• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

[color=rgb(85,]"kya matlab shopping nahi ki??" payal hairan thi

"usme kya hai shopping to aaj hi ho sakti hai na?? Online??" ranvijay bola

"ranvijay do din baad shaadi hai aur tum bol rahe ho,waise bhi online me kuch kuch rakha bhi hai?? Wo maza nahi aata" payal boli

"lekin abhi aap ka nahi sakte sir, atleast aaj nahi" is baar ashwin bola

"kyun??" ranvijay ne ashwin ki aur dekhkar bola

"aaj bhuvan a raha hai" ashwin sar jhukakar bola

Ranvijay kaamp gaya. Ek darr uske chehre par saaf nazar a raha tha

"koun hai ye bhuvan" payal ne poocha

"koi nahi payal tum chali jao please, banad me baat karenge. Jitna bolohi it a karenge" ranvijay uthkar apni ghadi dekhte hue bola

"tum aise kyun behave kar rahe ho ranvijay, achanak kya ho gaya hai" payal boli

"kuch nahi payal abhi tum jao b baad me baatein karenge" ranvijay bola

Tabhi bina knock kiye ek shaks Ander aaya jo shayad ranvijay ke age ka hi tha

"kya ho raha hai bhai?? Lagta hai aaj koi shaadi ke preparation me aaya hoon" wo shaks bola

"young lady I'm bhuvan asthana" shaks ne muskurate hue haath aage badhaya to Ranvijay ne payal ko door kar khud Saamne a gaya

"oh ranvijay mai koun sa is sweet lady ko tang kar raha hoon. Mai to bas isse dosti kar raha hoon" bhuvan haste hue bola

"shuru karein??" ranvijay bola

"right time pass ka koi option nahi hai hamare pass" bhuvan bola

"payal tum hotel ke coffee shop me jakar baitho aur bill me room number daal kar sign kar dena" ranvijay bola

Payal chali gayi lekin uske dil aur dimag me kuch chal raha tha
Kyun ranvijay us shaks ko dekh ghabra gaya aur aisi kya meeting hai jisme ranvijay jald se jald use taal a chahta tha
Khair wo coffee shop ki aur badh chali

"hmm excellent ranvijay. Bohut improvement hui hai, shayad 6 saal me Pehli baar itna improve dekh raha hoon" bhuvan bola aur poora diagnostic report ka ek copy ashwin ko dete hue muskuraya

"ye taam jhaam kab khatam hoga bhuvan" ranvijay bola

"mai majboor hoon ranvijay, government ka order hai wo bhi sakht. Har saal ek baar check up karna mandatory hai tera, lekin as a friend milne ka mauka bhi mil Jaata Hai. Aur kya chahiye" bhuvan ne ranvijay ke kandhe par haath rakhte hue kaha

"I don't like it bhuvan" ranvijay bola

"dekh ranvijay agar mai nahi to koi aur sahi. Aur jo banda aayega wo meri tarah minor issues ko chupayega nahi balki use report me dikhayega, kya fir tu wahi asylum me Jaana chahega??" bhuvan bola

Asyllu yani mental hospital, shayad hi koi theek hokar lauta hai wahan se. Ranvijay apne past ke Jhalak se hi kaam utha

" you are doing good ranvijay. Kaafi improvements hui hai. Ab khaane peene ka restrictions kam kar deta hoon. Lekin haan. Oily Khaana abhi bhi band hai tera. Ok chal i'll leave" apni ghadi dekhte hue bhuvan bola

Ranvijay aur ashwin report ko check karne me lag gaye jabki bhuvan nikal gaya

"excuse me??" payal ne bhuvan ko dekh apni coffee chod uski aur aayi

"payal, acha Naam hai aapka" bhuvan bola

"ye aap??...." payal ko samajh nahi a raha tha kya pooche aur kaise pooche

"payal ji, I guess ranvijay hi aapke Saare sawalo ka jawab de payega. Acha laga ki koi uske Saath Hai. Bas ek request hai aapse" bhuvan bola

"kya" payal ne poocha

"kabhi uska Saath mat chodiye, ek baar toot chuka hai. Wapas aur nahi khada ho payega" bol fir ek bar muskura kar bhuvan wahan se chala gaya

Payal seedha ranvijay ke suite me guus gayi to dekha ki wo ready ho raha tha

"shopping karne nahi Jaana Hai??" ranvijay ne poocha

"h haan chaliye" payal boli

Ranvijay ne abhi tak ki h nahi kaha tha payal ko bhuvan ke saath is mulakat ke baare me aur payal ne poochna zaroori nahi samjha.
------------------------------------------------------------------
"mai paise jald chuka doonga roma" jai bola

"arey ye kya bak rahe ho jai?? Tumne bhi to mujhe paise udhaar diye the jab mujhe chahiye the fir??" roma boli

"aisi baat nahi hai roma. Actually maine aaj tak kisi ladki se udhaar nahi liya hai" jai bola

"izzat kam ho jaati hai kya??" roma ne has kar poocha

"arey n nahi, waise ek baat bolun roma??" jai bola

"bolo" roma boli

"agar kisi ke family me business aur karobar se paise ki koi kami na ho, lekin us parivar ka ladka agar business se hatkar apni padhai poori karke professor banna chahta hai. Kya ye galat hai??" ranvijay ne poocha

"bhai aaj tak to kisi ko nahi dekha jo teacher banna chahta ho. Bachha janm. Lete hi pilot, ya doctor ya engineer banna chahta hai" roma haste hue boli

Jai chup tha

"lekin agar kisi ka man us kaam ko karne me ho jisme usko khushi milti hai to kyun nahi" roma boli
Aur jai ka chehra ek dum se khil gaya

"jai" roma dheere se boli is baar

"bolo roma" jai ne poocha

"a agar koi ladki jism ke dhande me ho aur wo apna past bhulakar ek aam. Zindagi jeena chahti hai. To kya ye mumkin hai??" roma ne poocha

"kyun nahi" jai bola
Is baar roma ka chehra khil gaya.

Tabhi use ek call aya

"hello??" roma ne poocha

"roma?? Aapke papa hospital me hai. Kidney fail ho gayi hsi dono, aap jald se jald yahan aaiye hospital me. Address aapko sms kar de raha hoon" bol aadmi ne phone Kaat diya
Roma ke haath se mobile choot kar gir gaya aur wo bhi chakkar khamar girne hi wali thi ki usne hosh khote hue dekha ki do haath usko thaame hue hai aur fir wo hosh kho baithi[/color]
 
[color=rgb(255,]Roma aur jay jab hospital pohunche tab der raat ho chuki thi

"jhoot nahi bolunga madam, aapko pata hi hai kitna kharcha hoga iske liye" doctor bola

"l lekin is Waqt itne paise...." Roma ki aankhon me aansu the aur wo jai ki aur dekh rahi thi

"paiso ka intezam ho jayega doctor Saab" jay shant awaz me bola

"fine hum bhi yahi chahte the, har patient ko thik karna hi hamara aim hai sir" doctor bola

"arey jay ye kaise.." roma hairan thi aur jay ko tuk tuk dekh rahi

"aao roma" jay bola aur shayad itne dino me Pehli baar roma ka haath pakad kar chamber se bahar nikal gaya
Aur roma bhi kisi sammohan ke saath jay ke saath chali aayi

"jay ye sab kya hai, kaise aayenge paise?? Tumne to Keh diya lekin intezam kaise hoga" roma boli rote hue

"kuch na kuch ho hi jayega roma, mujh par vishwas rakho, tum jao aur kuch kha lo. Hospital bada hai aur yaha ka canteen 24 ghante khule rehte hai. Mai abhi aaya" jay bola

"kahan ja rahe ho tum" roma boli

"kuch nahi bas paise ka intezam karne"jai bola

Roma ke jaate hi jay je phone lagaya

"bolo jay" vijay bola.

