Update : 10 (Waqt ka Khel)

Kabhi kabhi hume kisi ko pehchan ne me der ho jati hai..hum uss insaan ko nahi pehchan paate jo hamare liye care karta hai, humse pyaar karta hai..aur hum unhi se jagda kar lete hai..ya fir unhe hi takleef pahuchate hai

Pari ke saath bhi yahi hua..jo ladki hamesa Manthan se har choti baat par ladayi kiya karti thi..usi Manthan ne Pari ko uss waqt sambhala tha jiss waqt Pari ko kisi ke sahare ki sabse jyada jarurat thi..aaj use apni galtiyo ka eshas tha, aaj uske dil me Manthan ke liye pyaar aur respect dono hi thi, aur jo galti itne saalo se voh karti aa rahi thi..use sudharna chahti thi

Manthan ki baato ne Pari ko hila andar tak hila kar rakh diya tha..jo ghanv use mile the voh sab taaza ho gaye the..lekin fir bhi Manthan ki baato ne voh kar diya tha jo koi nahi kar paa raha tha..Manthan ki baato ki vajah se hi Pari ko samaj me aaya ki voh Manthan ke saath kitna galat kar rahi hai..jo muskan uske chehre se gayab ho chuki thi..voh muskan ab vapas laut aayi thi

Pari aaj fir apne pehle vaale andaaz me vapis aa chuki thi..aur iss waqt voh kaafi acha mehsus kar rahi thi, khair voh manthan se maafi mangne ka khayal dil me lekar college ke canteen me pahuchi

Usne kruti aur Pathik ko ek table par baithe hue dekha..asusual Kruti apne bf se phone par baat kar rahi thi, aur Pathik phone me game khel raha tha

Unn dono ko dekhkar Pari apne man me hi bol padi "yeh dono kabhi nahi sudhrenge" aur fir usne apna haath jor se table par maara aur chillakar kahti hai "tum dono ko iske alawa kuch aata hai..??"

Achanak se hui awaaz se dono hi chaunk gaye..aur fir dono hi ajib se najro se Pari ki aur dekhne lage

Pari "kya..?? Ese kya ghur rahe ho dono..pehli baar dekha muje"

Kruti ajib si shakal banate hue "nahi..bas tuje yaha dekhne ki ummid na thi"

Pathik shikayti lafz me kahta hai "pari..tune jo aaj kiya voh acha nahi tha, tu janti bhi hai tune Manthan ko kitna hurt kiya hai..?? usne har waqt teri help ki, tere iss tarah se udass rehna..usse dekha nahi jaa raha tha, voh toh bas..sirf teri madad karna chahta tha, taaki tu khus rahe aur voh isliye tere pass aaya tha"

Pari "hmm..ha janti hu..aur isliye mai yaha vapis aayi..par voh idiot hai kaha..??"

Kruti halke gusse se boli "tuje hug karne ke liye ab uska murder karegi..??"

Kruti ki aur dekhte hue Pari shant lahje me kahti hai "nope..usse bhi jyada, I want to apologize to him, shayad mai kuch jyada hi overreact kar gayi thi, muje aisa nahi karna chahiye tha"

Pari ki baat sunkar kruti aur pathik dono hi apne seat se khade ho jate hai..aur vahi kruti apna haath pari ke sar par rakhte hue kahti hai "teri tabiyat toh thik haina..?? Ya fir maine kuch jyada hi sun liya..?? Shayad tu yeh kehna chah rahi thi ki tu manthan ko chodegi nahi..right na"

Pari haste hue "nope..i really want to say sorry to him, aur sirf aaj ke liye nahi..meri har uss galti ke liye"

Pathik "pari..yeh tu hi haina..?? Kyunki jis pari ko hum jante hai voh sorry kabhi nahi kahti..atleast Manthan se toh kabhi nahi"

Pari "hmm..agar tu yeh baat pehle kehta toh sahi thi..par aaj nahi Pathik..muje apni galtiyo ka ehsas hai, mai apne past ko bhulna chahti hu..sab kuch.aaj se muje ek nayi shurwat karni hai..jo mai apni purani galtiyo ko sudhar kar karna chahti hu"

Yeh sunkar voh dono hi khush hue, kruti turant hi pari ke gale lag gayi aur "thanx darling..tuje iss tarah hasta dekh bahut acha lag raha hai, now please don't ever be sad"

Pari "I won't, and yeh sab Manthan ki vajah se hua hai, agar voh yeh sab na kehta toh shayad mai kabhi has nahi paati"

Pathik apna hath aage badhate hue "welcome back paridhi"

Pari ek baar pathik ke haath ki aur dekhti hai..aur fir use hug karte hue kahti hai "thanks, thank you for everything"

Pathik se alag hote hi paridhi ne pucha "yeh laila majnu kaha ghum hai..??"

Kruti "pata nahi..par tera manthan ko hug karna siddhi ko pasand na aaya, voh thodi ukhdi hui si lag rahi thi"

Pari kuch sochte hue "hmm..mai sambhal lungi use"

Pathik "shayad voh dono LAW Garden me honge"

Uske baad voh tino canteen se nikal kar garden ki aur chal diye..jo unki university ke sabse last me bana tha, aur jesa pathik ne kaha, siddhi aur manthan..dono vahi thi

Kuch der pehle

Pari ne jo baate Manthan ko kahi thi..unn baato se Manthan ke dil ko kaafi chaut pahuchi the, Pari ke jaate hi Manthan gusse se canteen vapis aaya, aur usne aate hi pathik se bola "bloody hell, aaj ke baad mai iski koi bhi madad nahi karunga, she is just a bitch" thoda rukkar "siddhi kaha hai..??"

Kruti "voh uss taraf gayi hai..uska mood kuch thik na tha" apne haath se ishara karte hue kaha

Manthan bhagte hue vaha se nikla..aur kuch hi duri par use siddhi dikhayi de gayi, manthan jaldi se siddhi ke aage aaya..aur use rokte hue kaha "tu kaha jaa rahi hai..?? voh bhi iss waqt..??"

Siddhi apne najre churate hue "uhmm kahi nahi.muje thoda kaam hai, tu chal mai tujse baad me milti hu"

Manthan ko Siddhi ka iss tarah se bolna kuch ajib sa laga, voh Siddhi ke behad karib aaya aur apne haath ko Siddhi ke gaalo par rakhte hue bola "nahi..mai janta hu tuje koi kaam nahi hai..sach toh yeh hai ki tujse Pari ka iss tarah se muje hug karna dekha nahi gaya, par mai bhi kya karta..uss waqt muje kuch bhi suj nahi raha tha, bahut dino ke baad Pari ko maine itna khush dekha tha"

Siddhi ne rukhe swar me kaha "it's okay, i get it, maine hi tuje uske pass bheja tha, but really I am fine, muje thoda kaam hai" aur voh vaha se jane lagi, par manthan ne Siddhi ka haath pakad kar rok liya, aur uski aankho me dekhte hue kaha "Siddhi..tujse jooth bola nahi jata fir kyu koshish karti hai, teri aankhe saaf bata rahi hai ki Pari ka yeh sab karna tuje bilkul bhi acha nahi laga, aur isiliye tu vaha se chali aayi, Kruti ne muje sab bata diya"

Yeh sunkar siddhi ki aankho se aansu ki boond nikal aayi..aur voh thodi ruansi hote hue kahne lagi "mai janti hu manthan ki tu mujse bahut jyada pyaar karta hai..aur muje tere pyaar par koi shaq nahi hai..par mai kya karti..Uss waqt pata nahi muje kya ho gaya tha, Pari aur tuje mai ek saath nahi dekh paa rahi thi, pata nahi kya ho gaya tha muje, dil me ek ajib si bechani ho rahi thi..kuch bhi acha nahi lag raha tha..bas isiliye mai vaha se chali aayi, kyunki uss waqt muje bahut hi jyada guilt feel ho raha tha"

Manthan siddhi ko kaske apni baanho me le leta hai..aur "sshhhh.usme guilt feel karne ki koi jarurat nahi hai..it's okay, please don't cry, and listen I promise you I am all yours, no one can replace you..I love you..and I really do"

Siddhi bhi manthan ki baanho me jese pighal si gayi thi..use apna sar Manthan ke dil par rakha tha..aur apni aankhe band karke manthan ke dil ki awaaz mehsus kar rahi thi

Kuch der baad yeh dono alag hue aur ek paid ke niche jaakar baith gaye..jo kuch bhi Pari ne kiya voh sab Manthan ne bata diya

Iss baat toh Siddhi ko bhi Pari par bahut hi jyada gussa aaya, par manthan ne iss baare me na sochna hi sahi samja

Karib 1 hour tab voh log vahi baithe the, aur jese hi voh vaha se jaane lage unhe Pari, Kruti aur Pathik dikhayi diye, jo unhi ki aura a rahe the

Pari ko dekhkar Siddhi ko bahut gussa aaya, aur voh Pari kea ate hi uspar baras padi "teri problem kya hai..?? har baat par tu Manthan se ladti rahti hai, akhir kya bigada hai isne tera..??"

Pari "shant hoja, ek baar meri baat toh sun"

Siddhi abhi bhi gusse me thi "kya sunu mai, huh..kya sunu bol..?? yeh tune acha nahi kiya Pari, jab itni takleef ho rahi thi toh kyu kiya Manthan ko hug..?? dur ho jaati usse"

Kruti "siddhi, ek baar uski baat toh sun, voh maafi mangne aayi hai"

Siddhi "ab iski bakwass muje aur nahi sunni" achanak se voh bolti hui ruk gayi aur usne kaha "kya kaha"

Pari "ha siddhi, I want to say sorry..to both of you, mai janti hu maine jo kuch bhi Manthan se kaha voh muje nahi kehna chahiye tha, sab meri galti hai, I am really sorry Manthan..please maaf karde"

Lekin Manthan gusse se Pari ko ghurta raha, aur fir vaha se jaane laga, par tabhi Pari ne Manthan ka haath pakad kar rok liya aur apne kaan par haath rakhte hue kaha "itna bhi kya gussa, mai sorry keh rahi huna, aur sirf aaj ke liye nahi, maine jitney bhi jagde tujse kiye..unn sab ke liye tujse maafi mang rahi hu, muje apni galtiyo ka ehsas hai"

Manthan abhi bhi kuch na bola, Pari "tuje gussa hone ka pura haq hai, shayad tu muje maaf na kar paye, par mai bas itna kehna chahta hu, ki teri baato ne muje sachai bata di, muje apni galti realise karwa di, aur tune sahi kaha tha, shayad mai tum sab ki friendship ke layak nahi hu, anyways I think muje ab chalna chahiye, and yeah I promise abse mai koi jagda nahi karungi, Thanks..thank you very much for helping me"

Manthan "tuje mai aaj tak nahi samaj paaya, tu achi hai ya buri..kuch samaj nahi aaraha, tu iss tarah se ladti hai, jagadti hai, aur fir roti bhi hai, par sach kahu toh tujse ladayi karna..ek adat si ho gayi thi, par pichle kuch mahino se tuje iss tarah nahi dekh sakta tha, tu hasti hui, ladti hui jyada suit karti hai..aur ha iss tarah ke classy type toh bilkul bhi nahi..really iss waqt tujse jyada bandariya achi lagti"

Pari ek baar gusse se dekhti hai, aur fir haste hue "hahaha..sahi kaha, par ab jo bhi hu, mai toh ese hi rehne vali hu, aur agar tu muje maad kardega toh shayad mai pehle vali ban jau"

Manthan "tu nahi sudhregi..jaa maaf kiya"

Pari siddhi ke pass jaakar "I am sorry too Siddhi, but I promise agli baar se mai aisa kuch nahi karungi"

Siddhi "muje bhi maaf karde, mai kuch jyada hi bhadak gayi tujpar, kya karu Manthan se bahut pyaar karti hu"

Pari "cha lab yeh rona dhona band kar, tu janti haina muje yeh sab pasand nahi hai"

Siddhi fir Pari ko hug karti hai, aur uske baad sab log movie dekhne jaate hai

Movie dekhne ke baad sab log lunch ke liye hotel gaye, hotel lage TV par news aa rahi thi, jisme Dexter ke ek aur aatank ke baare me bataya jaa raha tha

Siddhi "Dexter ka atank toh badhte hi jaa raha hai"

Pathik "voh lashe, jo Pari ke colony me thi..abhi tak mere aankho ke samne aa rahi hai, aur kitne logo ka khoon bahega"

Manthan "dad keh rahe the ise rokna bahut hi jaruri hai"

Pathik "tuje kya lagta hai, voh attack nuclear bomb se kiya tha..??"

Manthan "nahi pathik, nuclear bomb se iss tarah ka attack nahi ho sakta, aur dad ne bataya ki vaha par nuclear radiation ke koi traces nahi mile..par ek unknown energy mil rahi hai..shayad yeh koi aur type ka hathiyar hai, aur uss energy par research chalu hai"

tabhi Pari ko achanak se kuch yaad aaya aur usne Manthan se pucha "manthan, tere dad toh scientist hai, unhe kese pata chala inn sab ke baare me..??"

Manthan "haa..par iss waqt voh aur unki team crime unit ke saath kaam kar rahi hai, Delhi ke baad jab Banglore, Aurangabad aur Chennai me jo attacks hue, unn saare attack ke impacts almost same the, lekin kahi bhi kisi bomb ke hone ke koi traces nahi mile, toh Indian Government ne ek scientist ki team ko hire kiya, aur uss unit me papa bhi hai, aur unhone hi sab bataya"

Pari "unhe kuch bhi pata nahi chala"

Manthan "nahi Pari, lekin, yeh attacks sirf India me nahi, pure world me ho rahe hai, Chennai me jo attack hua uske thik 2 hafte baad NewYork me hamla hua, aur uske baad France aur Tokyo me, par yeh saare attacks alag the, inn sab ke bich koi similarity nahi thi..par ha, secretly jo research ho rahi hai usse yeh pata chala ki har insaan ke marne ki vajah sirf ek hai, aur abhi do din pehle Mumbai me ek aur hamla hua hai"

Siddhi "par aakhir Dexter yeh kar kyu raha hai..??"

Manthan "pata nahi, aur voh kaha se operate kar raha hai..koi nahi janta, sirf itna pata hai ki voh apni chap har jagah chod raha hai"

Pathik "fir toh pakka yeh atankwadi hi hai, itne bhayanak hamle toh sirf vohi kar sakte hai"

Manthan "baat voh nahi hai pathik, agar voh atankwadi hai..toh iss tarah se kyu..?? jab tak inn hamlo ke baare me koi clue nahi mil jata, police..ya yu kahu ki amry bhi kuch nahi kar sakti, bas ek baar uss weapon ke baare me pata chal jaye..fir Dexter dur nahi hai"

Pathik "jo weapon voh use kar raha hai, uske baare me kya pata chala..??"

Manthan "uske pass koi weapon nahi hai, ya fir voh jo kuch bhi hai, voh hamare world me kisi ke pass nahi hai"

Pari "tu itne yakin se kesa keh sakta hai"

Manthan "simple logic, uske har attacks me, impacts alag the, matlab uske pass weapon nahi hai"

Khair yeh log isse tarah ki baate karte rahe, aur Pari kuch waqt ke liye udass ho gayi thi, par apne friends ke saath voh sab kuch bhul rahi thi..aur dhire dhire unke friendship aur bhi strong hoti jaa rahi thi

Time : After 2 days, 10:00 AM

Location : Near Mumbai, Police Station

Karan aur Patil ki duty bahut tight kar di gayi thi, pichle 2 dino me unhone bahut si bhayank laase dekhi

Karan aur Patil cabin me baithe hue chayi ki chuskiya le rahe the, tabhi vaha forensic doctor aaya, aur usne ek file Karan ko di

Karan uss file ko dekhte hue kahta hai "it's impossible, yeh kese ho sakta hai..??"

Patil uss file ko dekhte hue kahta hai "doctor, kahi aap pagal toh nahi ho gaye..uss ladki ki umar 25 saal thi..naki 85"

Doctor "yeh baat toh muje bhi ajib lagi, aur yeh report..maine nahi Delhi se aaye hue unn scientists ki team ne banayi hai"

Karan "yeh kese ho sakta hai, uski umar itni jyada kese badh gayi..?? kya mai uski body dekh sakta hu"

Doctor "nahi Inspector, Dexter ne jitney bhi attacks kiye, unn attacks mese sirf yahi ek lash thi jisse kuch clue mila hai, so voh log ise Delhi le jaa rahe hai, higher studies ke liye"

Patil "kahi unn gaanv vaalo ki baat sahi toh nahi haina..?? kahi yeh bhoot ya fir zombies ka toh kaam nahi..??"

Karan patil ko gusse se dekhta hai "kya bakwaas kar raha hai, bhoot America, France nahi jaate, aur zombies iss tarah ka hamla nahi karte, aur yeh sab sirf kahaniyo me hota hai..asal zindagi me nahi hota"

Patil "yaar, par tu khud hi dekh, file me jo likha hai vohi keh raha hu"

Karan "doctor kuch aur pata chale toh batana, Dexter ko rokna bahut jaruri hai"

Location : DELHI

Aaj Sunday tha, Kruti, Pari aur Siddhi university ke bahar ghumne gaye the, Pari ko kuch kaam hone ki vajah se voh thodi der baad aane vali thi, isliye Kruti aur Siddhi CCD me jaane ki sochte hai

Tabhi Siddhi ko CCD ke bahar Manthan dikhayi diya, voh Manthan ke pass jaakar use hug karti hai aur uske gaal par kiss karne vali thi ki tabhi Manthan ne use jor se dhakka diya aur gusse se bola "what the f**k..?? just don't touch me"

Siddhi khadi hokar Manthan ke pass gayi "kya hua hai tuje..?? maine kya kiya..??"

Manthan "just..just don't talk with me..you are just a bitch nothing more than that, so go and f**k with someone else" itna kehti hai Manthan vaha se chala gaya

Kruti apni aankhe faade manthan ko dekhti rah gayi..par voh kuch keh naa paayi aur vahi Siddhi ki aankho se aansu nikal aaye

To be continued..
 

Update : 11 (The First Clue)

Sunday..matlab chutti ka din, hume harwaqt Sunday ke aane ka intezaar rehta hai, kyunki sirf yeh ek din hota hai jis din hum apna time unn logo ke saath bita sakte hai..jo hamare dil ke karib hai Sunday ke din kuch log apne gf/bf ke saath ghumte hai, toh kuch apni family ke saath, aur kuch log aise bhi hote hai jo apni sabse pyaari chiz ki gaud me bitate hai..yani ki sukun ki neend
C:\Users\MILANP~1\AppData\Local\Temp\msohtmlclip1\01\clip_image001.gif


Khair..subah ke karib 6 baj rahe honge, lekin pari ke liye Sunday ko bhi lectures hua karte the, jo uski HOD khud padhati thi, uske saath har Sunday Kruti aur Siddhi walk par aaya karti thi, aur voh lunch tak bahar rahti thi, jabtak Pari ke lectures khatam nahi ho jate

Lekin aaj Pari HOD ke saath 2 din ke liye bahar gayi thi, toh yeh dono akeli hi morning walk karne nikal gayi, voh dono baate karte hue CCD pahuch gaye, shayad aaj Siddhi ke liye acha din tha, usne Manthan ko vaha thodi dur par dekh liya

Voh khushi se uchalti hui Manthan ki aur bhagi..aur usne piche se jaakar Manthan ko hug kar diya, aur apne hontho ko Manthan ke gaal ki aur badhane lagi..tabhi use kuch smell aayi, aur use samajne me bhi jara se bhi der na lagi ki yeh smell kis chiz ki thi, usne apni aankhe kholkar Manthan ke haatho me dekha..aur voh gusse se aagbabula ho gayi

Siddhi ko aaj Manthan par bahut hi tej gussa aaraha tha, voh jor se chillate hue Manthan par baras padi "manthan..yeh kya kar raha hai tu..?? firse cigeratte..?? maine tuje mana kiya tha ki tu fir kabhi cigeratte ko haath nahi lagaega"

Lekin shayad Manthan ko Siddhi ka kehna pasand nahi aaya, usne jor se Siddhi ko piche dhakka dete hue kaha "tu hoti kaun hai muje yeh kehne vali..?? just stay away from me, bitch"aur voh vaha se jaane laga

siddhi uske aage aayi aur uske gaal par haath rakhte hue "firse..?? kyu kar raha hai tu aisa..??"

