• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

नीले परिन्दे ( एक थ्रिलर उपन्यास )

सज्जाद उसे घूरने लगा....और शौकत की आँखें भी हैरत से फैल गयी थीं। फ़ैयाज़ इस तरह ख़ामोश बैठा था जैसे उसे साँप सूंघ गया हो।

“दूसरी हरकत मेरी थी....और तुम्हारी लड़की को कोई बीमारी नहीं है। उन दागों को ख़ालिस स्पिरिट से धो डालने पर चेहरा साफ़ हो जायेगा....!"

“खैर....खैर....मुझ पर झूठा इल्ज़ाम लगाया जा रहा है और मैं अदालत में देख लूँगा।'

“ज़रूर देखना सज्जाद! वाक़ई तुम्हारे ख़िलाफ़ सबूत पहुँचाना बड़ा मुश्किल काम होगा। लेकिन यह बताओ....कि पिछली रात अपनी लडकी का चेहरा देख कर तुम बेतहाशा ईंधन के गोदाम की तरफ़ क्यों भागे थे....बताओ....बोलो.... जवाब दो।"

तभी सज्जाद के चेहरे पर ज़र्दी फैल गयी। माथे पर पसीने की बूंदें फूट आयीं। आँखें धीरे-धीरे बन्द होने लगी और फिर उसकी गर्दन अचानक एक तरफ़ ढलक गयी। वह बेहोश हो गया था।

mmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm

उसी शाम को इमरान, रूशी और फ़ैयाज़ रॉयल होटल में चाय पी रहे थे। फ़ैयाज़ का चेहरा उतरा हुआ था और इमरान कह रहा था, “मुझे उसी वक़्त यकीन हो गया था कि सलीम शौकत से नाराज़ नहीं है जब उसने जेल से निकलने के बाद जावेद मिर्जा की कोठी का रुख़ किया था।"

“मगर ईंधन के गोदाम से क्या बरामद हुआ है!'' रूशी ने कहा। "तुमने वह बात अधूरी छोड़ दी थी....!"

"वहाँ से एक ज़हरीला डिब्बा बरामद हुआ है जिस में वाइरस हैं....और नीले रंग के परिन्दों का एक ढेर-रबड़ के तीन परिन्दे....गोंद की एक बोतल और इंजेक्शन की तीन सइयाँ....क्या समझी....वह हक़ीक़त में परिन्दा नहीं था जिसे जमील ने अपनी गर्दन से खींच कर खिड़की के बाहर फेंका था....बल्कि रबड़ का परिन्दा था, जिस पर गोंद से नीले रंग के पर चिपकाये गये थे। उसके पेट में वह थैली भरी गयी थी जिसमें वाइरस थे। परिन्दे की चोंच की जगह इंजेक्शन लगाने वाली खोखली सुई फ़िट की गयी थी....पहले जमील पर बाहर से खिडकी के ज़रिये एक परिन्दा ही फेंका गया था। जो उसके कन्धे से टकरा कर उड़ गया था। फिर वह नकली परिन्दा फेंका गया, जिसमें लगी हुई सुई उसकी गर्दन में घुस गयी। ज़ाहिर है कि वह बदहवास हो गया होगा। जैसे ही उसने उसे पकड़ा होगा, दबाव पड़ने से सुई के रास्ते उसकी गर्दन में वाइरस दाखिल हो गया होगा....फिर उसने बौखलाहट में उसे खींच कर खिड़की के बाहर फेंक दिया। पहले नीले रंग का एक परिन्दा उसके कन्धे से टकरा कर उड़ चुका था। इसलिए उसने उसे भी परिन्दा ही समझा....और पिछली रात....वाह....वह भी अजीब इत्तफ़ाक़ था। मैं जमील की कोठी में घुसा। सईदा को क्लोरोफ़ॉर्म के ज़रिये बेहोश करके उसके चेहरे पर अपनी एक ईजाद आज़मायी जिसे मेकअप के सिलसिले में और ज़्यादा तरक्की देने का ख़याल रखता हूँ। फिर क्लोरोफ़ॉर्म का असर बेकार होने का इन्तज़ार रहा।

यह सब मैंने इसलिए किया था कि घर वालों पर इसका असर देख सकॅ। खास तौर से सज्जाद की तरफ़ ख़याल भी नहीं था। जैसे ही मैंने महसस किया कि अब क्लोरोफॉर्म का असर बेकार हो रहा है। मैंने उसके बाजू में सुई चुभोई और पलँग के नीचे घुस गया....फिर हंगामा खड़ा हो गया। सज्जाद ही सबसे ज़्यादा बदहवास दिख रहा था। ज़ाहिर है कि उसे कोई अहमियत नहीं दी जा सकती थी, क्योंकि सईदा उसकी बेटी ही ठहरी....लेकिन जब मैंने उसे घर वालों को वहीं छोड़ कर एक तरफ़ भागते हुए देखा तो ....तुम ख़ुद सोचो फ़ैयाज़! भला उस वक्त इंधन के गोदाम में जाने का क्या तुक था। बहरहाल, सज्जाद ही ने बेख़बरी में अपने ख़िलाफ़ सबूत मुझे मुहैया कर दिये। दरअसल, उसकी मुसीबत ही आ गयी थी, वरना उन चीज़ों को रख छोड़ने की क्या ज़रूरत थी।"