Jay chup raha

"jay bologe ya phone rakhun" vijay bola

"bhaiyya..... Ek help chahiye" jay bola

"to bolo" vijay bola

"m mujhe paise chahiye" jay bola

"goddammit jay chahiye to bolo na kitna chahiye? " vijay ne poocha

"2 la lakh" jay bola

"bas?? Aur koi help" vijay bola

"nahi bhaiyya" jay bola

"kaisa hai jay" vijay ne dheere se poocha to jay se aur bardasht nahi hua aur toot gaya

"aise kaise chalega jay, sab se zid kar tune apna career khud chuna, Ranvijay ko to ye naseeb nahi hua, aur mujh par to pehle se hi zimmedari thi, kam se kam tu to kuch ban raha hai wo bhi apni zid se apni mehnat se, khoob man lagakar mehnat karna beta aur.... "vijay ke bolte bolte phone cut gaya

Aur Saath hi message a gaya, paise deposit ho chuke the

Jai wahi baith kar rota raha, sirf Vijay bhaiyya ko hi kyun samajh me aata hai. Ranvijay bhaiyya ko kab samajh me aayega

Roma ko bhook to thi nahi bas chai aur samose kha kar zabardasti pet bhar rahi thi
Tinka tinka bachana hai papa ke ilaaj ke liye.
Jay ko aata dekh roma khadi ho gayi aur uske Paas gayi

"paise jama kar diye hai roma" jay bola

"t thank you jai" roma rote hue boli

"lekin har hafte paise leta rahunga jaise leta tha, Kaat lena is paise me se" jay bola

Roma lipat gayi jay se, usse raha nahi gaya aur.
Shayad Pehli baar kisi se dil se lipat gayi thi dil se
Jay chaunk gaya, Pehli baar kisi ne us par vishwas kiya, Pehli baar kisi ka sahar bana wo
Acha laga use bohut acha, uske haath apne aap roma ke peeth se sat gaye

"sab thik ho jayega roma" jay bola aur khud tajjub hua use ki kaise itna responsible ho raha hai jay
------------------------------------------------------------------
"sir aaj meeting Rehne dete hai" ashwin bola

"nahi ashwin aaj hi to faisla hokar rahega" ranvijay muskurate hue bola

"sir lekin kal aapki shaadi hai fir aaj meeting kaise?" ashwin ne poocha

"sab thik ho jayega, waise payal ka phone aaya tha kya??" ranvijay ne poocha

"nahi to, kyun sir" ashwin ne poocha

"k kuch nahi, bas dekh raha tha ki uski taraf se Shaadi ki kharidari hui ya nahi" ranvijay bola

Ashwin khoob samajh raha tha, payal ab ranvijay ke liye zaruri ho chuki thi

"ab khade bhi rahoge ya chaloge??" ranvijay bola to ashwin bhaga bhaga chala gaya ranvijay ke peeche

Conference room me heeralal aur uski team baithe the

"ranvijay ji, jo kuch bhi hua uske liye maaf kar dijiye, mai kutta tha, Kameena tha jo us paap me shamil hua, aap jo saza dena chahte hai dijiye, please ye mat kijiye. Meri biwi bachhe sasak par a jayenge" heeralal lagbhag gidgidate hue bola

"please Mr heeralal be professional
Humne aapke shares kharide, ab hum use bechna chahte hai to kya problem hai" ranvijay bola

"sir ji agar aapne ye shares us arab sheikh ko becha to wo poora take over kar lenge" heeralal bola

"to usme hum kya kare, ye shares kisi kaam ke nahi hai heeralal ji, aap Hume do saal se loss hi de rahe hai" ashwin bola is baar

"is meeting ka koi sense nahi banta heeralal ji, khair sirf aapka man rakhne ke liye Humne ye meeting rakhi hai, aur Haan sheikh hamid- al-rashid hamare sabse ache partners me se ek hai, unhe mai ye gift de raha hoon, bech nahi raha hoon" ranvijay bola aur uth khada hua

"aaj ki mehman nawazi hamari taraf se, ashwin heeralal ji aur unki team ka lunch aur conference hall ka charge pay kar dena

Ranvijay ke Saare staff has rahe the aur heeralal aur uski team sar jhukaye hue the jab ranvijay ke bodyguard Chris ne darwaza khola uske liye to nikalne se pehle ek baar heeralal ke chehre ko theek se dekha ranvijay ne
Aur uske baad nikal kar chala gaya apne team ke saath[/color]
 
[color=rgb(255,]Scooty ki awaz ke saath hi ranvijay ka chehra khil gaya
Jhat se ruk gaya ranvijay. Hotel se seedha Mrs sarite ke Paas ja raha tha wo.
Factory handover me delay ho raha tha aur ranvijay patience kho raha tha, is aurat ka mood kab badal jaaye koi nahi jaanta

"tum me akl hai bhi ya nahi??" payal ne apna helmet nikalte hue bola

"matlab??" ranvijay ne poocha

"Aaj shaadi hai kahan hai tumhara bhai, bhaiyya aur pitaji??" payal boli

"unka kya hai??" ranvijay bola

"arey?? Kya hai matlab??wo tumhare rishtedar hai yaar ranvijay" payal boli

"jise aana hai aayenge, jise nahi aana use nahi aana" ranvijay bola

"lekin.." payal hairan thi

"payal tumne kaha sabko invite karne ke liye, maine kar diya. Baaki unki marzi. Chapter closed, aur kuch??" ranvijay ne poocha

"nahi" payal boli

"fine, mai ja raha hoon factory, tumhe aana hai??" ranvijay ne poocha

Sarita aunty se milne ka mauka hai, payal Maan gayi

"lekin mai apni sawari par hi jaungi" bol payal me apni scooty ki speed badha di

Ranvijay ki Gaadi jab Mrs sarita ke Paas pohunchi to usne dekha ki payal rishi ke saath khel rahi thi, maturity Naam Ki cheez nahi hai is ladki me, disgusting

"Mrs sarita mere khayal se bohut late ho raha hai handover" ranvijay bola

"mujhe pata hai beta, lekin abhi tak deal ke paperwork aur Baaki formalities ashmita complete nahi kar paayi hai" Mrs sarita boli

"agar aap logo se ye nahi hota to meri firm complete karegi ye,Paul take all handover from the lady, aur please beta mat kahiye mujhe" ranvijay ke bolte hi Paul ne ashmita se baatein karni shuru kar di

"mummy late mat karna" payal ne Mrs sarita se bola

"late mat karna??" ranvijay bola

"Haan mummy a rahi hai na shaadi me, to mere ghar se aayegi" payal boli

"excuse me?? Ye aurat kisi bhi keemat me shaadi attend nahi karengi" ranvijay ka gussa foot pada

Mrs sarita rone lagi

"Mr ranvijay wo aapki taraf se nahi meri taraf se a rahi ha aur Haan apne maa se dhang se baat karna seekh lijiye" payal boli

"maine Keh diya na wo nahi aayegi" bol ranvijay tezi se nikal gaya aur nikal gayi uski team

Mrs sarita ko sahara dete hue payal boli
"aap tension na le mummy, shaadi me to aap aayengi chahe kuch bhi ho"

"chal kuch kha le abhi, subah se bas yahan se wahan aur wahan se yahan" Mrs sarita boli

"abhi kahan, abhi to papa ko pick up karne Jaana Hai" payal boli
Aur Mrs sarita kaamp gayi
Itne saalon baad poora parivar ek hoga.
Itne saalon baad, payal ki wajah se?
------------------------------------------------------------------
"dekha pata tha koi nahi aayega" Mr vardhan ne brijesh ki aur dekha, muskurahat thi chehre par lekin usme dukh chupane ki nakam koshish thi
Koshish thi brijesh ko ye batane ki wo sahi the
Parivar unke haath ke bahar ja chuka hai, teen bete apni marzi ke karte hai
Vijay thoda Samajhdar hai. Baaki jay ko khuddari ka bhoot chada hai, to Ranvijay to jaise mental hospital se aane ke baad us chokre dhruv ke sangat me usi ki tarah Kameena ban gaya
Sahi hai jaisa guru waisa chela

"hmmf hmmf hmmf..... Mr vardhan??" ek ladki ko haanfte hue dekhte hi Mr vardhan ko hairaani hui, ye koun hai??

