[color=rgb(255,]Update - 40
____________________[/color]




Meri baate sun kar shekhar ne apna chehra jhuka liya tha. Piller me rassiyo dwara bandhi Ridhima bhi kuch na bol saki thi. Mujhe is wakt shekhar par bahut hi zyada gussa aaya hua tha.

"Tumhare jaise maa baap apni aulaado ko kya shiksha de rahe honge iska andaza lagana mere liye zara bhi mushkil nahi hai." Maine pahle ki tarah hi shakht bhaav se kaha_____"Kisi bhi mata pita ki aulaad hamre desh aur samaaj ka bhavishya bante hain lekin tum log jo khud hi gale tak gart me doobe huye ho wo jab apni aulaad ko hi achhi shiksha nahi de sakte to bhala wo kaise desh aur samaaj ka bhavishya banenge? Kya ye uchit nahi hai ki aise maa baap ko is duniya me jeene ka koi hak nahi hona chahiye?"

"Main tumhari baato se puri tarah sahmat hu vikram." Shekhar ne poorvat dukhi bhaav se kaha_____"Lekin yakeen maano mere bas me kuch bhi nahi hai. Main kitna majboor hu ye mujhse behtar koi nahi jaan sakta."

"Tu kitna majboor hai ye maine aaj apni aankho se hotel desire ke us kamre me achhe tarike se dekha hai." Vikram ne daant peeste huye kaha_____"Us kamre me tum dono ne jis tarike se byabhichaar kiya hai wo yakeenan tumhari bajburi ko hi bayaan kar raha tha, hai na?"

Meri baat sun kar ek baar fir se shekhar ka chehra sharm se latak gaya. Ridhima ke chehre par bhi is baar sharm ke bhaav gardish karte nazar aaye. Fir jane kya soch kar usne meri taraf hairaani se dekha.

"Kya aapne wo sab sach me apni aankho se dekha hai?" Fir wo ekdam se puchh baithi_____"Lekin kaise? Kamre me to kahi par bhi koi camera nahi laga tha. Hamne apni aankho se dekha tha."

"Jinki aankho me sex aur hawas ka nasha chadha ho use asaani se koi sach nazar nahi aata." Maine is baar ghrina se ridhima ki taraf dekha_____"Mujhe aaj maloom hua ki in mardo se kahi zyada aag to tum aurto ke andar lagi huyi hai. Sex aur hawas ki aag ne tumhe itna andha kar diya hai ki tumhe uske aage halaato ki gambheerta ka na to ehsaas hai aur na hi shayad uski koi parwaah hai. Bahut badi bhool ho gayi hai mujhse, Iske baap ka khaatma karne se pahle mujhe tum aurto ko hi khatam karna chahiye tha lekin koi baat nahi. Der se hi sahi magar ab apni is bhool ko sudhaarunga main. Tum me se kisi ko bhi zinda rahne ka koi hak nahi hai jo apne bachcho ko achhi shiksha nahi de sakte aur ek achha insaan nahi bana sakte."

"Nahi nahi, please." Ridhima mere chehre par ubhar aaye bhayanak gusse ko dekh kar buri tarah ghabra gayi, gidgidaate huye boli_____"Please mere sath kuch mat karna. Main aaj jo kuch bhi hu sab inhi logo ki vajah se hu. In logo ne hi hame sex ke aise ghinaune daldal me dhakela hai warna hame to pata hi nahi tha ki duniya me kahi par cms naam ki koi aisi sanstha bhi ho sakti hai jo aurat aur mard ko sex ki service provide karti hai."

"Insaan agar khud na chaahe to koi bhi maayi ka laal usse kuch nahi karwa sakta." Maine gurrate huye kaha_____"Apni galtiyo ka theekra kisi aur ke sar par mat rakho. Tum bhi utni hi galat aur gunahgaar ho jitna ki ye sab. Is liye ab mere dwara bhayanak maut paane ke liye taiyar ho jaao tum dono."

"Aisa mat kar vikram." Shekhar buri tarah hataash ho kar gidgida utha_____"Kya sach me tere andar ke jazbaat mar gaye hain? Kya tere dil me sach me apne dost aur apne bhaiyo ke liye koi jagah nahi rahi?"

"Iska jawaab tu khud de mujhe." Maine uske kareeb badhte huye kaha____"Mujhe jawaab de ki kya mere dil me tere jaise dosto ke liye jagah honi chahiye? Kya aise dosto ke liye mere dil me zara si bhi jagah honi chahiye jinhone bees saalo me ek baar bhi meri khabar lene jail me mujhse milne na aaye ho? Bata shekhar, kya aise dosto ke liye sach me mere dil me ratti bhar bhi jagah honi chahiye?"

Meri baat sun kar shekhar ka chehra fir se latak gaya. Usse kuch bolte na ban saka tha. Wo achhi tarah jaanta tha ki maine jo kaha hai wo uske liye ek kadwa sach tha jiska jawaab wo saat janmo me bhi nahi de sakta tha.

"In sawaalo ke jawaab nahi hain tere paas." Maine uske ekdam kareeb aa kar kaha_____"Halaaki iske pahle tu apni majburi ka hawala de raha tha jabki sach to ye hai ki dost wo hote hain jo dosti ke liye har had se guzar jate hain. Wo kisi anjaam ki parwaah nahi karte magar tum log aise dost ho jinhone dosti se kahi zyada apni zindagi ki parwaah ki. Shayad ye soch liya tha ki mere na rahne se kya hi fark pad jaayega? Kisi ke chale jane se kisi ki zindagi to nahi khatm ho jaati. Waise bhi zinda rahe to mere jaise hazaaro dost mil jaayenge....kyo hai na?"

Shekhar is baar bhi kuch na bol saka. Hall me sirf meri hi awaaze goonj rahi thi. Har guzarte wakt ke sath mere andar gussa aur nafrat badhti hi ja rahi thi. Ji kar raha tha ki kunde par latak rahe shekhar ke jism ko is tarah se kheenchu ki uske jism ka purja purja khinchte huye kunde se alag ho jaye aur wo dard me itna zor se cheekhe ki samucha hall uski dardnaak cheekho se dahal jaye.

"Ab bolta kyo nahi haramkhor?" Use kuch na bolta dekh main gusse se cheekh hi pada_____"Kya samap soongh gaya hai tujhe ya meri baato ka jawaab hi nahi hai tere paas. Agar jawaab nahi hai to iska matlab saaf hai ki tu bhi apne baap ki hi tarah mera gunahgaar hai aur apne gunahgaaro ko saza dene ke liye hi main jail se riha ho kar aaya hu."

"Please vikram bhaiya." Mere raudra roop ko dekh kar Ridhima buri tarah bhaybheet ho kar ro hi padi thi____"Bhagwan ke liye hamare sath kuch mat kijiye. Ham maante hain ki ham aapke gunahgaar hain lekin sudharne ka hame ek mauka to dijiye. Upar wala bhi insaan ko aakhiri mauka deta hai to aap bhi de dijiye."

"Main upar wala nahi hu." Maine ek jhatke se palat kar uski taraf khatarnaak bhaav se dekha, fir bola_____"Is liye mauka dene ka to sawaal hi paida nahi hota. Main sirf itna jaanta hu ki us upar wale ne mujhe jail se riha hi is liye karaya hai taaki main tum jaiso ka is dharti se naamo nishaan mita saku. Ab jab upar wala hi aisa chaahta hai to main bhala kaise uski marzi ke khilaaf ja sakta hu?"

"Nahi nahi, please raham kijiye." Ridhima ki halaat behad kharaab nazar aane lagi thi. Wo buri tarah rote huye gidgida rahi thi aur uska yu tadap tadap kar gidgidana mujhe ek aatmik sukh ki anubhooti kara raha tha.

"Ridhima ko jane de vikram." Pichhe se shekhar ki awaaz mere kaano me padi_____"Maine isse wada kiya tha ki is par koi baat nahi aayegi. Please meri is aakhiri vinti ko hi swikaar kar le mere bhai. Iske badle tu jo chaahe aur jis tarah se chaahe mere sath kuch bhi kar sakta hai."

"Kya tere sath kuch bhi karne ke liye mujhe tujhse ijazat lene ki zarurat hai?" Maine zor ka thahaka lagate huye uska mazaak udaya_____"Are bevkoof, mere hamaam me aane ke baad insaan ki apni marzi kafoor ho jati hai. Uska mukaddar sirf aur sirf mere rahmo karam par hota hai. Khair mere paas zyada samay nahi hai is liye tum dono marne ke liye taiyaar ho jaao. Waise chinta mat karo, tum dono par itna to raham karunga hi ki tum dono ko aisi maut mile jisme tum dono ko zyada dard na mahsoos ho."

Kahne ke sath hi maine apni coat ki jeb se ek tez dhaar wala khanzar nikaal liya. Khanzar par nazar padte hi jaha shekhar ke devta kooch kar gaye wahi Ridhima ka to moot hi nikal gaya. Wo piller me khadi position me bandhi huyi thi. Saadi ke andar se bahta hua uska moot hall ke farsh par failta hua nazar aaya mujhe. Uski ye haalat dekh main man hi man zoro se hasa aur fir shekhar se mukhaatib hua.

"Is randi ka to dar ke maare moot hi nikal gaya pyaare." Maine khatarnaak bhaav se us khanzar ko apne hath par ghumaate huye kaha____"Kasam se iski ye haalat dekh kar mujhe ek alag hi tarah ka aanand feel ho raha hai. Khair, is khanzar ko dekh zara. Ye bada hi anokha khanzar hai. Is khanzar ne sabse pahle tere baap ka khaatma kiya tha, uske baad minakshi ka. Halaaki minakshi ko maine abhi khatm nahi kiya hai balki uske jism se is khanzar dwara hi tumhari choot maar service ki chip ko nikala tha. Uske baad is khanzar ne ranjan ke gale ko palak jhapakte hi cheer kar uski jeewan leela ko samaapt kar diya tha. Zaahir hai ab mere is khanzar ko tere khoon ki talab hai aur fir tere baad teri is raand ke khoon ki bhi."

Meri baato ne hall ke maahaul ko itna khatarnaak bana diya tha ki dahshat ke maare ridhima ki haalat aisi ho gayi thi jaise wo mere dwara bina kuch kiye hi dar se mar jaayegi. Idhar meri baat sun kar shekhar kuch na bola. Uske chehre par khauf yakeenan saaf nazar aa raha tha lekin wo kuch bol nahi raha tha. Shayad usne ye samajh liya tha ki uske dwara ab kuch bhi bolne ka koi matlab hi nahi rah gaya hai. Ab jo hone wala tha use usne swikaar kar liya tha.

"Kya kaayaro ki tarah marna chaahta hai tu?" Maine uske nange pet par khanzar ki paini nok ko chubhaya jo palak jhapakte hi naye ban gaye jakhm se khoon bah chala aur dard se shekhar ki karaah nikal gayi. Jabki maine aage kaha_____"Kya tere man me ye hasrat nahi hai ki mardo ki tarah shaan se mare?"

"Ab kya chaahta hai tu?" Shekhar ne dard ko sahte huye kaha_____"Tujhe ham dono ko khatm hi karna hai to khatm kar de na. Ab hamari hasrato se tujhe kya matlab?"

"Wo to ab bhi koi matlab nahi hai mujhe." Maine ek baar fir se khanzar ki paini nok uske pet ke dusre hisse par pahle ki bhaanti hi chubhaya jisse us jagah par bhi jakhm ban gaya aur khoon bah chala. Hall me shekhar ki dard bhari karaah goonj uthi. Idhar uski ye haalat dekh ridhima aur bhi zyada khaufzada ho gayi.

"Maine to aisa is liye tujhse puchha tha kyoki mujhe lagta hai ki kahi na kahi tere andar aisi hasrat zarur paida ho gayi hogi ki tujhe mere sath do do hath karne ka ek mauka to zarur milna chahiye." Maine aage kaha____"Maine tum sabke sath itna kuch kar diya hai to zaahir si baat hai ki is baat se tum logo ke man me mere prati badle ki bhavana to janm le hi chuki hogi. Is liye agar aisi koi bhaavna tere andar bhi janm le chuki hai to us bhaavna ko byakt karne ka main tujhe awsar pradaan karta hu. Mana ki maine bees saalo tak jail me rah kar tarah tarah ke kast sahe hain aur tum sabne aisho araam ki zindagi basar ki hai lekin itna to ab bhi mujhe khud par yakeen hai ki tere jaise hijdo ka mukabala asaani se kar sakunga."

Shekhar meri aakhiri baate sun kar buri tarah tilmila gaya tha aur main yahi to chaahta tha ki usme ek naya josh paida ho jo ek aag ka roop le aur fir wo mujhse mukaabla kare. Usne mujhe koi jawaab nahi diya lekin uske man ki baat ko samajh kar maine khanzar se uske bandhan khol diye. Bandhan khulte hi wo hall ke farsh par aa gira. Ghanto se uske hath daaye baaye lohe ki rod me rassiyo dwara bandhe huye the jiske chalte unme ab bhaari dard hone laga tha use. Uske chehre par maujood peeda ke bhaav is baat ka saboot bhi the. Khair kuch der tak wo apni haalat ko thik karta raha. Maine bhi use pura mauka diya. Uska jism aur uski personality kisi bhi maamle me mujhse kam nahi thi. Main achhi tarah jaanta tha ki in bees saalo me usne sanstha me rah kar bahut kuch seekha hoga aur bahut kuch anubhav bhi kiya hoga jiske chalte wo mujhse har maamle me bhaari hi padega iske bavjood maine ye soch kar use mauka diya ki uske man me kisi baat ka malaal na rahe. Dusri baat ye bhi thi ki main usse mukaabla kar ke khud ko bhi aajmana chaahta tha. Main dekhna chaahta tha ki in bees saalo me mere andar lohe ki tarah jang to nahi lag gaya hai?

"Is awsar ko gawana mat shekhar." Ridhima ne cheekhte huye maano shekhar ko sachet kiya aur sath hi uska hausla badhaya_____"Is khatarnaak aadmi ko jaan se maar daalo warna ye hame zinda nahi chhodega aur hame hi kya balki hamare ghar pariwar ke baaki logo ko bhi zinda nahi chhodega. Is liye ise khatm kar do."

"Shabaash." Maine ridhima ki taraf dekhte huye use shabaashi di_____"Namardo ko kisi aurat ke mukh se aisi hi baato ko sun kar hausla milta hai." Kahne ke sath hi main shekhar se mukhaatib hua_____"Sun liya na tune apni raand ki baato ko. Ab agar uske kahne se tere andar mardaangi jaag uthi ho to shuru ho ja."

"Bahut badi galti kar di hai tune vikram." Shekhar ne gusse se gurrate huye kaha____"Tujhe is tarah ka awsar nahi dena chahiye tha mujhe par shayad isme tera dosh nahi hai. Asal me insaan ka over confidence hi usse aisi cheeze karwata hai. Tera ye over confidence ab tujhe kisi keemat par mujhse bacha nahi sakega."

"Bhaunk mat, awsar mila hai to ab kuch kar ke dikha." Maine use aur bhi zyada gussa dilane ki garaj se kaha____"Waise bhi teri raand ne tujhme hausla bhara hai to uski ummido par khara utarne ki jimmedari bhi hai tere upar."

"Bahut zyada bolta hai haramzaade." Gusse me tilmilaya shekhar bijli ki tarah mujh par jhapta. Main khud ko laparwaah bhale hi show kar raha tha lekin andar se main puri tarah shatark tha.

Shekhar jaise hi bijli ki tarah jhapat kar mere kareeb aaya to maine apni jagah par ghoom kar ek back kick uske chehre par jama di jisse wo uchhal kar door ja gira. Use shayad mujhse aise kisi kartab ki ummid nahi thi aur use hi kya mujhe khud bhi ummid nahi thi. Aisa nahi tha ki mujhe ye sab aata nahi tha lekin bees saalo ke lambe samay me maine ye sab nahi kiya tha. Ek tarah se ye kaha jaye to galat na hoga ki main ye sab bhool hi gaya tha magar kahte hain na ki hathiyaar chalane wala apne hathiyaar bhale hi tyaag deta hai lekin wo unhe chalana kabhi nahi bhoolta. Kadaachit aisi hi baat mere andar bhi thi. Khair jo bhi tha par is kartab ke baad main apne andar ek alag hi khushi aur energy ko mahsoos karne laga tha.

Shekhar farsh se jaldi hi uth kar khada hua aur is baar usne jaldbaazi nahi dikhaayi. Shayad wo bhi samajh gaya tha ki main bhi koi maamuli khiladi nahi tha jise wo palak jhapakte hi mitti me mila dega. Ek taraf jaha ab wo puri tarah se satark nazar aane laga tha wahi dusri taraf main ab bhi puri tarah se laparwaah show kar raha tha. Main chaahta tha ki wo mujhe kachha khilaadi ke sath sath laparwaah hi samjhe aur fir jo kare uska main sateek jawaab de saku.

"Kya hua ek hi kick me tere andar se teri is raand ke dwara diya gaya hausla chhu mantar ho gaya?" Maine use gussa dilaane ki garaj se kaha____"Ya fir aisa hai ki tu waakayi me hi mard nahi balki ek hijda hai."

"Apni zubaan ko lagaam de vikram." Shekhar gusse me buri tarah tilmilate huye cheekha____"Warna kasam paida karne wale ki tera wo haal karuga ki tu dubara janm lene se bhi inkaar kar dega."

"Abe hatt gaandu." Maine use aur bhadkaya____"Tere jaise gaanduo me wo dam hi nahi hai jo mere jaise asli mard ka saamna kar sake. Mujhe samajh me hi nahi aata ki tere jaise log khud ko mard kyo samajhte hain? Bhala ye kis tarah ke mard hain jo khud ki aur apni bahuo ki raksha hi nahi kar sakte. Hahahaha kitni maze ki baat hai ki itni security ke bavjood maine tere jaise hijde ko aur teri is raand ko apna shikaar bana liya. Kya abhi bhi tu samajhta hai ki tere jaisa hijda ek mard hai?"

Meri baat sun kar shekhar is kadar tilmilaya ki wo apna aapa hi kho baitha. Gusse me bhannaya hua wo ek baar fir se meri taraf jhapta aur main jo ki chaahta hi yahi tha ki wo aisa hi kare, maine ek baar fir se wahi daav dohra diya. Wo jaise hi mere kareeb pahucha to ek baar fir se maine aisa back kick maara ki wo pahle se kahi zyada door uchhal kar gira. Uske jabde se khoon bahne laga tha. Ek hath se apne us jabde ko sahlaate huye wo fir se utha. Meri taraf jab usne dekha to main aise andaaz me muskuraya ki wo ek baar fir se tilmila utha.

"Mujhe nahi pata tha ki cms jaisi sanstha ne tere jaise hijdo ki fauj bana rakhi hai." Maine use gussa dilane ke liye fir se ek naya dose dena shuru kiya____"Aur itna hi nahi teri is raand jaisi randiyo ko bhi apne hamaam me panaah de rakhi hai. Mujhe samajh me nahi aata ki is raand me aisa kya dekh liya tha sanstha ne jo ise apni sanstha me bharti kar liya tha. Sach kahu to main to aisi randiyo par thookna bhi pasand na karu."

"Bhosdiwale." Shekhar is kadar meri baato se bhannaya ki usne ek baar fir se mujh par jhapatne ki galti kar di.

Wo jaise hi mere kareeb aaya to maine pahle ki hi bhaanti ghoom kar use kick maarni chaahi lekin is baar main maat kha gaya aur agle hi pal main pichhwade ke bal farsh par aise gira ki is baar mere halak se dard bhari cheekh nikal gayi. Shekhar shayad samajh gaya tha ki is baar bhi uske jhapatne par main wahi daav prayog karuga is liye jab maine ghoom kar use back kick maari to wo furti se jhuk gaya tha aur mere waar se bachne ke sath hi usne apni ek taang chala kar meri us taang me jama di thi jis akeli taang ke sahare main farsh par jama khada tha. Natija us akeli taang ke zameen se hatte hi main pichhwade ke bal farsh par ja gira tha aur mere halak se dard bhari cheekh nikal gayi thi.

Abhi main samhla bhi nahi tha ki shekhar ne mujhe laat aur ghoonso par dhar liya. Usne mujhe samhalne ka mauka hi nahi diya. Hall me meri dard bhari cheekhe goojne lagi thi. Udhar shekhar mujh par apni saari bhadaas nikaalne par tula hua tha. Mujhe is tarah se pitta dekh Ridhima bahut khush ho rahi thi aur zor zor se chillate huye shekhar se kah rahi thi ki aise hi is kamine ko maaro shekhar, ise itna maaro ki iski jaan hi nikal jaye.

Shekhar mujhse zyada anubhavi tha is maamle me aur shayad taakatwar bhi kyoki usne meri tarah bees saalo tak jail me koi kast ya koi yaatnaaye nahi sahi thi. Meri haalat kuch hi der me aisi ho gayi ki mujhe mahsoos hua ki agar main isi tarah shekhar se pitta raha to jaldi hi behosh ho jaaunga. Mere behosh ho jane ka matlab tha sab kuch khatm ho jana joki main kisi bhi keemat par nahi chaahta tha.

Shekhar mujhe peette peette shayad thak gaya tha. Meri tarah wo bhi bayalees saal ki umar se guzar raha tha. Mana ki achha khana pina aur achhe rahan sahan ki vajah se wo mujhse zyada jawaan nazar aa raha tha lekin iske bavjood umar ka prabhaav apna asar dikhane se nahi chookta. Shekhar thak kar dhima pada to maano mujhe mauka mil gaya aur maine us mauke ko bilkul bhi gawana uchit nahi samjha. Maine lete lete hi ek zor ka punch uski naak me jad diya jiske chalte uski ghuti ghuti cheekh nikal gayi aur uski naak se khoon bahne laga. Wo apni naak pakad kar door hat gaya tha. Pitne ki vajah se dard to bahut ho raha tha mujhe lekin is wakt mujhe apne dard ki parwaah nahi karni thi warna ye mere liye hi bhaari padta. Is liye dard ko badi mushkil se sahte huye main utha aur fir shekhar par laat ghoose barsaane ka kaam shuru kar diya. Iske pahle jaha hall me meri cheekhe goonj rahi thi wahi ab shekhar dard se cheekh raha tha. Ridhima ki khushi palak jhapakte hi gayab ho gayi thi aur ab wo dukhi aur sahmi si nazar aane lagi thi.

Shekhar ko maine zara bhi samhalne ka mauk nahi diya. Halaaki ek do baar usne meri taang pakad kar farsh par gira bhi diya tha lekin main ab dubara usse pittne ki naubat nahi aane dena chaahta tha is liye dard ko sahte huye main fauran hi uth kar uski dhunaayi karne lag jata tha. Jaldi hi shekhar ki haalat kharaab ho gayi aur wo adhamara sa nazar aane laga. Jab maine dekha ki ab wo kuch bhi karne ke kaabil nahi rah gaya hai to maine bhi use maarna band kar diya.

"Kya hua itne me hi hijde ki hekdi nikal gayi?" Main uske kareeb hi ukdu baith kar haafte huye usse bola_____"Lagta hai teri raand ke dwara mile hausle me wo baat hi nahi thi ki tujhe hijde se sachcha mard bana sake."

"Apni ye behuda bakwas band kar aur jaan se maar de mujhe." Shekhar ne us haalat me bhi gusse se tilmilate huye kaha____"Lekin haan, yaad rakhna jis din tu Sanjay uncle ke hath laga us din kutte ki maut marega tu."

"Ab ye to aane wala wakt hi batayega beta." Maine kaha____"Ki kutte ki maut marna kiske naseeb me likha hai. Waise teri jankaari ke liye bata du ki hotel desire ke kamre me jo rasleela tum dono ne ki hai uska full video mere mobile me maujood hai. Zara soch is tarah ki video me kitni taakat hoti hai. Wo badi se badi hasti ko bhi ghutne tekne par majboor kar deti hai, jaise tune mere saamne apne ghutne tek diye hain. Tum dono ke jane ke baad us video ke dwara hi main agla shikaar karuga."

Shekhar meri baate sun kar man masos kar rah gaya. Shayad wo samajh gaya tha ki meri baato me ek kadwi sachchaayi thi jise duniya ka koi bhi shakhs nakaar nahi sakta tha.

"Tere aaka log chaahe jitni badi power aur pahuch ka stemaal kar le ya fir chaahe jitni zyada security ke beech me khud ko kaid kar le." Maine jandaar muskaan ke sath kaha____"Magar mere dwara shikaar hone se unhe duniya ki koi taakat nahi bacha sakti. Main ek ek kar ke un sabko upar bhej doonga jo mere aur mere maa baap ke gunahgaar hain aur sath hi jinka sambandh cms jaisi ghatiya sanstha se hai. Khair baate bahut ho gayi pyaare, ab tum dono ka upar jane ka time aa gaya hai. Alvida meri jaan."

Maine apni coat se khanzar nikala aur isse pahle ki shekhar kuch kar pata ya kuch bol pata maine uske gale ko ek jhatke me cheer diya. Palak jhapakte hi uske gale se khoon ki moti pichkaari foot padi aur uska jism jal bin machhli ki tarah tadapne laga. Mere dekhte hi dekhte kuch hi der me uske jism se jaan juda ho gayi.

Shekhar ke shaant padte hi main ek jhatke se utha aur palat kar ridhima ki taraf dekha. Mujhe apni taraf dekhte hi Ridhima ka maare dar se ek baar fir se moot nikal gaya. Saala ye kya chutiyapa tha? Kya main itna khaufnaak dikhta tha ki mere khauf se kisi ka moot hi nikal jaaye?

"Pl...please mujhe kuch mat karna." Fir wo badi mushkil se khaufzada ho kar boli_____"Maine bhala aapke sath kya bura kiya hai jiske liye mujhe aapke kahar ka shikaar hona pade?"

"Kamaal hai." Maine uske kareeb pahuchte hi uske gore gore gaal par khoon lage khanzar ko touch karte huye kaha____"Tu to is tarah rang badal leti hai ki tere aage girgit ki bhi koi aukaat nahi hai. Abhi kuch hi der pahle tu apne hijde mashook ka hausla badhate huye ye kah rahi thi ki wo mujhe jaan se maar daale aur ab ye kah rahi hai ki tune mere sath bhala aisa kya bura kiya hai jiske liye tujhe mere kahar ka shikaar hona pade...haan?"

"Mu...mujhse galti ho gayi hai maaf kar dijiye please." Ridhima thar thar kaampte huye vinti karte huye ro hi padi_____"Aainda aapke bare me kabhi bhool se bhi aisa nahi sochugi. Please mere sath kuch mat kijiye. Mere bachche anaath ho jaayenge."

"Tere bachcho ko tujh jaisi giri huyi maa ki zarurat bhi nahi hai." Maine khanzar ko uske gaal se sarkaate huye uske gale par laga diya_____"Aur na hi unhe aise baap ki zarurat hai jo unhe ek achha insaan nahi bana sakte aur jo aane wale bhavishya me unhe bhi apne jaisa bana dena chaahte hain."

"Nahi nahi please aisa mat kijiye." Ridhima ka bacha kucha moot bhi nikal gaya. Wo rassiyo se bandhi thi warna wo yakeenan mere pairo par lot jaati aur mujhse raham ki bheekh maagne lagti.

"Alvida meri jaan." Maine sard lahje me kaha_____"Mera wada hai tujhse ki bahut jald tere pati ko bhi tere paas bhej doonga...alvida dear."

Aur khanzar uske gale par chal gaya. Uske gale se khoon ka tez fubbara foota. Main kyoki uske saamne hi khada tha is liye uske khoon ke chheete meri coat par bhi aa gire the. Main fauran hi usse door hat gaya tha. Ridhima jal bin machhli ki tarah kuch der tadpi aur fir wo bhi duniya se rukhsat ho kar shaant pad gayi. Ridhima ne mera coat kharaab kar diya tha. Khoon me nahaye aise coat ko pahan kar main baahar nahi ja sakta tha is liye main palat kar apne thaile ke paas gaya aur usme se sharaab ki bottle nikaali.

Coat ko utaar kar maine farsh par fenka aur fir usme sharaab daal kar maachis dwara usme aag laga di. Coat mota tha aur maine jaldi utaar bhi diya tha is liye khoon meri shirt par nahi lag paya tha joki mere liye achhi baat thi. Khair coat jalane ke baad main ek baar fir se apne thaile ke paas gaya aur usme se ek mota wala tape nikala. Tape ka ek tukda kaat kar maine shekhar ke gale par chipkaya jisse uske gale se khoon ka bahna band ho gaya aur fir ek tukda ridhima ke gale par bhi chipka diya.

Sab kuch finish karne ke baad main araam se ek jagah ja kar baith gaya aur khud ko saaf karne laga. Mere paas samay ki kami nahi thi. Waise bhi din ke ujaale me main do do laasho ko le kar kahi nahi ja sakta tha is liye main araam se shaam ke ghir jane ka intzaar karne laga taaki raat ke andhere me main un dono ko kahi par lawarish ki tarah fenk saku.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 41
____________________[/color]




"Ek to gold khone ka dukh dusre awdhesh ka kisi saamp ki tarah hamare galo me kundali maar ke lipat jana aisa tha maano ye hamare liye ek abhishaap sa ban gaya tha." Ek nayi cigarette jalate huye Sanjay ne aage kahna shuru kiya_____"Ham me se kisi ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki jis gold ko usne hamse chhupa rakha tha use kaise aur kaha khoje aur na hi ye samajh aa raha tha ki us kambakht ko apne raaste se kis tarah se hataaye? Sach to ye tha ki ab hamari haalat apne hi baal nochne jaisi ho gayi thi. Aise me uske saamne ab jhoothe tarike se hi sahi magar muskurana bhi mushkil hone laga tha magar kya kar sakte the? Khair kahte hain na ki upar wale ka karam hone me der zarur lagti hai magar uska karam zarur hota hai aur ham par bhi uska kuch aisa hi karam hua."

"Halaat yakeenan bahut kharaab ho gaye the." Siraj ne maano fir se kamaan samhaalte huye kaha____"Aur hamare bas me kuch bhi nahi rah gaya tha. Hame is baat ka dar bhi satane laga tha ki awdhesh kahi hamare sath koi game to nahi khel raha? Gold usne hi hamare thikaane se nikala tha aur us gold ke dono box se aadhe se thoda kam gold usne nikaal kar kisi aisi jagah par chhupa diya tha jaha par hamare farishte bhi nahi pahuch pa rahe the. In sab baato ke adhaar par ham ye sochne par majboor ho gaye the ki shayad wo hamare sath koi aisa game khel raha ho sakta hai jiska anjaam yakeenan hamare liye achha nahi ho sakega. Ye bhi sambhav tha ki wo hamari kaarguzaariyo ka theekra sanstha ke chief ke saamne khol ke rakh de. Agar aisa hota to yakeenan hamara wajood gahan sankat me aa jata. Ye sab soch kar hamne faisla kar liya tha ki ab chaahe jo bhi ho jaye pahle us gold ko haasil karne ki puri koshish karenge aur agar gold na bhi mila to awdhesh ko to kisi tarike se apne raaste se hatayenge hi. Na rahega baans aur na hi bajegi baansuri, lekin samasya yahi thi ki aisa hota kaise? Tabhi upar wale ka karam hua aur hame apni samasya ko jad se hi mita dene ka haseen aur achook upaay mil gaya."

"Vikram ke maamle ke bare me to tum sabko pata hi hai." Sanjay ne kamre me maujood sabki taraf nazar daalte huye kaha_____"Asal me vikram ke maamle ka shuru hona hi hamare liye upar wale ka karam hone jaisa prateet hua tha. Itne saalo baad hi sahi lekin hame aisa mauka mil hi gaya tha. Halaaki ham me se har koi shuru me vikram ki harkato se hairaan hua tha lekin awdhesh aur madhuri ke alawa ham chaaro ko hi uski harkato se ye soch kar khushi huyi thi ki ab isi ki vajah se hamari samasya ka bhi nidaan ho jayega. Bas fir kya tha, ham bhi bahti ganga me dubki lagane ko taiyaar ho gaye. Awdhesh ke har kriya kalaap par hamari paini nazar thi aur us par nazar rakhne ka faayda ye hua ki hame uski ek nayi baat ka pata chal gaya. Asal me vikram ne jo bakheda shuru kiya tha uski vajah se awdhesh aur madhuri uske liye had se zyada chintit ho uthe the. Hote bhi kyo nahi, le de ke ek wahi to unke vansh ki amarbel tha. Khair hame pata chala ki awdhesh aur madhuri ne apne bete ko is jhamele se nikaalne ke liye ek alag hi tarah ka tarika khoj nikala hai. Wo dono vikram ko is jhamele aur sankat se bachane ke liye use is desh se hi nikaal dena chaahte the aur kisi dusre desh me settle kar dena chaahte the. Anjaane me hi sahi lekin awdhesh ne hame apni ek zabardast kamzori de di thi. Pahli baar aisa hua tha ki awdhesh ke khilaaf hame koi aisa saboot mila tha jiske tahat ham use chief ki nazro me gira sakte the aur sath hi ye bhi kah sakte ki wo sanstha ke prati wafadaar nahi hai. Hamne is kaam me zara bhi der nahi ki balki fauran hi cms ke head quarter pahuch gaye aur chief ke saamne haazir ho gaye. Hamne badi garm joshi se chief ke saamne awdhesh ki kartoot ka bhaanda fod diya. Ham jaante the ki chief ko hamari baato par asaani se yakeen nahi aayega is liye saboot ke taur par hamne mobile dwara kheenche gaye un kaagazo ke photo bhi dikhaye jo awdhesh ne apne bete ko videsh bhejne ke liye gupt roop se banwaye the. Chief saboot dekh kar pahle to shaanti se kuch sochta raha aur fir hamse saare maamle ke bare me jankaari li. Saara kissa sunne ke baad chief behad gussa nazar aane laga. Uske baad usne fauran hi hame hukum diya ki aise dagabaazo ko jaan se maar do. Rahi un dono dagabaazo ke bete ki baat to use uske hi maa baap ke khoon ke ilzaam me fansa do. Us wakt chief ki aisi baate sun kar main andar hi andar is kadar khushi se jhoom utha tha ki uska bayaan main shabdo me hargiz nahi kar sakta tha. Ji kar raha tha us khushi me main chief ke saamne hi bhaangda dance karne lagu lekin maine aisa karna bilkul bhi thik nahi samjha, kyoki isse baat ke bigad jane ka sau pratishat khatra tha. Khair chief ka gazabnaak hukum mil chuka tha is liye ab hame duniya me kisi ka dar hi nahi rah gaya tha."