Iss baar manthan ki aankho me bahut hi jabardast gussa bhar aaya, usne Siddhi ko jor se dhakka diya aur gusse se bola "what the f**k..?? just don't touch me"

Manthan ke dhakke ko Siddhi sambhal nahi paayi..aur voh vahi gir padi
Manthan "just..just don't talk with me..you are just a bitch nothing more than that, so go and f**k with someone else" itna kehte hi Siddhi ki parwah kiye bina hi Manthan vaha se chala gaya

Yeh sab Kruti apni aankhe faade hue dekhe jaa rahi thi, use kuch samaj nahi aa raha thi ki aaj manthan ko achanak se ho kya gaya hai, voh turant Siddhi ke pass aayi, aur usko sambhal kar khada kiya

Manthan ki baate sunkar kuch waqt tak Kruti bhi shocked ho gayi..jo baate Manthan iss waqt bolkar gaya tha..voh kisi bhi ladki ko hurt kar sakta hai

Siddhi ko sambhalte hue Kruti ne pucha "kahi firse..??"

Siddhi ki aankh se aansu ki bunde nikal gayi "pata nahi"

Kruti "par Siddhi, iss baar toh usne had hi kar di..shayad firse use koi sapna aaya ho"


Siddhi "nahi kruti..aaj kuch alag sa tha, kuch behad ajib hua, aisa lag raha tha ki voh mera manthan tha hi nahi"


Kruti "are you mad..?? tu kehna kya chah rahi hai, ki jo ladka tuje itna sab kuch sunakar gaya voh Manthan nahi tha..??"


Siddhi kuch nahi boli, Kruti "maine khud dekha hai voh Manthan hi tha"

Siddhi "pata nahi, par"
itna kehti hi Siddhi roni lagi
Kruti "yaar tu rona band kar, jaakar baat karle usse"

Siddhi ruansi awaaz me kahti hai "nahi Kruti..mai usse baat hi nahi karungi, iss baar toh use mai sabak sikha kar hi raungi, usne iss baar mera dil toda hai"

Kruti "siddhi.."
Siddhi naa mein apna sar hilati hai, Kruti uski aankho me dekhkar samaj gayi, aur usne aage kuch nahi kaha

Uske baad aaj ke hadse ke baare me kisine baat nahi ki, Kruti Siddhi ka mood thik karne ke liye bahar le gayi, Siddhi ka jara bhi man na tha, par voh Kruti ki jeed kea age tik nahi paayi, aur use Kruti ke saath jana pada

Sham ke karib 5:40 ko Pathik ka call Kruti par aaya, aur usne pucha ki voh sab kaha hai, Kruti thodi dur khadi thi, toh usne Pathik ko bata diya ki voh log PVR mall aaye hue hai, aur voh kuch hi der me vaha se nikal jayenge

Pathik "ek kaam kar, kuch der rukja, mai 15 min me vaha pahuchta hu"


Karib 15 minutes ke baad tino ladkiya mall se bahar nikali, voh tino mall ke bahar just nikali hi thi ki unhe Manthan ne rok diya, aur Manthan ne aate hi Siddhi ka haath pakda aur kehna laga "I am sorry Siddhi, I am really sorry."

Lekin siddhi ne manthan ki aur dekha tak nahi..aur manthan ki baat ko sune bina usne apna haath jatka aur vaha se chali gayi

Manthan kahta hai "ise kya hua..?? kabse call kar raha hu, par iska phone switch off aa raha hai, aur ab jab usse baat kar raha hu toh bina baat kare hi chali gayi"
Kruti "yeh tu humse puch raha hai..?? manthan aaj jo tune kiya voh acha nahi tha, tujse yeh ummid naa thi"kehte hue voh nikal gayi..aur vahi Manthan ajib si shakal banate hue unn dono ko ghurne laga

Location : CID (Delhi)

India ke best scientist ki team iss waqt CID headquarters me maujud the, aur aaj subah se hi voh log uss ladki ki laash par study kar rahe the, jo Mumbai hamle me maari gayi thi

Iss team me Manthan ke Dad yani Dr. Rajendra shamil the, jo uss ladki ki maut ke PM report ki study kar rahe the, tabhi unke pass unka co-worker Ajit aaya

Ajit "doc, kya 2 min aap mere saath chal sakte hai"


Rajendra "hmm..haa chalo"
aur voh file band karte hue Ajit ke saath uss ladki ki lash ke pass aagaye

Ajit "dr, yeh dekh rahe hai aap"
uske pait ki aur ishara karta hai "vaise toh iss ladki ki body par jo skin hai, voh kisi budhi aurat hai ki..jiski age karib 85 years ki hai..par yaha dekhiye, thi pait ke thoda piche yani kamar ki aur, iss jagah ki skin kisi teenager ki hai"

Rajendra "hmm, yahi baat toh muje samaj me nahi aa rahi, PM report ke mutabik iske death saans naa lene ki vajah se hui hai..lungs problem, aur iss ladki ki age 25 years hai, fir yeh kese possible hai..??"


Ajit "Dr, kya yeh possible hai ki kisi ne umar badhane vali koi medicine banali ho, aur usi medicina ka istemal Dexter kar raha ho"


Rajendra "yeh kya bakwass hai, aisi koi chiz na hai market me, aur agar aisa kuch hota, toh atleast hume jarur pata hota..ya fir record book me jarur hota"


Ajit "doctor, aapki baat bilkul sahi hai, par iss ladki ko dekhkar toh yahi lagta hai, iske sharir ke saare hisse me uski umar badh chuki hai..aur voh bhi bahut jyada"


Rajendra "hmm..aur yahi ek chiz hai jo hume pata lagani hai, ki yeh kese hua, agar kisi tarah hum yeh pata kar le ki iss ladki ke maut ke piche ka real reason kya hai, toh hum Dexter ke karib aa sakte hai..aur shayad uske hamlo ko rok sakte hai"


Location : Mumbai

Karan aur Patil uss doctor se baat kar hi rahe the ki vaha par ek gaanv vala aaya, dikhne me thik thak sa tha, fate purine kapde aur pura sharir pasine se lathpath

Karan uss ko dekhkar kahta hai "ha kahiye..?? kya baat hai..??"

Uss aadmi ke saath ek hawaldar bhi tha, jo kehta hai "sir, yeh keh raha hai ki isne hamlawar ko dekha hai"

Hawaldar ki baat sunkar Karan ke kaan khade ho gaye, aur voh uss admi ko ghurte hue pucha "acha, kya dekha..??"

Voh aadmi "sahab aap use kabhi nahi pakad paoge, maine dekha hai use, maine dekha hai uss ladki ko marte hue, uss ladki ki maut mere samne hui thi, voh..voh kisi ko nahi chodega, shaitan hai voh..shaitan"


Karan haste hue "hahaha, isme naya kya hai..?? yeh toh sab jante hai ki voh shaitan hai, kuch aisa bata jo mere kaam ka ho, voh dikhne me kesa tha"

Aadmi "sahab, galti kar rahe hai aap, bahut badi galti kar rahe hai, voh koi aam insaan nahi hai, haiwan hai..ha haiwan hai voh, uski sharir par chamdi naa hai..aur voh voh ek nili safed roshni me jhal raha tha, mai keh raha hu aapse..voh bhoot hai, voh kisi ko nahi chodega, sab ko maar dega voh..sab ko mar dega"
yeh kehte hue uska pura sharir dar se kaanp raha tha

Karan "kya bakwaas hai yeh, mai nahi manta iss bhut whut ko"


Patil "hawaldar..le jao ise"


Uss aadmi ke jaate hi Karan ek gehri saans lete hue kahta hai "yeh gaanv vale bhi..koi bhi mangadhat kahaniya bana dete hai"

Doctor "inspector, mai aapki baat se sehmat nahi hu"


Karan "toh aap yeh kehna chahte hai ki isne abhi abhi jo kaha voh sach hai"


Doctor "shayad..sach ho sakta hai, bhoot vhoot me toh mai bhi believe nahi karta, par muje aisa lag raha hai ki yeh shayad kisi alien ka kaam hai, I mean ek baar jara sa dhyan se sochiye, Dexter ne har jagah apna atank failya hai, aur jiss tarah ke hamle ho rahe hai..voh kisi bomb ya hathiyar se kiye jaa sakte, aur uss ladki ki maut..itni ajib maut toh maine naa kabhi dekhi hai aur na kabhi suni hai, aur sabse badi baat, uss ladki ki body mese muje kisi bhi poison ke traces nahi mile"


Patil "Karan..iss doctor ki baat me dam toh hai, aur iss admi ne jo kuch bhi kaha abhi..voh US Army ke report se bahut milta julta hai"


Karan kuch sochte hue "so tum dono yeh kehna chah rahe ho ki yeh kaam kisi alien ka hai..??"

Patil "haa..ho sakta hai, jis tarah ke attack ho rahe hai..uss hisab se toh yahi lag raha hai"


Karan "tum dono hi pagal ho, agar aliens yaha aaye hai toh kaha hai unki spaceship..kaha hai unka UFO, maine toh iss baare me kuch na suna, aur nahi teri so called US army ne iss baare me kuch bataya"


Dr "par inspector, aap unn nishano ko andekha nahi kar sakte, aapne khud dekhe hai voh nishan"


Achanak se Karan ko kuch yaad aaya "hmm..are ha, voh nishan..ab voh nishan hi hume uss dexter tak pahuchyange, Patil, uss nishan ki ache se chanbin karni hogi"

Location : CID

Ajit aur Rajendra dono hi uss ladki ki lash par study kar rahe the, tabhi achanak se Ajit bol pada "yeh kese ho sakta hai..??"

Rajendra "kya baat hai..??"


Ajit "you check it doctor"
kehte hue Ajit ne rajendra ko ek device di, aur uss device ko dekhkar Rajendra ne apne chasme thik kiye, aur khud usne voh test firse kiya jo Ajit ne kiya tha
Results dekhkar Rajendra bhi chuank gaya "yeh kese possible hai..??"

Ajit "mai nahi janta..par yeh jo bhi hai..iska kya matlab nikalta hai doctor..??"


Rajendra ne ajit ki baat ko sunkar bhi andekha kar diya, aur voh computer ke pass aakar kuch search karne laga..aur kuch der baar

Rajendra "agar yeh sach hai..that means..we are in big trouble..a very big big trouble..may be we are on war"


Location : Delhi (near CCD)

Manthan dadute hue Siddhi ki samne gaya aur use rokakar kaha "please na jaan, bata toh sahi kya hua..?? ab toh maine cigratte pina bhi band kar diya..sirf tere liye, ab kyu itna gussa hai"

Siddhi "toh fir aaj subah jo hua voh kya tha..??"

Manthan "kya matlab..??"

Siddhi "huh..muje na tujse koi baat hi nahi karni"
aur voh jaane lagi

Kruti manthan ko dekhte hue "tune promise kiya tha ki tu ab kabhi cigratte nahi piyega..1 mahina bhi nahi hua aur tune promise taud bhi diya"

Manthan ko iss waqt kuch bhi samaj nahi aa raha tha, aur voh firse Siddhi ke aage aakar kehta hai "Siddhi, maine cigeratte nahi pee, teri kasam, I swear, uss din ke baad mai cigerate ko chua tak nahi hu"

Siddhi "bas manthan, bas..bahut ho chuka ab, agar tuje cigratte pine ka itna hi shauk hai toh ek baar puch leta mujse"
aur voh jore se rone lagi

Manthan "par siddhi.."
uski baat ko kaate hue Kruti kahti hai "cigratte tak toh thik tha..par uske baad jo hua voh sahi nahi tha, tuje voh sab nahi kehna chahiye tha"

Manthan ajib si shakal banate hue "kya kaha maine..??"

Tabhi Pathik unn sab ke pass aaya, aur Siddhi ko rote hue dekh Manthan ko puchne laga "kya hua..?? Siddhi itna ro kyu rahi hai..?? ab kya kar diya tune..??"

Manthan kuch kehta iske pehle Kruti bol padi "isne aaj firse cigratte pi, pata nahi kab sudhrega yeh."

Kruti bolti uske pehle Pathik bol pada "kab..?? abhi..?? mai car park karne kya gaya itni der me tune cigeratte pee li..??"aur voh manthan ki aur ghurne laga

Kruti "nahi nahi..abhi nahi, par aaj subah"


Yeh sunkar toh pathik bhi shocked ho gaya "yeh kese possible hai..?? nahi..manthan ne uss din se hi cigratte chod di thi jis din isne Siddhi se promise kiya tha"

Manthan "mai inhe kabse yahi samja raha hu, par yeh dono meri baat sun hi nahi rahi"


Tabhi Siddhi rote hue hi Pathik ki aur ghumti hai aur kehti hai "nahi pathik..isne aaj subah hi cigratte pee thi..maine khud dekha tha, aur uske baad..uske baad toh."voh kehte hue aur rone lagi

Pathik "uske baad..uske baad kya"


Siddhi toh kuch na bol paayi..par Kruti ne sab kuch bata diya, yeh sunkar Pathik aur Manthan..dono ke hi sar chakra gaye, unn dono ko kuch bhi samaj nahi aa raha tha, manthan ajib si shakal banate hue apne baal khujane laga

Pathik "nahi..yeh nahi ho sakta..it's impossible"


Siddhi bahut hi gusse me chillayi "toh kya mai juth bol rahi hu..??"

Pathik "kaha dekha tha tune"


Siddhi "muje ab iss baare me koi baat nahi karni"
aur voh vaha se jaane lagi

Pathik use rokte hue "please Siddhi..bata, kaha dekha tha"
Kruti "college ke bahar, CCD ke pass"

Yeh sunkar ek aur baar Pathik aur Manthan dono ko jatka laga, turant hi Pathik bola

Pathik "nahi Siddhi, yeh impossible, aisa ho hi nahi sakta"


Kruti aur siddhi Pathik ko gusse se ghurne lage, aur Pathik turant kehta hai "kyunki, aaj subah 5 baje se, mai aur Manthan out of Delhi gaye hue the, aur just abhi aaye hai"

To be continued..
 

Update : 12 (Out of Time)

Pathik "nahi Siddhi, yeh impossible hai, aisa ho hi nahi sakta"

Kruti aur siddhi Pathik ko gusse se ghurne lage, aur Pathik turant kehta hai "kyunki, aaj subah 5 baje se, mai aur Manthan out of Delhi gaye hue the, aur just abhi aaye hai"

Siddhi aur Kruti jor se chillayi "kkkkkyyyaaaa.??"


Ab aage..

Manthan "mai tum dono ko kabse yahi toh samjane ki koshish kar raha tha"

Kruti "pathik, mai janti hu ki manthan tera dost hai, kahi tu ise bacha toh nahi raha na..??"

Pathik apne wallet se ek paper nikalta hai "nahi yaar, aur agar tuje iska proof chahiye, then just check this, yeh city ke bahar wale toll booth ki ticket hai"

Pathik ke haath se ticket lekar Kruti dhyan se dekhne lagi, aur kaha "In Time 5:30 AM, and return 5:00 PM"

Yeh sunkar Siddhi chaunk uthi, aur Kruti ke hath se ticket lete hue "kyaa..?? la muje dikha", par jab Siddhi ne ticket dekhi toh uska sar chakrane laga, aur voh khud se hi bol padi "agar tum dono sach me city ke bahar the, fir voh kaun tha jo subah me"

Kruti "are you sure manthan ki tera koi judwa bhai nahi hai..??"

Manthan usko gusse se dekhte hue "dekh, iss waqt mai majak karne ke mood me bilkul bhi nahi hu" aur voh vaha se jaane laga

Pathik "voh bichara subah se pareshan tha, voh chahte hue bhi tujse baat nahi kar paaya, aur yaha tak ki pure raste uske man me yeh dart ha ki kahi tu usse naraz na ho jaye"

Siddhi pathik baat sunkar khud ko Manthan ke pass jaane se rok nahi paayi, voh daudte hue Manthan ke pass gayi aur uske haath ko pakad liya

Manthan ruk toh gaya, par voh gusse se Siddhi ki aur dekhte hue kaha "ab bhi koi shaq baaki hai..?? ya fir koi aur proof chahiye..??"

Siddhi naa mein apna sar hilati hai aur hug kar leti hai "I am sorry manthan..really sorry, muje laga ki" aur voh manthan ke sine lage hue hi rone lagp

Manthan ne siddhi ko khud se alag nahi kiya, balki usko apni baanho me lete hue pyaar se uske sar par haath firate hue bola "tuje itna bhi trust na hai mujpar, tujse ki hui promise nai kese tod sakta hu..??"

Siddhi apne kaan pakadte hue "nahi nahi..i am really sorry, par please, please mujse naraaz mat ho, lekin mai juth nahi bol rahi, voh..voh bilkul tere jesa dikh raha tha"

Siddhi ki aankho me aaye hue aansuo ko saaf karte hue Manthan bola "it's okay Siddhi..I promise you siddhi, jisne bhi tuje hurt kiya hai, usko mai chodunga nahi"

Pathik "tum dono ko pakka yakin hai ki voh Manthan hi tha..I mean manthan ke jesa dikh raha tha..??"

Kruti "ha pathik, hum dono ne hi dekha tha, voh bilkul tere jese dikh raha tha"

Pathik "hmm..i think we should leave now"

Manthan "nahi pathik, I think we should go for dinner now, aur raat ko baraf gola khane ki maja hi kuch aur hai"

Kruti "nyc idea, let's go now"

Manthan "vese voh chudail kaha hai..??"

Kruti haste hue "voh HOD ke saath bahar gayi hai, kal subah tak aajayegi, vese aajkal uski bahut fikar ho rahi hai tuje"

Manthan "ha..ab kya kare, haroj koi muje khule asman ke niche hug thodi na karta hai"

Yeh sunkar Siddhi gusse se Manthan ki aur dekhne lagi "kya kaha tune..?? mai tuje hug nahi karti aisa, ruk abhi batati hu tuje" kehte hue voh Manthan ke piche bhagi

Kruti yeh dekhkar "thank god, iske smile vapis aagayi, varna subah se bichari ka mood bahut kharab tha"

Pathik "sirf uski hi nahi, Manthan ki bhi" aur voh kuch sochne laha

Yeh charo aise hi masti karte rahe, aur fir raat ko sabne ek saath dinner kiya, aur raat ko baraf gola khane ke baad yeh sab apne hostel ki aur chal pade

Time : 11:00 PM

Location : Somewhere in Delhi

Iss waqt raat ke karib 10 baj rahe honge, sector 52 ke pass me rhe kabristan ke bahar ek ladka apne sar par haath rakhe hue chal raha tha, dekhne se uss ladki ki umar karib 22-23 saal kit hi, use dekhkar saaf pata chal raha tha uske sar me bahut dard ho raha hai, uski aankhe baar baar band ho rahi thi

"aaaaaaaahhhhhhh, aakhir yeh ho kya raha hai mere saath..?? muje yaad hai, thik isi jagah par mera ghar hua karta tha, fir yeh kabristan, kese..??" khud se baate karte hue voh kabristan ke andar chala gaya

Voh apne charo aur dekh raha tha, lekin use kuch bhi samaj nahi aaya, Tabhi uss ladke ne vaha par ek budhe chacha ko dekha, voh turant unke pass gaya, aur unse pucha "chacha, yaha par ek building hua karti thi..?? kya hua uss building ko"

Voh budhe chacha iss ladke ko ek baar ghurkar dekhte hai "beta, shayad tune pee rakhi hai, jao beta ghar jao, yaha koi building nahi hai"

Ladka "nahi chacha, muje yaad hai, yahi par..thik isi jagah par ek building thi, PUSHKAR RESIDENCY"

Chacha "yaha kabhi koi building thi hi nahi, pichle 20 saalo se iss jagah par kabristan hai, itni jyada bhi mat piya karo ki khud ka ghar hi bhul jao"

Voh ladka sawaliya chehre se dekhte hue puchta hai "aaaaaa, kya matlab aapka..?? 20 saal..yeh kese ho sakta hai..??" kahrate hue voh bola

Yeh sunkar uss ladke ka sar chakrane lage, use kuch bhi samaj nahi aa raha tha, voh kabhi uss chacha ki aur dekhta toh kabhi uss kabristan ko "shayad aap sahi keh rahe hai, muje itni jyada nahi peeni chahiye thi" kehte hue voh uss kabristan se bahar nikal gaya, aur bahar aate hi khud se bol pada "yeh sab ho kya raha hai mere saath..?? jab se mai DELHI aaya hu, tab se hi sab kuch badla badla sa lag raha hai, kuch bhi pehle jesa nahi hai yaha..iska kya matlab ho sakta hai..??"

