Update : 20 (Is He Related to Dexter..??)

Sabka dhyan Manthan par hua, Mayank "haa, puchna"

Manthan "tune siddhi ke saath itna rudely behave kyu kiya tha..??"

Ab aage

Siddhi "haa mayank, voh toh mai bhi janna chahti hu, kuch toh bata..isi bahane hume bhi pata chalega ki dusri earth par kya hota hai..vahi ki life kesi hoti hai"

Mayank "well itna rudely behave karne ke liye I am really sorry, aur kya janna chahte ho"

Kruti "yahi ki tu vaha par kya karta hai, I mean ke teri Earth par bhi log isi tarah college jaate hai..??"

Mayank "haa Kruti, college toh har koi jaata hai, but meri earth par college me yeh sab nahi hota, jo yaha par ho raha hai..like hume assignments likhne ke liye nahi diye jaate, aur naa hi koi student aise copy paste karke raddiya bharta hai, Meri Earth par saari padhayi practically karwayi jaati hai, and infact bachleors degree me har ek student ko ek task diya jaata hai, voh apni marji se koi bhi topic par research kar sakte hai"

Pathik "ohhh cool, so I think tu maths subject par research kar raha hai, right..?? kyunki kal tune class me jo sums solve kiye..it was amazing"

Mayank haste hue kehta hai "hahaha, nahi Pathik, uss type ke sum toh ma bachpan me kiya karta tha"

Kruti chaunkte hai "agar tu uss type ke typical sums bachpan me solve karta tha..toh fir tu aakhir research kis chiz par kar raha hai..?"

Mayank "well, I am a junior scientist at CDC Lab, jo specifically astrology par kaam kar rahi hai, like quantum mechanics"

Pathik "ohhh awesome, agar is tarah ki padhayi yaha par hone lagi toh padhayi karne me bhi maaja aajaye"

Mayank "yeah, but mera manna hai ki padhayi se jyada nayi chizo ke baare me jann ne me maja hai, kyunki hum basics toh school me already padh chuke hai, aur agar uss basics ko hum practically khud implement nahi kar sakte toh fir padhne ka koi matlab nahi hai, padha hua..ya yu kahu ki rata hua sab bekar hai"

Siddhi "toh kya tere earth par results diye jaate hai"

Mayank "nope, results se kisi ko koi matlab nahi rehta, ek mamuli sa paper kisi ke talent ke baare me nahi bata sakta, aur aisa jaruri nahi hai ki har ek student ko padhayi me hi interest ho"

Manthan "seriously, hum sab esi hi life chahte hai, yeh assignments likh likh kar bore ho chuke hai, we want something new, like jesa ki tune kaha"

Kruti "hey guys, agar hamare country ki education system ke baare me baate karne lage toh pura din nikal jayega"

Siddhi "yeah, you are right, so mayank..tere friends, unko tere yaha aane ke baare me nahi pata hoga"

Manthan "haa, aur shayad voh log iss baare me kabhi jaan bhi nahi payenge, isliye toh muje jald se jald ghar vapis jaana hai"

Manthan "par tu yaha par aaya kese..??"

Mayank "sach kahu toh mai khud nahi janta, Gideon ko maine yahi pata lagane ke liye kaha hai, kyunki jab tak muje yeh nahi pata chal jaata ki mai yaha kese aaya hu, mai ghar bhi vapis nahi jaa sakta"

Pathik "tere dost..i mean kya vaha par bhi hum sab dost hai..??"

Mayank haa me apna sar hilate hue "yes, hum sab dost hai, thik isi tarah jese tum sab ho"

Kruti "cool, yaani vaha par bhi siddhi teri girlfriend hai"

Mayank "nahi kruti, siddhi meri girlfriend nahi hai, we don't talk, hum ek dusre se baat nahi karte"

Kruti ajib sa muh banate hue "kyu aisa..?? yeh dono toh ek dusre se baate kiye bina reh hi nahi sakte, jis din baat naa ho, uss din Siddhi mera dimaag kha jaati hai"

Siddhi thoda serious hote hue puchti hai "kya yahi vajah thi ki tune mere saath itna rude behave kiya"

Mayank "haa, because I just hate her, aur jab maine tuje vaha college ke baar dekha toh muje gussa aagaya aur maine voh sab keh diya, I thought ke tu Siddhi hai, I mean mere earth vali"

Manthan "itni nafrat..?? kyu..??"

Mayank "because she ditched me, usne mujse dosti sirf apne fayde ke liye ki thi, school khatam..dosti khatam, par shayad uski kismat itni achi nahi thi, kyunki bachelors ke liye use mere hi saath meri college me aana pada"

Pathik "acha ek baat samja, yeh AI, tune apne shoulder me kyu chupa kar rakha tha..?? aur yeh AI kis type ka hai..??"

Mayank "just for emergency, hamare earth par har kisi ke pass khud ka ek AI hai, aur Gideon ko mai hamesa apne saath rakhta hu kyunki he is one of my best friend, Gideon koi mamuli sa AI nahi hai, he can solve anything, aur voh directly CDC lab ke mainframe ke saath connected hai" fir voh paridhi ki aur dekhte hue puchta hai "kya mai kuch puch sakta hu"

Paridhi haa mein apna sar hilati hai, mayank kehta hai "dekho muje galat nahi samajna par I want to know something"

Paridhi "ha puchna"

Paridhi ki awaaz sunkar Mayank do min chup hi raha aur pari ko hi dekhta raha, fir voh bola "uncle aunty ko kya hua tha, I mean unki death kese hui thi..??"

Paridhi ne gusse se kaha "unhe Dexter ne mara tha"

Mayank apna sar khujate hue kehta hai "Dexter, voh kaun hai..??"

Manthan "wait..tuje sach me nahi pata ki Dexter kaun hai..??"

Mayank naa mein apna sar hilata hai, manthan "sach kahu toh, Dexter ke baare me koi nahi janta, voh kaun hai kaha se aaya hai, no one knows, par kya yeh possible hai ki voh bhi teri tarah tere hi Earth se aaya ho"

Mayank "dexter, par voh paridhi ke mom dad ko kyu maarega..??"

Manthan "usne sirf Paridhi ke mom dad ko hi nahi maara, balke pichle 6 mahino me Dexter 250+ cities ko khatam kar chuka hai, and still counting" fir voh dexter ke baare me sab kuch bata deta hai, log kis tarah se mar rahe hai, aur job hi Dexter ke baare me use pata tha voh sab kuch bata deta hai

Mayank kuch sochte hue "yeh kese ho sakta hai, aisa koi bomb ya weapon mere Earth par bhi exist nahi karta, and jaha tak mai janta hu, pure multiverse me bhi aisa koi weapon nahi banaya jaa sakta"

Mayank ki baat sunkar sab log chaunk gaye, Kruti "agar mayank ki earth par bhi aisa koi weapon nahi hai toh fir voh kaun ho sakta hai..??"

Pathik "voh jo koi bhi hai, use rokna bahut jaruri hai"

Manthan "lekin use rokenge kese..?? Dexter ke najdik koi nahi jaa sakta, US Amry ne bahut koshish ki thi, yeh tum sab bhi jaante ho ki uske najdik jaate hi sab log jaal jaate hai, aur voh jaha se bhi gujarta hai, vaaha sab kuch khatam ho jaata hai, kuch reh jaata hai toh voh hoti hai sirf jali hui raakh"

Tabhi vaha par hall me rahe TV par ek news aayi, reporter "haal hi me Dexter ne ek aur hamla kiya hai, iss baar yeh hamla Noida industrial sector me hua hai" aur TV par ek footage play hone lagti hai

Manthan TV ki aur ishara karte hue kehta hai "Mayank, yeh dekh, yeh jo najaara dekh raha haina, voh jaha se bhi gujarta hai..har jagah yahi haal hota hai"

Aaj bhi TV par thik usi tarah ki laashe dikhaye jaa rahe the, lekin Dexter sirf vaha tak hi nahi ruka, uski taqaat aur bhi badh chuki thi, Noida sector ke haalat bahut hi jyada bure the, kyunki aaj laashe bahut hi kam mili thi, har taraf se dhua nikal raha tha, charo aur jail hui rakhe hi dikh rahi thi

Mayank bhi voh haalat nahi dekh paa raha tha "it's impossible, aisi koi chiz exist nahi karti jo kisi bhi insaan ko iss tarah se jala kar." voh bolte hue ruk gaya

Pathik "kya hua..?"

Mayank "yeh nishaan, yeh maine pehle bhi kahi par dekhe hai" voh TV ki aur ishara karte hue kehta hai

Manthan "yeh toh har crime scene par hote hai, tune TV par dekha hoga, papa ne kaha tha ki yeh shayad Dexter ke chalne ki vajah se ho rahe hai"

Mayank "nahi manthan, mai 6 mahino se coma me tha, yeh nishan maine coma me jaane se pehle dekhe the, par muje yaad kyu nahi aa raha"

Tabhi unn sab ko joro ki awaaz sunayi dene lagi, bahar log idhar se udhar bhaag rahe the, tabhi vaha ka ek waiter jor se chillaya "dexter aa raha hai, nikalo sab yaha se"

Waiter ki awaaz sunte hu vaha rahe sabhi log bhagkar bahar nikalne lage, Mayank ne dekha ki sab log bahut hi jyada dare hue hai..aur voh joro se idhar udhar bhag rahe hai, kyunki kisi ko bhi nahi pata tha ki Dexter kis aur mudega

Manthan jor se chillaya "voh isi taraf aa raha hai, we need to move" aur usne apne right side ishara kiya aur voh sab vaha se bhagne lage

Manthan ka ishara paakar Mayank ne Dexter ki aur dekha, jo ek blue rang ki roshni me lipta hua tha, dhyan se dekhne par uss roshni me ek kankaal najar aa raha tha, aur Dexter teji se bhagte hue isi aur aa raha tha

Mayank ko isi tarah khade dekh Paridhi jor se chillayi "manthan (mayank), chal yaaha se"

Lekin Mayank ne shayad suna nahi, usne apni watch par button dabate hue kaha "Gideon, voh kya chiz hai..??"

Gideon "I don't know sir, mere datebase me iss tarah ki kisi bhi chiz ki koi information maujud nahi hai, but mera system..voh kabse ek unknown energy detect kar raha hai"

Mayank chaunkte hue "energy..?? kis type ki energy"

Manthan (Mayank) bolte hue ruk gaya, uski najar samne ek 8 saal ka bache par padi jo bich raste me khada tha aur Dexter teji se usi ki aur badh raha tha

Mayank ne apni najar fauran Dexter ki aur ghumayi, Dexter usse kuch meters hi dur tha, aur uski rafter bahut hi jyada thi, Mayank uss bache ki aur dekhte hue jor se chillaya "hey kid, watch out"

Mayank ki awaaz vaha par bhag rahe logo ne bhi suni, lekin kisine uss bache ko bachane ki koshish nahi ki, Mayank ko yeh dekhkar bahut hi jyada gussa aaya aur voh khud uss bache ki aur bhaaga

Voh bacha Mayank se karib 10 steps hi dur tha, Mayank ne teji se bhagte hue chalang lagayi aur uss bache ko pakad liya, lekin shayad der ho chuki thi, Dexter mayank ko chute hue vaha se nikal gaya

Mayank raste par gira pada tha, usne khud ko aur uss bache ko sambhalte hue apni najar Dexter ki aur ki..lekin voh tab tak bahut dur nikal chukka tha

Achanak se awaaz sunkar voh chota bacha bahut dar gaya tha aur dar ke maare voh joro se rone laga aur Mayank ko pakad liya, Mayank ne pyaar se uske sar haath firaya aur usse pucha "kya tum thik ho..??"

Voh bacha rote hue haa mein apna sar hilata hai, aur tabhi uski mummy vaha par aagayi aur Mayank ke haath se apne bache ko lete hue usne apne bache ko seene se laga diya aur voh joro se rone lagi

Uss aurat ne apne bacho ko pyaar se bahut saari kiss ki, yeh dekhkar Mayank ki aankhe bhi halki se geeli ho gayi, aur voh aurat rote hue Mayank se kehti hai "thank you, thank you so much, muje pata hi nahi chala ki kab isne mujse haath chuda liya, agar aaj tum nahi hote toh pata nahi mere bache ka kya hota, thank you so much beta"

Mayank "please aunty, thanks kehne ki koi jarurat nahi hai, mai pass me hi khada tha, please iska khayal rakhiyega" Aur usne uss chote bache ke baalo ko pyaar se sehlaya aur uss chote ladke se kaha "ab kabhi bhi apni mumma ka haath nahi choddna"

Aurat "tum thik toh hona beta..?? kyunki maine dekha tha ki dexter ne tumhe chu liya hai"

Mayank "nahi aunty, mai thik hu, shayad aaj meri kismat achi thi, Dexter kaafi teji se chalta haina, isiliye shayad aapko aisa laga ho ki usne muje chu liya hai"

Uske baad Mayank ek aur baar uss chote bache ke sar par haath firaya aur voh apne friends ke pass aagaya

Kruti "you are amazing, tune ek pal ke liye bhi apne jaan ki parwah nahi ki, hum toh kabhi esi daring nahi kar paata"

Pathik "tuje dexter ke samne jaate hue dar nahi laga"

Mayank "isme dar kesa, agar mai nahi jaata toh pata nahi uss bache ke saath kya hota"

Manthan "tune uss aunty se juth kyu kaha..??" yeh sunkar sab log Manthan ki aur ghurne lage

Mayank "maine kya juth kaha"

Manthan "tu janta hai ki mai kya puch raha hu"

Mayank haa mein apna sar hilata hai, jise dekhte hi Paridhi ek dum gusse me aagayi aur voh Mayank par chillate hue kehti hai "tu pagal toh nahi ho gaya na, tuje apni fikar hai yah nahi, kuch toh khayaal kar leta"

Paridhi ka aisa behaviour dekhkar sab log uski aur dekhne lage, mayank bhi chaunkte hue kehta hai "relax, relax, I am fine, dekh muje kuch nahi hua"

Paridhi "bada aaya fine vala, hero banne ka bahut shock hai, agar tuje kuch ho jaata toh"

Mayank "hey hey, calm down, I am absolutely fine, muje kuch nahi ho sakta"

Siddhi "paridhi shant, tu kyu itna hyper ho rahi hai, tune dekha nahi usne uss bache ko bachaya hai"

Paridhi ko apni galti ka eshas hua, aur voh kehti hai "I am sorry, voh Dexter ko dekhkar muje gussa aagaya tha, yeh bhi toh hamara dost hai, I mean isne abhi kaha ki uske earth par hum sab dost hai, toh bas use kuch ho jaata toh"

Manthan inn sab ko ignore karte hue kehta hai "manthan maine dekha tha ki jab tune challang lagayi, tera pair Dexter ko peeche se chu gaya tha, lekin tere saath aisa kuch kyu nahi hua jo baakiyo ke saath ho raha hai..??""

Manthan ki baat sunkar sabhi logo ko ek jatka laga, kyunki kisine bhi yeh baat nahi sochi thi, Mayank ek gehri saans lete hue kehta hai "I think I know him, tune jo dekha voh sach tha, mera pair Dexter ko chu gaya tha, but I am not sure ki jo mai soch raha hu yeh vohi hai"

Fir voh apni watch se Gideon se kehta hai "Gideon, kya mai jo soch raha hu, kya yeh Dexter.." voh bolte hue ruk gaya

Gideon "yes sir, it's him, I have analysed his energy"

Mayank apne dimaag par jor daalte hue kehta hai "thanks Gideon, aur mai janta hu ki yeh nishan" jo vaha par Dexter ke gujarne ki vajah se bane hue the "maine kaha dekhe the, Mumbai..ussi jungle me jaha se yeh sab shuru hua tha"

Pathik "shuru hua tha matlab..??"

Mayank "agar jo mai soch raha hu, yeh vohi hai toh this Earth is in a danger..a big danger, Dexter se iss Earth ko ab koi nahi bacha sakta"

Kruti "tu janta hai Dexter ko..??"

Mayank ne Kruti ki aur dekha aur bola "I need to go, muje Mumbai jaana hai, abhi isi waqt"

Manthan "hum sab saath chalenge"

Mayank "noo, it's not safe, mai tum sab ko vaha lejaakar kisi khatre me nahi daalna chahta"

Paridhi "manthan, please, mana mat kar, yeh ladayi teri nahi hai..hum sab ki hai, please manthan, hum sab bhi madad karna chahte hai, aur muje mere mom dad ki.." voh kehte hue rone lagi

Paridhi ne itne pyaar se kaha tha ki Mayank khud ko rok nahi paaya, Mayank janta hai ki yeh Paridhi uski Pari nahi hai, fir bhi voh Paridhi ki aankho me aansu nahi dekh paa raha tha, voh chalte hue uske pass gaya aur Paridhi ki aankho se aansuo ko hatate hue kahta hai "thik hai, but promise me ki agar kuch bhi gadbad hui toh tum sab vapis aajaoge"

Paridhi smile karte hue "promise" aur voh manthan (mayank) ki aankho me dekhne lagi

Voh dono hi ek dusre ki aankho me dekh rahe the, aur Inn dono ko iss tarah se dekhte hue Kruti dheere se kehti hai "achanak pari ko kya hua..?? use maine itni shant pehle kabhi nahi dekha"

Siddhi "pata nahi, par mai kabse notice kar rahi hu, voh thi toh hamare saath, lekin kal se uska pura dhyan sirf Mayank par hi tha"

Kuch der baad Mayank sabse kehta hai "let's go"

To be continued.
 