"Un dino gulfam videsh me hi tha." Siraj ne kaha_____"Halaaki ham use yaha ke halaato ki khabar dete rahte the. Khair chief ke hukum par ham teeno hi awdhesh ke bangle ki taraf nikal liye. Raaste me hamne yojna banaayi ki dono miya biwi ka khoon is tarah se kiya jaye ki unke khoon ke ilzaam me unka beta fans jaye aur aisa fanse ki kanoon ki giraft se wo kabhi chhoot hi na sake. Sanjay ne mujhe police ko inform karne ka kaam saumpa aur jeewan ko awdhesh ke bangle par maujood sabhi guards ko gaayab karne ka kaam diya. Iske liye hamne apne sath sanstha ke chaar paanch agents ko bhi sath le liya tha. Sanjay ne iske aage ka baaki sara kaam apne hath me le liya tha. Ham sabko pata tha awdhesh ke bangle me un dono ke alawa Savita naam ki uski ek naukraani bhi hai jo hamare liye samasya ban sakti thi lekin mujhe yakeen tha Sanjay use bhi samhaal lega."

"Awdhesh ko zara bhi andesha nahi tha ki aaj uske upar kitni badi gaaj girne wali thi." Sanjay ne lambi saans chhodte huye kaha_____"Bangle ka darwaza hamesha ki tarah band tha lekin master key mere paas thi. Maine badi hi sawdhaani se lock ko khola aur fir badi hi sawdhani se darwaze ke dono pallo ko andar ki taraf dhakela. Uske baad main andar daakhil ho gaya. Us wakt mere dil ki dhadkane dhaad dhaad kar ke baj rahi thi. Beshak ham sab cms jaisi sanstha ke trained member the lekin katl jaisi wardaat ko anjaam dene ka kabhi mauka hamare hath nahi laga tha. Halaaki main gussail swabhaav ka insaan tha aur apne gusse ke chalte maine apni life me jane kitne hi logo ko buri tarah se peeta tha lekin aaj tak kabhi kisi ko jaan se nahi maara tha. Khair apni badhi huyi dhadkano ko kisi tarah kaabu karte huye main andar daakhil hua aur abhi dring room me pahucha hi tha ki baye taraf se Savita aati huyi nazar aayi. Uski nazar mujh par nahi padi thi. Main use dekh kar ekdam se hadbada gaya tha lekin fir jaldi hi khud ko samhaala aur badi tezi se uski taraf lapka. Isse pahle ki Savita kuch samajh paati maine uski kanpati ke khaas hisse par badi zor se revolver ke daste ka waar kiya. Waar karne se pahle maine uske mukh par apni hatheli ko kisi pressure cooker ke dhakkan ki tarah fit kar diya tha taaki dard ki vajah se jab wo cheekhe to uski cheekh mukh ke andar hi apna dam tod de. Khair Savita jaldi hi behosh ho kar meri baaho me jhool gayi thi. Maine fauran hi use utha kar uske kamre me pahucha kar baahar se darwaza band kar diya. Uske baad khud ki badhi huyi saanso ko niyantrit karte huye main awdhesh ke kamre ki taraf be-awaaz aur badi sawdhaani se badhna shuru kiya. Katl un dono pati patni ka hone wala tha aur haalat meri kharaab huyi ja rahi thi lekin iske bavjood main uske kamre ki taraf badhta hi ja raha tha. Jaldi hi main kamre ke darwaze ke sameep pahuch gaya. Kuch bhi karne se pahle maine shaanti se andar hone wali kisi bhi tarah ki aahat ko sunne ka prayaas kiya lekin kafi der darwaze par kaan lagaye rakhne par bhi mujhe andar se kisi bhi tarah ki aahat ka abhaas nahi hua. Ek pal ko to mujhe laga ki kya wo dono andar kamre me nahi hain? Agar aisa hua to saara khel hi bigad jayega. Apni garaj ke chalte maine darwaze ko badi hi sawdhaani se andar ki taraf halke se push kiya to darwaza halka sa andar ki taraf khula. Darwaze ke beech halki jhiri si ban gayi thi is liye main us jhiri se andar kamre me dekhne ka prayaas karne laga. Andar kamre me mujhe wo dono nazar na aaye. Maine darwaze ko thoda aur andar ki taraf push kiya to is baar darwaza pahle se zyada khul gaya. Is baar mujhe kamre ka drishya kshetrafal ki drishti se zyada nazar aaya lekin is baar bhi kamre me wo dono mujhe nazar na aaye. Main hairaan pareshaan ho kar soch me pad gaya ki kaha gaayab ho gaye honge wo dono? Fir achanak se mujhe tahkhane ka khayaal aaya. Agar wo kamre me nahi the to zaahir hai ki wo tahkhane me hi honge. Maine bed ki taraf gaur se dekha to meri shanka sahi saabit huyi. Bed apni jagah se khiska hua tha aur uske neeche bichha hua kaleen bhi thoda ast byast sa tha. Halaaki tahkhane ka gupt darwaza khula hua nahi nazar aaya mujhe. Kuch pal sochne ke baad main bekhauf darwaze ke andar daakhil ho gaya. Abhi main daakhil hi hua tha ki tabhi bed ke neeche bichha rahne wala kaleen apni jagah se upar uthne laga. Main ekdam se chaunka aur jhat se bed ke unche sirhaane ke pichhe ja kar chhup gaya. Mere dekhte hi dekhte kaleen ke sath sath tahkhane ka gupt darwaza bhi upar uth gaya aur fir uske andar se ek ek kar ke awdhesh aur madhuri baahar aa gaye. Tahkhane ke darwaze ko band kar ke aur kaleen ko gupt darwaze ke upar sahi se bichha kar dono khade ho gaye. Uske baad awdhesh bed ko uski sahi position me laane ke liye jaise hi ghooma to bed ke sirhaane par mujhe khada dekh wo buri tarah uchhal pada aur agle hi pal madhuri ka bhi yahi haal hua."

"Sa...Sanjay tum yaha kaise?" Awdhesh hakbakaya sa bol pada tha____"Is tarah chori chhupe kisi ke kamre me aane ka kya matlab hai?"

"Sab kuch bataaunga dost." Maine badi hi jandaar muskaan ke sath kaha tha____"Lekin usse pahle main tumse ye jaanna chahta hu ki jis sone ko tumne mere dono box me se nikala hai use kaha chhupa rakha hai tumne?"

"Ye kya bakwas kar rahe ho tum Sanjay?" Awdhesh ne ekdam se baukhla kar gussa hone ka dikhawa kiya_____"Main kisi sone ke bare me nahi jaanta."

"Tab to tum ye bhi nahi jaante hoge ki tumhare tahkhane se gold se bhare dono box kaise gaayab ho gaye, hai na?" Maine byangaatmak bhaav se muskura kar kaha.

"Oh to tum chaahte ho ki is bare me khul kar baat ki jaaye?" Awdhesh is baar normal ho kar muskuraya tha_____"Chalo fir yahi sahi, haan mujhe pata hai ki mere tahkhane se wo dono box tumhare alawa kisi ne bhi gaayab nahi kiye hain iske bavjood maine tumse is maamle me koi puchtaachh nahi ki. Kya tum jaanna nahi chaahoge ki aisa maine kyo kiya?"

"Tumhe batane ka itna hi shauk hai to khud hi bata do dear." Main bhi is baar muskura utha tha_____"Main bhi to sunu ki tumne ham par kis tarah ka ehsaan kiya hai?"

"Baat ehsaan ki nahi hai." Awdhesh ne kaha_____"Baat hai us dhokhe ki jo tumne mere sath hi nahi balki sanstha ke sath bhi kiya hai. Mujhe shuru se hi pata tha ki tum sab meri aankho me dhool jhonk kar sanstha ke har karobaar me ghapla kar rahe ho lekin maine uske liye tum me se kisi ko bhi kuch nahi kaha. Jaante ho kyo, kyoki main dekhna chaahta tha ki tum log mujhe gart me dubane ke liye kis had tak ja sakte ho? Main nahi janta ki maine aisa kya gunaah kar diya hai jiske liye tum sab mujhe apna dushman samajhne lage ho. Maine to har keemat par tum logo ko apna dost hi samjha hai aur tum sabke prati wafadaar hi raha hu. Sanstha ke chief ne mujhe tripple ex ka ohada diya lekin mujhe wo swikaar nahi tha. Yakeen maano maine is ohade ki kabhi chaahat nahi ki thi. Us din tum sabki pratikriya aur bhaav dekh kar main samajh gaya tha ki mere us ohade se tum sab nakhush ho gaye the. Dil me ye soch kar zarur dukh hua tha ki tum sab mere kaise dost ho jo apne hi dost ki tarakki se khush nahi huye lekin fir ye soch liya ki koi baat nahi. Jo hona tha wo to ho hi gaya tha magar main kabhi bhi apne unche ohade ke chalte tum me se kisi par bhi hukum nahi chalaaunga balki apne ohade ko taak par rakh har kshetra ka karobaar tumhe apni marzi se chalane ko kah doonga. Mera khayaal tha ki mere aisa karne se shayad tum logo ke andar se mere prati ubhar aayi irshya aur jalan door ho jaayegi lekin main galat tha kyoki aisa hua hi nahi. Main tab bhi khamosh raha aur sab kuch apni kismat par chhod diya. Uske baad mujhe tum sabke ghaplo ki khabar lagi to maine apne tarike se jaanch ki aur paya ki tum logo ne to mujhe jad se mita dene ka prabandh hi kar diya hai. Yakeen maano us din mujhe bahut dukh hua tha. Itna kuch hone ke baad bhi maine tum logo se koi shikaayat nahi ki. Jaante ho kyo, kyoki main kuch bhi sahan kar sakta tha lekin tum logo ki dosti ko khona nahi chaahta tha. Yakeen maano Sanjay, tumne sirf ek baar agar ye kaha hota ki tripple ex ka ohada tumhe chahiye to main apni jaan de kar bhi tumhe wo ohada dila deta magar niyati ko to shayad kuch aur hi manzoor tha. Jab maine dekha ki tum logo ke dil me mere prati puri tarah se zahar bhar chuka hai aur tum log sach me hi mujhe apna sabse bada dushman samajhne lage ho to mujhe bhi ehsaas hua ki kya aise haal me bhi mujhe shaant rahna chahiye aur tum logo ko apna dost samajhna chahiye? Shayad ab aisa nahi karna chahiye tha mujhe. Agar tum logo ko apni soch aur neeyat ke sath har kaam ko karne ka hak tha to tumhari tarah main bhi to ek insaan hi tha. Mujhe bhi to apni soch aur neeyat ke sath jine ka hak tha. Bas, uske baad maine tum sabki kartooto par nazar rakhni shuru kar di. Main apni aankho se dekh raha tha ki kaise tum log karobaar me ghapla kar ke gold se 25% hisse ki chori karte ho aur fir us gold ko kis khaas jagah par le ja kar chhupate ho. Mauka dekh kar maine bhi tumhara hi raasta apnaya. Yaani tumhare khaas adde se gold ke wo dono box nikaal kar apne bangle ke tahkhane me rakh diya. Main chaahta to tumhare ghaplo ki khabar chief ko bhi de sakta tha, bhale hi uske liye mujh par bhi khatra aa jata lekin maine aisa is liye nahi kiya kyo ki ye anokhi jung sirf aur sirf hamare beech ki thi. Jis gold ko tum sabne meri aankho me dhool jhonk kar churaya tha aur jis par tum sab apna hak jata baithe the us gold par asal me dekha jaye to sabse zyada mera adhikaar tha, kyoki wo sab meri meharbaaniyo se hi tum logo ko praapt hua tha. Agar main aankh band kar ke papers par sign hi nahi karta to bhala kaise tum log aisa koi ghapla kar pate? Yahi soch kar maine dono box se apna hissa nikaal liya jise tumne khojne ke liye edi se choti tak ka zor laga diya hai."

"Tumhari bakwas bahut sun li maine." Maine shakht bhaav se kaha tha awdhesh se____"Ab mujhe bataao ki jis gold ko tumne apna hissa samajh kar box se nikala hai use kaha chhupa ke rakha hai?"

"Kya tumhe lagta hai ki tum mujhe dhamki doge aur main tumhari dhamki se khaufzada ho jaaunga?" Awdhesh ne maano mera mazaak sa udaate huye kaha tha____"Bhala ye kaha ka insaaf hua Sanjay ki chori kiye gaye gold par tumne baaki sabko to hissa dena swikaar kar rakha hai aur idhar mera hissa mujhe hi dene ko taiyar nahi ho? Bhala mere sath aisa anyaay kyo dost?"

"Kyoki usme tumhara koi hissa hai hi nahi bevkoof." Awdhesh ki baate sun kar mujhe gussa aane laga tha____"Aur agar hota bhi to main tumhe nahi dena chaahta. Ab isse pahle ki main gusse me apna aapa kho du aur mujhse koi anarth ho jaye saaf saaf bata do ki us sone ko kaha chhupa ke rakha hai tumne?"

"Batane ka to sawaal hi paida nahi hota dear friend." Awdhesh ek baar fir se muskuraya tha_____"Jitna mere hisse ka tha utna maine le liya hai aur ab wo tumhe kisi bhi keemat par nahi milega. Behtar hoga ki tum achhe se is baat ko samajh jaao aur us sone ko bhool jaao."

Ek to main pahle se hi us haramkhor se khaar khaya hua tha dusre jis tarah ki wo baate kar raha usse mere andar ka gussa had se bhi zyada badh gaya tha. Maine aaw dekha na taav ek jhatke se coat ki jeb se revolver nikaal liya aur kuch hi kadmo ki doori par khadi madhuri par taan diya. Madhuri ne jaise hi apni taraf revolver ki naal ko tana hua dekha to dar ke maare uski ghigghi si bandh gayi. Awdhesh ke chahre par bhi maine pahli baar bhay ke bhaav gardish karte dekhe the. Maine aakhiri warning dete huye awdhesh se kaha ki wo mujhe sone ka pata bata de lekin usne batane se saaf inkaar kar diya. Chief ka to aadesh hi tha un dono ko khatam kar dene ka is liye maine ab zyada samay ko barbaad karna thik nahi samjha tha. Agle hi pal maine revolver ka trigger daba diya. Ek dhamake ki awaaz huyi aur agle hi pal kamre me madhuri ki dardnaak cheekh goonj uthi. Goli uski chhati par dil wale hisse par lagi thi is liye use upar wale ke paas pahuchne me zyada wakt nahi laga. Wo lahra kar dhadaam se farsh par ja giri thi. Apni biwi ko apratyashit roop se is tarah maut ke muh me chala gaya dekh awdhesh but sa bana khada rah gaya tha. Aisa laga jaise wo kisi gahre sadme me chala gaya ho lekin jaldi hi use hosh aaya aur apni biwi ko mara hua dekh uska chehra gusse se tamtama utha. Maine agar fauran hi na bhaanf liya hota to yakeenan wo mujh par toot padta lekin ain mauke par maine revolver ka trigger daba diya tha jiske chale revolver se dahakta hua shola nikla aur awdhesh ke jism me sama gaya. Wo kate huye pedh ki tarah lahraya aur fir wo bhi madhuri ki tarah kamre ke farsh par ja gira. Dono ka hi khoon farsh par failta ja raha tha. Chief ke hukum par maine apna kaam kar diya tha is liye ab mera waha par rukna bilkul bhi sahi nahi tha. Maine Madhuri aur awdhesh ki dono laasho ke saamne bed ko sakra kar chhipa sa diya aur fir baahar aa kar maine Savita ke behosh jism ko kandhe par laad kar bangle se baahar aa gaya. Savita ham sabke liye khatra ban sakti thi is liye us bangle se use apne sath lana zaruri tha. Hosh me aane ke baad jab main use thes hindi me uski haalat ki gambheerta ka ehsaas dilata to mujhe pura yakeen tha ki wo hamesha ke liye apne muh ko sui dhaage se sil lena hi behtar samajhti."

"Sanjay ne jab mujhe phone par bataya ki usne apna kaam badi safaayi se kar diya hai to maine police ko inform karne ka kaam shuru kar diya." Sanjay chup hua to siraj ne aage kahna shuru kiya____"Lekin usse pahle sabse zyada zaruri ye tha ki vikram bhi sahi wakt par bangle me pahuch jaaye. Mujhe sanstha ke agents dwara khabar mili ki vikram ko unhone apne bangle ki taraf jate huye dekha hai, yaani kuch hi der me wo bangle par pahuch jane wala hai. Maine fauran hi sambandhit thaane ke incharge ko ek aise number se phone kiya jo farzi documents dwara praapt kiya tha maine. Thane ke incharge ko pahle to maine idhar udhar ki baato me ghumaya uske baad use asal baat bataayi ki shahar ke mahshoor business man awdhesh singh aur unki biwi ka kisi ne katl kar diya hai. Thana incharge meri is baat se buri tarah hakbaka gaya tha, use laga main mazaak kar raha hu. Maine us koodhmagaj ko thes hindi me samjhaya ki ye koi mazaak ki baat nahi hai aur agar use meri baat par yakeen nahi hai to wo khud awdhesh singh ke bangle me ja kar is baat ki pushti kar sakta hain. Maine use ye bhi khaas taur se bataya ki hatyara abhi bhi bangle me maujood hai lekin agar usne bangle me pahuchne me laparwaahi dikhaayi to hatyara uski pakad se itna door bhi ja sakta hai ki fir is janam me use pakad pana uske bas ki baat hi nahi rah jayegi. Itna kah kar maine phone kaat diya. Main jaanta tha ki thana incharge meri baato ko nazarandaaz karne ki bevkoofi nahi kar sakta tha. Idhar ab main yahi dua kar raha tha ki police ke aane se pahle vikram bangle me pahuch jaye taaki wo apne hi maa baap ke katl ke jurm me fans jaye. Uske baad kya hota ye batane ki zarurat hi nahi hai kisi ko. Khair upar wale ka sach me ham par karam tha ki kuch hi der me vikram bhaagta hua apne bangle par pahuch gaya. Uske pahuchne ke kareeb paanch minute baad police bhi bangle par pahuch gayi. Main Sanjay aur jeewan door se ye sara manzar dekh rahe the. Uske baad wahi hua jis cheez ke hone ki hamne bisaat bichhaayi thi. Kuch hi der me hamne dekha ki kuch police wale vikram ko kheenchte huye bangle se baahar la rahe the. Wo buri tarah cheekh raha tha aur ro bhi raha tha. Itna hi nahi cheekh cheekh kar ye bhi kah raha tha usne apne mata pita ka khoon nahi kiya hai lekin ye to jag zaahir baat hai na ki har mujrim jurm karne ke baad yahi kahta hai ki usne koi jurm nahi kiya hai. Police wale bhi vikram ke maamle me yahi samajh rahe the. Bangle ke us kamre me se Sanjay ke koi finger prints nahi mile the kyoki isne sab kuch ek majboot plan ke tahat kiya tha. Hatho me gulbs pahan rakhe the isne aur pairo me jooto ke upar plastic pahan rakha tha is liye farsh par iske pairo ke nishaan milna bhi asambhav hi tha. Baad me hame pata chala ki revolver par vikram ke finger prints paaye gaye the. Hamne andaza laga liya tha ki zarur usne revolver ko apne hath me liya hoga. Sanjay jaan boojh kar us revolver ko ghatna sthal par chhod aaya tha. Shayad ise andesha tha ki vikram jab apne maa baap ko mara hua dekhega to wo apne hosh kho baithega aur us haalat me jab use revolver dikhega to wo use bina soche samjhe utha kar dekhne ki moorkhata kar baithega. Bas itna kaafi tha vikram ke liye umar bhar jail me sadne ke liye. Hamne apni pahuch ka stemaal kar ke aisa wakeel niyukt kiya tha jisne apni daleelo se ye saabit kar diya tha ki vikram ne hi apne mata pita ka khoon kiya hai kyoki uske mata pita uski aiyaashiyo ke liye use uski maang ke anusaar paisa nahi dete the. Is liye bigdail aur gussail wala swabhaav rakhne wale bete ne gusse me aa kar apne mata pita ko goli maar di. Vikram ko saza is liye bhi mil gayi thi kyoki uske paksh me kisi ka majboot hath nahi tha aur na hi koi uske paksh me bolne wala maujood tha. Ham to chaahte hi yahi the ki vikram ko ya to faansi ho jaye ya fir umar kaid ki saza, aise me ham bhala kaise uske paksh me aa kar khade ho jate aur apne mansubo par paani fer dete?"

"Ab tak us ladke ne jo kuch kiya hai usse main yahi samajhti thi ki kitna zaalim hai wo." Keerti ne Sanjay ki taraf hikaarat se dekhte huye kaha_____"Magar aaj pata chala ki usse bhi bada agar koi zaalim hai to wo aap log ho jisne uske sir se uske mata pita ka saaya to chheena hi sath me use apne hi mata pita ke ilzaam me fansa kar use jail me bhi dalwa dene me koi kasar nahi chhodi. Aap logo ne uske aur uske mata pita ke sath bilkul bhi thik nahi kiya. Madhuri apni sagi bahan se bhi zyada pyar karti thi mujhe. Kitni milansaar thi wo. Aaj bhi jab uska khayaal aata hai to dil me dard hone lagta hai. Awdhesh bhai sahab to aur bhi achhe the. Ham sab bhale hi aisi sanstha se jude the aur sab ek dusre se limit se zyada hasi mazaak karte the lekin unhone kabhi bhi apni limit cross nahi ki. Tumhare dwara sunaye gaye kisse se hi hame pata chala hai ki wo insaan shuru me tum logo jaisa nahi tha balki wo tum logo ki sangat me rah kar hi aisa ban gaya tha lekin iske bavjood uske andar se uski achhaayi nahi gayi thi. Aakhiri wakt tak wo tum sabko apna dost hi manata raha aur tum logo ne use ye sila diya? Aap logo ki soch itni giri huyi ho sakti hai ye aaj jana hai hamne. Kasam se tum logo se ghrina si hone lagi hai mujhe."

"Main keerti ki baato se sahmat hu." Saumya ne kaha_____"Aaj jo kuch hamare sath ho raha hai wo sab in logo ke bure karmo ka hi natija hai. Kisi ke sath agar itna bada anyaay aur itna bada zulm ho aur wo apne andar badle ki bhaavna bhi na rakhe to fir wo kaisa mard hua? Antariksh me bhatak rahi uske mata pita ki aatmaaye bhi apne bete se yahi ummid lagaye hongi ki ek din wo unke hatyaro ko maar kar unhe insaaf dilaayega, tabhi unki aatma ko shaanti milegi. Mujhe badi shiddat se ehsaas ho raha hai ki us masoom ne in bees saalo me jail me rah kar kaise kaise na kast sahe honge. Bhari jawaani me uske mata pita guzar gaye aur use jail jana pada. Puri jawaani uski jail me hi swaha ho gayi. Jawaan ladke ke man me kaise kaise sapne hote hain aur kaise kaise wo armaan sajate hain lekin vikram jaise badnaseeb ke liye to jaise ye sab bemaani ho gaye the. Main jaanna chhati hu ki itna bada atyachaar karte samay kya ek baar bhi aap logo ka kaleja nahi kaampa tha? Kya ek baar bhi us masoom par aap logo ko daya nahi aayi thi. Sanjay bhai sahab aap to hamesha kaha karte the ki aap vikram ko apne bete ranjan se bhi zyada pyar karte hain to kya yahi pyar tha aapka ki aapne us masoom ke mata pita ko to chheena hi sath hi aapne uski zindagi ko bhi nark bana dene se pichhe nahi rahe? Itna patthar dil kaise ho sakte hain aap? Mujhe to ashcharya hota hai ki itna bada paap karne ke baad bhi aap log kaise bees saalo se chain aur sukoon ke sath ji rahe hain?"

Keerti aur saumya ki baato ka Sanjay aur siraj ke paas maano koi jawaab nahi rah gaya tha. Chehre par jaha thoda sharm ke bhaav numaya ho uthe the wahi patthar jaisi kathorta bhi saaf gardish karti nazar aa rahi thi. Un sabke beech hi baithe tarun ki aankho se aansu chhalak pade the.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 42
____________________[/color]




Sanjay bhatiya ke bangle ke us khaas kamre me ekdam sannata sa chha gaya tha. Saumya aur keerti ki baato ka Sanjay aur siraj ke paas koi jawaab nahi tha. Abhi kamre me sannate ko byaapt huye kuch hi wakt guzra tha ki tabhi Sanjay bhatiya ka mobile baja jisse sabka dhyaan Sanjay ki taraf aakarshit hua. Sanjay ne coat ki jeb se mobile nikala aur call recieve kar ke mobile ko kaan se laga liya.

Udhar se phone karne wale ne Sanjay se kuch aisa kaha ki uske hath se mobile chhoot kar farsh par ja gira. Kamre me baithe baaki log Sanjay ke hath se mobile chhoot kar girta dekh ekdam se chaunk pade aur sath hi tension me aa gaye. Sabko pata tha ki shekhar aur ridhima gaayab hain aur nishchay hi unke gaayab hone me vikram ka hi hath hai. Sabke man me tarah tarah ke daraawne khayaal aane lage.

"K..kya hua Sanjay?" Bagal se hi sofe par baitha siraj ekdam se usse puchh baitha_____"Kiska phone tha aur phone karne wale ne aisa kya kah diya tumse ki tumhare hath se mobile hi chhoot kar farsh par gir gaya? Saaf saaf bataao, koi aisi baat to nahi ho gayi hai jise sun kar ham sahan hi na kar paaye?"

"Badi dukhad khabar hai siraj." Sanjay ne hataash aur dukhi bhaav se kaha_____"Ek agent ka call tha. Usne bataya ki unhe shekhar aur ridhima dono hi mil gaye hain lekin jis haalat me mile hain us haalat me unhe dekh kar hamara hi kya kisi ka bhi dil dahal jaayega."

"Y...ye kya kah rahe ho tum?" Sanjay ki baat sunte hi jaha kamre me maujood aurte dahaade maar maar kar rone lagi wahi siraj ne khud ke jazbaato ko kisi tarah kaabu karte huye usse puchha_____"Kya tum ye kahna chaahte ho ki us hatyare ne unhe bhi jaan se maar diya hai?"

"Haan siraj, yahi sach hai." Sanjay ne gambheerta se kahte huye sir jhuka liya, fir bola_____"Ek baar fir se ham apno ki jaan bachane me nakaam rahe."

"Ye sab tum logo ki vajah se hi hua hai sanjay." Garima buri tarah rote huye cheekh padi thi____"Pahle usne mere pati ko jaan se maar diya aur ab mere bete ki bhi jaan le li usne. Mere pati ko usne maar daala iska mujhe dukh to hai lekin utna nahi kyoki mera pati tha hi is laayak. Usne bhi to uske mata pita aur uske sath wahi kiya tha jo tum logo ne kiya hai magar mere bete ne aur tumhare khud ke bete ne uska kya bura kiya tha jiske chalte usne use bhi maar daala? Itna hi nahi usne to siraj ki bahu Ridhima ko bhi maar daala. Bhala Ridhima ne uska kya bura kiya tha? Abhi tak to wo mardo ko hi apna shikaar bana raha tha lekin ab wo ghar ki bahuo ko bhi apna shikaar banane laga hai. Minakshi to abhi bhi uske rahmo karam par hi jeewit hogi aur mujhe yakeen hai ki ek din wo use bhi jaan se maar dega. Hey upar wale, ye sab dekhne se pahle mujhe maut kyo nahi aa jaati?"

Garima buri tarah roye ja rahi thi. Keerti aur saumya bhi ro rahi thi aur ek dusre ko dilasa de rahi thi. Ek taraf baitha tarun kisi sadme me chala gaya sa nazar aane laga tha. Ab tak uske do dosto ko vikram ne jaan se maar diya tha aur yakeenan ab usi ka number lagne wala tha. Use khud ke marne ka dukh nahi tha kyoki ab wo aisi mansikta me pahuch gaya tha ki wo khud ko bhi vikram ka gunahgaar samajhne laga tha aur sach tha bhi yahi.

Kamre me hi kya pure bangle me maatam ka maahaul chha gaya tha. Aurto ka cheekho pukaar mach gaya tha jo shaant hone ka naam hi nahi le raha tha. Sanjay aur siraj se jab ye sab na dekha gaya to wo dono kamre se baahar chale gaye aur dubara agents ko call kar ke shekhar aur ridhima ki dead body ki jaanch karne ka hukum diya. Agents ko sirf jaanch karne ka hukum diya tha usne, laasho ko laane ka hukum nahi diya tha kyoki ye ab police ka maamla ban chuka tha.

[][][][][][]

Raat maya ko phone par bata kar main gaziabad nikal gaya tha, kyoki us jagah se wo paas me hi tha. Maine phone par maya ko saari baate bata di thi jise sun kar maya ne sirf itna hi kaha ki aisi situation me ab mujhe apne aapko safe rakhne ki shakht zarurat hai. Is liye bewajah main kahi bhi na jaau. Khair kareeb aadhi raat ko main gaziabad me Dinesh ke makaan par pahucha. Mere door bell bajane par thodi der me Dinesh ne hi darwaza khola tha. Shayad wo apne gaav se waapas aa gaya tha. Usne mujhe apne na rahne par yaha ki jimmedaari saumpi thi lekin main uski di huyi jimmedaari nibha nahi paaya tha. Nibhata bhi kaise, main to apne hi maamle me uljha hua tha.

Khair Dinesh ne mujhse mera haal chaal pucha aur fir andar aane ka raasta diya to main andar daakhil ho gaya. Usne khane ke bare me puchha to maine usse kaha ki sirf chaay piyuga. Kuch hi der me uski biwi chaay bana kar le aayi aur mujhe chaay ka cup pakda diya. Uski shakal se hi lag raha tha ki use need se jagaya tha Dinesh ne. Usne mujhe ajeeb bhaav se dekha aur bina kuch kahe waapas chali gayi. Mere chaay pine tak Dinesh mere paas hi baitha raha aur mere itne dino tak gaayab hone ki vajah puchhta raha jise maine apne tarike se use jawaab de kar shaant kar diya. Uske baad usne puchha ki kya ab main auto chalane ke liye taiyar hu to maine use bataya ki abhi main apni khud ki pareshaniyo me uljha hua hu is liye iske liye mere paas time nahi hai. Khair maine jeb se nikaal kar use uske kamre ka kiraya diya aur fir upar apne kamre ki taraf ye kah kar chal diya ki raat kaafi ho gayi hai is liye so jana chahiye hame.

Upar apne kamre me aa kar maine sabse pahle kamre ko andar se kundi laga kar band kiya aur fir bistar ko jhaad kar achhe tarike se lagaya. Uske baad paint utaar kar main araam se us par pasar gaya. Aaj jo kuch bhi maine kiya tha wo sab meri aankho ke saamne kisi chal chitra ki tarah nazar aane laga tha. Maine bechaini se karwat badli aur aankh band kar ke sone ki koshish karne laga. Thaka hua tha is liye jaldi hi main neend ki aagosh me chala gaya.

Subah kisi ke darwaza khatkhatane se meri aankh khuli to main angdaayi lete huye bistar se utra aur fir darwaza khola. Mere saamne Dinesh ki biwi swati khadi thi. Main abhi bhi neend wale nashe me hi tha is liye maine us par achhe se dhyaan nahi diya lekin achanak hi uski shakht awaaz ko sun kar main chaunk pada aur lagbhag aankhe faad kar uski taraf dekhne par majboor ho gaya.

"Tumhari besharmi to din par din badhti hi ja rahi hai." Swati ne teekhe bhaav se kaha_____"Aur itni zyada badh gayi hai ki ab tumhe kisi ke bhi saamne kis tarah se khade hona chahiye iska lihaaj bhi nahi raha."

"Are ye kya kah rahi hain aap bhabhi?" Main uski baato se buri tarah hairaan ho gaya tha. Mujhe samajh me nahi aaya ki subah subah wo mujh par itna zyada kyo bhadak gayi thi, is liye puchha_____"Bhala aisa kya kar diya hai maine jiske chalte aap mujhe ye sab kah rahi hain?"

"Bhola banne ki koshish mat karo." Swati ne gusse se meri taraf dekha_____"Kya tumhe apni haalat ka ehsaas nahi hai ki is wakt tum kis haalat me mere saamne besharmo ki tarah khade ho?"

Swati ki baat sun kar mere kund pade zahen me achanak se kuch khayaal ubhre aur maine fauran hi sir jhuka kar apne jism ke nichle hisse ki taraf dekha to mere hosh ud gaye. Niche maine sirf kachha pahan rakha tha aur kachchhe ke andar mera land is wakt apne pure raudra roop me kuch is tarah se khada tha jaise usne Swati ki taraf nishana bana rakha ho aur mera ishara milte hi wo kamaan se chhoote huye teer ki tarah bijli ki si speed se ja kar Swati ki choot me sama jaayega.

Main apni aisi haalat ko dekh kar buri tarah hadbada gaya aur Swati se maafi maagte huye jaldi se palat kar kamre me ghus gaya. Jaldi jaldi maine apni kamar me towel lapeta aur apne land ke ubhaar ko kaafi had tak chhupane ka prayaas karte huye fir se darwaze ke paas Swati ke saamne aa gaya.

"Maaf karna bhabhi." Fir maine nazre jhuka kar usse kaha_____"Lekin yakeen maaniye aapke saamne aisi haalat me main jaan bujh kar nahi aaya tha aur na hi mujhe apni aisi haalat ka pata tha. Main to gahri neend me tha aur jab aapne darwaza khatkhataya to main bedhyaani me usi haalat me darwaza kholne aa gaya."

"Dekho to safaayi dete huye bhi in mahashay ko sharm nahi aati." Swati ab bhi mujhse chidhi huyi thi, boli_____"Jabki main achhe se jaanti hu ki tumhare jaise insaan ke andar sharafat ka koi naamo nishaan nahi hai."