"haan ye hi vardhan sahab hai beta, aap koun ho" brijesh vardhan ke naukar ne poocha

"payal.... Hmmf..... Hmmf ranvijay ki hone wali... Oh mai to bhool hi gayi" bol payal ne wheelchair se latakte hue pair ko chu liya

Itna sabkuch ek Saath Ho Gaya ki me vardhan abhi bhi hairan hi rahe

"Saab ashirvad to dijiye" brijesh ne kaha to hosh aaya Mr vardhan ko

"h Haan khush raho sada saubhagyavati raho" Mr vardhan ne apna haath rakha payal ke sar apna haath rakha

"ab chalein?" payal boli

"ranvijay nahi aaya na??" Mr vardhan ne poocha

"w wo aane wale the lekin achanak kya hua ki.." payal ko rok diya Mr vardhan ne

"mujhe pata hai beta, uska Baap hoon mai" bole Mr vardhan aur payal ne apna sar jhuka liya

Gaadi apne hisab se hotel ki aur chal rahi thi ki achanak payal ko laga ki raasta kuch anjan sa hai

"arey bhaiyya ye koun sa route hai" payal ne poocha

"madam ye shortcut hai, warna late hote rahenge hum" driver bola to payal ne baat aage badhai

Gaadi ab aur anjan raaste pat chalne lagi aur chalte chalte achanak ruk gayi

"ab kya hua bhaiyya" payal ne poocha

"pata nahi madam check karna padega" driver bola aur car se bahar nikal gaya

Jai kaafi der tak koi Awaaz nahi aati to payal bahar nikal kar dekhti hai ki driver gayab hai. Aur usi Waqt do teen car Saamne se aate hue khade ho jaate hai
Kuch log wahan se nikalte hai aur achanak ek Jaana pehchaana chehra payal ke Saamne aaya jise sekh Payal. Hairan rhe gayi

"long time no see" shaks haskar bola[/color]
 
[color=rgb(255,]THAK THAK
Do dande lage Mr vardhan sir unke naukar ke sar par aur dono behosh ho gaye

"are ye kya hua koun ho tum log, papa?? Brijesh chacha??" payal baari baari dono ke Paas gayi

Tabhi ek shaks payal ki aur aata dikhai diya

"harshit tum??" payal ne hairan hokar poocha

CHATAAAAAAK

Ek thappad maara harshit ne aur payal ke baal pakadkar bola
"saali man's kiya tha, mana kiya tha maine ki us aadmi se Shaadi mat kar, lekin tujhe to apni manmani karni hai"

"harshit tumhara problem ranvijay nahi hai, ye shaadi nahi hai, tumhara problem ye hai ki mai tumhare Saath relationship me nahi rahi tumhare sagai ke announce hone ke baavjood" payal apne hont ke khoon ko saaf karte hue boli

Harshit ne dekha to dono behosh ho gaye the

"is langde buddhe ko yahi Rehne do aur le chalo is ladki ko" bol apne aadmi aur payal ke saath harshit chala gaya

"aap thik to hai na sahab?" brijesh ne Mr vardhan se bola jab unhe hosh aaya

"Haan mai thik hoon, lekin bahu?? P payal wo jahan hai??" Mr vardhan darte hue bole.
Kaafi chinta me the wo

"sahab agar ranvijay baba ko pata chalega to??" brijesh ke bolte hi aasman me baadal ke kadakne ki Awaaz aane lagi
Baadal kaale ho chuke the aur baarish kabhi bhi a sakti hai

Kaampte hue haathon se Mr vardhan ne ranvijay ko phone lagaya Mr vardhan ne aur sab kuch bol diya
Baarish tez hone lagi thi
Aaj toofan aane wala tha
------------------------------------------------------------------
"sir location" chris ne ranvijay ko bola to Ranvijay uth khada hua
Apne coat ko nikal fenka aur tie bhi fenk diya usne aur shirt ke cuffs utha diye

"get the car" ranvijay ke awaz ke saath hi baadal ke kadakne ki awaz aayi aur sab ke sab Gaadi ki aur badh chale

"Chris ??" ranvijay ne apne bodyguard ki aur dekhkar ek ishara kiya

"police won't interfere sir" chris bola

"good" bol ranvijay Chris aur kuch log chal pade Gaadi me baithkar

Aur Gaadi chal padi apne manzil ki aur

Ranvijay chup tha, lekin uske chehre par ek khoonkhar roop me badal raha tha
Kisi ko chodne wala nahi tha ranvijay kisi ko nahi bakshega

Gaadi ek purane ghar ke Saamne ruka par jaakar ruki

"Chris do your job" ranvijay bola

Chris ek kutil muskan ke saath car me seat ko utha kar dekha
Duniya bhar ke hathiyar pade hue the
. Usne uske aadmiyon ko baant kar khud ek AK47 lekar badh chala

DHADAM

darwaza toota aur gunde dikha gaye shayad local gunde the hathiyar nahi the lekin haath me dande zaroor the

THAK

joote ki nok par ranvijay ne darwaze ka hissa tod diya aur usme se ek lakdi ka patta utha liya

"hit them harder " ranvijay bola to sab toot pade un gundo par chris ke aadmiyon ke Paas experience thi shayad isliye gunde ke haath pair toot rahe the

"kahan hai Payal" ranvijay ne ek gunde se poocha

Gunda chup raha

"dekh tujhe pata nahi ki mai kitna bada gunda hoon, fatafat bata se warna abhi sirf tere daant toote hai, kuch der baad tu toot jayega" ranvijay ke awaz se pata ye chal raha tha ki wo mazak nahi kar raha hai

"s s Saab Saab wo l ladki doosre kamre me hai" gunda bola aur ranvijay Ander dakhil hite hue apne logo se bola
"you guys wait outside, she is my responsibility now"

"but sir it may be risky" Chris bola

"I know but I want it that way, I want to save her. Alone" ranvijay bola

TADAK

dakhil hote hi kisi ne us par dande se Vaar kiya

TADAK TADAK TADAK

Vaar par Vaar kiye ja raha tha koi aur ranvijay ke Saamne ro ro kar dekh rahi thi payal jiske haath pair bandhe hue the aur muh par kapda laga tha

"a a zyada hoshiyari nahi, dekh payal ke sar par Bandook hai wo uda dega use" harshit bola

"payal sirf meri hai, sirf meri samjha sirf meri, lekin shaadi nahi karunga use rakhail banakar rakhunga apna ha ha ha" ye awaz harshit ki thi

GHAI

Chris ki ek goli use payal ke sar par Bandook daag rahe gunde ke sar par lagi aur wo wahin dher ho gaya

Ranvijay ne apni aankhen band ki aur apni mutthi kar li usne aur bijli ki tarah ghooma aur

DHAMMMMMMM
Harshit in sab ka aadi nahi tha, ek mukke se hi hosh kho baitha wo

ladkhadate hue ranvijay ne payal ki aur dekha aur use kholne laga

"tum... Thik... To ho" kholne ke baad ladkhadate hue apna hosh khone se pehle usne dekha ki payal usse lipat kar zor zor se ro rahi hai
Uske baad use kuch yaad nahi[/color]
 
[color=rgb(255,]"ranvijay.... RANVIJAY???" payal chilla uthi
Lekin behosh ho chuke ranvijay ne koi jawab nahi dena tha

"baarish tez ho rahi hai ab to gaadiyan bhi nahi ja payegi is baarish me, Ranvijay ke sar par lage chot se khoon behta ja raha hai" ashwin ko kuch samajh me nahi a raha tha ki kya kiya jaay

Mauke ka fayda dekhkar Bhaag gaya tha tha Harshit

"everybody move, he is my responsible now" ye awaz 6.5 height wale Chris ki thi
Aur Saath hi usne apna coat utar diya aur behosh ranvijay ko apne kandhe par utha diya aur chal pada
Sab dekhne lage Chris ko ranvijay ko uthakar le jaate hue
Lekin Chris ne kisi ki parwah nahi ki, jaise us din ranvijay ne parwah nahi ki thi police ki, us din bhi aise hi baarish ho rahi thi, us din bhi aise hi ranvijay mila tha Chris se bar me

FLASHBACK 6 years back
New Jersey USA
"can I have a large absolut with orange juice Ted?" muskura kar Chris santarialo ne 10 dollar nikal kar bar counter par rakhkar music enjoy karne lag gaya

"same for me too" ek awaz ne Chris ko chaunka diya
Ek ladka muskura kar uske peeche se aakar uske bagal me baith gaya

