lekin use ye nahi samajh aa raha tha ki wo yaha kyo aur kaise pahuchi? Jo koi bhi use yaha le kar aaya tha wo usse kya chaahta tha?

Maya soch hi rahi thi ki sahsa uske mastishk me bijli si kaundhi jiska asar ye hua ki uska chehra kisi jaadu ki tarah khauf aur ghabrahat se peela padta chala gaya. Jane kya soch kar uski aankho se aansu bah chale. Apni aankhe band kar ke wo sisak sisak kar rone lagi.

[][][][][][]

"Kya aapko lagta hai ki wo aapko baksh dega?" Minakshi apne saamne baithe apne bhai tarun se kah rahi thi____"Mujhe to yakeen hi nahi ho raha ki aapne us jaise khatarnaak aadmi se is tarah ka sauda kiya hai."

"Waise to mujhe pura yakeen hai minakshi." Tarun ne gambheer bhaav se kaha____"Aur sach kahu to yakeen karne laayak to khud ham log hi nahi the. Main to khair use ab mila hu lekin tu khud soch ki tu kitne samay se uski kaid me thi. Kya usne kabhi tere sath kuch galat kiya? Ham sab use pagal aur sirfira kahte the jabki agar wo sach me hi aisa hota to kya aaj tu zinda mere saamne baithi hoti? Nahi minakshi, vikram pagal aur sirfira nahi hai balki use har cheez ka bakhubi ehsaas hai."

"Kamaal ki baat hai bhaiya." Minakshi ke hotho par halki muskaan ubhar aayi, boli_____"Usne hamare dad ko maar dala aur itna hi nahi usne aapki biwi ko bhi berahmi se maar dala iske baad bhi aap us vikram ko galat nahi maan rahe. Kya main ye samjhu ki aapke andar uska khauf kuch is kadar paida ho gaya hai ki aap usse apno ki maut ka badla lene ka khayaal tak zahen me nahi lana chahte?"

"Insaan ke liye kisi se badla lena hi sab kuch nahi hota meri bahan." Tarun ne gahri saans li____"Balki iske alawa bhi bahut kuch hota hai jiske liye insaan ko samjhauta karna padta hai. Tu mujhe kaayar samajhti hai to yahi sahi, haan main kaayar hu lekin zara ye bata ki agar main bhi uski tarah badle ki aag le kar usse bhidne ka soch lu to kya hoga? Chal maan liya ki kismat se main use jaan se maar dene me kamyaab ho gaya lekin kya use maar dene se hamare dad aur meri biwi zinda haalat me waapas mil jayenge? Nahi, hargiz nahi, ye to khair maan lene ki baat huyi lekin soch ki agar iske ulat aisa ho gaya ki usne baaki sabki tarah mujhe bhi maar diya to kya hoga? Mere bachche anaath ho jayenge. Unka future barbaad ho jaayega."

"Unka future banane ke liye abhi hamari maa zinda hai bhaiya." Minakshi ne teekhe bhaav se kaha____"Aur unki bua log bhi to zinda hain. Kya hamare rahte unka future barbaad ho jayega?"

"Tujhe abhi pata hi nahi hai minakshi." Tarun ne sahsa dukhi lahje se kaha_____"Asal me hamari maa ko last stage ka cancer hai. Wo zyada dino ki mehmaan nahi hai."

"Y...ye kya kah rahe hain aap?" Minakshi ke maano hosh ud gaye, kaampte swar me boli____"M..mom ko cancer hai? Nahi..nahi aisa nahi ho sakta. Aap jhooth bol rahe hain."

"Kya tujhe lagta hai ki main aise halaat me kisi se jhooth boluga?" Tarun ki aankho me aansu tairte nazar aaye_____"Sach to ye hai pagli ki ab kisi se sach ya jhooth bolne ka samay hi nahi raha. Ab to sirf ek hi sach hai ki wahi zinda bachega jise khud vikram zinda rakhna chaahega. Dad ki maut ka dukh to kisi tarah sah liya tha maine lekin teri bhabhi ki maut ne mujhe andar se tod diya hai minakshi. Vikram ne jab use maar diya to ji kiya ki usi wakt uske paas ja kar uska gala pakad lu magar jaanta tha ki jab bade bade shoorma uska kuch nahi bigaad paaye to bhala main kya bigaad luga uska? Is chakkar me agar mujhe kuch ho gaya to mere bachcho ka kya hoga? Tu to jaanti hai ki hamne unhe bade naajo se paala hai. Unhe kabhi kisi cheez ka abhaav nahi hone diya. Main ye soch kar hi kaamp gaya tha ki jab main na rahuga aur jab mere bachche anaath ho jayenge to wo kis kis ke aage apne komal hath failaayenge? Log kin nazro se dekhenge unhe? Wo masoom duniya ke sitam na to dekh payenge aur na hi sah payenge. Bas yahi soch kar main tadap utha aur soch liya ki ab main kaayar hi banuga. Vikram se apni jaan ki bheekh maagte huye usse kahuga ki wo mere bachcho ke liye mujhe baksh de."

Tarun kahte kahte buri tarah ro pada to minakshi jhat se uske kareeb aayi aur use apne seene se laga liya. Usne kabhi bhi apne bhai ko yu bachcho ki tarah rote nahi dekha tha. Uska dil hahakaar kar utha aur uski aankho se aansu bah chale. Dono bhai bahan kuch der yu hi ek dusre se lipte rote rahe.

"Mujhe maaf kar dijiye bhaiya." Fir minakshi ne usse alag ho kar kaha____"Maine aapse teekhe lahje me ye sab isi liye kaha tha taaki jaan saku ki aapke andar kya hai? Itna to main bhi samajhti hu ki jiski niyati me jo likha hai use wahi milega. Matlab ye ki jinhe marna tha wo kisi na kisi vajah se mar gaye lekin is sabka dosh sirf us vikram par nahi madha ja sakta. Agar gaur se soche to hame zarur samajh aayega ki hamse kahi zyada dukh dard usne saha hai aur ab bhi sah hi raha hai. Ham sabne to ab tak apni zindagi aisho araam se ji aur ham sabka apna apna ek pariwar bhi ban gaya lekin uske jeewan me to kabhi kuch achha hua hi nahi. Uski saari jawaani jail me patthar todte huye guzar gayi. Kya usne kabhi koi sapne nahi dekhe honge? Kya uske dil me koi armaan na rahe honge? Zarur rahe honge bhaiya lekin use mila kya....ek aise jurm ki bhayanak saza jise usne kiya hi nahi tha. Aaj agar wo beraham hai aur kisi ke liye bhi uske dil me koi jazbaat nahi hain to iske jimmedaar hamare apne hi the. Usko aisa banane wale hamare apne hi the bhaiya aur ye to jag zaahir baat hai ki jaisa beej zameen ke andar daaloge waisi hi fasal kaatne ko milegi. Main maanti hu ki usne kuch kaam aise bhi kiye hain jo use nahi karna chahiye tha magar main ye bhi samajhti hu ki jab bhayanak tufaan aata hai to us tufaan me sab kuch tabaah ho jata hai. Khair aapne bilkul thik kiya bhaiya ki aapne usse aisa sauda kar liya. Vikram ki kaid me main bhale hi itne dino se thi lekin ye sach hai ki usne kabhi bhi mere sath kuch bura nahi kiya. Halaaki maine use apni gandi harkato se uksaya bhi tha magar usne mere sath galat nahi kiya."

"Is baat ka yakeen to mujhe bhi tha meri bahan." Tarun ne kaha_____"Aur hamare mom dad ko bhi. Haan is baat ka dar zarur tha ki wo tujhe bhi jaan se na maar daale."

"Khair ye sab chhodiye." Minakshi ne jaise pahlu badla____"Aur ye bataiye ki ab aage ka kya vichaar hai? Mera matlab hai ki ham dono kab tak is tarah baahari duniya se gayab rahenge?"

"Bas kuch hi dino ki baat hai minakshi." Tarun ne ek cigarette jala kar kaha____"Uske baad sab kuch thik ho jaayega. Maine to ye tak soch liya hai ki is sabke baad main apna karobaar aur ghar baar bech kar kisi dusre shahar me apne bachcho ke sath ek naya jeewan shuru karuga."

"Bilkul sahi socha hai aapne." Minakshi ne kaha____"Is shahar me rahenge to is sabke baad bhi kabhi chain se rah nahi payenge. Khair ye bataiye ki aapka dost vikram abhi kaha hai?"

"Wo zafar ka kissa tamaam karne gaya hai." Tarun ne kuch sochte huye kaha_____"Jaldi hi gulfam uncle ke ghar me ham sabki tarah maatam chhane wala hai."

"Badi ajeeb baat hai na bhaiya." Minakshi kuch sochte huye boli_____"Gulfam uncle ne apni puri family ko bahut pahle hi videsh me shift kar diya tha, yaha tak ki zafar bhi wahi tha lekin unke kiye huye gunaah unhe isi shahar me waapas le aaye."

Minakshi ki baat sun kar tarun ke hotho par ek ajeeb si muskaan ubhar aayi. Usne kaha kuch nahi bas kuch sochte huye cigarette pita raha.

[][][][][][]

"Chalo baate bahut ho gayi pyare." Maine apne bag se wahi khanzar nikalate huye kaha jis khanzar se maine baakiyo ka katl kiya tha. Us khanzar ko zafar ki aankho ke saamne lahraate huye usse kaha____"Ab tumhara is duniya se rukhsat hone ka wakt aa gaya hai. Agar koi aakhiri khwaaish ho to bata sakte ho mujhe."

"Koi faayda nahi hai vikram." Zafar ne dard mishrit muskaan ke sath kaha____"Kyoki tu meri khwaaish puri nahi kar sakta."

"Are to maine kab kaha ki main teri koi khwaaish puri karuga?" Maine zor se haste huye kaha____"Maine to aupchaarikta ke chalte tujhse puchha tha. Sach kahu to mujhe is baat se ghanta koi fark nahi padta ki teri koi khwaaish hai ya nahi. Marna to tujhe dono hi surat me hai."

"Tu beshak mujhe jaan se maar de vikram." Zafar ne apne dard ko sahte huye kathorta se kaha____"Magar yakeen kar tu khud bhi zyada wakt tak is duniya me zinda nahi rahega. Mere abbu aur sanstha ke log tujhe jahannum se bhi khoj laayenge aur fir tujhe bad se badtar maut denge. Haan agar tu meri jaan baksh dene ke baad mere abbu se aur baaki sabse apne gunaaho ki maafi maagega to mumkin hai ki tujhe bhayankar maut dene ka khayaal zahen se nikaal diya jaye."

"Bahut khoob." Main thahaka laga kar hansa fir bola____"Kya tujhe lagta hai ki vikram singh jaisa jiyala kisi ke saamne ghutno par baith kar apni jaan ki bheekh maagne ka khayaal bhi apne zahen me la sakta hai? Are maut to ek din sabko aani hai meri jaan lekin kisi se apni jaan ki bheekh maagne ka matlab hai usi wakt apni hasti ko nestanaboot kar dena. Tu meri fikar mat kar, jahannum se tu bhi dekhega ki ye vikram singh kis tarah tere baap ki aankho me aankhe daal kar uske jism se uski jaan nikaalega aur itna hi nahi CMS jaisi ghatiya sanstha ke vajood ko is shahar se mitayega."

"Tu sanstha ka kuch nahi bigaad payega vikram." Zafar pagalo ki tarah jor se hasta chala gaya tha fir bola____"Jabki sanstha chaahe to palak jhapakte hi tujhe khaak me mila de."

"Ab ye to wakt hi batayega pyare." Maine khanzar ko uske kareeb laate huye kaha____"Ki kaun kise khaak me milata hai. Afsos ki ye sab dekhne ke liye tu zinda nahi rahega lekin mujhe yakeen hai ki jahannum se tu live telecast zarur dekhega. Achha ab alvida meri jaan...!!"

Zafar ko laga tha ki main abhi kuch aur usse baate karuga magar aisa nahi hua. Uski ummid ke vipreet maine jhapat kar uske gale me khanzar ki tez dhaar ko rakha aur jhatka de diya. Nateeja zafar ka gala katta chala gaya. Uske kate gale se khoon ki tez dhaar uchhal kar nikli. Main tezi se side me ho gaya tha jiske chalte uska pichkaari sa maarta hua khoon mere upar nahi aa paya tha. Udhar zafar jal bin machhli ki tarah tadapne laga tha. Apne dono hatho se usne apne kate huye gale ko pakadne ki koshish kar raha tha. Aankho me khauf, ashcharya aur beyakini ke bhaav liye wo mujhe dekhe ja raha tha. Uske mukh se ajeeb ajeeb si awaaze nikal rahi thi. Mere dekhte hi dekhte zafar ki jeewan leela samaapt ho gayi. Zafar ka khoon use puri tarah se bhigo dene par amada tha.

[][][][][][]

Gulfam behad bechain tha aur uski haalat pagalo jaisi nazar aa rahi thi. Apne kamre me rakhi almaari ke locker me maujood instrument par wo kaafi der se jane kya kya karta ja raha tha. Har guzarte pal ke sath uske chehre ke bhaav aur bhi zyada bigadte ja rahe the. Wo kaafi der se kisi se sambandh banane ki koshish kar raha tha magar shayad use kamyaabi nahi mil rahi thi. Achanak usne us instrument ko dono hatho se utha liya aur baahar kheech kar bade zor se kamre ke farsh par patak diya. Patakne ki vajah se wo instrument kayi tukdo me bikhar gaya magar iske bavjood uske wo chhote chhote bulb jalte bujhte rahe. Gulfam ka gussa itne par bhi shaant na hua to usne apne pair ki boot se us instrument par bada tez prahaar kiya. Nateeja is baar us instrument ke wo bulb bujh gaye aur fir dubara jale hi nahi. Zaahir tha instrument ab puri tarah se destroy ho chuka tha.

Gulfam abhi gusse se us bikhre instrument ko dekh hi raha tha ki tabhi baahar se bhaagte huye kadmo ki aahat use sunaayi di. Usne palat kar dekha to paya ki kamre ke darwaze par uska chalees saala naukar sahma sa khada tha.

"Kya hua maalik?" Naukar ne puchhne ki maano himakat ki____"Wo bade joro ki awaaz aayi to main ye soch kar bhaagta hua aaya ki jane kya gir gaya hai."

"Dafa ho jaao yaha se." Gulfam gusse me dahada to naukar ko saamp sa soongh gaya. Gulfam ki aankho me gusse ka jaljala dekha to wo dubara kuch bolne ki himakat na kar saka aur chup chaap baahar chala gaya. Use samajh nahi aaya ki uska maalik itne gusse me kyo hai?

Naukar ko baahar gaye abhi kuch hi der huyi thi ki tabhi gulfam ki coat me pada uska mobile baj utha. Mobile ke bajne se gulfam ke chehre par maujood gusse me izafa hua aur usne usi gusse se apni jeb me se mobile nikaal kar uski screen par nazar daali. Screen par nazar aa rahe number ko dekhte hi uske chehre ke bhaav fauran badle aur usne call pick kar ke mobile ko jaldi se apne kaan se sata liya.

Uske kaan me udhar se kuch aisa kaha gaya jise sunte hi gulfam ke hath se mobile chhoot kar pakke farsh par gir gaya. Agle hi pal gulfam ki aankhe ajeeb andaaz me band hoti nazar aayi aur sath hi uska jism lahrane laga. Do pal bhi na lage uske jism ko lahra kar farsh par girne me. Udhar kuch hi doori par pade mobile me se dheemi awaaz me koi hello hello kahta ja raha tha.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]

 

[color=rgb(255,]Update - 62
____________________[/color]




Vikram singh ki diary ko padhne me magan jailer shivkant wagle aur savitri sahsa chaunke. Baahar se koi zor zor se darwaza bajaye ja raha tha. Darwaza bajne ki awaaz par jaha ek taraf savitri hadbada kar bed se niche utri wahi wagle ne chaunk kar wall clock ki taraf dekha. Use ye dekh kar hairat huyi ki ghadi me shaam ke saat baj rahe the.

"Haye ram yaha itna andhera kyo hai?" Kamre ka darwaza khol kar jab savitri ne baahar andhera dekha to hairaani se bol padi thi____"Kya raat ho gayi hai?"

"Sahi samjha tumne." Diary ko band kar ke use apne briefcase me rakhte huye wagle ne kaha_____"Ham dono vikram ki diary ko padhne me itna kho gaye the ki samay ke guzar jane ka ehsaas hi nahi hua hame."

Wagle ki baat sun kar savitri abhi kuch bolne hi wali thi ki tabhi baahar ka darwaza fir se bajaya gaya. Savitri ne sabse pahle diwaar me tatol kar bijli ka switch khoja fir button ko on kar ke bulb jalaya. Bulb ke jalte hi roshni fail gayi.

"Aap kaha chali gayi thi mom?" Darwaza khula to savitri ke bete chandrakant ne apni maa ko dekh jhallaye huye lahje me kaha____"Kitni der se darwaza khatkhata raha hu. Kya sunaayi nahi de raha tha aapko?"

"Maaf kar de beta." Savitri ne khed bhare bhav se kaha___"Shayad kuch zyada hi gahri neend me thi main is liye sun nahi paayi thi. Khair tu akela hi aaya hai kya? Teri bahan supriya nahi aayi tere sath?"

"Usne kaha ki wo neha ke sath next sunday ko aayegi." Chandrakant ne andar daakhil hote huye kaha____"Aap bataiye dad kaise hain? Unki tabiyat ab thik hai na?"

"Haan ab wo thik hain." Darwaza band kar ke savitri ne har jagah ki light jalate huye kaha____"Kal se duty jane lagenge wo."

Savitri ki baat sun kar chandrakant aage kuch na bola aur apne kamre ki taraf badh gaya. Idhar savitri bhi chaay banane ke liye kitchen ki taraf badh gayi.

Aaj dinner har roz ki apeksha thoda late taiyar hua. Dinner ke dauran wagle ne apne bete chandrakant se uska aur uski mausi ka haal chaal puchha aur ye bhi ki supriya uske sath kyo nahi aayi? Chandrakant ne apne baap ko wahi bataya jo apni maa ko pahle hi bata chuka tha.