"Agar aap mere bare me aisa sochti hain to isme koi kuch nahi kar sakta bhabhi." Maine bhi is baar thoda talkh lahje me kaha_____"Kisi bhi insaan ki hakikat ya to wo khud jaanta hai ya fir upar wala. Dusri baat agar aapko mujhse itni hi zyada samasya hai to thik hai main aaj hi yaha se apna boriya bistar le kar chala jaaunga. Mujhe bhi bewajah kisi ke mukh se is tarah baate sunna pasand nahi hai. Aur haan, ek baat to bataaiye kya subah subah kisi bhi mard ke sath aisa nahi hota ki uska guptaang apne pure jalaal par khada rahe? Dinesh bhai sahab ka bhi to khada rahta hoga to kya aap unhe bhi aisi hi baate sunaati hain? Sabse badi baat, aap khud mere kamre me aayi hain aur aapko meri aisi haalat se rubaru hona pada, isme meri kya galti hai?"

Meri shakht baate sun kar Swati kuch na bol saki. Usne apne hath me liya hua cup meri taraf badhaya jise maine le liya. Uske baad wo bina kuch bole niche chali gayi. Uske jane ke baad main bhi palat kar apne bistar par aa gaya aur chaay pine laga jo kareeb thandi ho gayi thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki Swati mujhse itna chidhi huyi kyo thi? Wo koi bachchi nahi thi jise ye pata na ho ki subah subah har jawaan mard ka land peshaab ke pressure ke chalte khada rahta hai. Apne land ko subah subah koi bhi jaan bujh kar khada kar ke kisi aurat ke saamne nahi jata. Ye to ek natural si baat hai to fir aisi natural baat ke liye Swati ka ravaiya mere prati aisa kyo tha?

Chaay pi kar main kamre se baahar nikla. Peshaab ka pressure aur bhi badh gaya tha is liye main fresh hone ke liye bathroom ki taraf badh chala. Abhi main bathroom ke kareeb hi pahucha tha ki tabhi bathroom ka darwaza khol kar aarti baahar nikli. Ham dono ki hi nazre ek dusre se chaar huyi lekin na maine koi reaction diya aur na hi usne. Halaaki wo mujhe dekh kar thoda chaunki zarur thi.

Fresh hone ke baad maine kamre me aa kar dusre kapde pahne aur kamre ke darwaze par tala laga kar seedhiyo se niche aa gaya. Niche Dinesh mujhe kahi nazar na aaya. Main samajh gaya ki wo subah chaar baje hi auto le kar apne kaam par nikal gaya hoga. Main mukhya darwaze ki taraf badha hi tha ki pichhe se Swati ki awaaz mere kaano me padi. Wo mujhe breakfast karne ko kah rahi thi jiska jawaab maine bina uski taraf palte hi ye diya ki_____'Koi zarurat nahi hai.'

Main Swati ke behaviour se bhannaya hua tha is liye uske ghar se hi nikal aaya. Waise dekha jaye to jis tarah ke halaat maujuda samay me bane huye the un halaato me mujhe baahar nahi jana chahiye tha lekin Swati se gussa hone ki vajah se main baahar nikal aaya tha. Mera khaas thaila mere paas hi tha. Jaldi hi maine ek auto pakda aur auto wale ko ek khaas jagah par chalne ko kaha. Kareeb das minute baad auto wale ne mujhe meri khaas jagah par pahucha diya. Auto wale ke jane ke baad main paidal hi ek taraf ko chal pada.

Wo ek sunsaan si jagah thi jaha par koi aata jata nahi tha. Is jagah par main pahle bhi ek do baar aa kar apna make-up kar chuka tha aur mujhe is kaam me koi samasya nahi huyi thi is liye maine fauran hi apna huliya badalna shuru kar diya. Kareeb aadhe ghante ki mehnat ke baad mera huliya puri tarah badal chuka tha. Ek baar fir se main sardaar ke makeup me tha.

Maine ek taxy pakdi aur use delhi ke karol bagh chalne ko kaha. Taxy me baitha main soch raha tha ki shekhar aur ridhima ka khaatma karne ke baad ab kuch din mujhe shaanti se baithna padega. Shahar ke itne bade logo ka ek ek kar ke koi katl kar raha tha jo ki bahut hi zyada sangeen baat thi aur media wale aise maamlo ko mirch mashala laga kar kuch zyada hi high profile bana kar logo ke samane pesh karte the. Ek taraf police mahkame ke bade bade adhikaari bhi is maamle se pareshaan the aur wo Sanjay Siraj aadi se is maamle ke tahat puchhtaachh kar rahe the lekin Sanjay aur siraj bhala kaise unhe ye bata dete ki ye sab unke sath kaun kar raha hai aur kyo kar raha hai? Sach to ye tha ki wo log police ko is maamle me involve kar ke sirf apni formality hi puri kar rahe the taaki police ko unki kisi neeyat ka andesha na hone paye. Waise police ke alla afsaro ko sach batane ka matlab tha khud ke hi pairo me kulhaadi maar lena joki wo kisi bhi keemat par nahi chaahte the.

Kitni maze ki baat thi ki sab kuch jaante huye bhi Sanjay and party police ko kuch bhi nahi bata sakte the. Mera khayaal hai ki itna bebas aur lachaar wo apne kisi bhi janm me na huye honge. Ye alag baat hai ki is maamle me wo khud hi edi se choti tak ka zor laga rahe the magar afsos ki abhi tak unhe kamyaabi nahi mili thi. Zaahir hai ye unki badkismati thi aur meri khush naseebi.

Main safely karol bagh pahuch gaya tha. Maya mere is tarah aane par mujh par gussa bhi hui lekin jab maine use baanho me bhar kar aur uske raseele hotho ko choom kar ye kaha ki mujhse uski judaayi bardaast hi nahi huyi aur main har khatre ka saamna karte huye uske paas dauda chala aaya to meri baato se wo khushi se fooli na samaayi. Maya meri is mohabbat se pighal gayi aur khud bhi mere hotho ko choomne lagi. Maya ke sath aaj kal ek alag hi tarah ki khushi mahsoos hone lagi thi mujhe. Sirf is liye hi nahi ki wo mere bachche ki maa thi balki is liye bhi ki is duniya me sirf wo hi aisi thi jo meri apni thi jo mujh jaise insaan se bepanaah pyar karti thi. Itna hi nahi har keemat par mere sath jine marne ko bhi taiyaar thi. Is zaalim duniya me use main kaise nazarandaaz kar sakta tha?

Dopahar ho gayi thi aur maya ne lunch bhi ready kar diya tha is liye hamne ek sath hi khana khaya aur fir main khane ki ek thaali le kar dusre kamre me maujood minakshi ke paas aa gaya. Subah minakshi ne uske bandhan khol diye the jisse wo fresh ho chuki thi. Badi hairaani ki baat thi ki minakshi ne ab tak aisi koi bhi harkat nahi ki thi jisse ye lage ki wo hamari kaid se bhaagna chaahti hai. Main aksar sochta tha ki aakhir kya hoga uske man me?

Kamre me jab main pahucha to dekha minakshi bina kisi bandhan me bandhe araam se bed par leti huyi thi aur koi magzine padh rahi thi. Main use is haalat me dekh kar bada hi hairaan hua. Ye pahli baar tha jab wo puri tarah se azaad ho kar bade hi araam se bed par leti huyi koi magzine padh rahi thi. Iske pahle to wo bandhano me hi jakdi huyi rahti thi jisme yakeenan use peeda ka saamna karna padta tha.

"Mujhe pata tha ki aap mujhe is haalat me dekh kar aise hi shocked honge." Minakshi mere hairaan pade chehre ko dekh kar muskurate huye boli_____"Maine maya bhabhi se bhi yahi kaha tha jab wo mujhe puri tarah se azaad kar ke ye boli thi ki ab se tumhe bandhan me bandhe rahne ki zarurat nahi hai. Main jaanti hu ki unhone mujh par yakeen kar ke hi mujhe bandhano se azaad kiya hai aur yakeen maaniye meri bhi yahi koshish rahegi ki main unke yakeen ko kabhi todne ka sochu bhi nahi."

"Kamaal hai." Main uske paas pahuchte hi bed ke kinaare par baithte huye kaha____"To ek aur rishtedaar bana liya tumne? Maya ko apni bhabhi hi bana liya hai tumne. Lagta hai is baat se hi khush ho kar usne tumhe bandhan mukt kiya hai."

"Agar aapko unka mujhe bandhan mukt karna sahi nahi lag raha hai to beshak aap mujhe fir se pahle ki tarah bandhano me baandh dijiye." Minakshi ne is baar badi masumiyat se kaha_____"Shuru me zarur bandhan me jakdi hone se mujhe takleef hoti thi lekin ab to is takleef ko sahne ki aadat pad chuki hai bhaiya."

Minakshi ki baate sun kar pahli baar mere andar uske prati komal jazbaat ubharte huye mahsoos huye magar maine fauran hi unhe bedardi se kuchal diya.

"Maya ko bhale hi tum par bharosa ho gaya hoga." Maine uski taraf dekhte huye sapaat lahje me kaha_____"Lekin mujhe tum par bilkul bhi aitbaar nahi hai. Khair khana khaao aur araam karo. Waise tumhari jankaari ke liye tumhe bata du ki kal raat maine do shikaar kiye hain. Yaani do logo ko is duniya se rukhsat kiya hai."

Meri baat sun kar minakshi ke khile huye chehre par palak jhapakte hi murdaangi si chha gayi aur sath hi dukh ke baadal mandraane lage. Aankho me aansu ke katre tairte nazar aaye jinhe usne aankho me hi badi mushkil se jazb kar lene ki nakaam koshish ki.

"Ki..kin do logo ko aapne duniya se rukhsat kar diya hai?" Fir wo dukhi bhaav se boli_____"Kab tak?? Aakhir kab tak aap maut ka ye taandav karenge bhaiya?"

"Jab tak ki mere har gunahgaar ka naamo nishaan is duniya se mit nahi jata." Maine sard lahje me kaha_____"Wo laakh powerful aur pahuch wale sahi lekin unhe mere kahar se duniya ki koi bhi taakat nahi bacha sakti."

"Please bataaiye na ki kin do logo ko aapne maar diya hai?" Minakshi ne hataash bhaav se pucha_____"Kya wo mere ghar wale the?"

"Kya fark padta hai?" Maine apne kandhe uchkaaye_____"Sab ke sab ek hi hamaam me to rahte hain. Fir isse kya fark padta hai ki us hamaam me rahne walo me se kise mere dwara maut naseeb ho gayi? Fir bhi agar tumhe jaanne ki bahut hi zyada khwaaish hai to suno, jin do logo ki maine upar ki ticket kaati hai wo hain shekhar aur ridhima."

"Kya????" Minakshi buri tarah uchhal padi thi, anakho se aanuso ki dhaar bah chali, buri tarah bilakhte huye boli_____"Aapne meri bhabhi ko bhi jaan se maar daala. Itne zaalim kaise ho sakte hain aap?"

"Galat soch rahi ho tum." Maine poorvat sard lahje me kaha_____"Main zara bhi zaalim nahi hu, balki zaalim aur ghinaune log to wo sab hain. Unki vajah se is dharti par paap itna badh gaya hai ki is dharti ke liye ab wo sab bojh ban gaye hain. Main dharti par ban gaye bojh ko hi door kar raha hu. Nazariye ki baat hai dear, mera ye sab karna tumhe galat lag raha hai jabki mera nazariya ye hai ki main nihaayat hi achha kaam kar raha hu."

Minakshi meri taraf aise nadaaz se dekhti rah gayi thi jaise achanak hi mere sir ke dono taraf use seeng ug aaye huye nazar aane lage ho. Khair maine bhi aage kuch nahi kaha aur use usi haalat me chhod kar kamre se baahar aa gaya. Kamre ka darwaza baahar se band kar ke main apne kamre me maya ke paas aa gaya.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 43
____________________[/color]




"Bade ashcharya ki baat hai gulfam ki itna samay guzar gaya lekin na to police use khoj paayi aur na hi hamare aadmi." Gulfam ke bangle ke ek kamre me sofe par baitha Sanjay puri gambheerta se kah raha tha_____"Aisa lagta hai jaise wo kisi jaadu ki tarah har kisi ki nazro se gaayab hai lekin wo har pal ham par nazar rakhe rahta hai. Agar aisa hi haal raha aur wo hamare hath na laga to wo din door nahi jab ham me se koi bhi zinda na rahega. Wo ek ek kar ke ham sabko maar dega."

"Maana ki hamne uske sath aur uske mata pita ke sath bahut galat kiya tha." Siraj ne kaha_____"Lekin iske liye wo hamare bachcho ko saza kyo de raha hai? Unka to koi dosh nahi tha? Jo kuch uske sath hua tha uske liye doshi to ham hain to saza bhi hame milni chahiye thi na? Sabse pahle usne jeewan ko maar diya. Jeewan ki maut ka yakeenan hame dukh hai lekin ham ye bhi jaante hain ki uski yahi niyati thi aur uske jaisi hi niyati ek din hamari bhi hogi lekin hamare bure karmo ka anjaam wo hamari aulaado ko kyo de raha hai? Kya wo badle ki aag me itna andha ho chuka hai ki use gunahgaar aur bekasoor me fark hi nahi nazar aata? Kya uska dil itna patthar ho chuka hai ki nirdosho ko jaan se maarne ke baad bhi usme koi asar nahi hota?"

"Shayad aisi hi baat hai siraj." Gulfam ne gahri saans lete huye kaha_____"Mana ki hamare bachcho ne uske sath kuch bhi bura nahi kiya tha lekin ye bhi sach hai ki un logo ne kuch na kar ke bhi shayad uske sath bahut bura kiya hai."

"Ye kya kah rahe ho tum?" Sanjay ne hairaani se gulfam ko dekha_____"Hamare bachcho ne bhala kya bura kiya hai uske sath jiske liye wo unhe bhi jaan se maar raha hai?"

"Itna to tum bhi jaante ho Sanjay ki hamare bachche aur vikram aapas me gahre dost hua karte the." Gulfam ne maano samjhane wale bhaav se kaha_____"Aur dosti ka matlab to yahi hota hai na ki har situation me apne dost ka sath dena ya bure wakt me apne dost ki help karna. Vikram ke maamle me aisa nahi hua. Bees saal pahle uske mata pita ki hamne hatya kar di aur unki hatya ka ilzaam uske sir par laga kar use umar kaid ki saza bhi dilwa di. Yakeenan ye bahut galat kiya tha hamne lekin uski is haalat me uske dosto ne uske sath kya kiya? Kya uske dosto me se kisi ne in bees saalo me ek baar bhi apni dosti ka farz ada karne ke bare me socha? Ham maante hain ki aisa unhone sirf hamari vajah se hi nahi kiya tha lekin kahi na kahi ye bhi sach hai ki chaahe jisne bhi unhe mana kiya raha ho magar unhe har keemat par apne dost ka paksh lena chahiye tha lekin unhone aisa nahi kiya. Shayad yahi baat hai ki aaj vikram unhe bhi hamare jaisa hi apna gunahgaar maanta hai aur unhe saza de raha hai."

"Halaat aise badlenge iski hamne ummid nahi ki thi." Sanjay ne kaha_____"Hamne socha tha ki vikram ko umar kaid ki saza ho gayi hai to ab usse kabhi hame koi khatra nahi rahega. Ek tarah se ham uski taraf se befikra ho gaye the aur ye bhi sach hi hai ki ham use bhool chuke the lekin hame nahi pata tha ki bees saal baad kanoon achanak se use is tarah riha kar dega. Hairaani ki baat hai ki bees saal jail me rahne ke baad bhi usne aisa aachran dikhaya jiske chalte sarkaar ne uski baaki ki saza hi maaf kar di. Kya ye mumkin hai ki bees jail me khatarnaak logo ke beech rahne se koi insaan is tarah ka bedaag aachran dikha sake aur fir riha ho jaye?"

"Duniya me kuch bhi namumkin nahi hai sanjay." Gulfam ne kaha_____"Aksar aisa hota hai ki jis baat ki ham kalpana bhi nahi kar sakte wo ek din hamari aankho ke saamne sach ke roop me pragat ho jati hai. Vikram ka maamla bhi kuch aisa hi hai. Uske baad usne jo kuch kiya uske bare me bhi ham yahi kah sakte hain ki shayad uske liye koi bhi kaam namumkin nahi hai. Zara socho, itni tight security ke bavjood usne shekhar aur ridhima ko apne paas bula liya aur unhe jaan se maar daala. Kya tum me se koi ye soch sakta hai ki aisa ho sakta tha? Hamne ye soch liya tha ki itni tight security ke baad ab ham me se har koi safe ho gaya hai aur ab vikram ham me se kisi ko bhi koi nuksaan nahi pahucha sakega magar nahi, usne hamari ummido ko nestnaboot bhi kiya aur shekhar ke sath sath Ridhima ko bhi duniya se rukhsat kar diya."

"Baat to tumhari thik hai gulfam." Siraj ne sochne wale bhaav se kaha_____"Lekin hame abhi tak ye samajh me nahi aaya hai ki usne shekhar aur ridhima ko apne jaal me fansaya kaise? Wo dono koi bachche nahi the jinhe wo lollipop dikha kar apne paas bula leta aur unhe jaan se maar deta. Sawaal hai ki aakhir wo dono uske hath lag kaise gaye? Dono ki security kar rahe aadmiyo ne bataya ki unhe ye bhanak tak nahi lagi thi ki kab wo dono unhe chakma de kar nikal gaye the?"

"Yahi baat to mujhe bhi jane kab se sochne par majboor kiye huye hai siraj." Sanjay ne kaha_____"Mujhe bhi samajh nahi aa raha ki wo dono vikram ke hath kaise lag gaye? Ab aisa to hua nahi hoga ki vikram ne dono ko ek sath alag alag jagah se kidnap kiya hoga, wo bhi security walo ke rahte. Zaahir hai iske alawa hi koi aisi baat thi jiske chalte vikram apne maksad me kamyaab ho paya hai."

"Aisi kaun si baat ho sakti hai bhala?" Siraj ke mukh se maano khud hi ye sawaal nikal gaya.
"Iske bare me main batata hu tumhe." Gulfam ne kaha_____"Tum dono to dukh aur santaap me doobe huye the is liye is maamle me zyada dhyaan nahi diya tum dono ne lekin maine pata kiya hai."

"Kya pata kiya hai tumne?" Sanjay ne utsukta se pucha.
"Maine shekhar aur ridhima dono ke mobile check kiye hain." Gulfam ne kaha_____"Itna to mujhe bhi pata tha ki vikram ke paas ham sabka mobile number hai to zaahir hai ki usne un dono me se kisi ko to call kiya hi hoga. Warna khud socho ki bina sampark kiye wo kaise apne maksad me kamyaab ho sakta tha? Khair maine shekhar ka mobile check kiya to usme mujhe kuch aisa mila jise dekh kar main fauran hi samajh gaya ki vikram ke liye un dono ko apne paas bulana ya unka shikaar kar lena kitna asaan kaam tha."

"Ye kya kah rahe tum?" Siraj aur Sanjay buri tarah hairaan the.
"Yahi sach hai." Gulfam ne kaha_____"Asal me vikram ke paas shekhar ka ek aisa dynamite video tha jiske chalte wo shekhar ko hi kya balki ham me se kisi ko bhi apne paas bula sakta tha aur maze ki baat ye ki ham uske bulane par uske paas jane ke liye majboor bhi ho jate. Main nahi jaanta ki vikram ke hath wo video kaise laga lekin sach yahi hai ki uske paas shekhar ka aisa video tha jisme shekhar apni bahan ke sath sex kar raha tha. Tum achhi tarah jaante ho ki aisa video agar kisi ke bhi paas hoga to wo badi asaani se blackmail kar ke us byakti ko wahi karne ke liye majboor kar dega jo wo chaahega. Vikram ne us video ke base par hi shekhar ko majboor kiya tha. Zaahir hai usne shekhar se Ridhima ko bhi apne sath laane ke liye majboor kiya hoga, agar aisa na hota to Ridhima shekhar ke sath bhala kaise ho sakti thi?"

"Oh to ye baat hai." Sanjay ne gahri saans li_____"Fir to vikram us video ke base par dubara bhi ham me se kisi ko majboor kar ke apne paas bula sakta hai."

"Beshak." Gulfam ne kaha____"Uske paas filhaal wo video hi hai jiske dwara wo ham me se kisi ka bhi khaatma karne me kamyab ho sakta hai. Use bhi pata hai ki jitni security ke beech hamare log maujood hain usme se kisi ka shikaar kar lena uske liye bilkul hi sambhav nahi hai."

"Baat to thik hai lekin us video ki vajah se hamari situation ab bahut hi nazuk ho chuki hai." Siraj ne chintit bhaav se kaha_____"Ham ya hamare log bhale hi itni tight security me hain lekin us security ka koi faayda hi nahi raha ab. Yaani wo jab chaahe tab us video ke dwara hame apne paas bula lega aur zaahir hai uske paas pahuch jane ka matlab hai apni zindagi se hath dho lena."

"Bilkul." Gulfam ne sir hilaya_____"Yakeenan hamari situation us video ke chalte behad nazuk ho chuki hai lekin isme itna chinta karne ki bhi zarurat nahi hai."

"Kya matlab hai tumhara?" Siraj ne gulfam ko ghoorte huye kaha____"Tum ye kaise kah sakte ho ki aisi situation me bhi hame chinta karne ki koi zarurat nahi hai?"

"Wo is liye ki jis tarah vikram us video ke dwara apne maksad me kamyab ho sakta hai." Gulfam ne samjhane wale andaz me kaha_____"Usi tarah ham bhi uski us chaal se us tak pahuch sakte hain."

"Wo kaise?" Sanjay ne jhat se pucha.
"Ab jabki ham jaante hain ki vikram ke paas filhaal wo video hi aisa hai jiske dwara wo apne maksad me kamyab ho sakta hai." Gulfam ne kaha_____"To ab hame bhi uski soch ke anusaar hi chalna hoga. Yaani ab hame uske dwara kiye jane wale kisi bhi kriya kalaap ka intzaar karna hai. Sabse pahle to hame apne ghar walo ko bhi video wali baat batani hogi aur fir un sabko samjhana hoga ki agar kisi ke bhi paas vikram ka blackmail karne wala wo video ya call aaye to wo fauran hame bataye."

"Main samajh gaya." Sanjay ne bich me hi gulfam ki baat ko kaatte huye kaha_____"Tum yahi kahna achaahte ho na ki ab dubara jaise hi vikram us video ke base par ham me se kisi ko blackmail karega waise hi ham bhi us tak pahuchne ka ya fir use pakad lene ka jaal bichhayenge."

"Bilkul main yahi kahna chaahta hu." Gulfam ne kaha_____"Vikram ko pakadne ka filhaal yahi ek sateek upaay hai. Ab hame uske dwara ki jane wale kriya ka hi intzaar karna hai. Jaise hi wo kisi ko us video ke base par blackmail karega aur apne pass bulayega ham uski chaal ke anusaar uske dwara blackmail hone wale byakti ko uske paas bhej denge...lekin..!"

"Lekin.???" Siraj ne pucha.
"Lekin ye ki is baar ham chook na jaaye iske liye hame ek khaas tarika apnana hoga." Gulfam ne kaha_____"Jaisa ki tum dono jaate ho ki vikram jab bhi ham me se kisi ko kidnap karta hai to sabse pahle wo us byakti ke jism se hamari sanstha ki us khaas chip ko nikaal deta hai jis chip ke dwara sanstha hamare us agent ki location ko trace karti rahti hai. Hamare agents us chip tak to asaani se pahuch jate hain lekin us chip ko dhaaran karne wale tak nahi pahuch paate aur yahi vajah hoti hai ki ham apne apno ko kho dete hain. Is liye is baar aisa na ho uske liye hame alag se koi intjaam karna hoga taaki agar vikram us chip ko nikaal bhi de tab bhi ham uski exact location par pahuch jaye aur samay rahte vikram se apne byakti ko bacha sake. Itna hi nahi vikram ko bhi pakad sake."

"Waah kya sahi socha hai tumne." Siraj ne khushi zaahir karte huye kaha_____"Yakeenan aisa karne se is baar vikram hamari pakad me aa jayega. Bas ek baar wo hamari pakad me aa jaaye uske baad ham apne apno ki maut ka jaise chaahe usse badla le sakte hain."

"Plan to zabardast hai tumhara." Sanjay ne sochne wale andaaz me kaha_____"Lekin main ye bhi soch raha hu ki kya vikram akela hi ye sab kar raha hoga? Mera matlab hai ki sambhav hai ki uska koi sathi bhi ho jo uske aise kaamo me uski help kar raha ho. Agar sach me uska koi sathi bhi hai to itna asaan nahi hoga vikram ko pakad paana."

"Tumhara ye sochna yakeenan tark sangat hai sanjay." Gulfam ne kaha_____"Lekin mujhe nahi lagta ki uska koi sathi hoga. Zaahir si baat hai ki wo bees saalo tak jail me raha hai aur baahari duniya ke logo se uska koi connection nahi raha tha. Aise me ye mumkin nahi ki uska koi sathi ho sakta hai. Waise bhi ye uske apne badle ki jung hai aur wo apne bal boote par hi ye sab karna pasand karega."

"Main maanta hu ki ye uski apni jung hai aur sab kuch wo apne dam par hi karna pasand karega." Sanjay ne kaha____"Lekin mera khayaal hai ki wo badle ki aag me itna bhi andha nahi hai ki aise kaamo ke liye kisi ka sath hone ke bare me na soche. Usne ab tak jis tarike se sab kuch kiya hai usse saaf pata chalta hai ki usne bina soche samjhe kuch bhi nahi kiya hai. Yaani sab kuch pahle se soch samajh kar hi kiya hai. Use bhi pata hai ki uski zara si chook uske maksad ke sath sath khud use bhi mitti me mila degi. Aise me in kaamo ke liye kisi na kisi ka sath ya kisi na kisi ki help lene ka yakeenan wo sochega."

"Chalo maan liya ki aisa hi hoga." Gulfam ne kaha_____"Magar ab sawaal ye hai ki aise kaamo ke liye wo kisse help lene ka sochega aur sabse badi baat ye bhi hai ki dusra kaun uske aise kaamo me sath dene ka sochega? Bade se bada peshewar hatyara bhi kisi ke katl ki supaari tabhi leta hai jab use katl jaisi wardaat ko anjaam dene ke liye muh maagi rakam milti hai aur sath hi use khud bhi ehsaas ho ki isse us par bhi koi jaan jane jaisa khatra na ho. Vikram jaisa byakti jo bees saal jail me raha ho uske paas rupaya paisa hone ka to sawaal hi nahi paida hota to wo kisi ko katl ki supaari dene ka sochega hi nahi. Idhar jail me bhi uska itna bada dost to banne se raha jo uske sath katl jaisi ek nahi balki kayi saari wardaato ko anjaam dene ke liye uska sath de."

"To tumhe yakeen hai ki wo ye sab akele hi kar raha hai?" Sanjay ne uski taraf dekha.
"Lagbhag 95% sure hu main." Gulfam ne pure aatm vishwas ke sath kaha_____"Aur 5% tumhari baato par yakeen hai. Mera matlab hai ki ho sakta hai ki baahari duniya me hamare bachcho ke alawa bhi vikram ka koi aisa jigari dost raha ho jo aaj ke samay me uska sath dene ke liye raaji hua ho aur ab uska sath de raha ho."

"Nahi, mujhe aisa nahi lagta." Siraj ne inkaar me sir hilate huye kaha_____"Aaj ke samay me jaha log sirf apne matlab aur apne faayde ka hi sochte hain waha par vikram ka koi aisa sathi ho hi nahi sakta jo uska aise kaamo me sath dene ka soche bhi. Mujhe pura yakeen hai ki wo ye sab akela hi kar raha hai. Ye alag baat hai ki usne akele ab tak jo bhi kiya hai wo hamare liye bahut hi zyada hairatangez aur dahshat poorn raha hai."

"Khair to ab ham ye maan kar chale ki wo akela hi ye sab kar raha hai aur uska apna koi sathi nahi hai." Sanjay ne gahri saans lene ke baad kaha_____"To ab hame uski taraf se kuch bhi kiye jane ka intzaar karna hai."

"Iske alawa kuch aur ham kar hi kya sakte hain?" Gulfam me kaha_____"Police aur sanstha ke log abhi tak uski gandh tak nahi soongh paaye hain to zaahir hai ki ham kuch aur kar hi nahi sakte. Sirf yahi ek raasta bacha hai ki ham uske dwara kuch kiye jane ka intzaar kare."

"Kya tumhe yakeen hai ki is baar bhi ham me se kisi ka shikaar karne ke liye wo us video ka hi use karega?" Siraj ne sandeh poorn andaz se gulfam ki taraf dekha____"Aisa bhi to ho sakta hai ki is baar wo koi dusra tarika apnaaye. Sambhav hai ki kisi chamatkaar ki tarah uske zahen me ye khayaal aa jaye ki hamne uski mansha ko taad liya ho sakta hai aur ab dubara jab wo us video ke base par ham me se kisi ko pakdega to ham bhi use pakad lenge."

"Hone ko to kuch bhi ho sakta hai siraj." Gulfam ne kaha_____"Ye bhi ho sakta hai ki is baar wo kisi tarike se ham me se kisi ke bangle me bomb hi fod de aur ek hi baar me ham me se kisi ke pure pariwar ko hi khatm kar de. Kuch bhi ho sakta hai dost, lekin yakeen maano filhal yahi hone ke zyada chances hain ki wo is baar bhi us video ke base par hi apna next shikaar karega. Iske alawa uske paas dusra koi option nahi hai."

Gulfam ki is baat ke baad kamre me khamoshi chha gayi. Gulfam ne thodi der dono ko khamoshi se dekha aur fir ye kah kar sofe se uth khada hua ki use airport jana hai. Asal me uska beta Zafar aaj videsh se aa raha tha. Yaha ke halaato ka use bhi pata tha aur wo pahle hi aana chaahta tha lekin gulfam ne hi use aane se mana kar rakha tha.

[][][][][][]

Shaam ko maya ke jagane par main utha. Dopahar khana khane ke baad main so gaya tha. Khair main fresh hone bathroom me chala gaya aur maya kamre se baahar nikal gayi. Kuch der me main fresh ho gaya aur maya ko awaz di to wo kuch hi palo me hath me tray liye kamre me aa gayi. Usne chaay ka ek cup mujhe pakdaya aur dusra cup khud le kar tray ko stool par rakh diya.

"Kya baat hai." Maine maya ko kuch sochte huye dekha to usse puchha____"Kya soch rahi ho tum?"
"Kuch khaas nahi." Maya ne maano baat ko taalna chaaha.

"Koi to baat zarur hai." Maine uske chehre ko gaur se dekhte huye chaay ki ek chuski li_____"Ab bataao bhi ki kya hai tumhare zahen me?"

"Main soch rahi thi ki kya is desh me kisi jagah par ghar khareed kar rahna sahi rahega?" Maya ne meri taraf dekhte huye puchha.
"Aisa kyo kah rahi ho tum?" Maine halke se chaunkte huye pucha.

"Bahut kuch soch kar aisa kah rahi hu dear." Maya ne kaha_____"Aisa to ham dono hi nahi chahenge na ki ham jaha bhi rahe hamare chaaro taraf kisi baat ka khatra bana rahe?"

"Bilkul." Maine sir hilaya_____"Tumse milne ke baad to ab yahi khwaaish hai meri jaan warna iske pahle to zindagi ka bas ek hi maksad le kar jail se baahar aaya tha ki jin logo ne mere pariwar ko khaak me mila kar meri zindagi barbaad ki hai unka naamo nishaan mita kar hi dam loonga. Tum mili to dil ke kisi kone me dabe huye jazbaat fir se zinda ho uthe aur ab ye khwaaish bhi paida ho gayi hai ki apni baaki ki zindagi tumhare aur apne bete ke sath khushi khushi guzaaru."

"Aur aisa tabhi ho sakega mere jaanu jab ham har tarah ke khatre se khud ko safe feel kare." Maya ne ek hath se mere chehre ko sahlaya_____"Aaj tum jo kuch bhi kar rahe ho usse tum bhi jaante ho ki aane wali zindagi itni bhi asaan nahi hogi ki is desh me kahi sukoon se ji sake."

"Shayad tum sahi kah rahi ho." Maine gahri saans li_____"Magar ye bhi sach hai ki main apne maksad ko nahi chhod sakta aur na hi un logo ko zinda chhod sakta hu jinhone meri mukammal duniya hi tabaah kar di thi."

"Main ye kaha kah rahi hu dear ki tum un logo ko zinda chhod do?" Maya ne meri taraf pyaar se dekhte huye kaha____"Main to sirf tumhe ye batane ki aur ehsaas karaane ki koshish kar rahi hu ki tumhare dwara itna kuch kiye jane ke baad hamare liye is desh me kahi par bhi chain se rahna asaan nahi hoga. Aaj bhale hi tum un logo ki pakad se door ho lekin kya zaruri hai ki aisa hamesha rahega? Maan lete hain ki tum un logo ki pakad me kabhi nahi aaoge aur ek ek kar ke tum un sabko khatm kar dene me kamyaab bhi ho jaaoge lekin police aur kanoon ka kya?"

"Kahna kya chaahti ho tum?" Maya ki baato ne mere zahen me ekdam se tufaan sa khada kar diya tha.

"Yahi ki tumhare dwara itna kuch kiye jane ke baad kya police aur kanoon kuch nahi karega?" Maya ne kaha_____"Kya police aur kanoon itne logo ki hatyaao ko nazarandaaz kar dega aur un logo ke hatyaare ko talash nahi karega? Aisa to sambhav nahi hai na dear? Desh ki rajdhani delhi jaise shahar me itne logo ki hatyaao ka maamla police aur kanoon prashashan kisi bhi tarah se bhula nahi sakega. Maamla agar kisi gareeb ka hota aur sirf ek do logo ki maut ka hota to kadaachit thode samay baad har kisi ki tarah police bhi bhula deti lekin ye maamla to bade se bade logo ka hai aur na jane kitne hi logo ke katl ka hoga. Un logo ke chaahne wale police prashashan ko kya shaanti se baithne denge? Hargiz nahi, balki wo hi nahi balki news media wale bhi pichhe pad jayenge taaki police prashashan pagal kutte ki tarah un logo ke hatyare ka pata lagaye aur aise nirmam hatyare ko shakht se shakht saza de sake. Yahi sab baate main sochti rahti hu dear aur fir ye sochti hu ki kya itna kuch hone ke baad ham is desh me kahi par bhi har baat se bekhabar ho kar chain se rah payenge?"