Update : 21 (Kya yeh Pyaar hai..??)

Dexter ke baare me jaankar Mayank ko ek bahut bada jatka lagta hai, voh Manthan ke room me baithe hue kuch soch raha tha, vahi dusri aur Manthan aur Pathik bahar haal me baithe hue baate kar rahe the

Pathik "manthan, tuje kya lagta hai..?? kya Mayank Dexter ko rok paayega..??"

Manthan "Pathik..yeh uski ladayi nahi hai, hum uspar depend nahi reh sakte"

Pathik "par yaar, tune bhi dekha hai..sirf vohi ek hai jo Dexter se bacha hai"

Manthan "mai janta hu Pathik, lekin Dexter se ladne ke liye sirf yeh kaafi nahi hai..Dexter ke chune ka asar Mayank par nahi hota..sirf yeh sochkar hum Mayank ko maut ke pass nahi bhej sakte, voh toh bechara yeh bhi nahi janta ki voh hamare earth par kese aagaya hai, voh already bahut jyada pareshan hai aur Dexter ke baare me use batana sahi nahi hoga..infact hume Mayank ki madad karni chahiye, taaki voh apne ghar..apne earth par vaapis jaa sake"

Kruti, Siddhi aur Paridhi bhi apne apne ghar se vapis aa chuki thi, unn tino ne Manthan ki baat sun li thi, aur fir Siddhi kehti hai "you are right manthan, Dexter hamari problem hai, we should help him"

Paridhi bhi Siddhi ki baat ka saath dete hue kehti hai "yeah..we should help him, par voh hai kaha..??"

Kruti chidate hue "kya baat hai pari, aaj uski bahut fikar ho rahi hai, hamare manthan ki tune itni fikar kabhi nahi ki..??"

Paridhi thoda sa haklate hue kehti hai "are voh..voh Mayank hamare earth par akela haina..bas isiliye, varna tu jesa soch rahi hai vaisa kuch nahi hai"

Kruti "par maine toh kuch socha hi nahi, aur mayank akela kaha hai..hum sab uske saath hai"
aetsch.gif


Paridhi apni jibh ko apne hi daanto se kaat ti hai aur fir "are voh..voh mai paani peekar aati hu" aur voh turant hi vaha se bhaag jati hai, aur vaha sab hasne lagte hai

Pathik "chalo hamara manthan naa sahi..dusre manthan ki vajah se iski smile toh vaapis aayi"

Sabhi log Pathik ke baat se sehmat hote hai, aur fir voh sab Manthan ke room me jaate hai aur andar ka najara dekhkar sab log dang reh jaate hai

Room ke charo aur transparent images thi, har ek image Dexter ke hamlo ke baare me thi aur Mayank unn saari images ko dhyan se dekh raha tha

Mayank "Gideon, muje Dexter ke baare me saari information chahiye"

Manthan "par kyu..??"

Manthan ki awaaz sunkar Mayank uski aur dekhta hai, aur fir haste hue voh sari pics ko apne haatho se close kar deta hai

Siddhi "kahi tu Dexter se fight karne ke baare me toh nahi soch raha na..??"

Mayank "filal toh yes, aur vese bhi mere pass bahut waqt hai"

Paridhi "par yeh ladayi teri nahi hai"

Mayank "haa janta hu ki yeh ladayi meri nahi hai, maine Dexter ke baare me sab kuch padha hai, voh tabse active hua hai jabse mai iss Earth par aaya hu, so kahi na kahi yeh sab kuch meri hi vajah se ho raha hai, and besides iss earth ke pass mere alawa aur koi option nahi hai, sirf mai hi uske karib jaa sakta hu"

Manthan "nahi..tu aisa kuch nahi karega, hamari governments Dexter ko rokne ke liye kuch na kuch toh jarur karegi"

Mayank "kuch nahi kar sakte..tu bhi yeh baat ache se jaanta hai, sirf 10 minutes me Dexter ne almost 60% US army ko khatam kar diya tha, aur mai galat nahi hu toh US Army iss earth ki sasbe powerful aur sabse badi army hai, agar Dexter unhe chutkiyo me khatam kar sakta hai..toh socho voh aur kya kuch nahi kar sakta"

Paridhi "par Manthan.."

Pari ki baat ko bich mese kaat te hue Mayank kehta hai "nahi pari, don't worry, Dexter ko hum sab milkar rok lenge, bas muje tum sab ki madad chahiye"

Manthan ek gehri saans lete hue "thik hai, hume kya karna hoga"

Mayank haste hue kehta hai "Gideon..let's do this, tum jante ho tumhe kya karna hai"

Gideon "yes sir, connecting to main server..connected to CID Lab"

Pathik "yeh tune kese kiya, CID lab ke main servers me koi connect nahi ho sakta, yeh impossible hai"

Mayank haste hue "hahaha, CID ke main servers me connect hona koi badi baat nahi hai, mere earth par yeh kaam ek chota bacha bhi kar sakta hai"

Siddhi "agar CID valo ko pata chal gaya toh Manthan ke Dad ki job chali jayegi"

Mayank "ohh come on siddhi, Gideon ki technology iss earth ke sabse advanced technology se bhi kahi aage hai, Gideon Ethernet aur proxy loop use karega, koi Gideon ko trace nahi kar payega..infact kisi ko pata bhi nahi chalega ki unke main Servers me koi aur connect bhi hua hai"

Gideon "sir, mai ek baat kehna toh bhul hi gaya"

Mayank "konsi baat..??"

Gideon "sir, Dexter ki main power uski raftar nahi hai, voh jaha se bhi gujarta hai..uske aaspass ek unkown energy present hoti hai, aur uski vajah se sare digital devices kaam karna band kar deti hai"

Mayank "how did you now that"

Gideon "sir, jab aap Dexter ke karib gaye, uss waqt aapki watch ne kuch waqt ke liye kaam karna band kar diya tha aur vaha maujud harek phone band ho chuke the, aur sirf itna hi nahi..vaha rahi saari digital devices bhi kuch waqt ke liye band ho gayi thi"

Mayank "thanks gideon, CID ke servers se Dexter ki saari information study karni hai, and check it ke hamare mainframe me uske baare me koi information hai yaa nahi"

Gideon "okay sir, i will do it"

Uske baad voh sab log Mumbai jaane ke liye nikal pade, safar kaafi lamba tha..aur train se jaane ki vajah se unke 1 din toh lagna hi tha

Pure raste me Mayank shant hi raha, voh bas apne watch ke saath kuch kar raha tha, aur vahi baaki sab log masti kar rahe the

Paridhi baar baar mayank ki aur dekh rahi thi..voh uske pass hi baithi thi, voh mayank se puchti hai "akhir tu kar kya raha hai"

Mayank "hmm..kuch nahi, bas kuch modifications kar raha tha, taaki next time Dexter ke pass jaane par yeh kaam karna band naa kare"

Paridhi "toh..ho gaya..??"

Mayank haa mein apna sar hilata hai "haa, it's done"

Pathik "yaar, tu kitna kaam karta hai..thoda chill bhi kar le"


Manthan "hahaha, ha bhai..hamare group me sirf yeh hi akela single hai, isliye ise chill karna jyada pasand hai" ispar sab log hasne lagte hai

Pathik "ha toh kya hua, mai janta hu meri bhi ek gf hogi"

Kruti "haa, par voh teri nahi..Mayank ke earth vale pathik ki hogi"

Kruti ki baat sunkar pathik turant bolta hai "kya yeh sach hai, kya pathik ki gf hai..?? I mean tere earth par"

Mayank haa mein apna sar hilata hai, Pathik "kaun hai..?? uska naam kya hai..??"

Mayank kruti ki aur dekhte hue kehta hai "well, on my earth, tum dono couple ho" voh kruti aur pathik ki aur ishara karte hue kehta hai

Kruti aur pathik dono hi ek dusre ko ghurne lagte hai, fir siddhi kehti hai "toh fir teri gf kaun hai..??"

Siddhi ki baat sunkar Mayank kuch nahi bola, voh sabse excuse karke train ke gate ke pass aakar khada ho gaya

Mayank ko jaate dekh sab usi ki aur dekhne lage, koi kuch kehta uske pehle Paridhi kehti hai "mai jaati hu uske pass" aur voh vaha se chali gayi

Pathik "ise kya hua..??"

Kruti "pata nahi, par jabse mayank aaya hai, tabse voh kaafi badli badli si lag rahi hai"

Manthan "matlab..??"

Siddhi "matlab yeh ki voh baate toh hamse karti hai, par uska pura dhyan Mayank par hota hai"

Pathik "ho sakta hai ki Mayank ki voh baate sunkar aisa kar rahi ho, I mean Paridhi ko bhi sapne aate hai..aur voh Mayank ki life se jude hai, yaa fir Mayank ne kaha tha ki uske earth par pari ke mom dad jinda hai"

Manthan kuch sochte hue "nahi pathik, baat kuch aur hi hai, mayank bhi baar baar paridhi ki aur dekh raha tha, uske aankhe me kisi ke khone ka dard dikh raha tha"

Siddhi "kahi yeh sab uss earth vali siddhi se toh related nahi hai..??"

Manthan "pata nahi..yaa fir Paridhi se bhi relate ho sakta hai, dekha nahi tha Gideon ne sirf usko hi greet kiya tha"

Vaha train ke gate par khade khade Mayank cigeratte pee raha tha, vese usne Manthan ko cigeratte peete hue kahi baar dekkha hai, paar aaj pata nahi Mayank par use bahut gussa aaya, aur voh jor se chillayi "tuje apni koi fikar hi nahi hai na..??"

Paridhi ki awaaz sunkar Mayank piche muda par usne cigeratte chupane ki koi koshish nahi ki, Paridhi ne firse kaha "isme kya milta hai tuje..??"

Mayank "tu nahi samjegi"

Pari "toh samja muje, muje bhi jaana hai ki yeh cigeratte me aisa toh kya hai"

Paridhi ki yeh baat sunte hi use apni Pari ki yaad aagayi, Mayank ek saans lete hue uss cigeratte ko vahi par faink deta hai, par paridhi ne usko ghurna band nahi kiya, jise dekh mayank ne apni jeb mese cigeratte ka pura packet nikal kar train se bahar faink diya

Paridhi yeh dekhkar smile karti hai aur fir mayank se kehti hai "please na, tu iss cigeratte ko chod de, mere khatir"

Yeh sunkar Mayank paridhi ki aur dekhne laga, Paridhi ke uss maasum se chehre ko dekhta raha, khubsurat chehra..kaali aankhe, patle hoth, aankho me halka sa kaajal, aur chehre par koi makeup nahi, fir bhi Paridhi bahut pyaari lag rahi thi, Mayank jyada der Pari ko dekh nahi paaya, aur usne apni aankho ko niche kar diya

Sach toh yeh tha ki Mayank ko iss waqt apne Pari ki bahut yaad aa rahi thi, jiss wajah se uski aankho me aansu aagye jo Paridhi dekh leti hai

Voh chalte hue Mayank ke pass aayi aur apne haatho ko usne Mayank ke chehre par rakhe aur uska chehra upar kiya..Mayank aur Paridhi dono hi ek dusre ki aankho me dekh rahe the, Paridhi pyaar se uske aansuo ko saaf karti hai

Naa toh Mayank kuch bol raha tha aur nahi Paridhi kuch bol rahi thi, dono hi ek dusre ki aankho me dekh rahe the, Paridhi ki pyaari harkat dekh Mayank khud ko rok nahi paaya aur usne turant hi Paridhi ko hug kiya aur rote hue usse kehta hai "I am sorry Pari, I am really sorry, please..please muje maaf kar de"

Paridhi ne mayank ko thodi der rone diya, aur fir usse alag hote hue "manthan..hum dono sirf dost nahi the..haina..??"

Mayank yeh sunkar thoda piche hua, use ehsas hua ke samne vali ladki uski Pari nahi hai, voh haklate hue bola "vv..vvoo.hh..hh, ii..ii, aa.mm.m, sss..ss.oooo rrryyy, voh mai thoda bhatak gaya tha"

Paridhi "it's okay, but please tell me the truth, hum dono friends se kuch jyada the"

Mayank haa mein apna sar hilate hue kehta hai "haa, I love her, hum dono hi ek dusre se bahut pyaar karte the, par tuje kese pata chala ki.." voh bolte hue ruk gaya

Mayank Paridhi ki aur dekhta hai, Pari dheere se puchti hai "kya hua tha uss raat ko..?? voh aag kese lagi thi, aur mai..mai uss aag me kese pahuchi..?? aur voh bhagta hua ladka..voh tu hi thana..??"

Mayank ajib si shakal banate hue dekhta hai, Paridhi "I mean muje apna naam lena thoda awkard lag raha hai, so maine Paridhi ki jagah mein mai keh diya, sorry agar tuje kuch bura laga ho toh"

Mayank "na na, aisa kuch nahi hai, bas uski yaad aa rahi thi"

Paridhi "uss earth par mai jinda nahi huna..??"

Mayank "tuje kese pata..??"

Paridhi "teri aankhe bata rahi hai, maine tuje mujko ghurte dekha hai, pehle toh laga ki shayad yeh mera veham hai, par jab maine teri aankho me dekha toh pata chala ki tu bahut upset hai, uss din bhi jab Siddhi tujpar chillayi thi tab tu muje hi dekhkar bhaaga tha, aur aaj subah class me tu muje hi dekhe jaa raha tha, aur toh aur Gideon ne sirf muje hi greet kiya tha, bata na kya hua tha Paridhi ke saath"

Mayank apne aankho ko jor se band karte hue kehta hai "kaash ki mai Pari ko apne saath nahi le gaya hota, toh voh aaj jinda hoti, meri hi vajah se voh maari gayi hai, aarav ne mana bhi kiya tha, par mai hi nahi maana"

Paridhi "aarav, voh..voh bhi jinda hai vaha..??"

Mayank "haa, he is alive"

Paridhi "please bata na, kya hua tha uss raat ko, muje jaan na hai"

Mayank "thik hai, but yaha nahi, Mumbai chalkar mai sab kuch bata dunga, I promise"

Paridhi smile karte hue "thik hai, ab chalna hai yaa yahi khade rehne ka irada hai"

Mayank "mai kuch der yahi rukunga"

Paridhi "thik hai, but no cigeratte, promise me"

Mayank smile karte hue kahta hai "thik hai..no cigeratte, I promise"

To be continued.
 

Update : 22 (A Black Day)

Location : CDC Lab, Earth-2

Time : 6:00 PM

"aakhir kar voh din aahi gaya jiska hum sab ko besabri se intezaar tha, aaj raat thik 10 baje CDC lab ke owner yaani Dr. Avishkar apna experiment shuru karenge, unka kehna hai ki agar unka yeh experiment kamiyab ho gaya toh duniya ke kahi saare anginat raaz sulaz jaayenge" kehte hue voh reporter CDC lab ki kuch tasweere dikhane lagi

Vahi andar CDC lab me kayi log alag alag department me kaam kar rahe the, Dr. Avi dusre scientists se apne project ke baare me baat kar raha tha, apni baat khatam hote hi voh apne cabin ki aur jaane laga ki bich me uski najar ek junior scientist par padi jo usi ki aur aa raha tha

Junior "good evening sir"

Avi "good evening, all good..??"

Junior "yes sir, everything is fine"

Avi "and what is the status of every systems..??"

Junior "all the systems are perfectly stable and they are working absolutely fine"

Avi "okay good, and what is the status of main core reactor" voh aage kuch kehta uske pehle hi vaha ek lady aayi aur Avi ki baat ko bich me hi kat te hue kehti hai "Dr. Avishkar, maine sab kuch check kar liya hai, don't worry"

Avi uss lady ko dekhte hue smile karta hai "Dr. Disha, yeh project mera sabse bada dream hai aur mai koi risk nahi lena chahta"

Disha "mai janti hu Avi, par tu sabse ek hi baat puche jaa raha hai, just chill..itni tension karna sehat ke liye acha nahi hai and I think ab tuje kuch der aaram kar lena chahiye, tu aaj subah se kaam kar raha hai, and besides 9:30 baje press conference bhi hai..yaad haina..??"

Avi "jiske pass itni achi biwi ho toh use yaad rakhne ki koi jarurat nahi hai" fir voh vaha se jaane laga aur tabhi use kuch yaad aaya "manthan kaha hai..??"

Junior "sir voh actually apni girlfriend ke saath hai, usne kaha tha ki voh Accelerator chalu hone se pehle vapas aa jayega" aur fir Avi aur Disha vaha se apne cabin me chale gaye

Cabin me jaate hi Avi ne Disha ko hug kiya aur kiss karte hue usse kehta hai "finally aaj voh din aa hi gaya"

Disha "all credit goes to you, yeh sab tere hi hard work ki vajah se hua hai"

Avi naa mein apna sar hilate hue "naa mere nahi, hum sab ki madad se hua hai, bas aaj raat koi gadbad naa ho"

Disha "koi gadbad nahi hogi jaan, sab thik hoga" fir kuch der rukkar voh puchti hai "voh ladka..Manthan, tuje use lagav ho gaya haina..??"