Khair dinner se faarig ho kar wagle apni biwi ke sath kamre me aa gaya. Dono ko hi vikram singh ki diary ko padhne ki jaldi thi. Asal me kahani apne climax ki taraf tezi se badh rahi thi aur dono hi ye jaanne ko utsuk the ki CMS jaisi sanstha ko chalane wala uska maalik kaun hai? Sabse badi baad kya vikram aisi sanstha ka vajood mitane me kamyab hua hoga ya nahi? Itna to wagle bhi samjha gaya tha ki CMS jaisi sanstha ne in bees saalo me apni jado ko itna majbut aur bada zarur kar liya hoga ki uske vajood ko mita pana kisi ke liye bhi asaan baat nahi ho sakti hai. Baharhaal, dono hi pati patni bed par let gaye. Wagle ne apne briefcase se vikram ki diary nikaali aur aage ka kissa dono ne man hi man padhna shuru kar diya.

[][][][][][]

Achanak darwaze par ajeeb si awaaze huyi to bandhano me jakdi maya chaunki aur sath hi uski dhadkane bhi tez ho gayi. Chehre par ghabrahat liye wo ektak darwaze ki taraf hi dekhne lagi thi. Udhar kuch hi palo me halki awaaz ke sath darwaza khula aur khule darwaze se andar daakhil hote jis shakhs par uski nazar padi use dekhte hi uski aankhe aashcharya aur avishwaas se fail gayi. Dil ki dhadkane asmaanya gati se teevra ho gayi.

"V...vikram??" Fir uske mujh se atakta hua swar nikla_____"Ye tum ho?"
"Hu to main hi." Maine darwaze ko band kar ke uski taraf palat kar kaha____"Par shayad tumhe yaha par kisi aur ke aane ki ummid thi...hai na?"

Meri baat sunte hi maya ke chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aaye. Wo bade dhyaan se mere chehre par maujood bhaavo ko padhne ki ya fir ye kahe ki samajhne ki koshish kar rahi thi.

"Kya hua?" Maine uske ekdam kareeb aa kar uski ankho me dekhte huye thoda shakht bhaav se kaha____"Jawaab kyo nahi de rahi tum? Ya fir main ye samjhu ki tumhare paas mere sawaal ka koi jawaab hi nahi hai?"

"T...tum ye kya kah rahe ho vikram?" Maya ne uljhan poorn bhaav se kaha____"Meri kuch samajh me nahi aa raha."

"Asal me galti meri hi hai dear." Maine feeki muskaan ke sath kaha____"Mujhe ye galat fahmi nahi paalni chahiye thi ki is duniya me har koi bura nahi hota balki kuch achhe log bhi hote hain jinki vajah se ye duniya apne vajood ko salamat rakhe huye hai. Mujhe ye hargiz nahi sochna chahiye tha ki is duniya me koi aisa bhi ho sakta hai jo mujhe apna samajhta hai aur mujhe dilo jaan se prem karta hai. Saari ki saari galti meri hi thi maya. Bees saal jail me itne dukh dard sahne ke baad bhi main ye soch lene ki himakat kar baitha ki is beraham duniya me kahi koi nek-dil insaan bhi ho sakta hai."

Kahte kahte mere andar aisa tufaan aur aisa gubaar uth khada hua ki meri awaaz kaampne lagi thi. Maine khamosh ho kar aur aankhe band kar ke apne andar ke tufaan aur jazbaato ko niyantrit karne ki koshish karne laga. Udhar maya mujhe aise dekh rahi thi jaise main achanak hi kisi jinn me tabdeel ho gaya tha. Chehra ghabrahat se bhar gaya tha uska. Maathe par palak jhapakte hi dher saara paseena ubhar aaya tha.

"Jail se jab main baahar aaya tha." Uski taraf dekhte huye maine fir se bolna shuru kiya____"Tab sirf ek hi khwaaish aur maksad tha ki jinhone meri zindagi ko nark bana diya tha unka is duniya se naamo nishaan mita dooga, bhale hi uske liye mujhe apni jaan se bhi hath kyo na dhona pad jaye. Lekin....lekin jab tum mili to ek alag hi ehsaas dil me jaag utha. Tumne jab bataya ki tumne mere pyar ki ek aisi nishaani ko janm diya hai jo hubahu meri hi tarah dikhta hai to kasam se jine ki lalak paida ho gayi. Jis upar wale ko main bees saalo se kosta aaya tha usko maine tahe dil se hazaaro baar shukriya kaha tha. Bhala main ye kaise tasavvur kar sakta tha ki mere sath ye jis tarah ka achanak se pariwartan hua tha uske pichhe kisi ki sochi samjhi saazish thi? Main ye kaise kalpana kar sakta tha ki koi mere soye huye ehsaaso ko jaga kar mujhe aisi maut maar dene ka khwaab sanjoye huye tha jiski main saat janmo me bhi kalpana nahi kar sakta tha. Kyo maya....aakhir kyo kiya tumne mere sath aisa?"

"M..m..maine kya kiya hai?" Maya buri tarah hadbada kar haklaate huye boli thi.
"Mujhse ab kuch bhi chhupa nahi raha maya." Maine sanjeedgi se uski taraf dekha, mera dil is wakt behad takleef me tha____"Man to kiya tha ki jisne meri bhavnaao ke sath khela hai usko aisi maut du ki agle kisi bhi janm me wo kisi ki bhavnaao ke sath is tarah khelne ka na soche magar maine aisa nahi kiya. Jaanti ho kyo? Kyoki main tumhare mukh se sunna chaahta tha ki mere sath is tarah ka fareb kyo kiya tumne? Mujhse be-inteha prem karne ka jo daawa tumne kiya tha kya wo sab jhooth tha?"

Meri baate sun kar maya ki aankhe band ho gayi aur fir band palko se sahsa aansuo ki dhaara bah chali. Main usi ki taraf dekh raha tha. Shayad meri baato se wo samajh gayi thi ki ab mere saamne uska kisi bhi baat se mukarma bekaar hi tha. Idhar mere andar maano aag lagi huyi thi jise main badi mushkil se kaabu kiye huye tha.

"Mujhe maaf kar do vikram." Fir maya ne dukhi bhaav se kaha____"Maine jo kuch bhi tumhare sath kiya hai wo sab karne ke liye main majboor thi. Ye baat ya to upar baitha hua vidhata jaanta hai ya fir mera dil ki maine tumhare sath fareb karne ke liye apne dil ko kitni mushkil se patthar banaya tha. Halaaki is sabke liye main har roz apne aapko kosti hu aur ye dua bhi karti hu ki mujhe maut aa jaaye."

Maya itna kahne ke baad sahsa chup ho gayi. Asal me wo apne jazbaato ko samhaal hi nahi paayi thi jiske chalte usse aage kuch bola hi nahi gaya tha. Ek taraf jaha uska chehra dukh aur santaap me dooba hua dikhne laga tha wahi uski aankho se aansu bhi bahte ja rahe the.

"Maine tumhare sath majburi me fareb zarur kiya hai vikram." Kuch palo baad usne fir se kaha____"Lekin puri tarah se nahi, kyoki ye dil jinhe toot toot kar mohabbat kar raha hota hai wo itna bhi patthar ka nahi ban sakta ki apne mahboob ko mukammal taur par nuksaan pahucha de. Haan vikram, tumhare prati mera prem meri chaahat ekdam sachchi hai."

"Band karo apni ye bakwas." Main gusse se maano cheekh hi pada____"Ab main tumhare fareb me fasne wala nahi hu. Ye sach hai ki mere dil me tumhare prati chaahat paida ho gayi thi lekin tumhara fareb dekhne ke baad wo chaahat palak jhapakte hi khaak ho chuki hai. Ab is dil me agar kuch hai to sirf nafrat. Un logo se bhi kahi zyada jinhone mere apno ki jaan le kar meri zindagi barbaad ki hai."

"Tumhari nafrat kabool hai mere dilbar." Maya siskate huye boli____"Mujhe to khud hi us din apne aapse nafrat ho gayi thi jis din maine majburi me tumse fareb karna accept kar liya tha. Maine bahut koshish ki ke tumhare andar maujood badle ki aag shaant ho jaye aur tum ek nayi zindagi ki shuruaat karo magar main kamyaab nahi ho paayi aur fir wahi hota gaya jo nahi hona chahiye tha."

"Apne fareb ka kissa mat sunaao mujhe." Maine use bich me hi tookte huye kaha____"Main sirf ye jaanna chaahta hu mere sath is tarah ka fareb kyo kiya? Wo kaun hai jiska mohra ban kar tum mere kareeb aayi thi?"

"CMS ka chief." Maya ne kaha____"Usi ne mujhe majbur kar ke tumhare paas aane ko kaha tha."

"Waah bahut khoob." Maine zor zor se taaliya bajate huye kaha____"Iska matlab to ye bhi hua ki tum aaj bhi us ghatiya sanstha ki member ho aur uske prati wafadaar bhi ho. Tabhi to apne chief ke kahne par meri bhavnaao se khelne ke liye mere paas aa gayi thi."

"Ye bilkul bhi sach nahi hai vikram." Maya ne hataash bhaav se kaha____"Maine to sanstha ko tabhi alvida kah diya tha jab tumhe umar kaid ki saza ho gayi thi. Us din tumse milne par maine apni jo kahani tumhe bataayi thi wo zarur CMS ke chief ki gadhi huyi kahani thi lekin tumhare prati mera prem aur mera samarpan jhootha nahi hai. Bees saal pahle main bhi is shahar se gaayab ho gayi thi. Asal me apni aisi zindagi se tang aa gayi thi main. Tumhe saza ho gayi to mere andar bhi jine ki hasrat nahi rah gayi thi. Maine ek din suicide karne ki koshish ki thi magar ain wakt par ek aurat ne mujhe pakad liya. Uske puchhne par maine use sab kuch bataya. Meri kahani sun kar wo aurat bada hairaan huyi thi fir usne bataya ki wo ek aise NGO ki member hai jaha par mere hi jaisi duniya ki sataayi huyi aurto ko behtar jeewan dene ki koshish ki jati hai. Us aurat ne mujhe bahut samjhaya ki baat chaahe jitni bhi badi ho lekin uske liye kisi bhi insaan ka suicide karna uchit nahi hai. Duniya me mujhse bhi kahi zyada dukhi aur sataye huye log maujood hain fir bhi wo apne jeewan ko naya mod de kar ek nayi shuruaat karte hain. Khair us aurat ne bataya ki wo madhya pradesh ke indore ki rahne wali hai. Yaha par wo apne kisi kaam se aayi thi. Aakhir us aurat ke zor dene par mujhe uske sath indore jana hi pada. Uske baad jaisa ki usne kaha tha maine apne jeewan ko ek alag disha di aur wahi sabke sath rahne lagi. Aise hi wakt guzarta raha magar yakeen maano itne saalo me na to main tumhe bhula saki aur na hi apne dil se tumhare prem ko mita saki. Is baat ka dar bhi hamesha satata rahta tha ki jis sanstha ko alvida kah ke main yaha aayi thi us sanstha ke log meri khoj zarur karenge. Mera naseeb bachpan se hi behad kharaab tha is liye kabhi kuch achha hone ki ummid hi nahi kar paati thi main. Yahi vajah thi ki us aurat se maine kah diya tha ki main na to kabhi NGO ke baahar jaaugi aur na hi NGO ke kisi program ka hissa banugi. Us aurat ko bhi is baat ka ehsaas tha ki main jis sanstha se talluk rakhti thi wo log itna jaldi mujhe chhodne wale nahi the. Khair zindagi aise hi chalti rahi. Upar wale ka aisa karam hua ki bees saal bina kisi samasya ke guzar gaye. Sanstha ka dar zarur satata raha tha lekin ye bhi sach tha ki sanstha ke log mujhe kabhi khoj nahi paaye the. Ya fir ye bhi ho sakta tha ki sanstha ke logo ne mujhe khojne me zyada dilchaspi hi na dikhaayi ho."

"Agar aisa tha." Maya saans lene ke liye jaise hi ruki to maine shakht bhaav se usse puchha____"To fir tum sanstha ke chief ke hath kaise lagi aur uska mohra kaise ban gayi?"

"Insaan ka ateet kabhi uska peechha nahi chhodta vikram." Maya ne sanjeedgi se kaha____"In bees saalo tak main bhale hi sanstha ki nazro se chhupi rahi thi magar fir wakt ne aisi karwat li ki main ek baar fir se unhi logo ke hath lag gayi jinse bachne ke liye maine sanstha ko alvida kaha tha. Asal me aisa meri hi galti se hua tha."

"Kya matlab?" Mere chehre par sochne wale bhaav ubhar aaye.

"Jaisa ki maine tumhe bataya ki bees saal bhale hi guzar gaye lekin in bees saalo me main na to kabhi tumhe bhool saki aur na hi apne dil se tumhari chaahat ko mita paayi." Maya ne gahri saans le kar kaha____"Main kyoki ye baat jaanti thi ki tumhe umar kaid ki saza huyi thi is liye aksar tarah tarah ki kalpanaye karti rahti thi. Jaise ki shayad kabhi aisa koi chamatkaar ho jaye jisse kanoon tumhari saza ko maaf hi kar de ya fir tum jail se faraar hi ho jaao. Itna to main bhi samajhti hi thi ki tumhe us baat ki saza huyi thi jo tumne kiya hi nahi tha to zaahir hai aise halaato me badle ki bhaavna hi paida hoti hai insaan ke andar. Agar badle ki bhaavna ke chalte insaan pagalpan ki had ko paar kar jaye to zyadatar yahi hota hai ki wo jail se kisi na kisi tarike se faraar ho jata hai aur fir tab tak shaant nahi baithta jab tak ki uska ek ek dushman uske hatho khaak me nahi mil jata. Aisi hi kalpanaye karti rahti thi main. Main chaah kar bhi tumse milne ya tumhe dekhne ke liye jail nahi aa sakti thi magar apne tarike se tumhare bare me pata kar liya karti thi. Khair kahte hain ki wakt har tarah ke zakhm aur yaade mita deta hai aur fir insaan ek naye maksad ke sath aage badh jata hai magar main na to kabhi tumhe bhula paayi aur na hi tumhari chaahat ko apne dil se mita paayi. Agar ye kahu to galat na hoga ki har guzarte wakt ke sath tumhare prati meri chaahat me izafa hi ho raha tha. Ek din jab mujhe pata chala ki tumhari saza ko maaf kar ke kanoon ne tumhe riha kar dene ka faisla kiya hai to kasam se main khushi se uchhalne lagi thi. NGO ki aurte mujhe yu chhoti bachchiyo ki tarah khushi se uchhalte dekha to unhe bada ashcharya hua. Sab ek dusre se kahne lagi ki kya main pagal ho gayi hu ya mere dimaag ka koi screw dheela ho gaya hai. Us raat meri aankho se neend gaayab thi. Mera man kar raha tha ki saari duniya ko bataau ki mere mahboob ko ek nayi zindagi mil gayi hai. Main nahi jaanti ki ye meri duaao ka asar tha ya kuch aur magar itna zarur samajh baithi thi ki upar wale ne tumhe us narak se azaad kiya hai to yakeenan mere liye hi kiya hai. Bas, uske baad saari raat tumhare sath ek nayi zindagi jine ke sapne sajaati rahi. Subah huyi to kisi bhi kaam me man nahi laga mera. Dil cheekh cheekh kah raha tha ki pankshi ki tarah ud kar tumhare paas pahuch jaau aur yakeen karo main sach me pankshi ki tarah ud jane se khud ko rok na saki. Teesre din main us aurat ko joki ab budhi ho chuki thi usko bata kar indore se delhi ki taraf ud chali. Tumse milne ki khushi aur pagalpan hi itna tha ki main ye soch hi na paayi thi ki mera aisa karna mere liye kitna bhaari pad sakta hai."

Maya saans lene ke liye ek baar fir se ruk gayi. Main khamoshi se uski baate sun raha tha aur ye bhi sochta ja raha tha ki wo jo kuch bata rahi thi usme kitni sachchaayi ho sakti hai? Kahi aisa to nahi ki pakde jane ki vajah se wo khud ko nirdosh saabit karne ke liye mujhe apni ek alag hi kahani gadh kar sunane lagi thi.

"Delhi aa kar main ek hotel me ruki." Maya ne fir se bolna shuru kiya____"Indore se to main aa gayi thi lekin ab ye nahi pata tha ki delhi jaise shahar me tumhe kaha khojugi? Dusri baat ye bhi thi ki jail se riha ho kar tum delhi me hi kahi maujood hoge ya kahi aur apna kayaam karoge? Hotel ke kamre me yahi sab sochte huye sahsa main chaunk padi aur ghabra bhi gayi. Mere zahen me achanak se ye baat ubhar aayi thi ki yaha par agar sanstha ke logo ne mujhe pahchaan liya to kya hoga? Ye sawaal hi aisa tha ki palak jhapakte hi tumse milne ki meri saari khushi kapoor ki tarah kafoor ho gayi aur dilo dimaag me sanstha ke prati khauf paida ho gaya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki ab main kya karu? Fir maine faisla kar liya ki chaahe jo ho jaye lekin tumse milugi zarur. Bhale hi iske liye meri zindagi khatre me pad jaaye. Maine bade mushkil se us hotel ke kamre me do dino tak maano band rakha aur jab na raha gaya to hotel se baahar aa kar tumhari khoj me nikal padi. Saara din auto aur taxi me baithi delhi ki sadko me main ghoomti rahi magar main tumhe khojne me kamyab na huyi. Aise hi ek do nikal gaye. Tumhe khoj na paane se main ab pareshaan aur dukhi ho gayi thi. Upar wale se baar baar request kar rahi thi ki wo mujhe tum tak pahuchane ka koi raasta dikha de aur fir jaise sach me upar wale ne meri request ko accept kar liya. Chauthe din main ek taxi me baithi tumhe khoj hi rahi thi ki achanak ek jagah taxi ruk gayi. Us wakt shaam ka andhera chhaane laga tha. Maine dekha do teen nakabposh taxi ko ghere khade the. Isse pahle ki main kuch samajh paati un nakabposho ne jo kuch kiya bijli ki tezi se kiya. Nateeja kuch hi palo me taxi driver aur main behosh ho gaye. Main samajh gayi thi ki main sanstha ke logo dwara pahchaan li gayi thi aur ab main unke rahmo karam par thi."