"Agar niyati me chain aur sukoon se jina likha hi nahi hoga to ham kahi par bhi sukoon se nahi rah payenge dear." Maine use samjhate huye kaha____"Upar wale ne hamare naseeb me jo likha hoga wo to hame milega hi. Usse koi bhi nahi bhaag sakega is liye ye sab baate soch kar tum bekaar me hi khud ko byathtit na karo."

"Kya aisa nahi ho sakta ki ham is desh ko chhod kar dusre desh me hi apna pariwar basaye.?" Maya ne kaha____"Mera matlab hai ki yaha par jab tumhara maksad pura ho jaye to ham is desh se chale jaye. Itne saalo se main bhi to dusre desh me hamare bete ke sath rah rahi hu to ye sab hone ke baad tum bhi to wahi rah sakte ho. Is desh me kahi par ghar kharidne ki kya zarurat hai?"

"Kya tumhe lagta hai ki dusre desh me hame koi khatra nahi rahega?" Maine khaali ho gaye chaay ke cup ko ek taraf rakhte huye usse puchha.

"Yaha jaisa to bilkul bhi nahi rahega aur ye baat tum bhi samajhte ho." Maya ne kaha____"Aisa bhi sambhav hai ki dusre desh me ham puri tarah safe hi rahe aur ham par kabhi koi baat hi na aaye. Yaha rahenge to har pal yahi sochte huye chintit hote rahenge ki kahi kisi din police na aa jaaye aur hame pakad le."

"Haan ye to hai." Maine sir hila kar kaha_____"Khair, abhi to main kuch aur sochna hi nahi chaahta lekin haan agar main apne maksad me kamyaab raha aur police ya kanoon ki pakad se bacha raha to main tumhare sath dusre desh chaluga aur wahi apni duniya basayenge."

"Oh vikram ye kah kar tumne mujhe jaise nayi zindagi de di hai." Maya ne chaay ke cup ko jaldi se ek taraf rakha aur lapak kar mujhse lipat gayi_____"Main upar wale se dua karti hu ki wo jald se jald tumhe apne maksad me kamyaab kare aur fir ham dono dusre desh me ja kar apne bete ke sath apni nayi zindagi ki shuruaat kare. Oh vikram, hamara pura pariwar ek sath hoga lekin..!"

"Ab ye lekin kyo?" Maine use khud se alag kar ke uski aankho me dekha.
"Lekin usse pahle ham dono kisi mandir me ja kar shadi karenge." Maya ne muskurate huye kaha____"Kya itna kuch hone ke baad bhi tum meri maang me sindoor ke roop me virajmaan nahi hoge? Tumhe pata hai, maine hamare bete ko apne bare me pahle hi sab kuch bata diya tha ki ham dono kaise mile the aur fir ham kaise bichhad gaye."

"Ye kya kah rahi ho tum?" Main maya ki is baat se chaunk pada tha_____"Kya tumne use ye bhi bata diya hai ki ham dono cms jaisi kisi ghatiya sanstha ke member the?"

"Nahi nahi." Maya ne jaldi se kaha____"Ye nahi bataya maine use aur ye baat main use bata bhi nahi sakti thi. Tum khud socho ki kya aisi baat apne bete se koi bata sakta hai?"

"To fir kya bataya tumne use?" Maine hairaani se puchha usse.
"Maine use sirf ye bataya hai ki mere apno ne mujhe bech diya tha." Maya ne gambheerta se kaha____"Aur meri kismat ne mujhe ek vaishya bana diya tha. Mera dukh dard shayad upar wale se bhi sahan na hua to usne ek din tumhe meri zindagi me bhej diya. Tumne mujh jaisi vaishya se prem kiya aur ek nayi zindagi dene ka wada kiya lekin zaalim duniya ko hamare bare me pata chal gaya aur fir ham alag ho gaye. Maine hamare bete ko bataya ki tumhare pita ke bahut se dushman the is liye unhone tumhare mata pita ko jaan se maar diya aur unki hatya ke ilzaam me tumhe fansa diya jisse tumhe jail ho gayi."

"Oh to ye kahani sunaayi tumne hamare bete ko." Maine gahri saans li.
"Kuch to use batana hi tha dear." Maya ne kaha_____"Main nahi chaahti thi ki uske andar apni maa ya pita ke liye aise khayaal ubhar aaye jinki vajah se na wo kabhi sukoon se ji sake aur na hi main. Aaj sochti hu to lagta hai ki maine ye achha hi kiya tha jo bachpan me hi use sab kuch bata diya tha aur use kisi baat ke liye andhere me nahi rakha. Agar aisa na karti to yakeenan wo andar hi andar jane kya kya soch kar kudhta rahta aur bahut had tak sambhav tha ki wo jeewan ki raah se bhatak jata. Khair aaj wo mujhe hi nahi balki tumhe bhi bahut izzat deta hai aur hamesha tumhare bare me puchhta hai. Apne pita se milne ki chaahat rakhta hai. Roz phone par kahta hai ki use apne dady ko dekhna hai aur unse baat karni hai. Mere liye use samjhana aur inkaar karna bahut mushkil hota hai vikram. Tumhari tarah apne dil par patthar nahi rakh paati main is liye jab tum so jaate ho to video call kar ke use tumhari surat dikha deti hu."

"Kya..???" Main maya ki baat sun kar buri tarah uchhal pada_____"Ye kya kah rahi ho tum?"
"Mujhe maaf kar do vikram." Maya ne sir jhuka liya_____"Lekin main kya karu, wo apne pita ko dekhne ki minnate karne lagta hai to mujhe bhi us par taras aa jata hai."

Maya ki baat sun kar main kuch bol na saka. Zahen me ek aandhi si chalne lagi thi. Dil me ek tees si ubhri, ye soch kar ki mera beta mujhe dekhne ke liye kitna tadap raha hai aur ek main hu ki apne masoom se bete ke liye koi jazbaat hi nahi rakhna chaahta. Kya duniya me mere jaisa koi baap ho sakta hai jo apne nirdosh bete ke sath itna bada anyaay kare? Maine aankhe band kar ke do teen gahri gahri saanse li aur fir soch liya ki ab bas bahut hua. Main apne bete ko ab kisi baat ke liye nahi tadpaauga, yaani main khud usse rubaru ho kar milunga aur usse baat bhi karuga. Is khayaal ke sath hi maine aankhe khol di. Ekdam se mere dil ki dhadkane ek sukhad ehsaas ke sath dhadakne lagi thi.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 44
____________________[/color]




"Kaisa hai Zafar?" Darwaza khula to Zafar par nazar padte hi tarun ne adheer bhaav se kaha_____"Tu videsh kya gaya jaise apne dosto ko hi bhool gaya."

"Shikayat baad me kar lena mere dost pahle andar to aao." Zafar ne halke se muskura kar kaha aur darwaze se ek taraf hat gaya jisse tarun andar daakhil ho gaya.

Tarun ko jaise hi pata chala tha ki zafar videsh se aa gaya hai to wo apne bangle se bhaagta hua uske paas aaya tha. Ye alag baat hai ki uske sath uski security ke liye do gun man bhi aaye the. Khair andar aate hi tarun ko dring room me zafar ki maa Sadia aur biwi nazia mil gayi jinhe usne hath jod kar namaste kiya. Sadia ne tarun ko apne gale se laga kar use pyar diya. Maujooda samay me jo halaat the uske bare me sabhi ko pata tha is liye Sadia aur nazia se is bare me zyada baat na huyi. Zafar, tarun ko seedha apne room me hi le gaya.

"Mujhe maaf kar de mere bhai ki itna kuch ho jane ke baad bhi main yaha aa nahi saka." Room me pahuchte hi Zafar ne tarun se kaha_____"Asal me isme galti meri nahi hai balki abbu ki hai. Main to pahle hi yaha aa jana chaahta tha lekin unhone hi mana kar rakha tha. Unka kahna tha ki waha business ki dekh rekh ke liye bhi kisi ek ka hona zaruri hai. Khair chhod aur bata kaisa hai tu?"

"Kya lagta hai tujhe?" Tarun ne feeki muskaan hotho par saja kar kaha____"Kaisa ho sakta hu main? Jab se vikram ne maut ka taandav shuru kiya hai tab se ham sabki zindagi dar aur khauf ke saye me maano sisak rahi hai."

"Haan sab pata hai mujhe." Zafar ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Vikram se is sabki ummid nahi thi mujhe. Ek zamana tha jab wo hamara jigari dost hua karta tha aur aaj aalam ye hai ki wo ham sabko apna sabse bada dushman samajhta hai."

"Uske gunahgaar to hamare pita log hain zafar." Tarun ne kaha_____"Magar wo apne dosto ko bhi apna dushman samajhta hai. Itna hi nahi dushmani me wo itna pagal ho gaya hai ki usne meri nirdosh biwi ko bhi jaan se maar daala. Meri bahan ko to abhi tak usne apne kabje me hi liya hua hai aur mujhe yakeen hai ki ek din wo use bhi jaan se maar dega."

"Yakeenan." Zafar ne gahri saans li_____"Wo pagal hi ho gaya hai dost. Agar pagal na ho gaya hota to use itna to samajh me aata ki kaun uska gunahgaar hai aur kisko use saza deni chahiye thi."

"Situation bahut kharaab hai zafar." Tarun ne adheerta se kaha____"Jis tarah se wo katle aam macha rakha hai usse lagta nahi hai ki ab ham me se koi bachega. Abhi do din pahle usne shekhar aur meri biwi ko jaan se maar diya. Upar wala hi jane ab kiska number lagane wala hai wo."

"Fikra mat karo tarun." Zafar ne uske kandhe par hath rakh kar dilasa dete huye kaha_____"Ab aisa kuch nahi kar sakega wo."

"Ye tu kaise kah sakta hai zafar?" Tarun ne nam aankho se zafar ko dekha_____"Are tujhe andaza nahi hai ki wo kis kadar khatarnaak hai. Ham sab ke andar uska itna khauf bhar gaya hai ki har pal isi dar me rahte hain ki kahi kisi jaadu ki tarah ham me se koi uske paas na pahuch jaaye aur wo hame jaan se maar de. Ghar se baahar nikalne me bhi dar lagta hai. Kahne ko to ham sab itni security me ghire huye hain lekin iske bavjood andar se dar nahi jata. Jab se usne shekhar aur ridhima ko maut ki neend sulaya hai tab se mujhe security walo par bhi bharosa nahi raha."

"Dheeraj se kaam lo dost." Zafar ne use samjhane wale andaz se kaha____"Main maanta hu ki halaat achhe nahi hain lekin ham sabke liye zaruri yahi hai ki sabse pahle ham sab apne andar se uska khauf nikaale aur poorn dhairya ke sath halaato ki gambheerta par vichaar karte huye aage ka soche. Mujhe abbu ne maujooda halaato ke bare me sab kuch bataya hai is liye mujhe yakeen hai ki is baar wo apne maksad me kamyab nahi ho paayega. Uske liye zaruri yahi hai ki ham pure hosho hawaash se kaam le."

"Tu aisa is liye kah raha hai zafar kyoki tune ab tak kisi apne ko nahi khoya hai." Tarun ne apne kandhe se uske hath ko hatate huye adheerta se kaha_____"Jabki yaha ham sabne kisi na kisi apne ko khya hai. Aise me hosh se kaam lena bahut mushkil hota hai dost. Tu to yaha tha nahi is liye tujhe ye ehsaas hi nahi ho sakta ki ham sabne yaha itne samay me kya kya saha hai aur kya kya jhela hai. Hamari aankho ke aansu sookhne bhi nahi paate hain ki wo hatyara fir se hamare kisi apne ki jaan le leta hai aur hame fir se dukh ke sagar me duba deta hai."

"Main sab samajhta hu tarun." Zafar ne kaha_____"Aur mujhe tum sabki haalat ka bakhubi ehsaas bhi hai. Dusri baat tu ye mat kah ki maine kisi apne ko nahi khoya hai kyoki tum sab bhi to mere apne hi ho. Mujhe bhi utna hi dukh hai jitna ki tum sabko hai lekin tum khud bataao ki kya is dukh ko liye rahne se sab kuch thik ho jaayega? Kya iske baad vikram kisi ki jaan lene ka nahi sochega? Nahi dost, aisa nahi ho sakta. Main maanta hu ki halaat gambheer hain lekin ham sabko hosh se kaam lena hoga. Tujhe bhi pata hai ki wakt hamesha ek jaisa nahi rahta. Ab tak agar vikram ka achha wakt tha to ab aisa bhi ho sakta hai ki uska bura wakt bhi aa jaye aur wo hamari pakad me aa jaye."

Zafar ki baat sun kar tarun kuch na bola. Zafar ne use khamoshi se sofe par baithaya aur khud bhi uske bagal se baith gaya.

"Jaisa ki maine bataya ki abbu ne mujhe maujooda situation ke bare me sab kuch bata diya hai." Fir Zafar ne normal andaaz se kaha_____"Is liye ab hame wahi karna hai jiske bare me unhone sabko samjhaaya hai. Mujhe pura yakeen hai ki is baar vikram hamari pakad me zarur aa jayega aur uske baad tumhe bhi pata hai ki uska ye maut ka khel khelna khatm ho jaayega."

"Nahi khatm hoga zafar." Tarun ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Agar vikram ki taraf se khatm hoga to hamari taraf se shuru ho jaayega."

"Kya matlab?" Zafar chaunka.
"Tujhe kya lagta hai?" Tarun ne kaha____"Wo agar hamari pakad me aa jaayega to kya hoga? Sach to ye hai dost ki ek baar fir se ye log bees saal pahle wali kahani dohra denge. Yaani vikram ko ye log jaan se maar denge."

"Nahi aisa nahi hoga." Zafar ne purzor lahje me kaha_____"Itna kuch hone ke baad ab lagbhag sabko ehsaas ho chuka hai ki vikram ne wahi kiya hai jo use karna chahiye tha is liye ab ye log uske sath pahle jaisa bartaav nahi karenge."

"Aisa tu sochta hai zafar." Tarun ne feeki muskaan ke sath kaha_____"Lekin mujhe in logo par zara bhi bharosa nahi hai. Vikram ne in logo ki shaakh par chot ki hai is liye ye log har keemat par use mitti me mila dene ka hi sochenge."

"Ye sab baad me dekhenge." Zafar ne kaha_____"Is wakt zaruri ye hai ki ham sab waisa hi kare jaisa ki samjhaya gaya hai. Agar hamara plan kamyab raha aur vikram hamari pakad me aa gaya to ham dono khud in logo ko uske sath kuch bura nahi karne denge."

"Ham log bhala kya kar sakenge zafar?" Tarun ne kaha_____"In logo ne jab bees saal pahle hame kuch nahi karne diya to kya ab karne denge?"

"Bees saal pahle ka samay alag tha mere bhai." Zafar ne kaha_____"Aaj ka samay alag hai. Bees saal pahle in logo ke liye ham bachche the jabki aaj aisa nahi hai. Ham har koshish karenge ki vikram ka ye log baal bhi baanka na kar sake."

Zafar ki baat sun kar tarun kuch na bola lekin uske chehre se saaf pata chal raha tha ki use zafar ki baat par zara bhi yakeen nahi hua tha. Khair kuch der aur isi sambandh me dono ki baate huyi uske baad dono kamre se baahar nikal gaye.

[][][][][][]

Saari raat mujhe neend nahi aayi. Aankho ke saamne baar baar mere bete Vikas ki surat ujagar ho jaati thi aur kaano me uski mithi mithi baate. Maya ne sach kaha tha ki wo bilkul meri tarah hi dikhta hai. Pichhli shaam mere kahne par maya ne vikas ko video call kiya tha aur fir mobile mujhe pakda diya tha. Mera to yahi soch soch kar bura haal hua ja raha tha ki main apne bete se kis tarah baat kar paaunga? Aakhir kis tarah main use dekh kar apne jazbaato ko samhaal paaunga? Ekaek mujhe aisa lagne laga tha jaise apne hi bete se baat karna mere liye duniya ka sabse bada kaam tha magar meri duvidha aur mera sankoch us wakt khatam ho gaya tha jab vikas ne video call par mujhe dekhte hi pure sammaan ke sath aur bade hi sabhya andaaz me mujhe dady kaha tha aur itna hi nahi apne dono hath jod kar mujhe pranaam bhi kiya tha. Kasam se us wakt mujhe aisa laga tha jaise duniya ki sabse badi khushi mil gayi ho mujhe. Mere kaan barsho se apne liye jis naam ko sunne ke liye tadap se rahe the us tadap ko mere bete ne palak jhapakte hi mujhe dady kah kar jaise shaant kar diya tha. Apne bete ke mukh se apne liye dady shabd sun kar mere dil me is kadar hook si uthi thi ki meri aankho se na chaahte huye bhi aansu chhalak pade the. Video call par jaise hi vikas ne mujhe rote dekha to wo khud bhi ro pada tha aur fir wo masoom bahut hi samajhdaari se apne hi baap ko usi tarah shaantwana dene laga tha jaise koi mata pita apne bete ko pyar se dilasha deta hai. Badi mushkil se main apne jazbaato ko kaabu me kar paaya tha. Uske baad pahli baar mere mukh se koi bol foota tha. Mobile me apne bete ki surat dekh bas yahi dil kar raha tha ki main pahro use dekhta rahu aur uske mukh se nikalne wale shabdo ko sunta rahu. Bagal se baithi maya ki bhi aankhe nam thi aur wo khamoshi se bas mujhe hi dekhe ja rahi thi.

Maine apne bete se bahut der tak baate ki thi. Use apni maa maya ke dwara yaha ke har halaat ka pata tha is liye usne mujhe ek baar bhi ye nahi kaha ki main ye sab chhod du balki yahi kaha ki main is sabke beech ye bhi yaad rakhu ki use apne dady ki aur unke atoot pyaar ki bahut zyada zarurat hai is liye main uske dady ke sath kuch bura na hone du. Vikas ki aisi baate sun kar meri aankho se ek baar fir aansu chhalak pade the. Mera bahut dil kar raha tha ki main use apne seene se laga kar barsho se jal rahe apne kaleje ko ek pal me thanda kar lu magar footi kismat mere naseeb me us wakt ye bhi na tha.

Saari raat bed me maya ke bagal se leta main apne bete ke khayaalo me hi khoya raha tha jabki maya meri haalat se bekhabar soyi padi thi. Baar baar mere zahen me khayaal ubharta ki maya ne hamare bete ko kitne achhe sanskaar diye hain. Kitni shaleenta aur namrata se baate karta hai wo. Use dekh kar aur uski baate sun kar main khushi se foola nahi sama raha tha. Mere andar jazbaato ki aisi aandhiya chal pad thi ki main fir zyada der tak usse baate bhi na kar saka tha. Apne bete me apni hi surat dekh kar mujhe aisa prateet ho raha tha jaise ek baar fir se main apni jawaani ke dino me pahuch gaya hu. Saari raat yahi sab sochte huye main jane kaise kaise khayaal bunta raha tha.

"Kya baat hai badi jaldi neend khul gayi mere jaanu ki." Subah maya ne mujhe jaga hua dekha to muskurate huye boli. Uski baat sun kar main bas halke se muskuraya.

"Neend to tab khulti dear jab main soya hota." Maine uski taraf karwat le kar usse kaha_____"Saari raat khuli aankho se hi guzar gayi."

"Kya matlab??" Maya ekdam se chaunki aur fir hadbada kar uth baithi. Usne bade dhyaan se mujhe dekha. Raat bhar jaagne ki vajah se meri aankhe halka surkh nazar aa rahi thi. Halaaki meri aankho me ab bhi neend ka door door kahi naamo nishaan nahi tha.

"Hey bhagwan tum raat soye nahi??" Fir maya ne ashcharya se meri taraf dekhte huye kaha. Uske chehre par chinta ki lakeere bhi ubhar aayi, boli_____"Tum thik to ho na? Tumhari tabiyat to thik hai na?"

Maya ekdam se fikarmand ho uthi thi aur sath hi bed par uth kar baith gayi thi. Apne liye usko is tarah fikramand hote dekh mujhe ek alag hi khushi ka abhaas hua. Zahen me khayaal ubhra ki wo kitna pyaar karti hai mujhse. Uske khubsurat chehre par ubhar aayi chinta ko dekh main halke se muskuraya aur fir bola_____"Are main ekdam thik hu meri jaan. Tumhe is tarah chintit hone ki zarurat nahi hai."

"Kya sach kah rahe ho?" Usne beyakeeni se meri taraf dekha.
"Haan dear." Maine uth kar uska chehra pyar se apni hatheliyo ke beech liya fir kaha_____"Main sach kah raha hu. Main bilkul thik hu aur rahi baat raat bhar na sone ki to uski ek khaas vajah hai."

"Khaas vajah??" Maya ke maathe par shikan ubhar aayi_____"Bhala aisi kya khaas vajah thi ki tum uski vajah se raat bhar soye hi nahi?"

"Raat bhar apne bete ke khayaalo me hi khoya raha hu main." Maine muskurate huye kaha_____"Aankho ke saamne se uski mohini surat hat hi nahi rahi thi. Kaano me uski meethi meethi baate goonjti rahi. Apne andar barsho baad itne sundar aur adbhut ehsaas ko mahsoos kar raha tha main is liye aise ehsaas ko main so kar bhala kaise mita deta?"

Meri baate sun kar maya ki aankho me ekdam se aansu ubhar aaye aur wo ek jhatke se mujhse lipat gayi. Mujhe kas kar apne se chhupka liya usne. Agle hi pal mere kaano me uski siskiya sunaayi di to maine uski peeth par apne hatho ko ferte huye pyar se kaha_____"Are ye kya? Isme bhala rone ki kya baat hai pagal?"

"Tum nahi samjhoge" Usne mujhse lipte huye hi kaha_____"Ye to wo aansu hain jo khushi se ubharne wale jazbaat ke chalte samhaalne na gaye mujhse. Tum bhi to kal shaam ko apne bete ko dekh kar aise hi aansu baha rahe the."

"Tumne bilkul sahi kaha." Maine use khud se alag kiya aur fir uske dono hath apne hatho me le kar kaha_____"Ye khushi ke hi aansu hain jo had se zyada ubal pade jazbaato ke chalte aankho me ubhar aaye the. Tumne mujhe bahut badi khushi di hai maya. Mera dil karta hai ki kaash mere bas me ho to main tumhe duniya bhar ki khushiya de du. Barsho se apne andar ek aisi aag liye ji raha tha jo mujhe bhoose me lagi aag ki tarah pal pal sulga rahi thi. Tum mili to jaise ek nayi zindagi me khushi se rahne ka ehsaas dil me ubhar aaya. Maine khwaab me bhi ye kalpana nahi ki thi ki bees saal baad jab main jail se riha ho kar is anjaani duniya me aaunga to meri har ummid ke vipreet tum mujhe mil jaaogi. Yakeen maano maya ye sab mere liye abhi bhi kisi sapne ki tarah lag raha hai. Upar wale se bas yahi dua karta hu ki agar ye koi khwaab hi hai to mujhe is khwaab me hi dooba rahne de."

"Aisi baate na karo vikram." Maya ne ek baar fir se mujhe jazbaat me bah kar khud se chhupka liya, fir rundhe huye gale se boli_____"Tumhari aisi baato se dil ko bahut takleef hoti hai. Main tumse waada karti hu ki tumne bees saalo me jail me rah kar jo bhi dukh sahe hain unhe apne pyaar aur sneh se mita doongi. Is sabke baad ham dono is desh se chale jaayenge aur dusre desh me ham apna ek khush haal pariwar basayenge jaha par ham apne bete ke sath hansi khushi naya jeewan shuru karenge."

Mahaul kaafi gamgeen aur bhaavuk sa ho gaya tha. Kuch der ham dono hi ek dusre se lipte rahe uske baad ham dono alag huye. Mera man thoda bhaari sa tha aur yakeenan maya ka bhi yahi haal tha. Hamne apne apne jazbaato par kisi tarah kaabu paya aur fir ek dusre ko pyar bhari nazro se dekhne ke baad ham dono hi bed se utar gaye.

Main fresh ho kar aaya to dekha maya chaay liye mera hi intzaar kar rahi thi aur sath hi kuch soch bhi rahi thi. Mere pukaarne par uska dhyaan bhang hua. Uske baad ham dono bed par hi sath baith kar chaay pine lage. Minakshi ko pahle hi wo chaay de aayi thi. Minakshi ko maine abhi bhi kamre me band kar rakha tha. Maana ki uske behaviour se aisa nahi lag raha tha ki wo yaha se nikal jaane ka sochti hogi lekin fir bhi ehtiyaat ke taur par main use kamre me hi band kiye huye tha.

"Kuch socha hai ki ab aage kya karna hai?" Maya meri taraf dekhte huye aur sath hi chaay ki chuski lene ke baad puchha.
"Filhaal to maamle ke thanda padne tak intzaar hi karuga." Maine kaha_____"Uske baad hi unme se kisi ko tapkaane ke bare me sochuga."

"Shekhar aur ridhima ki maut ke baad." Maya ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Wo log pahle se bhi zyada satark ho gaye honge aur ye bhi sach hi maano ki tumhare prati unka gussa ya khundak aur bhi zyada badh gayi hogi."

"Isme koi shak nahi." Maine khaali ho gaye chaay ke cup ko ek taraf rakhte huye kaha____"Is baar ek sath unhe do zabardast jhatka diya hai maine is liye zaahir hai ki isse unhe behad gahra aghaat bhi laga hoga aur police ke sath sath unke aadmi ek baar fir se sakriya ho gaye honge."

"Ye to hona hi tha." Maya ne kaha_____"Magar ab hame is bare me sochna chahiye ki halaat pahle ki tarah nahi rahe ab. Halaaki halaat to pahle bhi critical hi the lekin ab had se zyada critical ho gaye hain is liye tumhare liye bhi asaan nahi hoga agli baar unme se kisi ko khatm karna."

"Maamla thanda padne do." Maine sahsa shakht bhaav se kaha____"Uske baad dekhna kaise main unme se kisi ka shikaar karta hu."

"Kya usi video ke base par?" Maya ne meri taraf dekha.
"Wo video dynamite hai dear." Maine halke se muskura kar kaha_____"Waisa video unme se kisi ko bhi mere ek ishare par tatti tak khane ke liye majboor kar sakta hai."

"Us video ki vajah se tum kuch zyada hi khush fahmi ke shikaar ho gaye lagte ho vikram." Maya ne ajeeb bhaav se kaha to main chaunka, jabki usne aage kaha_____"Jabki tumhe har tarah ke pahlu ke bare me bhi gahraayi se vichaar karna chahiye. Uske baad hi aage kuch bhi karne ka sochna chahiye."

"Kahna kya chaahti ho tum?" Maine maya ki taraf gaur se dekha_____"Tumhe lagta hai ki main halaato ke bare me achhe se soch nahi raha?"

"Jis garmjoshi se tumne video ke sambandh me baat ki hai usse to yahi lagta hai." Maya ne kaha_____"Jabki mera khayaal ye hai ki us video ke sambandh me tumhe itna zyada befikra nahi hona chahiye."

"Mujhe samajh nahi aa raha ki tum ye kya kah rahi ho?" Main sach me maya ki baato se ulajh gaya tha____"Saaf shabdo me bataao na ki tum mujhe kya samjhana chaahti ho?"

"Main tumhe sirf ye samjhana chaahti hu ki tumhe halaato ke har pahlu ke bare me gahraayi se soch vichaar karna chahiye." Maya ne kaha_____"Main bhi maanti hu ki wo video kisi dynamite se kam nahi hai lekin mujhe lagta hai ki us video ke base par tumhe agli baar unme se kisi ko blackmail karne ka nahi sochna chahiye."

"Aur aisa kis khushi me bhala?" Maine maya ki aankho me jhaanka.
"Mujhe yakeen nahi ho raha vikram ki ye tum puchh rahe ho?" Maya ne aankhe faila kar meri taraf dekha_____"Kya sach me tumhara zahen kund pad gaya hai ya fir tum kuch sochna hi nahi chaahte?"

Maya ki baato se jaha ek taraf main buri tarah ulajh gaya tha wahi dusri taraf mujhe hairaani bhi ho rahi thi ki maya mere bare me aisa kyo kah rahi thi? Main sochne par majboor ho gaya ki wo aisa kyo kah rahi thi? Kya sach me main kuch soch nahi pa raha tha....Magar sawaal hai ki kya sochna chahiye mujhe?

"Raat bhar bete ke khayaalo me khoye rahe ho." Maya mujhe socho me pada dekh boli_____"Shayad isi vajah se tumhare zahen se halaato ke sambandh me har baate nikal gayi hain."

"Haan shayad aisa hi hai." Maine gahri saans le kar sochne wale bhaav se kaha_____"Mujhe sach me samajh nahi aa raha ki tum mujhe kis bare me soch vichaar karne ke liye kah rahi ho?"

"Usi video ke bare me vikram." Maya ne zor de kar kaha_____"Abhi subah jab main minakshi ko chaay dene gayi thi tab use dekh kar ekdam se mujhe khayaal aaya ki do din pahle tumne shekhar aur ridhima ka kaam tamaam kiya tha. Maine minakshi ko chaay di aur kamra band kar ke waapas kitchen me aa gayi thi. Zahen me yahi chal raha tha ki maamla thanda hone ke baad tum fir se unme se kisi na kisi ko khatm karne ka sochoge aur zaahir hai ki unme se kisi ka shikaar karne ke liye filhaal tumhare paas wo video hi hai aur tum us video ke dwara hi unhe blackmail karoge."

"Haan to isme itna sochne wali kya baat hai" Maine uski baat ko beech me hi kaatte huye kaha to maya meri taraf ajeeb bhaav se dekhne lagi.

"Pahle meri puri baat to sun lo." Fir usne mujhe ghoorte huye kaha_____"Tum bathroom me fresh ho rahe the aur main yaha bed par baithi tumhare aane ka intzaar karte huye yahi soch rahi ki kya us video ke base par is baar bhi tum unme se kisi ka badi asaani se shikaar kar loge? Mujhe yaad aaya ki tumne us din shekhar ko call kiya tha aur usko wo video bhi bheja tha jo ki zaahir hai ki abhi bhi uske mobile me maujood hoga. Ab kyoki tumne uska khaatma to kar diya hai lekin uska mobile to tumne apne kabje me liya hi nahi tha to zaahir hai ki uska wo mobile uske ghar walo ke hath lag hi gaya hoga. Main sochne lagi ki kya Sanjay and party me se kisi ke bhi zahen me ye khayaal na aaya hoga ki shekhar aur ridhima tumhare hath lage kaise the?"

"Sahi kaha tumne." Maya ki baato ne ekdam se mere gyaan chakshuo ko kholna shuru kar diya tha_____"Yakeenan un logo ke zahen me ye khayaal aaya hoga kyoki itna to wo bhi samajhte hain ki aise halaato me unke pariwar ka koi bhi shakhs bina security ke baahar nahi jaane wala tha aur jab bina security ke jaane hi nahi wala tha to main bhala kaise unka shikaar kar leta? Ab jabki maine do do logo ko shikaar kar ke khatm kar diya hai to zaahir hai ki is sambandh me wo log saari baato ke bare me vichaar karenge."

"Aur usi vichaar vimarsh me unke zahen me ye khayaal bhi aaya hoga ki unhe shekhar aur ridhima ka mobile check karna chahiye." Maya ne meri baat ko bich me hi kaat kar kaha_____"Jab unhone shekhar ka mobile check kiya hoga to unhe wo video bhi dikh hi gaya hoga. Uske baad unhe ye samajhne me bilkul bhi der na lagi hogi ki shekhar aur ridhima tumhare hath lage kaise the ya tum un dono ko khatm karne me kaise kamyaab huye?"

"Bilkul." Maine sahmati me sir hilaate huye kaha_____"Waise der sawer unhe ye sab to pata chal hi jana tha. Ye koi badi baat to nahi hai."

"Aisa tum samajhte ho." Maya ne mujhe fir se ghoor kar dekha____"Jabki isi me bahut badi baat chhipi hai."
"Kaun si badi baat?" Main ek baar fir se chaunka aur ulajh bhi gaya.

"Sachchaayi ka pata chalne ke baad." Maya ne maano samjhane wale andaz se kaha____"Unhone bhi to aage ke liye kuch na kuch soch vichaar kiya hoga. Itna to tum bhi jaate samajhte ho ki wo aur unke aadmi pagal kutte ki tarah tumhe pakadne ke liye khoj rahe hain. Us video ki vajah se jab unhe saara maajra samajh aa gaya hoga to unhone ye bhi soch liya hoga ki agli baar bhi tum us video ke dwara hi unme se kisi na kisi ko blackmail karoge aur fir apne kaam ko anjaam doge. Aise me kya ye sambhav nahi hai ki wo log tumhe pakadne ke liye us video wale pattern me hi koi tarika soch le?"

"Kis tarah ka tarika?" Main man hi man hairaan tha. Apne pure jism me ajeeb si jhurjhuri bhi mahsoos ki maine.

"Are tumhe pakadne ka tarika." Maya ne maano jhunjhla kar kaha_____"Jaise tum ye samajhte ho ki unme se kisi ka shikaar karne ke liye tumhare paas filhaal wo video hi ek zabardast saadhan hai waise hi wo bhi to tumhari is baat ko ya tumhaari is kamjori ko samajh gaye honge. Aise me unhone yahi plan banaya ho sakta hai ki ab jab tum us video ke dwara unme se kisi ko blackmail karoge to wo jaan boojh kar is liye blackmail ho jayenge taaki wo tumhe tumhari hi chaal ke dwara pakad le. Zaahir hai iske liye wo koi na koi aisa jaal bichhayenge jisse ki wo apne aadmi ko bhi tumhare qahar se bacha le aur sath hi tumhe pakad bhi le."

Maya ki baate gadgadaati bijli ki tarah mere mano mastishk me girti chali gayi. Dimaag ki batti ek jhatke me jali to pura zahen roshan ho gaya. Jaise hi dimaag roshan hua to uski saari baate mere zahen me kisi ink ki tarah chhapti chali gayi. Mujhe pahli baar ehsaas hua ki main kitna bada moorkh tha jo itni badi baat soch nahi pa raha tha ya iske pahle us video ke chalte khush fahmi me khush tha. Maine man hi man dil khol kar maya ke dimaag ki aur uski samajhdaari ki tareef ki. Mujhe ye bhi ehsaas hua ki usne mujhe kitni badi musibat me fans jane se bacha liya tha. Agar sach me uske anusaar Sanjay and party ne yahi plan banaya hoga to yakeenan is baar mera unke hath lag jana tay tha.