“अच्छा बेटा! वह तो सब ठीक है!'' फ़ैयाज़ ने एक लम्बी अंगड़ाई ले कर कहा। “पर तुम्हारा वह आई कार्ड।”

“यह हक़ीक़त है कि मैं तुम्हारा अफ़सर हूँ। मेरा ताल्लक सीधे होम डिपार्टमेंट से है। और होम सेक्रेटरी सर सुलतान ने मुझे तैनात किया है....लेकिन ख़बरदार....ख़बरदार....इसकी जानकारी डैडी को न होने पाये, वरना तुम्हारी मिट्टी पलीद कर दूंगा समझे....!''

फ़ैयाज़ का चेहरा लटक गया। उसके लिए यह नयी जानकारी बड़ी तकलीफ़देह थी।

"तुमने मुझे भी आज तक इससे बेख़बर रखा।'' रूशी ने झल्लायी हुई आवाज़ में कहा। __

“अरे, किसकी बातों में आयी हो रूशी डियर!' इमरान बुरा-सा मुँह बना कर बोला।

“यह इमरान बोल रहा है....इमरान जिसने सच बोलना सीखा ही नहीं....

मैं तो फ़ैयाज़ को घिस रहा था।"

इमरान के इस आख़िरी जुमले पर फ़ैयाज़ को भरोसा नहीं था और वह किसी सोच में डूबा हुआ नज़र आ रहा था।

समाप्त
 
Fayaz Wahi Se Wapas Ho Gaya, Lekin Use

Raat Bhar Neend Nahi Aayi Thi….Imran

Ki Bakwaas Se Uske Sahi Khayaalo Ka

Andaaza Karna Bohath Hi Mushkil

Tha….Aur Yahi Cheez Fayaz Ke Liye

Uljhan Bani Hui Thi….Wo Saari Raat

Sonchta Raha Ki Maalum Nahi Imran Ne

Waha Kya Harkat Ki Ho….Zaroori Nahi Ki

Wo Har Maamle Mein Kaamyaab Hi Hota

Rahe Ho Sakta Hai Ki Wo Pakda Gaya

Ho….Fir Uski Kya Position Hogi

Subaah Hote Hi Sab Se Pahle Usne

Sajjad Ko Phone Kiya….Dikhawati

Maqsadh Yun Hi Rasmi Taur Par

Khairiyath Maalum Karna Tha.! Use

Umeed Thi Ki Agar Koi Waqaiya Pesh Aya

Hoga Toh Sajjad Khud Hi

Batayega….Lekin Sajjad Ne Kisi Naye

Waqaiye Ki Khabar Nahi Di

Fayaz Ko Fir Bhi Itminaan Nahi

Hua….Usne Sajjad Se Kaha Ki Wo Kisi

Topic Par Baat-Cheet Karne Ke Liye

Waha Ayega Aur Fir Naashta Kar Ke

Jameel Ki Kothi Ki Taraf Rawana Ho

Gaya….Use Drying-Room Mein Kaafi Der

Tak Baithna Padha Lekin Fayaz Sonchne Laga Ki Use Kis Topic Par Baat-Cheet

Karni Hai….Baherhaal, Sajjad Drying-

Room Mein Maujood Nahi Tha, Isliye Use Sonchne Ka Mauqa Mil Gaya….

Lekin Wo Kuch Bhi Na Sonch Saka Uski Jaankaari Mein Koi Abhi Tak Koi Nayi Baat Hui Nahi Thi….

Imran Ki Peechli Raat Ki Baato Ko Wo

Jazbe Mein Bahe Rahe Aadmi Ka

Badhbolapan Samajhta Tha Aur Isi Bina

Par Usne Saleem Ke Baare Mein

Jaankaari Haasil Karne Ki Bhi

Zaroorath Samjhi Thi

Imran Khayaal Aate Hi Use Ghussa Aa

Gaya….Aur Saath Hi Imran Ne Drying-

Room Mein Jaa Kar Salaam Kiya

Fayaz Ki Peeth Darwaaze Ki Taraf Thi

Wo Ek-Dam Se Uchal Padha

Yeh Kya Be-Hoodhgi Hai….! Fayaz Jhalla

Gaya

Parwaah Na Karo.! Main Iss Waqt James-

Bond Ho Raha Hu Pyare Docter Watson….Neeli Pareende Ke Baap Ka

Suraag Mujhe Mil Gaya Hai….Aur Main Bohath Jald….”Assalaamualaikum”….