Voh apne sar par haath rakhte hue sochne laga hai, par use kuch bhi suj nahi raha tha, tabhi achanak se uske dimag me ek baat aayi "wait wait, yaha sab kuch alag hai..muje ache se yaad hai, yaha kabristan nahi, ek building thi, aur thik uss taraf" voh apne right side dekhte hue "thik vaha par, ek Ice-cream parlour hua karta tha, naaki ek bike showroom" fir kuch sochte hue "kya 6 mahino me itna sab kuch badal jana mumkin hai..?? agar mai yeh maan bhi lu ki pichle 6 mahine me yaha sab kuch badal gaya..fir voh chacha ji ne aisa kyu kaha ki pichle 20 saalo se yaha par yeh kabrishtan hai..??"

Location : CID (DELHI)

Jo result Ajit ke experiment karne par mila tha, same vohi result Dr. Rajendra ko mila

Ajit "Dr, muje kuch bhi samaj nahi aa raha, aakhir iski vajah kya ho sakti hai..??"

Apne haath me pakdi hui device ki aur dekhte hue "mai nahi janta, but if we could find out what's going inside her body, and what is the reason behind it, it could be our first clue"

Ajit "aur shayad uss clue se hum Dexter tak bhi pahuch sakte hai" voh thoda rukkar kahta hai "mane apni life me iss tarah ka kabhi kuch nahi dekha, yeh baat bilkul bhi samaj nahi aarahi, agar iss ladki ki maut umar badhne ki vajah se hue hai, fir iski body ki decompose hone ki rate itni slow kese hai..??"

Rajendra "yahi toh sabse jyada chaunkane vali baat hai, medical report me saaf likha hai ki iss ladki ki age 85 years hai, par asal me iss ladki ki age around 25 hai" ek gehri saans lete hue "agar vakahi me iss ladki ki maut umar ke badhane ki vajah se hui hai, fir usi rate se body decompose bhi honi chahiye, Ajit..yeh baat kuch aur hai, koi aisi baat hai jise hum abhi tak nahi samaj paaye"

Ajit ek file lekar aaya "hmm, agar yahi baat hai then, I think I know something" rajendra uski aur sawaliya bhari najro se dekh raha tha "yeh device bhi thik usi tarah se band ho rahi hai, jis tarah se hamare baaki devices har crime scene par band ho rahi thi" kehte hue Ajit ne voh file Rajendra ko dedi

Rajendra file ko dekhte hi samaj gaya ki Ajit kya kehna chah raha tha, voh kuch der sochne laga, aur turant hi apne laptop ke pass gaya, aur usme kuch karne laga

Karib 1 hour ke baad voh Ajit se keh utha "you are right Ajit, iss ladki ki body mese bhi vohi unknown energy release ho rahi hai, jo energy hume har crime scene par detect ho rahi thi, aur isi energy ki vajah se hamari sari devices respond nahi kar rahi"

Ajit "but doc, aap jo keh rahe hai, agar sach me vohi baat hai toh yeh saare PC's, laptop kese chal rahe hai..??"

Rajendra kuch sochte hue "kyunki yeh computers energy radius me nahi aa rahe hai, matlab ke direct contact me toh nahi"

Ajit chaunkte hue "yes, yes..it makes the sense, yeh baat mere dimag me kyu nahi aayi" aur voh turant hi ek PC par kaam karne laga aur kehta hai "maine ek research me pada tha, agar koi unknown energy outer space se hai..toh ek possibilities yeh ho sakti hai ki hamari banayi hui devices kaam naa kare" kehte hue voh ruk gaya, aur ek page open karke Rajendra ko dikhaya

Rajendra uss page ko padh kar kehta hai "Good work Ajit, it can be possible, but right now we can't tell this to anyone, because we don't have any prrof, sirf ek research paper ki madad se hum yeh nahi bata sakte ki yeh sare hamle aliens kar rahe hai"

Ajit "mera dimag me yeh baat kabse chal rahi thi, hum abhi tak Dexter ko kyu nahi pakad paaye..?? aur toh aur aisa koi bhi jinda nahi bacha jisne Dexter ko dekha ho, hamare pass sirf itni information hai ki Dexter jab bhi aata hai, uske aaspass blue colour ki light rehti hai, aur yeh bhi ek afwa hai, kya pata voh afwa na ho aur sach ho" voh thoda rukkar kehta hai "I think there is two possibilities, ya toh Dexter outer space se hai..ya fir voh koi alien technology use kar raha hai"

Rajendra "naaaahhh, muje nahi lagta ki yeh koi alien technology hai, but, tumhari baato ko ignore bhi nahi kar sakta, par aajtak hume outerspace se aane vali koi bhi chiz nahi mili"

Ajit "it can be possible doc, hum unhe isliye detect nahi kar paa rahe kyunki yeh jo energy hai.uski frequency bahut hi jyada high hai, aur uss frequency ko hamari koi bhi device respond nahi kar paati, and I have personally check all the details on the meteors, last 6 mahino me sirf 4 meteors earth ki surface par land hue hai"

Rajendra iss baat se ek dum chaunk pada "ohh freek, yeh baat mere dimag me kyu nahi aayi, again Good work Ajit, let's find out, akhir iss energy ka raaz kya hai, aliens ya meteors"

Location : Sector 52

Voh ladka chalte hue uss bike showroom ke pass gaya, bike showroom ke pass me ek patli gali thi, voh uss gali me chalte hue jaa raha tha aur apne man me soch raha tha "yeh..yeh rasta maine kabhi nahi dekha, akhir mere saath ho kya raha hai yeh sab..?? kahi uss hadse ki vajah se mai bhul toh nahi gaya" ki tabhi achanak se uske dimag me bahut joro se dard hone laga, voh dard me kahrate hue vahi par apne ghutno ke bal gir pada, aur fir uske baad hi ek bahut dard bhari chikh uske muh se nikal padi aur voh vahi par behosh hokar gir pada..voh ladka koi aur nahi Mayank tha, jiski shakal Manthan se hubahu mil rahi thi

Location : Hostel

Kruti aur Siddhi ko girls hostel ke gate ke bahar chodne ke baad Pathik aur Manthan apni wing ki aur jaa rahe the, tab Pathik ne Manthan se pucha "tuje kya lagta hai Manthan, kya sach me koi behrupiya hai..??"

Manthan "pata nahi, lekin agar aisa koi hua toh mai usko chodunga nahi"

Pathik kuch sochte hue "Siddhi aur Kruti CCD ke pass thi, aur vaha CCTV lage hue hai, hum unki help le sakte hai"

Manthan "let's see, dekhte hai kal"

Next Day

Subah ke karib 8 baj rahe the, achanak se mayank ko kisi ki awaaz sunai di, voh apni aankhe malte hue uth gaya

Usne dekha ki uske pass me vohi budhe chacha baithe the, jo raat ko use kabristan me mile the "tu raat bhar yahi tha..?? jab hajam nahi hoti toh itni jyada peete hi kyu ho..??"

Mayank ko abhi bhi sar me halka halka dard tha, voh muskil se kehta hai "chacha ji, maine koi sharab nahi pee, bas kal raat se dimag me joro se dard ho raha tha, shayad usi vajah se mai behos ho gaya tha"

Chacha haste hue "jao beta..ghar jao..ab toh subah bhi ho gayi hai" kehte hue unhone Mayank ko khada kiya, aur manthan vaha se nikal gaya

Mayank chalte hue apne aap se baat kar raha tha "ghar..kese jau mai apne ghar, jeb me paise bhi na hai, jo the voh yaha aane me kharch ho gaye, aur upar se sala mere pass cell phone bhi na hai, kisi ko call bhi nahi kar sakta" aur voh sochte hue chale jaa raha tha

"yeh cell phones..aaj samaj me aaya ki cell phone ne hume kitna kaayar baana diya hai, isse acha toh pehle ke jamane me tha, atleast diary me sabke number toh rehte the..aur kuch number dimag me" usne ek ungli apni dimag ki aur ki aur fir "aaj samaj me aaya ki OLD is GOLD kyu kehte hai"

Voh chalte hue AIMS University pahuch gaya, usne ek najar collge ke gate par daali aur voh khud se bol pada "nahi..ab nahi, ab mai iss college me fir kabhi nahi jaunga, isse acha toh mai yahi par unn ka wait karta hu"

Mayank ne apne jeb me haath dala, tooh ek 20 rs ke note nikali, kuch sochte hue voh ek parlour par gaya, aur vaha se cigeraatte lekar peene laga, tabhi uske kaano me ek jaani pehchani se awaaz padi..ek esi awaaz jise sunkar Mayank ke rongte khade ho gaye aur voh uss shaks ki aur mud gaya

Awaaz "tune kasam kha rakhi haina ki tu kabhi nahi sudhrega" yeh awaaz thi Pari ki, jo iss waqt Mayank ke samne khadi thi

Mayank apni aankhe faade hue Pari ko dekh raha tha, Pari ko dekhkar Mayank ke dimag ne kaam karna hi band kar diya, voh bas ek tak Pari ko ghure jaa raha tha

Pari Mayank ke aankhe ke samne chutki bajakar haste hue boli "ohh hello..mister, kaha kho gaya"

Mayank do step piche hua, uske pair ladkada rahe the, aur uske chehre par ajib se bhav bane hue the "nn.nnaahhii.ii.iitt, cc..aann.tttt bee, yy.yeehhh nn..naahii, ho sakta, it's impossible" voh ladkhadte hue 2 step piche chala gaya

Pari sawaliya bhari najro se dekhte hue kahti hai "kya impossible..?? kya bol raha hai..?? mai itni jaldi kese vapas aagayi isliye ya fir maine tujse jagda nah kiya"

Lekin Mayank ne Pari ki baat ka koi jawab naa diya, balki voh bhagte hue vaha se nikal gaya, iss waqt Mayank ke dil ki dhadkan bahut jor se chal rahi thi

Mayank "kyu baar baar muje Pari dikhayi de rahi hai..?? kahi yeh koi sapna toh nahi hai, maine khud dekha tha..pari thik mere samne thi..vo..hh..vvohhh" kehte hue uski aankh se aansu nikal gaya

Voh Bhagte hue CCD ke pass pahucha, tabhi use ek aur jatka laga, uske thik samne Manthan aur Siddhi hath pakde hue chale aa rahe the
Unn dono ek saath dekhkar Mayank ka chehra chakrane laga, use lag raha tha jese voh pagal ho gaya hai "kahi mai pagal toh nahi ho gaya, kabhi mera ghar gayab ho jata hai..toh kabhi Pari dikh rahi hai, toh kabhi mai khud ko dekh raha hu"

Mayank ne ek aur baar unn dono ki aur dhyan se dekha "yeh dono..yeh dono ek saath hai, matlab ki Mai aur Siddhi, iska kya matlab ho sakta hai..?? kahi.." voh kuch sochne laga, aur "no..par yeh kese ho sakta hai, ha, agar Time Travel, kya sach me mai past me aa chuka hu..?? ha..I am in past" tabhi achanak se bolte hue voh ruk gaya, uske sar me ek aur baar firse dard chalu ho gaya tha, voh vahi par lakdkhadne laga

Kisi bhi tarah khud ko sambhalte hue Mayank, Manthan aur Siddhi ke samne aaya, iss waqt Mayank ki aankhe muskil se khul rahi thi, sab kuch dhundla dhundla sa dikh raha tha

Manthan ne achanak se apne jese dikhne vale ko dekha toh uska bahut hi tej gussa aaya, par voh kuch kar paata uske pehle hi Mayank atak atak kar bol pada "please help me, please" aur itna kehti hi voh vahi par gir ka behos ho gaya

To be continued..
 

Update : 13 (Akhri Pal)

Subah ke 8 baj rahe the, Manthan aur Siddhi aaj akele hi walk par nikale the, par Siddhi aaj kaafi shant thi, manthan ne bhi yeh baat tab notice ki, jab Siddhi ne apne sar ko Manthan ke shoulder par rakha, aur vaise hi dhire dhire chal rahi thi..voh dono chalte hue CCD ke pass pahuche

Manthan yeh baat ache se janta tha ki aaj Siddhi iss tarah kyu behave kar rahi hai..par Siddhi ka iss tarah se rehna use bilkul bhi pasand nahi aa raha tha

Manthan chalte hue achanak se ruk gaya, aur Siddhi use sawaliya bhari najro se dekhne lagi maano puch rahi ho ki ruk kyu gaye..??

Manthan "kya hua, aaj meri itni jaan shant shant kyu hai"

Siddhi "hmm..kuch nahi, bas muje tere pass rehna hai"

Manthan "kal ki baat se tu abhi tak pareshan haina..??" kehte hue voh Siddhi ke samne aagaya

Siddhi apni najre jukate hue "nahi jaan, aesi koi bhi baat nahi hai"

Manthan ne apne haatho ko siddhi ke gaal par rakha, aur uska chehra apni aur karte hue "mai tuje subah se dekh raha hu, tu jab se aayi hai tab se ghumshum hai, bata kyu itni pareshan hai..??" uski aankho me dekhte hue kaha

Iss baar siddhi manthan ki baat ko taal nahi paayi, voh thodi si ruansi hote hue boli "I am sorry manthu, I am really sorry, muje abhi tak yakin nahi ho raha ki maine tujpar shak kiya, yeh jante hue bhi ki tu muje di hui promise kabhi nahi todega, kabhi mera dil nahi dukhaega..aur upar se maine kal sham ko tujse kitni rudely baat ki, muje bahut bura lag raha hai"

Manthan "jaaan, jo hua use bhul ja, aur mai tujse naraz nahi hu, infact muje toh kal hi pata chala ki tuj mujse kitna jyada pyaar karti hai"

Siddhi manthan ko tightly hug karti hai "apni jaan se bhi jyada"

Manthan "Siddhi, voh bas ek bura hadsa tha, aur kuch nahi, aur uske liye tuje udas hone ki koi jarurat nahi hai, aur nahi mai tujse naraaz hu"

Siddhi "pakka na tu mujse gussa nahi hai"

Manthan "ha..pakka chal ab jaldi se smile kar" aur voh siddhi ko kiss karne ke liye uske karib hua, par siddhi ne sharma kar turant hi apna face side kiya, aur manthan se boli "nahi jaan..yaha par nahi, koi dekh lega"

Manthan aankh marte hue "yaha nahi toh kahi ese jagah chalte hai jaha hume koi dekh naa paaye"

Siddhi haste hue "hmm..sochungi"

Manthan "acha, yani muje kiss karne ke liye tu sochegi..ruk abhi batata hu" aur voh siddhi ko gudgudi karne laga, aur fir yeh dono aise hi masti karte hue haatho me haath dale hue college ki aur jaane lage, saath me waqt bitane se dono bahut khush the, par thik usi waqt

Tabhi unke samne ek ladka aaya..jisne apne sar par haath rakha hua tha, voh aur koi nahi Mayank tha, manthan ka dhyan tab gaya jab Siddhi chalte hue ruk gayi aur usne Manthan ka haath jor se pakad liya

Mayank ko dekhkar Manthan chaunk gaya, kyunki Mayank ki shakal Manthan se hubahu mil rahi thi, pehle toh Manthan ko kuch bhi samaj me nahi aaya, par kal vali baat yaad aate hi use Mayank par bahut tez gussa aaya, voh Siddhi ka haath chudkar Mayank ko marne ke liye jaa hi raha tha ki tabhi uske kaano me Mayank ki dardbhari awaaz padi

Mayank muskil se atak atak kar bol raha tha "ppll..ll..eee.zzz, hh..hhee..lll..pppp mm..mm.eeemmeee" uski awaaz se hi saaf pata chal raha tha ki voh bahut hi jyada takleef me hai

Mayank ki dardbhari awaaz sunkar Manthan ke pair apne aap ruk gaye, use kuch bhi samaj nahi aa raha tha ki voh kya kare, ya voh kuch samaj paata uske pehle hi Mayank vahi par behosh hokar gir pada

Pathik vaha par daudte hue aaya, aur aate hi manthan se kaha "manthan..yeh..yeh toh sach me, yeh dono kal sach hi keh rahi thi, yeh hubahu tere jesa dikh raha hai"

Siddhi "par ise hua kya..?? yeh aise achanak se behosh kese ho gaya..??"

Siddhi ke iss sawal ka jawab khud Manthan ke pass bhi nahi tha, upar se voh to hiss baat se pareshan tha, voh apne man me sochta hai "koi itna hubahu kese ho sakta hai..?? yaha tak ki judwa bhi ek jaise nahi hote, fir yeh kaise..?? kahi isne plastic surgery toh nahi karwayi..?? agar karwayi bhi hai toh kyu..?? par uski awaaz..itni jyada dardbhari thi" uske kaano me Mayank ki voh dard bhari awaaz abhi tak gunj rahi thi

Pathik dhire se Manthan se kehta hai "manthan, I think hume se mere dad ke pass le jana chahiye, hum vahi par isse kuch puch sakte hai"

Manthan ko bhi pathik ki baat sahi lagi "yeah, shayad uncle bata sake ki isne kahi plastic surgery toh nahi karwayi"

Pathik turant apni car lekar aaya, aur voh tino hi Pathik ke dad ki hospital ke liye nikal gaye

Car me baithe hue Manthan pareshan dikh raha tha, toh siddhi usse puchti hai "manthan, kya soch raha hai..??"

Manthan "jis ladke ne tuje itna hurt kiya, aaj mai uski hi madad kar raha hu"

Ispar siddhi kuch na boli, Manthan "fir bhi pata nahi kyu, aisa lag raha tha ki yeh kisi takleef me hai, abhi bhi uski awaaz mere kaano me gunj rahi hai"

Khair kuch hi der me yeh sab hospital pahuch gaye, yeh hospital Pathik ke papa ki thi, toh Mayank sidhe ICU me le gaye, aur Manthan ne unhe sabkuch bata diya

Mayank ko dekhkar Pathik ke papa chaunke bina naa reh sake, unhone treatment toh shuru kar di thi, par unhe Mayank ke behosh hone ke baare me abhi tak kuch bhi pata nahi chala tha

Pathik aur Manthan ke papa dono dost the, isliye Pathik ke papa ne Rajendra aur unki wife ko bhi hospital bula liya, kyunki kisi humshakal ka milna koi choti baat nahi thi

Mayank ko dekhakar Rajendra aur unki wife Madhvi ko bahut bada jatka laga, voh dono kabhi ek dusre ki aur dekhte toh kabhi Mayank ki, toh kabhi Manthan ki aur, unhe bhi samaj nahi aaraha tha ki yeh kese ho sakta hai

Rajendra "kahi yeh plastic surgery toh.."

Rajendra ki baat ko kaatte hue Dr Naresh, yani pathik ke dad ne kaha "nahi raj, yeh plastic surgery nahi hai, yeh kisi miracle se kam nahi hai, maine apne 20 saal ke career me aisa pehli baar dekha hai, yaha tak judwa bache bhi itne ek se nahi hote jitne yeh aur Manthan hai"

Manthan ke man me jo shak tha voh dr ne dur kar diya, aur voh bol pada "uncle, yeh behosh kese hua..??"