Avi haa mein apna sar hilata hai "haa disha, uske pass bahut knowledge hai, iss project ko lekar voh mujse bhi kahi jyada excited hai, infact voh toh yaha se jaana hi nahi chahta tha..par maine hi use bheja hai"

Disha "hmm..janti hu, uski story bhi kuch kuch teri tarah hi hai"

Somewhere in the City

Loaction : Infinity Mall

Khair infinity mall ke baare me toh har koi jaanta hai, khastaur par ladkiya aur young couples yaha par bahut aate hai, kyunki yeh mall hi kuch aisa hai

Vaise bhi shopping ke liye toh har ladki deewani hoti hai, aur agar baat infinity mall me shopping karne ki ho toh ladkiya peeche nahi hat ti

Ek ladki alag alag shop se apne liye kapde dekh rahi thi, aur uske saath me jo ladka tha use dekhte hi lag raha tha ki use shopping bilkul bhi pasand nahi hai, voh ajib si shakal banate hue uss ladki se kehta hai "yaar ab bas kar, abhi aur kitni shopping karegi"

Ladki apni pyaari aankho se uss ladke ki aur dekhte hue kehti hai "bas ek last manthan, pakka"

Manthan "pari..dekh agar teri vajah se mai CDC lab waqt par nahi pahuchana toh.." voh bolte hue ruk gaya

Pari "toh kya..??"

Manthan "toh..toh na mai tujse baat hi nahi karunga"

Pari dhere se manthan ke pass aati hai aur uske kaan me kehti hai "kya sach me tu mujse baat kiye bina reh paayega..??"

Pari ki baat sunkar Manthan rone vaali shakal banata hai "tu jaanti hai fir bhi aisa keh rahi hai, mai tujse baat kiye bina nahi reh sakta"

Paridhi "hum first time Mumbai aaye hai, thodi bahut shopping toh karni hi chahiye"

Manthan "thodi bahut..yeh thodi bhahut hai, hum pichle 5 hours se shopping hi toh kar rahe hai"

Paridhi "acha..ab tu apni gf ke liye itna bhi nahi kar sakta" voh itne pyaar se bolti hai ki manthan bas dekhta hi reh gaya, aur voh dheere se kehta hai "tere liye hi toh yeh sab kar raha hu"

Thodi der aur ghumne ke baad voh dono CDC lab ki aur jaane ke liye nikal gaye, abhi bhi 15 min baaki the, CDC lab ke main gate ke pass pahuchte hi Manthan kehta hai "tu jaanti hai pari, aaj ke din ka mai kabse intezaar kar raha tha, finally aaj particle accelerator on hoga, agar yeh successful hua toh sab kuch badal jaayega, even hum universe ke bhi kahi saare raaz jaan sakte hai, hum unn saari theories ko wrong prove kar denge jo yeh kehti hai ki light se jyada speed kisi bhi cheez ki nahi hoti"

Pari usko dekhte hue "ha baba, mai jaanti hu, kitni baar bataega"

Manthan "ohh haa..voh sorry, mai bahut jyada excite ho gaya tha"

Pari uske shoulder par apna sar rakhte hue kehti hai "iss excitement me kahi muje bhool mat jaana"

Manthan turant apna chehra pari ki aur karte hue puchta hai "aisa kyu lagta hai ki mai tuje bhool jaunga"

Pari "kuch nahi" aur voh firse manthan ke kandhe par apna sar rakh deti hai

Manthan pyaar se uske chehre ko apni aur karta hai aur puchta ha "please pari..batana, tere mann me kya chal raha hai"

Pari "voh tu hamesa science ki hi baate karta rahta hai, hum kahi bhi ghumne jaate hai..tu hamesa yahi baate karta rehta hai, aisa lagta hai ki mai teri gf nahi..balki science teri gf hai"

Manthan "I promise you pari, mai tuje kabhi nahi bhoolunga, chahe kuch bhi ho jaaye..you are my first priority"

Manthan ko itna serious dekh Pari jor jor se hasne lagti hai, aur fir manthan ke sar par haath firate hue kehti hai "pagal..mai toh masti kar rahi thi..I love you"

Manthan "I love you too"

Voh dono baate karte hue lab ke main hall me pahuch gaye..jaha par kaafi saari bheed jama hui thi, ki tabhi vaha par ek announcement hui "Dr.Avishkar is here" aur unke aate hi sab log jor jor se taaliya bajane lage, aur Dr.Avi ke stage par aate hi photographers unki pics lene lage aur reporters ne apne sawalo ki barsaat kar di

Reporter 1 "Sir..kya aap hame bata sakte hai ki particle accelerator kese kaam karega..??"

Avi "sure, Particle accelerator is nothing but yeh ek lambi underground circular tunnel hai, jiske andar humne artificial vacuum create kiya hai, aur iss tunnel me humne pehle alpha particles aur hydrogen particles, dono ko baari baari se inject kiya tha, aur electromagnetic field ki madad se humne unn particles ko energised kiya, jisse unn particles ki velocity kaafi had tak amplify hui, par yeh velocity light ki speed se bahut kam thi"

Reporter 1 "so iss baar aap kya naya karne vale hai..??"

Avi "iss baar hum tachyons ka use karenge, basically in theories..tachyons ki raftar light ki speed se bhi jyada hai, so agar mai aur meri team, yaha par tachyons ko uss speed par stable karne ki koshish karenge, aur agar hum tachyons ko stable kar paaye, then it will be blessings for us"

Reporter 2 "aur agar aapka experiment fail hua toh..??"

Avi "toh yeh pura city khatam ho jayega"

Yeh sunkar sab log chaunk gaye, fir Avi haste hue kehta hai "relax, aisa kuch bhi nahi hoga, humne sari calculations ki hai aur har tarah ke precautions bhi liye hai, so don't worry aisa kuch nahi hoga..and agar koi gadbad hoti bhi hai, toh hum iss pure system ko band kar denge"

Reporter 3 "isse kya fayda hoga..??"

Avi "aap log har chiz fayde ke liye hi karte ho..??"

Reporter 3 "nahi sir..mera matlab voh nahi tha"

Avi "well fayda kya hoga voh toh mai nahi jaanta, par itna jarur keh sakta hu ki universe ke kahi saare raaz ko jaane ka ek rasta jarur mil jayega"

Reporter 2 "sir, aapke iss project me kitne log jude hue hai"

Avi "yaha hamari pure 25 logo ki team hai"

Aur bhi kahi tarah ke sawal jawab hue, aur finally thik 10 baje Dr.Avi apne cabin me agaya aur apni team ko particle accelerator chalu karne ka ishara kiya

Jab pipeline me vacuum create hogaya toh Avi ne khud operating panel par ek button press kiya aur Pipeline me Tachyons ka ek particle inject hua

Yeh puri procedure bahar hall me rahi projector screen par ek animation me dikhayi de raha tha aur uske baad vaha rahe sabhi log taaliya bajane lage

Dr. Avi ki team mese ek ne kaha "congratulations sir, we have done it"

Disha "you did it" aur usne Avi ko hug kiya

Fir ek ek karke sabhi logo ne Avi ko greet kiya, aur Avi bahar aate hi announce karta hai "we have done it"

Manthan bhi Avi ke pass aaya aur usne kaha "congratulations sir"

Avi "well thank you my boy, so is she here..??"

Manthan pari ki aur ishara karte hue "yes sir..voh vaha hai" ki tabhi cabin se Disha aayi aur usne dheere se kaha "avi, I think there is a problem"

Disha ki baat sunkar Avi aur Manthan dono hi vaaha se bhaage aur main computer ke pass gaye, vaha jaate hi Avi ne operator se pucha "what happened"

Operator "I don't know sir, sab kuch thik chal raha tha, 10 minutes tak sare system normal conditions par the, reactor core bhi stable tha, par achanak..achanak tachyons mese koi unknown energy release hui..aur hamare systems kuch seconds ke liye band ho gaye aur reactor unstable ho gaya"

Tabhi screen par "SYSTEM UNSTABLE" likha hua aaya, Avi ne fauran kaha "saare systems band karo, I repeat, shut down everything immediately"

"we..we are sorry sir, koi command kaam nahi kar raha" side mese ek scientist ne kaha

Avi bhagte hue uske pass gaya aur voh khud supercomputers me command dene laga, par voh kuch karta uske pehle vaha par ek bahut bada dhamaaka hua aur sare systems band ho gaye, vahi bahar hall me sare electrical instruments band ho gaye aur ek dhamaaka hua aur charo aur aag lag gayi

Aag lagte hi logo ne idhar udhar bhaagna shuru kiya, sab log jaldi se uss main hall se bahar nikalna chahte the

Pari manthan ko idhar udhar dhund rahi thi par use voh kahi naa dikha, aur bheed ke bhaag daud se Pari ko dhakka laga aur voh side me aakar gir padi, voh khud ko sambhal ti uske pehle upar se ek pathar ka tukda tutkar uske kandhe par laga

Pari ke muh se dardnak awaaz nikli, par shayad yeh kaafi nahi tha ki Tabhi upar raha ramp tutkar pari ke charo aur gir pada jisme bahut bhayankar aag lagi hui thi

Dhamaaka sunkar Manthan bhagte hue cabin se bahar aaya aur uski najar samne Pari par padi..jo aag ke ghere me akele baithi hui thi, Manthan daudte hue uske pass jaa raha tha..aur pari jor jor se chilla rahi thi "help..please help me"

Kuch seconds ke liye Manthan aur Pari ki najre ek dusre se mili, unn dono ki hi aankho se aansu beh rahe the, aur jese Manthan uss jalte hue ramp ke karib pahucha usne chalaang lagayi, aur thik voh ramp ke upar pahucha hi tha ki vaha ek aur bahut bada aur bhayankar dhamaka hua jisse Manthan teji se peeche ki aur udne laga, voh kuch samaj paata uske pehle uska sar sidhe jaakar ek paid se takraya

Uss dhamake aur aag ki vajah se Mayank ke sharir ke har hisse se khun nikal raha tha, aur sar me chott lagne ki vajah se uska sharir uska saath nahi de raha tha, badi muskil se uski aankhe bhi khul rahi thi

Lekin abhi bhi uski aankho ke samne Pari ki vohi parchayi dikh rahi thi, voh badi muskil se khada hua aur Pari ki uss parchayi ke pass jaane laga, par voh jyada dur nahi jaa paaya aur vohi par girkar behosh ho gaya

"manthan..manthan, kaha kho gaya" kehte hue Pari ne manthan (mayank) ko uski soch mese bahar nikala

Mayank "voh..voh kuch nahi, kya hua..??"

Pari ajib si shakal banate hue "kya hua..?? tu yaha pichle 1 hour se baitha hai, are you okay..??"

Mayank "sorry, chalo" fir voh bhi sabke saath aakar baith gaya aur sabse baate karne laga

Achanak se Kruti ne puch liya "mayank, tu hamesa itna sad rehta hai..??"

Mayank "nahi, bas uske jaane ke baad se"

Siddhi "kiske jaane ke baad..??"

Paridhi "hey guys, please abhi iss baare me hum baat naa kare toh hi acha hai" sab log pari ko ghurne lage

Mayank haste hue kehta hai "it's okay pari, don't worry..I am fine, kabhi na kabhi toh inhe pata chalna hi hai"

Pathik "kya pata chalna hai..?? ab kya chupa raha hai..??"

Mayank kruti ki aur dekhte hue kehta hai "yaad hai tune mujse kaha tha ki mai uss din Pari ko dekhkar kyu bhaga tha..??"

Kruti haa mein apna sar hilati hai, Manthan "kya..?? Pari bhi..??"

Mayank "haa, pari mere aankho ke samne mari thi, kash ke mai use nahi le gaya hota toh voh jinda hoti"

Kruti "toh isliye jab tune Pari ko dekha toh." voh bolte hue ruk gayi

Mayank "haa, isliye..par Pari sirf meri dost nahi thi, she was my girlfriend and I love her"

Uske baad kisine kuch nahi pucha, aur voh log idhar udhar ki baate karte rahe

Mumbai pahuchne ke baad Pathik ne kaha "Mumbai toh aagaye..ab aage kya..??"

Mayank "ab hum vaha jayenge..jaaha se yeh sab shuru hua tha" aur voh log uss gaanv ki aur nikal pade

To be continued.
 

Update : 23 (Unknown Energy)

Location : Crime Branch, MUMBAI

Time : 6:00 PM

Crime branch me iss waqt kaafi chehal pehal ho rahi thi, Commissioner ke saath DY Commissioner, SP, DSP aur SWAT Force ke 3 members crime branch ki main unit me aa chuke the

Dexter ka atank har din badhte hi jaa raha tha, haroj begunah log mar rahe the..par abhi tak Dexter ke baare me kisiko koi bhi jaankari nahi thi

Pura desh..ya yu kahu ki puri duniya par Dexter ka atank faila hua tha, koi nahi janta tha ki Dexter kaha se operate karta hai, ya uska agla hamla kaha par hoga

Dexter se ladne ke liye Indian Government ne ek special force banayi thi..jiska naam SWAT Force tha, SWAT Mumbai ke crime branch se operate hoti thi, Mumbai ke jungle mese jis ladki ki death body ko further study karne ke liye DELHI bheja gaya tha..uski abhi tak koyi report nahi aayi thi

Yeh log iss waqt conference room me baithe hue the, SWAT Force ka caption commissioner se puchta hai "sir, iss waqt yeh emergency meeting..?? kya Dexter ne firse hamla kiya..??"

Commissioner "nahi caption, muje high command se call aaya tha ki unki ek team yaha aa rahi hai, aur voh log issi waqt meeting karna chahte hai"

Caption "voh kaun log hai sir..??"

Commissioner "Voh scientist ki team hai, jo Dexter ke har case se judi hui hai, any lead on Dexter..??"

Caption "not yet sir, infact hum aajtak pata nahi kar paaye voh apne attack kis based par karta hai, uske attacks se koi lead nahi ban rahi, we tried everything"

Commissioner "hmm..let's hope ki inn logo ko kuch toh pata ho"

Dr. Rajendra ne mumbai pahuchkar Ajit aur apni team ke saath milkar kahi research kiye, aur apne research khatam hone ke baad aaj usne crime branch me emergency meeting bulayi thi, Rajendra aur uski team ke pahuchte hi commissioner ne kaha "yeh emergency meeting ki kya vajah hai doctor, kya dexter ke baare me kuch pata chala..??"

Rajendra apne man me sochta hai "kya muje mayank ke baare me imhe batana chahiye..?? Nope..mai mayank ke baare me kuch nahi bata sakta..aur naa hi mere pass koi proof hai..aur bina proof ke yeh log muje hi pagal samjenge, ab samaj me aaya ki mayank ne yeh baat itne din humse kyu chupayi thi, aur agar yeh log meri baat ka yakin bhi kar le..toh pata nahi uss bechari ki yeh log kya halat karenge" fir voh kehta hai "nahi sir, filal toh hume dexter ke baare me kuch bhi pata nahi chala, but mere assistant ke pass kuch informations hai, aur usi ke based par muje search warrant chahiye"

Commissioner "search warrant..?? Kis jagah ka..??

Rajendra "national park me rahe gaanv ka..ya yu kahi ki pure national park ka"

Commissioner "I am sorry doc, but..mai yeh nahi kar sakta, National Park me already mere kayi saare officers maare gaye hai, aur haal hi me do din pehle Karan aur Patil dono uss gaanv me gaye the, voh log abhi tak vaapas nahi aaye..aur naa hi unki dead bodies mili hai, aur sirf kisi information ke based par me yeh nahi kar sakta..mai aur logo ko nahi maar sakta"

Rajendra "i am sorry to hear that, but you need to trust us, and i think we finally got a lead on something, abhi tak hamare pass kuch nahi tha, but this time, we got something"

Commissioner "and what is that doc..??"

Rajendra ajit ki aur ishara karta hai, fir ajit khade hokar projector screen ke samne aagaya, aur usne ishara kiya aur lighta off hi gayi aur screen par kuch images aa gayi

Ajit "jaisa ki aap sab ko pata hai..hamare earth par har jagah, har city, har gaanv me jo hamle ho rahe hai, ya abtak jitney bhi hamle hue hai..voh saare dexter kar raha hai, pehle toh laga tha ki yeh terrorists attacks, fir kahiyo ne toh yeh bhi kaha ki Dexter shayad nuclear weapons ka istimaal kar raha hai, isliye INDIAN Government ne humari team ko hire kiya, har crime scene par humne har tarah ke experiments kiye..par naa toh hume kahi par bomb ke traces mile..aur nahi koi nuclear radiation, par dhire dhire kuch baate samne aayi..jese ki har effected areas me hamari devices kaam karna band kar deti hai.par kyu..?? yeh sabse bada sawal tha"

Vaha rahe members mese ek bola "yeh sab toh hum jante hai doc, isme naya kya hai..?? come to the point"

Ajit "aapne hume jis ladki ki death body bheji thi, uski body ko humne study kiya hai, uss ladki ki real age 25 years thi, par PM report me saaf likha hua hai ki uss ladki ki age 85 years thi..aur uski body ko dekh kar use juthla bhi nahi sakte..yeh dekhiye uski skin ek budhi aurat ke jesi hi hai" screen par uss ladki ki image thi, uske baad ek aur image aayi, jo kamar/pait vale hisse tha "yeh jo hissa dekh rahe hai aap, iss jagah par dexter ke chune ka koi asar nahi hua hai, yaha ki skin sahi hai, matlab ki iss jagah par ek jawan ladki ki skin hai" fir thoda ruk kar "par ek chiz bahut hi ajib hai..iss ladki ki body me bhi vohi unknown energy maujud hai, jo unknown energy har crime field par maujud hai, iski body par test karte waqt bhi hamari devices baar baar band ho rahi thi"

Caption "isse kuch proof nahi hota"

Ajit "exactly, isiliye hum yahi par nahi ruke, humne aur study kiya, and jo results samne aaye voh chaunka dene vaale the, iss ladki ki death normal tarike se hi hui..it means uski umar badhne se, lekin uski body ke decompose hone ki rate normal thi"

Commissioner "matlab..??"