“Walaikumassalaam”.! Sajjad Ne Salaam

Ka Jawaab Diya Jo Darwaaze Mein Khada Imran Ko Ghoor Raha Tha….

Aaiye….Aaiye….! Imran Ne Bewaqoofo Ki

Tarah Baukhla Kar Kaha

Sajjad Aage Badh Kar Ek Sofe Par Baith

Gaya.! Uske Chahre Par Pareshaani Ki Jhalak Rahi Thi

Kyun, Kya Baat Hai.? Fayaz Ne Kaha.!

Tum Kuch Pareshaan Dikh Rahe Ho

Main….Haa….Main Pareshaan Hu.! Sayeeda Bhi Usi Beemari Mein Fas Gayi Hai….!

Kya.? Fayaz Uchal Kar Khada Ho Gaya

Haa….Magar Uske Sirf Chahre Par Dhabbe

Hai….Baaqi Jism Par Nahi

Kaale Dhabbe.! Fayaz Ne Pucha

“Fayaz Sahab”.! Sajjad Ne Na-Khushi Mein Kaha.! Mera Khayaal Hai Ki Yeh

Mazaaq Ka Mauqa Nahi Hai

Oh….Muaaf Karna….Magar….Kya Koi Neela….Pareenda….

Pata Nahi.! Wo So Rahi Thi….Achanak

Kisi Takleefdeh Ehsaas Se Jaag

Gayi….Aur Jaagne Par Use Mehsoos Hua

Jaise Koi Cheez Daaye Haath Mein Choob

Gayi Ho

Pareenda Latka Hua Tha.! Imran Jaldi

Se Bola

Jee Nahi, Waha Kuch Bhi Nahi Tha.!

Sajjad Jhallayi Hui Awaaz Mein Kaha.!

Achanak Uski Nazar Drying-Table Ke

Aaine Par Padhi Aur Be-Tahaasha

Cheekhe Maarti Hui Kamre Se Nikal Kar

Bahar Bhaagi

Oh….! Imran Apne Honth Daanto Mein

Chaba Kar Rahe Gaya

Fayaz Imran Ko Ghoorne Laga Aur Imran

Dheere Se Badh-Badhaya.! Aisi Jagaah Maarunga Jaha Paani Bhi Na Mil Sake.!

Iss Par Sajjad Bhi Imran Ko Ghoorne

Laga

Magar….Imran Ne Dono Ko Baari-Baari Se

Dekhte Hue Kaha.! Jameel Sahab Ko

Daaghdar Banane Ka Maqsadh Toh Samajh Mein Aata Hai Magar Sayeeda Sahiba Ka

Maamla.? Yeh Meri Samajh Se Bahar Hai….Aakhir Shaukath Ko Unse Kya Dushmani Ho Sakti Hai.?

Shaukath.? Sajjad Chaunk Padha

Jee Haa.! Uski Labouratory Mein Aise

Virus Maujood Hai Jinka Bayaan Doctero Ki Report Mein Milta Hai

Aap Ise Sabeet Kar Sakenge.? Sajjad Ne

Pucha

Chutki Bajate Uske Haatho Mein

Hathkadhiya Dalwa Dunga Bas Aap Dekhte

Rahe Jaiyega

Aakhir Kya Saboot Hai Tumhare Paas.?

Fayaz Ne Pucha

Aha.! Use Mujh Par Chhod Do.! Jo Kuch

Main Kahu, Karte Jao….Uske Khilaaf Hua

Toh Fir Main Kuch Nahi Kar Sakunga.!

Baherhaal, Aaj Drame Ka Drop Scene Ho

Jayega

Nahi, Pahle Mujhe Batao.! Fayaz Ne

Kaha

Kyun Batau.? Achanak Imran Jhalla

Gaya.! Tum Kya Nahi Jaante Bachcho Ki

Si Baate Kar Rahe Ho….Kyun Saleem Par

Goli Nahi Chalayi Gayi Thi.? Kya

Revolver Ke Hatthe Par Shaukath Ki Ungliyo Ke Nishaan Nahi Mile.? Kya

Maine Uski Labouratory Mein Neele

Pareende Nahi Dekhe Jinhe Wo Anghethi Mein Jhonk Raha Tha

Revolver….Saleem….Neele Pareende….Yeh

Aap Kya Kahe Rahe Hai Main Kuch Samjha

Nahi.! Sajjad Hairaan Ho Kar Bola

Bas, Sajjad Sahab.! Isse Zyada Abhi

Nahi Jo Kuch Main Kahu Karte

Jaiye….Mujrim Ko Hathkadhiya Lag

Jayegi

Bataiye….Jo Kuch Aap Kahenge Karunga

Good….Toh Aap Abhi Aur Isi Waqt Apne

Bhaiyo Aur Jameel Sahab Ke Mamuo Samet

Jawed Mirza Ke Yaha Jaiye.! Captain

Fayaz Bhi Waha Honge….Waha Jaiye Aur

Jawed Mirza Se Puchiye Ki Ab Uska Kya Irada Hai.? Jameel Se Apni Ladki Ki Shaadi Karega Ya Nahi.? Zaahir Hai Ki Wo Inkaar Karega.!
 