"Oh maya...!" Maine jhapat kar use apne gale se laga liya, fir bola_____"Tum to genius ho my dear. Tumne meri buddhi ke band ho gaye kapaato khol diya hai. Sach me main kitni badi khush fahmi ka shikaar ho gaya tha. Thank you so much my dear..my love."

Main maya ko khud se alag kar ke betahasha use choomne laga tha aur wo mere is tarah ke bartaav par muskuraye ja rahi thi. Jab mera ji bhar gaya to main ruka aur uski taraf badi hi kritagyata se dekhne laga.

"Kaash aaj se pahle maine aisi baate ki hoti." Maya ne muskurate huye kaha_____"To pahle hi tumhare dwara itne saare chumban mujhe mil jaate."

"Sirf chumban????" Maine is baar shararat se muskurate huye uski aankho me jhaanka.
"Main to kab se tumhare dwara diye jane wale kisi bhi tarah ke pyar ke liye taras rahi hu." Maya ne bhi usi shararat se kaha____"Par shayad mera jaanu bees saal pahle ki tarah fir se kisi aurat se sharmaane laga hai."

"Oh aisa hai kya?" Main thahaka laga kar hans pada.
"Aur nahi to kya?" Maya ne is baar ithla kar kaha_____"Warna mujhe yakeen hai ki ab bhi mujh me aisi baat to hai ki mujhe dekh ke kisi bhi mard ka imaan dol jaaye."

"Oho kya baat hai." Main uski baat sun kar muskuraya____"Waise ye baat to tumne bilkul sahi kahi ki abhi bhi tum me aisi baat hai. Ek ham hi hain jisme koi baat hi nahi rahi."

"Khabardaar mere jaanu ke bare me aisa kaha to." Maya ekdam se aankhe dikhate huye bol padi____"Ye mera dil hi nahi balki upar wala bhi jaanta hai ki mere jaanu me kitni badi baat hai."

Maya ki baat sun kar mujhe us par behad pyaar aaya aur sath hi mujhe ek sukhad ehsaas ki bhi anubhooti huyi. Ham dono ke beech bahut hi kam faasla tha. Maya ke gulaabi aur ras bhare hoth mujhse maatra paanch inch ki doori par the. Ham dono ek dusre ki aankho me hi dekh rahe the aur fir ekaek jane kya hua ki main khud ko kaabu na rakh saka. Uske ras bhare hotho par maine apne hoth rakhe to aisa laga jaise ab sab kuch bhool jaau. Maya ne mere sir ko thaama to agle hi pal ham sach me sab kuch bhoolte chale gaye.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 45
____________________[/color]




"Is maamle ko jald se jald finish kijiye Mr. Sanjay." Table ke us paar rakhi kayi visitors chair me se ek par baithe police ke DCP ne gambheer bhaav se kaha_____"Kyoki agar aise hi halaat bane rahe to fir main bhi kuch nahi kar sakunga. Aap achhi tarah jaante hain ki delhi jaise shahar me aap logo ke yaha ho rahi in hatyaao se kitni zyada sansani faili huyi hai. News channel wale jane kaisa kaisa mirch mashala laga kar is sabko uchhaal rahe hain aur delhi police ko nakara aur nithalli kah rahe hain. Abhi tak to main aur mere jaise hi kuch aala officers ne is maamle ko kisi tarah samhaal rakha hai lekin baat agar high kamaan tak pahuch gayi to bahut badi musibat ho jaayegi."

"Main aapki problem achhi tarah samajhta hu DCP sahab." Sanjay ne gambheerta se kaha____"Aur yakeen maaniye ham sab aapke is sahyog ke liye aapke bahut abhaari hain. Ham puri koshish kar rahe hain ki ye sab jald se jald ruk jaaye aur hatyare ko pakad kar ham uska naamo nishaan mita sake. Aapki police ke sath sath hamare aadmi bhi us hatyare ki khoj kar rahe hain. Bahut jald wo hamari pakad me aane wala hai."

"Aap itne yakeen ke sath kaise kah sakte hain ki wo hatyara aapki pakad me jald se jald aane wala hai?" DCP ne sanjay ki taraf gaur se dekha_____"Kya koi suraag hath laga hai aapke? Ya har baar ki tarah is baar bhi aap hame jhutha dilaasa hi de rahe hain. Aap shayad halaato ki gambheerta ko achhe se samajh nahi rahe hain Mr sanjay...ye jo kuch bhi ho raha hai na kuch zyada hi ho gaya hai. Abhi kal hi upar se police mahkame ko fatkaar mili hai ki agar ham us hatyare ko nahi pakad pa rahe hain to wo case ko CBI ke hatho me de denge. Agar aisa hua to aap achhi tarah jaante hain ki ye aapke liye hi nahi balki kisi ke liye bhi achha nahi hoga."

"Main samajhta hu DCP sahab." Sanjay ke chehre par shikan ubhar aayi thi, bola____"Aur main aapko jhutha dilasa nahi de raha hu balki sach kah raha hu ki is baar wo hamari pakad me aa jaayega."

"Hamare liye is baat ko chhupana ab kaafi mushkil ho raha hai ki jis hatyare ki vajah se delhi jaise shahar me sansani faili huyi hai wo asal me kaun hai aur uska aapse kya sambandh hai." Table ke us paar DCP ke bagal se dusri chair par kafi der se chup baithe MLA shekhawat ne kaha____"Shahar ki janta bhi ab jawaab maang rahi hai ki police ko ab tak ye kyo nahi pata chala ki wo aap ke logo ki is tarah se hatyaaye kyo kar raha hai? News wale to aaj kal din raat us hatyare ke bare me pata lagane me jute hain. Zaahir hai jis din unhe us hatyare ka aapke sath kisi sambandh ka pata chal gaya us din halaat aur bhi kharaab ho jayenge. Baal ki khaal nikaalne wale ye media wale sab kuch jaan jayenge. Uske baad na aapki koi safaayi kaam aayegi aur na hi police mahkame ki."

"Aapne uske bare me agar pahle hi hame kabhi bataya hota to aaj hamari police us namuraad ko pakadne me itna nakaam na hoti." DCP ne kaha____"Aur na hi media wale hamare bare me aisi raay banate. Khair abhi bhi agar koi aisi baat hai jise uske sambandh me aapne hamse chhupa rakha hai to bata dijiye. Ho sakta hai ki use pakadne me hame thoda asaani ho jaaye."

"Nahi aisi koi baat nahi hai DCP sahab." Sanjay ne bechaini ke chalte ek cigarette jalaate huye kaha_____"Aapko to sab pata hi hai. Uske alawa aur kuch bhi nahi bacha hai uske sambandh me. Waise agar socha jaaye to is sabme aapki bhi galti hai. Aapne dhyaan hi nahi diya ki wo kamina apne achhe aachran ki vajah se apni baaki ki saza ko maaf karwa chuka hai aur ab jail se riha ho kar hamari duniya me aane wala hai. Agar aapne dhyaan diya hota to ham wakt rahte koi aisa jugaad kar sakte the jiski vajah se wo jail se baahar aa hi na paata."

"Isme galti sirf hamari hi bas nahi hai Mr sanjay." DCP ne kaha_____"Galti aap logo ki bhi hai. Waise agar ye kaha jaye to zyada behtar hoga ki saari galti hi aap logo ki hai. Uske sath jo kuch hua tha uske jimmedaar sirf aur sirf aap log hi the. Use agar umar kaid ki saza ho gayi thi to bhi aap logo ko uski taraf se is kadar befikra nahi ho jana chahiye tha ki kabhi uske bare me soche hi na. Ye aap logo ka hi kaam tha ki aap log samay samay par uske bare me pata karte rahte. Rahi baat hamari to hamare jaise kuch log to transfer ki vajah se kahi aur hi chale gaye the. Ye to ittefaak ki baat hai ki chaar mahine pahle ham log fir se yaha transfer ho kar aa gaye. Sach kahe to ham sab is maamle ko bhool hi chuke the. Hame ye bhi pata nahi tha ki aap log isi shahar me ab bhi maujood hain. Pata to tab chala jab ye sab shuru hua aur aap is saare hangaame ko rokne ke iraade se hamare paas aaye the. Agar aapne pahle hi mulakaat ki hoti to sambhav tha ki hamari uske bare me bhi charcha hoti aur jab charcha hoti to zaahir hai ki ham uske bare me pata karte."

"Galti to huyi hai DCP sahab." Sanjay ne aish tray me cigarette ko bujhaate huye kaha____"Par khair koi baat nahi. Usko jitna maut ka khel khelna tha wo khel chuka hai. Ab uska bura wakt aa gaya hai."

"Aakhir kya suraag laga hai aapke hath jiski vajah se aap aisa kah rahe hain?" DCP ne zor de kar puchha____"Hame bhi to bataaiye. Ham bhi to chaahte hain ki use apne kabje me le sake."

"Maaf kijiye DCP sahab. Is bare me main aapko filhaal kuch nahi bata sakta." Sanjay ne kaha_____"Aap bhi jaante hain ki kuch baate gupt hi rahe to behtar hoga. Aapki police me har koi to hamara sathi nahi ho sakta aur na hi hamare bhale ka soch sakta hai is liye main chaahta hu ki filhaal aap abhi waisa hi kare jaisa chal raha hai."

"Thik hai jaisa aapko thik lage. DCP ne kandhe uchkaaye_____"Lekin is baat ka khaas taur par khayaal rakhiyega ki halaat ab hamare control me zyada der tak nahi rah paayenge is liye use jald se jald pakadiye aur is sab jhamele ko shaant kijiye."

DCP ki baat par Sanjay ne sir hilaya. Uske baad kuch der aur isi sambandh me baate huyi tatpashchaat DCP aur MLA apni apni kursiyo se uth kar Sanjay ke cabin se nikal gaye. Unke jane ke baad Sanjay kuch der gahri soch me dooba raha, uske baad wo gahri saans lete huye apne mobile se kisi ko call lagane laga.

[][][][][][]

Rohini sector-11 me maujood ek kothi ke darwaze par khada main door bell baja raha tha. Is wakt maine apna bhesh badla hua tha aur sardaar ke besh me tha. Kuch der baad darwaza khula aur mere saamne wahi aurat nazar aayi jise main kuch samay pahle bhi dekh chuka tha aur uska pichha karte huye yaha tak aaya tha.

"Ji aap kaun?" Us aurat ne mujhe dekhte hi puchha_____"Kya kaam hai aapko?"
"Dr Supriya ji ne bheja hai mujhe." Maine nape tule bhaav se kaha_____"Unse phone par meri baat huyi thi to unhone kaha ki wo mujhse apni kothi par hi milengi. Asal me wo meri wife ka ilaaz kar rahi hain na to usi silsile me unhone mujhe bulaya hai."

"Oh achha achha." Aurat ne sir hilaya aur fir darwaze ko thoda aur khol kar ek taraf hatte huye thoda dheeme swar me badbadaayi_____"Kitni baar kaha is ladki ko ki apne marijo ko apne clinic par hi dekha suna karo."

Aurat ke ek taraf hatte hi main andar daakhil ho gaya tha. Abhi main khamoshi se do kadam hi aage badha tha ki pichhe se wo aurat fir badbadaayi_____"Ek baar phone kar ke bata to sakti thi ki uska koi mareej usse milne aa raha hai."

Maine dekha wo aurat darwaza band kar ke meri taraf palat chuki thi. Main man hi man muskuraya aur fir ekdam se use jhatka dene ke iraade se bola_____"Kaisi ho Savita aunty?"

Meri baat sunte hi aurat chaunki aur fir hairaani se meri taraf dekhne lagi. Chehre par ajeeb se bhaav ubhar aaye the uske aur sath hi kuch ghabrahat ke bhi.

"K...kaun ho tum?" Fir wo atakte huye boli____"Aur mera naam kaise jaante ho tum?"
"Main to naam ke alawa bhi bahut kuch jaanta hu." Main uske ekdam kareeb aa kar bola_____"Waise bees saalo me bahut kuch badal gaya hai na? Kisi ke yaha kaam karne wali naukraani aaj shandaar kothi me rahti hai aur itna hi nahi uski beti doctor bhi hai. Bahut khoob na...upar wale ne to sach me bahut meharbaaniya ki hain meri savita aunty par."

Aurat jo ki Savita aunty hi thi meri baate sun kar bhauchakki si khadi rah gayi thi. Fir jaise use hosh aaya to chehre par ghabrahat ke bhaav ubhar fir se aaye magar jaldi hi usne khud par kaabu paaya aur fir chehre par khushi ke bhaav paida karte huye boli_____"V...vikram b...beta."

"Oho sardaar ke bhesh me bhi pahchaan liya mujhe?" Maine hairaan hone ka naatak kiya_____"Bahut khoob, yaad-daast bahut tez hai tumhari?"

"Apne bachche ko koi kaise bhool sakta hai bhala?" Savita ne adheer ho kar kaha____"Itne saalo baad tumhe dekh kar main bata nahi sakti ki kitna khush ho gayi hu main. Khair andar chalo, yaha aise na khade raho."

Main gaur se uske chehre ke badalte bhaavo ko dekh raha tha. Main saaf saaf mahsoos kar raha tha ki wo andar se ghabraayi huyi hai aur baahar se khush hone ka dikhawa kar rahi hai. Khair uske kahne par main palta aur andar ki taraf badh chala. Kuch hi der me ham dono andar dring room me aa gaye. Maine chaaro taraf nazar ghumaya to pata chala ki kothi to yakeenan shandaar hai. Jaisa ki main pahle bhi andaza laga chuka tha ki ye sab kisi ki meharbaaniyo ka hi natija tha warna karodo ki kothi kisi clinic ki kamaayi se to nahi kharidi ja sakti thi.

"Tum baitho beta main tumhare liye kuch khane pine ko laati hu." Savita ne kaha to maine use rokte huye kaha_____"Uski koi zarurat nahi hai aunty. Tum bas mere saamne baitho. Mujhe dher saari baate karni hain tumse."

"Haan haan kyo nahi beta." Savita ke chehre par ekdam se chinta ki lakire ubhar aayi jinhe usne chhupane ki nakaam koshish ki_____"Par usse pahle kam se kam mere hatho ki chaay to pi lo. Yaad hai bees saal pahle tumhe mere hatho ki chaay kitni pasand thi?"

"Kuch nahi bhoola hu aunty." Main halke se muskuraya_____"Kambakht wo sab bhi yaad hai jo yaad hi nahi hona chahiye."

"Haan main samajhti hu beta." Wo mere saamne sofe par baith kar dukhi hote huye boli_____"Bees saal pahle jo kuch hua tha use koi chaah kar bhi nahi bhool sakta. Khair tumhe itne saalo baad sakushal dekh kar mujhe bahut khushi huyi beta. Agar mujhe pata hota ki tum jail se baahar aa gaye ho to main tumse milne zarur aati."

"Tum mujhse kaha milne aati aunty?" Maine uski taraf dekha to usne kaha____"Kaha se kya matlab hai tumhara? Are main bangle me tumhe milne aati aur kya."

"Kya tumhe lagta hai ki itne saalo baad wo bangla kisi ke rahne laayak bacha hoga?" Maine kaha____"Aur kya tumhe ye bhi lagta hai ki main us bangle me chain sukoon se rah paata?"

"Sahi kaha tumne." Savita ne kaha_____"Ab to wo viraan aur khandahar sa nazar aane laga hoga. Us haadse ke baad main bhi kabhi nahi gayi waha. Jab bhi wo sab yaad aata hai to man bhaari ho jata hai. Kabhi nahi samajh paayi ki wo sab achanak se kaise ho gaya tha?"

"Kya tumhe us sambandh me kuch nahi pata?" Maine gaur se uski taraf dekha. Meri baat sun kar savitri ke chehre par kayi rang ubharte nazar aaye.

"Mujhe kaise pata hoga bhala?" Fir usne kaha____"Jis din wo haadsa hua tha us din kisi ne mujh par hamla kar diya tha jiski vajah se main behosh ho gayi thi. Uske baad jab mujhe hosh aaya to main waha nahi balki dusri jagah par maujood thi. Baad me pata chala ki tumhare pita ke dost sanjay ki vajah se main dusri jagah par thi."

"Kya matlab?" Maine chaunk jane aur hairaan hone ka naatak kiya.
"Sanjay ne mujhe bataya ki jab wo us haadse ke chalte us bangle me pahuche the to main unhe behosh mili thi." Savita ne kaha_____"Unhe laga tumne mere sath bhi kuch bura kar diya hai is liye wo mujhe hospital le gaye the. Uske baad.....!"

"Ek minute." Maine use bich me hi rokte huye kaha_____"Maine bhi tumhare sath kuch bura kar diya hai ka kya matlab hai?"
"Sanjay ne mujhe bataya tha ki tumne apne mata pita ki hatya kar di hai." Savita ne kaha_____"Aur isse pahle ki tum us bangle se bhaag paate waha police pahuch gayi thi. Uske baad police tumhe pakad kar le gayi. Jab main unhe apne kamre me us haalat me mili thi to unhe yahi laga ki tumne mere sath bhi kuch bura kar diya hai is liye wo mujhe hospital me le aaye the."

"Waah bahut khoob." Main muskura utha____"Maanna padega savita aunty ki tum bhi badi safaayi se jhooth bol leti ho."
"K...kya matlab?" Savita buri tarah haklaayi____"M..main bhala kya jhooth bol rahi hu beta?"

"Ye jhooth hi to hai ki maine tumhare sath kuch bura kiya tha." Maine kaha____"Sach to ye hai ki tum mujhe jo kuch bata rahi ho wo sab jhooth hi hai. Asal baat to ye hai ki apne mata pita ki hatya maine nahi ki thi aur ye tum bhi jaanti ho magar ye sab is liye kah rahi ho kyoki tum sanjay aur uske baaki dosto ko mera gunahgaar nahi batana chaahti. Unhe gunahgaar kahogi bhi kaise? Unke upkaar jo hain tum par. Kyo sahi kaha na maine?"

"Y...ye..tum kya kah rahe ho vikram beta?" Savita haklaane ke sath sath aankhe faade meri taraf dekhte huye boli____"Ye sach nahi hai."

"Mujhse kisi ka kuch bhi chhupa hau nahi hai aunty." Maine uski aankho me jhaankte huye kaha_____"Mujhe tum sabki sachaayi pata hai."
"K...kaisi sachaayi?" Savita ke chehre par khauf naachta nazar aaya.

"Yahi ki tum sanjay ke kahne par meri jasusi kiya karti thi." Maine maano uske sir par bomb foda_____"Aur mere mata pita ki bhi."

"N..nahi to." Savita mujhse nazre churaane lagi.
"Us sanjay ka bistar bhi garam kiya tha tumne." Maine ek aur bomb uske sir par foda_____"Sirf is liye ki wo tumhari chaahat puri kar sake. Yaani mere pita ke sath sambhog karne ki tumhari chaahat ko. Kah do ki main jhooth bol raha hu."

Meri baat sun kar Savita maano patthar ki moorti me badal gayi. Ashcharya se aankhe faade wo mujhe aise dekhe ja rahi thi maano achanak hi mere sir par use delhi ka qutub minar khada hua nazar aane laga ho.

"H...ha...haan ye jhooth hai." Fir wo khud ko samhaalte huye badi mushkil se boli_____"Tum mere bare me aisa kaise kah sakte ho? Kya tumhe zara bhi sharm nahi aati?"

"Mere saamne ye sab naatak mat karo dear aunty." Maine is baar sard lahje me kaha_____"Warna palak jhapakte hi tumhari zubaan halak se nikaal kar tumhare hath me de doonga. Itna hi nahi jis beti ke sath tum is kothi me shaan se rah rahi ho uska rape kar ke use nanga kisi chauraahe par fenk doonga."

Meri baate sun kar aur mera khaufnaak roop dekhte hi savita ki gaand fat gayi. Chehra peela zard pad gaya aur paseena paseena ho gaya tha. Main gusse me usi ko dekh raha tha.

"Tum meri aur mere mata pita ki gunahgaar ho lekin sirf itni hi ki tumne Sanjay ke kahne par hamari jasusi ki thi aur mere pita se sambhog karne ki chaahat bhi rakhti thi." Maine shakht bhaav se kaha_____"Tumhara ye apraadh main maaf kar sakta hu lekin agar mujhse kisi cheez ke bare me jhooth bola ya un logo ke character ko paak saaf batane ki koshish ki to hargiz maaf nahi karuga tumhe balki tum dono maa beti ke bhi sath wahi karuga jo aaj un logo ke sath kar raha hu. Pata to tumhe bhi chal hi gaya hoga ki aaj kal wo log kis kadar mere khauf ke saaye me ji rahe hain?"

"Mujhe maaf kar do beta." Savita ekdam se magarmaksh ke aansu bahaate huye ro padi, boli_____"Main maanti hu ki maine apraadh kiya hai lekin is sabke liye mujhe us sanjay ne hi majboor kiya tha. Meri koi beti bhi hai is baat ko sirf tumhare mata pita hi jaante the. Mujhe aaj tak ye nahi pata chala ki kaise ye baat sanjay ko bhi pata chal gayi thi. Usne meri beti ko jaan se maarne ki dhamki di thi. Ab tum hi bataao main apni iklauti aulaad ko kaise mar jane deti? Is liye majboor ho kar wahi kiya jo wo chaahta tha."

"Agar tum maanti ho ki tumne mere aur mere mata pita ke sath apraadh kiya hai to tumhe us apraadh ke liye ab prayaashchit bhi karna hoga." Maine kathorta se kaha.

"M..main karungi." Savita jhat se bol padi____"Main prayashchit karungi beta. Tum jo kahoge main wo karungi."
"Thik hai." Maine kaha_____"Prayashchit ke roop me ab tumhe wahi karna hoga jo karne ko main kahu."

"Bilkul beta." Savita ne kaha____"Tum jo kahoge main karungi. Bas meri beti ke sath kuch bhi bura mat karna."
"Tumhari beti ke sath main kuch nahi karunga." Maine kaha_____"Lekin aisa tabhi hoga jab tum mere kahne par sanjay aur uske baaki dosto ka naamo nishaan mitane me meri help karogi."

"K...kya???" Savita buri tarah uchhal padi, fir kisi tarah khud ko samhaal kar boli____"Par beta main isme tumhari kya help kar sakungi? Main buddhi aurat bhala kar bhi kya sakungi?"

"Abhi to bada kah rahi thi ki tum mere kahne par kuch bhi karogi." Maine gusse se uski taraf dekha to wo saham gayi, fir boli_____"Thik hai..main sab kuch karungi."

"Fikra mat karo." Maine kaha_____"Mujhe bhi pata hai ki tum is umar me kisi ke sath kushti nahi lad sakti. Is liye main tumhe ek asaan sa kaam karne ko kah raha hu."

Uske baad maine Savita ko batana shuru kiya ki use kya karna hai. Savita meri baato par pahle to hairaan huyi uske baad haan me sir hila diya. Maine use saaf shabdo me chetaavni di ki agar usne is sambandh me kuch bhi gadbad karne ka socha to ye na to uske liye thik hoga aur na hi uski beti ke liye. Savita marti kya na karti waali haalat me aa gayi thi. Kuch der aur main uski kothi me raha uske baad ye kah kar waha se chal pada ki is sambandh me wo apni beti ko kuch na bataye kyoki ye uske liye hi behtar hi hoga.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 46
____________________[/color]




Do din baad...!
Shaam ke lagbhag nau bajne wale the. Rohini sector-11 me maujood savita ki kothi ke saamne ek ke baad ek kayi saari cars aa kar ruki. Un cars me sanjay aur uske baaki dosto ki family se gine chune log security ke sath aaye the. Jaisa ki savita ne sanjay se kaha tha kothi me kisi bhi tarah ka taam jhaam jaisa maahaul nahi banaya tha usne. Aas paas bhi ekdam shaanti hi thi. Halaaki sanjay aur uske baaki dosto ki family wale aaj kal jin halaato me the uske madde nazar wo savita ke yaha is karyakram par aana nahi chaahte the lekin savita ke bahut aagrah karne par un logo ko maanna hi pada tha lekin is shart par ki wo apne yaha kisi bhi tarah ka lime light jaisa taam jhaam na kare. Savita bhi unki haalat ko bakhubi samajhti thi lekin majburi ke chalte use ye sab karna pad raha tha.

Aaj savita ki beti Dr. Supriya Varma ka janmdin tha. Yu to savita ka sanjay aur uske baaki dosto ki family walo se zyada milna julna nahi hota tha lekin khaas mauko par savita in sabko zarur bulaati thi aur isi tarah in logo ke yaha jab koi khaas karyakram hota tha to ye log bhi savita aur uski beti supriya ko apne yaha bulaate the. Kahne ka matlab ye ki connection dono taraf se juda hua tha. Pichhle kuch samay se sanjay gang ke sath jo kuch ho raha tha uska savita ko bhi pata tha aur wo ek do baar in logo ke yaha gayi bhi thi.

Do din pahle jab main Savita ki kothi par gaya tha to use yahi sab karne ke liye kaha tha. Maine uski beti ke bare me apne hisaab se pata kiya tha aur ise meri khush naseebi kahiye ya ittefaaq ki do din baad hi uska janmdin aane wala tha. Mere zahen me bijli ki tarah khayaal ubhra tha ki sanjay gang me se kisi ka shikaar karne ke liye yahi se koi tarika nikala ja sakta hai. Bas uske baad main fauran hi savita ke paas pahuch gaya tha aur use is sabke liye maano majbur hi kar diya tha. Mujhe bhi pata tha ki aise halaat me na to savita ka apne yaha koi khaas karyakram karna shobha deta tha aur na hi un logo ka yaha aana. Magar mujhe to apne kaam se matlab tha is liye savita ko majboor kiya tha maine. Ab ye uski problem thi ki wo un logo ko kaise apne yaha bulaane ke liye raaji karti hai? Halaaki un logo ke yaha aane ki ummid main bhi nahi kiye huye tha lekin fir bhi dekhna chaahta tha ki kya mera ye plan kamyaab hoga? Apni taraf se taiyari puri thi. Wo log na aate tab bhi apne ko koi fark nahi padta kyoki fir main shaanti se baith kar koi dusra tarika sochta. Baharhaal is wakt un logo ko yaha aaya dekh kar main samajh gaya tha ki savita ne un logo ko kisi tarah yaha aane ke liye raaji kar liya hai aur mera ye plan kaam kar gaya hai.

Savita ko kuch kuch andesha tha ki main kya karne wala tha is liye wo is baat se andar hi andar ghabraayi huyi bhi thi lekin maine use shakht chetaawni de rakhi thi ki agar usne koi bhi gadbad ki ya uski vajah se koi bhi gadbad huyi to ye un dono maa beti ke liye thik nahi hoga.

Pahle security wale utre aur unhone aas paas ka jaayda liya uske baad unke hi ishare par baaki sab bhi apni apni cars se niche utre. Isi baat se zaahir tha ki un logo ke andar mera kitna khauf tha. Main ye soch kar anayaas hi muskura pada. Savita apni beti ke sath kothi ke baahar hi un logo ka welcome karne ke liye khadi thi. Usne bade hi adab se sabka welcome kiya aur fir unhe kothi ke andar le gayi. Sanjay ne security walo ko baahar hi rukne ko kaha aur ye bhi kaha ki puri tarah se satark rahe. Security ke do log uske kahne par unke sath kothi ke andar bhi aa gaye the.

Sabko aaya dekh supriya ne halke se muskurate huye sabhi ko namaste kiya tha. Use is baat ka pata nahi tha ki asal me un sabka uski maa se kis tarah ka sambandh hai. Use uski maa ke dwara sirf itna hi pata tha ki un logo ki vajah se hi uski maa salaamat rahi thi aur un logo ki vajah se hi aaj wo khud bhi is mukaam par hai. Halaaki kuch baate sach bhi thi. Mere mata pita ke guzar jane ke baad sanjay ne uski beti ki padhaayi likhaayi ka bhaar apne hatho me le liya tha. Supriya ke anusaar sanjay aur wo sab bahut achhe log the jinhone uske aur uski maa ke liye itna kuch kiya tha.

"Many many happy returns of the day my child." Sanjay ne uske sir par hath fer kar kaha____"Sorry, aise halaato ki vajah se is baar tumhara janmdin pichhli baar ki tarah shandaar tarike se nahi manaya ja raha."

"It's ok uncle." Supriya ne namrata se kaha____"Main to khud aise halaato me ye sab nahi chaahti thi lekin maa ko to aap jaante hi hain."

"Maa to maa hi hoti hai beti." Keerti ne kaha____"Apne bachcho ke prati uska bhaav alag hi hota hai. Tum to waise bhi inki iklauti aur honhaar beti ho. Khair janmdin ki tumhe dhero badhaayi beta. Main kaamna karti hu ki upar wala tumhe har khushi de."

Kuch der aisi hi baato ke baad sab ek ek kar ke wahi dring room me rakhe sofo par baith gaye. Andar bhi koi taam jhaam nahi tha. Aisa lag hi nahi raha tha jaise aaj koi khaas din hai. Sabke baithte hi Supriya andar apni maa ka hath batane ke liye chali gayi. Kuch hi der me dono maa beti ne un sabke beech rakhi table par tray rakha jisme unke pine ke liye kaanch ke glasses me paani rakha hua tha. Sabne ek ek kar ke utha kar piya.

"Supriya beta maaf karna par ham log zyada der tak yaha rukenge nahi." Siraj ne kaha_____"Tumhe to maujooda halaato ke bare me sab pata hi hai is liye ham sab jald hi yaha se nikalna chaahenge."

"Thik hai uncle." Supriya ne shaleenta se kaha____"Jaisa aapko thik lage. Maa ke zor dene par mujhe cake lana pada is liye agar aap sabko thik lage to....!"

"Haan haan kyo nahi beta." Sanjay ne kaha_____"Ab itna to kar hi sakte hain ham. Tum cake laao ham sab yahi hain."

Thodi hi der me Supriya ne ek stool par cake la kar rakha. Sabke sab uske chaaro taraf khade ho gaye. Savita bahut koshish kar rahi thi ki wo samaanya hi rahe lekin na chaahtn ke baad bhi uske chehre par ghabrahat tatha paseena ubhar aata tha. Ye to achha tha ki kisi ne is baat ko notice nahi kiya warna unke puchh lene par use jawaab dena bhaari pad jata. Wo apne bhaavo ko sabki nazro se chhupane ke liye ya to kisi kaam ka bahana kar ke andar chali jati thi ya fir unki nazro se bachne ka prayaas karne lagti thi. Sanjay gang ke sath aurto me sirf keerti aayi thi aur udhar sanjay siraj ke alawa gulfam ka beta zafar aaya tha.

Baharhaal supriya ne sabke kahne par cake kaata. Sabne khushi zaahir karte huye aur taaliya bajate huye use wish kiya. Cake kaatne ke baad supriya ne chaaku se cake ka chhota sa tukda kaat kar sabse pahle apni maa ko khilaya aur uske baad keerti ko. Keerti ne bhi supriya se chaaku le kar cake me se ek tukda kaata aur fir supriya ko khilaya. Supriya ne fir chaaku apne hath me liya aur cake se tukde kaat kar ek ek kar ke baaki sabko bhi khilaya. Sanjay siraj aur zafar ne bhi aisi hi kiya. Is sabke baad sabne supriya ko apna apna gift diya aur sath hi use ashirwaad bhi diya.

Dring room me sab fir se sofo par baith gaye the. Savita aur supriya ke zor dene par unhe thoda bahut naasta paani karne ke liye baithna hi pada. Keerti ne savita ko apne paas hi sofe par baithne ko kaha lekin wo ye kah kar andar kitchen ki taraf chali gayi ki wo sabke liye naasta paani laati hai uske baad baithegi. Jaise jaise wakt guzar raha tha waise waise savita ki ghabrahat bhi badhti ja rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ki main kya karne wala hu. Khair kuch hi der me savita aur uski beti sabke liye plates me naasta le aayi. Sanjay aur baaki sabne khana shuru kar diya aur idhar udhar ki baate bhi karte rahe. Is baar savita bhi keerti ke bagal se ye soch kar baith gayi ki kahi unme se kisi ko kisi baat ka shak na ho jaaye. Apne andar se ghabrahat ko door karne ke liye wo keerti se baate karne lagi thi.

"Main zara bathroom ho kar aata hu." Siraj ne sofe se uthte huye kaha____"Uske baad nikalte hain yaha se."
"Thik hai." Sanjay ne kaha_____"Jaldi aana, mujhe ek zaruri kaam se kahi jana bhi hai."

Sanjay ki baat par siraj ne sir hilaya aur andar ki taraf badhne hi wala tha ki uski nazar security wale par padi. Security ka ek aadmi uske pichhe aane laga tha. Use apne pichhe aate dekh siraj ne halke se muskurate huye kaha_____"Are bhai bathroom me koi mujhe kha nahi jaayega. Yahi raho, main bas do minute me aata hu."

Siraj ke kahne par wo security wala waapas apni jagah par ja kar khada ho gaya jabki siraj bathroom ki taraf badh gaya. Savita ne bhi dekh liya tha ki siraj andar ki taraf gaya hai. Usse kuch kahte to na ban pada lekin ekdam se uske chehre par ghabrahat ke bhaav ubhar aaye jise usne fauran hi us taraf se dhyaan hata kar door karne ki koshish ki.

Siraj jab das minute baad bhi bathroom se waapas na aaya to sanjay ke sath sath sabhi ka dhyaan uski taraf gaya. Sanjay ne security ke ek aadmi ko ishara kiya ki wo ja kar siraj ka pata kare. Security ka wo aadmi sanjay ke ishare par fauran hi bathroom ki taraf badh gaya.

[][][][][][]

Main in logo ke aane se pahle hi savita ki kothi par aa gaya tha aur andar hi chhup gaya tha. Mere yaha hone ke bare me sirf savita ko pata tha. Mere aane par savita ne ek baar fir mujhse puchha tha ki main aakhir kya karne wala hu? Halaaki use andesha to tha lekin fir bhi jaanna chahti thi wo. Shayad pakka karna chaahti thi ki main wahi karne wala hu jiska use andesha hai ya kuch aur? Uske puchhne par maine use kathor bhaav se bas yahi kaha tha ki wo apne kaam par dhyaan de baaki use kuch sochne ki zarurat nahi hai. Ye bhi kaha ki agar usne apna kaam waisa hi kiya jaisa ki maine do din pahle use samjhaya tha to bahut had tak sambhav hai ki us par koi aanch na aaye. Savita majboor thi is liye mere khilaaf nahi ja sakti thi.