"wow music is so refreshing here don't you think??" ranvijay ne poocha to Chris ne hairan hokar ranvijay ko dekha fir ignore kar diya use

"hi I'm ranvijay" ranvijay ne apna haath aage badhaya chris ke Saamne hand shake karne ke liye, Chris ne koi jawab nahi diya aur tabhi bartender ne Chris ke Saamne peg rakh diya

"cheers" ranvijay ne apna drink Chris kke glass ke Saamne rakha cheers ke liye lekin Chris uthkar chala gaya

"hey hey hey, wait i want to say something brother" ranvijay bola

"I'm not your brother" Chris bola

"I know but but I have come to you for a proposal Chris" ranvijay bola

"what??" Chris ne poocha

"work for me Chris" ranvijay bola

"ha ha ha ha" Chris hasne lag gaya, jaise kitna bada joke mara ho ranvijay ne

"you punk, you know what you are saying,I'm the gangster of South America and you are asking me to work under you??" Chris ne ranvijay ke collar ko pakadkar bola

"I know what I'm saying, work for me, I'll get you out of all police charges" ranvijay bola

"fuck off" bol dhakka maarkar Chris ne ranvijay ko door hata diya

"POLICE, WE HAVE SURROUNDED THIS PLACE. CHRIS SANTARIALO YOU ARE REQUESTED TO KEEP YOUR HANDS BEHIND YOUR BACK AND BE GROUNDED" police ki awaz thi jo bar ke bahar khadi thi
Ranvijay ne dekha bartender chala gaya, shayad isi ne setting kar rakhi thi, Chris ko yahan se nikalna zaroori hai warna use wo teesra aadmi nahi milega jo uske business empire ko khada hone me help karega

"wait" bol ranvijay ne apna pistol nikal liya
Chris ko join karwane ke liye wo police se bhi lad jayega

DHAM DHAM DHAM DHAM

goliyan chal padi aur ranvijay ne fire karne shuru kar diya, Chris chaunk pasa ranvijay ko dekhkar

"I don't care whether you help me or not I'm not joining you punk" Chris bola
Aur police ko shoot karne laga
Lekin ranvijay ne dhyan nahi diya aur goliyan chalane laga
Tabhi use bar je peeche ek chota sa darwaza mila jo khula hua tha

DHAM

"ugh.." Chris karah utha
Uske pet me ek goli lagi thi

"go out, they will be here soon" Chris let kar bola

Ranvijay ne Chris ke sharir ko sahara dekar uthaya aur Chris dheere dheere hosh khone laga tha
Ranvijay ne apna poora dum lagakar 6.5 Inch ke Chris ke apne kandhe par utha kar peeche ke darwaze se lekar chal pada ladkhadate hue..
Bahar baarish pad rahi zor zor se lekin ranvijay ke pair nahi ruke, use Chris chahiye chahiye chahiye....
Na uske kandhe kamzor hue na usne chris ko choda, ye jaante hue ki agar Chris ke saath wo pakda gaya to use bhi maar diya jayega
Lekin uske pair badhte gaye, apni manzil ki aur dheere dheere
Sabse pehle use power chahiye fir paisa aur fir position.
Jisse wo un sab ke saath wahi kare jiske liye usse uska sapna choot gaya, uska future andhere me chala gaya, apne papa aur bhaiyon ke aankhon me gir gaya, jail gaya, Pagal khane me gaya

"hold on Chris, we have to rule the world, just wait.... Hmmf... We are going to be number 1....hmmf.....we will work like brothers and not like staffs..... Hmmf... Don't give up" ranvijay bolta ja raha tha

PRESENT DAY
"don't you give up ranvijay... We will rise.... We will be number 1..."chris bolta ja raha tha
Ashwin, Paul aur baakiyon ne apna coat utar diya aur sab ke sab peeche chal pade behosh ranvijay ko uthaye hue chris ke peeche

Khabar aag ki tarah fail gayi
Victor frame ke sabhi staff ne kaam karna chod diya, apna coat utar diya aur ek Saath ikathha ho gaye,
Lekin baat yahi tak ruk nahi paaya Victor frame ke sabhi kharide hue studios ke staff ne bhi apna uniform utar diya aur apna computer off jar diya.

Payal dekh rahi thi ranvijay ke is roop ko, jisje liye sabhi staff apni Jaan dene ke liye taiyyar hai jiske hosh me na hone par jaise... Tabhi payal ne ek awaz suni

"we want all the investors to pull out of harshit and his family, no support, no business"ashwin bola aur phone pocket ne rakhkar wo bhi chal pada us jhund me jiska leader behosh hokar bhi sabke Saath tha

Paul rote hue payal ko sahara de raha tha aur sab ke sab Paas ke hospital ki aur ja rahe the
Baarish, toofan inka raasta nahi rok pa rahi thi
------------------------------------------------------------------
"bhaiyya ab kya??" jay roma je Saath vijay ke Paas pohuch chuka tha.
Use khabar mil gayi thi, vijay ne hi khabar kiya tha use

"tum hospital jao jai, mujhe employees ko sambhalna hai, Ranvijay jaise hi behosh hua tab se staffs ko sambhala nahi ja raha hai" vijay bola

"samajh gaya bhaiyya" jay bola aur roma ke saath hospital chala gaya
Kahan aaj shaadi hone wali thi ranvijay ki aur kahan ye situation paida ho gayi
Staff ranvijay ko lekar passionate hai, jahan wo jallad hai unke liye jo kaamchor, chaploosi aur time pass karne aate hai
Wahi in sab staff ke liye wo devta se kam nahi jab unhe zaroorat ke Waqt ranvijay unke Paas khada raha

Lekin abhi situation ko sambhalna kaafi Hadh tak muskil hai, agar competetors ne iska fayda uthaya to??
Vijay saham gaya ise sunkar, kisi ki gehri sazish lagti hai?? Kiski??
Agar vijay pata kar le to thik
Lekin agar ranvijay ko hosh a gaya to uski khair nahi jo in sab ke peeche tha[/color]
 
[color=rgb(255,]Dhundli Dhundli nazar se charo aur dekha ranvijay ne
Koi purana jagah lag raha hai, aas Paas nazar daali to Saamne ek ladki soyi thi
Ranvijay ke chehre par ek choti si muskaan a gayi thi

"good morning sir" ashwin muskurate hue aaya

"why what's so good about today's morning??" ranvijay ne apna laptop maanga

"m madam ne mana kiya hai aaj aapko kaam karne ke liye" ashwin bola

"bakwas" bol ranvijay ne fir ishare se maanga laptop

Ashwin bechara payal ki aur dekhne laga, aur jab use laga ki payal abhi bhi soyi hui hai usne laptop de diya ranvijay ko

"sir waise bhi aaj kuch Khaas nahi tha" ashwin bola

"shaadi ko postpone kar diya Paul??" ranvijay ne Paul ki aur dekha to Paul ne isharon me sab kuch bata diya
Paul hamesha se kam bolne wala insan raha hai

"sir doctor ne bola hai ki shaam tak discharge kar diya jayega aapko"ashwin bola

" seriously?? Come on "frustration me kehta hai ranvijay

" lekin try kar rahe hai,jald se jald aapko discharge karwane ke liye"ranvijay bola

"aap log breakfast karo fir baat karte hai"ranvijay bola
Sab chale gaye aur ranvijay kaam karne laga laptop par
Government hospital hai ye baat janne me zyada Waqt nahi laga ranvijay ko
Khair sab ke aane ke baad

"mmmm" payal uth gayi thi aur bikhre baal aur kapdon me daag the, kuch khoon ke dhabbe bhi tha.
Uske haath me bhi ek do jagah bandage laga hua tha

"tum kaam kar rahe ho??" payal ki awaz sakht thi

"tumhare haath par to chot hai" ranvijay bola

"tum abhi bhi kaam kar rahe ho??" bol gusse se payal uthkar ranvijay ke Paas gayi aur laptop cheen liya

"arrr..." ranvijay ke bolte bolte uska laptop payal ke haath me tha
Usne save karke laptop ko off kar diya
Lekin ranvijay laptop ko payal ke haath se cheenne ke chakkar me aur payal laptop ke ranvijay se door le Jaane ke liye aage badhi ki tabhi....
Dono kareeb a gaye, aur dono ke hont kaafi Paas a gaye
Dono ki saansein tez chalne lagi
Ranvijay aur payal itna kho gaye ek doosre me ki sab bhool gaye dono