Fir Uss Waqt Zaroorath Iss Baat Ki

Hogi Ki Captain Fayaz Uss Par Apni

Asliyath Zaahir Kar Ke Kahe Ki Unhe

Iss Silsile Mein Uske Bhateejo Mein Se

Kisi Ek Par Shak Hai Aur Fayaz Tum Use

Kehna Ki Wo Apne Saare Bhateejo Ko

Bulaye….Tum Unse Kuch Sawaal Karna

Chahte Ho

Fir Uske Baad.? Fayaz Ne Pucha

Main Thik Usi Waqt Waha Pahunch Kar

Nipat Lunga

Kya Nipat Loge.?

Tumhare Sar Par Haath Rakh Kar

Rounga.! Imran Ne Sanjeedhgi Se Kaha

Fayaz Aur Sajjad Use Ghoorte

Rahe….Achanak Sajjad Ne Pucha.! Abhi

Aap Ne Kisi Revolver Ka Hawaala Diya Tha Jiss Par Shaukath Ke Ungliyo Ke

Nishaan The

Jee Haa….Baaqi Baate Wahi Hongi.! Acha

Tata….Imran Haath Hilata Hua Drying-

Room Se Nikal Gaya….Aur Fayaz Use

Pukaarta Hi Raha

Main Nahi Samajh Sakta Ki Ye Hazraat

Kya Farmaane Wale Hai.! Sajjad Bola

Kuch-Na-Kuch Toh Karega Hi.! Acha, Ab

Utho Hume Wahi Karna Chahiye Jo Usne Kaha Hai

Baat Badh Gayi….Nawab Jawed Mirza Ka

Paara Chadh Gaya Tha

Usne Fayaz Se Kaha….Jee Haa Farmaiye.! Mere Sab Bachche Yahi Maujood Hai.!

Yeh Shaukath Hai Yeh Irfan Hai, Yeh

Safdar Hai….Bataiye Aap Ko Inme Se Kis Par Shak Hai Aur Shak Ki Wajah Bhi Aap

Ko Batani Padhegi….? Samjhe Aap

Fayaz Baghle Jaank Ne Laga.! Wo Badi

Be-Chaini Se Imran Ka Intezar Kar Raha

Tha Uss Waqt Waha Jawed Mirza Ke

Khandaan Walo Ke Alawa Jameel Ke

Khandaan Ke Saare Mard Maujood The

Baat Jameel Aur Parveen Ki Shaadi Se

Shuru Hui Thi Jawed Mirza Ne Ek Kodhi Se Apni Ladki Ka Rishta Karne Se Saaf

Inkaar Kar Diya….Iss Par Sajjad Ne Kaafi Le-De Ki

Fir Fayaz Ne Uske Bhateejo Mein Se Kisi Ko Jameel Ki Beemari Ka Zimmedar Thahraya….

Lekin Jab Jawed Mirza Ne Tasdeek Chahi

Toh Fayaz Ke Haath-Paer Fool Gaye Use

Umeed Thi Ki Imran Waqt Par Pahunch

Jayega….Lekin….Imran….? Fayaz Dil-HiDil Mein Use Ek Hazaar Alfaaz Fi

Minute Ki Raftaar Se Gaaliya De Raha

Tha

Haa, Aap Bolte Kyun Nahi Khamosh Kyun

Ho Gaye.! Jawed Mirza Ne Use Lalkara

Ama Chalo….Yaar….Sharmate Kyun Ho.!

Kamre Ke Bahar Se Imran Ki Awaaz Ayi Aur Fayaz Ki Banche Khil Gayi

Sab Se Pahle Saleem Daakhil Hua Uske

Peeche Imran Tha….Aur Shayad Wo Use

Dhakelta Hua Laa Raha Tha

Sithwath Jaah.! Jawed Mirza Jhallayi Hui Awaaz Mein Bola.! Yeh Kya Mazaaq Hai….Aap Ba-Ghair Ijazath Yaha Kaise

Chale Aye

Main Toh Yeh Puchne Ke Liye Haazir Hua

Hu Ki Aakhir Inn Hazrat Ki Report Kyun

Nahi Darj Karayi.? Imran Ne Saleem Ki Taraf Ishara Kar Ke Kaha.! Aaj Se Chaar Din Pahle….!