Maine un sabko kothi me aate huye dekha tha aur fir jab wo andar aaye to main andar hi chhipa unki baate bhi sun raha tha. Kothi ke andar ka maine achhi tarah muaayna kar liya tha. Khaas kar is baat ka ki sabki maujoodgi ke bavjood main apna kaam kar ke kaise yaha se safaltapurwak nikal paaunga. Sab kuch ready kar chuka tha main. Ab to bas mauke ka intzaar tha.

Siraj ko maine bathroom ki taraf aate dekha to main jhat se usi bathroom me ghus gaya jisme wo jane wala tha. Is wakt main puri taiyaari ke sath tha. Kuch hi der me mujhe bathroom ke darwaze par siraj ke aane ka abhaas hua. Meri dhadkane jo pahle se hi badh chuki thi wo aur bhi zyada tez gati se chalne lagi. Na chaahte huye bhi maathe par paseena ubhar aaya. Khud ko samhaale main darwaza khulne ka aur siraj ke andar daakhil hone ka intzaar karne laga. Pratipal meri dhadkane tez hoti ja rahi thi.

Naak aur muh me lage mask ke andar main apni saanse roke andar khada hi tha ki tabhi darwaza khula aur maine andar ki taraf siraj ke daakhil hote ek pair ko dekha. Maine khud ko kuch aur diwaar par chipka liya. Agle hi pal siraj puri tarah bathroom me daakhil ho gaya. Main ekdam darwaze ke palle me pichhe hi tha aur siraj jab andar aaya to uska dhyaan bathroom ki taraf na ho kar darwaze ko band karne ki taraf raha. Uski peeth meri taraf thi. Ek hath se usne darwaza band kar ke kundi lagaayi aur fir jaise hi palta maine peechhe se bijli ki tarah lapak kar use daboch liya. Siraj par maano gaaj si gir gayi thi. Maine is action ke bare me pahle se hi sab kuch soch vichaar kar liya tha. Isse pahle ki siraj maare khauf aur hadbadahat me kuch kar pata mera ek hath kisi pressure cooker ke dhakkan ki tarah uske naak aur muh ko dhank liya. Mere us hath me chloroform chhidka hua rumaal tha. Siraj mujhse chhootne ke liye chhatpataya to bahut lekin ek to umar ka prabhaav aur dusre behoshi ki dawa ne use kuch karne ke liye taakat hi nahi lagane di. Jaldi hi wo dheela padta chala gaya.

Siraj patel behosh ho kar dheela pad gaya tha. Maine uske jism ko bade hi ehtiyaat se bathroom ke farsh par pet ke bal leta diya. Chloroform wale rumaal ko maine apni coat ki jeb me dala aur dusre jeb se wahi khanzar nikala jiske dwara maine shekhar aur ridhima ka kalyaan kiya tha.

Main jaanta tha ki mere paas zyada samay nahi hai is liye main fauran hi apne kaam me lag gaya. Sabse pahle to maine us khanzar ki madad se siraj ke jism se wo chip nikaali jo cms sanstha ki thi. Cut lagne se khoon bahne laga tha lekin mujhe uski koi parwaah nahi thi. Maine khoon se sani huyi us chip ko do pal gaur se dekha aur fir use farsh par rakh diya. Khanzar ko liye maine siraj ko dekha. Use dekhte hi mere hotho par zahreeli muskaan ubhri aur sath hi chehra shakht hota chala gaya.

Maine ek hath se siraj ke sir ko uske baalo se pakad kar uthaya aur khanzar ki paini dhaar aage badha kar uski gardan par rakh di_____"Alvida dear uncle." Kahne ke sath hi maine khanzar se uske gale ko cheer diya. Palak jhapakte hi khoon ka silaab sa umad pada jo farsh par tezi se failne laga tha. Siraj ke jism ko halke halke jhatke lag rahe the jo jaldi hi shaant pad gaye. Kuch hi der me maine dekha siraj patel naam ka insaan is duniya se rukhsat ho chuka tha. Maine khanzar par lage khoon ko usi ke coat se saaf kiya aur us chip ko uski peeth par aise rakh diya jaise koi dish saja ke rakh di jati hai. Uske baad main utha aur darwaza khol kar baahar ki taraf nazar daali. Sab kuch apne paksh me hi nazar aaya dekh main bade araam se bathroom se baahar nikal aaya.

Seedhiyo se hota hua main upar chhat par pahucha. Mere hatho me jo dastaane the unme thoda bahut khoon laga hua tha is liye maine jaan boojh kar seedhiyo par kuch jagah khoon se nishaan bana diye. Mera aisa karna bhi ek yojna ka hi hissa tha jo ki savita aur uski beti ki safety se sambandhit tha. Chhat par aa kar main us taraf badha jaha par mere dwara pahle hi railing me rassi bandhi huyi thi. Main usi rassi ke dwara niche jhool gaya.

Kuch hi der me main sadak par pahuch gaya. Rassi ko main waisi hi latakta chhod aaya taaki sanjay gang asaani se samajh sake ki siraj ki hatya karne wala hatyara kaha se aaya tha aur kis tarah kaand kar ke nikal gaya tha. Kareeb paanch minute tak paidal chalne ke baad main mukhya sadak par aa gaya. Kuch palo ke intzaar ke baad mujhe ek auto nazar aaya to maine use rukne ke liye hath se ishara kiya. Auto wala ruka to maine use apne gantavya par chalne ko kaha magar wo chalne ko raaji na hua. Maine use zyada paise ka laalach diya to aakhir wo chalne ke liye raaji ho gaya. Siraj ka kaam tamaam kar ke main us auto me baitha bade hi khushi man se chala ja raha tha.

[][][][][]

"Kya hua.?" Security wale ko waapas aaya dekh sanjay ne sandeh poorn bhaav se usse puchha_____"Siraj nahi aaya?"
"Mujhe kuch thik nahi lag raha sir." Security wale ne ajeeb bhaav se kaha_____"Maine bathroom ke baahar se unhe kayi baar pukara lekin andar se unka koi response hi nahi aaya."

"K...kya???" Sanjay hi nahi sabke sab uski baat sun kar chaunke_____"Koi response hi nahi aaya ka kya matlab hai?"
"Sir, mere baar baar pukaarne par bhi andar se unki koi awaaz nahi aayi." Security wale ne pareshaan bhaav se kaha____"Maine darwaze par apna kaan laga kar bhi suna magar kuch bhi abhaas nahi hua. Na paani chalne ki awaaz aur na hi kisi tarah ki aahat ka abhaas hua."

"A..aisa kaise ho sakta hai?" Sanjay ekdam maano chakra hi gaya tha, fir ek jhatke me uth kar bola_____"Chalo main dekhta hu. Aisa kaise ho sakta hai ki wo bathroom ke andar ho aur koi pratikriya na de?"

Kuch hi der me sanjay aur wo security wala bathroom ke darwaze ke paas pahuch gaye. Sanjay ne siraj ko awaaz di magar koi pratikriya na huyi. Sanjay ne kayi baar siraj ka naam le kar use pukaara magar andar se koi jawaab na mila use. Wo ekdam se behad chintit aur pareshaan ho utha. Man me tarah tarah ke bure khayaal ubharne lage. Usne fauran hi darwaze ke handle ko pakad kar ghumaya to wo badi asaani se ghoom gaya aur darwaza bhi thoda sa andar ki taraf khisak gaya. Ye dekh sanjay ke chehre par hairaani ke bhaav ubhre. Wo samajh gaya ki darwaza andar se band nahi tha warna handle ghoom jane ke baad bhi darwaza andar ki taraf na khul jata.

Sanjay ne ek jhatke me darwaze ko andar dhakela aur fir jaise hi uski nazar andar ke bhayanak nazare par padi to uski cheekh nikal gayi. Security wala uske pichhe hi tha is liye uski bhi us manzar par nazar pad gayi thi lekin sanjay ki tarah wo cheekha nahi. Shayad majboot dil ka insaan tha wo. Idhar Sanjay ki cheekh sun kar dring room me baithe baaki sab buri tarah uchhal pade. Agle hi par sab ke sab sofo se uthe aur bathroom ki taraf daud pade. Sabse pichhe savita thi aur ye sab dekh sun kar uski ghabrahat me hazaar guna izafa ho gaya. Kisi tarah apni ghabrahat aur dar ko kaabu karte huye wo un sabke pichhe bathroom ke paas pahuchi.

Bathroom me siraj farsh par pet ke bal leta hua tha. Uski gardan ki taraf se bahta hua khoon farsh par faila hua tha aur aage uske khoon ki ek moti dhaar bahte huye us taraf gayi huyi thi jaha par bathroom ka paani dhakkan lage chhend me se pipe ke raaste baahar nikal jata tha. Siraj ko is haalat me dekh kar hi sanjay ki cheekh nikal gayi thi aur fir wo ekdam se but sa ban gaya tha. Jaise hi baaki log uske paas pahuche aur keerti ne use awaaz di to use maano hosh aaya. Siraj ko us haalat me dekh kar achanak hi uski aankho se aansu bah chale. Halaaki sanjay apne dosto me sabse zyada patthar dil aur jazbaat heen byakti tha lekin is wakt aise nazare ko dekh kar wo bhi ro pada tha.

Keerti ko kisi anisht ka abhaas to ho gaya tha lekin aisa hone ki ummid nahi thi is liye jab usse na raha gaya to wo khud hi aage badhi aur andar ka haal dekhna chaaha. Jaise hi usne andar ka manzar dekha to uske halak se bhi cheekh nikal gayi. Bas uske baad to maano cheekho pukaar sa mach gaya. Sanjay ne fauran hi khud ko samhaala aur apne andar se jazbaato ko jhatak kar dimaag se kaam lene ka socha. Use abhaas hua ki yaha agar kisi ko pata chala ki aisa kaand ho gaya hai to musibat ho jaayegi. Usne apni biwi keerti ko thoda shakht bhaav se kaha ki wo chup ho jaaye. Aakhir uske samjhane par keerti shaant huyi lekin uska sisakna jaari raha. Uske jaisa hi haal supriya ka tha aur savita ka bhi. Savita ka to sabse zyada tha. Halaaki wo ro nahi thi balki use sadma sa laga hua tha. Zafar ko bhi zabardast jhatka laga tha lekin wo ekdam khamosh tha.

Kisi ko khwaab me bhi ummid nahi thi ki aisa kuch ho jaayega. Savita ko baaki to sab pata tha lekin use bhi is baat ki ummid nahi thi ki vikram uske hi ghar me unme se kisi ka katl kar dega. Uske andar ye sab dekh kar ek hadas si bhar gayi thi. Aplak wo shoonya me ghoore ja rahi thi. Supriya apni maa aur keerti dono ko hi samhaalne me lagi huyi thi. Is wakt wo teeno savita ke kamre me thi jabki baaki sab baahar hi the.

"Yaha seedhiyo par khoon laga hua hai uncle." Seedhiyo ke paas khada zafar uttejit bhaav se bol pada_____"Lagta hai wo idhar se gaya hai."

Zafar ki baat sun kar sanjay aur security ke dono aadmi us taraf badhe. Sanjay ne us jagah ko gaur se dekha jaha par khoon laga hua tha. Seedhiyo ke ek taraf diwaar thi aur dusri taraf railing. Khoon steel ki railing me laga hua tha. Zafar railing ko gaur se dekhte huye upar ki taraf badhne laga. Uske pichhe sanjay aur wo dono security wale bhi. Railing me do teen jagah aur bhi khoon ka dhabba unhe nazar aaya aur fir wo sab chhat par pahuch gaye. Raat ke andhere me chhat par door lagi street light ki halki roshni aa rahi thi. Zafar ne mobile ki torch jala kar chhat ka muaayna karna shuru kar diya. Jaldi hi unhe ek jagah railing par khoon ka dhabba nazar aaya aur sath hi ek rassi bhi bandhi huyi nazar aayi. Zafar ke ishare par sanjay ne aage badh kar us rassi ko dekha aur fir niche ki taraf jhaanka.

"Haramjada yaha se aaya tha." Sanjay ke mukh se gusse me dooba swar nikla____"Ek baar fir se wo hame maat de gaya. Laga tha is baar wo hamari pakad me aa jaayega lekin.....!"

"Bahut shaatir lagta hai wo." Zafar ne sapaat lahje me kaha_____"Lekin uncle use yaha ke bare me kaise pata chala?"

"Agar tum use shaatir samajhte ho to ye sawaal nahi karna chahiye tha tumhe." Sanjay ne kaha_____"Jail se riha hone ke baad jaise usne ham sab ki kundali nikaal li hai usi tarah savita ki bhi nikaal li hogi...simple. Is haadse ke baad to yahi saabit hota hai. Isse ek aur baat saaf ho gayi hai ki wo hamare alawa savita par bhi nazar rakhe huye tha aur itna hi nahi wo ye tak pata kar rakha tha ki savita ki beti supriya ka janmdin kab hai."

"Baat to sahi hai aapki uncle." Zafar ne kuch sochte huye kaha____"Lekin badi ajeeb aur sochne wali baat hai ki usne apna agla karnama anjaam dene ke liye itni door tak ka kaise soch liya? Use kaise is baat ka yakeen tha ki aise halaato me ham me se koi bhi yaha supriya ke janmdin par aayega? Itna hi nahi sabse bada sawaal to ye bhi hai ki use kaise pata ki ham sab aaj bhi savita aunty se connection jode huye hain?"

"Bevkoofo jaise sawaal mat karo zafar." Sanjay ne kaha____"Jab wo ham sab par bariki se nazar rakhe rahta hai to zaahir hai ki use ye bhi pata chal gaya hoga ki ham savita se aaj bhi sambandh rakhte hain. Tumhe pata nahi hai lekin in haadso ke chalte savita apni beti ke sath do baar hamse milne aayi thi. Sambhav hai ki vikram ne use hamare yaha aate dekha ho. Ab aisa to hai nahi ki itne saalo baad bhi wo savita ko pahchaan na pata. Jab do aur do mil jate hain to use chaar bana lene me wakt nahi lagta. Khair is bare me ham baad me baat karenge. Abhi zaruri ye hai ki hame siraj ko yaha se le jana hai aur ye jo kuch hua hai uske liye uske ghar walo ko bhi samhaalna hoga."

"Aane wala samay bahut hi khaufnaak hone wala hai uncle." Zafar ne gahri saans le kar kaha____"Siraj uncle ke ghar walo ko jab is baat ka pata chalega to kya guzregi un par. Tarun aur saumya aunty to unhe mana bhi kar rahi thi yaha aane se magar aap hi unhe le kar aaye the. Zaahir hai is sabke liye wo aapko hi jimmedaar thahrayenge."

Zafar ki baat par sanjay kuch na bola. Bolta bhi kya? Use bhi is baat ka bakhubi ehsaas tha. Use kya pata tha ki is jagah par aur sabke rahte huye bhi vikram aisa kuch kar jaayega. Sanjay ne ek gahri saans li aur palat kar seedhiyo ki taraf bhaari kadmo se badh chala.

Kuch hi der me security walo ki madad se siraj ke mrit jism ko car me pahucha diya gaya. Uske gale par kapda baandh diya gaya tha taaki bahta hua khoon ruk jaaye aur kahi gire na. Sab ke sab dukhi the magar sanjay ki hidaayat ki vajah se shor sharaba nahi kar sakte the. Har takleef ko apne andar hi kisi tarah dabaye huye the.

Savita ab tak thoda bahut sadme se baahar aa chuki thi is liye wo is beech kayi baar dukhi ho kar un logo se bol chuki thi ki ye sab uski vajah se hi hua hai. Agar wo unhe apne yaha aane ke liye na kahti to ye sab na hota. Khair jis khauf ko liye wo log aaye the us khauf ke chalte jo unhe praapt hua use le kar chale gaye.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 47
____________________[/color]




Auto wale ki speed dheemi huyi aur fir wo ekdam se ruk gaya to main chaunka. Main aankhe band kiye khushi ke ehsaas me dooba hua tha. Main jaanta tha ki karol bagh pahuchne me samay lagega is liye main araam se aankhe band kar ke baith gaya tha magar kuch hi der me jab auto ekdam se ruk gaya to main chaunk pada aur jhat se aankhe kholi. Pahle to meri nazar auto wale par hi gayi fir agal bagal aur saamne ki taraf. Auto ke left side teen police wale khade the. Police walo ko dekh meri hawa shant si ho gayi. Chehre par palak jhapakte hi ghabrahat ke bhaav ubhar aaye. Kaha iske pahle main safalta poorwak shikaar kar lene ki khushi me dooba hua tha aur kaha ab in police walo ko apne itne kareeb dekh meri khushiya maano ek jhatke me hawa ho gayi thi.

Maine dekha police wale gaadiyo ki checking kar rahe the. Auto wale ke saamne ek chhota wala tempo khada tha aur uske baye taraf ek bike wala. Kisi police wale ne shayad auto wale ko side me lagane ko bola tha is liye usne apne auto ko ek side me laga kar khada kar diya tha. Do police wale us tempo wale ke paas the aur teesra bike wale ke paas tha. Maine nigaah ghumaayi to daaye taraf do aur police wale nazar aaye jo pichhe se aane wale waahno ko bariki se dekh rahe the. Sandigdh waahan par nazar padte hi wo use rok rahe the. Ye sab dekh meri haalat prati pal kharaab hoti ja rahi thi.

"Kya hua bhai?" Maine sab kuch jaante samajhte huye bhi auto wale se puchha____"Auto side me kyo laga diya hai tumne?"

"Are sardar ji dekh nahi rahe checking ho rahi hai?" Auto wala palat kar meri taraf dekhte huye bola____"Pichhle kuch samay se ye police wale har roz checking kar rahe hain. Pata nahi kab wo hatyara pakda jaayega aur hamari pareshani khatm hogi."

"H...hatyara???" Main uski baat par andar hi andar chaunka____"Kaun sa hatyara bhai?"
"Are sardaar ji aaj kal ek hi to hatyara hai jiske chalte pure delhi wale khauf me hain." Auto wala dheeme swar me bola_____"Aap news nahi dekhte kya?"

"Delhi jaise shahar me to har roz jaane kitne hi crime hote hain bhai." Maine khud ke bhaavo ko chhupate huye kaha____"Ab kis kis ka dhyaan rahega zahen me?"

"Baat to aapki thik hai sardaar ji." Auto wale ne kaha_____"Crime to roz hi hote hain yaha lekin is tarah ka crime pahle kabhi nahi suna tha."

"Kis tarah ka crime?" Maine utsukta ke chalte puchha.
"Pata hai." Usne ek baar kuch hi doori par khade police walo par nigaah daali aur fir ek baar aas paas dekha, uske baad dheeme swar me kaha_____"Pichhle kuch samay se dwarka me ek ke baad ek hatyaye ho rahi hain. Hatyara bade logo ko pahle kidnap karta hai aur fir unki hatya kar deta hai. Police pagal kutte ki tarah use talash rahi hai lekin wo itna shaatir hai ki wo unki pakad me hi nahi aata. Aur to aur sabse badi sochne wali baat ye hai ki wo hatyara jinki hatyaye kar raha hai wo log aapas ke hi log hain."

"A...aapas ke hi log matlab?" Maine anjaan bante huye puchha.
"Matlab ki wo sab ek dusre ko achhi tarah jaante hain." Usne pahle ki tarah hi dheeme swar me kaha_____"Police aur media wale un logo se puchh puchh ke thak gaye ki wo hatyara unki aur unke logo ki is tarah hatyaaye kyo raha hai lekin wo kuch batate hi nahi hain. Kahte hain ki unhe khud nahi pata ki anjaan hatyara aisa kyo kar raha hai unke sath." Auto wala sahsa chup hua aur fir se palat kar police walo ko ek baar dekha aur fir meri taraf mukhaatib ho kar bade hi raazdarana andaaz me bola_____"Mujhe to pura yakeen hai sardaar ji ki wo log police aur media se sachchaayi chhupa rahe hain."

"Aisa kyo?" Maine puchha____"Wo log aisa kyo karenge bhala? Kya jaan se bhi badh kar koi sachchaayi ho sakti hai?"
"Zarur hogi sardaar ji." Auto wale ne ajeeb bhaav se sir hilaate huye kaha____"Koi to aisi baat zarur hogi jise wo log bata nahi rahe hain warna aap hi sochiye ki kya us hatyare ko koi shauk hai un logo ki hatyaaye karne ka?"

"Ho bhi sakta hai bhai." Maine yu hi kaha_____"Duniya me ek se badh kar ek ulti khopdi wale criminals hain jo apne shauk ke liye bhi hatyaye karte hain."

"Main aapki baat maanta hu sardaar ji." Auto wale ne police walo par nazar daalne ke baad kaha_____"Lekin sochne wali baat hai ki agar wo hatyara aisa hi hai jaisa aap bata rahe hain hatyaaro ke bare me to wo sirf un logo ki hi hatyaye kyo kar raha hai? Delhi jaise shahar me aur bhi to anginat log hain jinki wo hatyaye kar sakta hai? Magar nahi, wo to sirf unhi logo ki hatyaye kar raha hai. Abhi tak aisa nahi suna ki usne delhi me kahi aur kisi ki is tarah se hatya ki hai. Saaf zaahir hota hai sardaar ji ki us hatyare ka koi na koi connection un logo se zarur hai."

Abhi main kuch bolne hi wala tha ki tabhi meri nazar police walo par padi. Maine fauran hi auto wale ko aankh se ishara kiya to wo jhat se sidha ho ke baith gaya. Tempo aage badh gaya tha is liye do police wale ab auto ke paas aa gaye the. Unhe dekh meri dhadkane train ke engine ki tarah tez ho gayi jinhe main kaabu karne ke prayaas me lag gaya. Auto me mere alawa koi dusri sawaari nahi baithi thi.

Ek police wala auto wale se uske auto ke kagjaat dikhane ko bolne laga jabki dusra jhuk kar auto ke andar dekhne laga. Main khamoshi se saamne ki taraf dekhne laga tha. Tabhi mere zahen me bijli ki tarah khayaal aaya ki main sardaar ke bhesh me hu aur sardaar bina bole nahi rah sakte, chaahe jaisi bhi situation ho. Ye soch kar maine us police wale ki taraf dekha aur kuch bolne hi wala tha ki tabhi wo police wala sidha ho kar palat gaya. Maine raahat ki saans li. Halaaki pahla wala abhi bhi auto wale ke paas hi khada tha aur uske kagjaat dekh raha tha. Main sochne laga ki kya is situation me mera bolna thik rahega? Aakhir main sardaar ke bhesh me hu aur police wale bhi itna to samajhte hi honge ki sardaar kisi bhi situation me chup nahi rahta. Ab agar maine usse kuch na bola to sambhav hai ki uska dhyaan mujh par chala jaye. Main badi uljhan me fans gaya tha ki kya karu? Kuch bolu ya yu hi shaant baitha rahu? Main samajh raha tha ki mere liye dono situation me pareshaani ho sakti hai. Police walo ke mood ka koi bharosa nahi tha. Unke zahen me kab kya aa jaaye aur kab kya kar baithe kuch kaha nahi ja sakta tha. Ye to sadak ke bich me chal rahe kutte ki tarah hote hain jo waahan ke aane par kis taraf bidak kar bhaage koi bharosa nahi. Waahan chalane wala zyadatar uljhan me pad jata hai aur fir ya to khud uska hi accident ho jata hai ya fir kutte ka kalyaan hi ho jata hai. Khair maine soch liya ki mujhe shaant hi rahna chahiye. Baaki jo hoga dekha jaayega.

Kismat achhi thi. Auto wala bhi apne saare kagjaat liye huye tha is liye police wale ko use jaane dena pada aur idhar usne mujh par ek nigaah daalne ke baad palat kar chala gaya. Auto wale ne auto start kar ke aage badha diya to mujhe puri tarah karaar aaya. Kuch der tak to shaanti hi rahi lekin auto wale ne fir se us hatyare ka zikra chhed diya. Shayad use fir se hamare bich hone wali baate yaad aa gayi thi. Ab kyoki safar me ham dono akele hi the is liye usne baat cheet ka kram fir se shuru kar diya. Saare raaste wo us hatyare ke aur marne walo ke hi sambandh me baate karta raha jinka jawaab main apne hisaab se deta raha. Aakhirkaar, usne mujhe karol bagh pahuchaya tab ja kar kahi usse mera pichha chhuta. Dinesh se bhi zyada batooni kism ka tha wo.

Auto wale ko uska duguna kiraya de kar maine use vida kiya aur apne flat ki taraf badh chala. Raat aadhi ho gayi thi is liye main araam se flat me pahuch gaya. Maya ne darwaza khola to main andar daakhil ho gaya. Maine dekha uske chehre par chinta ke bhaav the.

[][][][][][]

Siraj patel ke bangle ke andar maatam ka maahaul tha. Saumya bas ka hi kya balki sabka hi bura haal tha. Sanjay ne raaste me gulfam ko bhi is bare me bata diya tha is liye wo bhi apni biwi Sadia ke sath bhaagta hua aa gaya tha. Keerti aur Sadia ke prayaaso ke chalte kisi tarah rona dhona to band hua tha lekin sisakna abhi bhi jaari tha.

"Pad gayi tumhare kaleje ko thandak?" Saumya sanjay ki taraf dekhte huye gusse se cheekhi____"Ya abhi aur kisi ki bali dena chaahte ho tum?"

"Shaant ho jaao bahan." Sadia ne uske kandhe ko sahlate huye kaha_____"Sanjay bhai sahab ne bhi to apna beta khoya hai. Unhe bhi to is sabka behad dukh hai."

"Nahi, is insaan ko kisi baat ka dukh nahi hai sadia." Saumya ka gussa maano saatwe asmaan par tha_____"Ye aadmi shuru se hi patthar dil tha aur in logo ke dwara us din inki kahani sunne ke baad to saabit ho gaya hai ki ye kitna bada nirmohi hai. Isi ke kahne par bees saal pahle baaki sabne bhi iska sath diya tha. Ise kisi insaan ki zindagi se zyada us thode se sone ka laalach tha. Apna hissa pa jaane ke baad bhi ise awdhesh ke hisse ka sona chahiye tha. Us sone ko paane ke liye isne un dono ki hatya kar di aur itna hi nahi unke bete ko unke hi mata pita ki hatya ke ilzaam me fansa kar use jail bhi bhejwa diya. In logo ko ek baar bhi us masoom aur nirdosh par daya nahi aayi ki jis ladke ka sab kuch barbaad ho gaya ho wo ladka us wakt kis mansik awastha se guzar raha hoga. Ulte in logo ne use jail bhejwa kar umar kaid ki saza hi karwa di. Upar wala bhi dekhta hoga to sochta hoga ki maine kaun si mitti se aise insaan bana kar is dharti par kukarm karne ke liye bhej diya."

Saumya bolte bolte buri tarah haafne lagi aur use khaansi bhi aane lagi. Sadia ne fauran paas hi glass me rakhe paani ko utha kar uske mukh me lagaya.

Sanjay, gulfam aur zafar khamosh baithe huye the. Aisa nahi tha ki unhe siraj ke jane ka ya is sabka dukh nahi tha lekin jo ho chuka uska wo kar bhi kya sakte the? Unka jitna zor chal raha tha utna wo zor laga rahe the lekin ab iska kya kiya jaye ki iske bavjood unko mitti me milaane wala unki pakad me nahi aa raha tha aur na hi ye maut ka khel khelne se baaj aa raha tha.

"Aapne to kaha tha ki is baar bhi wo us video ke hi base par ham me se kisi ka khaatma karega." Keerti ne gulfam ki taraf dekhte huye thode gusse wale andaz se kaha____"Fir aisa kyo nahi kiya usne? Ab agar main ye kahu ki aaj jo kuch hua hai uske jimmedaar sirf aap hi hain to?"

"Keerti ye kya kah rahi ho tum?" Sanjay ne shakht bhaav se uski taraf dekha____"Isme gulfam ki koi galti nahi hai. Bewajah us par ye aarop mat lagaao."

"Nahi sanjay." Gulfam ne gambheerta se kaha_____"Bhabhi ji ne jo kaha wo kadwa sach hai. Inhe khamosh rahne ke liye mat kaho."

"Par tum is dab ke jimmedaar nahi ho gulfam aur ye ham sab jaante hain." Sanjay ne kaha_____"Sach to ye hai ki ham me se kisi ko bhi ye ummid nahi thi ki wo kamina savita ke yaha bhi pahuch jaayega aur waha ye sab kar dega. Tumhara plan ekdam perfect tha aur is baar agar wo us video ke base par hi ham me se kisi ko apna shikaar banaata to yakeenan hamare dwara uska pakda jana tay tha."

"Pakda to nahi gaya na." Keerti ne talkh lahje me kaha_____"Ulta usne tumhare plan ki dhajjiya hi uda di aur siraj bhai sahab ko jaan se maar diya. Sach to ye hai ki tum logo ki bahut zyada hoshiyaari ke chalte hi ye sab hua hai. Na tumhare aadmiyo me use pakad lene ki koovat hai aur na hi tum logo me. Wo ek ek kar ke ham sabko maut ki neend sula dega aur tum log yaha baithe baithe tamasha dekhte rahoge. Minakshi abhi bhi uske kabje me hai magar ab tak tumhara koi aadmi uski gandh tak nahi soongh saka ki kaha par hai wo. Usi ke dwara kuch kiye jane ki aas me baithe rahe ho jiska aaj ye sila mila hai hame."

"Aapki baate yakeenan sach hain bhabhi ji." Gulfam ne kaha_____"Lekin hamari naakami ki kayi vajahe hain. Ek to ye ki ham ya hamare aadmi uska pata thikana nahi jaante. Dusre wo khud ek aisa shakhs hai jo hamari hi tarah har cheez me trained hai. Use pata hai ki khud ko chhupaye rakhne ke liye use kaun sa tarika apnana hai. Mujhe pura yakeen hai ki wo apna bhesh badal kar hi hamare aas paas ghoomta rahta hai. Aise me hamare liye hi kya balki kisi ke liye bhi use khojna sambbhav nahi ho sakta. Hamare aadmiyo ke paas uski jo tasveere hain wo un tasveero ke hisaab se hi uski khoj kar rahe hain. Ab jab wo un tasveero wale bhesh me hi unhe na dikhega to wo use pakdenge kaise? Uski kamyaabi ki aur hamari nakaami ki sabse badi vajah yahi hai. Aap bhi jaanti hain ki use khojne ke hamne har hathkande apna liye hain lekin use khoj nahi paaye. Dusri sabse badi baat ye bhi hai ki ham aam logo ki tarah open ho kar kuch kar bhi nahi sakte kyoki isse hamare raaz open ho jaane ka khatra hai. Hame mar jana to manjoor hai lekin us raaz ke khul jane se badnaam ho kar jina ya marna manjoor nahi hai."

"Mera ek sujhaav hai abbu." Kaafi der se khamosh baitha zafar bol pada____"Agar ijazat ho to bolu?"
"Haan haan nahi." Sanjay ne gulfam se pehle hi uski taraf dekhte huye kaha_____"Bataao kya kahna chaahte ho tum?"

"Aap log jab jaante hain ki wo khud bhi bees saal pahle hamare jaisa hi tha aur har cheezo me trained bhi tha." Zafar ne kaha_____"To hame bhi us hisaab se hi uski khoj karni chahiye thi na."

"Kya matlab?" Sanjay ke maathe par shikan ubhar aayi_____"Kahna kya chaahte ho? Kya tumhe ye lagta hai ki hamne us hisaab se uski khoj nahi ki?"

"Shayad nahi." Zafar ne bebaak bhaav se kaha_____"Aap ye to samajhte hain ki uski kamyaabi ki vajah uska bhesh badal kar rahna ya hamare aas paas ghoomna hai lekin aap logo ne ye nahi socha ki aapko bhi use khoj lene ka ek aisa tarika apnana chahiye jiske chalte wo bhesh badal kar bhi kahi rahe to use asaani se pakda ja sake."

"Y...ye kya kah rahe ho tum?" Sanjay hi nahi balki gulfam bhi uski baat par chaunka tha jabki Sanjay ne kaha____"Bhala ye kaise sambhav hai ki wo bhesh badle huye ho tab bhi ham use pahchaan le aur use pakad le? Tumhara dimaag to sahi hai na?"

"Mera dimaag ekdam durust hai uncle." Zafar ne kaha_____"Aap to jaante hain ki aaj kal technology ka zamana hai aur hame us technology ka agar sahi se use karna aa jaaye to asambhav lagne wali cheez bhi sambhav me badal jaati hai."

"Saaf shabdo me kaho ki kya kahna chaahte ho tum?" Gulfam ne uski taraf ghoor kar dekha.
"Hame ye sochna chahiye ki wo kis tarike ka bhesh badal sakta hai?" Zafar ne maano samjhane wale andaz se kaha_____"Aur itna hi nahi balki kaisa kaisa bhesh badal kar hamare aas paas ghoomte huye ham par nazar rakh sakta hai?"

"Ham ab bhi nahi samjhe tumhari baat." Gulfam ne uljhan bhare bhaav se kaha.

"Computer dwara ham uski tasveer me kayi saare badlaav kar sakte hain." Zafar ne kaha____"Aur ye bhi dekh sakte hain ki computer dwara uski badli huyi tasveer me uska chehra alag alag bhesh me kis tarah ka dikhta hai? Koi bhi insaan jab apna bhesh badlega to zyadatar wo apne chehre ko hi change karega aur uske baad apne pahnaave ko. Computer dwara jab hame uske alag alag bhesh ka chehra mil jaayega to un alag alag tasveero ke dwara ham use asaani se pakad sakte hain."

"Oh I see." Sanjay ke chehre par eka ek chamak ubhar aayi_____"Waah kya dimaag lagaya hai...wonderful. Itni badi baat hamare zahen me aayi hi nahi thi. Yakeenan is tarike se use pakadna behad asaan ho sakta hai."