"sir harshit is hiding, I think he is on the run" Paul aaya tha ranvijay ke Paas aur uske awaz ke saath hi jhat se alag ho gaye the payal aur ranvijay

"hmm anything else??" ranvijay ne poocha

"I think your uncle is also involved" Paul bola

"hmm by the way, thanks Chris" ranvijay Paul ke peeche khade Chris ki aur dekhkar kaha

"and one more thing sir when do you want your marriage to be rescheduled??" ashwin ne poocha

"baad me pehle inform everyone that I'm fine and let's target night club now" ranvijay ke is baat ka matlab payal nahi samjhi lekin ashwin, paul aur chris sihar uthe sunkar

"wo sab baad me pehle tum rest karoge, aur fir baat karenge, ashwin ji aap sambhal lijiye" bol payal ne ranvijay ka haath pakda aur use lekar chal padi

"are? Ye kya mazak hai Payal?? Grow up and be matured, Bachchon wali harkatein karna band karogi??" ranvijay irritate hote hue bola

"ranvijay tumne yahan ke kheto ka bhutta khaya hai??" payal ne poocha

"payal mazaak nahi mera laptop de do" ranvijay bola

"to mere Saath bhutta khane aana padega" bol haskar payal ne daudkar chali gayi
Aur ranvijay bhi peeche peeche bhaga

Hospital se door khet shuru ho rahe the aur payal daudte hue khet ki aur chali gayi,
Saath me ranvijay bhi peeche gaya

"bhaiyya ye bhutte tod rahi hoon, paise le lena" payal ki awaz ke saath wahan kaam kar rahe kisan muskurakar Haan me ishara kar apna kaam karne lage

"y ye corn to pake nahi hai, kachhe hai. Fir inhe kaise kha rahi ho tum??"ranvijay bola

" yahi to is jagah ki khoobsoorati hai ranvijay, dekho hare hare khet, aur usme taaze taaze bhutto ka swaad alag hi hai, ise duniya ki sab daulat milakar bhi nahi khareed sakte"payal haskar boli

"paiso se sab khareeda ja sakta hai Payal" ranvijay bola

"ye tumhara bhram hai ranvijay" payal un kachhe bhutton ko khate hue boli

Ranvijay kheto ki aur dekhne laga
Mast weather tha aur charon aur hariyali thi
Charo aur bhutton ki fasal ho rahi thi.

"payal tumhara koi aim ya dream nahi hai??" ranvijay ne poocha

"Haan hai na, mujhe apni college poori karni hai aur...... Apne papa ke sapnon ko poora karna hai" payal boli
Ranvijay sunkar chup raha

"tumhara sapna kya hai ranvijay??" payal ne poocha

"saturn Corp par Victor frame ka jhanda gaadna" ranvijay bola

"kya?? Samjhi nahi mai" payal boli

"baad me samjhaunga, ab chalo hospital se bahar nikalna hai" ranvijay bola aur payal ke saath wapas chal pada
------------------------------------------------------------------
"mai haath jodti hoon, pair pakati hoon" ashmita roansa hokar boli

"dekhiy madam, agar aap meri help karengi tabhi to mai help kar paunga?? Aapko itna karna tha ki Ranvijay ko rok de us factory ko lene se, lekin nahi aapse wo kaam nahi hua" shivraj phone par bola

"maine poori koshish ki, teen hafton tak rok ke rakha lekin ab khud Mr ranvijay aaye the aur unhone ye contract ka poora procedure paul Naam ke aadmi ko diya hai, mere haath me kuch nahi hai" ashmita boli

"to thik hai madam, ab hamare haath me bhi kuch nahi rahega, jab mai aapka bachha aapke Paas nahi Rehne doonga bye" shivraj ne phone Kaat diya

"h hello?? Hello?? PLEASE AISA MAT KIJIYE NAI MAR JAUNGI RISHI KE BINA" chilla chilla kar ashmita rone lagi lekin phone kat chuka tha
Sunne wala koi nahi tha[/color]
 
[color=rgb(85,]MEGA UPDATE[/color]
[color=rgb(255,]Ashmita ke haath se phone gir gaya
Aur wo foot foot kar rone lagi, kyun kyun kyun pareshani aur musibat uska peecha chodne ka Naam nahi leti
Ek to bin Baap ke bachhe ko paalna aur abhi us bachhe ka ab future kya hone wala hai pata nahi
Pata nahi kyun wo shivraj is factory ke peeche haath dhokar pada hai

"maa maa dekho" bol rishi ghar me daudte hue daakhil hua

Ashmita ne dekha rishi ke haath me bohut sara khilona hai

"ye sab..." Asmita ko samajh me nahi a raha tha ki rishi ke haath me itne Saare khilone kisne diye

"maa ye sab vijay uncle ne diye" bol rishi muskurate hue peeche muda aur vijay Ander daakhil hua

"ye sab kya hai vijay ji?" ashmita ne poocha

"rishi ne zid kiya to..." vijay bola

"dekhiye vijay ji, aap rishi ko restaurant me lekar jaate hai khilate hai usse mujhe koi problem nahi hai, lekin please aise kabhi kuch laane ka mat sochiye" ashmita boli

"are ye to sirf kuch khilone hai" vijay bola

"pata hai lekin ye mujhe pasand nahi" ashmita boli

"mummy uncle ko please mat bolo kuch wo ache hai" rishi bola

"tum pehle apne kamre me jao, bohut zaban chal rahi hai tumhari Aajkal, tumse baad me baat karti hoon"aahmita boli to rishi gusse se chala gaya apne kamre ki aur

" aapne aise hi daant diya bachhe ko "vijay bola

" vijay ji please ainda mere bete ko kuch dene se pehle pooch lena "ashmita boli
Vijay kuch bola nahi chupchap ghar se wapas chala gaya aur us ke jaate hi ashmita ne darwaza band kar rone lagi

Shivraj ka Saara gussa vijay par utar diya usne, bura nahi hai vijay ji lekin ab ashmita ko sabse dar lagne lag gaya hai
Mr ranvijay ke shaadi ke teesre din ye factory aakhirkar Victor frame me shamil ho jayegi aur usi ke saath shivraj ashmita ke bete ko usse alag kar dega
Aur wo kuch nahi kar payegi, bohut try kiya usne ki ye deal ko roka jaay lekin ranvijay ke aadmi itne shatir hai ki sab kaam sirf do din me karke dikha diya

"maa"rishi ke rone ki awaz sun kar chaunk padi ashmita

" kya hua rishi?? Maine daant diya to bura laga na?? "ashmita ne muskurate hue poocha

" nahi laga, lekin aapne vijay uncle ko daant diya to bura laga,mujhe ye khilone nahi chahiye, please aap vijay uncle ko daantna mat ab"boo Saare khilone rakh kar Bhaag gaya apne kamre me rishi

Aur ashmita dekhti rahi rishi ko
------------------------------------------------------------------ SATURN CORP
"madam aapne suna??" kumar meera ke office ne aate hue bola

"kya hua kumar subah subah kyun tension me a gaye, relax BB tech se baat ho gayi hai, udreams na sahi hum BB se apni taqat fir badhayenge. Aur fir seedha victor frame ke against morcha khol denge, fir dekhna ranvijay vardhan kaise apna muh chupata firta hai, I swear is baar I'm gonna tear him apart"ek determined look lekar meera boli

"madam mai iske liye aapke office me nahi aaya hoon, mai heeralal ki news lekar aaya hoon" kumar bola

"suna maine, Ranvijay ne unka company khareed kar kisi sheikh ko wo shares bech diye, badle me Africa me oil ka 5% share le gaya ranvijay " meera boli

"wo baat nahi, heeralal aur uski poori family ne suicide kar liya hai, poison liya tha sabne, postmortem se pata chala" kumar bola

Kamre me sannata cha gaya, meera thar thar kaampne lagi, heeralal ka ye haal???
Ranvijay ne aisa kiya? R ranvijay ne agar heeralal ka ye haal kiya to baakiyon ka kya karega