Rajendra "matlab yeh ki jese har insaan ki maut hoti hai..thik usi tarah yeh ladki bhi mari thi, bas farak itna tha ki iske apne 60 saal bas kuch hi seconds me gujaar diye, yaani Dexter ke contact me aane se uski umar badhne ki raftar badh gayi, aur jab Dexter se contact tuta, toh sab kuch pehle jesa ho gaya"

Rajendra ki baat sunkar sab log chaunk gaye, par koi kuch nahi bola, Ajit dusri image dikhata hai "fir achanak se muje ek baat yaad aayi, maine ek research paper ko dil behlane ke liye padha tha, and according to this research paper, bahar universe me esi kahi saari unknown energy maujud hai, jo earth ke atmosphere ya surface ke contact ke aane par bahut kuch badal sakti hai..aur usme se yeh bhi ek possibility hai ki uss energy ke radius me hamari banayi hui koi bhi electronics device kaam nahi karegi"

Caption "tum kehna kya chahte ho..?? Dexter alien hai..??"

Ajit "I am not sure Caption, pichle ek saal me jitne bhi meteors earth ki surface me aaye hai, maine unn sab ki reports par study kiya hai..par muje iss tarah ke energy ya Dexter ke baare me koi link mili, isliye mai apne tarike se apni khud ki research kar raha tha..tab muje yeh mila" aur voh unn saari images dikha deta hai

Commissioner "mai kuch samja nahi..yeh nishan toh har crime scene dikhayi dete hai"

Ajit "bilkul..par inn images ko thoda dhyan se dekhiye, kuch ajib nahi lag raha"

Sabne uss images ko dekha, par kisiko kuch samaj nahi aaya, aur sabke sawaliya bhare chehre ko dekhte hue Ajit bola "yeh nishan, iss jagah bahut saare nishan hai..aur sabse badi baad jo inn nishano ko dusre nishano se alag karti hai..voh yeh overlapping, yeh sare nishan ek dusre ko overlap kar rahe hai"

Commissioner "iska kya matlab"

Ajit "pure world me jitne bhi attacks hue..hum sab jante hai ki Dexter jaha se bhi gujar ta hai..voh apne nishan chod jaata hai, par aajtak kisi bhi jagah uske nishan kahi par overlap nahi hue" fir voh saare effected area ki images dikhata hai "yeh delhi me jab pehla hamla hua tha, fir chennai, usa, france etc"

Commissioner "maana ki aapki theories kaafi interesting hai, par isse kuch proov nahi hota"

Rajendra "i am sorry sir, aapne sahi kaha..isse kuch proov nahi hota, par Ajit ne jo kuch bhi bataya..aur yeh nishan vaakahi me bahut ajib hai, kyunki sirf ek jagah par yeh nishan ka iss tarah se overlap hona koi aam baat nahi hai, aur yeh jo images hai..ise hume satellite through capture kiya hai..aur yakin maaniye, pure do din lage hume sirf iss ek tasweer ko lene ke liye, uss jagah par hamari khud ki banayi hui satellite bhi thik se kaam nahi karti aur muje pura yakin hai ki uss jagah par bhi vohi energy maujud hai aur voh bhi bahut hi jyada range me..bas muje uss energy ke baare me pata karna hai..agar uss energy ya uski raditions ke baare me pata chal gaya, hum dexter ke bahut Karib aajayenge"

Commissioner "so aap kya chahte hai..??"

Rajendra "yeh jagah national park me hi hai, agar hum vaha jaakar khud chaan been kare, kuch toh haath jarur lagega"

Ajit "shayad dexter ko rokne ka tarika bhi hume yahi se mile"

Commissioner kuch sochta hai, aur vaha rahe sabhi se discuss karne ke baad "thik hai, mai tumhe vaha jaane ki permission deta hu, iss waqt raat ko mai aapki madad nahi kar sakta..par kal subah thik 9 baje, aap apni team lekar vaha jayenge..aur saath me SWAT ke 3 members apke saath honge"

Rajendra "thank you sir, thank you so much"

Location : Mumbai Railway Station

Time : 8:00 PM

Sab log station ke pass me rahe restaurant me baithkar dinner kar rahe the, iss waqt sab log halke mood me the..aur jab mood sahi ho toh ladkiya shopping ki baat naa kare yeh nahi ho sakta

Paridhi "yaar maine toh suna hai ki infinity mall..yaha ka best mall hai, ek baar toh muje vaha jaana hi hai"

Siddhi "haa, yeh toh maine bhi suna hai, aur maine toh papa se jid bhi ki thi ki jab hum Mumbai jayenge..Infinty mall me jarur jayenge"

Mayank "common, yaha par toh nahi"

Yeh sunkar sab log mayank ki aur dekhne lage, mayank "kya tum girls ke pass shopping karne ke alawa koi aur topic nahi hota..??"

Pathik "bhai..yakin maan, yeh ladkiya shopping karne se kabhi nahi thakti"

Mayank "haa..janta hu, CDC lab jaane se pehle mai aur Pari Infinty mall me hi gaye the..usne pure 6 hours liye the"

Kruti "cool, hamari Pari ko bhi shopping karna bahut pasand hai" Fir use ehsas hua ki usne kya kaha "v..vvv..oo.hh.hh i am sorry manthan"

Mayank "it's okay koi na, but I think ab hume chalna chahiye"

Dinner karne ke baad sab log vaha se national park ki aur nikal pade..karib 3 hours ki journey karne ke baad voh log finally National park pahuch chuke the, vaha pahuchte hi mayank man me hi bol pada "maine kabbi nahi socha tha ki mai iss jagah vapas aaunga"

Pathik "ab kya..?? Aadhi raat ko hum.jugle me kese jayenge"

Siddhi thoda darte hue "aur agar raste me juglee janwaar aa gaye toh"

Manthan "simple..voh hume kacha hi chabba jayenge"

Siddhi thoda darte hue manthan ka haath pakad leti hai, manthan use khijate hue "pagal..kuch nahi hoga, mai huna tere saath"

Siddhi "jab samne sher aayega na toh pata chalega"

Mayank "relax guys, aisa kuch nahi hoga, aur kisne kaha ki hum iss waqt jungle me jaa rahe hai"

Kruti "fir hum kaha jaa rahe hai..??"

Mayank "hum vahi jayenge jaha mai itne din ruka hua tha, iss jungle ke pass me ek gaanv hai"

Voh sab log chalte hue uss ganv me aagaye, lekin aaj gaanv me ekdum sannata chaya hua tha, charo taraf shanti hi shanti thi

Manthan chacha ke ghar ke samne gaya aur vaha jaakar bola "chacha ji, aap ghar par ho..?? Mai mayank"

Tabhi vaha aneri aayi aur usne darwaza kholte hue kaha "mayank ji aap..?? Itni raat ko kese aana hua..?? Aur yeh sab kaun hai..??"

Mayank "yeh sab mere dost hai" aur fir voh sab andar aagaye

Mayank "chacha ji kaha hai..??"

Lekin aneri ne koi jawab nahi diya, aur uski aankho se aansu nikal aaye, mayank puchta hai "kya hua chacha ji ko..?? Aap ro kyu rahi ho..??"

Aneri rote hue "voh..voh uss shaitan ne maar daala, aapko yaha nahi aana chahiye tha, voh..voh bhoot aap sabko maar dalega"

Siddhi darte hue "bbbhh.hhh.oo.ooo.tttttt..ttt, kkkk .kyyaaa..sachh me..??"

Aneri "ha memsahab, vv..vvoohh...hh voh bahut bhayank bhoot hai" aur voh jor jor se rone lagi

Mayank aneri ko hug karte hue use chup karata hai, "aneri..chup ho jao aap, aur muje batao kya hua tha"

Aneri ko hug karte hue dekh paridhi ko Mayank par gussa aa raha tha, use khud bhi pata nahi ki use mayank ka aneri ko hug karna kyu pasand nahi aaya

Aneri thodi shant hui toh usne bolna shuru kiya "yaad hai, jab aap uss neend se jaage the, tab yaha voh inspector sahab aaye the aur unhone gaanv khaali karne ko kaha tha"

Mayank haa me apna sar hilata hai, aneri ne bolna chalu rakha "voh bhi nahi mante the uss jungle me bhoot hai, voh bhi gaye the uss jungle me..aur voh dono hi maare gaye"

Mayank "tumhe kese pata ki unn dono ko kisi bhoot ne maara hai"

Aneri "voh mansukh chacha hai na, voh jungle se lakdi kaat kar laut rahe the..aur tabhi unhone uss bhoot ko dekha tha, unhone bataya ki voh dono inspector sahab usi aur gaye the, aur jab voh vaapas aaye toh voh bahut dare hue the, unki baate sunkar gaanv bhi dar gaye aur voh sab log gaanv chodkar chale gaye"

Mayank "fir aap dono kyu nahi gaye..??"

Aneri ruansi awaaz me kehti hai "humne baapu se kaha tha ki hum bhi chale jaate hai, par bapu nahi maane, aur voh khud uss bhoot se ladne ke liye gaye..aur voh bhi.." iss baar voh khud ko rok nahi paayi aur joro se rone lagi

Mayank ne thodi der baad firse pucha "voh..voh bhoot, kesa dikhta hai"

Aneri "humne uss bhoot ko nahi dekha, par mansukh chacha ne marne s pehle bataya tha ki voh bahut hi khatarnak hai, uska sharir hai hi nahi..sirf kankaal hai..aur voh har waqt ek asmani rang ki roshni me lipta rehta hai"

Mayank gehri saans lete hue "dexter, muje pehle hi samaj jaana chahiye tha"

Yeh sunkar sab ne rahat ki saans li, siddhi ki jaan me jaan aayi

Mayank "chacha ji yaha se kyu nahi jaana chahte the..??"

Aneri "baapu yeh ghar nahi chodna chahte the, hamare maa ki yaadein iss ghar me basi hai"

Mayank ek aur baar aneri ko hug karta hai "aneri..tumne sahi kaha..voh shaitaan hi hai, abhi tak aap yaha par kyu ho..??"

Aneri "Baapu ke alawa mera iss duniya me koyi nahi hai..fir mai kaha jaati, aap log chale jaao yaaha se..varna..varna voh aapko bhi maar dega"

Mayank "ssshhhhhhh..kuch nahi hoga, ab koi nahi marega..vaada karta hu, raat bahut ho gayi hai..aap so jao" fir voh sabse kehta hai "tum log bhi so jao, hum kal subah hi yaha se niklenge"

To be continued.
 

Update : 24 (Tachyons)

Mayank ka aneri ko hug karna Pari ko pasand nahi aaya tha, voh laite hue apne man me sochti hai "yeh kya ho raha hai mere saath..?? iss ladki ka manthan ko hug karna..muje ajib sa kyu lag raha tha..?? mai janti hu voh sirf use dilasa de raha hai..par mere dil me yeh ajib si bechani kyu..??"

Aneri toh so gayi thi..par aneri ke alawa kisi ke aankho me neend nahi thi, thodi der baad manthan kehta hai "mayank..i think ab toh tuje kuch toh batana chahiye"

Siddhi "ha please, mera toh dimaag kaam nahi kar raha, please kuch toh bata"

Mayank aneri ki aur dekhte hue "hmmm, thik hai..par yaha nahi, bahar chalte hai" fir voh sab ghar se bahar aagaye aur mayank ne bolna shuru kiya

Mayank "yeh sab tab shuru hua jab CDC lab ke CEO yani Dr. Avishkar ne tachyons particles ke baare me study karna shuru kiya"

Pathik "wait, wait..tachyons..?? voh kya chiz hai..??"

Pathik ke yeh puchne par mayank sabke chehre dekhta hai, aur gehri saans lete hue "tum sab ke chehre bata rahe hai ki kisi ne bhi tachyons ke baare me nahi suna"

Sab naa mein apna sar hilate hai, aur mayank kehta hai "ek baat batao..iss universe me esi konsi chiz ya particles hai jiski speed sabse jyada hai"

Manthan "speed of light, usse jyada fast kuch nahi hai"

Mayank "well, yeh toh common hai, but other than that"

Pathik kuch sochte hue "god particles, i mean unki speed light ki speed se sabse near hai"

Mayank haste hue "seriously..?? Kya iss earth par abhi tak god particles par hi atke hue ho..??"

Kruti "tu toh ese react kar raha hai jese god particles tere liye kuch mayne nahi rakhte"

Mayank "aisa hi samaj le..tum log god particles ke baare me kya jaante ho..??"

Manthan haste hue "sach kahu toh kuch nahi, aur jo janta tha voh iss chuse ne bata diya" pathik ki aur ishara karte hue bola

Mayank ajib sa muh banate hue "well, let me guess, tum log god particles ke baare me kuch nahi jante" thoda rukkar "Higgs Boson, jise hum god particles bhi kehte hai, maana jaata hai ki hamare universe God particles ka answer hai, yaani agar god particles nahi hote toh hamara universe nahi hota"

Manthan apna sar khujate hue "voh kese..??"

Mayank "god particles kisi bhi matter ko mass deta hai, mera matlab ki jitni bhi bodies iss universe me maujud hai uske andar god particles hote hai, aur jesa pathik ne kaha ki uski speed light se near hai, I agree, but voh tab hi jab god particles vacuum me travel kar raha hai, tab uski speed 99.9% light ke speed se match karti hai"

Kruti "aur tach.." voh bolte hue ruk gayi

Mayank "tachyons, voh hypothetical particles hai jiski speed, light ki speed se bhi jyada hai"

Pathik "impossible, ye namumkin hai, kisi bhi chiz ki raftar light se jyada nahi ho sakti, aur incase agar koi chiz light ki gati se bhi jyada tezz chalti hai, toh relativity equation galat ho jayegi"

Mayank "well, isiliye maine kaha, tachyons are hypothetical particles, they don't have god particles in it, matlab ki unke ke andar normal mass nahi hota"

Manthan "means anti matter"

Mayank "nahi manthan, antimatter me mass hota hai"

Lekin sabke chehre dekhkar lag raha tha ki kisi ko bhi mayank ki baat samaj me nahi aayi, Mayank "mai samjata hu, electrons ke baare me sab jaante hai, and it has mass, par positrons ke baare me koyi nahi janta, positrons aur electrons ka mass same hai, even unn dono ke charges numerically same hai, but voh dono ek dusre se bilkul opposite hai, electron ka charge -1.6x10^-19 hai, jabki positrons ka charge +1.6x10^-19 hai, so electron agar matter hai, toh uska counter part anti matter hai"

Pathik "like tum dono, manthan lefty hai, aur mayank righty hai"

Mayank "exactly"

Manthan "toh fir tachyons..??"

Mayank "they have imaginary mass"

Paridhi "fir kya hua..??"

Mayank "time travel, parallel world ka hona ya na hona, long distane ko seconds me cover karna, yeh sab ke jawab hume tabhi mil sakte jab hum tachyons ka sahi se use kar paate, tachyons light se jyada fast hai, yeh hum practicaly proov kar chuke the, ab baari thi ek step aage badhne ki"

Manthan "wait wait, so tu yeh kehna chahta hai ki tune, I mean tere earth par, cdc lab me rehkar theory of quantum mechanics ko solve kiya hai..??"

Mayank "haa..usme konse badi baat hai, quantum mechanics ko.solve karna toh ek aam baat hai hamare liye"

Pathik "dude..yeh baat hamare liye aam nahi hai, iss earth par aajtak koi bhi quantum mechanics ko thik se nahi samaj paya, toh solve karna toh dur ki baat hai"

Mayank "ha..voh toh pata chal hi gaya, isiliye toh yeh earth ki technology itne low level ki hai"

Manthan "hmm, tachyons ke saath kya hua..??"

Mayank "humne elliptical shape me, ek underground pipeline banayi, jiske andar artificially vaccum create kiya gaya, aur jab pipe me total vaccum create ho gaya..uske andar ek tachyon particles ko inject kiya, aur tachyons ki speed ko low speed ya yu kahu ki light ki speed tak le aaya, karib 5 minutes tak tachyon stable raha, par achanak se tachyons unstable ho gaya aur vaha ek bahut bada dhamaka hua"

Uske baad mayank ne aage ki kahani bata di ki kese voh pari ko bachane ke liye kuda aur iss earth par aagaya

Pathik "sirf ek sawal, tere earth par time machine jarur hogi, aur yaha aane par tune sabse pehle yahi socha tha"

Mayank "nahi pathik..time machine humne aajtak nahi banayi, aur nahi kabhi future me banayi jayegi, aur mera yakin maan..voh chiz naahi bane toh acha hai"

Sab ek saath "kyu..??"

Mayank "time travel karna itna asaan nahi hai, time travel ki vajah se puri timeline bigad sakti hai..time quakes aa sakte hai, even parallel world collapse ho sakte hai, time..parallel world, yeh sab directly aur indirectly ek dusre se jude hue hai, har time travel ke saath history alter hoti rahegi, fir chahe voh chote se chota decision hi kyu naa ho, even agar koi changes nahi bhi karte, tab bhi time line ka change hona tay hai, aur voh changes kya honge ya kese honge, uske baare me koyi nahi jaan paayega, aur paradox ka khatra sabse jyada badh jaata hai"

Kruti "kya yeh sab sach hai..?? Muje laga ki yeh sirf theories me possible hai"

Mayank "nahi kruti..mere earth par yeh research ho chuki hai..aur isiliye time machine ke related saari information ko destroy kar diya, taaki koyi bhi time machine ko naa bana paaye, so time machine naa bane voh hum sab ke liye better hai"

Iske baad koyi kuch nahi bola, mayank kuch der baad kehta hai "i think aap sab ko thoda aaram kar lena chahiye"

Kruti "kahi tu akela jaane ke baare me toh nahi soch raha na..??"