Dr "I don't know yet, shayad stress ki vajah se, jo bhi ho, report ke aane ke baad hi kuch pata chal paega"

Tabhi ICU mese ek nurse bahar aayi, aur aate hi usne bataya ki patient ko hosh aaraha hai, yeh sunkar Naresh, Raj aur Madhvi andar aagaye, aur unke piche piche Manthan bhi aagaya

Mayank behosi me halke halke se kahra raha tha, shayad uske sar me abhi bhi thoda sa dard tha, voh behoshi me hi kuch bol raha tha, aur yahi sunkar nurse ko laga ki Mayank ko hosh aa raha hai

Dhyan se sunne par pata lag raha tha ki Mayank kya keh raha tha "hang on, tuje kuch nahi hoga..I am coming, just hang on"

Nurse ne doctor ko ECG monitor ki aur dekhne ka ishara kiya, Naresh "iska BP high ho raha hai..and his vitals, they are moving to fast, he could die from it, quick..injection taiyaar karo"

Nurse kuch karti uske pehle hi Maynak ek jatke me uthkar baith gaya aur gehri saanse lene laga, uska pura chehra pasine se latpath tha, voh apni aankhe band karta toh kabhi khol raha tha, isse saaf pata chal raha tha ki voh kaafi dara hua hai

Doc "keep calm, young man, you are safe now"

Mayank ne apni najar doctor ki taraf ghumayi, Pathik ke dad ko dekhkar use utna shock nahi laga, lekin jese hi usne apni najar ghumayi, uska dimag hil gaya, use samaj nahi aa raha tha ki voh khush hoye ya roye, kyunki use apni Mom ko dekha, jo koi aur nahi Madhvi thi, Mayank sabkuch bhulkar sirf unki aur dekh raha tha, voh kehna toh bahut kuch chah raha tha, par uski jaban uska saath nahi de rahi thi..use kuch samaj nahi aa raha tha ki voh apni mom ko yaha dekhkar kiss tarah se react kare, voh..voh toh bas ek tak apni mom ki aur dekhe jaa raha tha, jab bhi voh kuch kehna chahta, uske shabd andar hi reh jaate the, ek taraf toh voh apni mom ko dekhkar bahut hi jyada khush tha..par vahi dursi aur voh utna hi jyada pareshan, apni mom ko iss tarah apne pass dekhkar uski aankhe nam ho gayi thi, aankho se aansu apne aap bahar nikal aaye, aur uske muh se sirf ek hi shabd nikla "MMMM.OOOOO.mMMMM" aur agle hi pal voh fir ek baar behosh hokar vahi bed par gir gaya

Madhvi "doc, ise achanak kya hua..?? yeh ese firse behosh kese..??" kehte hue voh Mayank ke pass chali gayi, aur pyaar se uske baalo me haath firane lagi

Doc "shayad ise koi bahut hi gehra sadma pahucha hai, aapne bhi dekha, iss ladke ne jab aapko dekha..uski aankhe nam thi, khair abhi aap ise rest karne de, yeh toh ab iske hosh me aane par hi pata chal payega" aur uske baad sab ICU se bahar aagaye

Yeh sab Manthan piche khade hokar dekh raha tha, voh bahut hi jyada pareshan ho gaya tha, voh bina kuch kahe gusse se hospital ke bahar chala gaya, aur uske piche Siddhi bhi aa gayi

Manthan ek kone me khade hokar jor se deewar par mukke maar raha tha, Siddhi daudte hue uske pass gayi aur uske haatho ko pakad liya "are you mad Manthan..?? yeh tu kya kar raha hai..??"

Manthan gusse se chilla pada "tune dekha nahi usne kya kiya abhi..?? mai use chodunga nahi"

Siddhi "tu sabse pehle shant hoja, aur bata itna gussa kyu ho raha hai..??"

Manthan "mai pehle se hi bahut pareshan hu, pehle toh usne tuje hurt kiya, upar se voh dikhne me bilkul mere jaisa hai..aur abhi yeh..usne meri mom ko mom kaha, akhir voh karna kya chahta hai"

Siddhi "tu pehle shant hoja..hum pakka iske baare me pata laga lenge..please tu shant hoja"

Karib 3 hours ke baad Mayank ko hosh aaya, usne adhi khuli aankho se dekha ki Manthan, uski mom aur Siddhi vahi room me baithe hai, voh apne man me "yeh ho kya raha hai mere saath..?? pehle toh muje laga tha ki muje sirf Pari dikh rahi hai, aisa lag raha tha ki uske khona ki vajah se voh muje dikhayi de rahi thi..par ab Mom bhi..?? yeh kese possible ho sakta hai, yeh sab itna real kese ho sakta hai..?? mom dad ko gaye hue 12 saal ho chuke hai, toh fir yeh kese..?? kya sach me time travel karna possible hai..??" usne khud se hi sawal kiya, aur uska jawab bhi usne khud hi diya "jo kuch bhi ho raha hai, Mom, Dad ko toh mai bahut pehle kho chuka hu..aur Pari..usne mere samne apna dam toda tha, fir yeh sab vapis kese aasakte hai..?? aur toh aur mai khud ko aur Siddhi ko saath me dekh raha hu, iska toh sirf ek hi matlab nikalta hai ki mai waqt me piche aa chuka hu..yes, I have did the time travel" voh gehri saans lete hue "itna toh mai bhi janta hu ki time travel karne par history me bahut se changes aate hai, maine theory me padha tha, ke time travel hamesa history ko alter kar deti hai, shayad yahi vajah thi ki aaj kabhi kisine time machine nahi banayi, par isse kuch sabit nahi hota, sabse bada sawal yeh hai ki mai past me aaya kaise..?? aur agar mai sach me past me aaya hu, toh kya mere past me aane se history me itne jyada changes aane possible hai..??"

Mayank toh apni soch me duba hua tha, use pata hi nahi chala ki kab doc aaye aur uska check up kiya, doc ne pucha "tumhara naam kya hai"

Lekin mayank apni hi soch me duba tha, usne doc ki baat suni hi na thi..par uski najar thik samne Manthan aur uske mom ki aur thi, Madhvi chalte hue Mayank ke pass aayai, aur pyaar se uske sar par haath firate hue pucha "beta..naam kya hai tumhara..??"

Mayanak ko jo ehsas abhi ho raha tha voh aajse pehle kabhi nahi hua tha, voh shayad bhul chuka tha ki mom ka pyaar kya hota hai, uski aankhe ek baar firse nam ho gayi, par voh kuch nahi keh paaya

Tabhi manthan vaha aaya aur usne gusse se pucha "what the hell..?? who are you, dammid, aur yeh sab kyu kar raha hai tu..??"

Mayank ne ek najar manthan ki aur ki, "ma." voh sochne laga ki voh inn sab ko kya bataya "kese batau mai, ki mai tu hi hu manthan, kese batau ki mai future se hu, agar iss waqt maine inhe bataya toh yeh meri baat kabhi nahi samaj paayenge aur inn sab ko abhi batana shayad sahi bhi na ho"

Madhvi manthan se kahti hai "yeh kya tarika hai kisi se baat karne ka..??

Manthan kuch nahi bola, voh gusse se Mayank ko ghur raha tha, Mayank muskurakar bola "mera naam Mayank hai"

Manthan "tune meri mom ko mom kehkar kyu bulaya tha, aur kal Siddhi ko voh sab kehne ki teri himmat kesi hui..??"

Madhvi "manthan, stop it, yeh sahi waqt nahi hai"

Mayank "rehne dijiye aunty, mai batata hu, darsal kal raat se sar me bahut dard tha, aur aaj jab yaha hospital me dekhne maine aankhe kholi, aisa laga ki shayad maine meri mom ko dekh liya, bas isiliye"

Manthan thoda shant toh hua, aur usne firse pucha "aur kal jo hua..??"

Mayank "uske liye I am really sorry, iske alawa mai kuch nahi kahunga"

Madhvi "tumhari parents kaha hai..?? aur tum kaha se ho..??"

Mayank ek gehri saans lete hue "voh ab iss duniya me nahi hai, unka accident hua tha" aur voh manthan ki aur dekhte hue "I am sorry, ki maine tumhe aur inhe hurt kiya, but I swear, mera aisa koi irada nahi tha" aur voh uthkar vaha se jaane laga, tabhi doc ne use rok liya "take rest son, tu iss waqt kahi nahi jaa sakta, you need to take rest"

Mayank "I am sorry doc, yeh mai nahi kar sakta, aur nahi mere pass aapko dene ke liye paise hai"

Madhvi "koi baat nahi beta, paiso ki chinta na karo, tumse koi fees nahi lega, tumhe aram ki shakt jarurat hai, hmm..take rest"

Mayank iske aage kuch nahi keh paaya, kyunki Madhvi thi toh uski mom hi, aur apni mummy ki baat ko nahi taal paaya

Doc "bhabhi, mayank, mere saath aao, kuch jaruri kaam hai"

Voh teeno doc ki cabin me aagaye, jaha Rajendra pehle se baitha hua tha, unke aate hi bol pada "ha bata, kya baat hai..?? kyu bulaya muje"

Doc "raj, shayad baat ajib lage, Mayank ki reports aa chuki hai, and he has less than 48 hours"

Voh teeno chaunk uthe "what..??"

Madhvi "ise hua kya hai..??"

Doc "uska brain thik se kaam nahi kar raha, neurons voh crash ho rahe hai"

Manthan "that means, voh pagal hai..??"

Doc "nahi manthan, voh pagal nahi hai, uski body normally work kar rahi hai, uska brain bhi perfectly work kar raha hai, jaise ki maine pehle bhi kaha tha, ki shayad stress ki vajah se yeh behosh hua hai, muje lagta hai ki shayad yeh iske neurons ke crash hone ka asar hai, aur jesa abhi isne kaha..ki 6 mahine pehle hadsa jo hua tha, yani Mumbai me hua attack, shayad uss blast ki vajah se jo radiations nikli thi, uss radations ki effect Mayank ke brain par hui hai, aur uski vajah se voh kabhi kabhi ajib sa behave karta hai, like bhabhi ko dekhkar usne unhe mom kaha, ya kabhi gussa ho jana, ya toh fir voh kuch aisi kar de jo normal na ho, aur yeh bhi possible hai ki voh sab kuch bhul jaye ki voh kaha se aaya hai, aur voh kaun hai"

Rajendra "agar neurons crash ho rahe hai toh fir yeh zinda kese hai..??"

Doc "human brain ko aaj tak koi puri tarah se samaj nahi paaya hai, par jis rate se uske neurons crash ho rahe hai, i guess he has less than 48 hours to leave"

Madhvi "bechara, itni kam umar me hai, kya ise aap bacha nahi sakte"

Doc "nope, mai kya, duniya ka koi bhi doc ise nahi bacha sakta"

Madhvi kuch sochte hue "doc kya hum ise apne ghar le jaa sakte hai"

Doc "yeah sure"

Manthan "par mom, hum use jante bhi nahi hai..??"

Madhvi "toh kya hua..?? mana ki voh anjan hai hamare liye, lekin uski aankho me dekha tha, apni mom ke liye kitna pyaar tha, aur galti se hi sahi, usne muje mom kehkar bulaya tha, aur uss nate mai ise akela nahi chod sakti"

Manthan "thik hai mom, jesa aap thik samje" aur voh vaha se chala gaya aur baahar aakar Siddhi aur Pathik ko sab kuch bata diya

Siddhi "yeh toh bura hua uske saath"

Manthan "haa, bura toh hua, par I think muje apne ghar rehna chahiye, tum dono college vapis jau, and yeah, don't tell anyone about this"

Fir Mayank ko lekar yeh sab raat ko ghar vapis aagaye, par use kisine nahi bataya ki uski maut najdik hai

To be continued.
 

Update : 14 (Voh kya Chiz thi)

12 years ago

Sham ke karib 6 baj rahe honge, Delhi city ke sector 52 me ek chota sa lake bana hua tha, lake ke irid girid ek garden banaya tha, jaha par akshar chote bache khelne ke liye aaya karte the, aur dupher ke waqt yeh garden premi-pankhido se bhara rahta tha

Aaj chutti ka din tha, jis vajah se garden me bacho ki bhid kuch jyada hi thi, haste khelte bacho ki awaaz dil ko ek sukun sa de rahi thi, unhe iss tarah se befikar hokar hasta khelta dekh man ko acha lag raha tha, na kuch paane ki moh maaya, aur nahi kisi chiz ka lalach, kuch tha sirf dilo me pyaar..sach me, kisine sach hi kaha hai ki bachpan hamari zindagi ka sabse hasin pal hota hai, par yeh baat jab hum bache hote hai kabhi samaj nahi paate, uss waqt hame bade hone ki jaldi hoti hai, par jab aaj hum bade ho chuke tab ehsas ho raha hai ki bachpan kya tha, aur hamesa dil bas yahi ek icha rahti hai ki kash ek baar bachpan laut aaye

Khair ma kuch jyada hi senti ho gaya, vapis chalte hai uss garden me, sirf bache hi nahi..Kahi sare couples bhi vaha par ghum rahe the, aur mausum bhi aaj bahut hi suhana tha, asmaan me badalo ne apna kabja banaya hua tha, aisa lag raha tha ki abhi voh apna bhoj halka kar denge

Dhire dhire karte hue andhera badhta gaya, aur saath hi saath thandi thandi hawa behne lagi, mausam dhire dhire palat raha tha, aur hawa teji se behne lagi thi, aisa lag raha tha mano ki aaj bahut bada sa tufan aane vala hai

abhi sablog garden se nikal hi rahe the ki utne me halki halki baarish chalu ho gayi, aur hawa ne bhi apna rang badalna chalu kar diya tha

isi halki halki barish me bhigte hue ek chota ladka idhar se udhar daud raha tha, aur uske piche ek aurat usko rokne ke liye bhag rahi thi "manthan..beta ruk ja, chalo chalo ab barish badh gayi hai, hume ghar jana hai"

Manthan kichad me daudte hue "mumma, thodi der aul khelne do na, dekho na bahut maza aala hai" apni totli si awaaz me bola

Manthan ke papa yani rajendra apne bete ko ek jagah par khade hokar dekh rahe the, Manthan itna khush dekhkar voh bhi bahut khush the, unhe bhi apna bachpan yaad aagaya tha, ek waqt tha jab voh manthan ki jagah par the aur unki mom hamesa aise use roka karti thi

Lekin shayad unki khusiyo ko graham lagne vala tha, ek aisa tufan unka intezaar kar raha tha jisse voh anjaan the, Rajendra chalte hue Manthan ke pass jaane vale the ki achanak se vaha par ek awaaz hui, awaaz ko sunkar Rajendra jese hi piche palta uski ek lambi si cheekh nikal gayi "aaaaaahhhhhhhhhhh"

Bahar road par ek truck bekabu ho gaya tha, driver turck ko sambhal nahi paaya aur voh truck siddha garden ke gate se andar ghus gaya..Rajendra thik gate ke pass khada tha aur voh sidhe turck ke niche aagaya

Manthan ko pakadte hue Madhvi ne Rajendra ke cheekhne ki awaaz suni, awaaz sunte hi usne apni najar samne ki aur voh kuch samaj paati uske pehle hi voh truck uske karib aagaya, par usne Manthan ko jor se dhakka de diya aur uss truck ne Madhvi ko bhi uda diya, aur voh truck siddha garden ke bich me bane fountain me jaake ghus gaya

Halaki truck ki rafter thodi kam ho gayi thi, par madhvi ko dhakka lagte hi voh piche ki aur uchali, aur girte waqt ek pathar uske sar par lag gaya

Girne ki vajah se Manthan ke haath pair chil gaye the, lekin use samaj nahi aa raha tha ki uski mummy ne aisa kyu kiya, usne rote hue hi apni mom ko dekha jo thodi hi duri par laity hui thi aur uske sar se khoon beh raha tha

Manthan rote hue daudkar apni mummy ke pass gaya, aur apne chote chote haatho ko apni mom ke gaal par rakhe, Manthan ko dekhkar Madhvi khud ko rok nahi paayi, aur uski aankho se aansu beh nikla, Manthan ne apne haatho se aansu ko hataya, use toh samaj hi nahi aa raha tha ki kya ho raha hai, voh bas apni mummy ko rote dekh voh khud bhi joro se rone laga

Manthan ki mom ne pyaar se uske haath par kiss ki. Aur dard bhari awaaz me kaha "mumma loves you beta..we both love you"

Lekin manthan kuch nahi bola, voh bas apni mom ke seene se lag gaya, tabhi Achanak se use ek awaaz sunayi di "abe kaha kho gaya..?? tu thik toh haina..??" kehte hue manthan ne mayank ko hilaya

Mayank apni yaado mese bahar aate hue manthab ki aur dekhta hai "nahi, kuch nahi"

Kuch der pehle

Mayank ke ghar aane se Manthan kaafi jyada pareshan tha, use samaj nahi aa raha tha ki voh kis tarah se react kare, kyunki Mayank tha toh ek ajnabi hi, par voh apni mom ke khilaf bhi nahi jaa sakta tha, aur upar se Siddhi ke saath jo Mayank ne kiya uss baat ka gussa tha..khair raat kaafi ho chuki thi..isliye Mayank so gaya tha, ya yu kahu ki dawaiyo ki asar se voh gehri neend me tha, par vahi dusre room me..Manthan bed par laite hue idhar se udhar ho raha tha, uski aankho se neend koso dur thi

Usne apni najar gadi ki aur daudayi toh dekha ki abhi raat ke 2:30 baje hai, yeh dekhkar Manthan jor se chillaya "what the f**k, abhi tak sirf 2:30 baje hai, bc aaj toh time hi nahi jaa raha aur nahi neend aa rahi hai" aur yeh kehte hue hi voh uthkar baith gaya, aur apna phone lekar whatsapp par message dekhne laga

Net on hote hi phone me notifications aane lage "had ho gayi yeh toh, bc..sale yeh nalle log raat ko sote bhi hai ya nahi" aur voh sari notifications dekhne laga, pehle Instagram, fir FB, fir Snapchat, khair inn sab me use jyada waqt nahi laga, karib 15 minute baad voh firse bore hone laga "yeh sala, jo bhi hai..khud aram se soya hai, aur yaha mai neend ke liye taras raha hu" fir voh baithe baithe hi sochne laga "uncle ne kaha tha ki Mayank ke dimagi halat thik nahi hai, aur yeh ek possibility ho sakti hai ki usne jo bhi bataya voh sab galat ho, nahi nahi, agar aisa hai toh voh apne mom dad ke baare me aisa kyu kehta" aur voh kuch der sochne laga "kya pata shayad galat bhi bola ho, vese bhi aajkal ke ladko ka koi bharosa nahi, paiso ke liye apne mom dad ko ghar se dhakke maar ke bahar nikal dete hai, aur yeh toh vese bhi pagal hai..pata nahi yeh log aise kar sakte hai, muje toh yeh samaj me nahi aa raha ki aisa karte hue unka man kese manta hai, karna toh thik yeh soch bhi kese sakte hai..voh bhi apne mom dad ke liye, jinhone apni khushiyo ka khayal rakhe bina hamese hume khush rakha hai" aur ek gehri saans lete ha "par ek min, mai yeh sab kyu soch raha hu..?? voh bhi adhi raat ko, iss mayank ne toh naak me dam kar diya hai, jo bhi hai, muje uski sachayi ke bare me pata lagana hi hoga, par pata lagake karunga kya..?? voh toh vese bhi 2 din me marne vala hai, muje kya karna hai uske baare me jaankar, par 2 din use Siddhi se dur rakhna hoga" voh soch hi raha tha ki uske phone k ring baji

Manthan "yeh sala adhi raat ko kaun call kar raha hai..??" kehte hue usne phone dekha toh usm ek notification aayi thi, ek reminder notification, jise dekhte hi manthan ke muh se ek aur baar gaali nikal gayi "ohhh f**k, mar gaya, ab kya karu..??"

Darasal hua yu ke Manthan ke papa yani Rajendra ne use kuch kaam sounpa tha, jiske liye use Delhi ke bahar jaana tha, par voh yeh bhul gaya tha ki use aaj hi college me assignment submit karna hai

Manthan apne man me "agar kal papa ko mana kiya toh meri khair nahi, meri baat samjenge hi nahi, ek hi baat hogi, bas bhai sahab ko kuch kaam karna nahi hai, ghar par pade raho, khao pieo aur sote raho, bc..ghar rahna bhi paap hai ab toh, bete tune apne pairo par hi kulhadi mardi hai, isse acha toh hostel par hota, atleast assignment toh submit karwa leta, kya jarurat thi papa ko haa kehne ki, aur yeh baat mere dimag se kese nikal gayi ki kal assignment submit karna hai, agar voh nahi kiya toh pakka hod mere sar par baithkar ta thaiya ta thaiya karegi" fir kuch sochte hue "wait, ek idea hai mere pass" kehte hue usne Pathik ko call laga diya

Bahut ring jaane ke baad Pathik ne call uthaya aur voh neend me hi bola "ha bol, siddhi so rahi hogi abhi, mai girls hostel me nahi jaa raha"

Manthan "abe sale, r**nd, tuje kahi nahi jaana, sirf yeh bata ki tu kal college jaa raha hai..??"

Manthan ki baat sunkar Pathik apne phone me adhi khuli aankho se dekhta hai, aur "bc, tu muje raat ko 3 baje yeh puchne ke liye call kar raha hai..?? phone rakh bc sone de, acha sapna dekh raha tha" aur voh vaise hi firse so gaya

Manthan phone kat te hue "bc, yeh koi sone ka time hai, yaha meri fati padi hai au rise sona hai" aur fir uski khud kin ajar phone par padi "ha bhai, yeh sone ka hi time hai, sala mai hi aaj nalle ki tarah jaga pada hu"

Khair subah tak Manthan aise hi bakchodi karta raha, aur karib 6 baje firse Pathik ko call kiya, aur use apne ghar par bulaya

Manthan ke ghar aate hi Pathik uspar baraspada, gusse aur laate marne ke baad "bc, raat ko 3 baje koi yeh puchne ke liye phone karta hai..??"