"kumar do one thing mere Saath mangesh ki meeting fix karo asap" meera boli

"mangesh jiske 2 night club hai??" kumar ne poocha

"Haan wahi suna hai teesra night club bhi jald kholne wala hai, India me restaurant ka chain bhi kholne wala hai" meera boli

"lekin time bikal payenge wo?? Suna hai bohut busy rehte hai" kumar bola

"I don't care kumar, I just don't care do what i say" meera boli

Kumar ne OK bol office se nikal gaya aur meera ne jhat se drawer se apni dawai li aur Paani ke saath peekar thodi rahat mehsoos ki

Ranvijay kya nahi rukega?? Un sab ko nishana banayega jo meera ke plan me Saath the??
Gin Gin kar badla le raha hai wo aadmi, us haadse ko 7 saal beet chuke hai lekin ranvijay use nahi bhoola, pata nahi do saal kahan tha wo???
Lekin Victor frame jaise sadak chaap company ko kahan laakar khada kiya usne

Mangesh, be careful buddy, meera ne apne dost ko wish karte hue apne aankhen band kar li
-----------------------------------------------------------------
ANANDPUR UP
Payal ne bed se uth kar Paani peene ke liye uthi hi thi ki use kuch awaazein sunai di
Wo kamre se bahar aayi to uske mama girish chaturvedi,uski maami aur unki beti sumedha baithe hue the
Payal ko aata dekh kar uthakar sab payal ki aur a gaye the


"aap log..." payal ko samajh nahi a raha tha ki kya kar rahe hai Saare yahan par

"beta" bol girish chaturvedi payal ke pair pakadne ja rahe the to payal ne rok liya unhe

"mamaji ye kya kar rahe hai aap" payal chaunk gayi thi girish chaturvedi do aisa karte dekh

"beta jo insan par uske hone waale damad ki wajah se laanchan lage us maama ko aisa hi karna chahiye, harshit ne jo kiya tumhare Saath uske liye hamari poori family maafi mangti hai tumse aur ranvijay ji se, please hame barbaad mat karo" girish chaturvedi haath jod kar rone lage

Payal ko samajh nahi a raha tha kya ho raha hai

"kya hua samajh me nahi a raha hai??" chillaye girish chaturvedi apni biwi air beti par

"m maaf kar de beta hame" bol haath jod kar nazren jhuka li mrs chaturvedi ne

"papa mai is chudail se maafi nahi maangne wali mai..." sumedha apni baat poori kar bhi nahi paati thi ki

CHATAAAAK

Ek zordar thappad pada girish chaturvedi ka

"papa aapne iske liye mujhe mara..."

CHATAAAK

"P PAPA" sumedha rone lagi

"maafi" girish chaturvedi strict hokar bole

"maaf kar do didi" sumedha sar jhukakar boli

"beta hamare mall par bulldozer chalane ka hukm diya hai municipality walo ne,mere business partners apna paisa wapas maang rahe hai, bank loan chukane ko bol rahi hai, beta please please ranvijay ji ko phone karke bol de ki tune hame maaf kar diya" girish chaturvedi bol pade

"ranvijay aisa nahi kar sakte" payal boli

"wo sab kuch kar sakte hai Payal, wo sab kuch kar sakte hai, meri haisiyat unke Saamne ek machhar ki bhi nahi, pata nahi kya dekhkar maine apni beti ki shaadi us kamine se karne ja raha tha, please payal beta please" girish chaturvedi rone lage

"thik hai m mai baat karungi" payal boli

"thanks payal beta, thanks please kar dena" bol girish chaturvedi ne mithai ka dibba payal ke haath me diya aur apne family ko lekar chala gaya

Payal ke dimag me kai sawal ghoomne lage[/color]
 
[color=rgb(255,]FLASHBACK
TV par meera ke success ka interview chal raha tha
Ranvijay ek kone se dekh raha tha, lekin uske aankhon se aansu rukne ka Naam nahi le rahe the

Tabhi kamre me dhruv ki entry hui aur uski aankhen bhi tv screen par gayi

"wow meera sachdev?? She's good" dhruv apne chair par baith kar Paani peete hue bola

"aapko to sab pata hai dhruv sir, fir bhi aap meera ki tareef kiye ja rahe hai??" ranvijay ab apne aap ko nahi rok pa raha tha

"itna sentiment kyun ranvijay??" dhruv ne poocha to Ranvijay rone laga

"oh samjha, lekin ranvijay kya rone se tum meera ko hara doge???" dhruv ne ranvijay ki aur bina dekhe bola

"m meera k k ko hara dena to impossible hai" ranvijay badi badi aankhon ke saath tukur tukur dhruv ki aur dekhte hue bola

"ranvijay vardhan nothing is possible in this world" dhruv bola

"lekin...." ranvijay kya bolta, wo to kuch samajh hi nahi pa raha tha
Meera sachdev ko harana??? Best young achievers award le gayi wo ladki aur next year bhi ye award confirmed hai

"lekin mai chahta hoon ki tum apna sapna poora karo ranvijay, ek scientist banna chahte the na tum??, I'll make sure you make us all proud" dhruv muskurate hue bola

"dhruv bhaiyaa possible hai?" ek shaant awaz ke saath ranvijay ne poocha
Sar jhuka hua aur aansuon se geela chehra dekha tha drhuv ne

"Haan mere kuch connections hai I'll get you to the topmost university" dhruv muskurate hue bola

"nahi sir, maine ek successful businessman, ek successful entrepreneur banne ki baat ki" ranvijay bola.

"lekin ranvijay why?? You can become a good scientist??" dhruv bola

"bhaiyya mera medical record dekh kar mujhe koi dhang ka role nahi diya jayega, wo aap ko bhi pata hai, aapka connection mujhe sirf ek junior scientist bana kar rakh degi" ranvijay bola

"so what do you want to do??" dhruv bola.

"I want to take revenge" ranvijay bola

Dhruv kuch nahi bola bas Muskuraya

"aapne bola tha sab possible hai sir" ranvijay bola apna chehra uthate hue

"lekin ranvijay isse tum ek insan se ek jaanwar ban jaoge meri tarah, Yash ki tarah"dhruv samjhaate hue bola

" mujhe manzoor hai bhaiyya, apne aap ko mitana bhi pade to khud ko mita dunga "ranvijay bola

Shayad Pehli baar bhaiyya bola tha ranvijay ne dhruv ko, pata chal gaya ki Ranvijay ko rokna na mumkin hai ab

"to sabse pehle yaad rakho, teen cheez chahiye ek business ke success ke liye" dhruv bola

"matlab??" ranvijay bola

"paisa power position, isse banegi tumhari buniyad, aur buniyad aisa banao ki ise hilana to door koi choo bhi na sake" dhruv bola

"thanks bhaiyya" ranvijay bola

"trust no one, and take your decisions with your brains, not with your heart, business me emotions ka koi role nahi hota" dhruv bola
Aur ranvijay ne apne guru ka kaha suna aur apne dimag me kaid kar diya

"aur teen bande apne under lo jo tumhara brahma vishnu maheshwar bane, ek jo tumhe contacts dega, business laayega, dossra jo tumhara sab kaam khud dekhega aur teesra jo sab ka vinash karega tumhare ishare par" dhruv bola

Ranvijay dhruv ke pair me gir gaya

"pata nahi bhaiyya mai kitna aage badh paunga, lekin Haan jis din mai sabko is business world se nikalkar bahar fenk dunga us din aapko guru dakshina dunga" ranvijay bola

"go ranvijay conquer the world, lekin business kya karoge" dhruv ne poocha

Ranvijay ko pata nahi tha kya business karega
Lekin use raasta dikai de diya tha

Dhruv samajh gaya ki Ranvijay ko koi idea nahi hai lekin use ye bhi pata tha ki Ranvijay kaise bhi ho apne mukaam par pohunch hi jayega
Vijay ek acha dost tha dhruv ka lekin use bataye bina drhuv ne ranvijay ko aise raaste par lakar khada kar diya tha ki isme ranvijay ka vinash hi hoga
Aur koi raasta nahi tha, agar dhruv nahi karta koi aur kar deta
Kyunki jab kisi ke sar me junoon ho kisi se badla lene ka to wo kaise bhi apna mukaam pa leta hai

......