Siddhi "no please..aisa mat karna, plsz mai janti hu ki tu mujse nafrat karta hai..par mai voh nahi hu, aur hum sab tere dost hai..so please, tu vaha akela nahi jaayega, kya pata dexter vahi par ho"

Mayank siddhi ki aur dekhta hai "thik hai..mai kahi nahi jaa raha, bas kuch der akela rehna chahta hu"

Uske baad voh sab ghar me chale gaye aur so gaye, vahi mayank ghar ke bahar baitha raha aur upar asmaan ki aur dekhne laga

Abhi kuch der hi hui thi ki paridhi bahar aayi, aur uske najar mayank par padi, jo ghar ke bahar tek lagaye baitha tha, voh bhi mayank ke pass aakar baith gayi

Lekin mayank ko iss baat ka pata hi nahi tha, voh toh bas aankhe band kiye hue baitha tha, aur apni yaadon me kho gaya tha

Pari ne dekha ki mayank ne aankhe band ki hui hai aur uska chehra upar asmaan ki aur hai, voh kuch der mayank ke chehre ko dekhti rahi..aur fir pata nahi use kya hua ki usne apne haath ko mayank ke sar par rakh diye..aur pyaar se uske baalo me haath firane lagi

Pari ka haath lagte hi mayank ne apni aankhe kholi..aur apni najar pari ke chehre ki aur ki..dono hi ek dusre ki aankho me bina kuch dekh rahe the

Halki halki iss waqt hawa chal rahi thi..aur jungle hone ki vajah uss jagah ek dum sannata tha, hawa ke chalne ki wajah se thodi thodi paid podhe ke hilne ki awaaz ho rahi thi, aur uss pure ilake me sirf chaand hi ek roshni ka jariya tha..lekin fir bhi chand ki roshni pure gaanv me ujala faila rahi thi

Mayank aur paridhi dono hi ek dusre ki aankho me dekh rahe the, dono mese kisine bhi apne palke nahi japkayi thi, mayank puchta hai "tu abhi tak nahi soyi"

Paridhi naa mein apna sar hilati hai "nini nahi aa rahi"

Mayank "kyu..??"

Paridhi "pata nahi, tu kyu jaga hua hai abhi tak"

Mayank "kuch nahi..bas ese hi"

Paridhi "pari ke baare me soch raha haina..?? tu mujse share kar sakta hai, par please ese ghumshum sa naa raha kar, bilkul bhi acha nahi lagta"

Mayank "kya share karu..tuje dekhte hi uski yaad aajati hai, aisa lag raha hai jese maine use jaan bujkar maara hai, mai hi use vaha le gaya tha, aur fir jab voh uss aag se gheeri hui thi..uski voh dardbhari awaaz, aaj tak mere kaano me sunayi de rahi hi, mai uske behad karib tha..yaha tak ki hum dono ke haath bhi ek dusre se milne vaale the..aur..aur voh dhamaaka hua" kehte hue uske aankho se aansu nikal aaye

Paridhi ne mayank ko apne seene se laga diya aur use kuch der rone diya, mayank bhi bina kuch kahe pari ke baanho me raha..aisa lag raha tha ki voh jese uski baanho me pighal saa gaya ho

Kuch der baad mayank paridhi se alag hota hai aur "sorry..i am really sorry, muje voh sab nahi karna chahiye tha, par pata nahi kyu har baar.."

Lekin mayank ko paridhi aage kuch bolne hi nahi deti, uske hoth par unglee rakhte hue "ssshhhhhhhh" aur fir voh dono ek dusre ki aankho me dekhne lage

Kuch der baad paridhi pyaar se kehti hai "kya mai tuje manthan bula sakti hu..??"

Mayank pyaar se uski aur dekhta hai aur smile karte hue haa mein apna sar hilata hai "kya mai tujse kuch puch sakta hu"

Paridhi haa mein apna sar hilati hai "ha puchna..tuje permission leni ki koi jarurat nahi hai"

Mayank "tuje sapno me akshar kya dikhta hai..??"

Paridhi thoda rukar "yahi ki tu pari se bahut..bahut jyada pyaar karta hai, kese tu usko pareshan karta tha..voh park me ruthne vaali shararat, fir pari kr baal me tomato ketchup girana, uske baad pari tujse naaraz hui thi, fir uske birthday par tune sabke samne use propose kiya aur uske liye tune gaana gaaya tha"

Manthan-2 "iska matlab tuje sab kuch pata hai"

Paridhi "haa..muje sab kuch pata hai, aur uss din ke baad tu akshar pari ke liye gaana gaaya karta tha"

Mayank "hmm..kya tuje uss aag ke baad ke koi bhi sapne...i mean tu samaj rahi haina..??"

Paridhi "haa..manthan, but i am sorry, muje uss dhamake ke baad ka kuch bhi nahi dikha, i am really sorry"

Mayank "hmm..it's okay, sorry ki koyi jarurat nahi hai, friends..??" Voh apna haath aage badhata hai

Paridhi apna haath badhate hue "muje laga tha ki hum dono pehle se hi friends hai, anyways..kya mai hamari iss friendship ke naate tujse kuch keh sakti hu"

Mayank smile karta hai, paridhi kehti hai "please kuch der aaram karle, tu 2 din se nahi soya"

Mayank "thik hai..tu bhi soja kuch der" uske baad yeh dono hi so gaye

Voh dono saath me hi soye the..pari raat ko sote hue mayank ko hi dekhe jaa rahi thi..pata nahi kyu par use acha lag raha tha..mayank ki aur dekhne se uske dil me ek ajib se khushi ho rahi thi..uska man kar raha tha ki voh ese hi hamesa mayank ke pass rahe

To be continued..
 

Update : 25 (Jungle)

Next Day

Khair subah hote hi sab log uth chuke the..aur aneri ne sab ke liye chaayi bana li thi, sab fresh hokar mayank ke aaspass baithe hue the, tab aneri kehti hai

Aneri "aap iss duniya se nahi hona..??"

Mayank "kya matlab..??"

Aneri "maine kal aapki baate suni thi, muje jyada toh kuch samaj me nahi aaya, par itna pata chala ki aap dusri duniya se aaye hai"

Mayank "haa..aneri, mai yaha se nahi hu"

Aneri "aap isiliye jungle me aaye haine..usi aag se jo uss din lagi thi"

Mayank "aag...kesi aag..??"

Aneri "jis din baapu aapko lekar gaanv me aaye..uss raat ko jungle me bhayanak aag lagi hui thi..par kisiko uss aag ke lagne ke baare me pata nahi chala"

Mayank "kya voh samandar ke side thi..??"

Aneri " haa..jis aur se aap aaye the..vaha se samandar jyada dur nahi tha"

Mayank "that's it..mera shaq sahi tha"

Voh turant apni watch se gideon ko contact karta hai "gideon..tell me ki jo maine socha tha voh sach nahi hai"

Gideon "sir..jo aap soch rahe hai..vohi hai, aap usi jagah se aaye the..and according to my calculations, vaha aag aapke aane ke vajah se hi lagi thi,aur voh unknown energy ke traces uss jagah par bahut hi jyada hai"

Mayank "thanks gideon, agar yeh dexter vahi se aaya hai..then use rokne ka tarika bhi hume vahi se milega"

Fir voh sabse kehta hai "pathik, manthan..tum dono mere saath chalo"

Pathik "nahi mayank, i think muje yaha rukn chahiye, yaha par kisi ek ka rukna jaruri hai, agar dexter sahi me yaha se aaya hai tum aneri ko yaha akele nahi chod sakte"

Mayank "thik hai, tu aur saari ladkiya yahi par ruk rahi hai"

Siddhi "nahi manthu, mai tuje akele nahi jaane dungi"

Paridhi "aur naa hi mai, mai bhi tere saath aa rahi hu" voh mayank ki aur dekhte hue kehti hai

Mayank "nahi pari please..mai apni pari ko kho chuka hu..ab tuje kuch nahi hone de sakta"

Paridhi "nahi nahi nahi, muje kuch nahi sunna, maine keh diya na, mai aarahi hu bas"

Kruti "mayank, mai aur pathik yaha rukte hai, tum charo ho aao"

Manthan "are you sure..??"

Pathik "yes manthan, but be safe"

Manthan "pathik..ek kaam kar, yaha rukna khatre se khaali nahi hai, isse aacha tum log Mumbai, hum tuje vahi milenge"

Pathik "thik hai, mai tuje message drop kar dunga" fir voh ek dusre gale milte hai

Kruti siddhi ke gale lagte hue uske kaan me kehti hai "i think pari loves him"

Siddhi "muje bhi aisa hi laga"

Uske baad kruti, aneri aur pathik mumbai ki aur nikal gaye, aur mayank, manthan, paridhi aur siddhi uss jungle me andar jaane lage

Unhe chalte hue kaafi samay ho gaya tha, aur aakhir me voh log vaha pahuch gaye jaha par mayank behosh hokar gir gaya tha

Vaha pahuchte hi manthan kehta hai "voh chacha..jungle me itni dur kyu aaye the, voh bhi aadhi raat ko"

Mayank "pata nahi..par iske aage hume sambhal kar jaane hoga, kuch bhi hi sakta hai"

Voh log karib 15 min hi chale honge ki unhe ek police jeep najar aayi, use dekhte hi siddhi boli "yeh police ki jeep itni andar kya kar rahi hai"

Mayank "shayad yeh unn dono inspector ki hogi, yeh jungle ka sabse andar ka hissa hai, aur gaanv me ji kahaniya bani hui hai, shayad isliye jungle ke itne andar koyi nahi aata"

Fir mayank aur manthan ne jeep mese gun li aur aage chalne lage..chalte hue voh aage badhe ki unhe do kankaal najar aaye, unn dono kankaal ki halat bhi vesi hi thi, mayank unn kankaal ke pass jaakar apne ghutne ke bal baith gaya "yup..yeh dono vohi inspector hai, jiske baare me aneri ne bataya tha"

Manthan "tuje kese pata..??"

Mayank ek kankaal ke gale ki aur ishare karte hue "yeh locket.patil ke gale me tha"

Siddhi "mayank..yeh nishan, yaha par yeh nishan bahut jyada hai, aur voh uss aur jaa rahe hai" apne haath se ishara karte hue kaha"

Mayank kuch sochkar "yaha se samandar dur nahi hoga, Manthan, tu siddhi aur paridhi ko lekar uss jeep ke pass ruk, mai tuje vahi milunga"

Manthan "tu vaha andar akele nahi jaa raha"

Mayank "I have to go, yaaha ke halat dekhkar lag raha hai ki isse aage tum sab ka aana safe nahi hai, agar by chance vaha par dexter hua, mai koi risk nahi lena chahta..so please yaha wait kar"

Manthan "thik hai, mai agar tu 30 min me vapis nahi aaya toh hum vaha aajayenge"

Mayank "nahi manthan, agar mai vapas nahi aaya, tum log yaha se chale jaoge, aur papa ko iss jagah ke baare me bata dena, aur Gideon tumhari help karega"

Paridhi "fir bhi, tu akela nahi jaayega, mai tere saath aa rahi hu, aur tu muje mana nahi karega"

Mayank "nahi pari please, samaj ne ki koshish kar"

Paridhi "nahi matlab nahi, mai tere saath aa rahi hu, varna tub hi vaha nahi jaayega"

Pata nahi kyu par, mayank paridhi ki baat ko taal nahi paaya aur voh dono samundar ki aur badhne lage, karib 10 min chalne ke baad paridhi kehti hai "manthan, yeh sab"

Mayank paridhi ke ishare ki aur dekhta hai "yeh bichare nirdosh janwar bhi nahi bach paaye" aur fir voh dono sawdhani se aage badh rahe the, aur karib 5 min chale honge ki voh loh ek jagag jaakar ruk gaye

Paridhi "yeh nishan yaha par khatam ho rahe hai"

Mayank chalte hue thoda aage aaya..aur jaha voh nishan khatam hue the voh thik vaha jaakar ruk gaya, aur apne ghutno ke bal baith te hue bola "ya fir yeh nishan yahi se shuru hue hai"

Paridhi "matlab..??"

Mayank "yeh vohi jagah hai..yahi se mai iss earth par aaya hu"

Paridhi "tu itne yakin se kese keh raha hai"

Mayank ne apne haath ko uss nishaan par ghumaaye..yeh nishan dekhkar lag raha tha ki kisi ko ghasita gaya ho..par darasal yeh nishan dexter ke chalne ke vajah se bane the..aur yeh vohi jagah thi jo ajit ne satellite image me dekhi thi

Mayank chalte hue paridhi ke pass aaya aur usne "pari..tere pass paani ki bottle haina, please give it"

Paridhi paani ki bottle deti hai, pari ke haath se bottle leti hi mayank cap kholkar bottle ko utli kar di, jise dekhkar halke gusse me boli "yeh tu kya kkkaaa.." voh bolte hue ruk gayi kyunki uski aankhe jo dekh rahi thi..uspar use yakin nahi ho raha tha

Paani niche girne ki bajay hawa me tair raha tha, paridhi aankhe faade hue paani ko ghu rahi thi

Paridhi "impossible..yeh kese ho sakta hai"

Mayank "i think i know ki mai yaha par kaise aaya"

Paridhi "tuje lagta hai ki dexter bhi tere hi earth se hai"

Mayank naa mein apna sar hilata hai "nahi pari..voh koi insaan nahi hai, use koi nahi rok sakta"

Mayank "gideon..tell me, yeh energy"

Gideon "yes sir, yeh unknown energy aur kuch nahi balki yeh trans-dimensional energy hai, it's because of singularity and tanchyon particles"

Mayank "thanks gideon"

Paridhi "tu janta hai dexter kaun hai, use kese rok sakte hai"

Mayank "you can't run from it, voh sab kuch khatam kar dega, dexter ko mai toh kya, iss pure universe me koyi nahi rok sakta, because he is.."

To be continued.
 

Update : 26 (Who is HE..??)

"What..?? Yeh kese ho sakta hai, matlab ki yeh impossible hai" mayank ki baat sunkar paridhi puri tarah shocked ho chuki thi, use Mayank ki kahi baat par bilkul bhi yakin nahi ho raha tha

Mayank "yeh kese possible hai, yeh toh mai khud bhi nahi janta"

Paridhi ne thoda ruk-ruk kar "aaa..aa..rrr.reee you sure about him..??" firse ek baar pucha, iss ummid ke shayad usne jo suna hai voh galat hai

Mayank "yes pari, I am damn sure, aur trans-dimensional energy ka yaaha hona iss baat ka proof hai"

Paridhi iske aage kuch nahi boli, mayank firse vahi uss nishan ke pas apne ghutno ke bal baith gaya, aur uss meetti ke dhal par haath firane laga

Kuch der baad paridhi ne firse ek sawal kiya "tune abhi dexter ke baare me jo kuch bhi kaha..agar voh sach hai, fir uska asar tuj par kyu nahi ho raha..?? I mean aaj tak aisa ek bhi insaan ya janwar nahi hai jo usse bacha ho, fir tuje kuch kyu nahi hua..??"