Aap Yaha Se Chale Jaiye….Jaiye.! Nawab

Jawed Mirza Ghurraya

Aap Batana Padhega Janab.! Achanak

Imran Ke Chahre Se Bewaqoofi Ke Asaar

Ghayab Ho Gaye

Yeh Mujhe Zabardasti Laye Hai.! Saleem Dari Hui Awaaz Mein Bola

Sithwath Jaah.! Main Bohath Buri Tarah Pesh Aaunga.! Usi Ke Saath Hi Shaukath

Bhi Utha

Baitho.! Imran Ki Awaaz Ne Pure Kamre

Mein Jhankaar Si Paida Kardi.! Fayaz

Ne Uski Iss Awaaz Mein Ajnabiyath Si

Mehsoos Ki….Yeh Uss Imran Ki Awaaz Toh

Nahi Thi, Jise Wo Itne Lambe Waqt Se Jaanta Tha

Mera Taaluq Home-Department Se Hai.!

Imran Ne Kaha.! Aap Log Abhi Tak

Ghalath-Fehmi Mein Fase The.! Mujhe

Unn Virus Ki Talaash Hai Jo Aadmi Ke

Khoon Mein Milte Hi Use 12 Ghante Ke Andar-Hi-Andar Kodhi Bana Dete Hai.! Shaukath.! Kya Tumhari Labouratory Mein Aisi Virus Nahi Hai.?

Hargeez Nahi Hai.! Shaukath Ghurraya

Kya Tum Budhwaar Ki Raat Ko Apni

Labouratory Mein Kuch Murda Pareende

Nahi Jala Rahe The.? Neele Pareende.?

Haa Maine Jalaye The Fir.?

Imran Saleem Ki Taraf Mudha, Tum Par Kisne Fire Kiya Tha.?

Main Nahi Jaanta.! Saleem Ne Sukhe

Hontho Par Zubaan Fer Kar Kaha

Tum Jaante Ho.? Tumhe Batana Padhega

Main Nahi Jaanta Janab….Mujh Par Kisi

Ne Andhere Mein Fire Kiya Tha Ek Goli

Haath Par Lagi Thi….Aur Badh-Hawaasi

Mein Main Pedh Par Chadh Gaya Tha

Yeh Revolver Kiska Hai.? Imran Ne Jeb

Se Ek Revolver Nikaal Kar Sab Ko

Dikhate Hue Kaha

Shaukath Aur Jawed Mirza Ke Chahro Par Hawaiya Udhne Lagi

Main Jaanta Hu Ki Revolver Shaukath Ka

Hai Aur Shaukath Ke Paas Iska Licence

Bhi Hai….Main Yeh Bhi Jaanta Hu Ki

Saleem Par Isi Revolver Se Goli

Chalayi Gayi Thi Aur Jisne Bhi Fire

Kiya Tha Uski Ungliyo Ke Nishaan Uske Hatthe Par Maujood The….Aur Wo Nishaan

Shaukath Ki Ungliyo Ke The

Hoga, Hoga….Mujhe Shaukath Sahab Se

Koi Shikayath Nahi Hai.! Saleem Jaldi

Se Bola Padha

Asliyath Kya Hai Saleem.? Imran Ne

Narmi Se Pucha

Unhone Kisi Dusre Aadmi Ke Dokhe Mein

Mujh Par Fire Kiya Tha

Kiske Dokhe Mein.?

Yeh Wahi Bata Sakenge.! Main Nahi

Jaanta

Huh.! Fayaz Hathkadhiya Laaye Ho.?

Imran Ne Kaha

Nahi.! Nahi….Yeh Kabhi Nahi Ho Sakta.!

Jawed Mirza Khada Ho Kar Khaufnaak

Andaaz Mein Cheekha

Fayaz Hathkadhiya….!

