S
StoryPublisher
Guest
Dusre din Colonel Pratap ki kothi ki compound me CIB ke DSP ki gaadi khadi dikhayi di......aur wo andar colonel ka statement le raha tha. Imran ne raat hi me colonel ko achhi tarah pakka kar liya tha. Iss samay colonel ne wahi sab kuchh duhraaya tha jo usay Imran ne sikha diya tha. Usne DS ko bataya ki usay bhi rahassyamayi Shifton ka letter mila tha.....aur wo kewal usi ke dar se chhup gaya tha. Phir usne DSP ke cross ka uttar dete huye kaha ki wo iss se pahle bhi ek baar Shifton ka shikar ho chuka hai.,,,,aur uss samay usay 5 lacs rupees se hath dhone pade the. Lekin usay aaj tak ye nahin pata chal saka ki Shifton kisi ek vyakti ka naam hai ya ek giroh ka.
Anyway colonel ne Li yo Ka aur uske maamlaat ki hawa bhi nahin lagne di. Pichhli raat ki ghatnaaon ke sambandh me usne bayan diya ki Shifton ke aadmi uspar aur uski beti ko torture kar ke 50 lac rupees ka demand kar rahe the......tabhi us imarat me ek dhamaka hua.....Shifton ke aadmi badhawaas huye aur iss prakar unhen nikal bhaagne ka mauka mil gaya. Aur chunki uska secretary Imran pahle hi se Komal ki talash me udhar ke chakkar kaat raha tha....isliye usne turant uski madad ki.
Pata nahin DSP uske bayaan se santust hua ya nahin.....anyway....phir wo aur adhik der wahaan nahin ruka. Komal abhi tak bhaybheet thi. Usne Imran se puchha...."Imran sahab ab kya hoga?"
"Ab gaana naachna sabhi kuchh hoga....tum bilkul chinta mat karo..."
"Kya aap ne sach much bomb pheka tha?"
"Arre....tauba tauba...." Imran apna muhh peet kar bola..."Aisi baaten muhh se nahin nikaaliye warna....meri mummy mujhe ghar se nikal dengi."
Komal phir kuchh kahne waali thi ki colonel ne apne kamre se Imran ko awaaz di. Imran Komal ko wahin chhod kar colonel ke kamre me chala gaya. Colonel akela tha. Usne imran ke bhitar aate hi kamre ka darwaaza band kar diya.
"Idhar dekho...." Colonel ne mez ki taraf ishara kia......jis par ek bada sa khanjar pada hua tha.
"Shayad Li yo Ka ki taraf se dhamki?" Imran muskurakar bola.
"By Godd.....tum genius ho..." colonel ne uske kandhe par hath rakh kar kaampti huyi aawaz me kaha. "Haan....Li yo Ka ki taraf se ek khula khat....aur woh khanjar iss kamre me.....mujhe hairat hai ki inhen kon laaya."
Imran ne aage badh kar khat table se utha liya.....khat ke matter ke niche "Li yo Ka" likha hua tha. Imran unchi awaaz me khat padhne laga....
"Colonel Pratap....tumhen kewal ek awasar aur diya jaata hai.....ab bhi soch lo.....warna tumhara ek bhatija kal sham tak qatle kar diya jaayega.....chaahe tum usay kahin chhupa do.....ispar bhi tumhen hosh na aaya to phir apni ladki ki lash dekhoge.....agar tum papers waapas karne par taiyar ho to aaj 5 baje sham tak ek gas bhara hua laal gubbaara apni kothi ki compound se udaa dena."
Khat khatam kar ke Imran colonel ki taraf dekhne laga.
Clonel Dixon mujh se asli baat jaanna chaahta hai." Colonel Pratap ne kaha...."Usay Shifton waali kahani par vishwas nahin aaya. Samajh me nahin aata ki ye Shifton kon hai.....aur kahan se aa tapka." "Shifton....." Imran muskura kar bola...."Kuchh bhi nahin hai....isay Li yo Ka ki kewal ek simple si chaal kah lijiye. Usne ye harkat kewal isliye ki hai ki aap police ki madad na haasil kar saken. Zara is tarah sochiye.....shahar ke saare bade bade log police se kisi Shifton ki shikayat karte hain.....achanak aap bhi police ki madad maangte hain aur aap Li yo Ka ki kahani sunaate hain....parinam spasht hai ki police Shifton aur Li yo Ka donon ko bakwas samjhegi. is se aap madad ki bajaaye yahi jawaab paayenge ki shahar ke kisi shararati vyakti ne logon ko pareshan karne ke liye ye saara dhong rachaaya hai......kyon....kya main galat kah raha hun?"
"tum thik kah rahe ho." Colonel kuchh sochta hua bola."Magar ab meri akal jawaab de rahi hai. Samajh me anhin aata ki Dixon se kya kahun. Ham donon kitne saal tah ham-niwaala aur hum-pyala rahe hain. Hamaare bich kabhi koi raaz raaz nahin raha."
"Mera vichar hai ki ab aap sab kuchh usay bata dijiye.....aur ham sab ek jagah baith kar aapas me mashwara karen......ghar bhar ko ikattha kar lijiye."
"Iss se kya hoga?"
"Ho sakta hai ki ham me se koi ek sahi suggestion de sake,"
"Kabhi sochta hun ki kyon na kaagzaat police ke hawaale kar dun." Colonel apni peshaani ragadta hua bola.
"Is sthiti me aap Li yo Ka ke intaqaam se nahin bach sakenge."
"Yahi soch kar to rah jaata hun." Colonel ne kaha...."Lekin Imran bete....mujhe vishwaas hai ki papers waapas kar dene ke baad bhi main na bach sakunga."
"Na kewal aap balki wo sab bhi khatre me pad jaayenge jo iss samay aapka sath de rahe hain." Imran kuchh sochta hua bola.
"Phir main kya karun?"
"Jo kuchh main kahun wo kijiyega....?"
"Karunga..."
"To bas aap khamoshi dhaaran kijiye.....main naukaron ke alaawa ghar ke saare logon ko ikattha kar ke un se mashwera karunga......waise is bich aap chaahen to wo filmi song gaa sakte hain......kya bol the uske.....haan....dil leke chale to na jaaoge......ho raaja jee.....ho raaja jee...."
Kya behoodagi hai?" Colonel ne jhalla kar kaha......phir achanak hasne laga.
(........Jaari)