Mayank yeh sunkar chaunk gaya aur khade hote hue bola "yeh baat toh muje bhi kuch samaj nahi aa rahi, agar dexter khud.." Voh bolte hue ruk gaya

Mayank ki najar samne pari ki aur thi, voh apni baat puri karta uske pehle hi uski najar thik pari ke piche se aa rahe dexter par gayi

Achanak se mayank ke aise chup hote dekh paridhi boli "kya hua..??" aur voh kuch samaj paati uske pehle hi mayank furti se paridhi ke pass aaya aur use dhakka dete hue side me gira diya

Pichli baar Mayank par dexter ke chune ka koyi asar nahi hua tha, lekin iss baar Mayank khud Dexter ke samne aaya tha, Dexter ke sharir se nikal rahi asmaani rang ki roshni me Mayank ka pura sharir kaid ho chukka tha, jiss vajah se Mayank ka sharir akad gaya tha, lekin iska asar sirf Mayank par hi nahi pada tha, Mayank ke saath milne se Dexter ki rafatar bhi bahut kam ho gayi thi, Dexter iss waqt kisi normal insaan ki speed se chal raha tha

Mayank ka iss tarah se dhakka dena paridhi ko bilkul bhi samaj me nahi aaya, par jese hi usne khud ko sambhal kar apni najar mayank ki aur ki, uske muh se chikh nikal gayi "nnnnnnnnooooooooooooo" aur apni parwaah kiye bina hi jaldi se khadi hokar mayank ke tarah bhaagi

Mayank ka pura sharir akad chukka tha..lekin uski najar Paridhi par hi thi, usne dekha ki Pari dexter ke kaarib aa rahi hai toh voh bahut hi muskil se bola "pari..please, go away"

Pari ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh kya kare, uska dil keh raha tha ki voh mayank ke karib jaaye, voh use aise akele dexter ke saath nahi chod sakti, lekin vahi uski najar mayank ke aur thi jo badi muskil se apne sar ko naa me hilaakar use mana kar raha tha

Aur fir tabhi achanak se mayank 20 foot dur jaakar gira, aur dexter apna rasta badalkar samandar ki aur chala gaya

Mayank ka maatha teji se paid se jaakar takaraya aur girte hi uske muh se dardnak cheekh nikal gayi, yeh dekh paridhi daudte hue mayank ke pass gayi aur uske pass jaakar apne ghutno ke bal par baith gayi

Mayank ke maathe se khun nikal raha tha, Paridhi ne turant hi mayank ke sar ko apne gaud me liya aur apne haath se khoon ko rokne ki koshihs karne lagi, aur dusre haath se pyaar se uske sar par firane lagi

Mayank ne dekha ki paridhi ki aankho se aansu nikal rahe hai, usne apne haath ko paridhi ke gaalo par rakha aur uske aansuo ko saaf karte hue bola "it's okay pari, i am fine, muje kuch nahi hua hai" kehte hue voh baith gaya

Lekin paridhi bahut hi udass ho gayi thi, uski najar baar baar mayank ke sar se nikal rahe khooj par jaa rahi thi, aur aansu the ke rukne ka naam nahi le rahe the

Mayank ne firse uske aansu ko saaf kiye aur "pari, let's go from here, mai jo jaan ne yaha aaya tha voh muje pata chal gaya hai"

Paridhi "no manthu, hum kahi nahi jaa rahe, tere sar se khun beh raha hai"

"Manthu" sunkar mayank kuch nahi bola, aur pyaar bhari najro se paridhi ki aur dekhne laga, kyunki isi naam se uski pari use hamesa bulaya karti thi

Iss waqt paridhi bahut jyada ghabra gayi thi, shayad use dar lagne laga tha.mayank ko khone ka dar, jab usne mayank ko dexter ke haatho me dekha, uska dil joro se dhadakne laga, uske man me dar baith gaya tha ki ab mayank bhi usse dur chala jayega

Paridhi mayank ki chot ko dekhte hue keh rahi thi, shayad usne mayank ki baat bhi nahi suni thi "tuje bahut pain ho raha haina..?? Mai hi pagal thi jo maine tere saath aane ki jid ki, tune mana bhi kiya tha, par mai..mai bahut hi selfish hu, meri hi vajah se tuje yeh chot lagi, na mai yaaha aane ki jid karti..aur naa hi tuje yeh chot lagti, sab isiliye mujse dur chale jaate hai..dekhna tu bhi muje chodkar chala jaayega"

Pata nahi kyu par mayank yeh aakhri baat sun nahi paaya, usne turant hi apne dono haatho ko pari ke chehre par rakha aur apne hoth ko pari ke hoth par rakh diye, aur fir uski aankho me dekhte hue bola "ssssshhhhhhh..chup, bilkul chup, muje kuch nahi hua, aur naa hi tu selfish hai, and i promise mai tuje chodkar kahi nahi jaunga"

Paridhi bhi mayank ki aankho me dekhte hue boli "pakka..??"

Mayank smile karte hue "haa..pakka"

Paridhi iske aage kuch nahi boli, voh turant mayank ke gale lag jaati hai, aur mayank bhi kuch der paridhi ko apne seene se lagaye rakhta hai

Kuch der baad alag hote hue mayank bola "pari, ab hume chalna chahiye, manthan aur siddhi abhi bhi jungle me hai" paridhi ke baalo ko sehlate hue manthan bola

Pari jese neend se jaaagi ho, voh mayank se alag hui aur mayank ki chot ko dekhte hue "but pehle iss chot ka ilaaj karna hoga, wait mere pass band aid hai" usne turant hi apne bag se first-aid kit nikali

Mayank yeh dekh bola "tu hamesa yeh nikal ghumti hai"

Paridhi "haa, mere bag me yeh hamesa rehti hai" aur fir usne darte hue mayank ke maathe se khuun saaf karne lagi

Paridhi ke haatho ko kaanpte dekhe Mayank hasne laga, jise dekhkar Paridhi puchti hai "kya hua..?? has kyu rahe ho..??"

Mayank "kuch nahi"

Pari "don't make me laugh, ek toh yeh firstaid vala kaam mujse hota nahi hai"

Mayank "haa..voh toh dikh raha hai, tum toh ese saaf kar rahi ho..jese painting bana rahi ho, itne dhyan se kaun karta hai bhala"

Paridhi "listen mister, iss waqt tumhari dekhbhal karne koyi angel ya hot ladki nahi aane vaali, mujse hi kaam chalana padega"

Mayank "yup, yeh toh hai" fir thoda rukkar "you know what, iss earth me aur mere earth me sirf ek hi chiz common hai"

Pari band aid lagate hue boli "kya..??"

Mayank "you, matlab ki meri pari aur tum..bilkul ek jesi ho, har chiz..har insaan apne apne tariko se alag hai, but you..you are just like her"

Paridhi uski aankho me dekhte hue "flirt kar raha hai..??"

Mai "pata hai, tumhare jesi ladki ke saath mai flirt nahi kar sakta"

Paridhi apni aankhe chadte hue "kyu..?? mai itni buri hu..??"

Mayank "nahi..tum itni achi ho, mai toh kya koyi bhi ladka tere saath 2-3 din nahi bita sakta, puri life bita sakta hai"

Paridhi yeh sunkar thoda sharma gayi, aur apni palke niche karte hue "ab agar tune flirt kar liya ho toh chale"

Vahi Jungle me

Siddhi aur Manthan uss jeep me baithe hue the, Siddhi "manthan, unn dono ko gaye hue kaafi der ho gayi hai, I think we should go and check in there"

Manthan kuch sochte hue :yeah, you are right"

Tabhi vaha par kuch log aaye aur unn mese ek ne Manthan ko rokte hue kaha "hey ladke, tum dono yaha kya kar rahe ho..?? yeh jagah tum jese bacho ke liye nahi hai"

Manthan kuch bolta uske pehle hi uske kaano me ek jaani pehchani awaaz padi "manthan, tu yaha kya kar raha hai"

Manthan jeep se utar te hue bola "papa, voh mai, kya mai aapse kuch baat kar sakta hu, akele me"

Rajendra thoda gambhir hote hue "baat kya hai manthan"

Manthan "yaha nahi, please"

Aur fir voh dono thoda dur jaate hai, aur manthan unhe sab bata deta hai, saari baat sunte hi rajendra bola "yeh kese possible hai..?? dexter ke chune ke baad bhi mayank ko kuch nahi hua"

Manthan "haa..aur mayank, Mumbai se nahi..balki isi jungle se aaya hai"

Rajendra "kaha hai voh..??"

Manthan "voh aur paridhi aage gaye hai, par unhe gaye hue kaafi waqt ho gaya hai, mai aur siddhi unhe dhundne hi jaa rahe the"

Tabhi vaha par swat ka ek member aaya aur bola "sir, do aur naujawan uss jungle ke andar se aa rahe hai"

Rajendra aur Mayank ne jeep ki aur dekha, jaha Mayank aur Paridhi dono khade the, Manthan ne mayank ko apne pass bulaya

Mayank kea ate hi manthan bola "abe yeh chot..?? kese..??"

Mayank "dexter..voh vaha aaya tha"

Manthan "kya..?? tu thik toh haina..?? aur paridhi..??"

Mayank "hum dono hi thik hai" fir voh rajendra ko dekhte hue "aap yaha kya kar rahe hai..??"

Rajendra "manthan me bataya ki tu yaha kyu aaya hai..?? kuch pata chala..??"

Mayank "haa..bahut kuch pata chala hai, and I guess, aap logbhi vahi jaa rahe hai"

Rajendra "tuje kese pata..??"

Mayank "voh sab chodiye, aap vaha nahi jaa sakte, aap log Dexter ko nahi rok sakte"

Rajendra "tu janta hai, tuje pata hai ki dexter kaun hai"

Mayank "haa..yakin maaniye, use mai toh kya koi bhi nahi rok sakta"

Rajendra "kaun hai voh..??"

Mayank "yeh sab baad me, hum yaha jyada der nahi ruk sakte"

Rajendra "par mai yaha se ese hi nahi jaa sakta, mai khud inhe yaha lekar aaya hu, aur bina kuch pata kiye ab mai vapas nahi jaa sakta"

Mayank kuch sochte hue "thik hai fir, yaha se 5 min ki duri par unn dono police officer ke kankaal pade hai, aap vahi se vapas laut aaye"

Rajendra "thik hai, par muje toh bata ki aakhir dexter hai kaun"

Mayank ka jawab sunkar Rajendra ki aankhe badi ho gayi, aur fir Mayank, Paridhi, Mayank aur Siddhi Mumbai vapas aagaye, aur usi hotel me chale gaye jaaha unke dost the

Rajendra ne bhi Mayank ki baat maankar, aadhe jungle se hi vapas aagaya, usne Karan aur Patil ki laasho ko study karne ke liye apne saath le aaya

To be continued.
 

Update : 27 (Time is the Answer)

Location : Crime Branch, Mumbai

Rajendra aur uski team jungle se vapaas aa chuki thi, aur unke aate hi commissioner ne emergency meeting bulayi thi

Dr. Rajendra "sir..aap sahi the, humne almost pura jungle chaan liya, lekin kuch nahi mila..aur naa hi voh nishaan hume kahi par dikhe, par haa..hume uss jungle me 2 kankaal mile the, aur unn kankaal se thodi duri par ek police ki jeep khadi thi, I think voh dono kankaal aapke officers ke hai" ne apni baat ko sabke samne rakhi

Commissioner gehri saans lete hue "agar aapka yeh idea bhi kaam nahi aaya, toh ab hum dexter ko rokenge kese"

Ajit "sir, muje jo images mili thi..voh fake nahi thi, matlab ki voh nishan iss earth par kahi na kahi toh maujud jarur hai, mai uss jagah ki location ko decode karne ki try karta hu, but I need some time"

Commissioner "okay doc, take your time, but be quick"

Ajit "yes sir, mai jald se jald pata karne ki koshish karta hu"

Loaction : Hotel LandMark, Mumbai

Mayank, Paridhi, Manthan aur Siddhi, jungle se nikalkar hotel aagaye the, jaha Pathik, Siddhi aur Aneri pehle se maujud the

Mayank ke mathe par band-aid ki patti dekhkar Kruti puchti hai "tuje kya hai..?? yeh chot kese lagi..??"

Mayank ne sabkuch bata diya, uski baat khatam hote hi Manthan puchta hai "mayank, yeh kese ho sakta hai..?? I mean Dexter kese.." voh bolte hue ruk gaya, kyunki darwaje par knock hua tha, aur aane vala shaks aur koyi nahi Manthan ke papa the

Meeting khatam hote hi Rajendra crime branch se nikal kar Landmark Hotel me aagaya..Room me jaate hi Rajendra ne sawal kiya "Mayank..are you sure, tu jo keh raha hai voh sach hai..??"

Mayank haa mein apna sar hilata hai, Rajendra "tu itne yakin se kese keh sakta hai, voh bhi bina kisi proof ke..??"

Mayank "haa..mere pass koi pakka proof nahi hai, but I know some theories about time, jab mai pehli baar Dexter ke contact me aaya tha, uss waqt muje bhi yahi laga tha..ki shayad yeh mera veham hai, par jab aaj Dexter ne muje dubara pakda, muje yakin ho gaya ki Dexter kuch nahi..balki khud TIME hai"

Rajendra chaunkte hue "tune aisa toh kya dekh liya ki tu itna sure hai..??"

Mayank "Papa..I mean Uncle" bolte hue voh ruk gaya

Rajendra "it's okay son, you can call me"

Mayank muskurate hue "iss kudrat ke aage hum insaan ek mamuli se jeev hai, ise mai yaa aap kabhi samaj nahi sakte, lekin hum lalaach aur technology ke dam par itne andhe ho chuke hai ki..hume lagta hai ki humse jyada powerful iss universe aur koyi ho hi nahi sakta, aaj samaj me aa raha hai ki time machine ko kyu nahi banaya gaya, isi nasamaj ki vajah se hum insaan unn raaj ko jaane ki koshish karte hai jinke baare me hume kabhi nahi jaana chahiye, aur sirf utna hi nahi..unn raaz ko jaankar hum kudrat ko badalne ki koshish karte hai, mere earth par hum logo ne bahut si galtiya ki hai..shayad usi galtiyo ki vajah se hamare pass ek theory thi, aaj mere earth ki har ek techonolgy, har ek theory iss kudrat ke samne bekar lag rahi hai, aisa lag raha hai ki unn theories ka iss universe me koyi vajud hi nahi hai..maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki hamari ek galti ki vajah se pura universe khatre me aajayega"

Rajendra "yeh toh tune sach kaha, hum insaan chahe kitne bhi aage kyu naa badh jaaye, lekin..hamesa iss kudrat se hum peeche hi rahenge"


Pathik "aesi konsi theory hai jisse tuje yeh lagta hai ki Dexter khud ek time hai..??"

Rajendra "aur tune aisa toh kya dekh liya ki tuje yakin ho gaya ki Dexter Time hai"

Mayank unn dono ki aur dekhte hue "sab kuch, mera past, mera present, mera future..sab kuch, yeh sab kuch maine thik ek saath dekha"

Siddhi "yeh kese ho sakta hai..?? I mean koi bhi apna bhut kaal, vartman aur bhavishya..ek hi saath ek hi jagah ek hi waqt par kese dekh sakta hai..??"

Mayank "yes siddhi, yeh ho sakta hai, agar hum TIME FORCE ke contact me aajaye..toh yeh possible hai"

Sab ek saath "time force..??"

Mayank "yeah, it's like river"

Rajendra "yeh sab tu baad me samjana, bas ek baat bata, agar Dexter Time ka hissa hai, toh voh alag kese hua..?? aur sabse bada sawaal, sirf ek theory ke based par tune yeh kese maan liya ki Dexter khud waqt hai..??"

Mayank "bilkul bhi nahi, jabtak theories practically proov nahi ho jaati, tab tak voh theory ek assumptions hi rehte hai"

Pathik "toh fir tuje itna yakin kese hai ki Dexter khud ek TIME hai..??"

Mayank rajendra ki aur dekhte hue kehta hai "voh ladki ki death body yaad hai, jo aap Mumbai se study karne ke liye Delhi laaye the..??"

Rajendra sawaliya bhari najro se dekhta, toh mayank kehta hai "vohi ladki jiski age 25 years thi, but PM report me uski age 85 dikha rahi thi"

Rajendra "tuje kese." voh bolte hue ruk gaya aur "you hacked it"

Mayank "yeah..yeah, I hacked"

Rajendra "but how..?? it was encrypted by the X-axis bionumeric algorithm, no one can decrypte it, and agar koi karta bhi hai, toh voh pakda jayega"

Mayank "aapko sach me lagta hai ki mere earth ki technology ko aapke yeh bacho ke khelne vali chize rok paayegi"

Mayank ne yeh baat ese kahi jese yeh algorithm uske liye English ke alphabets ho, Rajendra apne daant piste hue "toh kya hua..?? uss ladki ka aur dexter ke time ke hone ka kya relation"

Mayank "agar mai galat nahi hu toh, shayad aapke assistant ne yeh kaha tha ki yeh saari deaths time drug ya umra I mean age badhane vali medicines se ho rahi hai"

Rajendra mayank ko ghur raha tha, mayank ne apni baat jaari rakhi "actually..he was telling the truth, but partially"

Manthan "what do you mean by that, aaaaa time drug..??"

Mayank "naahhhh, voh time drug nahi hai, but voh baat alag thi, main point yeh hai ki dexter jis kisi ko bhi chuta hai, fir chahe voh living being ho..ya non-living, uss chiz ki umar bahut teji se badhne lagti hai, aur time ke aage hamari age kuch bhi nahi hai, it is just like a small atom in whole universe, hum insaan ko maarne ke liye Dexter ke liye 1 second bhi bahut jyada hai"

Rajendra taana marte hue "aur yeh bhi tere earth kahi saari crazy theories mese ek hai..?? right..??"

Mayank haste hue "nope, yeh meri ya mere earth ki theory nahi hai"

Rajendra "fir..??"

Mayank "jab hum Delhi se Mumbai aane ke liye nikale, Gideon apne khud se kuch naye algorithms par kaam kar raha hai, aur iss earth par jitni bhi death hui hai..ya jitni bhi report soft copy ya internet par available hai..unn sab ki study karne par pata chala hai ki dexter ke contact me aane se uss chiz ki age kaafi jyada badh jaati hai"

Pathik "so tune abhi abhi jo kuch bhi kaha, voh sab Gideon ne research karne ke baad bola, toh fir gideon ke hisab se 1 second me Dexter ke chune par kitne saal badhte hai..??"

Mayank "approx. or on an average 50-60 years"

Rajendra "ohhh freeekkk, yeh baat toh maine sochi hi nahi, shayad isi vajah se har ek insaan ka kankaal hume milta hai, par ek min..agar 1 seconds me 50 years badh rahe hai, toh fir kankaal totally decompose kese ho jaate hai..?? unhe decompose hone me toh kahi saal lag jaate hai..ya yu kahu ki sadiya beet jaati hai"

Mayank "iske kahi saare reasons ho sakte hai, like humidity, bacteria, and even dexter, because I am not sure ki exactly dexter kitne saal time ko aage badha deta hai, yeh sirf ek approx. data hai, precisely nahi"

Paridhi "aur yeh bhi toh ek reason ho sakta hai ki dexter sanp ke jese chalta hai, toh usi vajah se kisi bhi chiz ka uske saath contact time badh jaata hai"

Mayank "exactly, maine abhi abhi kaha, bahut se factors affect karte hai..even bodies to bodies bhi depend karti hai, so I am not sure"

Rajendra "thik hai, humne maan liya ki Dexter khud waqt hai, aur log umra badhne ki vajah se mar rahe hai, par Dexter ke chune par tujpar koi effect kyu nahi ho rahi..??"