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 63
____________________[/color]




"Jab mujhe hosh aaya to main CMS ke headquarter me thi." Ek lambi saans lene ke baad maya ne fir se bolna shuru kiya____"Main jaha par thi wo ek lamba chuada hall tha joki neem andhere me dooba hua tha. Us hall me kayi saare log the jo kaale naqaab aur kapdo me the. Hall ke dusre chhor par ek singhasan tha jo unchaayi par tha usme ek rahasyamay shakhs baitha hua tha. Mera usse pahle bhi ek do baar saamna ho chuka tha is liye main jaanti thi ki wo CMS ka chief tha. Khair bees saalo baad main ek baar fir se us daldal me ya ye kahu ki us narak me pahuch gayi thi aur achhi tarah jaanti thi ki yaha par ya to mujhe sanstha se bhaagne ke jurm me saza-e-maut di jayegi ya fir mere sath kuch aisa hoga jiski us wakt main kalpana bhi nahi kar sakti thi. Kaha iske pahle main tumhari rihaayi se khush ho kar khushi khushi tumse milne indore se bhaagti huyi aayi thi aur kaha ab aisi musibat me fans gayi thi. Afsos to bahut hua magar sabse zyada is baat ki takleef huyi ki ab shayad hi main tumhe dekh paaugi. Us wakt dil me bas ek hi hasrat maano machal uthi thi ki kisi bhi tarike se sirf ek baar tumhari surat dekh lu uske baad bhale hi sanstha ka chief meri jaan le le. Man hi man upar wale ko yaad kar ke maine usse kaha ki kya is liye usne meri dua kabool ki thi?"

"Sach to ye tha ki sanstha ke chief ke saamne khadi meri har ummid maano khaak me mil gayi thi." Maya ne kuch pal rukne ke baad fir se bolna shuru kiya____"Main khwaab me bhi aisi kalpana nahi kar sakti thi ki us situation me bhi kuch aisa hoga jiske chalte tumse milna sambhav ho jaayega. Khair chief ne bina kisi bhumika ke pahle to yahi kaha ki jis tarah bees saal pahle main sanstha ki ijazat ko taak par rakh kar gayab huyi thi uske liye sanstha use maut ki saza hi degi lekin agar main chief ke kahne par wo karu jo wo chaahte hain to bahut had tak sambhav hai ki mujhe ek nayi zindagi mil jaye. Chief ki baate sun kar mujhe bada ashcharya hua. Fir sahsa main ye soch kar man hi man khush huyi ki nayi zindagi mil jayegi to ek din tumse mulakaat bhi ho sakti hai. Maine chief ke kahne par bina soche samjhe unke har hukum ka paalan karna accept kar liya. Maine to yahi socha tha ki mujhe ek baar fir se wahi kaam de diya jaayega jo kaam main bees saal pahle karti thi. Yaani naye ladko ko sex ki training dena. Bhala main ye kaise soch sakti thi ki is baar mujhe ek aisa kaam diya jaayega jo kisi bhi keemat par mere zameer ko gawara na hoga lekin iske bavjood mujhe wo kaam karna hi padega. Chief ne mujhe apna jasoos bana kar tumhare sath rahne ko kaha tha. Tumhare sath rahte huye mujhe tumhare har kriya kalaap ki khabar chief ko deni thi aur is baat ka bhi khaas dhyaan rakhna tha ki tumhe is baat ki bhanak tak na lage. Balki ye kahu to zyada behtar hoga ki tum khwaab me bhi ye na soch sako ki main tumhare paas kisi ka mohra ban kar aayi hu. Chief ko hamare bich bane sambandho ka pahle se hi pata tha. Wo pahle se hi jaante the ki ham dono baahar ki duniya me ek dusre ke liye ajnabi nahi hain balki ek dusre ke behad kareeb hain. Hamare is rishte ko adhaar bana kar hi chief ne ek drama create kiya aur drame ko safal banane ke liye ek aisa kirdaar bhi create kiya jiske chalte tum mere dwara sunaayi jane wali kahani par yakeen kar loge aur fir kahani ke anusaar apne us bete ko bhi video call ke jariye dekhoge jo dikhne me hubahu tumhare jaisa hoga. Chief ke anusaar ye sab itna perfect hona tha ki tum sach me meri baato par yakeen kar loge aur fir fauran hi jazbaato me bah kar ek nayi zindagi ke sapne dekhne lagoge."

"Waah bahut khoob." Main kathorta se bol pada_____"Chief ne tumhe meri bhavnaao ke sath khelne ko kaha aur tum apni jaan jane ke khauf se maan bhi gayi...waah."

"Nahi, ye sach nahi hai vikram." Maya ne bebasi se dekha meri taraf____"Mujhe apni jaan ke jane ka koi khauf nahi tha. Chief ne jab mujhe ye sab karne ko kaha to maine fauran hi iske liye mana kar diya tha use. Tab chief ne mujhe apna maksad bataya. Uska kahna tha ki sanjay and party sanstha ke liye sir dard ban chuke hain. Ab kyoki wo sab tumhare dushman the aur jail se riha hone ke baad tumhara bhi ab ek hi maksad hoga ki tum apne sabhi dushmano ka safaya karo to chief ne socha ek teer se do shikaar ho jaye to kya bura hai? Chief ne mujhse kaha ki tum sanstha ke dushman nahi ho aur badle ki aag me sanjay and party ke sath jo karne wale ho usse sanstha ka bhi faayda hi hai is liye wo chaahte hain ki kisi na kisi tarike se sanstha ka support bhi tumhe mile. Sanstha ke support se matlab ye hai ki tum kabhi police dwara pakde na jaao aur ye tabhi sambhav ho sakta hai jab tumhare dwara hone wali hatyaao ke liye police aur kanoon ki ugrata ko roka jaye. Khair chief ne bhale hi mujhe ye sab bata kar convince karne ki koshish ki magar main tab bhi nahi maani. Main achhi tarah samajhti thi ki aisi sanstha ka chief tum par is tarike se kabhi bhi meharbaani karne ka nahi soch sakta. Matlab ye ki apna matlab nikal jane ke baad yakeenan wo tumhe aur mujhe bhi apne raaste se hata dega. Tab chief ne mere saamne maano apna aakhiri paansa fenka. Usne kaha ki agar maine uske kahne par apna kaam imandaari se kiya aur meri vajah se sanstha ka kaam ho jayega to main tumhare sath hansi khushi ek nayi zindagi ki shuruaat kar sakti hu. Meri us zindagi me sanstha ka kabhi koi dakhal nahi hoga."

Maya saans lene ke liye ruk gayi. Idhar mere andar ki halchal thoda shaant pad gayi thi. Halaaki mujhe ab bhi uski baato par yakeen nahi ho raha tha. Uski baate main is liye sun raha tha taaki jaan saku ki maya apni safaayi me mujhse kya kya kahti hai.

"Tumhare sath ek nayi zindagi shuru karne ki khwaaish to jane kab se thi mere dil me." Maya ne fir se bolna shuru kiya____"Aakhir inodre se bhaagti huyi isi liye to main yaha aayi thi. Main achhi tarah jaanti thi ki chief ka aisa kahna bhi mahaj laalach dena hi tha. Kyoki sanstha apne rules kabhi nahi badal sakti thi aur na hi wo khud uske khilaf ja kar apne kisi member par itni badi meharbani kar sakti thi. Uski ye baat sun kar main yahi sab sochne lagi thi aur fir main ye sochne lagi ki maut to dono hi surat me milni hai hame to kyo na kuch din ham dono ek dusre ke sath ji le. Aakhir kuch der sochne ka naatak karne ke baad main chief ke hukum ki tameel karne ke liye raazi ho gayi. Mere zahen me ab sirf yahi khayaal tha ki tumhare sath jab main rahne lagugi to tumhe apne tarike se ye sab karne se rokugi aur ye bhi koshish karugi ki tum bhi sab kuch bhula kar meri tarah mere sath ek nayi zindagi shuru karne ka soch lo. Duniya bahut badi hai is liye ham dono sanstha ki pahuch se door kahi chale jayenge aur fir ek sath apne prem ki alag duniya basa lenge. Khair chief ke kahne par jab main tumhare paas pahuchi aur fir jab ham ek sath rahne lage to main apni isi koshish me lag gayi. Yaad karo vikram, main aksar tumse ye sab bhula kar ek nayi shuruaat karne ko isi liye kahti thi. Haan is baat ka dukh mujhe zarur hota tha ki main dusri taraf tumhari bhavnaao se bhi khel rahi hu magar uske liye main majbur thi. Sabse badi baat ye bhi hai ki iske alawa mere paas aur koi raasta bhi nahi tha...aur agar ek pal ke liye maan bhi liya jaye ki koi dusra raasta hota bhi to sawaal hai ki kya us surat me hame sanstha ka khatra nahi rahta?"

"Tumhe kaise pata tha ki main tumhe apne bangle par miluga?" Uski baat puri hote hi maine puchha_____"Kya is bare me sanstha ne tumhe bataya tha?"

"Haan." Maya ne udaas bhaav se kaha____"Main to shayad kabhi ye pata hi na kar paati ki tum mujhe kaha miloge aur is baat ki to kalpana bhi nahi kar sakti thi ki tum apne hi bangle me mujhe mil sakte ho. Halaaki bangle ka khayaal to aata lekin main yahi sochti ki tum apne bangle me jane ka sochoge hi nahi, dusri baat bees saalo se viraan pade bangle par koi pagal hi jane ka sochta. Us din chief ne hi bataya ki main raat ke is samay tumhare bangle par jaau. Main samajh gayi thi ki chief tum par nazar rakhe huye hai. Us raat jab main tumhare bangle me pahuchi to bedhyaani me main mukhya darwaze se hi andar daakhil ho gayi thi. Asal me mere dilo dimaag me itna kuch chal raha tha ki mujhe kisi baat ka hosh hi nahi raha tha. Jabki bangle ke mukhya dwar se mere andar daakhil hone se tumhare zahen me shanka ke keede paida ho sakte the aur agar aisa hota to yakeenan bahut kuch bigad jata. Wo to shukar tha ki tumne is par dhyaan hi nahi diya tha."

"To tumhare anusaar." Maine gahri saans li____"Shuru se hi sanstha ka chief mujh par nazar rakhe huye tha? Zaahir hai maine ab tak jo kuch bhi kiya hai us sabki khabar bhi usko hai."

"Haan." Maya ne kaha____"Chief ke kahne par sanstha ke kuch khaas log har wakt tumhari activity ko watch kar rahe the aur sirf tumhari hi kyo balki meri bhi. Tum samajh hi sakte ho ki aise me chief jab bhi chaahta tumhe pakad sakta tha, jabki tum yahi samajhte rahe ki abhi tak tum sirf apni hoshiyaari ke chalte hi pakde nahi gaye ho. Khair main ye soch kar hairaan hu ki tumhe is baat ka pata kaise chala ki main sanstha ka mohra ban kar tumhare sath rah rahi hu?"

"Bas kismat ki hi baat hai." Maine ek cigarette jalate huye kaha_____"Kuch din pahle tarun ne mujhse contact kiya tha. Usi ne mujhe bataya ki main jo khud ko shoorma samajhta hu asal me mujh par sanstha ke chief ki nazar har wakt bani huyi hai. Shuru me mujhe uski baato par yakeen nahi hua tha. Maine yahi socha tha ki wo mujhe pakadne ke liye aisi chaal raha hai aur zaahir hai main bhala kaise apne kisi dushman ki chaal me fans sakta tha? Tab usne bataya ki main jis maya naam ki ladki ke sath rahta hu wo khud bhi sanstha me chief ka mohra hai aur chief ke hi kahne par mere sath hai. Tarun ki is baat ne mujhe buri tarah chaunka diya tha. Yakeenan main aisi baat ki kalpana nahi kar sakta tha kyoki tumne apne bare me kahani hi aisi bataayi thi. Kuch der tak main uski is baat par soch vichaar karta raha aur fir isi nateeje par pahucha ki shayad wo ab bhi mujhe pakadne ke liye chaal chal raha hai. Jab maine uski baato par yakeen nahi kiya to usne mujhe apni baat ko saabit karne ke liye saboot dene ki bhi baat kahi. Sach to ye tha ki ab yakeenan main soch me pad gaya tha. Agar uski baat sach thi to ye mere liye bahut hi bade jhatke ki baat thi. Mera dil to cheekh cheekh kar yahi kah raha tha ki maya mujhe is tarah se dhokha nahi de sakti aur na hi is tarah meri bhavnaao se khel sakti hai magar tarun saboot bhi pesh karne ki baat kah raha tha is liye main soch me pad gaya tha. Khair maine usse saboot maanga to usne kaha thik hai. Ek din usne mujhe call kiya aur kaha ki wo fala jagah par saboot rakh dega jise main le sakta hu. Sach kahu to is baat ne mujhe bahut zyada bechain aur pareshan kar diya tha. Raat me jab tum gahri neend me thi to main chupke se kamre nikal gaya aur tarun ki bataayi huyi jagah par pahuch gaya. Usne jo kaha tha wo sach hua, yaani jis jagah par usne saboot rakhne ko kaha tha mujhe waha se wo mil gaya. Flat par aa kar maine jab us saboot ko dekha to mera dimag hil gaya."

"Aakhir kis tarah ka saboot diya tha usne tumhe?" Maya ne utsukta se puchha.
"Tarun ne ek envelope bheja tha mujhe." Maine cigarette ka ek gahra kash lene ke baad kaha_____"Us envelope me do teen photos thi aur ek letter. Un photos me tum aur ek nakabposh tha, zaahir hai wo sanstha ka hi koi aadmi tha jo sanstha ke chief ke kahne par hi tumhare paas aaya raha hoga. Tarun ke letter me saaf likha tha ki agar mujhe ye lage ki usne tumhare aise photo's photography dwara tum par shak daalne ke iraade se banaya hai to us par yakeen karne ke liye main tumhari talashi le sakta hu. Usne likha tha ki tum sanstha ke chief ka mohra ho is liye tumhare paas aisa koi saadhan zarur hoga jiske dwara tum chief ko mere har kriya kalaap ki khabar deti hogi. Khair ye sach hai ki un photos ko dekh kar maine yahi socha tha ki tumhare aise photos nakli ho sakte hain lekin kyoki mere man me ab shanka ne janm le liya tha is liye maine apni tasalli ke liye apne tarike se tumhari talashi lene ka socha. Kal raat jab tum gahri neend me soyi huyi thi tab maine talashi shuru ki. Kaafi der ki talashi ke baad aakhir kitchen me mujhe ek aisi cheez mil hi gayi jisne tarun ki baat ko sahi saabit kar diya. Wo cheez thi ek chhota sa mobile jise shayad tum tabhi on karti rahi hogi jab tumhe sanstha ke chief ko mere kisi kriya kalaap ki khabar deni hoti thi. Maine iske pahle kabhi tumhare hath me wo mobile nahi dekha tha. Tumhare paas touch screen ka sirf wahi mobile tha jisse tum mujhe apne nakli bete se baat karwati thi. Khair main maanta hu ki sanstha ke chief ne gazab ka drama create kiya tha lekin ye meri achhi kismat hi thi ki samay rahte mujhe sach ka pata chal gaya. Ab to yahi lagta hai ki pakde jane par abhi tumne mujhe apni majburi ki jo kahani sunaayi hai wo jhoothi hi hai. Yaani tumhara wo pyar ka dawa karna aur mere sath ek nayi zindagi ki shuruaat karna sab kuch jhooth hi hai. Waah maya waah, kya shandaar acting ki hai tumne. Tumhare saamne to badi se badi actress bhi fail ho jaye. Kuch is tarike se mere sath khel khela hai ki main moorakh sach me hi ye samajh baitha tha ki mere jaise insaan ki zindagi me bhi khushiyo ki bahaar aayegi. Itni takleef to mujhe apne dushmano ke dwara nahi mili jitni tumse mili hai."

"Aisa mat kaho vikram." Maya ki aankhe chhalak padi____"Main maanti hu ki maine sanstha ke chief ke kahne par ye sab kiya hai lekin ye bilkul bhi sach nahi hai ki mujhe tumse pyar nahi hai aur maine tumhari bhavnaao ke sath khela hai. Pahle jo maine kahani sunaayi thi wo yakeenan jhuthi thi lekin ye kahani bilkul bhi jhuthi nahi hai."

"Ab kisi par aitbaar nahi raha maya." Mere andar fir se tufaan uth khada hua, bola_____"Bees saal pahle bhale hi mere dil me tumhare prati prem ki bhavna nahi thi balki sirf ek lagaav aur judaav tha magar bees saalo baad jab tum mujhe mili aur tumne mujhe wo sab kuch bataya tha to jane kaise ekdam se tumhare prati baat dil me mohabbat paida ho gayi. Shayad is liye ki maine tumhare mukh se apne bete wali baate suni aur dusri shayad is liye ki barsho ki dabi huyi khwaaishe jaag uthi thi. Is duniya me kuch aisa bhi dekha tha jiski vajah se dil me ye chaahat jaag uthi ki kaash apna bhi koi aisa hota jise pariwar kahte hain. Kahi dekha to main bhi ye sunne ke liye ekdam se lalaayit ho utha ki koi mujhe bhi papa ya dad kahe. Main ye bhool hi gaya tha ki mujhe aisi khwaaishe nahi karni chahiye thi. Mujhe to sirf is baat ko hi yaad rakhna chahiye tha ki main is duniya ka wo bad-naseeb insaan hu jiske jeewan me ek pal ke liye bhi khushi jaisi baat nahi ho sakti, balki apne naseeb me to ta-umar ghut ghut kar jina ya fir mar jana hi likha hai."

"Nahi...nahi please vikram." Maya foot foot kar ro padi____"Aise shabd mat bolo. Mera yakeen karo mere dilbar, tumhari maya ne sirf majburi me aisa kiya hai jabki uski neeyat tumhare prati hamesha se hi paak thi. Mujhe apne kisi anjaam ki parwaah nahi hai. Maut milni hai to aaj hi mil jaye mujhe, mujhe zara bhi dukh na hoga. Is dil me to sirf tumhe dekh lene ki hi hasrat thi to usse zyada maine pa liya hai. Itne dino se tumhare sath thi aur khud ko tumhari patni bana kar hi tumhare sath rahi hu. Tumhare sath bitaye huye ye din mere jeewan ke sabse khubsurat din the. Apni zindagi ke sare dukh dard bhool gayi thi main. Mera yakeen karo vikram, main tumhare sath fareb karne ka soch bhi nahi sakti. Is dil me bees saal pahle bhi tumhare liye bepanaah chaahat thi aur aaj bhi hai. CMS ke chief ka prastaav bhi maine isi liye swikaar kiya tha kyoki mujhe kahi na kahi yakeen tha ki aise me main ham dono ke liye ek naye jeewan ki raah bana lugi."