Manthan "abe bhadwe, ya meri lagi padi hai aur teri, acha chod yeh sab, iss Mayank ka kya kare..??"

Pathik "kya kare matlab..?? ab kya kiya isne..??"

Manthan "kiya toh kuch nahi, par..tuje kya lagta hai, kya yeh sach keh raha tha..??"

Pathik manthan ko gusse se ghurta hai "bc, tu subah subah mera dimag mat kharab kar, sidhe se bata baat kya hai..??"

Manthan fir use batata hai ki use aaj fir delhi ke bahar jaana hai, aur voh mayank ko akela nahi choda sakta, plus use apna assignment bhi submit karana hai

Pathik "bc, yeh toh mai bhul hi gaya, aur ha assignment personally handover karna hai, so tuje aana hi padega"

Manthan "kya..?? yeh kya bakchodi hai, mai ek hi waqt par do jagah nahi reh sakta" aur fir kuch sochte hue hi voh has pada

Pathik samaj jaata hai ki voh kya kehne vala tha "nahi, yeh bilkul nahi"

Manthan "please mere bhai, teri setting karwa dunga, bas aajke din tu isko jhel le, do kaam ho jayenge, mera assignment bhi submit ho jayega, aur yeh Siddhi se bhi dur rahega" '

Pathik "tu sale ch*tiya hai, acha thik hai chal, ise sab samja de" aur fir yeh dono hi Mayank ke kamre me aagaye

Mayank ke kamre me aate hi inn dono ne dekha ki Mayank ki aankho se aansu beh rahe the

Location Mumbai

Karan aur Patil, dono hi uss ghane jungle me andar jaa rahe the, voh usi nishano ka picha kar rahe the, jo unhe har crime scene me mile the

Patil "sir, muje lagta hai ab hume vapis chalna chahiye, hum jungle ke akhiri hisse me aa chuke hai, aur aage samundar aajeyga..aur vese bhi humne pura jungle chan mara par abhi tak hume kuch nahi mila"

Karan bhi puri raat chalne se thak gaya tha "hmm, shayad tu sahi keh raha hai, yaha kuch nahi hai" aur voh dono vahi se vapis mud gaye

Thodi der chalne ke baad Karan bola "muje yeh samaj nahi aa raha ki yeh nishan aakhir hai kiss chiz ke, iss tarah ke nishan maine aajtak kahi nahi dekhe"

Patil "sir, iss nishan se ek baat toh tayi ho gayi hai, yeh kisi bomb blast se nahi bane, aisa lag raha hai ki kisi chiz ko ghasita gaya ho, jisse vajah se yeh dhul aaspass ikhati ho gayi hai"

Karan apne sar par haath rakhte hue "par voh kya chiz ho sakti hai..?? yeh case jitna mai soch raha tha utna siddha nahi hai, muje laga tha ki yeh nishan hi hume kuch surag de payenge, har ek khoon raat ko hua hai, isiliye socha ki agar hum raat ko nikle toh shayad koi surag hath lag jayega"

Patil "sir, aapko abhi bhi yahi lagta hai ki kaam kisi insaan ka hai..??"

Karan uski aur dekhte hue "haa, beshak" par tabhi usne kuch suna, aur voh turant apne piche mud gaya

Achanak se karan ko mudte dekh Patil puchta hai "sir, kya hua..??"

Karan dhyan se sunne ki koshish kar raha tha "muje laga..kuch suna maine"

Patil apni najre charo aur daudata hai, par use kuch nahi sunai diya "sir, apke kaan baj rahe honge, hum kal raat se chal rahe hai"

Karan ko patil ki baat sahi lagi, aur usne maan liya ki shayad thakawat ki vajah se use aisi awaaze sunayi de rahi hai

Par karan galat nahi tha, koi tha vaha par..par bahut dur, samundar ke kinare se ek chiz teji se Karan aur Patil ki aur badhti hui aa rahi thi, yeh jungle, aage chalkar Arabian Sea ke pass nikalta tha, aur voh chiz teji se inn dono ki aur badh rahi thi

Karan aur Patil baate karte befikar chal rahe the, tabhi unhe pakshiyo ke kilkarne ki awaaz sunayi di, aur voh sunte hi dono alert ho gaye, kyunki jiss tarah se pakshi ki awaaze aa rahi thi, aisa tabhi hota hai jab unhone koi bahut bhayank chiz dekh li ho, ya fir koi teji se unki aur aaraha ho

Asmaan me dher saare pakshi fadfada kar udd rahe the..Karan aur Patil unhe dekhkar samaj gaye ki koi hai vaha, aur voh kuch karte uske pehle hi unn dono ko ajib si awaaz sunayi dene lagi, thik vohi awaaz jo kuch der pehle Karan ne suni thi

Karan "matlab..voh mere kaan nahi baj rahe the, maine sach me yeh awaaz suni thi"

Patil "sir, aisa lag raha hai ki koi badi se chiz teji se hamari aur badh rahi hai" aur voh apni baat keh pata uske pehle unhone samne ki aur se ek nille rang ki roshni ko aate hue dekha

Voh roshni teji se inn dono ki aur badh rahi thi, Karan ne apni gun nikalkar turant uss chiz par fire kiya, aur voh goli uss chiz ke najdik pahuchne se pehle hi rakh hokar gir padi

Patil uss nille rang ki roshni ko dekhkar chillaya "sir, yeh..yeh dexter hai, USA Army ki report me kuch isi tarah ka likha hua tha"

Karan ne uss chiz par firse fire kiya, par iss baar bhi vohi hua, Karan ne dhyan se dekha tab use pata chala ki voh chiz saamp ke akar me daud rahi thi, use dekhkar voh samaj gaya ki Patil sach keh raha tha, yeh koi insaan nahi hai, yeh kuch aur hi hai, voh turant hi chillaya "patil run, hamari jeep yaha se jyada dur nahi hai" aur voh dono hi bhage

parar uss chiz ki rafter itni jyada thi ki voh dono karib 3-4 kadam daude honge ki uss nille rang ki roshni ne inn dono ko apne kabje me le liya

Palak japakte hi voh roshni vaha se chali gayi, aur jaha abhi kuch seconds pehle Karan aur Patil khade the, iss chiz ke jaate hi vaha par ab sirf unke kankaal reh gaye the..aur itna hi nahi, jaha se voh chiz aayi thi vaha se lekar yaha take k ajib tarah ka nishan ban gaya tha, thik usi tarah ka nishan jiske piche yeh donon iss ghane jungle me aaye the, aur voh nille rang ki chiz ab kahi par bhi najar nahi aa rahi thi

To be continued.
 

Update : 15 (Key to go Home-1)

"tu muje le kaha jaa raha hai, kabse chale jaa rahe hai" kehte hue Paridhi apna sar firati hai, par aankho pe haath hone ki vajah se voh kuch dekh nahi paa rahi thi

Ladka "sssshhhhhh, bas do min" aur fir usne Paridhi ke aankho par se haath hata diye

haath hat te hi Pari ne apni aankho ko dhire dhire khola, par use kuch dikhayi nahi de raha tha, charo aur ghor andhera, Pari ne apne aaspass dekha toh use koi nahi dikha, Pari ko thoda ajib laga, usne piche mudkar apne haath aage failyae, iss umid me ki voh jiske saath aayi thi voh mil jaye, par use ek aur jatka laga kyunki vaha koi nahi tha

Pari ka dil joro se dhadak ne laga, use kuch samaj nahi aa raha tha, voh kuch kehti uske pehle hi ek spot light uske upar padi, achanak se light hone ki vajah se Pari ki aankhe apne aap hi band ho gayi, apne haath ko aankhe ke thik samne le aayi aur dhire dhire usne apne aankho ko khola, lekin iss baar bhi charo aur andhera tha, jo roshni thi voh sirf ek spot light ki jo thik usi ke upar thi

Tabhi achanak se Pari ke kaano mein ek awaaz gunji "Paridhi Bhatt, the most beautiful, the most sensible girl I have ever met in my life, ek waqt tha jab mai tut sa gaya tha, hasna bhul chuka tha, nahi janta tha ki khush rehna kya hota hai..fir voh din aaya jab tum meri life me aayi, uss din ke baad sab kuch badal gaya, ha Pari, you changed my life, sirf teri vajah se mai firse hasna sikh paaya" thik Pari se char kadam dur ek aur spot light padi..jaha par vohi ladka khada tha, Pari sawaliya bhari najro se uss ladke ki aankho me dekhne lagi "tere hasna, mujse baat karna, voh choti choti par behad pyari shararte, teri inhi aadato ki vajah se mai aaj tere samne khada hu, mere chehre par jo muskurahat hai voh sirf teri vajah se hai, Mai kehna toh bahut kuch chahta hu, par mere pass shabd nahi hai, I just want to say thanks, thank you so much Pari for coming in my life, and tell me that life is very precious thing we have got, kisi ke jaane se jindagi nahi rukti" aur voh chup ho gaya, dono hi ek dusre ki aankho me dekhe jaa rahe the "aaj tere birthday hai, par tuje dene ke lie mere pass kuch nahi hai, par ha sirf ek chiz kar sakta hu, I will promise that ki teri yeh smile mai kabhi khone nahi dunga"

Paridhi ke man me uss ladke ke liye bahut jyada pyaar aa raha tha..use yeh sab ek sapne jesa lag raha tha, tabhi achanak se uss jagah par ek behad hi romantic music play hua

"Zara Si dil mein de jagah tu..zara sa apna le bana, Zara sa khawbon mein saja tu..Zara sa yaadon mein basa, Mein chahun tujhko..Meri jaan bepaanah..Fida hoon tujhpe..Meri jaan bepaanah" gaate hue voh ladka Paridhi ke karib aagaya, aur thik uske samne apne ghutne ke pal baithkar usne apni baanhe faila di, isi bich Pari ne ek pal le liye apni palke nahi japkayi thi, voh ektak uss ladke ki aankho me dekh rahi thi

"I love you Paridhi, I love you so much" aur uss ladke ne apna chehra niche kiya aur "Keh bhi di keh bhi de dil mein tere hai jo chupa..Khwaish jo hai teri, Rakh nahi rakh nahi..Parda koi mujhse aye jaan Kar le tu mera yakin, Mein chahun tujhko..Meri jaan bepaanah, Fida hoon tujhpe..Meri jaan bepaanah" Pari ki aankhe halki si nam ho chuki thi, kyunki yeh pal har ladki ke liye behad khas hota hai ki jab usse chahne vala ladka sabke samne apne pyaar ka izhaar kare, har ladki yeh chahti hai ki uska love puri duniya ke samne kahi ki haa..i am proud to have you in my life, aur aaj Pari ki saath bhi kuch aisa hi ho raha tha.voh chalte hue uss ladke ke pass gayi aur uske pass hi baith gayi

Pari ne apne haatho se uss ladke ka chehra upar kiya aur uski aankho me dekhte hue boli "kisne kaha ki tere pass muje dene ke liye kuch nahi hai, this is the best gift jaan, and I love you too, isse acha aur pyaara gift mere liye kuch nahi ho sakta, I will never forget this in my life..you made my day" aur usne turant hi uss ladke ko hug kar liya

Tabhi vaha par taaliyo ki awaaz sunayi dene lagi, aur achanak se Pari ko ajib si awaaz aane lagi, aur fir use apne chehre par paani ki boonde mehsus hone lagi, Pari ne ajib sa muh banaya..aur turant hi uski aankhe khul gayi aur apne aap ko room me paaya..jaha par Siddhi uske chehre par paani faink rahi thi

Pari gusse se chillayi "yeh kya batmeezi"

Siddhi "kya baat hai meri jaan, itna gussa..kahi kisne propose toh nahi kiya..??"

Siddhi ki baat sunkar Pari sharma gayi, uska chehra ek dam lal ho gaya, yeh dekhkar Kruti turant uske pass baith gayi aur usne kaha "kisne propose kar liya Barbie doll ko..?? bata toh sahi"

Pari "voh." achanak se voh kehte hue ruk gayi "kya inhe sab bata du..?? yeh sapne jo muje har waqt aate hai..akhir kya chahte hai mujse, agar inhe bataya toh shayad yeh log mera majak udayenge, nahi nahi..mai inhe kuch nahi bataungi" aur "kisine bhi nahi, tu janti toh hai, mai iss pyaar vyaar ko nahi manti, yeh sab bakwass hai" aur voh uthkar vaha se jaane lagi

Siddhi "agar yahi baat hai toh itna blushing kyu kar rahi hai..?? pakka sapne me kisine propose kiya hoga"

Chalte hue achanak se Pari ruk gayi aur voh mudkar boli "ha..tuje kese pata..??" bolte hue ruk gayi, use ehsas ho gaya ki usne kya galti kar di hai, usne apni jibh ko daanto ke bich daaba di "voh..voh kuch nahi"

Kruti "are vaah, tuje sapne bhi aate hai..?? muje toh laga ki sirf tu gussa karna janti hai"

Pari "shutup..mai bhi insaan hu, mai bhi sapne dekh sakti hu"

Siddhi "haa..voh sab toh thik hai, par yeh batana ki kaun aaya tha tere sapne me..?? kaun tha voh ladka, apni college ka hai yah koi aur..??"

Pari "yeh dono ab aise nahi manenge" apne man me "are kuch nahi, bas voh kal raat ko romantic movie dekh li thi galti se, bas usi vajah se, aur kuch nahi" aur voh bina kuch kahe sidhe bathroom me ghus gayi aur Siddhi aur Kruti jor jor se hasne lagi

Shower ke niche khade hue Paridhi soch rahi thi "yeh sapna toh nahi ho sakta..bilkul bhi nahi, kyunki voh ehsas jo maine mehsus kiya..itna pyaara tha ki, aisa lag raha tha ki sab kuch real ho, aisa mehsus hua ki yeh sab mere saath pehle bhi ho chuka hai, lekin voh ladka tha kaun..?? har sapne me muje vohi ladka dikhayi deta hai..par aajtak muje uski shakal nahi dikhayi di, sab dhundhla dhundla sa tha, lekin uski aankhe, voh mai nahi bhul sakti, har sapne me sirh vohi aankhe dikhti hai" aur uska chehra sharam ki vajah se ek dum lal ho gaya..aur voh firse masti me nahne lagi, lekin uska dimag shant nahi tha..barbar usi ladke ke khayal aate the, aur fir achanak se uske dimag me kuch aaya "ek min..yeh toh maine socha hi nahi..har sapne ke ant me voh aag..aisa lag raha hai mano yeh sare sapne ek dusre se jude hai..ya fir mere atit se..par aisa kese ho sakta hai, aajtak mere saath aisa kuch nahi hua" aur voh ruk si gayi aur iss sawal ka jawab usne khud hi diya "sapne tabhi aate hai jab voh sab kuch hamare saath pehle ho chuka ho, par hume yaad na rahe, lekin hamare sub-concious mind me yeh image rehti hai..aur voh raat ko sone ke baad hume dikhayi deti hai..jise hume sapne kehte hai, lekin mere saath toh aisa kuch nahi hua, kahi yeh mera re-birth toh nahi..??" fir kuch sochkar "common Paridhi, you are in 21st century, re-birth, pichla janam..yeh sab sab sirf kahaniyo me hota hai, aur vese bhi kal maine esi hi ek movie dekhi thi..shayad isi vajah se yeh sapne aa rahe hai, aur usme bhi kuch aisa hi tha..Shrey ne apne dil ki baat gaate hue hi Sonia se kahi thi, aur fir unn dono ka re-birth hua tha..puri tarah toh nahi par..Shrey aur Sonia ki yaadein Harshit aur Shipli ke pass thi, haa..isiliye muje yeh sapna aaya, bekar movie..huh" aur voh inn sab ke baare me bhulkar fresh hokar ready ho gayi aur ready hokar voh Siddhi aur Kruti ke saath college jaane ke liye nikal gayi

Location : Manthan's House

Mayank ke kamre me jaate hi Manthan aur Pathik ki najar usspar padi, manthan ne dekha ki Mayank ki aankhe gili hai, voh uske pass jaakar pucha "tu ro raha tha..?? par kyu..??"

Mayank ne aansuo ko saaf kiye aur voh Manthan ki aur dekhte hue bola "kuch na..bus mom dad ki yaad aa rahi thi, and yeah thanks, thanks for all of this, and sorry ki meri vajah se aap sab ko pareshani hui, I promise I will leave soon"

Manthan "bas bas bhai..saans toh lele, and no need for sorry bro, you can stay here, atleast jab tak tu thik nahi ho jaata" aur fir kuch der baad voh bola "acha sun, muje aaj bahar jaana hai, actually papa ne ek kaam diya tha, aur mai bhul gaya ki aaj hi college me muje assignment bhi submit karna hai, so college jaana bahut jaruri hai"

Mayank sawaliya bhari najro se dekhta hai "ha toh..??"

Manthan thoda atak atak kar "yaar dekh, ab ek hi waqt par mai do jagah toh nahi reh sakta, so mai soch raha tha ki, agar tu meri jagah aaj college chala jaaye toh mera submission bhi ho jayega aur papa ki daant khaane se bhi bahc jaunga, please bhai mana mat karna, plsz plsz itni help kar de"

Mayank "aur muje kya milega"

Manthan "hmmm..dekh pehle jo bhi hua use bhul jaa, shayad tuje kuch naa mile, par mera submission ho jayega, aur agar aisa nahi hua toh kal meri hod muje kahi ka nahi chodegi, aur mai siddhi ke samne apni aur insult nahi karvana chahta..so please mere bhai maan ja"

Mayank apne man me "ab ise kese batao ki mai uss college me kabhi vapas nahi jana chahta, vaha pari" achanak se use yaad aaya ki usne kal paridhi ko usi college me dekha tha, aur voh kuch sochta hai "paridhi, haa, shayad yeh Pari ko janta ho, vohi ek hai jo meri madad kar sakti hai"

Manthan "tu yeh soch raha haina ki tu vaha kese jayega, par tu uski fikar na kar, Pathik tere saath rahega, and don't worry, meri hod me utni akal na hai, use pata bhi nahi chalega ki vaha meri jagah koi aur hai"

Mayank "hmm, thik hai, done"

Manthan "aur ha, ek request hai, please bura mat manna par Siddhi se dur rehna, voh kya haina..actually voh naraaz hai mujse, so..tu samaj raha haina"

Mayank haste hue "hahaha, don't worry, mai uske karib bhi nahi jaunga"

Pathik bhi uss waqt vahi tha, manthan ne use ishara kiya ki voh mayank ko siddhi ke karob naa jaane de..Iske baad manthan apne kaam se bahar chala gaya, aur Mayank pathik ke saath college aagaya

Pure raste bhar Mayank chup hi raha aur man hi man sochta raha ki yeh sab ho kyu raha hai "time travel, yeh ek aisi chiz hai jo maine sirf movies me dekhi thi, kabhi socha nahi tha ki mai khud time travel karunga, shayad kudrat muje ek aur mauka de rahi hai, jo kuch bhi maine khoya hai..voh sab vapis paane ka, kya vakahime me yeh possible hai..?? Mom, dad, Paridhi, kya inn sab ko mai firse dekh paunga..?? agar mai inhe kisi tarah iss time me bacha bhi leta hu, toh kya voh sab mere time me vapis aajayenge..?? nahi yeh possible nahi ho sakta, kyunki mom dad ko mare hue toh saalo ho chuke hai, aur Paridhi.." pari ki yaad aate hi uski aankho se vapis aansu nikal aaye "jab mere waqt me piche aane se timeline itni jyada alter ho chuki hai, toh mere vapis jaane par kya hoga..?? mai nahi janta ki kya hoga..par iss baar mai kisi ko bhi marne nahi dunga" voh yeh sab soch hi raha tha ki itne me college aagaya

To be Continued..
 