Mayank "shayad tachyons aur dimension travel ki vajah se, because tachyons have imaginary mass..and dimension travel (DT) indirectly space and time se jude hai"

Rajendra "no..it can't be, tachyons practically exist nahi karte hai"

Mayank "well, chalo iss earth par koi toh aisa hai jisko tachyons ke baare me kuch toh pata hai"

Rajendra "iska kya matlab ki iss earth par koyi toh hai..??"

Mayank fir tachyons aur apne experiment ke baare me sab kuch bata deta hai, jise sunkar rajendra shock ho jaata hai "unbelievable, yeh kisi sapne se kam nahi hai, kuch scientist ne tachyons par theory likhi toh thi, unhone yeh bhi kaha tha ki tachyons particles hamare universe me exist karte hai, par kisine bhi unpar ya unn theories par believe nahi kiya, kyunki tachyons ke hone ka koi proof nahi tha..aur isiliye unki theories ko kabhi release nahi ki gayi"

Mayank "bas ek problem hai..?? aakhir tachyons muje iss earth par kese laa sakte hai, I mean white hole..aur black hole, dono hi exist karte hai, par unke bich ka path..mai tachyons ki vajah se uss path par travel toh kar sakta hu, but sirf tachyons ki speed ki vajah se worm hole ya gateway open nahi ho sakta"

Rajendra kuch sochte hue "muje jyada toh kuch nahi pata, par ek simple logic mere dimag me aa raha hai, I am not sure ki voh sahi hai ya galat"

Mayank "konsa logic..??"

Rajendra "Newtons third law, every action has equal and opposite reaction, matlab har ek chiz ke do pehlu hote hai..dono hi samantar par ek dusre se alag, aur in simple language tum jitni jor se apna pair jameen par patkoge..utni hi jyada tumhe chot lagegi"

Mayank chaunkte hue "thanks dad, thank you so much, yeh maine pehle kyu nahi socha"

Rajendra "well..kahi baar hamare earth ki purani aur outdated chize bhi kaam aa sakti hai, aur kya pata voh sabse important ho"

Mayank ko shayad apni galti ka ehsas ho gaya tha "I am sorry, mai samaj gaya ki aap kya kehna chahte hai, maine hamesa aapke earth ki technology ka majak banaya, mai yeh bhul gaya tha ki ek waqt par meri earth bhi isi phase se gujri hai, hum chahe jitney aage nikal jaaye..par basics ko nahi bhulna chahiye..and uski kadar karni chahiye"

Rajendra mayank ke kandhe par haath rakhte hue "tuje hurt karne ka koyi irada nahi tha, bas tuje apne earth ki technology par ghamand ho gaya tha, beta ek baad hamesa yaad rakhna..agar tumhare pass knowledge hai..toh uspar kabhi ghamand naa karo, kyunki knowledge ek esi chiz hai jo har kisi ke pass hoti hai, kisi ke pass jyada toh kisi ke pass kam..lekin iska yeh matlab nahi hota ki jiske pass jyada knowledge hai voh sabse jyada buddhi maan hai"

Mayank apne papa (earth-2) ko hug karte hue "mai yeh baat yaad rakhunga papa, yaad rakhunga"

Pathik "so hamare sabse bade gyani baba, newton baba ke niyam se tumhe kya madad mili..??"

Mayank "jis raat ko dhamaka hua..uss waqt mere pass phone tha, matlab ki radio waves..jiski speed bhi light ki speed ke barabar hai, because basically radio waves khud electromagnetic waves hai..par ek min"

Rajendra "ab kya hua..??"

Mayank "tachyons ke andar bahut jyada energy hai, aur mobile me use hone vali frequency me utne voltage nahi hote, jo tachyons ki energy ke barabar ho and radio waves sirf space me light ki speed se travel karti hai"

Rajendra kuch sochte hue "haa, voh baat toh hai, but agar high magnitude ke current se radio waves ko energise kiya jaaye toh it can be possible, aur uss range ki energy articially create karna almost impossible hai, without tachyons"

Rajendra ki baat sunkar Mayank soch me pad gaya, lekin voh kuch sochta uske pehle Pathik bola "well aap dono kya baat kar rahe hai, hamare samaj me bilkul bhi nahi aa raha, but agar articially utni energy create nahi kar sakte..then what about natural cause"

Rajendra "naturally utni energy ya toh sun me hoti hai..ya fir"

Mayank ne rajendra ki baat ko bich me hi kaat te hue "lightning bolt, matlab ki bijli..jis raat hum yeh experiment kar rahe the, uss waqt bahar baarish ho rahi thi, aur tacyons unstable the, mai khud bhag raha tha, and uss waqt bijli ka girna, it all make the sense, finally I know mai iss earth par kese aaya hu"

Manthan "well agar tu samaj hi gaya hai toh please hum sab ko samja..but please iss baar jara hindi me samjana"

To be continued.
 

Update : 28 (Worm Hole)

Manthan "well agar tu samaj hi gaya hai toh please hum sab ko samja..but please iss baar jara hindi me samjana"

Ab aage..

Manthan ke aisa bolne par sab use dekhne lage, jise Manthan thoda jhepte hue "kya..?? mai iske jitna padha likha nahi hu, aur naahi muje inn sab chizo ki utni samaj hai, par agar hume dexter ko rokna hai..toh hum sab ko milkar kaam karna hoga, aur yeh tabhi possible hai jab hum uske baare me sab kuch jaan sake..samaj sake"

Manthan ka saath dete hue siddhi ne kaha "haa, yeh toh tune sahi kaha, quantum physics ke baare me sirf uncle jaante hai, so manthan ke kehne ka matlab hai ki agar tu thoda detail me samjayega toh hamare liye asani hogi"

Mayank apne man me "jitna mai soch raha tha, Siddhi utni bhi buri nahi hai, I mean iss earth ki Siddi aur mere Earth vali siddhi me kaafi farak hai" fir Mayank haste hue kehta hai "it's okay..mai samaj gaya, and I need to apologize, actually pichle kuch mahino se yaha par jo kuch bhi ho raha hai, uske baare me maine pehle kabhi nahi suna tha, mai khud sure nahi tha ki Dexter khud TIME hai, jis tarah se logo ki maut ho rahi hai..voh sab mere liye bhi bilkul naya tha, kyunki yaaha aane se pehle..naa toh kabhi maine iss tarah ke hadso ke baare me suna tha..aur naahi kabhi dekha tha" thoda rukkar "dexter ko rokne se pehle uske baare me janna bahut jaruri thi, halaki muje Dexter ka khud time hone par shaq jarur tha..but I am not sure, muje laga ki shayad jo mai soch raha hu voh galat bhi ho sakta hai..shayad yeh bhi ho sakta hai ki Dexter meri hi tarah INTER-DIMENSION travel karke iss earth par aaya hai, aur maybe..just may be voh bhi usi jungle se aaya hoga jaha se mai aaya tha, isiliye mai yaha..mumbai aaya, and I guess maine jo socha tha voh galat nahi tha, DEXTER is TIME and ab muje sab kuch samaj me aa chukka hai ki yeh aakhir kese hua"

NOTE : aage jyada confusion naa ho, isliye abse mai Earth-1 aur Earth-2 ke characters unke number vise likhunga

Earth-1 yaani jaha Manthan aur Siddhi couple hai, Manthan-1 aur Siddhi-1

Earth-2 yaani Manthan dimension travel karke yaha aaya hai, yaani Mayank urf Manthan-2, yaani manthan-2 likhu toh samaj lena ki mai mayank ki baat kar raha hu

Rajendra "manthan-2, ek baat mere samaj me nahi aayi"

Mayank unhe sawaliya bhari najro se dekhta hai, Rajendra
"dexter ki vajah se jitney bhi log mare hai, unn sab ki death ka reason toh muje samaj me aagaya, par uss ladki ki maut..uski maut me kuch ajib tha, mera matlab ki."

Rajendra ki baat ko Mayank puri karte hue bola "yahi ki uske sharir ke ek hisse par Dexter chune ka koi asar nahi hua tha" rajendra apna sar haa me hilata hai, Mayank "hmm..time ko samajna muskil hi nahi..namumkin hai, time ke ese bahut se anginat raaz hai, jisko hum kabhi nahi samaj sakte, atleast hum insaan toh kabhi bhi nahi"

Fir kuch der sablog chup rahe, Paridhi ne pucha "tu yaaha par tachyons ki vajah se haina..??"

Kruti "pichle kuch dino me hume voh jaan ne mila hai, jo shayad hume impossible sa lagta tha, hum log yahi maan rahe the ki time travel, multiverse..yeh sab sirf theories me hota hai, lekin yeh sab kisi sapne se kam nahi hai"

Kruti ki aur dekhte hue mayank bola "hum akshar sapne ka majak banate hai, kyunki kahi baar hume ese chize dikhayi deti hai jispar belive karna impossible hota hai, lekin iska matlab yeh nahi ki unn sapno ka koyi matlab nahi hota, hum akshar sapne me jo dekhte hai..voh sirf sapne nahi hote, kisi ki zindagi hoti hai, bas farak itna hota hai ki hum uss zindagi ko jee nahi paate..kyunki humhare dopplegangers..yani hamare counter-part, kisi alag space-time me voh life jee rahe hote hai, aur uss life ki kuch tasweer hume sapne ke jariye dikhayi deti hai"

Pathik "agar yeh sach hai toh hamare kitne counter-part ho sakte hai..??"

Mayank "well..yeh toh mai nahi janta, anginat bhi ho sakte hai..ya fir sirf do, no one can tell about that, because multiverse me yeh bhi possible hai ki space aur time me hamari earth kabhi exist hui hi naa ho, ya fir pehle hi destroy ho chuki ho..ya fir uss earth par abhi bhi cretaceous period chal raha ho..mera matlab dinosaurs ka waqt"

Kruti "ek sawal hai..tune yeh kaha tha ki teri earth aur yeh earth dono alag-alag frequency se vibrate karti hai, toh kya yeh possible hai ki unn dono earth ki frequency kabhi ek ho jaaye..??"

Mayank "haa..yeh possible hai"

Kruti "uss waqt kya hoga..??"

Mayank "simple, blach hole, and I am sure ke black hole ke baare me aap sab jaante hi honge, aur yeh ek strong possibility hai ki dono earth ki frequency kabhi na kabhi ek particular time par same ho jaati hai, aur jab aisa hota hai toh uss hi waqt par voh dono hi earth collapse hokar extinct ho jayegi..matlab universe se mit jayegi"

Yeh sunkar sab log chaunk jaate hai, Manthan "aur hume yeh pata kese chalega ki yeh kab hua hai..ya kab hone vala hai"

Mayank "it can take millions of years ya fir usse bhi jyada, no one can find about that"

Paridhi "par black hole toh"

Mayank "nahi Pari, voh black hole bahut hi chota hoga..usse kuch nahi ho sakta"

Siddhi "ab sabse bada question, tu yaaha par kese aaya..?? maine padha tha ki multiverse me travel karne ki sirf ek hi possibility hai, black hole ke through, aur abhi tune kaha ki black-hole tabhi create ho sakta hai jab multiverse ke do planets collide ho, iska matlab toh yeh hua ki teri Earth.." voh bolte hue ruk gayi

Mayank "yeah, tuje kaafi kuch pata hai, par black-hole aur bhi kahi reasons se create ho sakte hai, even jab same universe ke do planets ek dusre se takrayenge..tab ek bahut hi bada dhamaka hoga, uss dhamake se jo energy nilkegi..voh kahi light years tak dikhayi de sakti hai..aur uss energy ki vajah se ek bahut hi chota par temporary black hole create hoga"

Pathik "par black hole toh sab kuch apne andar khich leta hai, voh toh ek infinite tunnel hai, aur uski energy toh hume vaporize kar degi"

Mayank "worm hole ke baare me suna hai..??"

Iss baar koi kuch nahi bola, sirf haa mei apna sar hilaya, Mayank "worm hole voh chiz hai jo space-time ko ek dusre se connect karti hai, worm hole long-distance travel karne ke liye kaam ki jaa sakti hai, and long-distance means hundreds of light years in seconds, aur dimension-travel bhi worm hole ki vajah se possible ho sakta hai"

Sab ek saath "how..??"

Mayank "worm hole ek tunnel hai, jiske do end-points hai, aur dono end-points are just like a gate, ab yeh maan lo ki worm-hole ka ek gate black hole hai, yaani entry gate..toh worm hole ka dusra gate hua exit-gate, jise white hole bhi kehte hai"

Rajendra "aur ywh worm-hole kese bana..??"

Mayank "answer aapko pata hai" voh rajendra ki aur dekh raha tha

Rajendra kuch sochte hue bola "tachyons..??" jese sawal kar raha ho

Mayank "yeah, agar koi bhi chiz light ki raftar se jyada tez chalti hai, toh voh chiz space and time barrier ko cross kar sakti hai"

Pathik "yeh baat se toh mai agree karta hu, par tu tachyons nahi hai, you are just a human, ham sab ki tarah"

Mayank "haa..mai insaan hu, but I am damn sure ki jab CDC lab me tachyons ka dhamaka hua, tab tachyon particles mere body ke saath fuse ho gaye the"

Sab ek saath "kese..??"

Mayank kuch yaad karte hue "jab hum tachyons par experiment kar rahe the, tab uss hollow pipeline me tachyon ka ek particle inject kiya tha, aur tachyon ki speed ko humne light ki speed par stable kiya, and according to simple science, agar kisi bhi chiz ki raftar ko kam karte hai, toh uske andar se ek energy release hoti hai..jise hum heat kehte hai" fir thoda rukkar "bilkul vaise hi jab hum car ki speed ko break lagakar slow down karte waqt, tab tyre se heat nikalti hai, aur uss tyre ko thanda karne ke liye air yaani haawa as a coolant ka kaam karti hai, but agar iski jagah hum kisi badi machine par koi kaam karte hai toh usme water ya fir kisi aur liquid ko as a coolant ke tarah use kiya jaata hai"

Manthan uski baat ko bich me kaat te hue "yeh sab toh hume bhi pata hai, par inn sab ka tachyons ke saath kya lena dena..??"

Mayank uski aur dekhte hue "bilkul thik vaise hi, tachyons ko slow karne par bahut hi jyada heat release hoti hai, uss heat ko counter karne ke liye humne cooling systems ko design kiya tha, experiment ke waqt bahar teji se baarish ho rahi thi aur saath me bijli kadak rahi thi, aur tachyons ki raftar ne bijli ko zameen tak khich liya, bijli ke girne ki vajah se system ki primary cooling system destroy ho gayi, cooling system ke band hone ki vajah se pipeline me heat itni jyada badh gayi ki vaha ek bahut hi bada dhamaka hua, aur dhamake ne uss single particle ko bhi destroy kar diya, lekin voh particle pehle se unstable tha aur destroy hone par usme ek unknown energy release hue jisne baaki rahe tachyons ko bhi unstable kar diya" saans lete hue "aur jab mai Pari ki aur bhaag raha tha" voh kehte hue chup ho gaya, aur usne apni aankhe band kar di

Jese hi mayank ne apni aankhe bandh ki, usne Pari ko vese hi uss aag ke ghere me dekha, Pari ne uski aur madad ke liye haath badhaya hua, yeh sab dekhkar uski aankho se paani aagaya, aur usko saaf karte hue "jab mai pari ko bachane ke liye uske pass gaya, thik usi waqt jo tachyons unstable hue the, voh underground se mere aur aaye, aur bahar bijli lagatar kadak rahi thi, and according to newtons third law, agar kisi bhi do chiz ko same speed aur same energy se ek dusre se takrayenge..toh dhamaka hoga, aur jitni jyada energy..utna bada dhamaka, tachyons ki speed ko counteract sirf vaha maujud radio waves kar sakti thi, kyunki uss waqt mere pocket me cell phone tha, cell phone radio waves aur uski specific frequency se operate hota hai, and radio wave continuously satellite ke contact me rehti hai, yaani mobile aur satellite ke bich connection banaye rakhti hai"

Mayank saans lekar "basically radio waves electromagnetic waves hai, jo light ki speed se travel karti hai, but uske andar tachyons ke jitni energy nahi hoti, so lightning bolt yaani bijli ne as a booster ka kaam kiya, just like a nitrous in car, so radio waves ki speed aur lightning bolt ki energy ka combination tachyons ko counter kar sakta hai"

Pathik "yaani unn dono ke takrane se dhamaka hua aur uss dhamaka se vaha worm hole open ho gaya..??"

Mayank "haa, thik yahi hua"

Manthan "par tune toh kaha ki tachyons teri body ke saath fuse hua tha"

Mayank "actually jis point par dhamaka hua, voh point khud mai tha, worm hole ka entry gate black hole tha aur black hole sab kuch apne andar khich leta hai, toh mere saath tachyons particles bhi black hole me khiche chale gaye, aur black hole me tachyons meri body se fuse ho gaye and as simple black hole sari chizo ko apne andar khichta hai, thik vaise hi white hole apne andar ki chize bahar nikal fainkta hai"

Manthan ajib si shakal banata hai aur apne baal ko khujate hue "inn sab ko samajna mere dimag ke bahar hai"

Mayank haste hue "hahaha, bas itna samaj le ki worm hole ek straw hai, jiska ek hisse par entry hai aur dusre par exit"

Siddhi manthan ko samjate hue "yaani Earth-2 par black hole create hue, jiske andar mayank khicha chala gaya aur Earth-1 par white hole hai, jaha se Mayank hamari earth par aaya"

Paridhi kuch der baad kehti hai "dexter ko rokenge kaise..??"