Maya ki baate sun kar aur uske chehre par maujood sachchaayi dekh kar sahsa mere andar ajeeb se ehsaas jaag uthe. Zahen me tarah tarah ke khayaal ubharne lage. Main sochne laga ki kya sach me wo mujhse prem karti hai ya fir wo aisi majhi huyi actress hai ki wo apni baato se aur apne chehre par sachchaayi ke bhaav paida kar ke mujhe gumraah ya fir yakeen dilane ki koovat rakhti hai? Main fauran kisi nateeje par na pahuch saka. Maya ke chehre par kahi bhi aisa koi bhaav nazar nahi aa raha tha jiski vajah se main uski baato par sandeh kar saku. Aansuo se uska chehra tar tha. Bandhano me jakdi wo bas murjhaye huye phool ki tarah dikh rahi thi.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 64
____________________[/color]




"Main achhi tarah jaanti hu ki sanstha ka chief." Maya ne aage kahna shuru kiya to maine socho ke gahre samudra se baahar aa kar uski taraf dekha, jabki wo kah rahi thi_____"Apni is baat par hargiz bhi kaayam nahi rahega ki wo is sabke baad mujhe ek naya jeewan dega. Sach kahu to mujhe usse pahle se hi yahi ummid hai aur dusri sabse badi baat ye bhi hai ki tumhare bina main ek naye jeewan ki khwaaish bhi nahi rakhna chahti. Jab usne mujhe apna mohra bana kar aur tumhare har kriya kalaap ki khabar us tak pahuchane ka kaam saumpa tha tabhi maine soch liya tha ki agar tumhare sath ek nayi zindagi nahi likhi hai to kam se kam tumhare sath hi is duniya se rukhsat to ho jaaugi. Dusri duniya me to ham dono sath hi rahenge. Us duniya me hame kisi bhi baat ka na to dar rahega aur na hi koi mushkil."

"Meri shakl ke mere bete wala maamla kya hai?" Maine tokte huye usse puchha_____"Kaun hai wo ladka jise tumne mera beta bataya tha aur jisse maine video call par baate ki hain?"

"Sach kahu to uske bare me mujhe khud bhi kuch pata nahi hai." Maya ne kaha____"Sara kiya dhara sanstha ke chief ka hi hai. Chief ne hi mujhe bataya tha ki wo hamare bete ke roop me ek aise shakhs ko plant karega jo meri pahli wali kahani ke anusaar mere sath videsh me rahta hai aur uski shakl hubahu tumse match karegi. Yaani bees saal ki umar me jis tarah tum dikhte the bilkul waisi hi shakl ke tum apne bete ko dekhoge. Chief ke aisa karne ka shayad yahi matlab raha hoga ki aise me tum par gahra prabhaav padega aur jab tum apni hi shakl wale apne bete ko dekhoge to barsho se dafan padi tumhari bhavnaye bijli ki tarah zinda ho kar tumhe jazbaato me duba dengi. Khair tumse milne ke kuch din baad hi jab chief ne mujhe bataya ki hamare bete ke roop me tumhari shakl wala kirdar ready ho gaya hai to maine plan ke anusar tumse uska zikra kar diya aur fir ek din maine tumhari usse baat bhi karwa di. Tum samajh hi sakte ho ki ye sab sanstha ke liye aur khud us shakhs ke liye kitna asaan raha hoga jo tumhara beta bana hua tha. Tumhari shakl ka face mask bana lena sanstha ke chief ke liye koi mushkil kaam nahi tha."

"Mujh par kis kis tarike se nazar rakhti thi tum?" Maine ek nayi cigarette jalate huye usse puchha____"Aur ye bhi ki sanstha ka chief kya khud bhi mujh par nazar rakhta tha?"

"Chief ke hukum par mera kaam sirf itna hi tha ki main tumhare plans aur tumhari soch ke bare me usko khabar deti rahu." Maya ne gahri saans lete huye kaha_____"Hamare bich is maamle me jo bhi baate hoti thi aur fir tum jo bhi faisla lete the uske bare me main chief ko bata deti thi. Baahar tum kaha jate ho ya kya karte ho ye main nahi dekhti thi. Chief ko sab kuch sach sach batana meri majburi thi kyoki main jaanti thi ki chief khud bhi apne agents dwara ye check karwata hi hoga ki mere dwara di huyi khabre sach hain jhooth? Tum samajh sakte ho ki agar main usko jhuthi khabre deti to ab tak hamare sath sanstha dwara koi na koi action zarur le liya gaya hota. Haan, is sabke bich meri koshish ye bhi thi ki main tumhe ye sab chhod kar naye sire se apni zindagi shuru karne ko bolti rahu aur ye main kar bhi rahi thi."

Maya ye sab kahne ke baad chup ho gayi. Main cigarette ke kash lete huye usi ko dekh raha tha aur ye bhi soch raha tha ki ab iske aage kya kiya jaye? Maya ke dwara ab main ye jaan chuka tha ki ab tak maine jo kuch bhi kiya tha wo sab sanstha ki nazar me hi tha. Halaaki ye sab mere liye behad hi chaukane wali baat thi, main to sala yahi samajh raha tha ki main jo ab tak kisi ki pakad me nahi aaya tha to uski vajah meri hoshiyari aur achhi kismat hi thi lekin aisa nahi tha.

"Kya abhi bhi mujh par aur meri sachchaayi par yakeen nahi hai tumhe?" Mujhe khamosh dekh maya ne aahat bhaav se meri taraf dekhte huye kaha_____"Tum khamosh kyo ho vikram? Agar tumhe meri baat ka yakeen nahi hai aur tum mujhe farebi samajhte ho to mere sath wahi sulook karo jo apne dushmano ke sath karte aaye ho. Yakeen maano mere dilbar, tumhare hatho marna bhi mere liye saubhagya ki baat hi hogi."

"Agar meri jagah hoti to kya karti tum?" Maine ajeeb bhav se uski taraf dekha____"Kya itni asaani se mujh par aur meri baato par tum yakeen kar leti?"

"Main maanti hu vikram ki agar kisi ke prati ek baar vishwaas toot jaye." Maya ne udaas bhaav se kaha____"To hamesha us byakti par vishwaas karne me hichkichaahat hoti hai magar fir bhi vishwaas to karna hi padta hai. Dilo ke rishte itna jaldi is tarah se to nahi tode ja sakte na? Saamne wale ko ek mauka to dena hi chahiye."

"Apno ko kho dene me bahut takleef huyi thi maya." Maine sahsa bhaavuk lahje me kaha_____"Khwaaishe, armaan, chaahte, sapne aur ummide ek jhatke me swaha ho gaye the. Arsha laga is sadme se ubarne me mujhe. Tumhare aane ke baad aisa laga jaise meri jo khwaaishe, armaan, chaahte, sapne aur ummide kahi murda ho kar dafan ho gayi thi wo fir se zinda ho gayi hain. Apne bete ki surat dekhi to in chand dino me hi na jane kaise kaise sapne bun liye the maine magar tumhare is vishwaas-ghaat ne ek baar fir se mere andar janm le chuki un saari cheezo ko murda kar ke dafan sa kar diya hai. Tum soch bhi nahi sakti ki mujhe kitni takleef huyi hai. Aisa lagta hai ki itni takleef to bees pahle nahi huyi thi. Tumhe pata hai kisi insaan ki jab aakhiri ummid bhi toot jati hai to kya hota hai? Wo insaan jite ji mar jata hai, ekdam murde me tabdeel ho jata hai."

"Nahiii...aisa mat kaho vikram." Maya buri tarah fafak kar ro padi, kaatar bhaav se meri taraf dekhte huye boli_____"Main maanti hu ki maine tumhare vishwaas ko toda hai aur tumhe dhokha diya hai lekin iska matlab ye nahi hai ki is sabke piche meri neeyat buri thi. Upar wala jaanta hai ki mere seene me dhadakte is dil me tumhare liye sirf aur sirf bepanaah mohabbat hai. Tumse kahi zyada mujhe apne kiye par dukh aur afsos hai magar kya karu, ye meri bivasta thi vikram. Tum kahoge to haste haste main khud apne hatho se apna gala ghot kar apni jaan le lugi. Tumhari maya bewafa ya farebi nahi hai mere sanam. Wo tumhare sath zindagi jina chaahti hai. Apne pyar ka ashiyana banana chahti hai. Apni jaan ko ji bhar ke pyar karna chahti hai."

[][][][][][]

Uske samuche jism me kaala syaah libaas tha. Pairo me kaale magar long boot. Kaale libaas ke upar kaale hi rang ka over coat jo uske ghutno tak jhool raha tha. Chehre par kaala naqaab. Is wakt wo aadamkad aayine ke saamne khada khud ko dekh raha tha. Kuch pal dekhne ke baad usne apna daahina hath badhaya aur kisi khaas cheez par rakhi kisi khaas cheez ko jab badi sawdhaani se apni ungli ke sahare uthaya to pata chala wo eye lence tha. Usne us eye lence ko aayine ke saamne jhukte huye badi hi sawdhaani se naqaab ke andar se jhaank rahi aankh me laga liya. Isi tarah usne khaas cheez me rakhe dusre lence ko bhi utha kar laga liya. Aadamkad aayine me dikh rahe us rahasyamay shakhs ki naqaab ke andar jhaankti aankhe ab behad chamkili nazar aane lagi thi.

Aayine me khud ko dekhte huye jab wo santusht ho gaya to wo seedha ho kar palta aur kamre ke ek taraf ki diwaar se sate book shelf ke paas pahucha. Book shelf me dher saari kitaabe rakhi huyi thi lekin usne baaki kisi par nigaah nahi daali balki ek hi kitaab par usne nazre jamaayi aur daahine hath se us kitaab ko pakad kar halke se apni taraf kheencha. Wo kitaab abhi aadhi hi hili thi ki tabhi sannate me ajeeb si ghargharahat huyi aur shelf se kareeb dedh fit ki doori par diwaar me ek madhyam size ka darwaza pragat ho gaya. Kitaab se hath hata kar wo fauran hi us darwaze ke paar daakhil ho gaya. Darwaze ke andar neem andhera tha. Wo jaise hi andar daakhil hua do cheeze ek sath huyi. Pahli ye ki darwaza band ho gaya aur dusri ye ki book shelf par rakhi wo kitaab waapas apni pahle wali position par apne aap hi fix ho gayi. Zaahir tha wo kitaab hi us secret darwaze ki chaabhi thi.

Andar kuch door paidal hi chalne ke baad achanak wo rahasyamay shakhs ek jagah ruk gaya aur apne right side ki diwaar me kuch kiya to agle hi pal gharargharar ki awaaz ke sath koi cheez ek taraf hat gayi jisse waha par ujala ho gaya aur aage ka nazara clear dikhne laga. Wo shakhs fauran hi aage badha aur roshni wali jagah par aa gaya.

Aisa lag hi nahi raha tha ki ye jagah zameen ke andar hai. Wo koi madhyam size ke hall jaisa tha jiske do taraf tarah tarah ke instruments lage huye the aur ek taraf bada sa darwaza tha joki lohe ka tha. Usne diwaar par nazar aa rahe ek switch ke leaver ko kheecha to lohe ka darwaza ajeeb si awaaz ke sath khul gaya. Darwaze ke us paar ujala tha joki waha lage bijli ke bulb ki badaulat tha. Wo koi surang thi lekin space kaafi tha. Zameen ki satah pakki thi jabki agal bagal aur upar ki chhat kachchi thi. Kuch doori par ek chhoti si car khadi nazar aayi. Wo shakhs tez kadmo se chalte huye us car ke paas pahuch gaya.

Car ki driving sheet par baith kar usne car ko start kiya. Khamosh fiza me engine ke start hone ki awaaz bade ajeeb tarah se goonji . Kuch hi der me car ne you turn liya aur bandookh se chhooti goli ki tarah udan chhu ho chali.

Wo rahasyamay shakhs apni us chhoti si car me baitha kareeb das minute tak surang ke us raaste par chalta raha uske baad achanak hi car ki speed dhimi hoti chali gayi.

Car se utar kar usne left side ki diwaar par lage switch ke leaver ko kheencha to saamne diwaar me ek darwaza pragat ho gaya. Darwaze ke paar halka ujala nazar aaya. Aisa laga jaise andar kahi night bulb jal raha tha. Wo tez kadmo se aage badhte huye kuch hi palo me andar daakhil ho gaya. Diwaar me lage switch ke ek button ko usne on kiya jisse tez roshni ho gayi.

Wo ek room tha jo zyada bada nahi tha lekin room ki candition kafi behtar thi. Sab kuch bada hi shandaar tha. Do taraf almaari rakhi huyi thi joki band thi. Ek taraf ki diwaar par kuch instruments lage huye the. Shakhs ne ek almaari kholi aur hath badha kar usse jo cheez nikaali wo black colour ke glubs the. Usne unhe hatho me pahna aur fir almaari ko band kar ke room ke us taraf badha jidhar khaali jagah thi. Usne diwaar me lage ek instrument me kuch kiya jisse agle hi pal uske saamne ek darwaza pragat ho gaya. Darwaze se daakhil ho kar wo jis jagah par aaya wo ek madhyam size ke hall jaisa room tha jiske charo taraf dher saare aur kayi tarah ke instruments rakhe huye dikh rahe the. Ek taraf transmitter ka pura system laga hua tha. Wo usi taraf badha. Glubs pahne hatho se usne jaldi jaldi us transmitter system me kuch kiya aur usi ke ek bhaag me rakhe receiver ko utha kar apne mouth piece se sata liya.

Sampark judte hi usne apni ajeeb si sard awaaz me kuch der baate ki aur fir receiver ko wapas rakh diya. Naqaab ke andar chhupe uske chehre par behad shakht bhaav the.

"Sanstha ko tum jaise nikamme logo ki zarurat nahi hai." Kareeb dus minute baad wo rahasyamay byakti apne singhasan me baitha apni ajeeb si awaaz me maano gusse se cheekh raha tha_____"Tum logo ko sirf do din ka wakt diya jata hai. Do din ke andar agar tum log un dono ko pakad kar hamare saamne nahi laaye to samajh lena tum logo ke sath kya sulook kiya ja sakta hai."

"Jo hukum sir." Hall me hath baandhe khade chaaro rahasyamay byaktiyo ne ek sath kaha, fi ek ne jhijhakte huye kaha____"Sir agent zero zero eleven ki maut se kahi aisa na ho ki ek baar fir se pure shahar me tahalka mach jaye."

"Uski fikra karna tumhara kaam nahi hai." Chief ne sard lahje me kaha____"Tumhe jo kaha gaya hai wo karo."

[][][][][][]

Gulfam ke bangle par kafi log jama ho rakhe the. Zafar ki achanak huyi maut se sab log behad sadme me the. Aaj do din guzar chuke the lekin gulfam ka shakht hukum tha ki is haadse ki khabar bangle se baahar kisi ko bhi nahi lagni chahiye. Halaaki aisi baate chhupti nahi hain magar fir bhi gulfam ne bade ehtiyaat se sab kuch samhaal liya tha. Zafar ki laash ko gupt tarike se dafna diya gaya tha. Yu to gulfam khud bhi andar se behad dukhi tha aur apne bete ki maut se lagbhag toot sa gaya tha lekin sab kuch jazb kar ke usne chehre par shakhti akhtiyaar kar li thi.

Gulfam apne bete ki maut ki khabar apni begamo aur bachcho ko nahi dena chaahta tha kyoki wo jaanta tha ki is khabar se uske ghar wale sadme me aa jayege aur ye bhi sach hi tha ki wo videsh se bhaagte huye India aa jate. Magar gulfam ke na chaahne ke baad bhi zafar ki maut ki khabar canada me uske ghar walo ko mil gayi thi. Asal me saumya ne phone kar ke unhe bata diya tha. Jab gulfam ko is baat ka pata chala to wo saumya par behad khafa hua tha magar ab kya hi ho sakta tha? Saumya ne apni safaayi me yahi kaha tha ki use nahi pata tha ki usne apne ghar walo ko zafar ki maut ki khabar nahi di hai. Khair nateeja ye hua ki aaj gulfam ki puri family canada se aa gayi thi aur is wakt unhi sab ki bheed jama thi bangle me.

Gulfam ne unhe yaha na aane ke liye shakhti se mana bhi kiya tha magar kisi ne bhi uska kaha nahi maana tha. Khair phone par gulfam ne sabko samjha diya tha ki yaha aane ke baad wo koi shor sharaba nahi karenge jisse ki baahar ke logo ko pata chal jaye. Uski dono biwiya aur zafar ki biwi ke sath uske bachche aur sath hi uski betiya bhi aa gayi thi. Un sabka rona chillana unke kabu me nahi tha iske bavjood gulfam ne kisi ke halak se awaaz nahi nikalne di thi. Uska kahna tha ki bangle ke andar aa kar aur fir apne apne sound proof kamro me ja kar jitna rona ho ro le. Jab se uske pariwar wale aaye the tabse unka rona dhona hi laga hua tha. Gulfam ke phone karne par sanjay siraj aur jeewan ki biwiya bhi uske bangle par aa gayi thi.

Gulfam dring room me rakhe sofe par baitha gahri chinta me dooba hua tha aur sath hi uske chehre par apne bete ke khone ka dard bhi dikh raha tha. Ek ek kar ke uske saare dosto ki maut ho chuki thi, yaha tak ki uske dosto ke bachcho ki bhi maut ho chuki thi. Do din pahle usne apne bete zafar ko bhi kho diya tha. Use yakeen nahi ho raha tha ki uski itni suraksha byawastha ke baad bhi vikram uske bete ko maut dene me kamyaab ho gaya hai. Rah rah kar uske chehre par gussa aur nafrat ke bhaav ubhar aate the jinhe wo badi mushkil se jazb karne me kamyab hota tha.