Update : 16 (Key to go Home-2)

College ke parking area me car se utarte hi Pathik bola "sun, tuje kisi se baat karne ki koi jarurat nahi hai, hum sidhe HOD ke pass jayenge, aur Manthan ka assignment submit karwake nikal jayenge, kyunki mai koi risk nahi lena chahta"

Mayank ne uski aur dekha aur haa mein apna sar hilaya diya, aur voh najre uthakar college ki building ki aur dekhne laga, par Mayank ke liye bahut si chize iss college me uska intezaar kar rahi thi

Mayank aur Pathik college ki building ki aur badh rahe the, jese jese voh dono uss building ki taraf pahuche, Mayank ki saari yaade taaza ho gayi, har ek pal jo usne yaha bitaye the voh sab yaad aaane lage, aur khaskar voh waqt jo usne Pari ke saath bitaye the

Inhi yaado ki vajah se usne ek baat par dhyan nahi diya, voh dono chalte hue Computer Science department me pahuche aur unhe vaha Sam mila, jo Manthan aur Pathik ke class me tha

Sam "kya Manthan bhai, kaha tha be kal raat ko..?? bhabhi ke saath ya kahi aur..??"

Mayank "bas ghar gaya tha, kuch jaruri kaam tha"

Pathik "HOD g**nd mar rahi hai ya ese hi submit karke nikal jaana hai..??"

Sam "bhai, uss chudail ka naam mat le, bc bol rahi hai pehle sab uske lec attend karo aur jo peresnt honge unke assignment hi voh khud personally collect karegi"

Pathik "bc, yeh ajib chutiyapa hai, tu chal hum dono aaate hai" Sam ke jaate hi Pathik ne kaha "bhai, please yaha koi gadbad mat karna"

Mayank "don't worry, koi gadbad nahi hogi"

Uske baad hi voh dono vaha se chale gaye, raste me Mayank ko kahi dost mile, vese toh voh log Manthan aur Pathik ke friends the, par indirectly Mayank ke time me bhi yahi log uske dost the

Tabhi achanak se Mayank ka dhyan uss baat par gaya jisse voh abhi tak anjan tha, aur uss baat par dhyan jaate hi voh ekdum se chuank gaya, aur chalte hue ruk gaya

Mayank ko rukte dekh Pathik bola "abe jaldi chal, agar late hue toh voh sand hume entry nahi degi"

Mayank ne ek baar uski aur dekha aur voh dono class me aagaye, abhi tak HOD nahi aayi thi, class me jaate hi Mayank aur Pathik baith gaye, pathik apne friends se baate karne laga aur Mayank soch me pad gaya "yeh..yyeh what's happening here, yaha par sab kuch pehle jesa hai..sab kuch, kuch bhi nahi badla..vohi dost..vohi building, sab kuch pehle jesa hai, par yeh kese ho sakta hai, jabse mai Delhi aaya hu muje sabkuch badla hua laga, par yeh college, yeh log, sab kuch vaisa hi hai jese mere waqt me hua karta tha, iska kya matlab ho sakta hai..?? shayad yeh college hi muje mere ghar vapis pahuchaye, I think I have found the key to return to my home, I just need to find out that key"

Khair mayank ne abhi sochna band kar diya, aur usne man bana liya ki HOD ka lecture khatam hote hi voh class se nikal jayega, par tabhi uski najar Pathik aur Sam par padi, jo ek file me dekhkar kuch discuss kar rahe the

Mayank ko yaha par ek bahut hi bada jatka laga, kyunki iss college ka education puri tarah se alag tha

Mayank apne man me "what the f**k, kahi yeh koi sapna toh nahi hai" aur usne jaldi se bag mese assignment ki file nikali aur voh dekhte hue "assignments, voh bhi hand written, yeh toh had ho gayi" aur voh apne aaspass dekhte hue "yaha toh saare log copy paste karne me lage hue hai, yaar yeh log sach me assignments haath se likhte hai..?? maine apni puri college life me ek line tak haath sa naa likhi hai, jab computer sab kuch kar sakta hai toh itni bakchodi kyu..??" aur voh manthan ke bag se aur bhi files dekhne laga "bc, yeh toh sirf chapne ka kaam hai, ya fir raddi bharne ka..?? agar yeh education hai fir toh mai kabhi na padh pau, assignments toh maine bhi kiye hai, par saare practically, aur voh muje computer me sirf observations likhne hote hai aur theory toh sirf samajne ke liye di jaati hai" aur fir practical ki file dekhte hue "seriously yaha practicals ke naam par sirf chapne ka kaam ho raha hai, aur hume practicals ke naam par research karne de dete hai..ya fir case study, iss tarah padhne se toh kuch hasil nahi hoga"

Lekin shayad Mayank ke liye itna kaafi nahi tha, use sabse jyada jatka toh tab laga jab lecture shuru hua, pehla lecture hi HOD ka tha, use dekhkar "so yeh yaha par bhi HOD hai" achanak se use ek jatka laga "what the hell, yeh kaise ho sakta hai..?? agar mai waqt me piche aaya hu toh yeh HOD kese..?? aur sabse bada sawal mai kitne din piche aaya hu..??" lekin voh jyada soch nahi paaya, kyunki lecture shuru ho chuka tha, aur HOD ne Manthan (Mayank) ko khada kiya

Hod taunt marte hue "so tumne..aaj bhi apna assignment likha nahi hoga"

Mayank kuch kehta uske pehle hi uske kaano me do ladkiya ko awaaz padi, awaaz sunkar hi Mayank pehchan gaya ki voh dono Siddhi aur Paridhi hai, par usne piche mudkar na dekha par uske dilo ki dhadkane jarur badh gayi thi, dil aur dimag ke bich me voh fas chuka tha, dil baar baar keh raha tha ki dekh le Pari ko par uska dimag keh raha tha ki yeh uski Pari nahi hai..voh mar chuki hai

"may i come in mam" awaaz sunte hi sabne piche mudkar dekha, HOD apni wrist watch me time dekhi aur gusse me unn dono ko ghurte hue andar aane ki permission de di

HOD ne firse mayank ko taunt mara "abhitak koi bahana nai mila..??"

Mayank "I have completed my work" yeh sunkar pura class Manthan (mayank) ko ghurne laga, kyunki aajtak kabhi manthan ne apna kaam waqt par nahi kiya tha

HOD aankhe fade uski aur dekhti hai aur fir apne daant piste hue board ki aur ghum gayi aur kuch likhne lagi

Mayank yeh dekhkar apne man me bola "seriously, Marker pen" aur tabhi uski najar uss question par padi jo HOD ne likha tha "bc..yeh toh maine 6th ya 7th class me pada tha, iss time me education itna piche chal raha hai, aisa lag raha hai mano ki mai kahi sadiyo piche aa chuka hu, jaha abhi.." achanak se uske dimag me kuch aaya "progress..ha, yeh baat toh maine notice ki hi nahi, iss time me koi progress hua hi nahi hai, nahi koi technology dikhi, jo mere waqt me hua karti thi, aur yeh sab toh bilkul aaisa ho jo, mere waqt me kabhi 15 saal pehle hua karta tha"

HOD ne manthan se kaha "solve this problem" lekin Manthan kuch na bola, voh apni hi soch me ghum tha "haa..yaha sab kuch dhire hai, education system, transportation, science ke mamle me, technologies ke mamle me bhi aur voh Mumbai me..bhoot ki kahaniya, shayad yahi vajah hai ki yeh time pura alag hai, yaha science aur technology ki kabhi growth hui hi nahi hai, agar sach me yeh sab itna picha hai toh meri pareshaniya aur badh jayegi..aur shayad mai apne ghar vapis kabhi nahi jaa paunga" aur ek gehri saans lete hue "muje laga ki college me aakar kuch toh jawab milenge..lekin inhi jawab ne mere liye aur bhi naye sawal khade kar diye, mai jitna karib jaane ki koshish kar raha hu..utna hi dur jaa raha hu"

HOD jor se chillayi, tab jaake Mayank ko hosh aaya, aur voh apni hi jagah se khade rehkar uss sawal ka ans de diya

Ek aur baar sab Manthan ko ghurne lage, aur HOD toh jese sadme me pahuch gayi, voh apna chasmah thik karte hue baar baar book me ans dekh rahi thi, kyunki Mayank ne ans sahi diya tha

HOD ko laga ki manthan ne tukka lagaya hai, toh usne ek aur question likha, jise Manthan ne karib 20 seconds me solve karke ans de diya

HOD ko yakin nahi ho raha tha, kyunki usne yeh question apne man se banaya tha..aur voh khud iss question ka ans nahi janti thi, toh usne kaha "can you solve on the board"

Mayank yeh sunkar apne man me bola "aisa lag raha hai jese mai elementary school me vapis aagaya hu" aur voh aage stage par chala gaya aur HOD se marker pen lekar pura solution likh diya

HOD ek aur baar sadme thi, lekin voh Manthan ko kuch nahi keh paayi, aur usne aage padhana shuru kar diya

Haroj ki tarah siddhi aur paridhi, dono hi apne jagah par baithi thi, yani thik Mayank ke baju vali bench par, Mayank vapis aakar apni jagah par baith gaya..aur ek aur baar uske dil aur dimag ke bich firse yudh shuru ho gaya, aur ant me dil ke aage dimag ko harna pada aur usne apni najar Pari ki aur kar di

Paridhi ko dekhkar Manthan ka dil sirf ek hi baat keh raha tha "same to same, bilkul vohi chehra, vohi aankhe, vohi smile, kaise, kya meri pari vapis aagayi hai..?? shayad jo mere waqt hua hai..use mai rok saku, shayad muje mauka mila hai mere past ko change karne ka, I promise you Pari, mai tumhe kuch nahi honge dunga, atleast iss waqt me toh bilkul bhi nahi aur nahi apne mom dad ko, chahe kuch bhi ho jaye..mai aap sab ko kuch nahi hone dunga"

Tabhi pathik ne usko kohni se mara, toh mayank ne paridhi se najar hata li aur Pathik dhire se bola "dekh, yeh mai tuje akhri warning de raha hu, don't even dare to look at her, varna tere liye acha nahi hoga"

Mayank kuch nahi bola, aur voh bas apne hi khayalo me kho gaya, aur voh pure lecture me terchi najro se Pari ko dekhta raha

Lecture khatam hote hi unhe HOD ki cabin me jana tha, sab ek ek karke nikal gaye, tabhi Pathik ne kaha "bc..tune bahut badi gadbad kar di, baal baal bache"

Mayank usko sawaliya bhari najro se ghurne laga, toh Pathik bola "you are really intelleigent man, lekin Manthan yeh problems nahi solve kar pata, Manthan kya HOD bhi itni jaldi koi problem solve nahi kar paati"

Mayank haste hue "shayad practice ka asar hai..par isme problem kya thi..??"

Pathik "manthan is lefty.and tu righty hai..par shayad kisine iss baat par dhyan nahi diya"

Mayank ne kuch nahi bola, aur fir unn dono ne apne assignments submit karwa diye

Jab HOD sign kar rahi thi tab Mayank bola "mam, aaj ki date toh." lekin voh aage nahi bol paya, kyunki HOD use gusse se ghur rahi thi, "bhag le beta, varna yeh sachi me chudail ban jayegi" sochte hue voh HOD ki cabin se nikal gaya

To be continued.
 

Update : 17 (Kaun hai VOH)

Jab Hod Manthan ka assignment check kar rahi thi, uss waqt Mayank ne ek baat notice ki thi, aur tabse use yeh baat pareshan kar rahi thi, voh chalte hue apne man me sochta hai "aaj ki date 27th April 2017 hai, aur voh hadsa hua tha 20th October 2016 ko, matlab ke 6 mahine, aur voh ladki Aneri..usne kaha tha ki mai karib 6 mahine coma me tha..matlab saaf hai, maine kabhi time travel kiya hi nahi" voh ek gehri saans leta hai "agar maine time travel nahi kiya, fir yeh sab jo mere saath ho raha hai, kya ho sakta hai..?? kahi yeh sab mere dimag me toh nahi chal raha..??" ki achanak se kisine use piche khich liya

"tu pagal toh nahi hogaya..?? ho kya raha hai aaj tere saath..?? are you mad" awaaz itni jyada pyaari thi ki Mayank ki najar apne aap hi uss shaks ki aur chali gayi, jaha Pari halke se gusse me uspar chilla rahi thi

Pari "aisa toh tu kya soch raha tha ki tuje yeh tuti hui grill nahi dikhi" lekin Mayank kuch nahi bola, voh ektak Pari ki aankho me dekhta raha

Pari ko Manthan(Mayank) ka iss tarah se usko ghurna thoda ajib lag raha tha, par jese hi uski najar Mayank se mili..voh bhi jese ek waqt ke liye sabkuch bhul gayi aur Manthan ki aankho me dekhne lagi

Karib 2 minutes ke baad college bell baji, jisse voh dono hi hosh me aaye, aur Pari haklate hue boli "vv.v.ohh..vvoh m..mmaai..iii k..kya keh rahi thi..?? ha..tera dhh..dh..yyaa..nnn kaha tha..??"

Mayank badi himmat jutkar kehta hai "k..kku..ucc..hh nn.naahii..iii bas uss hadse ke baare me soch raha tha"

Pari ko laga ki shayad Manthan unn dono ke beech me hue jagde ke baare me keh raha hai, "common yaar, it's okay, mai uss hadse ko bhul chuki hu, and we are friends now, right"

Lekin Mayank kuch nahi bola, Pari chutki bajate hue "ohh hello, kaha kho gaya, kya aaj mai itni jyada sexy lag rahi hu..??"

Mayank ruk ruk kar bola "sexy ka toh pata nahi..but, hamesa ki tarah..behad cute"

Pari thoda blush karte hue "kya baat hai, aaj toh tu badi tareef kar raha hai, lagta hai Siddhi ne teri kuch jyada hi pitayi kar li hai"

Siddhi ka naam sunte hi Mayank jese hosh me aaya, uske chehre par jo muskurahat thi voh achanak se gayab ho gayi, use lag raha tha ki voh apni Pari se baat kar raha hai, lekin use ehsas ho gaya ki uske samne jo ladki khadi hai voh Paridhi hai..par uski Pari nahi hai

Mayank "are nahi nahi..aisa kuch bhi nahi hai, voh toh bas ese hi, kabhi kehne ka mauka nahi mila, so aaj keh diya"

Pari thoda ajib sa muh banati hai, aur usse puchti hai "teri tabiyat toh thik haina..?? kyunki aaj suabh se hi tu ajib harkate kar raha hai, class me bhi muje ghur raha tha, aur abhi meri itni tareef, aur yaha tak ki tune aaj HOD ki bolti bhi band kar di"

Mayank baat ko sambhalte hue "are voh..voh toh bas aaj thodi preparation karke aaya tha, socha ab se thoda serious ho jau, kaafi mauj masti karli"

Pari isspar jor jor se hasne lagi, jise dekhkar Mayank thoda sa heran ho gaya aur puch baitha "ab isme hasne vali kya baat thi..??"

Pari "tu aur serious..it's almost impossible, mai nahi manti, atleast study ke mamle me toh bilkul bhi nahi, kyunki padhayi tujpar suit nahi karti" thoda rukkar "acha sun, tuje ek baat kehni thi"

Mayank uski smile me firse kho gaya tha, "ha bolna"

Pari thodi si bhavuk hote hue boli "thanks, hamesa tujse ladne ke baad bhi tune meri itni help ki , tune jo bhi mere liye kiya, it really means alot, janti hu ki yeh thoda ajib lag raha hai ki mai tuje thanks keh rahi hu, par kya karu, shayad itni din tak naadan thi..par mom dad ke jaane ke baad.." voh bolte hue ruk gayi aur uski aankhe bhi halki nam hogayi "but really, tu bahut hi acha hai, mai hi nadaan thi..jo itne din tak yeh nahi samaj paayi aur har waqt tujse lada karti thi, shayad yeh tere se jagda karne ki adat se aur tere caring nature ki vajah se hi mai yeh samaj paayi hu ki mai ab tak kitni badi galti kar rahi thi, lekin ab muje apni galti ka ehsas hai..aur sach me siddhi ne bhi meri bahut madad ki, uske jesi friend har kisi ko nahi milti"

Mayank sawaliya bhari najro se dekhte hue "siddhi ne madad ki, matlab..??"

Pari "uss din dekha tha maine, mera tuje hug karna use bilkul bhi acha nahi laga tha, Siddhi janti thi ki voh sab bas ek hadsa tha, aur maine tuje hug kisi galat irade se nahi kiya tha..par fir bhi use lag raha tha ki mai tuje usse chinn rahi hu, she was feeling insecure aur isiliye voh uss din college se chali gayi thi" voh saans lete hue "manthan, she loves you alot, voh tuje kisi aur ladki ke saath nahi dekh paati, fir voh ladki uski bachpan ki friend hi kyu naa ho, usne badi muskil se sab kuch bhulkar tuje meri help karne ke liye kaha" voh kehte hue thodi raunsi ho gayi thi

Mayank apne man me "yeh bahut bada jhol ho raha hai mere saath, Pari ke mom dad nahi hai, aur Manthan lefty hai, aur sabse badi baat..Siddhi mujse pyaar karti hai, utna hi pyaar jitna muje Pari karti thi, yeh time ke alter hone ki vajah se toh kabhi nahi ho sakta, aur maine bhi dekha hai..Siddhi manthan ke liye serious hai, yaa fir uska natak..?? nahi.pari ne abhi jo kaha use mai jhutla nahi sakta, muje pari ke saath jyada se jyada waqt bitana hoga, mere saare sawalo ke jawab Pari se hi milenge, par yaha nahi..muje kahi aur jaana hoga" tabhi uski najar Pari par gayi..aur usne apne dono haath uske gaalo par rakhe aur aansu ko saaf kiya "friends isiliye toh hote hai, aur friendship me no thanks..no sorry, hmm..chal ab"

Pari sawaliya najro se dekhte hue "kaha..??"

Mayank "vahi jaha tu akshar jaati hai..LAW Garden me"

Pari ajib sa muh banakar "tuje kese pata ki mai vaha haroj jaati hu..??"

Mayank ne toh tukke se keh diya, par uski baat sach ho gayi "maine kahi baar tuje vaha jaate hue dekha hai"

Pari "lekin tu mere saath kyu aayega..?? I mean tuje toh Siddhi ke saath hona chahiye, she needs you"

Mayank "actually usine mujse kaha hai, ki aaj mai tere saath rahu, matlab ki haroj toh mai uske saath hota hi hu, aur tu haroj akeli rehti hai..aur vese bhi voh thodi busy hai aaj, so usine kaha ma kuch time tere saath spend karlu, taaki tuje acha lage"

Mayank ki baat Pari ko sahi lagi..aur fir voh dono chalte hue vaha se nikal gaye

Pure raste me Mayank aur Pari ne bahut si baate ki, aur Pari ki baato me Mayank ese kho gaya jisse use lagne laga ki voh kisi aur ladki ke saath nahi balki uski hi Pari ke saath hai

Chalte hue voh dono usi garden me pahuch gaye..jaha Pari akshar akeli aaya karti thi, aur vaha aane ke picha ka bas ek hi karan tha

Garden me man ko sukun dene vali shanti thi, na jyada bhid..na jyada shor, bas shant sa vatavaran, aur nadi ke kinare par hone ki vajah se hamesa thandi thandi hawa baha karti thi

Aur sham ko akshar chote bache khelne aaya karte the, jise dekhkar Pari unki hasi me kho jaati thi, aur uska akelapan du rho jata tha

Pari aur Mayank dono hi ek fountain ke pass aakar khade ho gaye jo nadi ke thik passme bana hua tha, aur voh dono vese hi baate karne lage

Mayank "vese Pari hamara jagda kis baat par hua tha..??"