Mayank "dexter ko hum nai rok sakte"

To be continued..


END OF PHASE-III
 

Update : 29 (Feelings)

Paridhi kuch der baad kehti hai "dexter ko rokenge kaise..??"

Ab aage.

Mayank ne jese ek bomb fodte hue kaha "dexter ko roka nahi jaa sakta, we can't stop him"

Mayank ki baat sunkar sab log chaunk gaye the, Manthan "common yaar, dekh mere pass tere jitni knowledge toh nahi hai, par itna toh mai yakin ke saath keh sakta hu ke pichle kuch dino mei maine jo kuch bhi dekha..jo kuch bhi jaana hai, uske baad tu haar nahi maan sakta..iss universe me agar multiverse exist kar sakta hai, koi chiz light se bhi jyada tezz ho sakti hai, toh fir dexter ko rokne ka bhi koi na koi rasta jarur hoga, aur tu inn sab ke baare me jitna janta hai..utna iss pure world me shayad hi koi janta hoga..so please, don't give hope"

Pathik "haa..mere bhai, aur tune hi kaha thana ki multiverse ke hone par tuje bhi bharosa nahi tha, iss earth par aane ke baad tune sabse pehle timet-travel ke baare me socha, agar koi unbelievable chiz exist kar sakti hai, tu agar dimension cross karke dusre earth par aa sakta hai, toh fir tu dexter ko lekar haar nahi maan sakta, and this earth need you Manthan, aur haa..hamare pass ek benefit bhi hai, sirf tu hi voh eklauta insaan hai jo dexter ke chune se bacha ho..agar hum iss baare me aur jyada pata kar paaye toh we can save people, aur kya pata isi ke through hume dexter ko rokne ka rasta bhi mil jaaye"

Siddhi "haa..manthan, yeh dono sahi keh rahe hai, aur ek pal ke liye bhi yeh mat soch ki tu iss earth par yaa iss mission me akela hai..hum sab tere saath hai and voh AI Computer..gideon bhi toh tere saath hai"

Mayank "guys..dexter is much more than me or Gideon or anything else in the entire universe, mai ek mamuli sa insaan hu jo ek mamuli se planet par rahta hai, maana ki maine kabhi bhi multiverse ko sach nahi maana, lekin mai ek experiment ki galti ki vajah se iss earth par fasa hua hu, Gideon ek super computer hai..lekin uske powers ki bhi ek limit hai, but dexter..Dexter ke powers ki koi limit nahi hai" voh saans lete hue "time-travel, dimension travel, multiverse..yeh sab Dexter ke aage bahut hi choti chize hai, aur ek pal ke liye bhi yeh naa bhulna ki hamari ladayi kisi aam jeev se nahi..balki uss chiz se hai jo kabhi bhi kisi ke liye nahi rukti, bade se bada jeev uski taqat ke aage bebas ho jaata hai, hamari ladayi khud TIME ke saath hai"

Kruti "toh kya hum ese hi apni earth ke khatam hone ka intezaar kare, aur yeh soche ki kab dexter hume bhi hamesa ke liye sula de..??"

Kruti ne behad hi ukhde hue swar me kaha jise sunkar mayank uski aur dekhne laga, Siddhi ne kruti ke sawalo ka jawab dete hue kaha "nahi manthan-2, mai itni jaldi marna nahi chahti, i want to leave"

Mayank "marna kisi ko bhi pasand nahi hota, but yeh kudrat ka khel hai aur shayad yeh kudrat ke saath khilwaad karne ka hi natiza hai, and i am really sorry, iss earth par jo kuch bhi ho raha hai..yeh sab hamari ki gayi hui galtiyo ka asar hai, kaash ke humne uss experiment ko kabhi shuru hi naa kiya hota toh aaj aap sab ki yeh haalat nahi hoti"

Rajendra "son, sabse pehle toh khud ko criticise karna chod de, mana ki dexter tere earth ki galtiyo ki vajah se aaya hai, par yeh pura sach nahi hai, hum logo ne kabhi bhi kudrat ki kadar nahi ki, sirf aur sirf nuksan pahuchaya hai, aur kahi na kahi galti hamare earth ki bhi hai, aaj hamare planet par crime, pollution itni had tak badh gaya hai ki earth ka ant dheere dheere najdik aa raha hai, aur yeh rates agar isi tarah badhte rahe toh hamari earth bahut jaldi khatam ho jaayegi..but agar tu really me hamari madad karna chahta hai, toh tuje khud ko dosh dena band karna hoga..aur yeh sochna chalu kar ki Dexter ko roka kese jaaye"

Kruti "yes manthan, jo ho chukka hai hum badal nahi sakte, but aage jo hone vala hai use rokne ki koshish jarur kar sakte hai"

Paridhi jo abtak chup thi, voh kehti hai "manthan, ham sab jante hai ki hamari ladayi waqt ke saath hai, aur waqt ko rokna impossible hai, par kya sirf issi baat ke dar se hum ummid toh nahi chod sakte na..?? kya waqt ka darr apno ki judayi ke darr se jyada hai..?? agar hum aise hi Dexter se darte rahe toh hum apne aap ko bhi nahi bacha payenge, aur mai bina lade haar nahi manna chahti"

Mayank "mai aap sab ki baat ko samaj raha hu, aur yakin maaniye, mai khud aap sab ki madad karna chahta hu, but I really don't know how to stop him, meri har knowledge iss waqt Dexter ke samne bekar lag rahi hai, koyi bhi theories kaam nahi aa rahi"

Kuch der vaha par chuppi chaayi rahi, rajendra "kabhi kabhi hume theories ko chodkar kuch aur baato par dhyan dena padta hai, hume apne sawalo ke jawab kahi aur se bhi mil sakte hai, jese ki maine kabhi nahi socha tha ki Dexter ke baare me muje iss tarah se pata chalega, aur tu khud bhi yeh baat janta hai..multiverse sirf theories me exist nahi karta" thoda rukkar "well, i need to go, muje crime branch jaake reports taiyaar karni hai, I am sorry"

Rajendra ke jaane ke baad bhi koi kuch nahi bola, karib 15 min ke baad pathik kuch sochte hue mayank se ek sawal karta hai "manthan-2, mere dimag me ek baat kabse ghum rahi hai, tune abhi abhi kuch der pehle Dexter ko lekar kuch kaha tha"

Mayank uski aur sawaliya bhari najro se dekhta hai, pathik "tune kaha tha ki jab dexter ne tuje chua tha uss waqt tuje tera past, present aur future ek hi waqt par dikhayi diya tha"

Mayank haa mein apna sir hilate hue "haa muje yaad hai, par tu kehna kya chahta hai"

Pathik "mai bas yeh janna chahta hu ki uss waqt tune kya dekha tha..??"

Mayank ne sab kuch bata diya tha, lekin Dexter ke chune par usne kya dekha voh kisi ko nahi bataya aur naa hi voh yeh kisi ko batana chahta tha

Pathik ke sawal se sabhi log mayank ki aur dekhne lage..unn sab ki najar mayank ke chehre par tiki hui thi, iss aas me ki mayank ab kuch bolega

Lekin aisa nahi hua, mayank kuch nahi bola, voh apne najre jukate hue khada hua aur room ki gallery me aagaya, kisi ko kuch bhi samaj me nahi aaya ki mayank ne aisa kyu kiya..par haa uski aankho se nikalne vaale aansu sabne dekh liye the

Siddhi "ise kya hua..?? Iss ladke ko jitna samajne ki koshish karte hai utna hi usme ulajte jaa rahe hai"

Sabne siddhi ki baat me haami bhari, kruti "mayank ne hume sab kuch bataya, lekin usne yeh nahi bataya ki usne kya dekh tha"

Siddhi "aisa toh kya ho sakta hai jo voh humse chupana chahta hai"

Lekin siddhi ke iss sawal ka jawab kisike pass nahi tha, sivay paridhi ke, paridhi "i think i know, voh hume kyu nahi batana chah raha"

Sab ek sath "kya..??"

Paridhi "but I am not sure, shayad mai galat bhi ho sakti hu, I think usne jo dekha tha voh shayad bahut hi bura tha, ab tak mayank ne jin jin logo ko khoya hai..shayad unhi mese kisi ki death ko dekha hoga"

Manthan "pari, maybe you are right, jese hi tune" pathik ki aur ishara kiya "yeh sawal kiya, uski aankho me dard aur aansu dono hi ek saath aagaye the"

Kruti "mayank hume naa batakar khud ko hi hurt kar raha hai"

Siddhi "but voh share kare bhi toh kisse..??"

Kruti "wo hamare saath share kar sakta hai, we are his friends"

Paridhi "nahi kruti, khud ko uski jagah rakhkar dekh, uske parents ki death uske bachpan me uske hi aankho ke samne hui thi, voh jisse pyaar karta tha uski maut usse kuch fanslo ki duri par hui thi..Mayank ne apne pyaar ko bachani ki koshish puri ki..par hua kya, voh yaaha..hamare earth par aakar fans gaya, aur sirf itna hi nahi..jab voh vapas apne gahr Delhi aaya.tab usne sab kuch badla hua dekha, aur fir unn logo ko dekha jisko dekhne ki usne kabhi sapne me bhi ummid nahi ki hogi.yaani uske Mom Dad, yaani Rajendra Uncle aur Madhvi Aunty, lekin shayad uske liye yeh kaafi nahi tha, Mayank ne muje haste hue dekha, aur meri shakal uski Pari se milti hai, ab baata kya tuje lagta hai ki voh yeh sab baate kisse share kare..?? unse jo uske mummy papa ke jese dikhte hai..ya usse jo uske pyaar ki humshakal hai..yaa fir usse jisse voh sabse jyada nafrat karta hai, I mean teri humshakal se" usne siddhi ki aur ishara karte hue kaha "humne kabhi yeh nahi socha ki hum sab ko iss tarah dekhkar uspar kya beet rahi hogi..??"

Paridhi ki baat sunkar koi kuch nahi bola, kuch der ke liye uss room me ekdum sannata cha gaya, sabhi bahar gallery me khade mayank ki aur dekhne lage jo gallery me khade khade bahar ka najara dekh raha tha, ya fir nahi dekh raha tha

Manthan "I think muje usse baat karni chahiye" aur voh uthkar jaane laga ki tabhi use siddhi ne toka "nahi manthan, muje lagta hai ki Mayank se Paridhi ko baat karni chahiye, kyunki iss waqt Mayank se sabse jyada close Paridhi se hai" aur voh pari ki aur dekhte hue "voh apni har baat tujse share karta hai"

Paridhi ajib si najro se dekhte hue sawal kiya "mai..??"

Siddhi "haa pari, maana ki tu uski girlfriend ki hamshakal hai, but he still believes in you, voh tere saath khul kar baat kar sakta hai"

Pathik "and yaa pari, jabse voh hum sab se mila hai, uska dhyan jyadatar tere par rehta hai, aur maine dekha hai ki jab voh tujse baat karta hai tab kuch der ke liye hi sahi..par voh tere sath baat karte waqt sab kuch bhul jaata hai, use tere saath rehna acha lagta hai"

Yeh sunkar pari sab ki aur dekhne lagi, par uske man me ek saath bahut saare sawaal ghum rahe the, voh apne man me sochti hai "kya sach me manthan ko mere saath rehna pasand hai..?? Sach kahu toh muje khud uske saath rehna acha lagta hai, pata nahi kyu par..bas acha lagta hai, man ko ek ajib sa sukun milta hai, aur dil..dil toh karta hai ki mai hamesa uske saath hi rahu..aur mera bas chale toh usko kabhi sad naa hone du..?? Par yeh sab mere sath kyu ho raha hai, mai toh usko thik se janti bhi nahi, usko mile hue abhi ek hafta hua hai, aur Manthan ke liye jo feelings mere dil me hai voh kahi attraction ki vajah se toh nahi hai..?? Lekin jab manthan ne muje kiss ki, kyu mai usko mana nahi kar paayi, kyu khud ko uski baanho me pighalta hua mehsus karti hu..?? kyu baar-baar yeh man karta hai ki mai usi ke baanho me rahu, Yeh..yeh sab kya ho raha hai mere saath..?? mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha"

Tabhi kruti ne pari ke aankho ke samne chutki bajayi "darling kaha kho gayi..??"

Paridhi jese neend se jagte hue "aahhhh, kk..kkku..uuccc..hh nahi, shayad tum sab thik keh rahe ho, I should go and talk to him"

Siddhi kuch sochte hue "paridhi..tum dono ko walk par kyu nahi jaate, shayad voh baahar jaakar khud ko fresh mehsus kare aur kya pata voh tujse apni baate bhi share kar paaye..?? aur vese bhi ab kuch hi ghanto me raat ho jayegi"

Paridhi usko sawaliya bhari najro se dekhti hai, siddhi "i mean dekh jab voh tere saath akela hoga toh jyada se jyada khul kar baat kar payega, and kehte haina, ki jab man halka ho jaaye tab hamara dimag sahi se kaam karta hai"

Paridhi bas apni pyaari si smile deti hai aur voh manthan-2 ke pass jaane lagi, tabhi siddhi ne use rokte hue kaha "and yeah, hum sab log direct infinity mall me milenge, raat ka dinner bhi vahi se karenge"

Pari haa mein apna sar hilati hai aur gallery me chali gayi, uske jaate hi manthan bola "tu karna kya chah rahi hai..?? Iss tarah se pari aur manthan dono ek dusre se close ho jayenge..??"

Kruti "haa siddhi, tu toh jaanti hai ki paridhi ke dil me bhi mayank ke liye kuch feelings hai"

Siddhi "haan, I know, aur usme problem kya hai..?? Mayank ko apna khoya pyaar vaapis mil jaayega, aur yeh tum log bhi janti ho ki Mayank ke aane ke baad Paridhi kitni khush rehne lagi hai"

Pathik "haa siddhi, hum jante hai, lekin yahi toh problem hai, jab mayank apne earth vapas chala jayega tab Paridhi ka kya hoga tune socha hai..?? muskil se usne hasna sikha hai, agar iss baar uske saath aisa kuch hua, voh toh bichari tut hi jayegi"

Siddhi "mai janti hu..pathik, par paridhi jo sapne akshar mayank ke life ke dekha karti thi, har raat maine uske chehre ko dekha hai, usko utna khus maine kabhi nahi dekha, and yakeen maan agar unn dono ke dil me sach me ek dusre ke liye feelings hai, toh paridhi mayank ko kabhi vapas nahi jaane degi"

Bahar gallery me railing ki tek liye hue mayank bahar ka najara dekh raha tha, paridhi uske pass aakar uske kandhe par haath rakhti hai

Paridhi ke aisa karne par mayank ne bina uski aur dekhe hue kaha "kitna khubsurat najara haina pari, par dexter yeh sab tabaah kar dega" pata nahi kese par mayank ko ehsas ho gaya tha ki uske pass aane vala shaks aur koi nahi paridhi hai

Paridhi "tuje kese pata ki mai hi hu..??" Voh sawaliya bhari najro se mayank ko dekh rahi thi, Mayank ne vese hi juke hue apna chehra paridhi ki aur kiya aur bina kuch kahe uski aankho me dekhne laga

Siddhi unn dono ki aur ishara karte hue "see, kaha tha na maine, so let's go now"

Manthan rone jesi shakal banate hue "kya tuje sach me mall jaana hai..?? tuje iss waqt shopping karni hai..??"

Siddhi "haa and please ab der mat kar, jab tak mayank kuch bataega nahi..hum kuch nahi kar sakte, aur mai yaha aakar yeh mauka bilkul bhi miss nahi karna chahti, and mera manna hai ki jab tak hamare pass waqt hai..hume life ko puri tarah se enjoy karna chahiye"

Uske baad voh sab vaha se chale gaye, vahi mayank kuch der baad bola "pata nahi, par mere dil ne kaha ki tu hi hai"

Mayank fir sidha khada hua aur mudkar hall ki aur dekha par vaha koi nahi tha "yeh sab kaha gaye..??"

Paridhi "infinity mall..Siddhi yeh mauka miss nahi karna chahti"

Mayank "shopping toh tuje bhi pasand hai, fir tu kyu nahi gayi..??"

Paridhi ne ek dum masum sa chehra banate hue kaha "tu bhi na..ek dum pagal hai, unn dono love birds ke bich mai kya karti, aur muje bore hone ka koi shokh nahi hai"

Mayank haste hue "kruti aur pathik bhi toh the saath me"

Paridhi "nahi, Kruti ka bf yahi rahta hai..toh voh pakka usse milne jaayegi, aur Pathik ke saath rehkar mai uski boring padhayi vaali baate nahi sunna chahti, so please leave it, par tu muje bhagana kyu chahta hai, kya mai itni buri hu..??"

Mayank ko iss baat ki bilkul bhi ummid nahi thi, voh jhep jaata hai aur haklate hue "nn..naahi nahi, mm.mme..rrr.a.aaa voh matlab nahi tha, i am sorry"

Paridhi haste hue "paglu kahi ka" aur voh pyaar se Mayank ke baalo ko khujati hai aur "mai change karke aati hu" aur bathroom me ghus gayi

Mayank haste hue apne man me kehta hai "yeh ladki bhi na, hamesa aisa hi karti hai" aur use firse ek baar apni pari ki baate yaad aagayi, voh manthan ko pyaar se paglu bulaya karti thi

To be continued..
 
Back
Top