Tarun ka yu achanak se gayab ho jana bhi uske liye chinta ka kaaran tha. Is wakt uske sath aisa koi bhi nahi tha jisse wo is maamle me koi raay paramarsh le sake. Uski family ke yaha aa jane se wo aur bhi zyada chintit ho utha tha. Abhi tak to wo aur uska beta hi the to zyada samasya wali baat nahi thi lekin uski puri family hi yaha aa gayi thi jiski vajah se wo behad tension me tha. Uske zahen me baar baar ye khayal bhi ubhar aata tha ki agar vikram ne uski family me se kisi ko apna shikaar banane ka soch liya to wo kaise kisi ko bacha sakega?


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 65
____________________[/color]




Agli subah gulfam ali ke bangle me achanak hadkamp sa mach gaya. Gulfam apne room me apni dusri biwi nilofer ke sath soya hua tha. Ekdam se jab kisi ne uske room ka darwaza peetna shuru kar diya to dono hi hadbada kar uth baithe. Nilofer ne fauran hi apni nighty ko samhaalte huye jab darwaza khola to baahar sadia ke sath sath zafar ki biwi nadia ko bhi khade paya. Dono ke hi chehro par dukh aur santaap ke bhaav gardish kar rahe the. Aankho se aansu bah rahe the.

"Kya hua aapi?" Nilofer ne apni sautan sadia ki taraf dekhte huye puchha____"Aap dono ki aisi haalat kyo hai?"

"Gazab ho gaya neelu gazab ho gaya." Sadia buri tarah rote huye bol padi_____"Hamara sab kuch khatm ho gaya. Ham kahi ke nahi rahe."

Sadia ki baat sun kar nilofer sannate me aa gayi. Use samajh me to nahi aaya tha lekin itna wo zarur samajh gayi thi kuch bura ho gaya hai warna sadia aur uski bahu nadia is tarah roti nahi. Abhi nilofer kuch bolne hi wali thi ki pichhe se gulfam bhi aa gaya. Gulfam ne sadia ki baate sun li thi aur wo bhi andar se ghabra gaya tha.

"Kya baat hai?" Gulfam ne dhadkate dil se puchha_____"Aur aur tum is tarah kyo ro rahi ho?"
"Wo a...asad." Sadia sisakte huye boli____"Hamara asad apne kamre me nahi hai."

"K..kya matlab?" Gulfam buri tarah chaunka, haklaate huye bola____"N..nahi hai?? Iska kya matlab hua?"

"Wo le gaya use." Sadia aur bhi zoro se ro padi_____"Wo kamina hamare asad ko le gaya. Wo use bhi mere bete zafar ki tarah maar daalega. Khuda ke liye use bacha lijiye."

Gulfam ke sir par maano asmaan gir pada. Use aisa laga jaise abhi wo chakkar kha kar gir padega. Usne khud ko badi mushkil se samhala. Dilo dimaag me dhamake se hone lage the. Zahen me bijli ki tarah vikram ka naam goojne laga tha.

"Y..ye tum kya kah rahi ho sadia?" Gulfam ko jaise yakeen hi nahi hua tha is liye puchha_____"Asad apne kamre me nahi hai to zarur bathroom me hoga wo."

"Nahi....wo kahi nahi hai." Is baar nadia bhi rote huye bol padi____"Maine aur ammi ne pure bangle me use khoj liya hai. Wo yaha kahi nahi hai. Main jab dubara uske kamre me gayi to achanak hi meri nazar ek kaagaj par padi. Us kaagaj me jo kuch likha tha usi se pata chal gaya ki mere bete ko wo le gaya hai."

"K..kaagaj??" Gulfam ke maathe par shikan ubhar aayi, bola_____"Kaisa gaalaj mila hai tumhe? Dikhaao zara mujhe."

Gulfam ke kahne par sadia ne fauran hi apne hath me liya ek kaagaj ka tukda uski taraf badha diya. Gulfam ne us kaagaj ko le kar use khola aur us par likhe majmoon ko padhna shuru kar diya.

Likha tha_____'Kaise ho dear uncle?? Ummid karta hu behtar hi hoge. Well soch soch ke pareshaan to bahut hoge ki itni security ke bavjood main tumhare bangle ke andar ja kar bina kisi problem ke tumhare pote ko kaise uda le gaya? To sochte raho uncle....main to bas yahi kahuga ki main wo kar guzarta hu jiski tum jaise log kalpana bhi nahi kar sakte. Khair ab mudde ki baat suno aur wo ye hai ki agar tum chaahte ho ki tumhare bete ki tarah tumhara pota bhi mere hatho jaan se na mara jaye to ab is khel ko yahi par khatam karo. Waise tumhari jankari ke liye bata du ki main chaahta to bahut pahle hi tum jaise chuho ko bilo se nikaal kar jahannum me bhejne ka saadhan bana deta magar maine aisa nahi kiya. Janate ho kyo? Kyoki mujhe apne dam par aur apni kabiliyat par tum sabko jahannum bhejna tha. Tum sabne to bahut zor laga liya lekin ab meri baari hai. Main seena thok kar tumhare saamne aauga aur tumhe jahannum bhejunga. Agar khud ko mere kahar se bacha sako to bacha ke dikhaao. Ek baat aur, asli mard ho to apne dam par hi mujhse takrana. Apne kutto ka sahara lene ka sochna bhi mat. Agar aisa kiya to apne pote ki bhayankar maut ke tum khud hi jimmedaar hoge....achha ab alvida, jaldi hi mulakaat hogi.'

Gulfam kaagaj me likhe majmoon ko padh kar sach me sannate me aa gaya tha. Uska zahen sach me sochne laga tha ki itni security ke bavjood vikram uske bangle se uske pote ko kaise itni asaani se le gaya hoga. Usne bahut socha magar jawaab nahi soojha use. Udhar uski dono biwiya aur bahu roye ja rahi thi. Usne kisi tarah un sabko shaant kiya aur wada kiya ki wo asad ko kuch nahi hone dega.

Dilo dimaag me aandhi tufaan liye wo muda aur kamre ke attach bathroom me ghus gaya. Kuch der baad wo fresh ho ke nikla aur apne kapde wagaira pahanne laga.

[][][][][][]

Rahasyamay byakti ne diwaar par lage switch ka ek button dabaya to agle hi pal ajeeb si awaaz ke sath diwaar me ek darwaza pragat ho gaya. Us darwaze se wo jaise hi andar daakhil hua to andar ek madhyam size ke kamre me rakhi revolving chair par baithe shakhs ko dekh kar buri tarah uchhal pada. Kamre me LED bulb ki roshni thi. Udhar wo shakhs rahasyamay shakhs ko dekh kar bade hi jandaar tarike se muskura utha.

"T...tum yaha???" Rahasyamay shakhs maare baukhlahat ke hakla sa gaya tha. Naqaab ke andar se chamak rahi uski chamkili aankhe ashcharya se fati huyi thi.

"Kya kare dear uncle." Revolving chair par baithe shakhs ne yaani ki maine gahri muskaan ke sath kaha_____"Aaj kal ajeeb bimaari ho gayi hai mujhe. Aisi aisi jagah pahuch jata hu jaha pahuchne ki maine khud ummid nahi ki hoti. Khair chhodo zara ye to bataao ki sanstha ka chief mujhe yaha dekh kar apna hosh kaise gawa baitha?"

"K..kya matlab??" Rahasyamay byakti buri tarah hadbada gaya.
"Matlab ye ki mujhe yaha dekhte hi sanstha ka chief ye bhool gaya ki use saamne wale se apni real awaaz me baat nahi karni hoti hai." Maine chair par baithe baithe hi uski taraf dekhte huye kaha_____"Ye hosh gawa dene ka hi nateeja hai ki tumne mujhse apni real awaaz me baat ki aur apna bhed mere saamne itni asaani se khol diya."

Meri baat sun kar rahasyamay byakti fauran kuch bol na saka. Shayad ab use dhyaan aaya tha ki usse kitni badi galti ho gayi hai. Apni chamkili aankho se wo mujhe hi ghoore ja raha tha.

"Kitni maje ki baat hai na dear uncle ki sanstha ka chief mere saamne is wakt bahut hi lachaar aur bebas sa khada nazar aa raha hai." Maine uski chamkili aankho me dekhte huye kaha tha.

"Ye tumhari bhool hai." Rahasyamay byakti ne is baar apni ajeeb si awaaz me gurraya_____"Main ye maanta hu ki mujhe yaha par tumhare hone ki zara bhi ummid nahi thi lekin iska matlab ye nahi hai ki main is sabse bebas ya lachaar ho gaya hu."

"Oh aisa hai kya?" Main ekdam chair se uth kar uske behad kareeb ja kar bola_____"To fir dikhaao ki sanstha ke chief me kitni taakat hai aur wo apni taakat ke balboote par mera kya ukhaad leta hai."

Meri baat sun kar chief ek baar fir se kuch bol na saka. Mujhe apne itne kareeb dekh wo do kadam pichhe hat gaya tha. Wo mujhe hi dekhe ja raha tha. Apne itna kareeb hone se maine saaf mahsoos kiya ki naqaab ke andar uske chehre par dher saara pasina ubhar aaya tha jo uski chamkili aankho ki palko par boond ke roop me atka hua dikh raha tha.

"Ab ye naqaab utaar do gulfam uncle." Maine muskurate huye kaha_____"Ye sach hai ki mujhe pahle pata nahi tha ki is sanstha ka chief kaun hai magar haan andaza zarur lagata tha. Khair aaj to tumne khud hi zaahir kar diya ki chief tum hi ho is liye ab mujhse parda rakhne ka koi faayda nahi hai. Dusri baat, tumhare samajhne ke liye yahi kaafi hai ki main yaha aisi jagah maujood hu jaha koi bhi baahari insaan khwaab me bhi nahi aa sakta. Isi se zaahir hai ki maine ab tak bahut kuch aisa kar diya hoga jiske chalte tumhara mujh par koi zor nahi chal sakta."

"Waakayi." Rahasyamay byakti yaani ki gulfam ne apne chehre se naqaab utaarte huye apni real awaaz me kaha_____"Main behad hairaan hu ki tum is jagah par kaise pahuch gaye? Ye koi aisi baat nahi hai jo chutkiyo me ho jayegi. Mere pote asad ko bhi tumne mere bangle se utha liya jabki waha par had se zyada security thi. Aakhir kaise kar liya ye hairatangez karnama? Kya tarun ki help se?"

"Shayad tumne mere dwara likhe us majmoon ko thik se nahi padha hai uncle." Maine kaha_____"Jisme maine likha tha ki main sab kuch apne dam par aur apne balboote par karna chaahta tha. Mujhe kisi ke sahare ki zarurat nahi hai. Asli mard aur asli sher apne dam par hi shikaar ke liye nikalta hai."

"Chalo maan liya." Gulfam ne paas hi rakhi ek dusri chair par baithte huye kaha_____"To fir bataao kaise kiya ye sab?"

"Iska matlab tum abhi tak soch nahi paaye." Maine muskurate huye kaha_____"Sochoge bhi kaise? Insaan utna hi to soch pata hai jitni usme kshamta hoti hai. Khair ye to tum bhi jaante ho ki is duniya me asambhav jaisa kuch bhi nahi hai. Har cheez ka koi na koi tod aur koi na koi samadhaan zarur hota hai. Zarurat hai to bas dimaag lagane ki aur himmat dikhane ki. Maine wahi kiya hai. Do din pahle maine tumhara pichha kiya tha. Pichha karne se hi mujhe pata chala ki shahar ke bahaar bane us farmhouse se tumhara khaas connection hai. Tumhara bhed usi din mere saamne khul gaya tha lekin deri ke chalte main 100% sure nahi hua tha. Khair tumhara pichha karte karte jab main farmhouse me aaya to main sanyog se aise kamre me direct pahuch gaya jaha par ek rahasyamay byakti apni aankho me chamkila eye lence laga raha tha. Us wakt mujhe shanka to huyi thi lekin puri tarah sure nahi ho sakta tha kyoki tumhare chehre par naqaab chadh chuka tha. Tumhe dekh kar mere andar ye janne ki dilchashpi paida ho gayi thi ki apna huliya badal kar ab tum kya karne wale ho? Is chakkar me main ye bhool gaya tha ki main to tumhara pichha karte huye yaha aaya tha aur mujhe tumhi ko khojna chahiye. Khair uske baad maine wo sab kuch dekha jo jo tum karte gaye. Surang me tum ek mini car se nikal gaye jabki mujhe paidal hi lamba safar karna pada tha. Kismat achhi thi ki main us surang ke raaste yaha tak pahuch hi gaya aur fir kuch koshisho ke baad main ye bhi jaan gaya ki yaha kya kya hota hai."

"Mere bangle me kaise pahuche?" Kuch palo ki khamoshi ke baad gulfam ne puchha_____"Kya waha par bhi tumne mera pichha kiya tha?"

"Nahi uski zarurat hi nahi thi." Maine lambi saans lete huye kaha____"Tumhare bangle ke andar jane ka ek gupt raasta hai jiske bare me tarun ne bataya mujhe."

"T..tarun ne???" Gulfam chaunka_____"Use kaise pata ho sakta hai?"

"Use tumhare bete zafar ne bataya tha." Maine muskurate huye kaha____"Halaaki ye aaj ki baat nahi hai balki barsho pahle ki hai lekin barsho pahle ki jankari ki vajah se mera faayda ho gaya. Main soch bhi nahi sakta tha ki tum logo ne aise aise secret raaste bhi bana rakhe hain. Khair pichhli raat jab tum sab soye huye the to main usi gupt raaste se tumhare bangle ke andar daakhil hua. Maine dekha tum apni dusri biwi nilofer ke sath chipke soye huye the. Maine badi asaani se tum dono ko chloroform dwara behosh kar diya aur fir darwaza khol kar asad ke kamre ki taraf badh gaya. Tarun ne bataya tha ki bangle ke andar asad ka kamra kis jagah par hai. Halaaki maine yahi ummid ki thi ki aise wakt me koi bhi apne kamre me akela nahi hoga magar main us wakt ye dekh kar muskura utha tha ki asad saari duniya se bekhar apne room me akela hi soya pada tha. Main samajh gaya tha ki tumne mujhse ye ummid bilkul bhi nahi ki hai ki main tumhare bangle me aa jaauga aur kisi ko yu utha le jaauga. Tabhi to sab ke sab befikri se soye huye the. Khair maine asad ko bhi chloroform se behosh kiya aur fir kaagaj me tumhare liye note likh kar asad ko le kar chalta bana. Yakeen maano main khud hairaan tha ki main itni asaani se tumhare bangle ke andar se tumhare pote ko kaise le ja raha hu? Khair uske baad main jis raaste se aaya tha usi raaste se chup chaap nikal gaya."

Meri baate sun kar gulfam kuch na bola. Uske chehre par gahan socho ke bhaav gardish karte nazar aa rahe the. Fir sahsa usme halchal huyi. Usne overcoat ki jeb se ek shigar nikala aur use jala kar uske kash lene laga.

"To ab kya irada hai tumhara?" Gulfam ne kaha____"Tumhare saamne ab sab kuch khul chuka hai aur main bhi nihattha baitha hu. Agar meri jaan lene aaye ho to le lo. Apne bete ki maut ke baad ab waise bhi jeene ki koi khwaaish nahi hai mujhe."

"Nahi dear uncle." Maine kathorta se kaha____"Tumhe jeena hoga. Apne bete ke sath sath apne pote ki maut ka gam bhi sahna hoga tumhe."

"Nahi nahi please." Gulfam ke chehre par dahshat ke bhaav ubhar aaye____"Us masoom ke sath kuch mat karna. Uska is sabse koi lena dena nahi hai. Use is sabke bare me kuch bhi pata nahi hai. Tumhare gunahgaar to ham the na. Baakiyo ko tumne maar diya, ab main bacha hu to mujhe bhi jaan se maar daalo."

"Kyo?? Tumhe apne bete ki maut ka badla nahi lena mujhse?" Maine uski taraf dekha____"Kya mere prati tumhare andar badle ki bhaavna nahi jaagrit huyi?"

"Beshak jaagi hai." Gulfam ne kaha____"Lekin usse hoga kya? Kya koi badla lene se waapas aa jayega? Nahi vikram, badle ki bhavna se sirf vinaash hota hai. Apne kho jate hain aur jeewan bhar ke liye dukh dard mil jate hain. Apne bete ki maut ka mujhe bhi dukh hai lekin main jaanta hu ki badle ki aandhi me kabhi kabhi wo pedh bhi ukhad jate hain jo jhukna bhi jaante hain aur jinka koi kasoor bhi nahi hota."

"Kya matlab hua is baat ka?" Maine na samajhne wale andaz se uski taraf dekha.
"Main jaanta hu ki tumhe meri baato par yakeen nahi hoga." Gulfam ne shigar ke dhuye ko ugalte huye kaha____"Magar ye sach hai ki tum pure sach se waakif nahi ho."

"Mujhe tum logo ka saara sach maloom hai." Maine aawesh me kaha____"Aur ye usi ka nateeja hai ki maine apne gunahgaaro ko jahannum bhej diya hai. Tumhara sach bhi jaanta hu. Mujhe pata hai ki tumne kis maksad se maya ko apna mohra bana kar mere paas bheja tha."

"Is baat se main inkaar kar bhi nahi raha." Gulfam ne kaha____"Lekin mujhe pura yakeen tha ki ek din tumhe uski asaliyat bhi pata chal jayegi. Baat sirf itni hi nahi hai vikram, balki baat kuch aisi hai jise tum na to soch sakte ho aur na hi samajh sakte ho."

"Kya tum mujhe apni begunaahi ka pramaad dene ka irada rakhte ho?" Maine use ghoora_____"Agar tum sochte ho ki tum apni begunaahi ke liye mujhe koi safaayi doge aur main maan luga to tum galat ho."

"Main tumhe kisi baat ki safaayi nahi de raha vikram." Gulfam ne gambheerta se kaha_____"Balki us sach se rubaru karana chaahta hu jisse tum waakif nahi ho."


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 66
____________________[/color]




"Okay fine." Maine jaise us par ehsaan karte huye kaha____"Waise to main nahi samajhta ki ab bhi aisa kuch bacha hai jo mujhse chhupa hai, fir bhi agar tum aisa kahte ho to maan leta hu. Chalo fir bataao ki aisa kaun sa sach hai jisse tum mujhe rubaru karana chaahte ho?"