"Lekin ek problem ho sakti hai uncle." Zafar ki baat sunte hi sanjay aur gulfam ke chehre par ubhari chamak chhu mantar hoti nazar aayi.
"K..kaisi problem??" Fir usne dhadakte dil se puchha.

"Yahi ki bees saalo me ham sabki tarah usme bhi to badlaav aa gaya hoga." Zafar ne kaha_____"Aise me hamare paas uski aaj ke samay ki tasveer honi chahiye warna samasya ho sakti hai."

"Waise to ye bhi koi samasya wali baat nahi hai kyoki computer dwara to kisi ka bhi chehra kisi bhi umar ka banaya ja sakta hai." Sanjay ne kaha____"Lekin achhi baat ye hai ki hamare paas uski jo tasveer hai wo aaj ke samay ki hi hai. Asal me maine jail se uski letest tasveer apne ek jaan pahchaan wale police wale se magwaayi thi."

"Fir to koi problem hi nahi hai uncle." Zafar ne kaha_____"Aap mujhe uski wo tasveer dijiye. Main fauran hi uski tasveer ko computer dwara alag alag bhesh me bana kar saari tasveere aapko de doonga."

"Thik hai." Sanjay ne kaha_____"Waise maine gulfam ko uski tasveer mobile me bheji thi lekin main tumhe asal wali tasveer de deta hu. Iske liye tumhe mere sath mere ghar chalna hoga."

"Wo tumhare sath kahi nahi jaayega." Keerti ne fauran hi shakht bhaav se ghoorte huye sanjay se kaha_____"Main nahi chaahti ki aise samay me kisi ke sath kuch bhi ho jaaye."

"Haan ye bhi thik kaha tumne." Sanjay ne baat ko samajhte huye kaha_____"Zafar beta tum yahi baitho. Main khud hi jata hu aur tumhe wo tasveer la kar deta hu."

"Main chalta hu tumhare sath." Gulfam ne kaha.
"Nahi dost." Sanjay ne uski taraf dekha_____"Samay thik nahi chal raha hai is liye tum bhi mere sath is wakt kahi nahi jaaoge. Main akela hi security walo ke sath jaaunga. Halaaki mera khayaal ye hai ki ye kaand karne ke baad wo kamina itna jaldi koi dusra kaand nahi karega kyoki ab tak ka uska recard yahi raha hai. Baharhaal main bhi nahi chaahta ki kisi ki vajah se ab kisi ke sath kuch bhi ho is liye mujhe jaane do."

Kahne ke sath hi sanjay utha aur ek taraf ko badh gaya. Use jaate dekh keerti ke chehre par kayi tarah ke bhaav aate jaate nazar aaye lekin usne kisi se kaha kuch nahi.

Kareeb bees minute baad sanjay waapas aaya. Usne aate hi vikram ki tasveer zafar ko pakda di. Zafar us tasveer ko gaur se dekhne laga. Aaj bees saalo baad wo vikram ko dekh raha tha. Dilo dimaag me kayi tarah ke ehsaas jaage jinhe usne jald hi andar daba diya.

"Bees saalo me kaafi badla hua nazar aa raha ye." Fir wo tasveer se nazar hata kar sanjay se mukhaatib hua____"Bade bade baal, lambi lambi daadhi moonche. Aisa lagta hai jaise isne kaafi samay se apna huliya thik nahi kiya tha. Chehra bhi kaafi ajeeb sa dikh raha tasveer me."

"Haan ye to hai." Sanjay ne kaha____"Magar maine tasveer me dikh rahe iske huliye ko computer dwara thik karwaya tha." Kahne ke sath hi sanjay ne apni coat se ek dusri tasveer nikaal kar zafar ki taraf badhaya_____"Ye uski dusri tasveer hai."

Zafar ne dusri tasveer ko dekha. Dusri tasveer me vikram ke sir ke baalo ko chhota kar diya gaya tha aur sath hi uski daadhi moonchh ko bhi hata diya gaya tha. Dono tasveero me common baat yahi thi ki wo dono hi thoda ajeeb dikh rahi thi.

"To aapne computer dwara pahli tasveer se ye dusri tasveer banwaayi." Zafar ek baar fir sanjay se mukhaatib hua_____"Yaani aapke zahen me tasveer me dikh rahe vikram ke huliye ko change karne ka khayaal to aaya tha lekin ye khayaal nahi aaya ki wo apne huliye ko aur bhi alag alag tarah se bana kar kahi bhi rah sakta hai."

"Bilkul." Sanjay ne gahri saans li aur coat ki jeb se packet nikaal kar usme se ek cigarette nikaali. Fir use jala kar aage bola____"Us samay mere zahen me ye khayaal aaya hi nahi tha. Uske baad jis tarah se halaat bante gaye uski vajah se ye sab aur bhi zahen me nahi aaya. Bich me ek do baar ye baat mere zahen me aayi thi aur hamne is bare me aapas me baate bhi ki thi lekin ye khayaal nahi aaya ki hame uski tasveer ko computer dwara alag alag bhesh me banwana chahiye taaki hame ya hamare aadmiyo ko use khojne ya pakadne me asaani ho jaaye."

"Shayad ye sab tezi se bigadte halaato ki vajah se hua hai uncle." Zafar ne kaha____"Khair ab jo ho chuka uske liye koi kar hi kya sakta hai magar mumkin hai ki ab kuch ho jaaye. Main kal hi aapko vikram ke alag alag huliye waali tasveer bana kar de doonga."

"Main ye soch raha hu ki vikram savita ki kothi me pahuch kaise gaya hoga?" Gulfam ne sochne wale andaz me kaha_____"Aur kisi tarah agar wo waha pahuch bhi gaya tha to savita aur uski beti supriya ko apni kothi me uski maujudgi ka abhaas kaise nahi hua?"

"Siraj uncle ka khoon vikram ne bathroom me kiya hai." Zafar ne kaha_____"Aur jis tarike se kiya hai usse saaf dikh raha tha ki uske paas apne kaam ko anjaam dene ke liye kaafi samay tha. Mujhe pura yakeen hai ki wo pahle se hi us kothi me maujood tha aur hamare aane ka intzaar kar raha tha. Ek ek ghatna ko agar soche to yahi zaahir hota hai uncle. Ham log waha pahuche, thodi der baad supriya ne cake kaata, uske baad thoda bahut naasta paani karte huye waha baithe bhi rahe. Isi dauraan siraj uncle bathroom jane ke liye uthe aur wo bathroom chale gaye. Aisa kuch hone ki kyoki hame koi ummid hi nahi thi is liye hamara dhyaan un par gaya hi nahi lekin ye nishchit baat hai ki unhe bathroom gaye huye lagbhag das minute se zyada ka wakt nahi hua tha. Yaani is das minute me hi usne ye karnama kiya. Wo kyoki pahle se hi sab kuch soch vichaar kar ke aaya tha is liye use apne kaam ko anjaam dene ke liye kuch sochna hi nahi tha balki plan ke anusaar apne kaam ko sirf anjaam dena tha. Das minute ka wakt uske liye yakeenan kaafi tha. Mera khayaal hai ki wo andar jaha bhi maujood raha hoga uski nigaah ya uska dhyaan ham par hi raha tha. Jaise hi siraj uncle andar ki taraf gaye wo bhi bathroom me ghus gaya hoga aur ghaat laga liya hoga."

"Badi hairaani ki baat hai ki usne itna bada kaand kar diya aur ham me se kisi ko iski bhanak tak nahi lagi." Sanjay ne gahri saans li_____"Sabse bade ashcharya ki baat to ye hai ki bathroom se kisi bhi tarah ki awaaz tak nahi sunaayi di hame. Aisa karna uske liye itna asaan kaise ho gaya hoga? Kya siraj ne usse bachne ki zara bhi koshish nahi ki hogi?"

"Bachne ki koshish karne ka sawaal to tab paida hota uncle jab unhe bachne ka mauka milta." Zafar ne kaha_____"Aapne shayad dhyaan nahi diya. Bathroom me kahi par bhi aisa kuch nazar nahi aaya jisse ye lage ki waha par un dono ke bich haatha paayi huyi thi. Siraj uncle ko agar mauka mila hota to wo yakeenan vikram se bachne ki ji tod koshish karte aur haatha paayi bhi hoti jiske nishaan hame bathroom me dekhne ko milte magar waha aise koi nishaan nahi dikhe. Zaahir hai siraj uncle ko kuch karne ka mauka hi nahi mila."

"Fir bhi sawaal to uthta hi hai ki uske liye itna bada kaand kar dena itna asaan kaise ho gaya hoga?" Sanjay ne kaha_____"Ek baar ke liye agar main ye sochu ki usne bathroom me siraj ke andar daakhil hote hi uske gale me khanzar chala diya hoga tab bhi siraj apni saanse rukne tak dard se hi sahi magar cheekhta zarur aur ye bhi ho sakta tha ki wo hame pukaarta magar aisa bhi nahi hua. Agar aisa hua hota to hamare kaano me uski awaaz zarur pad jaati."

"Ho sakta hai ki vikram ne siraj uncle ko jaan se maarne se pahle behosh karna zyada behtar samjha ho." Zafar ne sochne wale andaz me kaha_____"Itna to wo bhi samajhta tha ki agar uske kisi kriya kalaap se siraj uncle cheekhe to baahar ham sab ko pata chal jaayega. Yaani use jo bhi karna tha bilkul hi khamoshi se karna tha aur aisa tabhi sambhav ho sakta tha jab wo siraj uncle ko awaaz tak nikaalne ka mauka na de. Iske liye uske paas yahi tarika ho sakta tha ki ya to wo unhe behosh kar deta ya fir majbooti se siraj uncle ka mukh daba kar usi wakt unke gale ko apne chaaku se kaat deta. Zaahir hai aisa wo khade khade hi karta lekin aisa bhi nahi hua."

"Kya matlab..??" Gulfam ne chaunk kar apne bete ki taraf dekha_____"Tum itne yakeen ke sath kaise kah sakte ho ki aisa bhi nahi hua?"

"Agar wo khade khade ye sab karta to chaaku ke waar se siraj uncle ka khoon bathroom ke farsh par alag hi angel se girta ya faila hua hota." Zafar ne kaha_____"Jabki aisa nahi tha. Siraj uncle bathroom me pet ke bal lete huye the aur unke niche taraf se yaani gale se khoon nikal kar faila hua tha aur sath hi khoon ki ek moti dhaara us taraf ja rahi thi jis taraf farsh par girne wala paani bahte huye water pipe me chala jata hai. Farsh par iske alawa aur kahi bhi khoon nahi tha aur na hi khoon ke chheete the. Yahi sab dekh kar main ye daave se kah raha hu ki usne khade khade siraj uncle ka gala chaaku se nahi kaata tha."

"Fir to siraj uncle ke paas usse bachne ke chances the." Sanjay ne maano tark diya_____"Maana ki vikram siraj se zyada jawaan tha aur takatwar bhi lekin wo kahte hain na ki insaan ko jab pata chal jaye ki uski maut ab nishchit hai to wo khud ko bachane ke liye puri shakti laga deta hai. Agar vikram ne khade khade ye sab nahi kiya tha to siraj yakeenan usse bachne ka prayaas karta aur nishchit hi wo cheekhta bhi jisse uski awaaz ham tak pahuch jaati."

"Par awaaz ham tak aayi to nahi." Zafar ne kaha_____"Isi se zaahir hai ki unhe kuch bhi karne ka mauka hi nahi mila. Mera khayaal hai ki vikram ne unhe behosh hi kiya tha. Sambhav hai usne unhe pichhe se pakad liya ho aur pichhe se hi koi behoshi ki dawa siraj uncle ko sungha di ho. Aap samajh sakte hain ki aise me siraj uncle koi awaaz nikaal hi nahi sakte the. Uske baad siraj uncle ke behosh jism ke sath kisi bhi tarike se kuch bhi kar lena vikram ke liye kitna asaan kaam raha hoga."

"Yakeenan." Sanjay ne maano hathiyaar daalte huye swikaar kiya_____"Yahi hua hai. Bahut khoob...utne kam wakt me ghatna sthal ko itna bariki se dekh kar itna kuch anumaan laga liya tumne."

"Ye sab to thik hai." Gulfam ne kaha_____"Lekin abhi bhi kuch sawaal hain jo sochne par majboor kiye huye hain."
"Kaise sawaal gulfam?" Sanjay ne gulfam ki taraf dekha.

"Tumne bataya tha ki vikram rassi ki madad se chhat ke raaste kothi me daakhil hua tha." Gulfam ne kaha_____"Sawaal ye hai ki use kaise pata tha ki chhat ke dwara wo kothi ke andar asaani se daakhil ho sakta hai? Kahne ka matlab ye ki use kaise pata tha ki chhat se andar jane wala raasta khula hoga.? Main seedhiyo ke upar lage darwaze ki baat kar raha hu."

"Oh haan sahi kaha tumne." Sanjay ekdam se chaunka tha_____"Aam taur par seedhiyo ke upar chhat ke paas laga darwaza band rakhte hain sab log. Aise me koi bhi chhat ke raaste andar to aa hi nahi sakta tha. Fir vikram kaise andar aaya?"

"Aaya to wo chhat ke raaste se hi tha sanjay." Gulfam ne kaha_____"Ab sawaal sirf ye hai ki kya seedhiyo wala darwaza pahle se hi khula hua tha? Agar haan to kyo? Ya fir wo ye soch ke us raaste se aaya ki darwaza khula hua to thik warna wo kisi dusre raaste se kothi ke andar daakhil hone ki koshish karega?"

"Darwaza agar pahle se hi khula hua tha to iski vajah ye ho sakti hai ki savita ya supriya kapde sukhane ke liye chhat par gayi hongi aur waapsi me seedhiyo ka darwaza band karna bhool gayi hongi." Sanjay ne sambhaavna zaahir ki. Sahsa kuch soch kar wo chaunka aur fir bola_____"Kahi tum savita ya supriya par shak to nahi kar rahe?"

"Dono maa beti ka byohaar to thik hi tha us samay." Zafar ne kahi khoye huye lahje me kaha_____"Halaaki maine zyada dhyaan nahi diya tha par jitna bhi diya tha usse to yahi nazar aaya tha ki wo dono normal hi thi. Agar is sab me unka koi hath hota to unke chehre ke bhaavo se hame shak zarur ho jata ya hame ajeeb zarur lagta magar aisa nahi tha."

"Fir to yahi ho sakta hai ki dono maa beti me se jo bhi chhat par gaya hoga wo seedhiyo wala darwaza band karna bhool gayi hongi." Sanjay ne kaha_____"Waise mujhe nahi lagta ki dono me se koi bhi us namuraad se iske pahle mili hongi aur jab mili hi na hongi to uske kahne par kuch karne ka sawaal hi nahi paida hota."

"Vikram ke liye koi bhi kaam namumkin ya asambhav nahi hai sanjay." Gulfam ne kaha_____"Main ye maan sakta hu ki un dono ki mulakaat vikram se na huyi hogi lekin ye nahi maan sakta ki vikram ke liye unhe majboor kar dena koi asambhav kaarya ho sakta hai."

"Mujhe lagta hai hame ek baar un dono maa beti se is sambandh me puchh taachh karni chahiye." Zafar ne hastakshep kiya____"Us samay kyoki is sabki ham me se kisi ko bhi ummid nahi thi is liye un dono par us tarike se sochte huye dhyaan nahi diya tha hamne magar is sabke baad jab ham un dono ke saamne ja kar puchh taachh karenge to unke chehre par ubharne wale bhaavo se hame pata chal hi jaayega ki hamara un par shak karna jaayaz hai ya najayaz."

"Zafar sahi kah raha hai." Gulfam ne kaha_____"Ek baar is sambandh me un dono ke saamne ja kar unse puchh taachh karna har tarah se jayaz bhi hai aur zaruri bhi. Aise mahaul me hame kisi bhi taraf se befikra nahi rahna chahiye aur na hi kisi par itna andh vishwaas karna chahiye."

"Bilkul sahi kaha tumne." Sanjay ne sir hilaya_____"Un dono maa beti se puchh taachh karna zaruri hai. Khair kal hamara sabse pahla kaam ye hoga ki ham siraj ka kriya karm gupt tarike se kar daale."

"Ye kya kah rahe ho tum?" Keerti jo itni der se chup baithi teeno ki baate sun rahi thi bol padi_____"Gupt tarike se kyo unka kriya karm karoge tum log?"

"Kyoki isi me baaki sabki bhalaayi hai." Sanjay ne sapaat lahje me kaha_____"Shahar ka mahaul bahut kharaab ho gaya hai. News media wale hamari baal ki khaal nikaalne par tule huye hain. Idhar police department par bhi upar se behad dabaav banaya ja raha hai. DCP se meri baat huyi thi usne bataya ki agar ye sab jaldi nahi ruka to is case ko CBI ke hawaale kar diya jaayega. Ab tum khud socho ki agar ye case CBI ke hawaale ho gaya to kya hoga? Zaahir hai tab ye hoga ki ham sabki kaali kartooto ka saara kaala chittha duniya ke saamne ujaagar ho jaayega aur ham me se koi bhi kisi ko muh nahi dikha sakega. Isi liye kah raha hu ki siraj ka kriya karm gupt tarike se karna hoga. Kisi ko is haadse ki bhanak tak nahi lagni chahiye....khaas kar media ko."

Sanjay ki in baato ko sun kar keerti kuch na boli. Kamre me in teeno ke alawa sirf keerti hi baithi thi. Baaki sabko sadia dusre kamre me le gayi thi. Khair kuch der aur isi sambandh me baate huyi uske baad sab uth kar chale gaye.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 48
____________________[/color]




"Kya hua?" Maya ke chehre par maujood chinta ko dekhte huye maine usse puchha_____"Tum kuch pareshaan aur chintit si dikh rahi ho?"

"Tumhare liye hi pareshan aur chintit thi." Darwaza band karne ke baad wo mere kareeb aa kar boli_____"Man bahut ghabra rahi thi, ye soch kar ki waha par un logo dwara tum pakde na jaao."

"Are aise kaise pakda jata main?" Maine uski kamar me haath daal kar use apni taraf kheench liya to wo ekdam se mere se chipak gayi. Uske baad uski aankho me dekhte huye maine kaha_____"Tumhare vikram ko pakad lena unke liye itna bhi asaan nahi hai dear."

"Zyada shekhi na dikhaao." Maya ne bilkul biwi wale andaaz me mujhe ghoora_____"Ye bataao sab kuch thik se nipat gaya hai na? Tumhe koi pareshaani to nahi huyi?"

"Jiske sath tumhara dher sara pyar aur duaaye ho use bhala kya samasya hogi meri jaan?" Maine jhuk kar halke se uske hotho ko choom liya fir bola_____"Waise bhi jo kuch karna tha uske bare me to hamne pahle hi achhe se sab kuch soch vichaar kar liya tha."

"To kiska kalyaan kiya aaj tumne?" Maya ne meri aankho me dekha_____"Mujhe sab kuch detail me bataao."
"Siraj patel ko upar bhej diya hai maine." Maine halke se muskurate huye kaha____"Waise agar sach kahu to main khud hairaan hu ki ye sab itni asaani se ho gaya."

"Kya matlab??" Maya ke chehre par nasamajhne wale bhaav numaya huye.
"Yaar tumhe to pata hi tha ki main apne kaam me tabhi safal ho sakta tha jab unme se koi andar bathroom ki taraf aata." Maine maya ko khud se alag kar ke aur use sath liye kamre ki taraf badhte huye bola_____"Agar koi andar aata hi nahi to main sabke saamne unme se kisi ka kuch nahi bigaad sakta tha."

"Haan ye to hai." Maya ne kaha_____"Lekin mujhe thoda bahut yakeen tha ki unme se koi na koi andar bathroom me zarur jayega. Waise maan lo agar bathroom me unme se kisi ki biwi ya bahan jaati to kya karte?"

"Bathroom me jo bhi aata uska ticket katna to nishchit tha dear." Maine bed par baithte huye kaha_____"Unme se har koi apraadhi hai aur unhe is duniya me jine ka koi haq nahi hai. CMS jaisi ghatiya sanstha se taalluk rakhne wale wo sab ke sab puri tarah bhrasht ho chuke hain. Pahle to sirf ghar ke mard usse jude huye the, fir unki biwiya judi, fir unke bachche jude, fir unke bachcho ki biwiya aur bahne bhi jud gayi. Sochne wali baat hai ki un logo ne sabko apne jaisa bana liya. Mujhe yakeen hai ki unke jo bachche abhi school college me padh rahe hain wo unhe bhi apne jaisa bana denge. Yaani unka bhavishya cms jaisi ghatiya sanstha ki sewa karna hi bas rah jaayega. Abhi to wo bachche apne jeewan ke bare me jane kaise kaise sapne sajaye honge lekin inki vajah se wo bhi is daldal me doob jayenge. Sex ka nasha bahut kharaab hota hai maya. Ye insaan ko uske asli maksad se bhatka deta hai aur main apne jite ji un bachcho ke sath aisa hargiz nahi hone doonga."

"Baat kadwi zarur hai." Maya ne meri taraf dekha_____"Lekin ye bhi to sach hai ki un bachcho ke apno ki hatya kar ke tum unhe anaath bana doge. Aise me unka kya bhavishya hoga? Kya tum is baat ki kalpana kar sakte ho ki jis din un bachcho ka koi nahi bachega us din unki situation kya ho jaayegi aur wo kis raah par chal padenge?"

"Main har cheez ki kalpana kar chuka hu maya." Maine sahsa gambheer ho kar____"Aur yahi vajah hai ki main aise logo ka samool vinaas nahi kar raha. Mujhe un masoom aur nirdosh bachcho ki fikar hai isi liye to unke bhavishya ka sochte huye unke support ke liye kuch logo ko zinda rakhuga."

"Aur wo kaun log honge?" Maya ne utsukta se meri taraf dekha_____"Jinhe tum unke liye zinda rakhne wale ho?"
"Sirf aurte." Maine sahsa shakht bhaav se kaha_____"Unke pariwaro ke wo saare mard mere dwara maare jaayenge jinka taalluk cms se hai. Aurte is liye zinda rahengi taaki wo jeewan bhar apni galtiyo ke liye pashchataap karte huye tadpe aur ye sochte huye un bachcho ki parwarish kare ki achhe karm hi insaan ko achha banate hain aur is duniya me sukh chain se jeene ke laayak banate hain."

"Khair ye sab chhodo." Maya ne jaise baat ko taalna chaha____"Aur ye bataao ki savita ke yaha tumne sab kuch kaise kiya?"

Maya ke puchhne par maine use saara kissa bata diya jise sun kar wo kuch der tak shaant rahi aur fir boli_____"Baaki sab to thik hai lekin is sabke bich tumne savita ke liye musibat ya fir ye kahu ki khatra paida kar diya hai."

"Haan samajhta hu." Maine sir hilaya____"Aur sach kahu to ye maine jaan bujh kar hi kiya hai."
"J...jaan bujh kar?" Maya chaunki____"Kya matlab hai tumhara?"

"Gunahgaar to wo bhi hai meri." Maine sapaat lahje me kaha____"Usne unke kahne par bees saal pahle jo kuch kiya tha wo maafi ke laayak nahi hai. Usi ki jasusi ke chalte wo log us jagah par pahuch paaye the jis jagah ke bare me wo khwaab me bhi nahi soch sakte the. Khair, yu to maine use sab kuch samjha diya tha ki use un logo se kya kahna hoga. Ab ye uski kismat hai ki wo bachti hai ya fans jaati hai. Apne ko uske bachne ya fans jane se koi fark nahi padta."

"Khair ab aage ka kya?" Maya ne gahri saans lete huye kaha_____"Ab agla number kiska lagane wale ho?"
"Abhi is bare me kuch nahi kah sakta." Maine sochne wale bhaav se kaha____"Kuch din khamoshi se un logo ki pratikriya dekhuga. Uske baad hi sochuga ki agla number kiska lagaya jaaye."

"Waise kya lagta hai tumhe wo log siraj ki hatya ke bare me police ko inform karenge?" Maya ne meri taraf dhyaan se dekhte huye kaha_____"Jaha tak mera khayaal hai shayad wo siraj ki hatya ke bare me kisi ko bhi khabar nahi lagne denge."

"Mera bhi yahi sochna hai." Maine kuch sochte huye kaha_____"Pichhli hatyaaye kisne ki is bare me na to police pata kar paayi hai aur na hi hatyaare ko khoj paayi hai. Pure shahar me iske chalte ek alag hi maahaul bana hua hai. News channels wale yakeenan un logo ki naak me dam kar rakha hoga. Aise me ek aur hatya ke bare me pata lag jane ka matlab hai unka badi samasya me ghir jana. Isse ek baat aur bhi mere zahen me aayi hai aur wo ye ki baat agar upar tak gayi to is case ko police ke hatho se chheen kar CBI ke hawale me bhi kiya ja sakta hai."

"Agar aisa hua to tumhare liye bhi samsya ho jaayegi." Maya ne sahsa chintit ho kar kaha_____"Abhi to ham ye soch rahe hain ki un logo ke tallukaat police se bhi honge jiske chalte wo is sabko samhaale huye honge lekin agar CBI ne is care ko liya to maamla unke liye to bigdega hi hamare liye bhi samasya paida kar dega."

"Wo to hai." Maine gahri saans li_____"Lekin mujhe yakeen hai ki wo log is baat ki puri koshish karenge ki ye maamla CBI ke hatho me na jaaye. Iske liye yakeenan wo siraj ki hatya ko sabse chhupayenge. Khair kal hi main pata karne ki koshish karuga ki wo log is hatya ke sambandh me kya karte hain."

Kuch der aur isi sambandh me hamare bich baate huyi uske baad maya ye kah kar kitchen ki taraf badh gayi ki main fresh ho jaau aur fir dono sath me hi khana khaate hain. Main ye soch kar thoda chaunka tha ki usne ab tak khana nahi khaya tha. Shayad mere liye wo itna chintit thi ki usse khaya hi nahi gaya hoga.

[][][][][][]

Dusre din..!
Jaisa ki sabne soch vichaar kar ke faisla kar liya tha usi hisaab se sanjay, tarun, gulfam aur zafar ne siraj ki dead body ko sabse chhupa kar aur car me le kar subah chaar baje hi delhi se baahar nikal gaye the.

Phone par shayad sab kuch samjha diya tha sanjay ne is liye waha par sab kuch intjaam kar diya gaya tha. Uske baad sab kuch jaldi jaldi nipta diya gaya. Siraj ki chita ko uske bete tarun ne aag laga kar uska antim sanskaar kar diya tha. Tarun behad dukhi tha. Zafar use dilasha de raha tha. Sab kuch niptane ke baad unka kaafila waapas delhi aa gaya tha.

Is wakt sab ke sab siraj ke bangle par hi the. Pure bangle me sannata faila hua tha jiski vajah se ek ajeeb sa maahaul bana hua tha. Bangle ke ek dusre kamre me aurte thi jo behad dukhi thi aur ek dusre ko shaantwana de rahi thi. Siraj ka antim sanskaar karne ke liye sirf ginti ke log hi gaye the jinme saare mard hi the. Sanjay, gulfam, zafar aur tarun. Baaki kisi ko sath nahi le jaya gaya tha aur shayad yahi vajah thi ki saumya kuch zyada hi dukhi thi.

"Zafar tum ja kar savita ko bula kar laao." Sanjay ne khamoshi ko cheerte huye apni bhaari awaaz me kaha_____"Achha hai ki wo yahi aa gayi hai is liye hame uske ghar jane ki zarurat hi nahi padegi. Ham usse yahi par puchh taachh kar lete hain."

Sanjay ke kahne par zafar sofe se utha aur us kamre ki taraf badh gaya jis kamre me sabhi aurte aur bachche maujood the. Kuch hi der me zafar savita ko le kar aa gaya. Savita ka chehra dukh aur santaap se bigda hua nazar aa raha tha. Uski nazar jaise hi sanjay gulfam aur tarun par padi to uski dhadkane tez ho gayi. Usne apne mano bhaavo ko chhupane ke liye fauran hi zor dena shuru kar diya.

"Baitho." Sanjay ne savita ke chehre ko dhyaan se dekhte huye baithne ka ishara kiya to savita dhadakte dil ke sath chup chaap ek sofe par baith gayi.

"Mujhe maaf kar dijiye." Fir usne dukhi bhaav se kaha_____"Ye sab meri vajah se hua hai. Agar main aap logo ko apni beti ke janm din par na bulaati to ye sab na hota."

"Ye sab chhodo." Gulfam ne kaha_____"Is wakt ham tumse kuch aur jaanna chaahte hain aur ummid karte hain tum hamare sawaalo ka makool jawaab dogi."

"Ji puchhiye." Savita ki dhadkane fir se tez ho gayi_____"Aap kya jaanne chahte hain mujhse?"

"Mujhe sanjay aur zafar ke dwara is maamle ke bare me tafseel se sab ilm ho chuka hai." Gulfam ne kaha_____"In dono ne tumhari kothi me baariki se jaanch ki thi jisse ye maloom hua ki vikram chhat ke raaste tumhari kothi ke andar daakhil hua aur fir siraj ka katl kar ke usi chhat ke raaste se raffu chakkar ho gaya. Ham ye jaanna chaahte hain ki wo chhat ke raaste kaise andar aa gaya tha? Amuman har koi apne yaha seedhiyo wala darwaza andar se band kar ke rakhta hai jabki tumhare yaha wo darwaza khula hua tha...kyo?"

"Shayad shanti seedhiyo wala darwaza band karna bhool gayi hogi." Savita ne kaha_____"Aap sab to jaante hi hain ki kapde wagairah aur ghar ki baaki safaayi ke liye maine saal bhar pahle shanti ko kaam par rakha tha. Kal wo chaar baje aayi thi aur kapde wagaira dho kar chhat par unhe daalne ke liye le gayi thi. Aate samay shayad wo seedhiyo wala darwaza band karna bhool gayi hogi. Main to chhat par jaati hi nahi hu kyoki ghutno ke dard ki vajah se seedhiya chadhne me mujhe pareshaani hoti hai."

"Yaani tumhari us naukraani shanti ki galti ki vajah se seedhiyo wala darwaza khula rah gaya." Sanjay ne thode naraaz bhaav se kaha_____"Aur wo kamina usi khule darwaze se kothi ke andar daakhil hua. Khair ye to alag baat huyi lekin sawaal ye bhi hai ki tum dono maa beti ko is baat ka abhaas kaise nahi hua ki koi anjaan byakti tumhari kothi ke andar maujood hai?"

"Pahle kabhi aisa hua hi nahi." Savita ne rata hua waakya bola_____"Is liye hame ummid hi nahi thi ki us wakt koi hamare ghar ke andar maujood bhi ho sakta hai. Ham dono maa beti ka dhyaan to aap logo par tha aur uske janm din par. Itni badi kothi me wo namuraad kaha chhupa hai ye ham kaise soch sakte the? Ham to kalpana hi nahi kar sakte the ki vikram hamare yaha aa sakta hai."

Savita ki in baato par koi kuch na bola. Ye alag baat hai ki sabke chehro par sochne wale bhaav ubhar aaye the. Idhar savita ki dhadkane ye soch kar badhi huyi thi ki kya un logo ne uski baato ka yakeen kiya hoga ya abhi bhi wo log us par shak kar rahe honge.

"Thik hai jaao tum." Kuch der baad sanjay ne savita se kaha to savita sofe se uth kar chup chaap kamre se baahar nikal gayi. Man hi man ye soch kar usne raahat ki saans li thi ki jaan bachi laakho paaye.

"Kya lagta hai gulfam tumhe?" Savita ke jane ke baad sanjay ne gulfam ki taraf dekhte huye kaha_____"Savita ne jo kuch bataya wo sach tha ya usne asal baat ko chhupane ke liye ye sab jhooth bola hamse?"

"Kuch kaha nahi ja sakta." Gulfam ne gahri saans li____"Ye to ham sab jaante hain ki uske ghar me shanti naam ki ek naukraani ghar ke kaam karne aati hai to mumkin hai ki usi ki galti se seedhiyo wala darwaza khula rah gaya ho."

"Chalo maan liya." Sanjay ne kaha_____"Lekin ye baat hajam nahi ho rahi ki seedhiyo wala darwaza khula hone ki baat vikram ko bhi pata rahi hogi. Ek pal ke liye agar main ye bhi maan lu ki wo ye sab pata karne ke liye din me aaya hoga aur darwaza khula dekh usi raaste se andar aane ka faisla kar liya hoga lekin ye bhi sambhav nahi hai. Aisa is liye kyoki din ke ujaale me kisi ke liye bhi water pipe dwara kisi ke ghar ki chhat par jana namumkin hi hai. Kahne ka matlab ye ki din me use aisa karte huye koi bhi dekh sakta tha aur uske liye samasya khadi kar deta."

"Kya aapke kahne ka ye matlab hai uncle ki vikram savita aunty ki kothi ke andar chhat ke raaste daakhil nahi hua tha?" Zafar ne hastakshep karte huye kaha_____"Lekin ye bhi to mumkin hai ki usne din ke ujaale me ye sab pata na kiya ho balki ham logo ke pahuchne se pahle hi kiya ho...I mean shaam ke time par."

"Mujhe bhi yahi lagta hai." Gulfam ne kaha_____"Vikram ne shaam ke andhere me hi ye sab pata kiya hoga. Itna to wo bhi samajhta tha ki din ke ujaale me kisi ke bhi ghar me is tarah daakhil hona khatre se khaali nahi hai. Is liye usne andhere me hi apne har kaam ko anjaam dena behtar samjha hoga."

"Waise abbu sanjay uncle ka sochna bhi galat nahi hai." Zafar ne kuch sochte huye kaha_____"I mean to say...ho sakta hai ki vikram kothi ke andar savita aunty ki jankaari me hi gaya ho."

"Kya matlab?" Gulfam chaunka____"Ye kya kah rahe ho tum?"
"Ye to aap bhi jaante hain ki vikram ke liye koi bhi kaam impossible nahi hai." Zafar ne kaha_____"Mumkin hai ki use savita aunty ki asaliyat ka ilm ho gaya ho aur wo pahle hi unse mulakaat kar ke unhe dara dhamka kar apne under me kar liya ho. Uske baad savita aunty ko dara dhamka kar usne is sabke liye ready kar liya ho."