Pari "muje toh yeh baat bilkul bhi yaad nahi hai, aur muje abhi bhi believe nahi ho raha ki ab hum friends ban chuke hai, mera matlab ki pehle kitna ladte the choti choti baato par"

Mayank apne haath ko Pari ke kandhe par rakhte hue kahta hai "believe karna muskil hai, but yes we are, and I promise, mai hamesa tere saath rahunga, aur vese bhi kehte hai na, jitni jyada ladai hoti hai..pyaar bhi utna jyada gehra hota hai"

Yeh baat sunkar Pari ko ekdum se ek jatka laga "yy..yeeh..hhh baat mai akshar sapne me suna karti hu, thik usi tarah se bolna, sab kuch same to same" aur usne apni najar Manthan ki aankho ki aur ki jo use hi dekh raha tha

Unn dono ki aankhe ek dusro ki aankho se jud gayi thi, ek pal ki liye dono mese kisine bhi apni aankhe nahi palkayi, aur bina kuch kahe dono hi ek dusre ki aankho me kho gaye, aur Mayank dhire dhire Pari ke karib aane laga

Mayank ki aankho me dekhne se aisa lag raha tha ki jese pari kisi aur duniya me chali gayi hai, voh pyaar aur sharam se apni palke niche juka deti hai, Mayank ki saanse uske chehre ko chu rahi thi, use mehsus ho raha tha ki Mayank uske bahut hi jyada karib aachuka hai aur shayad aage voh hone vala hai jo voh kabhi nahi chahti

Unn dono ke honth almost mil hi chuke the ki achanak se Pari ko hosh aaya aur usne apne haath se Mayank ko halka sa piche push kiya

Pari ke aisa karne par Mayank ko bhi hosh aaya aur voh do step piche aagaya, aur vahi Pari apni ukhdi hui saanso ko sambhalne ki koshish karne lagi, lekin uski aankhe abhi bhi band thi

Mayank "I am sorry Pari, mera yeh karna ka koi irada nahi tha, I am really sorry"

Pari ki dil ki dhadkan kaafi badh gayi thi "nahi manthan, shayad mai hi behak gayi thi, I am sorry" khud par kaabu paate hue kehti hai

Uske baad unn dono mese koi kuch nahi bola, dono hi shant khade rahe, vahi Mayank apne man me "pari..muje aisa lag hi nahi raha ki yeh meri pari nahi hai, iski har adat meri pari se milti hai, har ek adat, pichle kuch dino me yeh pehli baar aisa mehsus hua hai ki mai kisi apne se mil raha hu, aur kuch bhi naa badla ho, aur yeh vohi jagah hai jaha mai Pari ko pehli baar date par lekar aaya tha..aur uske baad yeh jagah Pari ki fav place ban chuki thi, aur Paridhi ko bhi iss jagah se utna hi jyada lagav hai jitna meri Pari ko tha"

Vahi Pari apne man me "yeh mai kya karne jaa rahi thi, Siddhi mujpar kitna bharosa karti hai, aur mai usi ke bf ke saath.chiii" fir thoda rukkar "muje khud par hi gussa aa raha hai, mai itni kese gir sakti hu, aur voh bhi meri best friend ke bf ke saath, nahi..mai Siddhi ko sab kuch bata dungi, fir voh jo bhi kahe, jo bhi saza degi..mai maan lungi, agar usne mujse dosti ho tod di toh..nahi nahi, voh aisa nahi karegi" par fir achanak se "par mai aisa kese behek gayi..?? kya meri hawas itni jyada badh gayi ki mai.nahi Manthan ki aankhe, yeh toh bilkul vaisi hi aankhe hai jo muje har sapne me dikhayi deti hai, jo pyaar muje unn aankho me dikhayi deta tha.vohi pyaar aaj muje Manthan ki aankho me dikhayi diya, aur jo pyaar ka ehsas muje har sapne me hota hai, thik vohi feeling muje abhi ho rahi hai..par kaise,..?? manthan toh siddhi se pyaar karta hai, fir yeh sab..yeh mere sapne Manthan se kaise relate ho sakte hai"

Mayank shanti ko tod te hue "pari..voh sab maine jaan bujkar nahi kiya tha, I am really sorry, muje khud par kaabu rakhna chahiye tha"

Pari ne shayad Manthan ki baat ko suna nahi, ya fir usne sunkar ansuna kar diya aur usne apni baat kahi "manthan..teri aankhe, muje aisa lag raha hai ki tu Manthan nahi..koi aur hai, aaj sab kuch alag sa hai, kaun hai tu..??"

Mayank ko laga ki shayad Pari ko uspar shaq ho gaya hai "kya muje Pari ko sab sach bata dena chahiye..?? par yeh meri baat par believe kyu karegi..?? aur mere pass koi proof bhi nahi hai..atleast koi valid proof toh nahi" aur voh Pari se kehta hai "nahi nahi, mai vohi hu, mera matlab ki mai Manthan hi hu, aur tune aajtak meri aankho par gaur nahi kiya, kyunki hum harwaqt lada karte the"

Pari "ha shayad tu sahi keh raha hai" aur fir apne man me "nahi manthan, kuch sahi nahi hai, muje abhi bhi lag raha hai ki kuch toh alag hai aaj, tu manthan nahi ho sakta..par yeh kese pata chalega, ya fir mai kuch jyada hi unn sapno ke baare me soch rahi hu, shayad usi ki vajah se ho raha hai yeh sab" aur fir voh puchti hai "acha mayank, ek baat puchu agar tu bura naa maane toh"

Mayank "haa..puchna"

Pari "voh..vvohh tuje jo sapne aate hai, I mean mai janti hu tuje unn sapne ke baare me baat karna pasand nahi hai, par actually thik usi tarah ke sapne muje bhi aate hai"

Yeh sunkar mayank ki aankhe puri tarah khul gayi, aur voh Pari ki aur dekhne laga "kese sapne..?? mera matlab ki kya dikhta hai tuje..??"

Paridhi "pata nahi, kese kahu, thoda ajib lag raha hai"

Mayank "just say it, trust me"

Paridhi "muje akshar sapne aate hai, jisme ek ladka bhagte hue mere karib aa raha hai, aur mere charo aur bhayankar aag lagi hui hai"

Yeh sunkar toh Mayank ke jese rongte khade ho gaye, voh puchta hai "aur..aur kya dekha..??"

Paridhi "par jese hi voh ladka mere karib aata hai hamesa voh sapna tut jaata hai.pata nahi, thik se nahi keh sakti par aisa lagta hai ki voh shayad mera pichla janam ho, ya fir kuch aur, kyunki muje aisa mehsus hota hai ki mai kisi ladke se behad jyada pyaar karti hu, aur voh ehsas muje hamesa feel hota hai aur yaha tak ki muje thik vohi feeling iss waqt aarahi hai, jo muje akshar har sapne me aati hai" aur fir voh use apne saare sapne ek ek karke baatane lagti hai

Lekin shayad Mayank ki kismat aaj utni jyada achi nahi thi, uske dimag me firse achanak se dard shuru ho gaya, pehle toh usne bilkul bhi react nahi kiya, par jab voh dard limit ke bahar chala gaya, Mayank ne apne haath sar par rakh diye aur joro se apne sar ko dabane laga, uski aankhe bhi muskil se khul rahi thi

Paridhi ko iss baat ka ehsas nahi tha, kyunki voh apne sapne batate hue unn me kho gayi thi, aur iss waat voh Mayank se ulti khadi thi

Mayank ka dard itna jyada badh chuka tha ki usse khada bhi nahi hua jaa raha tha, uski naak se khun behne laga aur pair ladkhadne lage, dard itna jyada badh gaya tha ki uske dard ki awaaz uske muh se bahar nahi nikal rahi thi

Muskil se usne apni aankho ko khole rakha tha, jo barbar band ho rahi thi, Voh ladkhadata hua vaha se bhagkar chala gaya

Lekin pari ko iss baat ka ehsas nahi tha, use toh tab pata chala jab usne pucha "manthan..yeh sapne, kya ho raha hai mere saath..??" lekin koi jawab na pakar Pari piche mudi

Pari ne jese hi piche mudkar dekha toh vaha Manthan nahi tha, aur jab usne aaspass dekha toh use Manthan teji se bhagte hue garden ke gate ke pass dikha, aur voh chillayi "manthan" aur voh bhi uske piche bhagne lagi ki tabhi uski najar niche ghas par padi jaha par abhi manthan khada tha

Pari apne ghutno ke pal baith te hue "yeh toh khun hai, kya hua manthan ko" jo Manthan ki naak se baha hua khun gira tha, aur voh khoon usi tarah jaa raha tha jis aur Mayank bhaga tha

Khoon ko dekhkar Pari ko kuch samaj nahi aaya, isliye voh bhi Mayank ke piche bhaagi

Location : In college

Pathik ko ek call aaya tha aur voh busy ho gaya, utni der me Mayank Pari ke saath chala gaya tha

Jab call khatam hote hi Pathik ne charo aur dekha toh use Mayank kahi najar nahi aaya, aur Mayank ko dhundte dhundte use Siddhi mil gayi

Pathik "siddhi, mayank ko dekha tune..??"

Siddhi "nahi, voh muje kahi nahi dikha, maine aakhri baar use HOD ki cabin se nikalte dekha tha, aur muje Pari bhi kahi nahi dikh rahi"

Pathik "kyaa..?? kabse.??"

Siddhi "jab mayank hod ki cabin se bahar nikla, mai uss waqt washroom jaa rahi thi, aur jab vapis aayi toh muje Pari kahi nahi deikhi, aur uska phone bhi switch off aa raha hai"

Pathik gusse se "dam it...manthan was right afterall, Mayank sahi ladka nahi hai, kuch toh gadbad hai uss ladke me, class me voh tuje ghur raha tha..aur ab yeh"

Siddhi chaunkte hue "ek min ek min, voh muje nahi Pari ko dekh raha tha, yeh baat toh maine bhi notice ki"

Pathik "whaatt..??" chuabkte hue chillaya "I think hume manthan se iss baare me baat karni hogi" kehte hue voh Manthan ko call karta hai aur use Manthan use 15 min baad law garden ke parking me bulata hai

Pathik aur Siddhi dono hi turant college se nikal gaye aur LAW Garden ke parking me jaakar Manthan ka wait karne lage, aur manthan ke aate hi unhone sab kuch bata diya

Mayank ladkhadate hue chal raha tha..tabhi uski najar Manthan ki car par padi, jo garden ke parking me enter ho rahi thi, voh muskil se chalte hue parking ki aur gaya aur siddha Manthan ke pass pahuch gaya

Mayank ka pura chehra khoon se bhara hua tha, aur aankh aur naak se khoon paani ki tarah beh raha tha

Mayank ne aate hi siddha Manthan ka collar pakda aur gehri saanse lete hue pucha "tuje konse sapne aate hai..??"

To be continued.


END OF PHASE-II
 

Update : 18 (Human Brain)

Location : CID Department, Delhi

Rajendra aur Ajit apne cabin me baithe hue discuss kar rahe the, Ajit ek pass sari reports aa chuki thi aur usiko lekar Rajendra aur Ajit discuss kar rahe the

Rajendra "any clues about the unknown energy..??"

Ajit "no sir, nothing, pichle 1 saal me jitne bhi meteors earth ke surface me aaye, unn sabhi ki reports ko maine study kiya, but there is nothing"

Uske baad Ajit ne ek clip dikhate hue kaha "sir, yeh unn sare meteors ki location aur unke baare me thodi details hai, but there is no such thing, jo uss unknown energy ke similar bhi ho, aur naa hi koi spaceship ya other celestial bodies mili hai, pata nahi, par ek chiz bahut ajib hai" voh bolte hue ruk gaya

Rajendra "kya ajib hai, kya pata chala"

Ajit "ek jagah esi hai jaha par bahut si ajib baate hui hai, vaha par thik usi tarah ke nishan mile hai, jo humara samne kahi baar aaye hai, par yeh mai yakin se nahi keh sakta ki voh nishan hamare case se related hai ya nahi, mai nahi janta" aur voh ek pic dikhata hai

Rajendra uss pic ko dekhte hue "where is this place..??"

Ajit "yahi india me" aur voh uss jagah ki location ke baare me batata hai, jise sunkar rajendra fauran kehta hai "okay, we should check it out, kuch na milne se toh yeh behtar hai, I think we found a lead, hum aaj sham ko hi vaha jaane ke liye nikal rahe hai, contact the head"

Ajit "yes sir" aur voh nikal gaya aur tabhi Manthan ka call aaya aur usne Rajendra ko hospital me bulaya hai

Location : LAW Garden, Delhi

"Tuje kya lagta hai Manthan, yeh jo sapne muje har waqt aate hai..iska kya matlab ho sakta hai..?? Janti hu yeh thoda behuda sa sawaal hai..aur yeh bhi janti hu ki yeh sirf sapne hi toh hai..par vo ehsas..aisa kabhi nahi laga ki voh sapna hai" lekin manthan ki aur se koi jawab na paakar pari piche mudte hue kehti hai "tu sunn toh raha haina" aur manthan (mayank) ki halat dekhkar voh chaunk gayi

Mayank ne apne dono haath sar par rakhe hue the, badi muskil se voh apni aankho ko khuli rakh raha tha, use dekhkar koi bhi bata sakta hai ki uski halat bahut hi jyada kharab hai

Voh apne sar ko bahut hi joro se daba raha tha aur baarbaar apne chehre ko idhar se udhar kar raha tha, aur naak se nikal raha khuun rukne ka naam hi nahi le raha tha

Manthan ki yeh halat dekhkar voh bahut hi jyada ghabra gayi aur turant hi manthan ke pass pahuchkar "kk.kk.yyyya.. aa hhh.hhh.aauuu..aa tt..tujj.ejjeeee"

Lekin mayank ne koi jawab nahi diya..ya voh jawab dene ki halat me hi nahi tha, usne ek baar bhi Paridhi ki aur nahi dekha aur voh turant vaha se bhaag gaya

Ladkhadate hue manthan bhag raha tha, kabhi yaha thokar khata toh kabhi vaha, aur usne badi muskil se khud ko sambhala hua tha, aur bhagte hue voh garden ke bahar pahucha..aur thik vahi par usne Pathik aur Siddhi ko dekha jo teji se daudte hue parking ki aur jaa rahe the

Paridhi ektak Manthan ki aur dekhe jaa rahi thi..use samaj nahi aa raha tha ki achanak se manthan ko kya hua hai, tabhi uski najar thik vaha padi jaha kuch der pehle manthan khada tha, uss jagah bahut sara khuun gira hua tha, jise dekhkar "itna sara khuun..aakhir manthan ko hua kya hai" aur voh bhi manthan ke piche bhaagi

Vahi law garden ke parking me manthan apbi car ke pass khada tha aur time dekhte hue "kaha mar gaye yeh log"

Karib 5 min ke baad siddhi aur pathik vaha aaye aur unke aate hi manthan unn par bhadak gaya "kaha mar gaye the..?? Mai 10 km dur tha fir bhi yaha aagaya aur tum dono ko 2 km aane me itni der, had ho gayi yeh toh"

Pathik "tu yeh sab chod..uss mayank ka kuch karna padega"

Manthan "ab kya kar diya usne..??"

Pathik thoda gusse se bola "voh pura lecture Paridhi ko ghure jaa raha tha, aur jaise hi mai 2 min ke liye usse dur kya hua..voh gayab, aur thik usi waqt se Paridhi bhi gayab hai"

Manthan jhallate hue bola "bc..abe toh phone kar le use"

Pathik bhi usi tone me bola "abe sale ch*tiye, uska number kaha se lau..??"

Manthan "ohh haa, aur Paridhi, uska toh number tum dono ke pass hai"

Siddhi "uska phone tab se hi switch off aa raha hai" aur voh sab kuch Manthan ko bata deti hai

Pathik "muje iss mayank me pehle se hi gadbad lag rahi thi, and I think jarur usne Pari ke saath kuch ulta siddha kiya hai"

Manthan kuch sochta uske pehle hi uski najar parking ke gate par padi, jaha se Mayank ladkhate hue usiki aur aa raha tha

Mayank ki esi halat dekhkar Manthan kehta hai "ise kya hua..??" tab tak Mayank uske pass aagaya aur aate hi usne Manthan ka collar pakad liya

Mayank haklate hue bola "ttt..uu..u.jjj..ee, kk..kkoo..kkkoo..nnnss.eee sapne aate hai"

Manthan sawaliya bhari najro se use dekhta hai "sapne matlab..?? tu kehna kya chahta hai" aur voh apne haath ko mayank ke haath par rakhta hai aur collar chudwane ki koshish karta hai

Lekin mayank khud ko sambhalte hue apni pakad aur bhi jyada majbut karta hai aur gehri gehri saanse lete hue bola "tu janta hai, tu janta hai mai konse sapne ki baat kar raha hu"

Mayank ki aankho me dekhkar hi Manthan ko pata chal gaya ki voh kis baare me baat kar raha hai "tuje mere sapne ke baare me kaise pata chala..??" Manthan siddhi aur pathik ki aur dekhte hue kahta hai..jese puchna chah raha ho ki unn logo ne toh nahi bataya

Mayank ka ek haath apne aap manthan ke collar se chut gaya aur uska muh pura khul gaya aur aankhe band ho gayi "aaahhhhhhhhhh" aur voh jor jor se chillane laga

Khud ko bahut muskil se sambhalte hue "yeh waqt iss sawal ka jawab dene ka nahi hai, just tell me what did you see In your dreams"

Tabhi vaha par Paridhi daudti hui aayi, voh apni fuli hui saanso ko sambhalti paati uske pehle hi use ek bada sa jatka laga, jab usne apne samne khade dono Mayank aur Manthan ko ek saath dekha, use samaj nahi aa raha tha ki inn dono ko dekhkar kaise react kare, kabhi voh Manthan ki aur dekhti toh kabhi voh Mayank ki aur dekhti

Pari apne man me kehti hai "yeh..yeh kaise ho sakta hai..?? yani mai sahi thi, mai janti thi ki yeh manthan nahi hai, agar inn mese ek manthan hai do fir yeh dusra kaun hai..??" aur fir voh sabse puch hi leti hai "yeh..yehh kya ho raha hai yaha, do-do manthan, ek saath..??"

Pari ki awaaz sunkar sabka dhyan Pari ki aur gaya, lekin Mayank paridhi ke samne nahi dekh paaya, balki usne apna pura dhyan Manthan par rakha "just tell me"

Manthan ne kaha "mai har sapne me siddhi ko aur khud ko dekh raha hu, har baar..aisa lagta hai jaise voh mujse dur jaa rahi hai, har sapne ke baad muje aisa lag raha hai ki voh muje dhokha de rahi hai..bahut badha dhokha, lekin yeh sach nahi hai, meri siddhi mere saath aisa kabhi nahi karegi, I know that she loves me"

Mayank chilla kar "aur, aur kya dikhta hai..??"

Manthan kuch nahi bolta toh Mayank firse chillata hai, jisse manthan kehta hai "bas aur kuch nahi dikhyai deta..par kabhi kabhi kisi ladki ke chillane ki awaaz sunayi deti hai..aisa lagta hai jese voh kise musibat me ho" fir thoda rukkar "lekin yeh sapne badhte jaa rahe hai, 2 din pehle muje ek park dikhayi deta hai jaha mere mom dad meri aankho ke samne mar jaate hai"

Sabhi ka dhyan manthan ki aur tha, vahi mayank ne apne dono haath chod diye aur voh do steps piche aagaya, aur behad dhire si awaaz me bola "voh..voh truck, kkk..koon.nnseee konse, colour ka tha" gehri saanse lete hue kehta hai

Manthan sawaliya bhari najro se dekhte hue kahta hai "white, kyu..yeh tu kyu puch raha hai..??"

Lekin shayad mayank ko pehle se hi Manthan ka jawab malum tha, usne firse pucha "aur voh ladki, kaun thi voh..?? kahi uske aaspass aag toh nahi lagi hui thi..??"

Mayank ke iss sawal ne har kisiko upar se niche tak hila diya, sabse jyada Manthan aur Paridhi chuanke the, kyunki inn dono kohi yahi sapne aate the

Manthan "voh ladki kaun hai mai nahi janta..kyunki aajtak muje uss ladki ka chehra nahi dikha, sirf uski awaaz mere kaano me gunjti hai"

Mayank ki baat sunte hi Paridhi apne aap ko rok nahi paayi "kk..kk..kaun hai tu..?? aur mere sapno ke baare me itna kese janta hai..??"

Paridhi ki baat sunte hi sab log uski aur dekhne lage, Siddhi "yeh tu kya bol rahi hai..?? yeh sapne toh akshar Manthan ko aate hai"

Paridhi siddhi ki aur dekhte hue kahti hai "nahi Siddhi..I am sorry, lekin maine tum sab se ek baat chupayi hai, muje bhi thik yahi sapna aata hai, har raat mai bas yahi sapna dekhkar dar jaati hu..aur kahi baar dar itna jyada badh jaata hai ki mai dar ke maare chillane lagti hu..har baar muje bas yahi sapna dikhayi deta hai, aur voh ladki madad ke liye pukarti hai..aisa lagta tha ki voh ladki koi aur nahi balki mai khud hu, mere charo aur bhanayank aag lagi hui hai, aur usi aag ke dusre aurse ek ladka muje bachane ke liye aaraha tha, fir ek dhamaka hota hai aur sapna khatam..par aajtak muje uss ladke ka chehra nahi dekh paayi"

Koi kuch keh paata uske pehle hi mayank ki dard bhari awaaz unn sabko sunayi di "voh ladki Paridhi hi thi" fir thoda rukkar "yeh nahi ho sakta, I don't understand, yeh kese ho sakta hai" aur achanak se voh vahi par apne ghutno ke bal girkar behos ho gaya, aur uski naak se khoon fuvare ki tarah nikal pada aur uski ek dardnak chikh vaha par gunj uthi

Mayank ko iss tarah se dekhkar Paridhi ne turant hi pucha "ise kya hua..?? aur yeh hai kaun..??"