"Yakeen maano vikram main tumhare mata pita ki maut ka jimmedaar nahi hu." Gulfam ne jaise hi ye kaha to main uski baat puri hone se pahle hi gusse me cheekh utha_____"Khamosh! Ekdam khamosh! Warna halak me hath daal kar tumhari zubaan kheench luga."

"Beshak meri zubaan kheench sakte ho tum?" Gulfam ne pure dhairya ke sath kaha_____"Tumhari jagah agar khud main hota to mujhe bhi aisi baat ka yakeen nahi hota lekin sach yahi hai vikram. Sach yahi hai ki tumhare parents ki maut me mera koi hath nahi hai."

"Apni zubaan ko lagaam de kutte." Main revolving chair se ek jhatke me uth kar gurraya tha____"Warna mujhse bura koi nahi hoga."

"Pahle meri puri baat sun lo." Gulfam ne bina dare mujhe dekhte huye shaanti se bola_____"Uske baad hi faisla karna ki tumhe kya karna hai mere sath. Halaaki main achhi tarah jaanta hu ki is wakt meri saanse sirf aur sirf tumhare hi rahmo karam par hain aur main apne bachaav me kuch bhi nahi kar sakta."

Gulfam ki baat sun kar mera gussa thoda shaant hua. Zahen me khayaal ubhra ki sahi to kah raha hai wo. Is wakt wo yakeenan mere hi rahmo karam par hai. Waise bhi jab sab kuch mere hi bas me hai to uski jaan lene me mujhe jaldbaazi nahi karni chahiye. Balki pure sanyam ke sath uski baat sunni chahiye. Aakhir pata to chale ki wo kaun si kahani sunana chahta hai mujhe. Ye soch kar main wapas revolving chair par baith gaya.

"Tumhare parents ki maut me bhale hi mera koi hath nahi tha." Mujhe wapas chair par baith gaya dekh gulfam ne gambheerta se kaha____"Lekin iske bavjood main awdhesh aur madhuri ki maut ke liye khud ko jimmedaar samajhta aaya hu. Sanstha ka chief hone ke baad bhi shuruaat me main samajh nahi paaya tha ki aakhir in logo ke bich sachcha kaun hai? Halaaki iske bavjood main is sabse door hi tha. Waise bhi us samay main apni family ko videsh me settle karne me laga hua tha to mera dhyaan is taraf kam hi tha. Meri sachchaayi ke bare me sirf tumhare pita ko pata tha aur yahi vajah thi ki maine usko apne baad sanstha ka sabse bada ohda diya hua tha aur itna hi nahi mere na rahne par mere order par wo hi chief ki haisiyat se sanstha ka saara kaam kaaj dekhta tha."

"Ek minute." Maine gulfam ko bich me hi tokte huye kaha_____"Tumne kaha ki tumne apne baad mere pita ko hi sanstha me bada ohda diya tha aur tumhari sachchaayi yaani ki sanstha ke chief ka asal chehra wo hi jaante the to mera sawaal ab ye hai ki sanstha ka vajood kaise bana? Tumse pahle is sanstha ko kaun chalata tha?"

"Koi nahi." Gulfam ne kaha____"Sach to ye hai ki CMS naam ki sanstha ka pahle koi vajood hi nahi tha. Ye to bas achanak hi zahen me aaya tha aur maine is sanstha ki buniyaad rakh di thi. Halaaki aisi sanstha ko chalana bilkul bhi asaan nahi tha aur na hi ek akela sakhs iska vistaar kar sakta tha. Asal me iske start hone ki kahani thoda dilchashp hai. Ye tab ki baat hai jab ham saare dost college me padhte the. Tumhare pita ke alawa baaki ham sab khoob mauj masti karte the. Hamare group me sanjay in sab kaamo me bahut aage tha. Ham log bade baap ki aluaad to the hi sath me dikhte bhi smart aur handsome the to ladkiya badi asaani se hamari jholi me aa tapakti thi aur ham sab ek sath unke sath maze karte the. Tumhare baap ko ye sab pasand nahi tha lekin wo hamse dosti bhi nahi todna chaahta tha. Iski ek vajah ye bhi thi ki ham kabhi bhi use uski gareebi ya kami ka ehsaas nahi karaate the balki har tarah se uski aarthik help hi karte the to ek tarah se wo hamare ehsaano ki vajah se daba hua tha. Halaaki ye uski mansikta thi jabki ham me se koi bhi aisa nahi sochta tha. Hame wo is liye pasand tha kyoki wo behad imandaar aur sachche dil ka tha. Study me bhi ham sabse aage tha. Khair aisi hi mauj masti bhari life me ek din sanjay ne ek baat kahi ki yaar ham sabke hathiyaar to tagde hain jiske chalte hamare sath judne wali har ladki setisfy ho jati hai aur hamari diwani ho jati hai to kyo na ham log play boy ban jaye. Iska ek faayda ye hoga ki ham alag alag ladkiyo ya aurto ke maze bhi lenge aur paisa bhi kamayenge. Us Umar me sanjay ki ye baat yakeenan hame pasand aayi lekin ham ye bhi jaante the ki is kaam me kisi na kisi din pakde bhi ja sakte hain aur ham sab badnaam bhi ho jayenge jiske chalte hamare ameer parents ki izzat mitti me mil jayegi. Yahi sab soch kar hamne yahi faisla kiya ki ham play boy nahi banenge. Waise bhi hame mauj masti ke liye ladkiyo ki kami nahi thi aur paisa to bahut tha hamare paas. Aakhir raees family se belong jo karte the. Khair ye baat aayi gayi ho gayi lekin sanjay ki ye baat mere zahen me lambe samay tak goojti rahi magar mujhe kuch soojh nahi raha tha. Play boy banne ka khayaal mujhe bhi pasand nahi tha lekin kahi na kahi alag alag jismo ko bhogne ki khwaaish ya fir ye kahe ki lalak badhti hi ja rahi thi. Ek din maine dekha ki tumhara baap yaani awdhesh apne kamre me akela baitha koi kitaab padh raha tha. Kareeb se jab dekha to pata chala ki wo kisi Ved Prakash Kamboj ka jasusi novel tha. Jisme Vijay naam ka ek aisa jasus tha jo ek gupt sanstha me naukari karta tha aur gupt roop se hi desh ki sewa me samarpit tha. Koi nahi jaanta tha ki wo asal me kya karta tha. Apne asal peshe ko secret rakhne ke liye vijay naam ke us jasus ne bakaayda ek private detective ka office khol rakha tha. Pahle to mujhe us novel se related kuch bhi pata nahi tha. Maine jab awdhesh se pucha ki tum hamesha novel kyo padhte rahte ho to usne bataya ki use jasusi novel padhna achha lagta hai. Mere puchhne par hi usne novel se sambandhit aur us novel ki kahani ke bare me thoda bahut bataya. Khaas kar vijay naam ke us jasus ke bare me. Uski baate sun kar mujhe kahani me thoda dilchashpi huyi to maine usse kaha ki free time me main bhi us novel ko padhuga. Yakeen maano vikram agar main novel nahi padhta to mere zahen me kabhi bhi CMS jaisi sanstha ko kholne ka khayaal nahi aata. Maine dilchashpi ke chalte Ved prakash Kamboj ke aur bhi kayi novel padhe jisme vijay naam ka wo jasus hota tha. Main is baat se behad prabhaavit tha ki wo jasus kitni safaayi se apne raaz ko apne ghar walo se hi nahi balki saari duniya se chhupaye huya tha aur puri success ke sath us secret service ke dwara apna kaam kar raha tha. Uska mujh par aisa asar hua ki main har wakt usi ke bare me sochta rahta tha aur fir ek din mujhe idea mil gaya. Vijay secret service ka agent tha to mere zahen me bhi secret service jaisi sanstha ka khayaal jaag utha. Maine is bare me bahut socha aur kuch hi samay me maine pura khaaka taiyar kar liya. Secret service ke anusaar sanstha ka ek chief hota tha jiske bare me sanstha me uske under kaam karne walo ko bhi nahi pata hota tha ki wo asal me kaun hai. Mere dimaag me plan taiyar ho chuka tha, ab bas apne dwara khole jane wali is tarah ki sanstha ka naam sochna tha. Bahut soch vichaar kiya maine is bare me aur fir ek din achanak zahen me jo naam ubhra usne mujhe pahle to chaunkaya aur fir zor zor se hasne par majboor kar diya. Choot maar service, saala main is naam ko soch soch kar hi romanchit ho raha tha. Khair sab kuch soch liya tha maine lekin main achhi tarah janta tha ki main akela aisi sanstha ko nahi chala sakta tha. Mujhe kisi ke help ki shakht zarurat thi. Mere paas mere dost the jinhe main apne is plan ke bare me bata sakta tha aur main achhi tarah jaanta tha ki awdhesh ke alawa koi bhi mere is kaam se inkaar nahi karega magar main ye bhi jaanta tha ki awdhesh ke alawa baaki ke mere dost shakht nature ke hain aur aage chal kar kabhi bhi problem create kar denge. Maine soch liya tha ki main CMS naam se aisi sanstha ka gathan zarur karuga. Mujhe iske liye kisi aise byakti ki chaah thi jo behad imandaar aur bharose ka ho aur aisa byakti awdhesh ke siva koi nahi tha. Maine awdhesh se is bare me baat ki to pahle to wo yahi sun kar shock rah gaya tha ki main aise waahiyaat naam se koi sanstha kholna chahta hu jiska maksad mard aur aurat ki sex need ko pura karna hai. Yaani secret tarike se mard aur aurto ko sex ki service dene ka kaam. Awdhesh meri taraf aankhe faad kar dekhe ja raha tha. Fir jab use hosh aaya to usne aise kaam me mera sath dene se saaf inkaar kar diya. Main jaanta tha ki wo behad shareef aur nek insaan hai aur aisa koi kaam nahi karega jo uski nazar me galat ya ghatiya ho. Maine use bahut samjhaya magar wo na maana tab maine uski hath jod kar minnate ki aur duniyadaari ke bare me tarah tarah ki daleele de kar use convince kiya ki aisa karna galat nahi hai balki ek tarah se pyaase ki pyaas bujhane jaisa nek kaam hi hai. Aakhir bahut samjhane aur minnate karne ke baad awdhesh mera sath dene ko raazi ho gaya. Uske baad ham dono ne mil kar saare kaam ke bare me bariki se vichaar vimarsh kiya aur sanstha ke rules banaye. Saari baato ko clear karne ke baad hamne sanstha ki buniyaad rakh di. Har cheez ko set karne me kaafi wakt lag gaya. Yaha tak ki hamari college life bhi khatam ho gayi. Sanjay aur baaki logo ko iske bare me kuch bhi pata nahi tha. Mere paas jo bhi paisa tha usse maine sanstha ka headquarter banwa diya aur ek training centre bhi. Iske baad ham dono ne aise logo ki talash ki jo aise kaam me hamse jud sake lekin ye asaan nahi tha kyoki hamare liye sabse zyada zaruri tha khud ko expose hone se bachana aur apne raaz ko chhupana. Iske liye hamne college ke ladke aur ladkiyo ko jodne ka socha. Main jaanta tha ki is umar ke bahut se ladke ladkiya is kaam me judenge. Kyoki isse unhe hi faayda tha. Ek to alag alag logo ko bhogne ka maza aur dusre paisa. Iske alawa sabse badi baat ye bhi ki kisi ko pata hi nahi chalega ki wo kya kaam karte hain. Khair pura setup taiyar ho chuka tha. Ab zaruri tha apne dosto ko bhi aisi sanstha se jodna. Awdhesh bhale hi shuru se is kaam me tha lekin baaki dosto ki nazar me yahi dikhana tha ki wo bhi unke sath hi aisi sanstha ka member bana hai. Bas uske baad un sabko ek ek kar ke usi tarike se sanstha se judne ko kaha gaya jis tarike se tumhare baap ne tumhe joda tha."

"K..kya matlab?" Main gulfam ki is aakhiri wali baat par chaunk pada tha, hairaani se puchha____"M..mere dad ne mujhe joda tha?? Nahi, main nahi maan sakta."

"Tumhare maanne ya na maanne se sach badal nahi jaayega vikram." Gulfam ne ek shigar sulgate huye kaha_____"Us raat jis kale saaye se tumhara saamna hua tha aur baat huyi thi wo tumhara pita hi tha. Halaaki tumhara baap ye hargiz nahi chaahta tha ki uska beta aisi sanstha se jude magar maine hi use force kiya tha. Ye kah kar ki apne bete ko mard banaao. Ham baaki dosto ko bhi apne apne beto ko mard banana tha. Badi ajeeb baat thi ki ham sab to hamesha se hi bejhijhak aur bekhauf ho kar ladkiyo ke sath maze karte the lekin hamari aulaade ladkiyo se kahi zyada sharm karti thi. Ham aksar sochte the ki hamare bete itne sharmile kaise ho sakte hain ki wo ladkiyo ka saamna karne se hi ghabra jate hain. Yahi vajah thi ki ham sabne ek ek kar ke apne beto ko sanstha se jod liya aur unhe mukammal mard bana diya. Awdhesh ko bhi isi baat ki chinta thi ki uska beta itna sharmila kyo hai? Aise me wo jeewan me kya kar sakega? Jab maine force karte huye samjhaya to use bhi samajh aa hi gaya ki use apne bete ko mard banane ke liye yahi ek tarika apnana chahiye. Us raat wo mere zor dene par hi sanstha ka chief ban kar tumhare saamne tumse baat karne gaya tha. Khair isi tarah baaki ke tumhare dosto ki bhi sanstha me entry ho gayi. Halaaki usse pahle hi tumne mere bete zafer ko apne tarike se mard banane ki koshish kar li thi."

"To tumhare kahne ka matlab ye hai ki tumhare hi dimaag me ye khayaal aaya tha ki aisi ghatiya sanstha kholi jaye?" Maine shakht bhaav se kaha_____"Aur apne is ghatiya kaam me tumne mere dad ko bhi shaamil hone par majbur kiya? Khair sanstha ke paida hone ke bare me to maine sun liya, magar main ye jaanna chahta hu ki mere parents ki maut me tumhara hath kaise nahi hai jabki meri nazar me to saara kasoor hi sanstha ka hai."

"Sanstha ka ghathan karne ka koi galat irada nahi tha vikram." Gulfam ne shigar ka gaadha dhua hawa me udaate huye kaha____"Aur na hi ye irada tha ki kisi ki is tarah se hatya kar di jaye. Haan sanstha ke apne kuch rules the jinka paalan karna sabke liye aniwaarya tha. Paalan na karne ki surat me sakht saza milna tay tha aur ye tumhe bhi pata hai. Khair tumhare parents ki maut me mera hath is liye nahi hai kyoki mujhe sach ka pata nahi tha aur jo kuch sanstha ke chief ko yaani mujhe bataya gaya maine usi ko sach maan liya tha. Zaahir hai chief ke roop me mera ye farz tha ki main wahi kadam uthaau jo sanstha ke vajood ko salamat rakhe. Jaisa ki maine pahle bhi tumhe bataya tha ki us samay main apni family ko videsh me settle karne me busy tha aur is vajah se maine sanstha ka saara kaarya bhaar tumhare pita ko saump diya tha. Tumhare pita ko sanjay par bharosa tha jiske chalte wo zyadatar kaam usi ko saump deta tha. Ye jaante huye bhi ki sanjay uski tarakki se khafa tha. Uska maanna tha ki awdhesh se kahi zyada usne sanstha ke liye kaam kiya hai aur is vajah se tripple ex ka ohada use milna chahiye tha. Us bevkoof ko ye pata hi nahi tha ki awdhesh to khud bhi meri tarah sanstha ka janmdata tha. Chief ke roop me use ye bataya bhi nahi ja sakta tha ki sanstha me awdhesh ki ahmiyat kya thi. Mujhe bhi andaza nahi tha ki itni si baat ke liye sanjay ke man me awdhesh ke prati is tarah zaher bhar jaayega. Main to yahi samajhta tha ki wo is baat ko bhool jayega. Agar main apni family ko videsh settle karne ke kaam me na busy hota to mujhe yaha ke halaat ka bakhubi pata hota. Dusri baat ye bhi hai ki khud tumhare pita ne bhi mujhe iske bare me kuch nahi bataya tha. Aisa shayad is liye kyoki wo nahi chaahta tha ki uske dost sanjay ki shikayat chief yaani ki mere paas pahuche aur main sanjay ke khilaaf koi sakht faisla le lu. Agar main ye kahu to galat na hoga ki awdhesh khud hi apni aur apni wife ki maut ka jimmedaar ban baitha tha. Itna hi nahi tum khud bhi apne parents ki maut ke jimmedaar the. Tumhe kya zarurat thi sanstha ke bare me itna deeply jaanne ki?"

"Waah bahut khoob." Main taali bajate huye bol pada____"To is tarah se tum mujhe sach se rubaru karana chaahte the? Kya baat hai, yaani ab tum mujhe hi mere parents ki maut ka jimmedaar thahra rahe ho? Apne nikammepan ko kya shandaar tarike se chhupa liya tumne?"

"K..kya kahna chaahte ho?" Gulfam ne meri taraf hairaani se dekha.
"Kya ye tumhara nikammapan nahi hai ki sanstha ke chief ke roop me tumne apna kaam imandaari se aur tarike se nahi kiya?" Maine shakht bhaav se uski taraf dekhte huye kaha____"Main puchhta hu ki aisi kya vajah thi jo tum apni puri family ko videsh me settle karna chaahte the? Kya is liye ki tum nahi chaahte the ki sanstha ka koi member tumhare ghar ki kisi aurat ke sath maza kare?"

"Zubaan ko samhaal kar baat karo vikram." Gulfam ne mujhe ghoorte huye kaha to maine uski aankho me dekhte huye kaha____"Kyo sach hajam nahi hua kya? Dusro ki maa bahan betiyo ke sath maza karne me to bada maza aata hai tumhe aur jab khud ke ghar ki aurto ki baat aayi to jhaanthe sulag gayi tumhari?"