"Agar aisa hai." Sanjay ne sochne wale andaaz se kaha____"To iska matlab yahi hua ki supriya ke janmdin ke naam se vikram ne hi ham sabko savita ke dwara bulaya. Bilkul sahi kaha tumne, aisa yakeenan ho sakta hai. Savita kyoki uske dwara majboor kar di gayi thi is liye usne wahi kiya jo us kambakht ne use karne ke liye majboor kiya."

"To fir savita hamare puchhne par hamse jhooth kyo bol rahi hai?" Gulfam ne kaha____"Aakhir hamse sach batane me use kis baat ka khauf ho sakta hai?"

"Khauf to hoga hi abbu." Zafar ne kaha____"Ek to is sabke liye uska hamse khaufjada hona aur dusre vikram ki kisi aisi dhamki ka jisme uski aur uski beti ki jaan jane ka khatra hoga. Aisi situation me koi bhi hoga to wo wahi karega jisme uski aur uske ghar walo ki safety ho. Ab sochne wali baat ye hai ki agar sach yahi hai to kya aap log savita aunty ko is sabke ke liye maaf kar denge aur us par koi karyawaahi nahi karenge?"

"Mere khayaal se to nahi." Gulfam ne gahri saans li_____"Agar waakayi me sach yahi hai ki vikram savita se pahle mila aur ye sab karne ke liye use majboor kiya hoga to ab us par koi bhi karyawaahi karna galat hi hoga. Aisa is liye kyoki usne wahi kiya hai jo ek bebas aur majboor insaan karta hai. Waise hakikat to ye hai ki vikram ko to ye sab karna hi tha. Ham me se wo kisi ke bhi sath kahi bhi kuch kar sakta tha to kya hua agar usne siraj ko katl karne ke liye savita ko mohra banaya?"

"Kya tumhe siraj ke is tarah chale jane ka dukh nahi hai gulfam?" Sanjay ne gulfam ki taraf dekhte huye kaha_____"Ye kaisi baate kar rahe ho tum? Siraj ki maut agar savita ki vajah se huyi hai to use iske liye saza milna zaruri hai."

"Main un sabke liye gamjada hu sanjay jo hame alvida kah gaye?" Gulfam ne kaha____"Magar is wakt savita ko saza dene se siraj hame waapas nahi mil jaayega. Jo ho gaya use zahen se nikaal do. Ab to hame unke bare me sochna chahiye jo zinda hain. Savita ko saza dene ka khayaal mahaj bevkoofi hi hai. Wise bhi savita ko saza dene se vikram ka kuch nahi bigad jaayega balki uski nazar me to yahi hoga ki uska ek aur raqeeb khatm ho gaya. Agar use savita ki hakikat pata hogi to yakeenan wo yahi samjhega. Is liye meri baat maano aur savita ko saza dene ka khayaal zahen se nikaal do."

"Main abbu ki baato se agree karta hu uncle." Zafar ne kaha_____"Is wakt jabki hamari situation khud hi serious hai to hame kisi ke sath itne bade kaam ko anjaam de kar apni situation ko aur bhi zyada serious nahi bana lena chahiye. Mat bhooliye ki inhi hatyaao ki vajah se police aur media hamari baal ki khaal nikaalne par amada hai."

"Sahi kaha tumne." Sanjay ne ek cigarette jalate huye kaha_____"Hame aisi situation se jitna ho sake bachna hi chahiye aur saara focus vikram ko pakadne par lagana chahiye."

"Maine computer se." Zafar ne fauran hi apni coat se ek envelope nikaal kar sanjay ki taraf badhate huye kaha_____"Vikram ke chehre ko alag alag tarah se design kiya hai. Ye kuch tasveere hain, aap ek baar khud dekh lijiye."

Sanjay ne zafar se envelope liya aur usme se saari tasveere nikaal kar ek ek kar ke dekhne laga. Kuch der tak wo sabhi tasveero ko gaur se dekhta raha. Uske baad usne cigarette ka ek gahra kash liya aur fir zafar ki taraf dekha.

"Bahut badhiya." Fir usne kaha_____"In tasveero ke madhyam se shayad hamare aadmiyo ko use pakadna asaan ho jaaye."

"Zarur asaan ho jaayega uncle." Zafar ne utsaah se kaha_____"Maine achhi tarah soch samajh kar hi uski tasveero me ye saare changes kar ke uske alag alag huliye banaye hain. Agar wo hamare aas paas hi kahi maujood hoga to jald hi hamare aadmi use pahchaan kar pakad lenge."

"Waise kya zaruri hai ki wo har wakt hamare aas paas hi kaayam rahta hoga?" Gulfam ne kaha____"Kyoki itna to wo bhi samajhta hoga ki agar hamare aadmiyo ne use pahchaan liya to uske liye khatra ho jaayega. Aise me wo jo bhi karta hoga bahut soch samajh kar hi karta hoga."

"Beshak karta hoga." Zafar ne kaha_____"Jis tarah ka kaam wo kar raha hai usme uske liye wo sabse pahli apni safety ka hi khayaal rakhega. Baharhaal is wakt to wo jaha bhi hoga befikra ho kar hi baitha hoga aur ham me se kisi ko khaak karne ke liye kuch din ka wakt lega. Aisi situation me mumkin hai ki wo apne ashiyaane se baahar hi na nikle."

"Mumkin hai." Gulfam ne kaha____"Magar baahar nikalna bhi wo nihaayat hi zaruri samjhega kyo ki wo hamari situation ko aur hamari activities ko watch karna zaruri samjhega. Aise me zarur wo baahar aayega. Hame jald se jald in tasveero ko apne aadmiyo ke hawale kar dena chahiye jiske tahat unke liye use pakadna asaan ho jaaye."

"Bas ek baar." Sanjay ne shakht bhaav se kaha_____"Sirf ek baar wo meri pakad me aa jaaye. Uske baad to main usse is sabka ek ek kar ke hisaab loonga. Use aisi maut doonga ki upar wala bhi uski haalat dekh kar khauf kha jaayega."

Sanjay ki is baat ko sun kar gulfam aur zafar kuch na bole balki dono ke hi chehro par sochne wale bhaav ubhar aaye the. Khair sanjay ne zafar se un tasveero ke aur bhi print nikaalne ko kaha jis par zafar ne sir hilaya. Kuch hi der me teeno bangle se baahar nikal gaye. Unke pichhe kamre me sirf tarun hi rah gaya tha jo sofe par baitha kisi gahre khayaalo me khoya nazar aa raha tha.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 

[color=rgb(255,]Update - 49
____________________[/color]




Teen din bhaga daudi me guzar gaye. Asal me maya ki dost anita ne phone kar ke bataya tha ki mere bangle ko kharidne wala bangle ko jald se jald apne kabje me lena chaahta hai taaki wo us bangle ko tudwa kar us jagah par aaj ke zamane ke hisaab se nahi building bana sake. Anita ki is baat par maine bhi socha ki der nahi karna chahiye lekin usse pahle zaruri ye tha ki bangle ke tahkhane me maujood apne keemti samaan ko nikaal kar use safe rakhna. Mere paas aisi koi safe jagah nahi thi is liye maine apne liye koi ghar khojne ko kaha. Do din baad hi gaziabad ke kareeb hi ek jagah par mujhe ghar mil gaya. Asal me main apna khud ka koi thikana chaahta tha jaha par rah kar main apne kaam ko anjaam de saku aur sath hi apne keemti samaan ko bhi safe rakh saku.

Maine jaan bujh kar gaziabad me aisi jagah ko chuna jaha par zyada abaadi na ho. Maine dekha wo koi new colony bani huyi thi jaha par bade bade builder log buildings bana kar unhe bech rahe the. Maine wahi par teen kamro ka ek flat le liya tha. New building thi jo ki paanch manjila thi magar khaas baat ye thi ki us building ka koi flat lene wala main pahla hi shakhs tha jabki baaki ke floor khaali the. Sambhav tha ki baaki ke floor lene wale bhi der sawer aa hi jaaye. Khair jo bhi ho par ab yahi par mujhe tab tak rahna tha jab tak ki mera maksad pura nahi ho jata.

Ek raat main apne bangle me gaya aur waha tahkhane me maujood apne samaan ko badi hi safaayi aur saawdhaani se nikaal kar gaziabad me apne naye thikane par le aaya tha. Uske dusre din maine apne bangle ko us kharidaar ke hawale kar diya tha. Is maamle me sara kaam Anita aur uske husband ne hi kiya tha. Maine kharidaar ko apna chehra nahi dikhaya tha. Anita apne husband ke sath kagjaato par mere signature lene aayi thi. Maine khaas taur par usse ye kaha tha ki apni safety ke chalte wo us kharidaar ko samjha de ki agar bangle ke beche jane ki khabar ke chalte koi puchh taachh karne uske paas aaye to wo unhe yahi bataye ki jiska bangla tha usne hi use becha hai, Naa ki wo Anita aur uske husband ka naam le. Asal me main nahi chaahta tha ki is sabke chalte un dono par koi khatra aa jaye.

Ye teen din inhi kaamo ki bhaga daudi me guzar gaye the. Halaaki main apne bangle me ek hi baar gaya tha, baaki ka saara kaam Anita aur uske husband ne hi kiya tha. Mujhe pahli baar ehsaas hua ki maya ki dost anita aur uska husband dono kitne nek insaan the.

Is beech ek khaas aur rishky kaam ye bhi hua ki minakshi ko maine apne khaas dusre wale mobile se uske husband se baat karwa di thi. Asal me minakshi mujhse iske liye bahut minnate kar rahi thi is liye maine isi shart par use baat karane ko kaha tha ki wo apne husband aur apne bachche ka haal chaal jaan le aur khud ka bhi yahi bataye ki wo kisi khatre me nahi hai. Baaki agar usne unse ye jatane ki koshish ki ke wo kiske sath aur kaha par hai to ye uske liye achha nahi hoga. Minakshi ko meri sharte manjoor thi is liye maine mobile par uske husband aur bachche se baat karwa di thi. Mobile ka speaker maine on kar diya tha taaki mujhe pata chale ki udhar se uska husband aur uska beta usse kya baate kar rahe hain. Uske baad maine call cut kar ke mobile switch off kar diya tha. Maine is baat ka khaas dhyaan rakha tha ki mobile se baat karte wakt hamari location aisi jagah par ho jaha se na to Anita ke flat ka koi soch sake aur na hi gaziabad ki taraf ka. Us wakt ham delhi ke punjabj bagh me the. Khair uske baad maine minakshi ko chloroform dwara behosh kar diya tha aur fir use apne sath gaziabad le aaya tha. Minakshi ek tarah se mere liye bojh hi thi lekin main use maar nahi sakta tha, kyoki maine usse promise kiya tha ki main use salamat rakhuga. Ab main use apni kaid se tabhi azaad karuga jab mera kaam pura ho jaayega.

In teen dino me maine ye bhi pata kar liya tha ki sanjay gang ki taraf kya chal raha hai. Halaaki mujhe kuch khaas nahi pata chala tha lekin itna to samajh aaya tha ki wo log abhi bhi security se ghire huye the aur uske aadmi meri khaak chhaanne me lage huye the. Kuch naye chehre bhi un logo ke beech nazar aaye the...khaas kar zafar ka.

"Is keemti samaan ko is tarah khule me rakhna thik nahi hai vikram." Kamre me ek taraf mote bag ko dekhte huye maya ne mujhse kaha_____"Ye sab jis tarah box me rakha hua tha waisa hi rakha jana chahiye."

"Un box ko sath lana sambhav nahi tha dear." Maine kaha_____"Is liye maine dono box ka samaan is bag me rakh laana hi thik samjha tha. Waise chinta mat karo, main jald hi ek box kharid laauga aur is samaan ko usme rakh duga. Baaki jo zaruri cheeze maine order ki thi wo kuchh der me aa jaayengi."

"Kaash ham is sabse jaldi fursat ho jaate." Maya ne kaha_____"To ham jald se jald yaha se nikal jate aur dusre desh me sukoon se apni zindagi jine lagte."

"Bas kuch hi samay ki baat hai dear." Maine maya ke khubsurat chehre ko apni hatheliyo me le kar kaha_____"Uske baad ham yaha se apna sab kuch chhod kar nikal jaayenge. Hamara beta bhi to hamare intzaar me waha baitha hua hai."

"Phone aaya tha uska." Maya ne kaha_____"Apne dad ke bare me mujhse puch raha tha aur kah raha tha ki main uske dad ka achhe se khayaal rakhu."

"Achha." Apne bete ki aisi baat sun kar mere dil me apaar khushi ka ehsaas jaagrit ho gaya_____"Aur kya kah raha tha wo?"

"Har baar aakhir me ek hi baat kahta hai ki kaash wo samay jaldi aaye mom jab wo apne dad se mile aur unke gale lag jaaye." Maya ne bhaari swar me kaha_____"Uski ye tadap dekh kar mujhse kuch kahte nahi banta. Bas yahi khayaal aa jata hai ki ye sab bhula kar tumhe seeghra hi yaha se le chalu aur tumhe apne bete ke hawale kar du."

Maya ki baate sun kar mere dilo dimaag me ek jhanjhawaat sa utha jisne mere samuche wajood ko hila kar rakh diya. Maine badi mushkil se apne andar uth gaye tufaan ko kaabu kiya. Main samajh sakta tha ki mera beta aaj kal kya kya feel karta hoga. Jab se use video call par dekha hai aur usse baate ki hain tab se mera bhi haal kuch thik nahi raha hai lekin iske bavjood apne jazbaato ko kaabu me rakh kar main apne maksad ko pura karne par zor de raha tha. Apne bete ke moh me main ye nahi bhool sakta tha ki main bhi apne mata pita ka beta hu jinke prati mera koi farz banta hai. Upar kahi maujood mere mata pita ki aatmaaye mujhe badi aas se dekh rahi hongi ki main unki hatya ka badla unke hatyaaro se le raha hu ya nahi.

"Lagta hai wo log aa gaye vikram." Maya ki awaaz par mera dhyaan bhang hua to maine uski taraf chaunk kar dekha. Maya khidki ke paas khadi thi aur niche taraf dekh rahi thi.

Maine zarurat ka kuch samaan order de ke magwaya tha. Maya ki baat sun kar main fauran hi darwaza khol kar niche taraf badh gaya. Kuch hi samay me main niche pahuch gaya. Sadak par ek madhyam kad ka ek truck khada tha aur uske paas hi chaar log khade huye the. Mujhe dekhte hi unme se ek ne kaha ki sahab samaan aa gaya hai.

Mere nirdesh par wo log truck se samaan nikaalne lage aur fir badi saawdhaani se upar mere flat me le jane lage. Kareeb ek ghanta isi kaam me lag gaya. Uske baad maine un logo ki hi madad se saare samaan ko ek ek kar ke uchit jagah par rakhwaya aur fir unhe unka paisa de kar vida kiya. Saara samaan sahi jagah par jama diya gaya tha aur ab zarurat thi us samaan ki jiske dwara ham zinda rah sakte the...yaani rashan paani ki. Paani ki suvidha to thi lekin raashan nahi tha aur na hi raashan se bhojan banne wala koi saadhan. Is liye main nikal pada uski poorti ke liye.

Gaziabad me apna thikana banane ki ek khaas vajah ye bhi thi ki yaha se main us jagah bhi kam samay me pahuch sakta tha jaha par main kiraye se rah raha tha. Dinesh ek achha aadmi tha aur usne mujhe shuruaati dino me apne yaha rahne ke liye jagah di thi. Halaaki wo meri asaliyat se waakif nahi tha lekin fir bhi meri nazar me uski ek khaas ehmiyat thi. Wo apni beti ki shadi ke liye aaj kal badi mehnat kar raha tha taaki paiso ka behtar intjaam ho sake. Idhar main bhi chaahta tha ki apni taraf se main bhi uski thodi madad karu.

Kareeb ek ghante baad main ek auto me saara samaan rakhwa kar apne flat par pahucha. Auto wale ko uske paise de kar maine vida kiya aur fir samaan le kar upar aa gaya. Is sab me main buri tarah thak gaya tha is liye araam se kamre me ja kar naye bed par let gaya. Minakshi ek alag kamre me band thi. Uske liye bhi ek folding charpaayj magwa diya tha maine aur bathroom me use karne wala samaan bhi taaki use koi pareshaani na ho. Maya kitchen me raat ke liye dinner banane chali gayi thi.

[][][][][][][]

"Aree aaj bada jaldi aa gaye tum?" Darwaza kholne ke baad jaise hi swati ki nazar dinesh par padi to wo hairaani se puchh baithi thi_____"Tabiyat to thik hai na tumhari?"

"Haan tabiyat thik hai meri." Dinesh ne andar daakhil ho kar khud hi darwaza band karte huye kaha_____"Aur jaldi aane ki vajah andar kamre me pahuch kar bataaunga tumhe."

"Kuch hua hai kya?" Swati ekdam se fikramand ho uthi thi. Dinesh ke pichhe chalte huye boli_____"Aakhir aisi kya baat hai jo kamre me hi bataaoge tum?"

"Jab kah diya ki kamre me bataauga to chup kyo nahi rahti tum?" Dinesh ne palat kar swati ko shakht bhaav se ghoora_____"Do pal ka sabra nahi rakh sakti tum."

Dinesh ka bartaav aur gussa dekh swati bhauchakki si rah gayi. Aam taur par dinesh kabhi gussa nahi karta tha. Wo ek has mukh swabhaav ka insaan tha jo sabse bade tareeke se baat karta tha aur muskurata hi rahta tha. Swati ko bilkul bhi samajh na aaya ki aakhir aisa kya ho gaya hai jiske chalte uske pati ka bartaav aisa ho gaya hai. Abhi wo ye sab soch hi rahi thi ki tabhi dinesh ki awaaz par wo chaunki.

"Pahle ek glass paani le ke aao." Dinesh ne pahle jaise hi rukhe bhaav se kaha_____"Uske baad chaay bana kar le aana."

Dinesh ne kaha aur fir swati ki koi baat sune bina hi kamre ki taraf badh gaya. Swati apni jagah par khadi kuch palo tak use jate huye dekhti rahi fir sahsa usme halchal huyi to wo kitchen ki taraf tezi se badh chali. Zahen me uske sawaalo aur vichaaro ka maano tufaan sa khada ho gaya tha. Uske bachche abhi school aur college se nahi aaye the.

Kuch hi palo me wo fridge se paani ka bottle aur ek glass le kar apne kamre me pahuchi. Bottle se usne glass me paani bhara aur fir glass ko bed par baithe dinesh ki taraf badha diya. Dinesh ne chup chaap uske hath se paani ka glass liya aur ek hi saans me saara ka saara paani halak ke niche utaar liya. Khaali glass swati ko pakda kar wo bed par lamba ho ke let gaya. Swati ne kuch kahne ke liye apna muh khola lekin fir jane kya soch kar wo bina kuch bole palti aur kamre se baahar chali gayi.

Kareeb das minute baad jab wo chaay ka cup le kar kamre me aayi to usne dinesh ko kisi gahre khayaalo me khoya hua paaya. Swati use is haalat me dekh kar socho me pad gayi ki aakhir aisi kaun si baat ho sakti hai jiske chalte uska pati aaj aisa bartaav kar raha hai? Achanak uske zahen me jaise visfot sa hua. Bijli ki tarah uske zahen me khayaal ubhra ki kahi uske pati ko keshav(Vikram) aur aarti ke sambandho ka pata to nahi chal gaya? Swati ka samucha jism is khayaal se tharthara utha. Wo sochne lagi ki uske pati ko is bare me kaise pata chala hoga? Usne to use kuch bataya hi nahi tha aur na hi ye sambhav tha ki aarti khud apne bare me aisi baate bataati to fir kaise pata chala hoga uske pati ko? Ye to aisi baat thi jo keshav(Vikram) ke alawa sirf use aur aarti ko hi pata hai.

Swati ke dimaag ke ghode badi tezi se daud rahe the magar use jawaab nahi mil raha tha. Eka ek uske dimaag ke ghode apni jagah par ruk gaye. Uske zahen me khayaal ubhra ki agar uske pati ko is bare me kuch pata chala hota to is wakt wo is tarah khamoshi se kisi khayaalo me nahi khoya hua hota balki wo is bare me fauran hi mujhse puchhta aur ye bhi ho sakta hai ki wo seedha aarti ke pati ramesh ko phone kar ke ghar bulata aur kahta ki apna boriya bistar lo aur nikal jaao mere ghar se.

"K...kaha khoye huye ho aakhir?" Swati ne khud ko samhaalte huye lekin thoda jhijhakte huye use maano awaaz di_____"Kab se chaay ka cup liye khadi hu aur tum ho ki jane kaha khoye huye ho?"

Swati ki awaaz par dinesh ka dhyaan bhang hua. Usne chaunk kar swati ki taraf dekha aur fir uth kar uske hath se chaay ka cup liya. Swati khamoshi se apni jagah par khadi rahi. Udhar dinesh ne chaay ki ek do chuskiyan li aur gambheerta se swati ki taraf dekha.

"Kya keshav yaha aaya tha?" Dinesh ne ekdam sapaat lahje me swati ki taraf dekhte huye pucha to swati ki dhadkane ekdam se tez ho gayi.

"H...haan tumhare saamne hi to us din aaya tha wo." Swati ne dhadakte dil se kaha____"Aur dusre din subah hi yaha se chala gaya tha. Tab se ab tak nahi aaya. Aakhir baat kya hai?"

"Baat bahut hi gambheer hai swati." Dinesh ne kaha_____"Jab se mujhe pata chala hai tab se mere zahen se uske bare me wo sab baate ja hi nahi rahi hain."

"K...kaisi baate??" Swati ki dhadkane aur bhi tez ho gayi_____"Aakhir kis bare me baat kar rahe ho tum? A...aur aur keshav bhai sahab ke bare me aisa kya pata chala hai tumhe jiski vajah se aaj tum itna gambheer nazar aa rahe ho?"

"Ab kya bataau tumhe?" Dinesh ke chehre par ekdam se shakhti ubhar aayi, bola_____"Mujhe to us par bahut gussa aa raha hai. Ji karta hai ki agar wo saamne aa jaaye to ek jhatke me uski gardan daboch lu."

"P...par hua kya hai?" Swati ko ab ghabrahat hone lagi thi, boli_____"Saaf saaf batate kyo nahi ki baat kya hai? Aaj se pahle maine kabhi tumhe itne gusse me nahi dekha. Fir aaj aisi kya baat ho gayi hai? Aakhir keshav bhai sahab ne aisa kya kar diya hai jiski vajah se tum us par itna gussa ho?"

"Is wakt agar mere paas uska phone number hota." Dinesh kah raha tha____"To usko bolta ki bhai tu apna boriya bistar yaha se utha aur dafa ho ja mere ghar se. Mujhe aise byakti ko apne ghar me nahi rakhna jiska charitra itna gira hua ho."

Dinesh ke mukh se keshav(vikram) ke charitra ki baat sunte hi swati ki badhi huyi dhadkane maano palak jhapakte hi tham gayi si prateet huyi. Use bada tez jhatka laga tha. Zahen me bas ek hi khayaal ubhra ki uske pati ko keshav aur aarti ke sambandho ka pata chal gaya hai. Swati ke andar ki ghabrahat me izafa to hua hi lekin sath hi wo ye sochne par bhi majboor ho gayi ki uske pati ko ye sab pata kaise chala? Jo baat sirf teen logo ke beech thi wo chauthe byakti tak kaise pahuch gayi?

[][][][][][]

Sanjay bhatia, gulfam aur zafar dring room me rakhe sofo par baithe baat hi kar rahe the ki sahsa Sanjay ka mobile phone baja. Usne coat ki jeb se mobile nikaal kar uski screen par flash ho rahe name ko dekha to uske chehre par socho ke bhaav ubhre. Kuch pal sochne ke baad usne call recieve ki aur mobile kaan se laga liya.

"Haan ji mehta sahab." Mobile kaan se lagate hi sanjay bol pada tha_____"Kahiye aaj itne samay baad kaise yaad aayi hamari?"

"...........!" Udhar se mehta sir name wale aadmi ne kuch aisa kaha jise sun kar sanjay buri tarah chaunka.

"Ye kya kah rahe hain aap?" Fir usne chakit bhaav se kaha_____"Nahi nahi, aapko zarur koi galat fahmi huyi hogi."

"..........!" Udhar se mehta kuch der tak kuch kahta raha jise sunne ke baad sanjay ne gahri saans lete huye kaha_____"Aapka bahut bahut dhanyawaad mehta sahab jo aapne is bare me mujhe suchit kiya. Bas ek hi favour chahiye aapse ki aap jitna jaldi ho sake mujhe uska name aur address pata kar ke de dijiye."

"Kya baat hai sanjay?" Sanjay ne jaise hi call cut kiya to gulfam ne utsukta poorn bhaav se puchha_____"Ye tum kis mehta sahab se baat kar rahe the aur usne aisa kya kaha jiski vajah se tum is kadar chaunk gaye the?"

"Usne baat hi aisi bataayi ki main chaunk pada tha gulfam." Sanjay ne ek cigarette jalate huye kaha_____"Mujhe to yakeen hi nahi ho raha ki aisa kuch ho chuka hai."

"Aakhir kis baare me baat kar rahe ho tum?" Gulfam ne kaha_____"Kis cheez ke ho jane ka yakeen nahi ho raha tumhe?"
"Awdhesh ka jo bangla pichhle bees saalo se viraan pada tha." Sanjay ne kaha_____"Us bangle ko kisi ne khareed liya hai."

"Kya???" Gulfam ke sath sath zafar bhi buri tarah uchhal pada, jabki gulfam ne chakit bhaav se aage kaha_____"Y...ye kaise hua? Kisne khareed liya use aur...aur kisne bech diya use??"

"Kisne bech diya use ka kya matlab hai tumhara?" Sanjay ne kaha_____"Are jiska bangla hai usne hi to bench diya bhai. Mehta abhi yahi bata raha tha mujhe."

"Badi hairat ki baat hai ye to." Gulfam ke chehre par abhi bhi hairat ke bhaav the, bola_____"Khair kisne kharida us bangle ko?"

"Mehta ko uska naam nahi pata." Sanjay ne bechain aur pareshaan bhaav se kaha____"Use bhi kisi ke dwara pata chala hai ki kisi ne us bangle ko kharid liya hai. Ab kyoki wo mera shubh chintak hai is liye is bare me usne phone kar ke mujhe batana zaruri samjha. Khair maine use kah diya ki jald hi wo mujhe us kharidaar ka name aur address pata kar ke bataye."

"Usse kya hoga?" Gulfam ne kaha____"Bangla agar sach me bik chuka hai to zaahir hai ki ye kaam vikram ne hi kiya hoga. Ham bakhubi samajh sakte hain ki use rupaye paiso ki kitni zarurat hogi. Bees saalo se wo jail me tha is liye uske paas rupaya paisa hone ka sawaal hi nahi hai. Waise bhi is situation me wo apne bangle par bhi nahi ja sakta tha. Dusri baat wo bangla ab rahne laayak bacha bhi nahi tha. Usne socha hoga ki bangle ko bech diya jaye jisse uski economic problem door ho jaaye."

"Saala in sab jhamelo ke chalte hamara us bangle ki taraf dhyaan hi nahi gaya." Sanjay ne cigarette ka ek kash le kar uska dhua udaate huye kaha____"Mujhe pura yakeen hai ki jail se baahar aane ke baad wo apne us bangle me hi gaya hoga. Bangle me khud ko safe rakhna usne behtar samjha hoga. Uske anusaar koi kalpana bhi nahi karta ki itne saalo se viraan pade bangle me koi bhoot ki tarah rahne ka sochega."

"To aap ye kahna chahate hain ki vikram itne wakt se apne us bangle me hi chhupa raha hai?" Zafar ne kaha____"Aur wahi se ab tak usne apne har kaam ko anjaam diya hai?"

"Kya aisa mumkin nahi hai?" Sanjay ne uski taraf dekhte huye kaha_____"Itne saalo se viraan pada uska wo bangla kya uske chhupne ke liye makool jagah nahi thi zafar? Koi khwaab me bhi ye nahi soch sakta tha ki koi us jagah par rahne ka soch bhi sakta hai. Hamara tak dhyaan us bangle par nahi gaya. Isi se zaahir hai ki wo kamina kitna shaatir hai jiski vajah se usne us bangle ko apna thikana banaya."

"Par mera khayaal zara juda hai uncle." Zafar ne kaha_____"Mere khayaal se vikram apne us banglo ko permanently apne thikane ke liye use nahi kar sakta tha. Aap khud sochiye ki jo bangla bees saalo se bina kisi ki dekh rekh ke pada raha ho uski kya haalat ho gayi hogi. Na to waha bijli hogi aur na hi paani ki koi facility. Zinda insaan aisi kisi facilites ke bina kaise waha rahne ka soch sakega? Dusri baat jis tarah ke halaat hain aur jis tarah ka wo kaam kar raha hai usme uska us bangle par aana jaana bhi kisi khatre se khaali nahi ho sakta tha. Wo kisi ke bhi dwara jald hi dekh liya jata aur fir ye bhi pakka hi tha ki is sabke chalte logo ke zahen me tarah tarah ki baate ubharne lagti aur wo ye pata lagane ki koshish karte ki aakhir itne saalo se sunsaan pade us bangle me ye kaun aa ja raha hai? Kahne ka matlab ye hai uncle ki vikram ne apne bangle ko permanently thikana nahi banaya hoga. Uske liye waha rahna behad hi risky tha."

"Mera bhi yahi khayaal hai sanjay." Gulfam ne kaha_____"Vikram ke liye us bangle ko apna thikana banana behad hi khatarnaak tha. Haan, main is baat par etbaar kar sakta hu ki wo us bangle me gaya hoga. Aakhir wo uska apna ghar tha, jaha par uska bhara pura pariwar tha aur jaha par usne apna saara bachpan guzara tha. Bahut si yaade judi hain uski us bangle se to ye yakeen kiya ja sakta hai ki wo us bangle me gaya hoga."

"Bade ashcharya ki baat hai gulfam ki hamara dhyaan us bangle ki taraf gaya kyo nahi?" Sanjay ne gahri saans lete huye kaha_____"Agar ek baar bhi hamara dhyaan us bangle par gaya hota to ham waha par nigraani ke liye apne aadmi laga dete. Mujhe pura yakeen hai ki agar wo us bangle me aata to hamare aadmiyo dwara yakeenan dhar liya jata."

"Jo nahi ho saka uske bare me sochne ka ab koi matlab nahi hai sanjay." Gulfam ne kaha_____"Balki ab to hame is baat par gaur karna chahiye ki bangle ko bech kar wo gaya kaha hoga? Ye to pakki baat hai ki wo hamare aas paas hi kahi hoga kyoki hamare aas paas rah kar hi wo ham par bariki se nazar rakh sakta hai."

"Mujhe to lagta hai ki wo akela nahi hai." Zafar ne kaha_____"Balki uske sath uska sath dene wala bhi koi hai. Aap khud sochiye ki aise aise kaam wo khud akele kaise kar sakta hai. Pure shahar me police aur hamare aadmi uski gandh soonghte fir rahe hain. Aise me uska shahar me bekhauf ho kar ghoomna khatre se khaali nahi hai to sawaal hai ki is situation me bhi usne akele apne dam par apne bangle ko kaise kisi ko bech diya hoga? Property ka sauda karna kya aisi baat hai jo palak jhapakte hi kisi jaadu se ho jaayega? Nahi hargiz nahi, mujhe pura yakeen hai ki bangle ko bechne wale matter me uska kisi ne sath diya hai."

"Tumhari baato me yakeenan vajan hai zafar." Sanjay ne kaha_____"Mujhe bhi yahi lagta hai. Khair dekhte hain is bare me mehta kya pata karta hai aur fir hame kya batata hai."

"Agar aapke contacts behtar hain uncle to is bare me pata lagaya ja sakta hai ki ye sab kaise aur kisne kiya hai?" Zafar ne sochne wale andaz se kaha____"Property bechne ya kharidne wala kaam bina kisi kaagaji karyawaahi ke to hua nahi hoga aur na hi bina kisi gawaaho ke bhi."

"Harshdeep mehta isi se related kaam karta hai." Sanjay ne beech me hi zafar ki baat ko kaat kar kaha_____"Usse meri puraani jaan pahchaan hai. Isi liye to usne is bare me mujhe phone kar ke bataya hai. Mujhe yakeen hai ki wo jald hi is bare me saari jankaari nikaal lega ki us bangle ko kisne becha aur kisne kharida hai aur sath is saare kaam ko kin kin logo ke dwara anjaam diya gaya hai."

"Fir to hamare paas intzaar karne ke alawa koi aur chara nahi hai." Zafar ne kaha_____"Pichhle kuch dino se vikram ne bhi apni taraf se koi harkat nahi ki hai. Zaahir hai wo apne bangle ko bechne wale kaam me busy raha hoga. Ab kyoki wo is sabse faarig ho chuka hai to yakeenan ab wo fir se apne asal kaam ko anjaam dene ke bare me sochega."

"Is baar use kisi bhi keemat par safal nahi hone dena hai zafar." Sanjay ne shakht bhaav ikhtiyaar karte huye kaha_____"Is baar hame uski gardan pakad leni hai. Uski vajah se ab kisi ki bhi maut nahi honi chahiye."

"Beshak nahi hogi uncle." Zafar ne kaha_____"Magar uske liye zaruri ye bhi hai ki ham aur hamare log puri tarah se satark rahe aur koi bhi bina security ke kahi baahar na jaaye. Dusri important baat ye bhi hame sochna hoga ki is baar vikram apna agla shikaar karne ke liye kaun sa tarika aajmaayega aur kis ko apna shikaar banayega?"

"Pichhli baar to usne savita ko apna mohra banaya tha." Gulfam ne kaha____"Jabki ham ye soche huye the ki wo us video ke base par hi ham me se kisi ko blackmail karega aur apne paas bulane ke liye majboor karega magar aisa nahi kiya usne. Ho sakta hai ki is baar wo us video ke dwara hi hame blackmail kar ke apne paas bulane ke liye majboor kare. Uske paas filhaal iske alawa aur koi chara nahi hai."

Kuch der aisi hi baato ke baad meating khatm ho gayi. Gulfam aur zafar apne ghar ki taraf nikal gaye jabki sanjay apna mobile nikaal kar usme kisi ka number khojne laga tha.


[color=rgb(255,][color=rgb(0,]✤༺[/color][color=rgb(255,]✧[/color][color=rgb(0,]༻✤[/color][/color]
 
Back
Top