Manthan "ohh shit, uncle ne kaha tha, ise iss tarah ke attacks aa sakte hai, yeh maine kya kar diya" fir voh pathik se kehta hai "pathik, quick, we need to take him to hospital immediately"

Paridhi "tum sablog ise jante ho..??"

Pathik "abhi nahi pari, iss waqt nahi" aur usne aur Manthan ne milkar Mayank ko car me dala, aur voh sab Pathik ke Papa ki hospital ki aur chal pade

Hospital pahuchte hi Doctors ne treatment shuru ki aur Mayank ke sare test dubara kiye gaye, tab tak Manthan ke mom dad bhi vaha aagaye

Jab treatment chal rahi thi, uss waqt bahar lobby me sare dost ikhata khade the

Paridhi "yeh hai kuan..?? aur yeh bilkul manthan ke jaisa kyu dikh raha hai..??"

Manthan "yeh toh mai bhi nahi janta pari, par itna yakin se kehta hu ki iske pass hamare sapne se jude har sawal ke jawab hai"

Siddhi "pari..tune aajtak hume kyu nahi batay ki tuje bhi thik manthan ke jese sapne aa rahe hai..??"

Paridhi "nahi siddhi, muje manthan ke jese sapne nahi aate, har sapne me muje ek ladka dikhayi deta hai, jo mujse bahut jyada pyaar karta hai, aur har sapne ke ant mein ek ladki ki awaaz sunayi deti hai, jo aag ki lapto me kaid thi, pehle toh yeh lagta tha ki yeh ladki ko mai janti hu, par fir dhere dhere eshas hone laga ki voh ladki mai khud hu, lekin muje dar lagta, muje lag raha tha ki shayad tum log muje na samaj pao, kyunki haroj ek hi sapne aana..koi aam baat nahi hai, aur muje lagta tha ki sapne hamari life se jude nahi ho sakte..lekin muje aaj pata chala ki yeh sapne..aam sapne nahi hai, kuch bahut hi bada raaz chupa hai inme"

Manthan "pari, yeh toh tune bilkul sahi kaha, ek hi sapna kisi do vyakti ko kabhi nahi aa sakta, aisa tab hi ho sakta hai jab koi bahut badi vajah rahi ho, yaa fir koi aise baat jisse hum dono abhi tak anjaan hai"

Paridhi "yaa fir punar janam, yeh sab main bhi sochti thi, par muje dar lagta tha ki kahi mai pagal naa ho jau, mera yakin karo..maine yeh baat tum sabse share karne ki koshish ki thi, par nahi kar paayi"

Pathik jhallate hue bola "yeh sab toh thik hai..lekin yeh mayank, ise tum dono ke sapno ke baare me kese pata chala..aur jab tune uss truck ka colour bataya, usne aise react kiya jese voh yeh baat pehle se hi janta ho, aur fir usne sabse akhir me kaha VOH PARIDHI HI THI, iska kya matlab ho sakta hai..??"

Manthan ICU ke room ki aur dekhte hue kehta hai "I hope ki use kuch naa ho, muje inn saare sawalo ke jawab chahiye"

Sham ke karib 8 baj rahe the, naresh aur Rajendra cabin me baithe hue baat kar rahe the, tabhi ek nurse vaha par aayi aur usne unhe Mayank ke room me chalne ke liye kaha

Naresh "nurse, uski reports lekar aao"

Nurse "yes doc"

Voh dono chalte hue ICU me aagaye, jaha iss waqt Mayank aaram se laita hua tha, Naresh ne rajendra se kaha "maine apne pure carrier me aisa case aajse pehle kabhi nahi dekha, maana ki human brain ko aajtak koi bhi puri tarah se koi nahi samaj paaya hai but still yeh case sabse alag hai"

Rajendra "kya matlab..??"

Naresh "iski reports, brain scans, MRI's jo maine pichli baar kiye the, usse match nahi ho rahe..they are all different"

Rajendra "tu kehna chahta hai"

Naresh "last time jo reports aaye the, usme uska 75% brain kaam nahi kar raha tha..but now it has been reduced to 45%"

Rajendra "what..?? yeh kese possible hai..??"

Naresh "I don't know, maine reports ko cross check karne ke liye firse saare scans karwaye..and the still results are not same, this time, his brain has crashed only 15%" aur voh teeno report Rajendra ko dikhata hai

Rajendra saari reports dekhkar "yeh impossible hai"

Naresh "sirf itna hi nahi, jitni baar ise mai CT SCAN aur MRI's ke liye le gaya..voho dono hi machine puri tarah band ho jaati hai"

Yeh sunkar Rajendra ko ek bahut hi bada jatka laga aur voh chillate hue bola "kyaa..?? yeh tu kya keh raha hai..?? thik aisa hi mere saath har crime scene me hota hai, aur aisa tabhi ho sakta hai jab.." Voh aage kuch nahi keh paaya

"jab tak koi unknown frequencies interfere naa kare" yeh awaaz mayank ki thi

Mayank ki aawaz sunkar unn dono ka dhyan mayank par gaya, jo apne bed par aram se baitha hua tha, aur rajendra achanak se bola "yes, yes, yeh maine pehle kyu nahi socha..?? but ek min, tuje yeh kese pata, aur tere aisa saath kyu ho raha hai"

Mayank "kya hum ghar chal sakte hai, I will tell you everything"

Naresh "no, u can't, tu chalne ki halat me nahi hai, your brain is not working propoerly"

Tabhi mayank chalte hue uske samne aaya aur Mayank chalta dekhkar naresh chuank gaya aur voh apni aankhe faade use dekhne laga

Mayank "yakin maniye uncle, I am absulotely fine, muje kuch nahi hua hai, and I know ki yeh sab mere saath kyu ho raha hai"

Iske aage naresh kuch nahi bol paaya, aur fir voh sabhi log Manthan ke ghar aagaye

Mathan ke ghar aate hi mayank bola "can I use your lappy" aur bina kuch sune manthan ka laptop chalu kar diya

Manthan "jab khud hi sab karna tha toh pucha hi kyu..??"

Mayank ne ek baar Manthan ki aur dekha aur use ignore karke laptop me kuch karne laga aur fir kuch der baad voh screen ke samne se hat gaya

Screen ko dekhkar kisiko kuch samaj nahi aaya..aur Rajendra bola "yeh toh har koi janta hai, ise dikhane ka kya matlab..??"

Manthan "aap ab bhi nahi samje, PAPA"

To be continued.
 

Update : 19 (Space and Time)

Screen ko dekhkar kisiko kuch samaj nahi aaya..aur Rajendra bola "yeh toh har koi janta hai, ise dikhane ka kya matlab..??"

Mayank "aap ab bhi nahi samje, PAPA"

Ab aage

Mayank ke muh se papa shabd sunkar vaha rahe sabhi log chaunk gaye, kisi ko kuch bhi samaj nahi aa raha tha ki akhir yeh mayank kehna kya chah raha hai

Sabse pehle toh voh bilkul Manthan ki tarah dikh raha tha, usi baat ko lekar sab already bahut jyada pareshan the, fir uske medical reports har baar badal rahe the, aur ab usne Rajendra ko papa kehkar bulaya tha..lekin koi tha jiska dimag yeh sunkar joro se daudne laga

Rajendra kuch sochte hue Mayank se kehta hai "who are you..?? I mean who are you really..??"

Mayank Rajendra ki aur dekhne laga, lekin voh kuch nahi bola, vaha rahe sab log chup chap khade the aur Mayank ke bolne ka intezaar kar rahe the

Kuch der baad mayank chalte hue Manthan ke samne aaya aur usko dekhte hue bola "I am you MANTHAN, but just different"

Yeh sunkar sab logo ko ek jatka laga, Pathik "yeesss, mai janta tha, janta tha ki tu juth bol raha hai, kuch toh hai jo tu chupa raha hai, but still you are not telling the truth, sach bata..kaun hai tu, aur yaha kyu aaya hai..??"

pathik ki baat ko ignore karte hue Rajendra bola "so you mean to say, you can do Time Travel"

Rajendra ki baat sunkar Manthan turant bola "kya..sach me..??"

Pathik "wait wait wait, shayad it makes sense, tu yeh baat janta tha ki HOD class me konsa question puchegi, isiliye tune unn saare questions ko itni easily solve kar diye, because you Lived it, that means you are from the future"

Mayank haste hue bolta hai "nope Pathik, pehle maine bhi yahi socha tha ki mai waqt me piche aa chuka hu, but it's not that, time travel karna itna asan nahi hai, itna toh mai janta hu ki time travel karne par history alter hoti hai..par yeh bhi ek sach hai ki history itni jyada alter nahi ho sakti"

Ranjendra "tu kehna kya chahta hai..saaf saaf bata"

Mayank "pata nahi kese kahu..par yeh baat samajne me muje bhi bahut der lagi" gehri saans lete hue Mayank kahta hai "lekin jab aaj hospital me maine aap dono ki baate suni" Rajendra aur Naresh ki aur ishara kiya "aap ne kaha tha ki jab bhi muje kisi bhi machines ke najdik le jaaya jaata tha..voh machine baar baar band ho jaati thi, tab maine socha ki saari machines digital hai, aur kahi na kahi voh natural frequency par kaam karti hai, but uss frequency ko agar koi different magnitude vali frequency cross karti hai..toh sare digital devices kaam karna band kar denge"

Manthan apna sar khujate hue kehta hai "bhai..tune abhi abhi jo kuch bhi kaha..please hindi me bata, yaha mere toh kya..kisi ke palle kuch nahi pada"

Mayank haste hue manthan ki aur dekhta hai aur "yaad hai jab mai tujse pehli baar mila tab maine tuje apna naam Mayank bataya tha, aaj mai tuje apna asli naam batata hu, I am Manthan Shah, and I guess I am in the wrong universe and I might need your help"

Pathik "tere kehne ka matlab kya hai ki tu dusre universe se hai, I mean kya dusre universe me log Hindi me baat karte hai, yaa voh log bhi hamari tarah bag lekar haroj lectures attend karne ke liye college jaate hai..??"

Pathik ki baat sunkar sabke chehre par muskaan aagayi, aur fir Mayank haste hue kehta hai "hahaha, ha iss Earth se kaafi saari chize mere Earth se milti julti hai"

Siddhi "iss Earth se milti julti hai..matlab, esi toh kitni Earth hai, iss Earth ke alawa..??"

Mayank "abhi tak toh nahi janta tha, but I guaranteed, there are multiple versions of Earth"

Rajendra thodi gambhir hote hue kehta hai "tu yeh kehna chahta hai ki theory of Multiverse is true..??"

Mayank haa me sar hilate hue "yes, theory of multiverse is true"

Pathik "mai nahi manta, yeh sirf filmo me hota hai"

Mayank kuch sochte hue "wait a sec, i can explain you that" or usne ek book li aur uske last page par kuch draw karte hue samjane laga

Usne circular pattern me 6 circles draw kiya aur use kaha "maan lo ki yeh sab Earth hai, har ek Earth apne apne tariko se alag hai like kisi Earth par World War hua hi naa ho, ya Dinosaurs abhi bhi jinda ho.etc.etc, but sab se main baat yeh hai ki yeh sari Earth space and time me ek hi jagah occupy karti hai, lekin yeh sab ek dusre ko dekh nahi paati, kyunki yeh sari Earth alag alag frequencies par vibrate karti hai"

Manthan jo abtak chup khada tha voh kehta hai "fir tu itne yakin se kese keh sakta hai ki tu dusre universe me aa chuka hai"

Mayank simple "bahut se reasons hai, jese ki maine abhi kuch der pehle hi kaha ke muje lag raha tha ki maine time Travel kiya hai, kyunki maine hospital me MOM ko dekha..I mean teri mom ko dekha, muje bahut bada jatka laga kyunki Mom ko vapis dekhna bina time travel ke possible nahi hai, because mere parents ki death tabhi ho gayi thi jab mai 10 saal ka tha, tabse mai yahi sochne laga tha ki mai waqt me piche aagaya hu, maine yeh baat aap sabko batani chahi..par uss waqt mere pass koi proof nahi tha, par aaj mai Pathik ke saath college gaya..aur jab HOD ne tere assignments sign kiye, uss waqt unhone ek date likhe..uss date ko dekhkar mai chuank gaya, kyunki it's the same date, aur yeh koi itifak toh nahi ho sakta, tabhi mai samaj gaya ki kuch toh gadbad hai..aur fir hospital me hue hadso se muje yakin ho gaya ki maine time travel nahi..Dimension travel kiya hai"

Naresh "aur tu baarbar baar behosh ho raha hai, sar me jo dard ho raha hai, kya yeh bhi isi reason ki vajah se hai..??"

Mayank "haa, uncle, yeh Earth ki frequency" voh laptop ki aur ishare karte hue kehta hai "mere Earth ki natural frequency se half hai, aur meri body iss frequency me adjust nahi ho paa rahi, bas usi vajah se mera brain baar baar crash ho raha hai"

Naresh "agar isi rate se tera brain crash hote raha toh tu jyada din zinda nahi reh paayega"

Mayank "I know, I just need a frequency manipulator, but I don't know how to make that, and mai nahi janta ki mai apne ghar vapis kese jaunga, so I guess jab tak mai iss baat ka pata nahi laga deta..I am stuck here"

Rajendra "well, iss chiz me toh mai teri madad nahi kar sakta, because filal muje ek case ke silsile me bahar jaana hai, but you can stay here, aur tuje jo bhi madad chahiye..you will get it, aur mere pass tere liye kuch hai" fir voh apni drawer se ek watch lekar aaya aur usne Mayank ko de di

Mayank uss watch ko dekhkar kuch samaj nahi paaya, tab Rajendra bola "yeh maine kyu banayi thi..mai nahi janta, but shayad yeh tere kaam aajaye, you just need to adjust the frequency"

Mayank uss watch ko dhyan se dekhta hai..aur fir watch ki kuch settings change karke usko pehen leta hai "thank you, it works"

Rajendra ne Mayank ko ek watch di, jo ki voh watch nahi balki ek device thi, jiski through kisi bhi chiz ki frequency alter ki jaa sakti thi, Mayank ne watch ko apne earth ki frequency aur iss earth ki frequency ko sync karke..dono ke bich ki ek stable frequency adjust ki aur usko amplify karke khud par focus kar diya

Rajendra "well, good luck" aur fir voh vaha se chala jaata hai, aur uske saath Naresh bhi vaha se chala gaya, aur ab vaha reh gaye saare dost

Paridhi jo ab tak chup kadhi thi voh kehti hai "par tu yaha par aaya kese..??"

Mayank uski aur dekhta hai, kuch der uski aankho me dekhne ke baad voh dheere se kehta hai "mmm..aa..aiiii nnnnn..nnn..aaa..hhh.iii.iii jjjaa.aa.nnn.tttt..aaa"

Paridhi "kya mere mom dad..kya voh tere Earth par jinda hai..??"

Mayank haa me apna sar hilate hue "haa, they are alive"

Kruti "uss din, tu Paridhi ko dekhkar kyu bhaga tha..??"

Mayank "mai iss baare me abhi kuch nahi keh sakta, I am sorry" ne paridhi ki aur dekhte hue kaha

Manthan "aur tu hamare sapne ke baare me kese janta hai..??"

Mayank ek gehri saans lete hue "because I lived it, voh sapne nahi..meri zindagi hai, voh meri life hai"

Yeh sunkar sabko ek bahut bada jatka laga, Paridhi apni aankhe faade hue Mayank ki aur dekhne lagi

Mayank ne manthan se kaha "ab agar tuje koi problem naa ho toh muje tera laptop chahiye, baaki ki baate mai tum sab ko baad me samjaunga, please I need to go home"

Manthan "thik hai, you can have it"

Mayank ne fir laptop liya aur uski configuration dekhi, aur fir lappy ko jor se vahi par patak diya

Apna laptop tuta hua dekhkar Manthan gusse se chillaya "abe sale ch*tiye, yeh 70k ka laptop hai, tu janta bhi hai 70k matlab kitna hota hai..??"

Mayank "70000, I know, mere earth par bhi same currency use hoti hai, but belive me, yeh configuration mere kuch kaam ki nahi thi, aur I can say that, yeh configuration mere earth par karib 30 saal pehle use hoti thi"

Sab ek saath "kyaa..??"

Pathik "lappy todne ki kya jarurat thi, yeh iss earth ki latest configuration hai"

Mayank kuch nahi bola aur usne laptop ki tuti hui screen ka kaanch ka ek tukda uthaya, aur uss kaanch ke tukde se usne apne shoulder par cut kiya, aur uss tukde ki nokili side ko uss cut me daala aur kuch black colour ki chiz ko usne bahar nikali, ladkiya yeh sab nahi dekh paa rahi thi

Pathik "iss chip ko tune apne body me kyu daal rakha hai..??"

Mayank apne kandhe par rumaal bandhte hue bola "it's an AI, actually on my Earth, hum iss AI ko lekar kahi par bhi jaa sakte hai, AI ka pura software iss chip me store hai, aur muje lagta hai ki shayad yeh AI hi meri kuch madad kar payega"

Laptop ko modify karte hue Mayank ko puri raat nikal gaya, aur Karib dusre din sham ko Mayank ne uss pure laptop ko modify kar diya aur apni uss chip ko uss laptop ke saath connect kiya

Mayank aur Manthan puri raat jage the, neend toh unn dono ko hi aa rahi thi..par iss waqt Mayank ka uss AI ko chalu karna bahut jaruri tha, jo ki usne jyada der na karte hue Lappy ko ON kiya

Lappy ke chalu hote thik bich mese ek 3D projection hua aur vaha par ek transparent screen aagayi..ya yu kahu toh galat nahi hoga ki uss screen me khud AI samne aagaya aur usme se awaaz aayi "Good Evening Sir"

Mayank "Good Evening Gideon"

Yeh sab dekhkar sab log shocked the, voh kabhi Mayank ko dekhte toh kabhi uss AI ko, aur fir Paridhi ne kaha "unbelievable"

Paridhi ki awaaz sunkar Gideon ne uski aur dekhte hue kaha "good evening mam"

Gideon sab ki aur dekh raha tha..lekin Kisi ko samaj me nahi aaya ki Gideon ne sirf Paridhi ko hi kyu wish kiya

Mayank "Gideon, can you tell me where am I, I mean on which Earth..??"

Gideon "sure sir, I can tell you that, you are on Earth-2"

Pathik "hmm, aur total kitni Earth hai..??"

Gideon "Infinite Earth"

Pathik "aur yeh kese pata chala ki yeh Earth-2 hai..??"

Gideon "because I have a software to measure the trans-dimensional energy, and according to calculations, it is an EARTH-2"

Pathik haste hue "kya sach me, yeh kisi sapno se kam nahi hai"

Mayank "Gideon, I want you to analyse, how can I go back to Home"

Gideon "sorry, you can't have the permission"

Mayank "activate Master Control, CODE 0000, ID NO. ML2005"

Gideon "activating Master Control" aur uss screen par loading likha hua aaya, aur karib 5 min ke baad Gideon firse screen par aagaya aur uski awaaz aayi "Master Control Activated"

Mayank "Gideon, access to Multiverse Theory, we need to get back to home"

Gideon "sure sir, but I need 1 hour"

Mayank "okay, take your time, vaise bhi muje bhook lagi hai" aur fir voh Manthan se puchta hai "kya iss Earth par pizza milte hai..??"

Manthan ki jagah Siddhi ne jawab diya "yaa, I think pizza har Earth par common ho"

Mai "yeah, something never changes"

Aur fir voh sab pizza khane ke liye US PIZZA chale gaye, aur vaha par sab log ek dusre se baate kar rahe the, sivay Mayank ke, voh reh reh kar baar baar Paridhi ki aur dekh raha tha, aur yeh baat Manthan ne notice kar li

Manthan "mayank, kya mai tujse ek baat puch sakta hu"

Sabka dhyan Manthan par hua, Mayank "haa, puchna"

Manthan "tune siddhi ke saath itna rudely behave kyu kiya tha..??"

To be continued.
 
Back
Top