"Aisi koi baat nahi hai." Gulfam dheela padte huye bola_____"Asal me main videsh me bhi aisi ek sanstha kholna chaahta tha. Mujhe yakeen tha ki videsh me aisi sanstha ko chalane me yaha ki tarah problem nahi ho sakti thi. Yaha par aurte ya ladkiya asaani se aise kaam karne ke liye raazi nahi hoti hain jabki videsho me aisa nahi hai. Yahi soch kar maine faisla kiya tha ki videsh me is sanstha ki ek branch kholi jaye. Maine videsh me sanstha kholne ke liye awdhesh ko bhejna chaha magar usne inkaar kar diya tha. Majburan iske liye mujhe apne bete ko bhejna pada. Ye alag baat hai ki mera ye mansuba kabhi kamyaab nahi ho paya. Bees saal pahle yaha jo kuch hua tha uski vajah se ham sab aahat se ho gaye the. Tumhe jab umar kaid ki saza ho gayi to zafar ko bada ranz hua. Use tab aur bhi dukh hua jab maine use tumse milne se rok diya tha. Wo mujhse behad khafa ho gaya tha jiski vajah se usne videsh me sanstha ki branch kholne se saaf inkaar kar diya tha. Awdhesh aur madhuri ki maut ka mujhe bhi behad ranz tha magar ab kya hi ho sakta tha? Mera bhi dil nahi kiya ki main waha sanstha ka vistaar karu. Mujhe ummid nahi thi ki sanstha se log is kadar judne lagenge, mujhe to laga tha ki ek din sanstha ka vajood khatm ho jayega magar aisa nahi hua. Awdhesh ki maut ke baad sanjay aur baaki ke mere dosto ne sanstha ke vistaar ke liye kuch aur bhi kaam karne shuru kar diye the. Wakt ke sath main bhi ye soch kar aage badh chala tha ki jiske sath jo hona tha wo to ho hi gaya hai lekin ab aage ka sochna chahiye. Idhar is beech mere abba jaan ka bhi intkal ho gaya to main aur bhi thoda dheela pad gaya. Sach kahu to main ab is kaam se oob gaya tha. Awdhesh aur madhuri ki maut ko main bhula hi nahi pa raha tha. Mujhe pata chal chuka tha ki sanjay ki saazish ke chalte hi awdhesh aur madhuri ki maut huyi thi aur apne hi mata pita ke khoon ke ilzaam me tumhe umar kaid ki saza bhi huyi thi. Sanjay, jeewan aur siraj sanstha ke bade ohde par the aur ab khoob manmaani karne lage the. Main chaahta to palak jhapakte hi unhe khaak me mila sakta tha magar maine aisa nahi kiya. Jaante ho kyo?"

Gulfam itna bol kar chup ho gaya aur meri taraf is ummid me dekhne laga ki main usse puchhuga kyo? Idhar mere zahen me kayi tarah ke khayaal ubharte ja rahe the.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 67[/color]
[color=rgb(51,][ Last Update][/color]
[color=rgb(255,]____________________[/color]




"Kyo?" Gulfam jab meri taraf dekhta hi raha to aakhir maine puchh hi liya.

"Kyoki wo sab tumhare gunahgaar the." Gulfam ne thandi saans kheechte huye kaha____"Aur main chaahta tha ki jo apraadh unhone tumhare sath kiya hai uski saza tum khud apne hatho se unhe do. Mujhe bilkul bhi andaza nahi tha ki mere wo dost belagaam ghode ki tarah is tarah idhar udhar bhaagne lagenge ki unhe samhaalna hi mushkil ho jayega. Tumhe pata hai, ye ab aisi mansikta ke shikaar ho chuke the ki khud ko hi sanstha ka sarve sarwa samajhne lage the. Bachpan ka sath tha is liye itne saalo tak maine unke khilaf koi sakht kadam nahi uthaya tha. Halaaki inhe pata bhi nahi tha ki sanstha ka chief inke hi bachpan ka dost yaani ki main hu, lekin iske bavjood ye apne chief ki narmi ka najayaz faayda uthane se baaj nahi aa rahe the. Maine in par nigraani rakhne ke liye sanstha ke agents laga diye the. Unhi se ek din mujhe pata chala ki sanjay aur jeewan sanstha ke members ko secret tarike se apni taraf kar ke mere khilaaf bahut hi gahri chaal chalne ki firaak me hain. Mujhe samajhte der na lagi ki sanjay sanstha ke chief ko yaani ki mujhe khatm kar ke khud sanstha ka chief banne ka mansuba banaye huye hai. Bas ab meri bardaast se baahar ho gaya tha. Man to kiya ki ek hi jhatke me teeno ko jahannum bhej du magar fir tumhara khayaal aa gaya ki inko jahannum bhejne ka haq to sirf tumhara hai. Tum jail me umar kaid ki saza kaat rahe the aur jail me rahte huye tum apne in gunahgaaro ka kuch nahi bigaad sakte the. Tab maine tumhe jail se baahar nikaalne ka man bana liya."

"Kya matlab???" Maine chaunk kar bich me hi gulfam ki baat kaat kar bol pada____"Kya tum ye kahna chahte ho ki mujhe tumne jail se riha karwaya tha aur meri baaki ki saza ko maaf bhi karwaya tha?"

"Main jaanta hu ki tumhe meri is baat ka yakeen nahi hoga." Gulfam ne kaha____"Lekin sach yahi hai ki maine hi tumhari baaki ki saza ko maaf karwa ke tumhe jail se riha karwaya tha. Main chaahta tha ki tum apne gunahgaaro ko apne hatho se saza do aur fir ek naye sire se apni ek nayi zindagi ki shuruaat karo."

Main gulfam ki is baat se man hi man chakit rah gaya tha. Main sach me yakeen nahi kar pa raha tha ki gulfam ne hi mujhe jail se riha karwaya hoga. Main to abhi tak yahi samajh raha tha ki mere achhe bartaav ke kaaran sarkaar ne meri saza ko maaf kar ke mujhe jail se riha kar diya tha.

"Tum achhi tarah samajh sakte ho ki mere liye tumhe jail se riha karwa lena zara bhi mushkil kaam nahi ho sakta tha." Mujhe khamosh dekh gulfam ne kaha_____"Sanstha ke chief ke roop me mere sambandh bahut upar tak hain. Short me tum ye samajh lo ki agar main chaahu to sanstha ke chief ke roop me is desh ki kisi bhi badi hasti ko apne kadmo me jhuka sakta hu. Kanoon ke numaainde wahi karenge jo main kahuga. Tumhari baaki ki saza ko maaf karwa ke tumhe jail se riha kar dene ka hukum sanstha ke chief ke roop me mera hi tha. Jis din tum jail se riha huye usi din se maine apne agents tumhari nigraani me laga diye the lekin kuch is tarike se ki tumhe iski bhanak tak na lag sake. Tumne ab tak kya kya kiya hai aur kaha kaha gaye ho is sabki jankaari mujhe hai."

"Maya ki sachchaayi kya hai?" Maine kuch sochte huye puchha____"Kya wo aaj bhi sanstha ke liye hi kaam kar rahi hai aur tumne use apna mohra bana kar mere paas bheja tha?"

"Sach kahu to tumhari zindagi me maya ki ahmiyat bahut khaas hai vikram." Gulfam ne ek naya shigar sulgate huye kaha_____"Bees saal pahle jab tumhe umar kaid ki saza ho gayi thi tabhi usne sanstha ko chhod diya tha aur is shahar se kahi door chali gayi thi. Sanstha ka koi bhi member agar is tarah se achanak gayab ho jata hai to chief ke roop me ye mera farz hota hai ki main uski khojbeen karwaau aur fir uske sath waisa hi salook karu jaisa aam taur par is tarah ka kaam karne wale agents ke sath kiya jata hai. Jaldi hi mere agents ne uska pata laga liya aur mujhe uske bare me saari baate bataayi. Mujhe ye to pata tha ki usi ne tumhe training di thi aur training ke baad bhi tum dono ek dusre se secret roop se milte the lekin tum dono ke bich gahra relation ban jayega iska andaza nahi tha mujhe. Ab kyoki maya ka tumse gahra judaav tha to maine uske andar ki toh lene ke liye ek agent ko uske NGO me bheja. Agent ne jaldi hi aa kar bataya ki maya mansik roop se dukhi hai jiski vajah sirf aur sirf tum hi ho. Yaani wo dil se tumhe prem karti thi aur jab use pata chala ki tumhe umar kaid ki saza ho gayi hai to wo ye sadma sahan nahi kar saki. NGO ki ek aurat ke dwara agent ko pata chala tha ki usne suicide karne ki koshish ki thi. Main samajh gaya ki uske dil me tumhare prati kya hai. Main ye bhi samajh gaya ki maya ke dwara sanstha ke vajood ko koi khatra nahi hai lekin fir bhi ehtiyaat ke taur par maine us par nazar rakhne ke liye ek female agent ko us NGO me fix kar diya tha. Khair idhar jab maine tumhe jail se riha karwaya to mere zahen me khayaal aaya ki tumhari viraan padi duniya me agar maya ki entry fir se ho jaye to bahut had tak sambhav hai ki tum is sabke baad bhi ek khush haal zindagi guzaar sakte ho. Tum par nazar rakhne ke liye to sanstha ke agents hi kaafi the, lekin ye bhi sach hai ki wo log ye nahi pata laga sakte the ki tumhare andar kya hai aur tum kya karna chahte ho? Is liye maine maya ko tumhare paas bhejne ka socha. Mujhe andesha tha ki jail se baahar aane ke baad tum badle ki aag me is kadar jalne lagoge ki tum uske aage kuch aur sochoge hi nahi. Iske chalte aisa bhi ho sakta tha ki kisi din tum apne hi kiye gaye karmo ke liye police dwara dhar liye jaao aur fir se jail me pahuch jaao. Tumhare andar ki aag ko control karne ke liye maya ka tumhare sath rahna behad zaruri tha. Yahi sab soch kar maine maya ko tumhare paas bheja tha. Wo bevkoof yahi samajh rahi thi ki main galat irade se usko tumhare paas bhej raha hu. Khair aaj jis tarah ki situation me tum ho usse ye saabit hota hai ki maya ko tumhare sath rakhne ka mera faisla bilkul perfect tha."

Gulfam ye sab kahne ke baad chup hua to us madhyam size ke room me ekdam se sannata chha gaya. Idhar mere zahen me maano dhamake ho rahe the. Mere dimaag ka maano fuse hi ud gaya tha. Main soch bhi nahi sakta tha ki gulfam jaisa byakti jo ki CMS jaisi sanstha ka chief hai wo mere liye itna kuch soch sakta tha aur kar bhi sakta tha. Uske dwara jo kuch maine suna tha us sabse mera zahen chakar ghinni sa ban gaya tha. Kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya karu aur kya kahu?

"Main jaanta hu ki mere dwara itna kuch karne ke baad bhi tumhe tasalli nahi hogi." Mujhe socho me gum dekh gulfam ne apni bhaari awaaz me kaha_____"Is liye main tumse ye kahuga bhi nahi ki tum jo soch kar yaha aaye ho wo na karo. Tumne mere bete zafar ko maar dala fir bhi main tumse khafa nahi hu aur na hi tumse uski maut ka badla lene ka khayaal rakhta hu. Tumhare parents ki maut ka kahi na kahi main khud bhi jimmedaar hi tha is liye us apraadh ki saza mujhe apne bete ko kho kar mil gayi hai. Tumse bas itna hi kahuga ki mere pote ke sath kuch mat karo. Baaki tum jo karna chaaho kar sakte ho main uff tak nahi karunga."

Sach to ye tha ki main abhi bhi kisi nateeje par nahi pahuch pa raha tha. Gulfam ne jo kuch mujhse kaha tha agar wo sab sach tha to ye bilkul waisi hi baat thi jiska main tasavvur bhi nahi kar sakta tha. Pahli baar mujhe ehsaas hua ki maine uske bete zafar ko jaan se maar kar thik nahi kiya tha. Zafar sach me utna gunahgaar nahi tha jitna ki ranjan aur shekhar the. Khair ab kya hi ho sakta tha?

"Thik hai." Maine ek gahri saans li fir kaha____"Main tumhare pote ke sath kuch nahi karuga, waise bhi main itna bhi pagal nahi hu ki kisi nirdosh aur masoom ki jaan lene ka sochu. Wo to maine is liye usko kidnap kiya tha taaki use dhaal bana kar apni situation ko tumhare saamne majboot bana saku. Khair ab agar tum khud ko mere saamne samarpan kar rahe ho aur apni galti maan bhi rahe ho to maine tumhare liye ek faisla liya hai."

"K..kaisa faisla?" Gulfam badi ummid se meri taraf dekhne laga.
"Yahi ki tumhe main zinda chhod duga." Maine uski taraf dekha____"Aur tumhari family me se kisi ki jaan bhi nahi luga magar meri ek shart hai."

"Mujhe tumhari har shart manzoor hai vikram beta." Gulfam ne bhaavuk andaz me kaha.

"Itna to tum bhi samajhte hi hoge ki is tarah ki waahiyaat sanstha tumhe nahi kholni chahiye thi." Maine uski aankho me dekhte huye kaha_____"Kyoki ye sanstha bhale hi baahari logo ki sex need ko pura karti rahi ho magar iske chalte hamare apno ki soch aur mansikta par bahut hi bura asar pada tha. Tum khud socho ki kya apne jeewan me tum kabhi ye kalpana kar sakte the ki koi beta apni hi maa ke sath sex karega, koi bahan apne hi sage bhai ke sath sex karegi, aur koi bahu beti apne hi baap ke sath hawas ka aisa nanga naach karegi? Chalo maan liya ki pyase ko paani pilana punya ka kaam hai lekin apne hi sage rishto ke sath hawas ka aisa khel khelna bhala kaun sa punya hai? Kya ye had darze ka paap nahi hai? Banane wala bhi upar se dekhta hoga to sochta hoga ki usne kaise insaan banaye hain jo fakat do pal ki khushi ke liye apne hi sage rishto ko is tarah se taar taar karte huye paap karm kar rahe hain. Main chaahta hu ki jis sanstha ke dwara log aisi mansikta ke shikaar huye hain aisi sanstha ke vajood ko mitti me mila diya jaye."

"Sach kahu to main bhi yahi chaahta tha vikram." Gulfam ne kaha____"Aur yahi vajah thi ki maine tumhare liye ye sab kiya tha. Agar mere zahen me sanstha ke vajood ko mita dene ka khayaal na hota to main na to tumhe jail se riha karwane ka sochta aur na hi ye sab hota. Mujhe khud bhi ehsaas hai ki is sanstha ne hamare sath aur hamare apno ke sath bahut kuch bura kar diya hai is liye aisi sanstha ka khaak me mil jana hi behtar hai. Main abhi tak isi liye ruka hua tha taaki tum apna kaam pura kar sako. Sanjay ki maut ke baad hi main tumse sambandh banana chaahta tha lekin mauka hi nahi mila aur fir tumne zafar ko dhar liya. Mujhe bilkul bhi ummid nahi thi ki tum mere bete ko itna jaldi aur itni chalaaki se apna shikaar bana loge. Khair, to bataao ab kya kya karna hai mujhe? Waise maine socha hua tha ki sanstha ke chief ke roop me ek din main sanstha ke sabhi agents ko headquarter bula luga aur fir un sabke jismo se sanstha ki tacking device ko nikaal kar unhe waapas ghar jane ka hukum de duga. Uske baad sanstha ke sabhi documents ko jala kar sanstha ke is headquarter ko bomb se uda duga."

"Waah bahut khoob." Main uski baat sun kar muskurate huye bol pada____"Yakeen maano main bhi yahi soch kar yaha aaya tha."

"To fir der kis baat ki hai?" Gulfam bhi muskuraya_____"Lekin usse pahle tumhare liye ek behad zaruri kaam karna hai mujhe."

"Kya matlab?" Main anayas hi chaunka.
"Tum to jaante ho ki sara shahar us hatyare ke khauf me hai, yaani ki tumhare." Gulfam ne kaha_____"Aur iske liye janta ke sath sath media bhi police aur prashasan ko is baat ke liye nikamma thahra rahi hain ki wo aise hatyare ko ab tak pakad nahi paaye hain. To mere kahne ka matlab ye hai ki tumhari safety ke liye aise hatyare ka pakda jana zaruri hai. Maine ye socha hai ki kisi agyaat sakhs ko hatyara bana kar kanoon ke hawale kar diya jayega jisse shahar ki janta aur media ka muh hamesha ke liye band ho jayega. Zaahir hai aise me tumhare sir se bhi khatre wali talwar hat jayegi aur tum maya ke sath kahi bhi apni zindagi ki nayi shuruaat kar sakte ho."

"Plan to badhiya hai." Maine gulfam ki baat par man hi man hairaan hote huye kaha_____"Lekin agyaat hatyara kise banaoge tum aur police ke hawale kaise ho jayega wo? Kya wo kabool karega ki usi ne itni saari hatyaaye ki hain? Sabse badi baat wo itni saari hatyaaye karne ka reason kya batayega?"

"Wo khud kuch nahi batayega." Gulfam is baar rahasymay dhang se muskuraya_____"Balki sab kuch police batayegi."

"K...kya matlab??" Main chaunka_____"Police batayegi magar kya??"

"Tum to jaante ho ki sanstha ke chief ke roop me main kuch bhi kar sakta hu." Gulfam ne kaha_____"Mere hukum par police ke aala adhikaari media ke saamne ek press conference karenge aur unhe batayenge ki ab tak jis hatyare ki vajah se shahar me khauf ka maahaul bana hua tha us hatyare ko police ne pakad liya tha aur usse puchh-taanchh bhi ki gayi thi jis par us hatyare dwara ye pata chala ki wo koi pagal killer tha jise ameer logo ki hatya karne me maza aata tha. Media wale jab ye puchenge ki wo hatyara kaha hai to police ke adhikaari afsos zaahir karte huye kahenge ki raat ko usne lockup me us wakt khud ko jaan se maar dala jab ek shipaahi usko khana dene gaya tha."

"Oh to ye plan hai tumhara." Main gulfam ki baat ko samajhte huye bola_____"Aisa karne se zaahir hai ki tum saari hakikat par parda daal dena chaahte ho."

"Sach par parda daal dene ka matlab sirf yahi nahi hai ki ham log apne kaale sach ko duniya se chhupana chahte hain." Gulfam ne kaha_____"Balki iska ek reason ye bhi hai ki log CMS jaisi sanstha ke bare me kabhi soche hi na. Aisi sanstha ke bare me sochne ka matlab hai kabhi na kabhi kisi na kisi ke zahen me ye khayaal paida ho jana ki kyo na aisi koi sanstha fir se khol li jaye. Main ye hargiz nahi chaahta vikram ki is tarah ki kahani future me fir se koi dohraye."