Fayaz Ne Jeb Se Hathkadhiyo Ka Joda

Nikaal Liya

Yeh Hathkadhiya Sajjad Ke Haatho Mein Daal Do

Kya….! Sajjad Pure Gale Se Cheekh Kar

Khada Ho Gaya

Fayaz….! Sajjad Ko Hathkadhiya Laga Do

Kya Bakwaas Hai.? Fayaz Jhunjhula Gaya

Khabardar Sajjad.! Apni Jagah Se Hilna

Nahi.! Imran Ne Revolver Ka Rukh

Sajjad Ki Taraf Kar Diya

Imran Main Bohath Buri Tarah Pesh Aaunga.! Fayaz Ka Chehra Ghusse Se

Laal Ho Gaya
 
Fayaz Main Tumhe Hukm Deta Hu….Mera

Taaluq Seedhe Home-Department Se Hai

Aur Director General Ke Alawa C.B.I Ka

Har Afsar Mere Maathat Hai….Chalo,

Jaldi. Jaldi Karo

Imran Ne Apna Sarkari I-Card Jeb Se

Nikaal Kar Fayaz Ke Saamne Daal Diya

Fayaz Ke Chahre Par Sach-Much Hawaiya

Udhne Lagi Uske Haath Kaanp Rahe The I-Card Mez Par Rakh Kar Wo Sajjad Ki

Taraf Badha Aur Hathkadhiya Uske

Haatho Mein Daal Di

Dekha Aap Ne.? Saleem Shaukath Ki

Taraf Dekh Kar Paagalo Ki Tarah Qahe-

Qaha Lagaya.! “KHUDA Na-Insaaf Nahi

Hai”

Shaukath Ke Hontho Par Thodi Si

Muskurahath Fael Gayi

Tum Idhar Dekho Saleem.! Imran Ne Use Muqateeb Kiya.! Tumne Kiske Darr Se Jail Mein Panaah Li Thi.?

Jiske Haatho Mein Hathkadhiya Hai Yeh

Yaqeenan Mujhe Maar Daalta….Hum Jante

The Ki Wo Virus Humari Labouratory Se

Isi Ne Churaya Hai, Lekin Humare Paas Koi Saboot Nahi Tha….Aksar Log Humari

Labouratory Mein Aate Rahe Hai

Ek Din Yeh Bhi Aya Tha….Virus Par Baat

Chidh Gayi Thi….Maine Kayi Virus Bhi

Dikhaye Unme Wo Virus Bhi The Jo Sau

Feesadi Shaukath Sahab Ki Ejaad Hai Fir Ek Hafte Ke Baad Hi Virus Ka Dibba

Achanak Labouratory Se Ghayab Ho Gaya

Usse Teen Hi Din Pahle College Ke

Science Ke Student Humari Labouratory Dekhne Aye The….Humara Khayaal Unhi Ki Taraf Gaya….

Lekin Jab Ghayab Hone Ke Chauthe Hi

Din Jameel Sahab Aur Neele Pareende Ki

Kahani Mashoor Hui Toh Maine Shaukath

Sahab Ko Bataya Ki Ek Din Sajjad Bhi

Labouratory Mein Aya Tha

Fir Usi Shaam Ko Humari Labouratory

Mein Murda Pareende Paye Gaye.! Wo

Bilkul Usi Qism Ke The Jiss Qism Ke

Pareende Ka Bayaan Akhbaaro Mein Kiya Gaya Tha Humne Uhne Aag Mein Jala Kar

Raakh Kar Diya

Aur

Fir Yeh Baat Saaf Ho Gayi Ki Sajjad

Yeh Jurm Shaukath Sahab Ke Sar Thopna

Chahta Hai

Dusri Shaam Kisi Anjaan Aadmi Ne Mujh Par Goli Chalayi Main Baal-Baal Bacha

Shaukath Sahab Ne Mujhe Mashwara Diya Ki Main Kisi Mehfooz Muqaam Par Chala

Jau Taaki Wo Itminaan Se Sajjad Ke

Khilaaf Saboot Ikhatta Kar Sake

Mera Daava Hai Ki Mujh Par Sajjad Hi Ne Hamla Kiya Tha Sirf Isi Liye Ki

Main Kisi Se Yeh Kahne Ke Liye Zinda

Na Rahu Ki Sajjad Bhi Kabhi

Labouratory Mein Aya Tha Aur Use Wo Virus Dikhaye Gaye The

Bakwaas Hai.! Sajjad Cheekha.! Main

Kabhi Labouratory Mein Nahi Gaya Tha

Tum Khamosh Raho.! Fayaz Use Khamosh

Rakho.! Imran Ne Kaha Fir Saleem Se

Bola.! Bayaan Jaari Rahe

Saleem Kuch Pal Khamosh Rahe Kar

Bola.! Shaukath Sahab Ne Sirf Meri

Zindagi Ki Hifazath Ke Khayaal Se Mujh Par Chori Ka iLzaam Laga Kar Giraftaar Kara Diya….Lekin Sajjad Ne Mera Waha Bhi Picha Na Chhoda….

