[color=rgb(184,]The Mirror..[/color]
[color=rgb(184,]Update 10
Final Update[/color]
Sandhya ne anish ki secretry roma ko call lagaya jo sandhya ki achi dost bhi thi aur use kisi bhi tarah anish ko aaj raat bhar ghar se dur rakhne kaha yaha tak ki usne roma se ye bhi keh diya ke 'use your charm', roma ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha ke ye sab kya ho raha hai aur sandhya ne uske kuch puchne se pehle use apni kasam dekar phone band kar diya aur ye baat uske aur roma ke beech hi rakhne ko kahi aur phone cut karke wo sidha apni study me aayi aur darwaja band karke aaine ke samne khadi rahi
Sandhya- mujhe pata hai tum mujhe dekh rahi ho, sun rahi ho, to chalo aao aaj kuch baate karte hai, agar tumhari ha hai to samne aao
Kuch nahi hua
Sandhya- mujhe pata ai tum mujhe maarna chahti ho, tumhe mujhe control karne ki koshish ki par maine medittion ke sahare pna bachav kiya, tumhe mujhe bhutkal ki ghatnaye dikhayi jisse mai dipression me jau aur tum mere man par kabja karo par isi ke chalte mujhe sari purani bate pata chalti gayi, mujhe itna to samajh aa gaya ki tum mujhse jhuth nahi bol rahi thi, agar tumne mujhe mara to nuksan tumhara hi hai aur mai tumhe mukt karna chahti hu
Aur isi ke sath jor daar awaj karte huye room ka ceiling fan niche giya, sandhya se thodi dur mano kamini use chetavni de rahi ho.. par ise dekh sandhya thodi muskurayi..
Sandhya-tumhara gussa samajh rahi hu mai.. ye kaun mujhe mukti dilani wale, yahi soch rahi ho na, ha waise sahib hi hai ye, jab tak tum is narakyatna se picha chudana nahi chahogi tab ak koi kuch nahi kar sakta par aaj tumhe meri baat sunni padegi, mujhe maar dalogi to tumhari mukti ka rasta to band hoga hi sath hi jis jalan ki bhavna ne tumhe aaj tak bandhe rakha hai wo bhi khatam ho jayegi, mere sath ye gharana bhi khatam ho jayega, anish ke sath tum thoda samay reh logi par akeli, wo nahi hoga..
Tabhi jor jor se pair patakne ka, jungle jaanwaro ki hunkar ka awaj aane laga, ye ek receipt thi ki sandhya ki baat suni ja rahi hai
Sandhya-ab meri baat dhyan se suno, tumhare sath jo hua wo lanchanaspad thaaur ye hamare gharane ke aadmiyo ne kiya jiski mujhe kafi khant hai, apne premi se dutkarane jana fir uske ki pita ka jabardasti karna, tumhara khun ye sab kafi bhayankar tha, par usse bhi bhayankar tha tumhare samne kiya hua tumhare premi aur uski patni ka pranay uske baad tumhari maa ki majburi ka fayda uthaya jana..
Aaine se ek cheekh sunai di sandhya ko
Sandhya ek pal ruki fir bolna shuru kiya
Sandhya-tumhare man me badle ki bhavna aana swabhavik tha jiske baad wo bhavna badle ki aag me badly par baad me bachi sirf tumhare man me rahi sharir sukh ki icha aur malki haq ki bhavna jisne tumhe bandh kar rakha fir jisne tumpar anyay kiya tum unhe chhod kar ghar ki aurto ke piche lagi, unhe marti gayi aur paap bhi bhagidar banti gayi, unki maut atal thi tum sirf ek jariya banti gayi par tumhara ahankar itna badha ki tumhe lagne laga ki tum kuch bhi kar sakti ho, par jo kismet me likha hota hai wahi hota hai jo unki kismet me tha unlogo ke sath wahi hua fark sirf itna hai ki tum baki aurto ke man ko kabu me kar payi par mere sath aisa nahi hua.
Achanak kamini bhanayak roop me aaise me dikhne lagi aur usne hath baahar nikalkar sandhya ka gala pakadne ki koshish ki par wo isne nakam rahi
Sandhya-pankha me jaan nahi hoti kamini, use control karna aasan hai mujhe nahi, ho sakta hai ki kuch aur shaktiya bhi tumhari madadgar ho par ek samajhdaar insan ko kabu karna mushkil hai.. tumhare is ahankar ne bahut kuch tabah kiya hai ab bas..