"Ye bhi thik hai." Maine haan me sir ko hilaate huye kaha_____"To bali ka bakra kise bana rahe ho tum? Kya iske liye kisi bekasoor ko chunne wale ho?"

"Hargiz nahi." Gulfam ne kaha____"Bali ka bakra banne ke liye bahut mil jayenge. Is desh me aisi bahut si jail hain jaha par ek se badh kar ek ghinaune mujrim maujood hain jinhe umar kaid ki saza mili huyi hai magar wo jald hi maut paane ke khwaaishmand hain. Mere hukum par police adhikaari unhi me se kisi ek ko chun lenge aur ye sara drama create kar denge. Ye sab kuch khatm hone ke baad main apni family ko le kar hamesha ke liye is desh se chala jaauga. Sanjay, siraj aur jeewan ki bachi huyi families ko kuch daulat de jaauga jisse unke bachcho ka bhavishya barbaad na ho."

[][][][][][]

Do din baad.!
Main apne flat me kursi par baitha news dekh raha tha. Mere paas hi alag alag kurisyo me maya, minakshi aur tarun baithe huye the. TV par news chal rahi thi jisme news anchor badi garmjoshi ke sath news suna rahi thi aur sath hi police adhikaariyo ki press conference ki chhoti chhoti video clip bhi dikha rahi. News anchor ke anusaar delhi shahar me itne samay se ho rahi hatyaao ka hatyara police dwara pakad liya gaya tha lekin pichhli raat usne us wakt apni jaan le li jis wakt police ka ek shipaahi use khana dene lockup me gaya tha. Adhikaariyo ne bataya ki hatyare ne shipahi ki bandookh usse chheen li thi aur fir usne khud ko hi goli maar li thi.

TV par chal rahi news se saaf zaahir ho gaya tha ki gulfam ne waisa hi kiya tha jaisa karne ka usne wada kiya tha. Har news channel par wahi news chal rahi thi jise alag alag channels ke anchor apne apne andaz me bata rahe the.

"Chalo ye kissa to ab khatm ho gaya." Paas hi baithe tarun ne meri taraf dekhte huye kaha____"Ab tumhe bhi kisi se chhupne ki zarurat nahi rahi."

"Kissa bhale hi khatm ho gaya hai bhaiya." Minakshi ne kaha____"Magar is sabko bhula dena asaan nahi hai. Dusre log to bhool jayenge lekin wo nahi bhulenge jinke gharo me maatam chhaya tha. Halaaki aisi niyati to unhone khud hi apni banaayi thi. Khair, is sabke baad main to ab yahi kahugi ki vikram bhaiya bhi ab is shahar me maya bhabhi ke sath ek nayi zindagi ki shuruaat kare."

"Minakshi sahi kah rahi hai vikram." Tarun ne meri taraf dekhte huye kaha_____"Ab to kisi baat ki koi fikra hi nahi hai to tum isi shahar me maya ke sath ek khush haal jeewan jiyo."

"Nahi tarun." Maine gambheerta se kaha_____"Delhi jaise shahar me ab mera kayaam nahi ho sakta. Is shahar se bahut si aisi yaade judi hain jo kabhi mujhe chain se jine nahi dengi. Is liye maine faisla kiya hai ki kahi door chala jaauga."

"Main samajh sakta hu vikram." Tarun ne mere kandhe par apna hath rakhte huye kaha_____"Shayad tum sahi kah rahe ho. Achha thik hai jaha tumhara man kare jaao lekin hamare touch me rahna. Aakhir ham tumhare apne hain."

Tarun ki baat par maine uski taraf dekha aur fir ajeeb tarah se muskuraya. Abhi main kuch kahne hi wala tha ki tabhi mera mobile baja. Maine dekha gulfam ka call tha.

"Hello." Maine call receive kar ke mobile ko kaan se lagate huye kaha to udhar se gulfam ne jo kuch kaha use sun kar mere hotho par halki si muskaan ubhar aayi aur fir maine call cut kar di.

"CMS naam ki sanstha ka vajood ab mitti me mil chuka hai." Maine baari baari se sabki taraf dekhte huye kaha_____"Gulfam ne bataya ki usne raat ko apne sabhi agents ke jismo se chip nikalwa di hai aur sanstha ke sabhi documents, instruments wagaira sab kuch jala diya hai. Kah raha hai uske videos usne mere mobile me bheja hai."

Kahne ke sath hi maine apna mobile check kiya. Usme do videos pade huye the. Maine ek ko play kiya aur centre table par sabke bich mobile ko rakh diya. Video me gulfam tha jo sanstha ke andar tha aur waha ki har cheez ko nikaal nikaal kar usme aag lagata dikh raha tha. Kayi jagah aag jalti huyi dikh rahi thi. Do din pahle main aur wo jis jagah baithe the waha ke instruments ko bhi usne destroy kar diya tha. Kareeb unnees minute ka video tha wo. Maine dusra video play kiya. Dusre video me gulfam kisi dusri jagah par tha jaha par ladki ke boxes me kuch bhara hua tha jise wo ek ek kar ke nikaal raha tha aur usme mitti ka tel daal kar aag laga raha tha. Maine notice kiya ki jis cheez me aag lagi hoti thi wo jab puri tarah jal kar raakh ho jati thi to gulfam use bujha deta tha. Shayad wo nahi chaahta tha ki aag aur dhua baahar jaye jisse baahar ke logo ko kahi aag lage hone ka pata chale. Dusra video chaubhees minute ka tha.

"Iska matlab gulfam uncle imandaar nikle." Tarun ne seedha baithte huye kaha____"Yaani unhone jo kuch tumse kaha tha wo sab waakayi me kar daala."

"Videos dekhne ke baad to ab aisa hi kaha ja sakta hai." Minakshi ne kaha____"Baaki hone ko to kuch bhi ho sakta hai."

"Tumhari baato se aisa lagta hai." Maya ne kaha_____"Jaise tumhe gulfam ki imandaari aur uske dwara ye sab kiye jane par shak hai."

"Mat bhuliye bhabhi ki wo sanstha ka chief tha." Minakshi ne kaha_____"Aur is sanstha ki jade usne is shahar me hi nahi balki dusre shahro me bhi faila rakhi hongi. Is shahar ki ek branch ko usne khaak me mila bhi diya to kya isse use koi khaas fark pad gaya hoga?"

Minakshi ki baato ne ekdam se ham sabko sochne par majboor kar diya tha. Ye sach hai ki uski baate sun kar ham me se kisi ke bhi mukh se koi alfaaz nahi nikla tha.

"Agar aisa hai." Maya ne uski taraf dekhte huye kaha_____"To fir usne vikram ke liye itna kuch kyo kiya? Bhala kya zarurat thi use itna bada drama karne ki? Yaha tak ki apne bete zafar ko bhi vikram ke hatho marwa dene ki?"

"Shayad wo har tarah se apna pichha vikram bhaiya se chhuda lena chaahta tha." Minakshi ne sochne wale andaz me kaha____"Ye sab kar ke usne vikram ko khush kiya aur apni jaan bacha li. Jaan to wo apne bete ki bhi bachana chaahta tha lekin use andaza nahi tha ki vikram bhaiya itna jaldi aur itni chalaaki se zafar ko dhar lenge aur fir usko maar denge."

"Tumhari baato me yakeenan vajan hai minakshi." Maine ek cigarette jalate huye kaha_____"Magar mujhe yakeen hai ki gulfam ke zahen me ab koi bhi galat bhaavna nahi ho sakti. Main aisa is liye kah raha hu kyoki agar use mujhse pichha hi chhudana hota to wo bees saal pahle bhi chhuda sakta tha ya fir bees saal ke baad bhi. Agar wo itna takatwar aur pahuch wala hai ki meri baaki ki saza maaf karwa ke mujhe jail se riha karwa sakta hai to socho wo kabhi bhi kuch bhi kar sakta tha mere sath. Yaani usko mujhse na to koi khauf tha aur na hi koi khatra. Ab agar isi baat ko maan kar chale to yahi sach hai ki usne mujhse jo kuch kaha tha wahi sach hai aur ab wo aisi kisi bhi sanstha se talluk nahi rakhta hai. Sanstha ki jade agar usne dusre shaharo me bhi faila rakhi hongi to wo waha par bhi yahi karega. Kahne ka matlab ye ki ab uske bare me ye sab sochna bekaar hi hai. Dekhna bahut jald wo apni family ke sath is desh se hamesha ke liye chala jayega. Ek baat aur, agar ek pal ke liye main ye maan bhi lu ki wo abhi bhi aisi sanstha se talluk rakhta hai to bhi mujhe fark nahi padta. Kyoki mera jo maksad tha wo pura ho chuka hai. Duniya me ab kaun kya karega isse mujhe koi lena dena nahi hai. Main to ab apni maya ke sath baaki ka jeewan khushi khushi jeena chaahta hu bas."

Maya meri baat sun kar muskura uthi. Uski aankho me mere liye bepanaah mohabbat nazar aane lagi. Udhar minakshi aur tarun bhi muskura uthe the.

Tarun aur minakshi ke jane ke baad main aur maya ne wahi karna shuru kar diya jiska hamne soch liya tha. Hame ye shahar chhodna tha. Maine ek dealer se baat ki thi, usne kaha tha ki wo jald hi mera ye flat bikwa dega.

Thik paanch din baad main aur maya gaziabad se nikal chuke the. Ham dono ne apne phone se apni apni sim nikaal kar fenk di thi. Ham nahi chaahte the ki ab koi hamse sambandh banane ka soche. Ham dono train me baithe ek lambe safar par nikal chuke the aur hamare peechhe hamara shahar aur hamara ateet chhootta ja raha tha. Hamne tarun aur minakshi ko ye nahi bataya tha ki ab ham is desh ke kis hisse me rahne wale hain. Ham dono hi ab hamesha hamesha ke liye dusro ke liye gum ho jana chahte the aur jo hame jaante the unke liye itihaas ban jana chaahte the.

___________________________________

Jailer sahab, socha nahi tha ki jail se riha hone ke baad jab main badle ki aag me jalte huye apne gunahgaaro ko jahannum me bhejunga to us sabke baad mere naseeb me aisa bhi wakt aayega. Main khwaab me bhi nahi soch sakta tha ki maya jaisi haseen aurat se kabhi dubara mulakaat hogi. Ye to upar wale ka karam tha ki usne mere andar se jazbaato ko khatm nahi hone diya. Mujh jaise aag me jalte huye insaan ke paas ek aisi sakhshiyat ko bhej diya jo apne pyar se mere andar ki dhadhakti aag ko bujhane ka kaam karti aur marte dam tak mere sath ek naya jeewan jeene ki wo vajah ban jaaati. Khair aaj ham dono sath hain aur sab kuch bhool kar hansi khushi jeewan ji rahe hain. Shayad meri khushiyo me kami rah gayi thi is liye maya ne mujhe ek din bataya ki wo mere bachche ki maa banne wali hai. Yakeen maniye jailer sahab, ye aisi khushi hai jiske ehsaas se mera rom rom romanchit hota rahta hai. Aapse bas ek hi guzarish hai ki aap hame aisa ashirwaad aur aisi dua dijiye ki ham apne chhote se sansaar me hamesha khush rahe. Main bhi upar wale se dua karta hu ki aap apne pariwar ke sath hamesha khush rahe. Achha ab alvida....pranaam!

Vikram Singh
______________

[][][][][][]

Diary band karne ke baad wagle aur savitri ne ek gahri saans li aur fir ek dusre ko dekhne lage. Dono ke hi zahen me vikram singh aur uske jeewan me guzri ghatnaaye gooj rahi thi.

"Mujhe ye jaan kar bahut achha laga ki vikram apne maksad me kamyaab hua." Savitri ne wagle ki taraf dekhte huye kaha_____"Aur maya jaisi bepanaah pyar karne wali aurat ke sath jeewan guzaarne ka upar wale ne use sukh diya. Main to dil se use ashirwaad aur dua deti hu ki wo dono hamesha khush rahe aur unka hone wala bacha hamesha salamat rahe. Bada ho kar wo apne mata pita ko dher saari khushiya de aur unka naam roshan kare."

"Hmmm sahi kaha tumne." Wagle ne kaha______"Bechare ne apne jeewan me bahut kuch saha hai. Main bhi yahi dua karta hu ki ab uske jeewan me koi bhi dukh aur koi bhi pareshani na aaye."

Kuch der aisi hi baate karne ke baad dono so gaye. Raat jo thodi hi rah gayi thi wo jaldi hi guzar gayi aur sawera ho gaya. Alarm clock ke bajte hi savitri ki aankh khul gayi. Usne time dekha to subah ke saadhe paanch baj gaye the. Use yaad aaya ki aaj uske pati ko duty par jana hai is liye wo fauran hi uthi aur fresh hone ke liye bathroom me ghus gayi.

Us wakt sadhe saat baje the jab savitri apne bete chandrakant ko chaay dene ke liye uske kamre me gayi. Chandrakant apne bed par soya hua tha. Upar se wo nanga tha jabki niche usne lower pahan rakha tha. Chandrakant kyoki dusri taraf karwat liye so raha tha is liye savitri ki nazar uski nangi peeth se hote huye uski gardan ki taraf gayi. Peeth ke upar bilkul gardan ke kareeb hi savitri ko jo nazar aaya use dekh savitri buri tarah chaunki thi. Uske dil ki dhadkane achanak hi dhaad dhaad kar ke bajne lagi thi.

Chandrakant ki gardan ke paas cut ka nishaan tha. Savitri ko ekdam se hosh aaya to wo khamosh kadmo se aage badhi aur bed ke paas pahuch gayi. Kareeb pahuchne ke baad usne jhuk kar chandrakant ki gardan ko dekha. Cut ka nishaan zyada purana nahi tha. Saaf nazar aa raha tha ki bees ya pachchees din pahle us cut par taanke lagaye gaye the. Savitri ke zahen me vikram singh ki diary ka khayaal ubhar aaya tha. Usne achhi tarah padha tha ki aisi jagah par unhi logo ke nishaan the jo cms jaisi sanstha ke agent the.

Savitri ke hath paanv ekdam dheele pad gaye. Badi mushkil se usne khud ko samhala aur chehre par ubhar aaye pasine ko usne apni saafi ke pallu se ponchha. Dil ki dhadkano ko usne shaant karne ka prayaas kiya aur fir bahut hi shantulit bhaav se usne chandrakant ko pukara. Usne khud mahsoos kiya ki uski awaaz ladkhada gayi hai. Khair uske pukarne par chandrakant ke jism me halchal huyi lekin uski aankh nahi khuli. Savitri ne use fir pukara to is baar uska beta jaag utha aur gardan ghuma kar pichhe dekha to uski nazar apni maa par padi.

"Good morning mom." Ye kahte huye chandrakant alsaya sa utha____"Kya time ho gaya?"
"T..time ko chhod." Savitri ne sahsa halke kathor bhaav se kaha_____"Aur ye bata ki teri gardan par ye cut ka nishaan kaisa hai?"

Savitri ke mukh se itna sunna tha ki chandrakant ke chehre par palak jhapakte hi ghabrahat ke bhaav ubhar aaye. Usne jaldi se apna hath apne cut wale hisse par rakha aur fir khud ko samhaalte huye bola_____"Wo...wo mom baat ye hai ki college me ek din ek ladke se jhagda ho gaya tha to usne meri gardan ke is hisse me chaaku ghomp diya tha."

"Jhooth bol raha hai na?" Savitri ne shanka ki drishti se uski taraf dekha to wo gadbada gaya lekin fir jaldi hi samhal kar bola_____"Nahi mom, yahi sach hai aur aapko ya dad ko is liye nahi bataya ki aap log bekaar me hi pareshan ho jayenge."

Chandrakant ne kahne ke sath hi savitri ke hath se chaay li aur pine laga. Savitri kuch der tak use dekhti rahi aur fir bina kuch kahe palat kar kamre se baahar aa gayi. Is wakt uske zahen me vichaaro ka bawandar sa chalu tha. Mastishk me ek hi sawaal chakra raha tha ki kya wo nishan cms naam ki sanstha dwara di gayi us chip ko lagane ki vajah se hua hoga ya fir sach me uske bete ka college me kisi ladke se jhagda hua tha.? Savitri ko jhagde wali baat par bilkul bhi yakeen nahi ho raha tha balki use yahi sach lag raha tha ki wo nishan cms naam ki sanstha ka hi hai.

Savitri ke dil par aur uske sir par dono jagah hi maano bijli si gir padi thi. Uske zahen me ab tarah tarah ke khayaal ubharne lage the jo use pareshaan kiye ja rahe the. Usne socha kya sach me uska beta cms ka member tha? Ab kyoki sanstha ka vajood mit chuka hai to usne wo chip nikaal diya hoga. Vikram singh ki diary se to yahi zahir hota hai.

Savitri gumsum si dining table ke paas aayi aur kursi par baith gayi. Wagle ne uski taraf dekha to anayaas hi uske chehre par chaukne ke bhaav ubhar aaye.

"Kya hua bhagyawaan?" Wagle ne uski taraf dekha_____"Aise kaun se khayaalo me khoi huyi ho ki hamari maujudgi ka ehsaas tak nahi hai tumhe?"

"J...ji kahi to nahi.!" Savitri hadbada kar boli fir ekdam se uth kar usne kaha_____"Aapko aur kuch chahiye?"
"Na, ab aur kuch nahi chahiye." Wagle chair se utha aur fir muksurate huye bola_____"Par tumhare rasile hotho ka jaam zarur chahiye janeman. Aaj itne dino baad duty join karna hai to apne raseele hotho ki shayad to chakha hi do."

Wagle ki baat sun kar savitri ke hotho par halki muskaan ubhar aayi aur abhi wo kuch kahne hi wali thi ki tabhi wagle tezi se aaya aur lapak kar uske hotho ko muh me bhar kar zor se choos liya. Savitri ko samhalne ka mauka hi na mila tha aur jab tak wo samhali to wagle hasta hua pichhe hat gaya tha. Kuch hi der me wagle apna briefcase le kar baahar nikal gaya. Uske jane ke baad savitri ek baar fir khayaalo me gum ho gayi thi.


✤༺The End[color=rgb(0,]༻✤[/color]

 
Back
Top