Ek Angrezi Ladki Waha Pahunchi Jo

Shayad Sajjad Hi Ki Bejhi Hui Thi Aur

Mujhe Bekaar Mein Ghussa Dilaane Lagi

Taaki Main Jhalla Kar Apne Jail Aane Ka Raaz Ugal Du

Khair….Khair….Aage Kaho.! Imran Badh-

Badhaya.! Wo Samajh Gaya Ki Uska

Ishaara Rushi Ki Taraf Hai

Fir Pata Nahi Kyun Aur Kis Tarah Meri Zamanath Hui….Zaahir Hai Ki Uss Anhoni Baat Ne Mujhe Badh-Hawaas Kar Diya Aur

Maine Usi Taraf Ka Rukh Kiya, Lekin

Koi Mera Picha Kar Raha Tha….Kothi Ke

Paas Pahunch Kar Usne Ek Fire Bhi Kiya

Lekin Main Fir Bach Gaya Yaha Baagh

Mein Andhera Tha….Main Labouratory Ke

Khareeb Pahuncha….Shaukath Sahab

Samjhe Shayad Main Wahi Aadmi Hu Jo

Aye Din Labouratory Mein Murda

Pareende Daal Jaya Karta Tha….Unhone Usi Ke Dokhe Mein Mujh Par Fire Kar

Diya

Kyun.? Imran Ne Shaukath Ki Taraf

Dekha

Haa, Yeh Bilkul Sahi Hai….! Sajjad Yeh

Chahta Tha Ki Kisi Tarah Unn Pareendo

Par Chacha Sahab Ki Bhi Nazar Padh

Jaye Aur Wo Mujhe Hi Mujrim Samajhne Lage.! Waise Inhe Thoda Bohath Shak

Pahle Bhi Tha

Imran Ne Jawed Mirza Ki Taraf Dekha.!

Lekin Jawed Mirza Khamosh Raha

Kya Bakwaas Ho Rahi Hai….Yeh Sab

Paagal Ho Gaye Hai.! Sajjad Gala Faadh

Kar Cheekha.! Arey Badh-Bakhto Andho

Mere Saath Chal Kar Meri Ladki Sayeeda

Ki Halath Dekho Wo Bhi Usi Beemari

Mein Fass Gayi Hai Kya Main Apni Beti

Par Bhi Uss Qism Ke Virus….Ya Khuda….Yeh Sab Paagal Hai

Achanak Shaukath Hass Padha….

“Khoob” Usne Kaha Tumhe Beti Ya Bete

Se Kya Sarokaar Tumhe Toh Daulath

Chahiye.! Dono Kodhiyo Ki Shaadi Kara

Do Wo Dono Ek-Dusre Ko Pasand Karenge.! Dusri Harkath Tumne Sirf Apni Gardan Bacane Ke Liye Ki Hai

Nahi, Sajjad.! Tum Kuch Khayaal Na

Karna.! Imran Muskura Kar Bola.! Dusri

Harkath Meri Thi

Sajjad Use Ghoorne Laga….Aur Shaukath

Ki Aankhe Bhi Hairath Se Fael Gayi Thi

Fayaz Iss Tarah Khamosh Baitha Tha

Jaise Use Saanp Sungh Gaya Ho

Dusri Harkath Meri Thi….Aur Tumhari

Ladki Ko Koi Beemari Nahi Hai.! Unn Daagho Ko Khaalis Sprit Se Dho Daalne Par Chehra Saaf Ho Jayega….!

Khair….Khair….Mujh Par Jhoota iLzaam

Lagaya Jaa Raha Hai Aur Main Adalath Mein Dekhunga

Zaroor Dekhna Sajjad.! Waqai Tumhare

Khilaaf Saboot Pahunchana Badha

Mushkil Kaam Hoga

Lekin Yeh Batao….Ki Pichli Raat Apni

Ladki Ka Chehra Dekh Kar Tum Be-

Tahasha Indhan Ke Godham Ki Taraf Kyun

Bhaage The….Batao….Bolo….Jawaab Do

Tabhi Sajjad Ke Chahre Par Zardi Fael

Gayi Mathe Par Paseene Ki Boondhe Foot

Ayi Aankhe Dheere-Dheere Bandh Hone Lagi Aur Fir Uski Gardan Achanak Ek Taraf Ludak Gayi Wo Be-Hosh Ho Gaya Tha

Usi Shaam Ko Imran, Rushi Aur Fayaz

Royal Hotel Mein Chai Pi Rahe The

Fayaz Ka Chehra Utra Hua Tha

Aur

Imran Kahe Raha Tha, Mujhe Usi Waqt

Yaqeen Ho Gaya Tha Ki Saleem Shaukath

Se Naraaz Nahi Hai Jab Usne Jail Se

Nikalne Ke Baad Jawed Mirza Ki Kothi

Ka Rukh Kiya Tha

Magar Endhan Ke Godham Se Kya Baramad Hua Hai.! Rushi Ne Kaha.! Tumne Wo Baat Adhuri Chhod Di Thi….!

Waha Se Ek Zaherila Dibba Baramad Hua

Hai….Aur Neele Rang Ke Pareendo Ka Ek Dher-Rubber Ke Teen Pareende….Gondh Ki

Ek Bottle Aur Injection Ki Teen

Suiyaan….Kya Samjhi….Wo Haqeeqath Mein

Pareenda Nahi Tha Jise Jameel Ne Apni

Gardan Se Kheench Kar Khidki Ke Bahar Fenka Tha….