"ranvijay... Ranvijay" payal ki awaz ne ranvijay ko past se wapas la diya

"kya kar rahi ho yahan, aaj hamari shaadi hai na" ranvijay ne paper se bina aankh harate bola

"tumne kya kiya mamaji ke saath" payal ne poocha

"maine kya kiya??" ranvijay ne poocha

"bano mat ranvijay, dekho ranvijay galti to harshit ki hai. Police use jo saza de wo sahi hai. Fir kyun uske family walo ko beech me lana??" payal boli

Ranvijay kuch nahi bola paper padhne me busy raha

"yani tum kuch nahi karoge" payal ne poocha

"nahi" ranvijay bola

"thik hai mai khud jaungi un sab ke Paas jo pareshan kar rahe mamaji ko" payal boli aur jaane lagi

"wait, Paul do it.." ranvijay ne Paul ki aur dekha aur ishara kiya
Paul Muskuraya aur phone se call karne laga

"thanks Paul" payal boli fir ranvijay ki aur dekhkar boli

"ranvijay, zaroori nahi ki hamare Saath jo log kare Hume bhi wahi karna chahiye, bhagwan Sab dekhta hai. Us par chod dena chahiye"

Aur muskurate hue chali gayi
Is baat ka waise asar zayada nahi hua ranvijay ke oopar

Wo waise hi paper padhta raha
------------------------------------------------------------------
"sir bhaiyya kahan gaye??" jai aur roma dono hospital pohunch chuke the

"bhaiyya??? Koun bhaiyya" doctor ne poocha

"sir wo raat me jo aaya tha toofani raat me" for jai ne ranvijay ka huliya bataya

"oh wo sahab?? Ranvijay vardhan aapke bhai hai??" doctor ka ravaiyya badalne laga

"wo sahab matlab??" roma ne poocha

"are vardhan parivar se rishta rakhte hai ranvijay ji, aur agar aap unke bhai hai tab to aapka bhi rutba waisa hi hoga, waise wo discharge ho gaye hai aur shayad ab tak pohunch gaye honge apne ghar, waise aapko pata nahi?? " doctor bole

"shayad busy the isliye inform nahi kiya unhone, anyways thanks doctor" bol jai roma ke saath chala gaya hospital se

Roma ke dil me kai sawal nikal ke a rahe the

"jai tumhare baare me t umne[/color][color=rgb(255,]kuch nahi bataya, kya hai ye sab??" roma ne shant lakin seriously poocha[/color]

[color=rgb(255,]"kya hai ka kya matlab??" jai ne poocha

"abhi abhi doctor ne jo kaha, kya rishta hai tumhara ranvijay vardhan se??" roma ne fir poocha is baar awaz oonchi thi

"roma mai batane wala tha" jai bola

"batane wale the?? Mere emotion ke saath mere tumne khela jai?? Aur mai Pagal samajhti rahi ki papa ke ilaaj ke liye tumne kitni mushkil se paise ikathha kiya hoga, mai hi Pagal thi jai mai hi Pagal thi" roma ab rone lagi

"roma mai..." jai ne apna haath roma ke kandhe par rakha to roma ne jhatak diya

"jai vardhan aapke Saare paise chuka doongi mai, aur ab se hum alag rahenge, mai aaj hi apna Rehne ka intezam karti hoon" bol roma rote hue daud kar chali gayi aur jai dekhta raha majboori me[/color]
 
[color=rgb(255,]Payal shaadi ke jode me baithi hui thi aaj
Aaj hi to thi shaadi payal ke saath ranvijay ki
Kahan harshit ke saath sapne dekh rahi thi payal aur ab ranvijay se Shaadi ho rahi hai
Is ek mahine me ek jhatke me sab kuch badal gaya
Lekin payal ne kabhi aalishan ghar, paisa, power aur aaram aur aish ki zindagi nahi maangi thi, usne maangi thi sirf khushiyan. Dher Saari khushiyan, lekin wo khushiyan payal se door ja rahi thi. Shaadi ek samjhaoute ke tahat ki gayi thi, payal ke ghar ka Saara loan maaf ho jayega aur isi se payal ne apne life ka samjhauta kar liya ek aise insan se jisko abhi tak 1% bhi nahi samajh paayi thi payal
Ranvijay ka character bohut dhundhla dhundhla sa hai
Jahan ranvijay apne staff ko duniya bhar ki gaaliyaan deta hai wahi ranvijay ke liye uske staff use bhagwan ke roop me dekhte hai
Jahan ranvijay jewellery shop me apni aukat apna power dikhata hai to wahi ranvijay amusement park me normal ticket kharid kar payal aur rishi ke saath enjoy karta hai
Tabhi payal ko kuch awazein sunai di

"sir aise na kijiye aaj ranvijay sir ki shaadi hai aise me aap Keh rahe hai ki shaadi attend nahi karenge??" kamre ke bahar shayad ashwin ki awaz aayi

"Keh diya na, meri tabiyat thik nahi hai to thik nahi hai, jakar apne sir se Keh do ki paise se mujhe nahi kharid sakta wo" Mr vardhan ki awaz pehchaan gayi payal

"fir aap shaadi me aaye hi kyun.."

"ashwin tum jao mai dekhti hoon" payal ki awaz ke saath Mr vardhan ne dekha ki laal saree me payal kamre se bahar aayi thi

"agar tum ye soch rahi ho ki mai tumhare Kehne par shaadi attend karunga to bhool jao" Mr vardhan apne wheelchair ko aage badhane lage

"Maine jab aapke pair chuye the to aapne mujhe kuch nahi diya sivay aashirvaad ke, ek nayi bahu hone ke naate aap ko nahi lagta ki aapko koi gift laana chahiye tha??" payal boli
To ye wahi aam ladkiyon jaisi hi hai, Mr vardhan chup rahe

"kya chahiye tumhe?? Jo chahiye bata do de diya jayega" Mr vardhan bole

"agar dena hai to ye promise kijiye ki aaj aap shaadi attend karenge, agar promise nahi kar sakte to mai samjhungi ki vardhan family aise hi bekar promises karti hai"payal boli

" ladki tum apni had paar kar rahi ho, vardhan parivar kabhi apne promises nahi bhoolta, thik hai mai shaadi attend karunga lekin yaad rakhna uske baad mera aur tum logo ka koi rishta nahi" bol wheel chair ko aage le gaye Mr vardhan
Payal muskurai Mr vardhan ekdum Bachchon jaise ho gaye the aur use pata tha ki Bachchon ko kaise handle karna hai

Shaadi me duniya bhar ki raunak thi, aur ranvijay ne koi kasar nahi chodi thi kharch karne me

Payal ne khud invite kiya tha ashmita ko isliye aana hi pada use
Kya tha ki vijay rishi ke bina nahi reh la raha tha isliye payal ne ashmita aur rishi ko bulaya jisse vijay bohut khush hua, pata tha use ki payal kaisi hai lekin uski achhai ke baare me aur Jaan raha tha

"wow kya decoration hai Vijay, kaash mai teri shaadi dekh paata" ye awaz sunkar jal bhun gaya vijay
Kyunki ye awaz kisi aur ka nahi balki...