Aur kamini gayab ho gayi
Sandhya- man janti hu tum yahi ho, kab tak aise hi rahogi, kabhi na kabhi ye sab khatam hoga, kal ka wada bachega na hum, kuch salo me hum bhi mar jayenge ya tum hi maar dogi, maut atal hai par tum kabtak aise hi bhatakti rahogi jaha na koi tumhe dekh sakta hai na tum apni ichao ka anand le sakti ho, is janm se mukti ka rasta saaf karo aur martya yogi me pravesh ki koshish karo jaha apni ichao ka upbhog le sako, main tumhare liye us sarvavyapi Shakti ka avahan karungi, tumhare liye prarthna karungi, tum sath do to theek warna rukawat mat banna
Itna bol ke sandhya padmasan laga kar baith gayi aur ab kamini ka sabra chhutne laga, aane wale safar ka darr use satane laga, uske paas jo hai wo bas us tak hi simit rehna chahti thi aur usne sandhya ko padmasand se uthane ki koshish shuru ki
Idhar office me anish ek conference call par busy tha aur roma dua kar rahi thi ke wo aise hi busy rahe, usne sandhya ko promice kiya tha par ab soch rahi thi ke anish ko kaise roka jaye, fir usne un logo ko call lagana shuru kiye jo kafi time se anish se milna chahte the aur unki apponintment fix ki aur kuch important logo ke sath dinner meeting fix ki jisse ab wo anish ko kam se kam adhi raat tak rok sakti thi
Yaha ghar me pehle to sandhya ko aisa laga mano uske sare sharir sunn ho gaya hai par wo janti thi ki ye kya hai aur usne dhyan kendrit karna shuru kiya, fir kuch samay baad aneko jaanwaro ka usne aaspaas ghumne ka awaj unke chillane ka awaj use aane laga fir bhi sandhya ka dhyan bhang nahi hua, jiske baad dheere dheere room me pani bharne laga aur wo pani ab sandhya ke gale taka a gaya tha aur sandhya ko aisa laga mano wo dub ke mar jayegi par man nischay se nahi hata kyuki isne jaan ka khatra to hoga ye to usne socha hi tha par ab sandhya ko ekagrata sambhalna mushkil ho raha tha wahi ye sab abhas nirman karne me kamini ki Shakti bhi khatam ho gayi thi aur apna astitva tikane kii tagmag badh rahi thi, raat chadh rahi thi
Idhar ab anish ki dinner meeting bhi khatam hone aayi thi aur wo ye soch raha tha ke itne samay me sandhya ne use ek bhi call kaise nahi kiya.. fir bhi wo roma se bola
Anish-roma raat kafi ho rahi hai chalo main tumhe ghar chhod deta hu taxi safe nahi hogi
Wahi roma bhi yahi chahti thi isse use aur thoda samay mil jata
Adhe ghante baad anish ne roma kousne ghar drop kiya, ab anish ko kaise roke ye roma ke samne sawal tha fir wo anish se boli
Roma-boss, mujhe sandhya ke bare me kuch baat karni hai..
Anish-kya hua..?
Roma-is she alright?
Anish- kya hua hai roma aisa kyu puch rahi ho?
Fir roma ne sari baat use batayi jise sun kar anish ke chehre par chinta gussa jaise hajaro bhav umte
Anish- roma teri dost pagal kar degi mujhe kisi din, pata nahi kya chal raha hai uske dimag me..
Jiske baad wo aur roma anish ke ghar aane ko nikle
Idhar sandhya ab apni ekagrata ke parambindu par pahuchne wali thi aur kamini uska dhyan bhang karne ki koshish kar rahi thi, itne me ghar me kuch bartani ke girne ka awaj aaya jiske sath mano waha bhukamp aaya ho aise diware hilne lagi jaise jaise sandhya ekagrata ke shikhar par pahuch rahi thi kamini ki shaktiya kamjor ho rahi thi aura b kamni ghabrane lagi thi..
Jaisi hi sandhya ekagrata ke charam par pahuchi sab kuch ekdum shant ho gaya kuch nahi badla tha sab shant tha aur kamini bhi, natak khatam hone ke baad jaise nayak aur khalnayak eksath hote hai waisa hi kuch scene tha, aatma kosamay ka bandhan nahi hota hai bhautik bandhan nahi hote hai e ab saaf dikh raha tha, sandhya ke man me kamini ke liye koi nafrat nahi thi tha to sirf prem aur usi samay bhadki huyi kamini ne sandhya ki gardan pakad li aur sandhya ke sparsh se wo shant hoti chali gayi, uska sara gussa jalan sab khatam ho gaya tha
Dheere dheere kamini ki aatna sare bandhan tod kar panchtatva me vilin hote chli gayi, aur ye shayad sanket tha ke uske astitva ka koi nishan baki na rahe isiliye wo aaina bhi tut gaya aur isike sath hi anish darwaja tod kar ander dakhil hua
Anish ne aate hi sandhya ko baitha hua dekha to uske paas gaya, sandhya ne hath upar kiya aur anish ke sahare se uth kar khadi huyi, itn der padmasan ke baithne se uski pair dard kar rahe the par jab anish ne sandhya ke chehre ke khushi aur samadham ke shant bhav to dekha to wo samajh gaya ki ab sab sahi hai use uski pehle wali sandhya mil gayi hai, usne sandhya ko gale laga liya aur sandhya bhi bagair kisi darr ke uski baho me sama gayi
Fir hatho se ishara karke usne roma ko ane paas bulaya aur boli "thank you roma"
Fir achanak anish ke kuch dhyan me aaya to wo bola "yes thank you roma for not using your so called charm"
Anish ki baat sun sab muskurane lage. kafi dino baad aaj sandhya khul kar muskurayi thi
Agli subah pados wali ek bacchi sandhya ke paas aayi aur boli
"aunty hamari chat par chidiya ne gharta bana than a uske ande me se ek baby chidiya baahar aayi hai"
Jise sun sandhya muskura di
The End