Balki Rubber Ka Pareenda Tha, Jis Par

Gondh Se Neele Rang Ke Parr Chipkaye

Gaye The.! Uske Pet Mein Thaili Bhari

Gayi Thi Jisme Virus The.! Pareende Ki

Chonch Ki Jagaah Injection Lagane Wali Khokhli Sui Fit Ki Gayi Thi….

Pahle Jameel Par Bahar Se Khidki Ke

Zariye Ek Pareenda Hi Fenka Gaya Tha Jo Uske Khaande Se Takra Kar Udh Gaya

Tha

Fir

Wo Pareenda Fenka Gaya, Jisme Lagi Hui

Sui Uski Gardan Mein Ghoos Gayi

Zaahir Hai Ki Wo Badh-Hawaas Ho Gaya

Hoga

Jaise Hi Usne Use Pakda Hoga, Dabao

Padhne Se Sui Ke Raaste Uski Gardan Mein Virus Daakhil Ho Gaya Hoga….

Fir

Usne Baukhlahath Mein Use Khinch Kar Khidki Ke Bahar Fenk Diya

Pahle Neele Rang Ka Ek Pareenda Uske

Khaande Se Takra Kar Udh Chuka Tha

Isliye Usne Use Bhi Pareenda Hi

Samjha….Aur Pichli Raat….Wo Bhi Ajeeb

Ittefaq Tha

Main Jameel Ki Kothi Mein Ghoosa

Sayeeda Ko Chloroform Ke Zariye Be-

Hosh Kar Ke Uske Chahre Par Apni Ek

Ejaad Aazmayi Jise Make-Up Ke Silsile

Mein Aur Zyada Taraqqi Dene Ka Khayaal

Rakhta Hu

Fir Chloroform Ka Asar Bekaar Hone Ka

Intezar Raha

Yeh Sab Maine Isliye Kiya Tha Ki Gharwalo Par Iska Asar Dekh Saku Khaas Taur Se Sajjad Ki Taraf Khayaal

Bhi Nahi Tha

Jaise Hi Maine Mehsoos Kiya Ab

Choloroform Kar Asar Bekaar Ho Raha

Hai

Maine Uske Baazu Mein Sui Chubayi Aur Palang Ke Niche Ghoos Gaya….

Fir

Hungama Khada Ho Gaya

Sajjad Hi Sab Se Zyada Badh-Hawaas

Dikh Raha Tha Zaahir Hai Ki Use Koi Ehmiyath Nahi Di Jaa Sakti Thi, Kyun Ki Sayeeda Uski Beti Hi Thahri….

Lekin

Jab Maine Use Gharwalo Ko Wahi Chhod

Kar Ek Taraf Bhaagte Hue Dekha

Toh….Tum Khud Soncho Fayaz.! Bhala Uss

Waqt Endhan Ke Godhaam Mein Jane Ka

Kya Tuk Tha Baherhaal Sajjad Hi Ne Be-Khabri Mein Apne

Khilaaf Saboot Mujhe Muhaiyya Kar Diye

Darasal

Uski Musibath Hi Aa Gayi Thi, Warna

Unn Cheezo Ko Rakh Chhodne Ki Kya

Zaroorath Thi

“Acha Beta” Woto Sab Thik Hai.! Ek Lambi Angdayi Le Kar Kaha.! Par Tumhara Wo I-Card.?

Yeh Haqeeqath Hai Ki Main Tumhara

Afsar Hu Mera Talooq Seedhe Home-

Department Se Hai Aur Home-Secretary Sir Sulthan Ne Mujhe Tainaath Kiya Hai…. Lekin

Khabardar….Khabardar….Iski Jaankari Daddy Ko Na Hone Paaye, Warna Tumhari Mitthi-Paleed Kar Dunga Samjhe….!

Fayaz Ka Chehra Latak Gaya.! Uske Liye

Yeh Nayi Jaankari Takleefdeh Thi

Tumne Mujhe Bhi Aaj-Tak Isse Be-Khabar

Rakha.! Rushi Ne Jhallayi Hui Awaaz Mein Kaha

Arey, Kiski Baato Mein Ayi Ho Rushi

Dear.! Imran Bura Sa Muh Bana Kar Bola

Yeh Imran Bol Raha Hai….Jisne Sach

Bolna Seekha Hi Nahi….Main Toh Fayaz

Ko Ghees Raha Tha

Imran Ke Iss Aakhri Jumle Par Fayaz Ko

Bharosa Nahi Tha Aur Wo Kisi Sonch

Mein Dooba Hua Nazar Aa Raha Tha

The End
 
Back
Top