"congratulations dhruv mere bhai ki zindagi kharab karne ke liye aur use is haal me laane ke liye, ab kya dekhne aaye ho?? Ki Ranvijay zinda hai ya mar gaya??" vijay ne poocha

"vijay tujhe kya lagta hai ranvijay agar mujhse nahi milta to sab kuch sahi hota??" dhruv ne poocha

"Haan shayad" vijay bola

"nahi, agar mujhse nahi milta to kisi aur se milta ya kuch aur tarika nikalta bhadas nikalne ke liye" dhruv vijay ke kandhe par haath rakhkar bola lekin vijay ko tasalli nahi mili

Dhruv aage badhkar ranvijay se milne chala gaya

"are dhruv sir" ranvijay aage badhkar dhruv ke Paas gaya aur dhruv ne gale se laga liya

"poocho" dhruv muskurate hue bola

"matlab??" ranvijay ne poocha

"ranvijay tum mere under 2 saal kaam kar chuke ho, jaanta hoon tumhe. Mangesh to topple karke uska night club band karna chahte ho, kyunki tumhe us business ka koi knowledge nahi hai tum mujhse hi help mangoge jaanta hoon" dhruv bola

"Haan sahi kaha sir, bataiye kaise karun mai ye sab" ranvijay ne poocha

"tum nahi kar sakte, tum impatient ho. Koi doosra option laana hoga" dhruv bola

"koun?" sar pakadkar ranvijay bola

"wo dekho" bol dhruv ne payal ki aur dikhaya jisse Sharon ghul mil kar baat kar rahi thi

"Sharon bhabhi?? But wo to events dekhti hai oopar se bohut pressure hai unpar, wo manegi??" ranvijay hairan tha

"Sharon ki baat nahi kar raha, payal ki baat kar raha hoon" dhruv bola

"what??" 440 volt ka jhatka laga ranvijay ko ye sunkar
------------------------------------------------------------------
MUNCH MUNCH MUNCH MUNCH

"aur milega??" harshit bola

Sumedha ne dekha ki harshit purane gande Maile kapdon me bhikari jaisi haal me sumedha ka laaya hua khana kha raha tha

"kal ho sake to non veg le aana sumedha" harshit bola

Police se chupkar harshit ek anjan jagah par tha aur sumedha ko khana laana padta tha uske liye

Sumedha ro padi, kismat ki baat hai
Jahan uski shaadi harshit se hone wali thi bade shaan se wahi payal ki shaadi ek 5 star hotel me ho rahi thi aaj
Suna hai wo USA Jaane wali hai shaadi ke baad
Uski kismat me hi kyun hai ye sab

"bolo na, laogi na??" harshit ne poocha

"Haan laungi" bol ak aakhiri baar harshit ki aur dekha sumedha ne aur chal padi aur kabhi na milne ke liye
Harshit ab uske layak nahi tha, aur wo payal ko aasani se jeetne nahi dena chahti thi

"Haan police station?? Mai sumedha.... Haan harshit ka pata mil gaya hai, note down the address" bolte hue sumedha andhere me gayab ho gayi[/color]
 
[color=rgb(255,]"wow look kya khoobsoorat lag raha hai koi" Sharon ke Kehne par payal ne sharma kar apni aankhen neechi kar li

"he's lucky payal jo tum jaisi ladki mili hai use" Sharon fir boli

"aap....." payal ne Sharon ki aur dekha, Bala ki khoobsoorat lag rahi thi Sharon.

"mai jo hoon use tumhara hone wala pati pasand nahi karta, dhruv ki wife hoon mai, lekin bhale hi mujhe ranvijay pasand na karta ho lekin wo mere liye hamesha chota bhai rahega" Sharon boli

"lekin aapko wo pasand kyun nahi karta??" payal ne poocha

"kyunki use lagta hai ki mere Saath druv ki shaadi hone ke baad dhruv ne business ko settle hone diya, aur aggressiveness nahi dikhayi usne" Sharon boli

Payal ko kuch samajh me nahi aaya

"ranvijay bohut sensitive hai Payal, abhi bhi dawai par chalta hai, har mahine doctor se check up karwata hai, take care of him" Sharon ne payal ke kandhe par haath rakhkar kaha

Shaadi ho rahi thi lekin payal ne notice kiya ki Ranvijay ka parivaar enjoy nahi kar raha hai
Mr vardhan wheelchair par the lekin unke chehre par khushi nahi hai
Vijay bhaiya abhi bhi rishi ke chale Jaane ke baad dukhi ho gaye aur jay ka man kahin aur tha

In sab ka solution bina nikale payal khush nahi reh sakti thi

Tabhi payal ki nazar mrs sarita par padi jo ek kone se dekh rahi thi is shaadi ko

Payal aage badhkar wahan gayi aur unse mili.baat karne ja hi rahi thi ki payal ka bulawa a gaya.

"ja payal, shaadi ke baad sab kuch bataungi, tere man me jo sawaal hai sabka jawab doongi" bol mrs sarita wahan se chali gayi

Shaadi ki rasmein shuru hone ja rahi thi
Aur payal ka dil dhak dhak kar raha tha
Mangalsootr pehnakar aur maang me sindur daal kar apna bana liya tha ranvijay ne

Aaj se payal, payal nahi payal vardhan ban gayi thi, aur aaj se ranvijay ka parivaar uske liye sabkuch tha

"sir BB ka kya karein??" ashwin ne poocha

"hold, wait karo. Let saturn buy BB" ranvijay bola

"sir?? Aap kya Keh rahe hai" ashwin bola

"sahi Keh raha hoon, let's target night clubs now ashwin" ranvijay sakhti se bola
Aur aage badh gaya

Aur payal ko samajh nahi a raha tha ki wo kaise react kare bade bade log, hastiyan, politicians and bhi kai log milne a rahe the

"congratulations ranvijay aur nayi bahu" ek smile ke saath shivraj aur unki wife aanchal haathon me ek bada sa bouquet lekar aaye the

"Wakai khoobsoorat" bol aanchal ne payal ke Gaalon me tapki di

"aao ranvijay, kuch business ki baat kare" bol shivraj ne ranvijay ke kandhe par haath rakhkar le gaya

"bohut dukh ho raha hai mujhe" aanchal achanak boli to payal chaunk padi

"dukh kyun??" aanchal ne poocha

"ek aise ghar me shaadi ho rahi hai tumhari jo ab bikhar e wali hai nayi dulhan" aanchal ne apne wine je glass se sip lekar kaha

"kya bakwas kar rahi hai aap??" ranvijay ne poocha

"sorry nayi dulhan, nothing personal. Lekin mera personal matter hai, Is family ke tukde hone se koi nahi bacha sakta" aanchal boli

Payal chup rahi ab tak kyunki lihaz kar rahi thi apne bade ka, apni chachi ka. Lekin aur bardasht nahi ho raha tha usse

"sorry chachiji, mai family ko bikharne nahi de sakti, aur na doongi" payal boli

"ha ha ha,Mrs vardhan alag reh rahi hai, vijay shaadi nahi karega aur jay ke man me scientist banne ka bhoot sawar hai, aur ranvijay use sirf badla lena hai, use tumse koi matlab nahi hai nayi dulhan" aanchal haskar boli

"mere aur ranvijay ke beech me jo hai wo hamara personal matter hai chachiji aur rahi baat Baaki members ki, ek saal me family ko khadi kar doongi aapke Saamne" payal bol padi

"wow acha laga attitude aur confidence dekhkar, lagate hai bet, agar maine apna wada poora kar diya to tum mere gang me join ho jaogi aur apne family aur husband se door rahogi mere Saath, manzoor" aanchal boli

"aur agar aap haari to aap isi family ka part bani rahengi, manzoor??" payal ne apni shart rakhi

Muskurakar payal ke gale lag gayi aanchal
------------------------------------------------------------------
"sir aapko Jaana Nahi hai kya??" ashwin ki aankhen neend ke maare laal ho rahi thi
Raat ke 1:00 baj rahe the, aur ranvijay abhi bhi apne kamre me nahi ja raha tha.

Ranvijay kaise samjhaye ki wo saamna nahi karna chahta tha payal ka wo bhi ek kamre me

" thik hai good night guys"bol dheere dheere apne kamre ki aur gaya ranvijay

Kamre me light jali hui thi aur chupchap baithi thi payal

" ahem... Wo... Ummm...... "ranvijay ko samajh me nahi a raha tha kya bole wo payal ko

" aapki dawai"bop payal ne Pehli baar ranvijay ko aap bolkar bulaya

"mai dawai nahi leta, pata hona chahiye tumhe" ranvijay bola

"ab lena padega, lijiye" awaz me sakhti thi aur pata nahi kyun ranvijay ne dawai le li

"kuch kehna hai aapko??" payal ne poocha

"bas itna ki...... Mera ek past hai Payal..... Aur wo bohut bura past hai..." ranvijay bola

"har kisi ka ek past hota hai ranvijay, mera bhi tha, kya aapne mujhe reject kar diya???" payal boli

Ranvijay kuch nahi bola, use samajh nahi a raha tha ki kaise bole wo sabkuch jo uske Saath hua tha

"raat kaafi ho gayi hai ranvijay, so jaiye" payal boli aur light off kar diya aur let gayi

Ranvijay bewkoof ki tarah kuch der tuk tuk dekhta raha for wo bhi so gaya[/color]
 

Similar threads

Back
Top